الصافات
As-Saaffaat
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلصَّٰٓفَّٰتِ صَفّٗا
آیت ۳۷:۱ کھولیںqasam unn ki jo paray baandh ker saff banatay hain ,
فَٱلزَّٰجِرَٰتِ زَجۡرٗا
آیت ۳۷:۲ کھولیںphir unn ki jo rok tok kertay hain ,
فَٱلتَّٰلِيَٰتِ ذِكۡرًا
آیت ۳۷:۳ کھولیںphir unn ki jo ziker ki tilawat kertay hain ,
إِنَّ إِلَٰهَكُمۡ لَوَٰحِدٞ
آیت ۳۷:۴ کھولیںtumhara mabood aik hi hai ,
رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا وَرَبُّ ٱلۡمَشَٰرِقِ
آیت ۳۷:۵ کھولیںjo tamam aasmano aur zameen ka aur unn kay darmiyan ki her cheez ka malik hai , aur unn tamam maqamaat ka malik jahan say sitaray tuloo hotay hain .
إِنَّا زَيَّنَّا ٱلسَّمَآءَ ٱلدُّنۡيَا بِزِينَةٍ ٱلۡكَوَاكِبِ
آیت ۳۷:۶ کھولیںbeyshak hum ney nazdeek walay aasman ko sitaron ki shakal mein aik sajawat ata ki hai ,
وَحِفۡظٗا مِّن كُلِّ شَيۡطَٰنٖ مَّارِدٖ
آیت ۳۷:۷ کھولیںaur her shareer shetan say hifazat ka zariya banaya hai .
لَّا يَسَّمَّعُونَ إِلَى ٱلۡمَلَإِ ٱلۡأَعۡلَىٰ وَيُقۡذَفُونَ مِن كُلِّ جَانِبٖ
آیت ۳۷:۸ کھولیںwoh oopper kay jahan ki baaten nahi sunn saktay , aur her taraf say unn per maar parrti hai ,
دُحُورٗاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٞ وَاصِبٌ
آیت ۳۷:۹ کھولیںunhen dhakkay diye jatay hain , aur unn ko ( aakhirat mein ) daemi azab hoga .
إِلَّا مَنۡ خَطِفَ ٱلۡخَطۡفَةَ فَأَتۡبَعَهُۥ شِهَابٞ ثَاقِبٞ
آیت ۳۷:۱۰ کھولیںalbatta jo koi kuch uchak ley jaye to aik roshan shola uss ka peecha kerta hai .
فَٱسۡتَفۡتِهِمۡ أَهُمۡ أَشَدُّ خَلۡقًا أَم مَّنۡ خَلَقۡنَآۚ إِنَّا خَلَقۡنَٰهُم مِّن طِينٖ لَّازِبِۭ
آیت ۳۷:۱۱ کھولیںabb zara inn ( kafiron ) say poocho kay inn ki takhleeq ziyada mushkil hai ya humari peda ki hoi doosri makhlooqaat ki ? inn ko to hum ney lais daar garay say peda kiya hai .
بَلۡ عَجِبۡتَ وَيَسۡخَرُونَ
آیت ۳۷:۱۲ کھولیں. ( aey payghumber ! ) haqeeqat to yeh hai kay tum ( inn ki baaton per ) taajjub kertay ho , aur yeh hansi uratay hain ,
وَإِذَا ذُكِّرُواْ لَا يَذۡكُرُونَ
آیت ۳۷:۱۳ کھولیںaur jab enhen naseehat ki jati hai to naseehat mantay nahi ,
وَإِذَا رَأَوۡاْ ءَايَةٗ يَسۡتَسۡخِرُونَ
آیت ۳۷:۱۴ کھولیںaur jab koi nishani dekhtay hain to mazaq uratay hain ,
وَقَالُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٌ
آیت ۳۷:۱۵ کھولیںaur kehtay hain kay : yeh aik khulay jadoo kay siwa kuch bhi nahi hai ,
أَءِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ
آیت ۳۷:۱۶ کھولیںbhala jab hum mar ker mitti aur haddiyon ki soorat ikhtiyar kerlen gay , to kiya hamen dobara zinda kiya jaye ga-?
أَوَءَابَآؤُنَا ٱلۡأَوَّلُونَ
آیت ۳۷:۱۷ کھولیںaur bhala kiya humaray pichlay baap dadon ko bhi ?
قُلۡ نَعَمۡ وَأَنتُمۡ دَٰخِرُونَ
آیت ۳۷:۱۸ کھولیںkeh do kay : haan ! aur tum zaleel bhi hogay .
فَإِنَّمَا هِيَ زَجۡرَةٞ وَٰحِدَةٞ فَإِذَا هُمۡ يَنظُرُونَ
آیت ۳۷:۱۹ کھولیںbus woh to aik hi zor daar aawaz hogi , jiss kay baad woh achanak ( saray holnaak manazir ) dekhney lagen gay ,
وَقَالُواْ يَٰوَيۡلَنَا هَٰذَا يَوۡمُ ٱلدِّينِ
آیت ۳۷:۲۰ کھولیںaur kahen gay kay : haaye humari shamat ! yeh to hisab o kitab ka din hai .
هَٰذَا يَوۡمُ ٱلۡفَصۡلِ ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
آیت ۳۷:۲۱ کھولیں. ( ji haan ! ) yehi woh faislay ka din hai jissay tum jhutlaya kertay thay .
۞ٱحۡشُرُواْ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ وَأَزۡوَٰجَهُمۡ وَمَا كَانُواْ يَعۡبُدُونَ
آیت ۳۷:۲۲ کھولیں. ( farishton say kaha jaye ga kay : ) gher lao unn sabb ko jinhon ney zulm kiya tha , aur unn kay sathiyon ko bhi , aur unn ko bhi
مِن دُونِ ٱللَّهِ فَٱهۡدُوهُمۡ إِلَىٰ صِرَٰطِ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۳۷:۲۳ کھولیںjinn ki yeh Allah ko chorr ker ibadat kiya kertay thay , phir enhen dozakh ka raasta dikhao ,
وَقِفُوهُمۡۖ إِنَّهُم مَّسۡـُٔولُونَ
آیت ۳۷:۲۴ کھولیںaur zara enhen thehrao , inn say kuch poocha jaye ga .
مَا لَكُمۡ لَا تَنَاصَرُونَ
آیت ۳۷:۲۵ کھولیں. kiyon ji-? tumhen kiya huwa kay tum aik doosray ki madad nahi ker rahey ?
بَلۡ هُمُ ٱلۡيَوۡمَ مُسۡتَسۡلِمُونَ
آیت ۳۷:۲۶ کھولیںiss kay bajaye yeh to aaj sar jhukaye kharray hain .
وَأَقۡبَلَ بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ يَتَسَآءَلُونَ
آیت ۳۷:۲۷ کھولیںaur woh aik doosray ki taraf rukh ker kay aapas mein sawal jawab keren gay .
قَالُوٓاْ إِنَّكُمۡ كُنتُمۡ تَأۡتُونَنَا عَنِ ٱلۡيَمِينِ
آیت ۳۷:۲۸ کھولیں. ( matehat log apney baron say ) kahen gay kay : tum thay jo hum per baray zoron say charh charh ker aatay thay
قَالُواْ بَل لَّمۡ تَكُونُواْ مُؤۡمِنِينَ
آیت ۳۷:۲۹ کھولیںwoh kahen gay kay : nahi , balkay tum khud emaan laney walay nahi thay .
وَمَا كَانَ لَنَا عَلَيۡكُم مِّن سُلۡطَٰنِۭۖ بَلۡ كُنتُمۡ قَوۡمٗا طَٰغِينَ
آیت ۳۷:۳۰ کھولیںaur tum per humara koi zor nahi tha , asal baat yeh hai kay tum khud sarkash log thay .
فَحَقَّ عَلَيۡنَا قَوۡلُ رَبِّنَآۖ إِنَّا لَذَآئِقُونَ
آیت ۳۷:۳۱ کھولیںabb to humaray perwerdigar ki yeh baat hum per sabit hogaee hai kay hum sabb ko yeh maza chakhna hai ,
فَأَغۡوَيۡنَٰكُمۡ إِنَّا كُنَّا غَٰوِينَ
آیت ۳۷:۳۲ کھولیںkiyonkay hum ney tumhen behkaya hum khud behkay huye thay .
فَإِنَّهُمۡ يَوۡمَئِذٖ فِي ٱلۡعَذَابِ مُشۡتَرِكُونَ
آیت ۳۷:۳۳ کھولیںgharz uss din yeh sabb azab mein aik doosray kay sath shareek hon gay .
إِنَّا كَذَٰلِكَ نَفۡعَلُ بِٱلۡمُجۡرِمِينَ
آیت ۳۷:۳۴ کھولیںhum mujrimon kay sath aisa hi kertay hain .
إِنَّهُمۡ كَانُوٓاْ إِذَا قِيلَ لَهُمۡ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا ٱللَّهُ يَسۡتَكۡبِرُونَ
آیت ۳۷:۳۵ کھولیںinn ka haal yeh tha kay jab unn say yeh kaha jata kay Allah kay siwa koi mabood nahi hai to yeh akarr dikhatay thay .
وَيَقُولُونَ أَئِنَّا لَتَارِكُوٓاْ ءَالِهَتِنَا لِشَاعِرٖ مَّجۡنُونِۭ
آیت ۳۷:۳۶ کھولیںaur kaha kertay thay kay : kiya hum aesay hain kay aik deewaney shaeer ki wajeh say apney maboodon ko chorr bethen-?
بَلۡ جَآءَ بِٱلۡحَقِّ وَصَدَّقَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۷:۳۷ کھولیںhalankay woh ( payghumber SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) haq ley ker aaye thay , aur enhon ney doosray payghumberon ki tasdeeq ki thi !
إِنَّكُمۡ لَذَآئِقُواْ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡأَلِيمِ
آیت ۳۷:۳۸ کھولیںchunacheh ( inn say kaha jaye ga kay : ) tum sabb ko dardnak azab ka maza chakhna hoga ,
وَمَا تُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۳۷:۳۹ کھولیںaur tumhen kissi aur baat ka nahi , khud tumharay aemal ka badla diya jaye ga .
إِلَّا عِبَادَ ٱللَّهِ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
آیت ۳۷:۴۰ کھولیںalbatta jo Allah kay barguzida banday hain ,
أُوْلَٰٓئِكَ لَهُمۡ رِزۡقٞ مَّعۡلُومٞ
آیت ۳۷:۴۱ کھولیںunn kay liye tey shuda rizq hai ,
فَوَٰكِهُ وَهُم مُّكۡرَمُونَ
آیت ۳۷:۴۲ کھولیںmeway hain ,
فِي جَنَّٰتِ ٱلنَّعِيمِ
آیت ۳۷:۴۳ کھولیںaur naimat bharay baaghaat mein unn ki poori poori izzat hogi ,
عَلَىٰ سُرُرٖ مُّتَقَٰبِلِينَ
آیت ۳۷:۴۴ کھولیںwoh oonchi nishiston per aamney samney bethay hon gay ,
يُطَافُ عَلَيۡهِم بِكَأۡسٖ مِّن مَّعِينِۭ
آیت ۳۷:۴۵ کھولیںaesi lateef sharab kay jaam unn kay liye gardish mein ayen gay ,
بَيۡضَآءَ لَذَّةٖ لِّلشَّٰرِبِينَ
آیت ۳۷:۴۶ کھولیںjo safaid rang ki hogi , peenay walon kay liye sarapa lazzat !
لَا فِيهَا غَوۡلٞ وَلَا هُمۡ عَنۡهَا يُنزَفُونَ
آیت ۳۷:۴۷ کھولیںnaa uss say sar mein khumaar hoga , aur naa unn ki aqal behkay gi .
وَعِندَهُمۡ قَٰصِرَٰتُ ٱلطَّرۡفِ عِينٞ
آیت ۳۷:۴۸ کھولیںaur unn kay paas woh bari bari aankhon wali khawateen hongi jinn ki nigahen ( apney shohron per ) markooz hon gi ,
كَأَنَّهُنَّ بَيۡضٞ مَّكۡنُونٞ
آیت ۳۷:۴۹ کھولیں. ( unn ka bey-daagh wajood ) aisa lagay ga jaisay woh ( gard o ghubar say ) chupa ker rakhay huye anday hon .
فَأَقۡبَلَ بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ يَتَسَآءَلُونَ
آیت ۳۷:۵۰ کھولیںphir jannati log aik doosray ki taraf mutawajjah ho ker aapas mein sawalaat keren gay .
قَالَ قَآئِلٞ مِّنۡهُمۡ إِنِّي كَانَ لِي قَرِينٞ
آیت ۳۷:۵۱ کھولیںunn mein say aik kehney wala kahey ga kay mera aik sathi tha ,
يَقُولُ أَءِنَّكَ لَمِنَ ٱلۡمُصَدِّقِينَ
آیت ۳۷:۵۲ کھولیںjo ( mujh say ) kaha kerta tha kay : kiya tum waqaee unn logon mein say ho jo ( aakhirat ki zindagi ko ) sach mantay hain-?
أَءِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَءِنَّا لَمَدِينُونَ
آیت ۳۷:۵۳ کھولیںkiya jab hum mar-jayen gay aur mitti aur haddiyon mein tabdeel hojayen gay to kiya waqaee hamen ( apney kamon ka ) badla diya jaye ga-?
قَالَ هَلۡ أَنتُم مُّطَّلِعُونَ
آیت ۳۷:۵۴ کھولیںwoh jannati ( doosray jannatiyon say ) kahey ga kay : kiya tum ( meray uss sathi ) ko jhank ker dekhna chahtay ho-?
فَٱطَّلَعَ فَرَءَاهُ فِي سَوَآءِ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۳۷:۵۵ کھولیںphir woh khud ( dozakh mein ) jhank ker dekhay ga to woh ussay dozakh kay beechon beech nazar aajaye ga .
قَالَ تَٱللَّهِ إِن كِدتَّ لَتُرۡدِينِ
آیت ۳۷:۵۶ کھولیںwoh jannati ( iss/uss say ) kahey ga kay : Allah ki qasam ! tum to mujhay bilkul hi barbad kernay lagay thay ,
وَلَوۡلَا نِعۡمَةُ رَبِّي لَكُنتُ مِنَ ٱلۡمُحۡضَرِينَ
آیت ۳۷:۵۷ کھولیںaur agar meray perwerdigar ka fazal shamil-e-haal naa hota to aur logon kay sath mujhay bhi dhar liya jata .
أَفَمَا نَحۡنُ بِمَيِّتِينَ
آیت ۳۷:۵۸ کھولیں. ( phir woh khushi kay aalam mein apney jannati sathiyon say kahey ga : ) acha to kiya abb hamen moat nahi aaye gi-?
إِلَّا مَوۡتَتَنَا ٱلۡأُولَىٰ وَمَا نَحۡنُ بِمُعَذَّبِينَ
آیت ۳۷:۵۹ کھولیںsiwaye uss moat kay jo hamen pehlay aa-chuki-? aur hamen azab bhi nahi hoga-?
إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
آیت ۳۷:۶۰ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay zabardast kamiyabi yehi hai ,
لِمِثۡلِ هَٰذَا فَلۡيَعۡمَلِ ٱلۡعَٰمِلُونَ
آیت ۳۷:۶۱ کھولیںissi jaisi kamiyabi kay liye amal kernay walon ko amal kerna chahiye .
أَذَٰلِكَ خَيۡرٞ نُّزُلًا أَمۡ شَجَرَةُ ٱلزَّقُّومِ
آیت ۳۷:۶۲ کھولیںbhala yeh mehmani achi hai , ya zaqoom ka darkht-?
إِنَّا جَعَلۡنَٰهَا فِتۡنَةٗ لِّلظَّٰلِمِينَ
آیت ۳۷:۶۳ کھولیںhum ney uss darkht ko inn zalimon kay liye aik aazmaesh bana diya hai .
إِنَّهَا شَجَرَةٞ تَخۡرُجُ فِيٓ أَصۡلِ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۳۷:۶۴ کھولیںdarasal woh darkht hi aisa hai jo dozakh ki teh say nikalta hai ,
طَلۡعُهَا كَأَنَّهُۥ رُءُوسُ ٱلشَّيَٰطِينِ
آیت ۳۷:۶۵ کھولیںuss ka khosha aisa hai jaisay shetanon kay sar ,
فَإِنَّهُمۡ لَأٓكِلُونَ مِنۡهَا فَمَالِـُٔونَ مِنۡهَا ٱلۡبُطُونَ
آیت ۳۷:۶۶ کھولیںchunacheh dozakhi log ussi mein say khurak hasil keren gay , aur ussi say pet bharen gay .
ثُمَّ إِنَّ لَهُمۡ عَلَيۡهَا لَشَوۡبٗا مِّنۡ حَمِيمٖ
آیت ۳۷:۶۷ کھولیںphir unhen uss kay oopper say kholtay huye paani ka aameza milay ga ,
ثُمَّ إِنَّ مَرۡجِعَهُمۡ لَإِلَى ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۳۷:۶۸ کھولیںphir woh loten gay to ussi dozakh ki taraf loten gay .
إِنَّهُمۡ أَلۡفَوۡاْ ءَابَآءَهُمۡ ضَآلِّينَ
آیت ۳۷:۶۹ کھولیںunhon ney apney baap dadon ko gumrahi ki halat mein paya tha ,
فَهُمۡ عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِمۡ يُهۡرَعُونَ
آیت ۳۷:۷۰ کھولیںchunacheh yeh unhi kay naqsh-e-qadam per lapak lapak ker dorrtay rahey .
وَلَقَدۡ ضَلَّ قَبۡلَهُمۡ أَكۡثَرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۳۷:۷۱ کھولیںaur inn say pehlay jo log guzar chukay hain , unn mein say aksar log bhi gumrah huye ,
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا فِيهِم مُّنذِرِينَ
آیت ۳۷:۷۲ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney unn kay darmiyan khabrdar kernay walay ( payghumber ) bhejay thay ,
فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُنذَرِينَ
آیت ۳۷:۷۳ کھولیںabb dekh lo kay jinn ko khabrdar kiya gaya tha , unn ka anjam kaisa huwa-?
إِلَّا عِبَادَ ٱللَّهِ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
آیت ۳۷:۷۴ کھولیںalbatta jo Allah kay barguzida banday thay , ( woh mehfooz rahey ) .
وَلَقَدۡ نَادَىٰنَا نُوحٞ فَلَنِعۡمَ ٱلۡمُجِيبُونَ
آیت ۳۷:۷۵ کھولیںaur nooh ney hamen pukara tha , to ( dekh lo kay ) hum pukar ka kitna acha jawab denay walay hain !
وَنَجَّيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥ مِنَ ٱلۡكَرۡبِ ٱلۡعَظِيمِ
آیت ۳۷:۷۶ کھولیںaur hum ney unhen aur unn kay ghar walon ko baray karb say nijat di ,
وَجَعَلۡنَا ذُرِّيَّتَهُۥ هُمُ ٱلۡبَاقِينَ
آیت ۳۷:۷۷ کھولیںaur hum ney unn ki nasal hi ko baqi rakha ,
وَتَرَكۡنَا عَلَيۡهِ فِي ٱلۡأٓخِرِينَ
آیت ۳۷:۷۸ کھولیںaur jo log unn kay baad aaye unn mein yeh riwayat qaeem ki ,
سَلَٰمٌ عَلَىٰ نُوحٖ فِي ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۳۷:۷۹ کھولیں. ( kay woh yeh kaha keren kay : ) salam ho nooh per duniya jahan kay logon mein !
إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۳۷:۸۰ کھولیںhum naik amal kernay walon ko issi tarah sila detay hain
إِنَّهُۥ مِنۡ عِبَادِنَا ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۳۷:۸۱ کھولیںbeyshak woh humaray momin bandon mein say thay .
ثُمَّ أَغۡرَقۡنَا ٱلۡأٓخَرِينَ
آیت ۳۷:۸۲ کھولیںphir hum ney doosray logon ko paani mein gharq kerdiya .
۞وَإِنَّ مِن شِيعَتِهِۦ لَإِبۡرَٰهِيمَ
آیت ۳۷:۸۳ کھولیںaur unhi kay tareeqay per chalney walon mein yaqeenan Ibrahim bhi thay ,
إِذۡ جَآءَ رَبَّهُۥ بِقَلۡبٖ سَلِيمٍ
آیت ۳۷:۸۴ کھولیںjab woh apney perwerdigar kay paas saaf suthra dil ley ker aaye ,
إِذۡ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوۡمِهِۦ مَاذَا تَعۡبُدُونَ
آیت ۳۷:۸۵ کھولیںjab unhon ney apney baap aur apni qoam say kaha kay : tum kinn cheezon ki ibadat kertay ho-?
أَئِفۡكًا ءَالِهَةٗ دُونَ ٱللَّهِ تُرِيدُونَ
آیت ۳۷:۸۶ کھولیںkiya Allah ko chorr ker jhoot moott kay khuda chahtay ho-?
فَمَا ظَنُّكُم بِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۳۷:۸۷ کھولیںto phir jo zaat saray jahano ko paalney wali hai , uss kay baaray mein tumhara kiya khayal hai ?
فَنَظَرَ نَظۡرَةٗ فِي ٱلنُّجُومِ
آیت ۳۷:۸۸ کھولیںuss kay ( kuch arsay ) baad unhon ney sitaron ki taraf aik nigah daal ker dekha ,
فَقَالَ إِنِّي سَقِيمٞ
آیت ۳۷:۸۹ کھولیںaur kaha kay : meri tabiyat kharab hai .
فَتَوَلَّوۡاْ عَنۡهُ مُدۡبِرِينَ
آیت ۳۷:۹۰ کھولیںchunacheh woh log peeth morr ker unn kay paas say chalay gaye .
فَرَاغَ إِلَىٰٓ ءَالِهَتِهِمۡ فَقَالَ أَلَا تَأۡكُلُونَ
آیت ۳۷:۹۱ کھولیںuss kay baad yeh unn kay banaye huye maboodon ( yani button ) mein jaa ghusay , ( aur unn say ) kaha : kiya tum khatay nahi ho-?
مَا لَكُمۡ لَا تَنطِقُونَ
آیت ۳۷:۹۲ کھولیںtumhen kiya hogaya hai kay tum boltay nahi-?
فَرَاغَ عَلَيۡهِمۡ ضَرۡبَۢا بِٱلۡيَمِينِ
آیت ۳۷:۹۳ کھولیںphir woh poori quooat say maartay huye unn ( button ) per pil parray ,
فَأَقۡبَلُوٓاْ إِلَيۡهِ يَزِفُّونَ
آیت ۳۷:۹۴ کھولیںiss per unn ki qoam kay log unn kay paas dorray huye aaye ,
قَالَ أَتَعۡبُدُونَ مَا تَنۡحِتُونَ
آیت ۳۷:۹۵ کھولیںIbrahim ney kaha : kiya tum inn ( button ) ko poojtay ho jinhen khud tarashtey ho-?
وَٱللَّهُ خَلَقَكُمۡ وَمَا تَعۡمَلُونَ
آیت ۳۷:۹۶ کھولیںhalankay Allah ney tumhen bhi peda kiya hai , aur jo kuch tum banatay ho , uss ko bhi .
قَالُواْ ٱبۡنُواْ لَهُۥ بُنۡيَٰنٗا فَأَلۡقُوهُ فِي ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۳۷:۹۷ کھولیںunn logon ney kaha : Ibrahim kay liye aik imarat banao , aur ussay dehakti hoi aag mein phenk do .
فَأَرَادُواْ بِهِۦ كَيۡدٗا فَجَعَلۡنَٰهُمُ ٱلۡأَسۡفَلِينَ
آیت ۳۷:۹۸ کھولیںiss tarah unhon ney Ibrahim kay khilaf aik bura mansooba banana chaha , lekin hum ney unhen neecha dikha diya .
وَقَالَ إِنِّي ذَاهِبٌ إِلَىٰ رَبِّي سَيَهۡدِينِ
آیت ۳۷:۹۹ کھولیںaur Ibrahim ney kaha : mein apney rab kay paas jaraha hun , wohi meri rehnumai farmaye ga .
رَبِّ هَبۡ لِي مِنَ ٱلصَّٰلِحِينَ
آیت ۳۷:۱۰۰ کھولیںmeray perwerdigar ! mujhay aik aisa beta deydey jo naik logon mein say ho .
فَبَشَّرۡنَٰهُ بِغُلَٰمٍ حَلِيمٖ
آیت ۳۷:۱۰۱ کھولیںchunacheh hum ney unhen aik burdbaar larkay ki khushkhabri di .
فَلَمَّا بَلَغَ مَعَهُ ٱلسَّعۡيَ قَالَ يَٰبُنَيَّ إِنِّيٓ أَرَىٰ فِي ٱلۡمَنَامِ أَنِّيٓ أَذۡبَحُكَ فَٱنظُرۡ مَاذَا تَرَىٰۚ قَالَ يَٰٓأَبَتِ ٱفۡعَلۡ مَا تُؤۡمَرُۖ سَتَجِدُنِيٓ إِن شَآءَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلصَّٰبِرِينَ
آیت ۳۷:۱۰۲ کھولیںphir jab woh larka Ibrahim kay sath chalney phirney kay qabil hogaya to unhon ney kaha : betay ! mein khuwab mein dekhta hun kay tumhen zibah ker raha hun , abb soch ker batao , tumhari kiya raye hai-? betay ney kaha : abba jaan ! aap wohi kijiye jiss ka aap ko hukum diya jaraha hai , in-sha-Allah aap mujhay sabar kernay walon mein say payen gay .
فَلَمَّآ أَسۡلَمَا وَتَلَّهُۥ لِلۡجَبِينِ
آیت ۳۷:۱۰۳ کھولیںchunacheh ( woh ajeeb manzar tha ) jab dono ney sar jhuka diya , aur baap ney betay ko paishani kay ball giraya ,
وَنَٰدَيۡنَٰهُ أَن يَٰٓإِبۡرَٰهِيمُ
آیت ۳۷:۱۰۴ کھولیںaur hum ney unhen aawaz di kay : aey Ibrahim !
قَدۡ صَدَّقۡتَ ٱلرُّءۡيَآۚ إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۳۷:۱۰۵ کھولیںtum ney khuwab ko sach ker dikhaya . yaqeenan hum naiki kernay walon ko issi tarah sila detay hain .
إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ ٱلۡبَلَٰٓؤُاْ ٱلۡمُبِينُ
آیت ۳۷:۱۰۶ کھولیںyaqeenan yeh aik khula huwa imtihan tha ,
وَفَدَيۡنَٰهُ بِذِبۡحٍ عَظِيمٖ
آیت ۳۷:۱۰۷ کھولیںaur hum ney aik azeem zabiha ka fidya dey ker uss bacchay ko bacha liya .
وَتَرَكۡنَا عَلَيۡهِ فِي ٱلۡأٓخِرِينَ
آیت ۳۷:۱۰۸ کھولیںaur jo log unn kay baad aaye , unn mein yeh riwayat qaeem ki
سَلَٰمٌ عَلَىٰٓ إِبۡرَٰهِيمَ
آیت ۳۷:۱۰۹ کھولیں. ( kay woh yeh kaha keren kay : ) salam ho Ibrahim per !
كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۳۷:۱۱۰ کھولیںhum naiki kernay walon ko issi tarah sila detay hain .
إِنَّهُۥ مِنۡ عِبَادِنَا ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۳۷:۱۱۱ کھولیںyaqeenan woh humaray momin bandon mein say thay .
وَبَشَّرۡنَٰهُ بِإِسۡحَٰقَ نَبِيّٗا مِّنَ ٱلصَّٰلِحِينَ
آیت ۳۷:۱۱۲ کھولیںaur hum ney unhen Ishaq ki khushkhabri di , kay woh sualeheen mein say aik nabi hon gay ,
وَبَٰرَكۡنَا عَلَيۡهِ وَعَلَىٰٓ إِسۡحَٰقَۚ وَمِن ذُرِّيَّتِهِمَا مُحۡسِنٞ وَظَالِمٞ لِّنَفۡسِهِۦ مُبِينٞ
آیت ۳۷:۱۱۳ کھولیںaur hum ney unn per bhi barkaten nazil ken , aur Ishaq per bhi , aur unn ki aulad mein say kuch log naik amal kernay walay hain , aur kuch apni jaan per khula zulm kernay walay .
وَلَقَدۡ مَنَنَّا عَلَىٰ مُوسَىٰ وَهَٰرُونَ
آیت ۳۷:۱۱۴ کھولیںaur beyshak hum ney musa aur Haroon per bhi ehsan kiya .
وَنَجَّيۡنَٰهُمَا وَقَوۡمَهُمَا مِنَ ٱلۡكَرۡبِ ٱلۡعَظِيمِ
آیت ۳۷:۱۱۵ کھولیںaur hum ney unhen aur unn ki qoam ko aik baray karb say nijat di ,
وَنَصَرۡنَٰهُمۡ فَكَانُواْ هُمُ ٱلۡغَٰلِبِينَ
آیت ۳۷:۱۱۶ کھولیںaur hum ney unn ki madad ki jiss kay nateejay mein wohi ghalib rahey ,
وَءَاتَيۡنَٰهُمَا ٱلۡكِتَٰبَ ٱلۡمُسۡتَبِينَ
آیت ۳۷:۱۱۷ کھولیںaur hum ney unn dono ko aesi kitab ata ki jo bilkul wazeh thi ,
وَهَدَيۡنَٰهُمَا ٱلصِّرَٰطَ ٱلۡمُسۡتَقِيمَ
آیت ۳۷:۱۱۸ کھولیںaur unn dono ko seedhay raastay ki hidayat di ,
وَتَرَكۡنَا عَلَيۡهِمَا فِي ٱلۡأٓخِرِينَ
آیت ۳۷:۱۱۹ کھولیںaur jo log unn kay baad aaye , unn mein yeh riwayat qaeem ki
سَلَٰمٌ عَلَىٰ مُوسَىٰ وَهَٰرُونَ
آیت ۳۷:۱۲۰ کھولیں. ( kay woh yeh kaha keren kay : ) salam ho musa aur Haroon per !
إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۳۷:۱۲۱ کھولیںyaqeenan hum naiki kernay walon ko issi tarah sila detay hain .
إِنَّهُمَا مِنۡ عِبَادِنَا ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۳۷:۱۲۲ کھولیںbeyshak woh dono humaray momin bandon mein say thay .
وَإِنَّ إِلۡيَاسَ لَمِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۷:۱۲۳ کھولیںaur Ilyas bhi yaqeenan payghumberon mein say thay ,
إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦٓ أَلَا تَتَّقُونَ
آیت ۳۷:۱۲۴ کھولیںjab unhon ney apni qoam say kaha tha kay : kiya tum log Allah say dartay nahi ho-?
أَتَدۡعُونَ بَعۡلٗا وَتَذَرُونَ أَحۡسَنَ ٱلۡخَٰلِقِينَ
آیت ۳۷:۱۲۵ کھولیںkiya tum baa-al ( naami butt ) ko poojtay ho , aur uss ko chorr detay ho jo sabb say behtar takhleeq kernay wala hai-?
ٱللَّهَ رَبَّكُمۡ وَرَبَّ ءَابَآئِكُمُ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۳۷:۱۲۶ کھولیںuss Allah ko jo tumhara bhi perwerdigar hai , aur tumharay baap dadon ka bhi jo pehlay guzar chukay hain-?
فَكَذَّبُوهُ فَإِنَّهُمۡ لَمُحۡضَرُونَ
آیت ۳۷:۱۲۷ کھولیںphir huwa yeh kay unhon ney Ilyas ko jhutlaya , iss liye woh zaroor ( azab mein ) dhar liye jayen gay .
إِلَّا عِبَادَ ٱللَّهِ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
آیت ۳۷:۱۲۸ کھولیںalbatta Allah kay barguzida banday ( mehfooz rahen gay )
وَتَرَكۡنَا عَلَيۡهِ فِي ٱلۡأٓخِرِينَ
آیت ۳۷:۱۲۹ کھولیںaur jo log unn kay baad aaye , unn mein hum ney yeh riwayat qaeem ki
سَلَٰمٌ عَلَىٰٓ إِلۡ يَاسِينَ
آیت ۳۷:۱۳۰ کھولیں. ( kay woh yeh kaha keren kay : ) salam ho ilyaseen per !
إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۳۷:۱۳۱ کھولیںyaqeenan hum naiki kernay walon ko issi tarah sila detay hain .
إِنَّهُۥ مِنۡ عِبَادِنَا ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۳۷:۱۳۲ کھولیںbeyshak woh humaray momin bandon mein say thay .
وَإِنَّ لُوطٗا لَّمِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۷:۱۳۳ کھولیںaur yaqeenan loot bhi payghumberon mein say thay .
إِذۡ نَجَّيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥٓ أَجۡمَعِينَ
آیت ۳۷:۱۳۴ کھولیںjab hum ney unn ko aur unn kay saray ghar walon ko ( azab say ) nijat di thi ,
إِلَّا عَجُوزٗا فِي ٱلۡغَٰبِرِينَ
آیت ۳۷:۱۳۵ کھولیںsiwaye aik burhiya kay jo peechay reh janey walon mein shamil rahi ,
ثُمَّ دَمَّرۡنَا ٱلۡأٓخَرِينَ
آیت ۳۷:۱۳۶ کھولیںphir hum ney doosray logon ko malya mait kerdiya ,
وَإِنَّكُمۡ لَتَمُرُّونَ عَلَيۡهِم مُّصۡبِحِينَ
آیت ۳۷:۱۳۷ کھولیںaur ( aey makkah walo ! ) tum unn ( ki bastiyon ) per say guzra kertay ho , ( kabhi ) subha hotay ,
وَبِٱلَّيۡلِۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
آیت ۳۷:۱۳۸ کھولیںaur ( kabhi ) raat kay waqt . kiya phir bhi tumhen aqal nahi aati-?
وَإِنَّ يُونُسَ لَمِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۷:۱۳۹ کھولیںaur yaqeenan Younus bhi payghumberon mein say thay ,
إِذۡ أَبَقَ إِلَى ٱلۡفُلۡكِ ٱلۡمَشۡحُونِ
آیت ۳۷:۱۴۰ کھولیںjab woh bhag ker bhari hoi kashti mein phonchay ,
فَسَاهَمَ فَكَانَ مِنَ ٱلۡمُدۡحَضِينَ
آیت ۳۷:۱۴۱ کھولیںphir woh quraa andazi mein shareek huye , aur qurey mein maghloob huye
فَٱلۡتَقَمَهُ ٱلۡحُوتُ وَهُوَ مُلِيمٞ
آیت ۳۷:۱۴۲ کھولیںphir machli ney unhen nigal liya , jabkay woh apney aap ko malamat ker rahey thay .
فَلَوۡلَآ أَنَّهُۥ كَانَ مِنَ ٱلۡمُسَبِّحِينَ
آیت ۳۷:۱۴۳ کھولیںchunacheh agar woh tasbeeh kernay walon mein say naa hotay ,
لَلَبِثَ فِي بَطۡنِهِۦٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
آیت ۳۷:۱۴۴ کھولیںtu woh uss din tak ussi machli kay pet mein rehtay jiss din murdon ko zinda kiya jaye ga .
۞فَنَبَذۡنَٰهُ بِٱلۡعَرَآءِ وَهُوَ سَقِيمٞ
آیت ۳۷:۱۴۵ کھولیںphir hum ney unhen aesi halat mein aik khulay meydan mein laaker daal diya kay woh beemar thay ,
وَأَنۢبَتۡنَا عَلَيۡهِ شَجَرَةٗ مِّن يَقۡطِينٖ
آیت ۳۷:۱۴۶ کھولیںaur unn kay oopper aik bail daar darkht uga diya ,
وَأَرۡسَلۡنَٰهُ إِلَىٰ مِاْئَةِ أَلۡفٍ أَوۡ يَزِيدُونَ
آیت ۳۷:۱۴۷ کھولیںaur hum ney unhen aik lakh , balkay iss say bhi ziyada logon kay paas payghumber bana ker bheja tha ,
فَـَٔامَنُواْ فَمَتَّعۡنَٰهُمۡ إِلَىٰ حِينٖ
آیت ۳۷:۱۴۸ کھولیںphir woh emaan ley aaye thay , iss liye hum ney unhen aik zamaney tak zindagi say faeeda uthaney ka moaqa diya .
فَٱسۡتَفۡتِهِمۡ أَلِرَبِّكَ ٱلۡبَنَاتُ وَلَهُمُ ٱلۡبَنُونَ
آیت ۳۷:۱۴۹ کھولیںabb inn ( makkah kay mushrikon ) say poocho kay : kiya ( aey payghumber ! ) tumharay rab kay hissay mein to betiyan aai hain , aur khud inn kay hissay mein betay-?
أَمۡ خَلَقۡنَا ٱلۡمَلَٰٓئِكَةَ إِنَٰثٗا وَهُمۡ شَٰهِدُونَ
آیت ۳۷:۱۵۰ کھولیںya phir jab hum ney farishton ko aurat banaya tha to kiya yeh dekh rahey thay ?
أَلَآ إِنَّهُم مِّنۡ إِفۡكِهِمۡ لَيَقُولُونَ
آیت ۳۷:۱۵۱ کھولیںyaad rakho ! yeh apni mann gharrat baat ki wajeh say kehtay hain
وَلَدَ ٱللَّهُ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
آیت ۳۷:۱۵۲ کھولیںkay Allah kay koi aulad hai , aur yeh log yaqeeni tor per jhootay hain .
أَصۡطَفَى ٱلۡبَنَاتِ عَلَى ٱلۡبَنِينَ
آیت ۳۷:۱۵۳ کھولیںkiya Allah ney beton kay bajaye betiyan pasand ki hain-?
مَا لَكُمۡ كَيۡفَ تَحۡكُمُونَ
آیت ۳۷:۱۵۴ کھولیںtumhen kiya hogaya hai-? tum kaisa insaf kertay ho-?
أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
آیت ۳۷:۱۵۵ کھولیںbhala kiya tum itna bhi dhiyan nahi detay-?
أَمۡ لَكُمۡ سُلۡطَٰنٞ مُّبِينٞ
آیت ۳۷:۱۵۶ کھولیںya agar tumharay paas koi wazeh daleel hai ,
فَأۡتُواْ بِكِتَٰبِكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
آیت ۳۷:۱۵۷ کھولیںtu lao apni woh kitab agar tum sachay ho .
وَجَعَلُواْ بَيۡنَهُۥ وَبَيۡنَ ٱلۡجِنَّةِ نَسَبٗاۚ وَلَقَدۡ عَلِمَتِ ٱلۡجِنَّةُ إِنَّهُمۡ لَمُحۡضَرُونَ
آیت ۳۷:۱۵۸ کھولیںaur unhon ney Allah aur jinnaat kay darmiyan bhi nasbi rishta daari bana rakhi hai , halankay khud jinnaat ko yeh baat maloom hai kay yeh log mujrim ban ker paish hon gay ,
سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ عَمَّا يَصِفُونَ
آیت ۳۷:۱۵۹ کھولیں. ( kiyonkay ) jo baaten yeh banatay hain , Allah unn sabb say pak hai ,
إِلَّا عِبَادَ ٱللَّهِ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
آیت ۳۷:۱۶۰ کھولیںalbatta Allah kay barguzida banday ( mehfooz rahen gay )
فَإِنَّكُمۡ وَمَا تَعۡبُدُونَ
آیت ۳۷:۱۶۱ کھولیںkiyonkay tum aur jinn jinn ki tum ibadat kertay ho ,
مَآ أَنتُمۡ عَلَيۡهِ بِفَٰتِنِينَ
آیت ۳۷:۱۶۲ کھولیںwoh kissi ko Allah kay baaray mein gumrah nahi ker-saktay ,
إِلَّا مَنۡ هُوَ صَالِ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۳۷:۱۶۳ کھولیںsiwaye aesay shaks kay jo dozakh mein jalney wala ho .
وَمَا مِنَّآ إِلَّا لَهُۥ مَقَامٞ مَّعۡلُومٞ
آیت ۳۷:۱۶۴ کھولیںaur ( farishtay to yeh kehtay hain kay : ) hum mein say her aik ka aik moyyan maqam hai ,
وَإِنَّا لَنَحۡنُ ٱلصَّآفُّونَ
آیت ۳۷:۱۶۵ کھولیںaur hum to ( Allah taalaa ki itaat mein ) saff baandhay rehtay hain ,
وَإِنَّا لَنَحۡنُ ٱلۡمُسَبِّحُونَ
آیت ۳۷:۱۶۶ کھولیںaur hum to Allah ki paki biyan kertay rehtay hain .
وَإِن كَانُواْ لَيَقُولُونَ
آیت ۳۷:۱۶۷ کھولیںaur yeh ( kafir ) log pehlay to yeh kaha kertay thay .
لَوۡ أَنَّ عِندَنَا ذِكۡرٗا مِّنَ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۳۷:۱۶۸ کھولیںkay : agar humaray paas pichlay logon ki tarah koi naseehat ki kitab hoti ,
لَكُنَّا عِبَادَ ٱللَّهِ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
آیت ۳۷:۱۶۹ کھولیںtu hum bhi zaroor Allah kay barguzida bandon mein shamil hotay .
فَكَفَرُواْ بِهِۦۖ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
آیت ۳۷:۱۷۰ کھولیںphir bhi enhon ney kufr ki rawish apnai hai . iss liye enhen sabb pata chala jaye ga .
وَلَقَدۡ سَبَقَتۡ كَلِمَتُنَا لِعِبَادِنَا ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۷:۱۷۱ کھولیںaur hum pehlay hi apney payghumber bandon kay baaray mein yeh baat tey ker-chukay hain
إِنَّهُمۡ لَهُمُ ٱلۡمَنصُورُونَ
آیت ۳۷:۱۷۲ کھولیںkay yaqeeni tor per unn ki madad ki jaye gi ,
وَإِنَّ جُندَنَا لَهُمُ ٱلۡغَٰلِبُونَ
آیت ۳۷:۱۷۳ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay humaray lashkar kay log hi ghalib rehtay hain .
فَتَوَلَّ عَنۡهُمۡ حَتَّىٰ حِينٖ
آیت ۳۷:۱۷۴ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) tum kuch waqt tak inn logon say bey perwa hojao ,
وَأَبۡصِرۡهُمۡ فَسَوۡفَ يُبۡصِرُونَ
آیت ۳۷:۱۷۵ کھولیںaur enhen dekhtay raho , unqareeb yeh khud bhi dekh len gay .
أَفَبِعَذَابِنَا يَسۡتَعۡجِلُونَ
آیت ۳۷:۱۷۶ کھولیںbhala kiya yeh humaray azab kay liye jaldi macha rahey hain-?
فَإِذَا نَزَلَ بِسَاحَتِهِمۡ فَسَآءَ صَبَاحُ ٱلۡمُنذَرِينَ
آیت ۳۷:۱۷۷ کھولیںso jab woh inn kay sehan mein aa-utray ga to jinn logon ko khabrdar kiya ja-chuka tha , unn ki woh subha boht buri subha hogi .
وَتَوَلَّ عَنۡهُمۡ حَتَّىٰ حِينٖ
آیت ۳۷:۱۷۸ کھولیںaur tum kuch waqt tak inn logon say bey perwa hojao ,
وَأَبۡصِرۡ فَسَوۡفَ يُبۡصِرُونَ
آیت ۳۷:۱۷۹ کھولیںaur dekhtay raho , unqareeb yeh khud bhi dekh len gay .
سُبۡحَٰنَ رَبِّكَ رَبِّ ٱلۡعِزَّةِ عَمَّا يَصِفُونَ
آیت ۳۷:۱۸۰ کھولیںtumhara perwerdigar , izzat ka malik , unn sabb baaton say pak hai jo yeh log banatay hain .
وَسَلَٰمٌ عَلَى ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۷:۱۸۱ کھولیںaur salam ho payghumberon per
وَٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۳۷:۱۸۲ کھولیںaur tamam tarr tareef Allah ki hai jo saray jahano ka perwerdigar hai .