ص

Saad

سورت ۳۸ · آیات: ۸۸ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. صٓۚ وَٱلۡقُرۡءَانِ ذِي ٱلذِّكۡرِ

    آیت ⁦۳۸:۱⁩ کھولیں

    suaad , qasam hai naseehat bharay Quran ki ,

  2. بَلِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي عِزَّةٖ وَشِقَاقٖ

    آیت ⁦۳۸:۲⁩ کھولیں

    kay jinn logon ney kufr apna liya hai , woh kissi aur wajeh say nahi , balkay iss liye apnaya hai kay woh barai kay ghamand aur hatt dharami mein mubtala hain .

  3. كَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِن قَبۡلِهِم مِّن قَرۡنٖ فَنَادَواْ وَّلَاتَ حِينَ مَنَاصٖ

    آیت ⁦۳۸:۳⁩ کھولیں

    aur unn say pehlay hum ney kitni qoamon ko halak kiya , to unhon ney uss waqt aawazen den jab chutkaray ka waqt raha hi nahi tha .

  4. وَعَجِبُوٓاْ أَن جَآءَهُم مُّنذِرٞ مِّنۡهُمۡۖ وَقَالَ ٱلۡكَٰفِرُونَ هَٰذَا سَٰحِرٞ كَذَّابٌ

    آیت ⁦۳۸:۴⁩ کھولیں

    aur inn ( quraish kay ) logon ko iss baat per taajjub huwa hai kay inn/unn kay paas aik khabrdar kernay wala unhi mein say aagaya . aur inn kafiron ney yeh keh diya kay : woh jhoota jadoogar hai .

  5. أَجَعَلَ ٱلۡأٓلِهَةَ إِلَٰهٗا وَٰحِدًاۖ إِنَّ هَٰذَا لَشَيۡءٌ عُجَابٞ

    آیت ⁦۳۸:۵⁩ کھولیں

    kiya uss ney saray maboodon ko aik hi mabood mein tabdeel kerdiya hai ? yeh to bari ajeeb baat hai .

  6. وَٱنطَلَقَ ٱلۡمَلَأُ مِنۡهُمۡ أَنِ ٱمۡشُواْ وَٱصۡبِرُواْ عَلَىٰٓ ءَالِهَتِكُمۡۖ إِنَّ هَٰذَا لَشَيۡءٞ يُرَادُ

    آیت ⁦۳۸:۶⁩ کھولیں

    aur unn mein kay sardar log yeh keh ker chaltay banay kay : chalo , aur apney khudaon ( ki ibadat ) per dattay raho yeh baat to aesi hai kay iss kay peechay kuch aur hi iraday hain .

  7. مَا سَمِعۡنَا بِهَٰذَا فِي ٱلۡمِلَّةِ ٱلۡأٓخِرَةِ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا ٱخۡتِلَٰقٌ

    آیت ⁦۳۸:۷⁩ کھولیں

    hum ney to yeh baat pichlay deen mein kabhi nahi suni . aur kuch nahi , yeh mann gharrat baat hai .

  8. أَءُنزِلَ عَلَيۡهِ ٱلذِّكۡرُ مِنۢ بَيۡنِنَاۚ بَلۡ هُمۡ فِي شَكّٖ مِّن ذِكۡرِيۚ بَل لَّمَّا يَذُوقُواْ عَذَابِ

    آیت ⁦۳۸:۸⁩ کھولیں

    kiya yeh naseehat ki baat hum sabb ko chorr ker issi shaks per nazil ki gaee hai ? asal baat yeh hai kay yeh log meri naseehat kay baaray mein shak mein mubtala hain , balkay enhon ney abhi meray azab ka maza nahi chakha .

  9. أَمۡ عِندَهُمۡ خَزَآئِنُ رَحۡمَةِ رَبِّكَ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡوَهَّابِ

    آیت ⁦۳۸:۹⁩ کھولیں

    tumhara rab jo bara data , bara sahab-e-iqtidar hai , kiya uss ki rehmat kay saray khazaney inhi kay paas hain-?

  10. أَمۡ لَهُم مُّلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۖ فَلۡيَرۡتَقُواْ فِي ٱلۡأَسۡبَٰبِ 

    آیت ⁦۳۸:۱۰⁩ کھولیں

    ya phir aasmano aur zameen aur unn kay darmiyan her cheez ki badshahat inn kay qabazay mein hai ? phir to enhen chahiye kay rassiyan taan ker oopper charh jayen .

  11. جُندٞ مَّا هُنَالِكَ مَهۡزُومٞ مِّنَ ٱلۡأَحۡزَابِ

    آیت ⁦۳۸:۱۱⁩ کھولیں

    . ( unn ki haqeeqat to yeh hai kay ) yeh mukhalif girohon ka aik lashkar saa hai jo yahin per shikast kha jaye ga .

  12. كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَعَادٞ وَفِرۡعَوۡنُ ذُو ٱلۡأَوۡتَادِ

    آیت ⁦۳۸:۱۲⁩ کھولیں

    inn say pehlay nooh ki qoam , qoam-e-aad aur meekhon walay firon ney bhi payghumberon ko jhutlaya tha ,

  13. وَثَمُودُ وَقَوۡمُ لُوطٖ وَأَصۡحَٰبُ لۡـَٔيۡكَةِۚ أُوْلَٰٓئِكَ ٱلۡأَحۡزَابُ

    آیت ⁦۳۸:۱۳⁩ کھولیں

    aur qoam-e-samood , aur loot ki qoam aur aieka walon ney bhi . woh thay mukhalif giroh kay log !

  14. إِن كُلٌّ إِلَّا كَذَّبَ ٱلرُّسُلَ فَحَقَّ عِقَابِ

    آیت ⁦۳۸:۱۴⁩ کھولیں

    unn mein say koi aisa nahi tha jiss ney payghumberon ko naa jhutlaya ho , iss liye mera azab baja tor per nazil ho ker raha

  15. وَمَا يَنظُرُ هَٰٓؤُلَآءِ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ مَّا لَهَا مِن فَوَاقٖ

    آیت ⁦۳۸:۱۵⁩ کھولیں

    aur ( makkah kay ) yeh log ( bhi ) bus aik aesi chinghaarr ka intizar ker rahey hain jiss mein koi waqfa nahi hoga .

  16. وَقَالُواْ رَبَّنَا عَجِّل لَّنَا قِطَّنَا قَبۡلَ يَوۡمِ ٱلۡحِسَابِ

    آیت ⁦۳۸:۱۶⁩ کھولیں

    aur kehtay hain kay : aey humaray perwerdigar ! humara hissa hamen roz-e-hisab say pehlay hi jaldi deydey !

  17. ٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَٱذۡكُرۡ عَبۡدَنَا دَاوُۥدَ ذَا ٱلۡأَيۡدِۖ إِنَّهُۥٓ أَوَّابٌ

    آیت ⁦۳۸:۱۷⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) yeh jo kuch kehtay hain , uss per sabar kero , aur humaray banday dawood ( aleh-assalam ) ko yaad kero jo baray taqatwar thay . woh beyshak Allah say boht lo lagaye huye thay .

  18. إِنَّا سَخَّرۡنَا ٱلۡجِبَالَ مَعَهُۥ يُسَبِّحۡنَ بِٱلۡعَشِيِّ وَٱلۡإِشۡرَاقِ

    آیت ⁦۳۸:۱۸⁩ کھولیں

    hum ney paharon ko iss kaam per laga diya tha kay woh shaam kay waqt aur sooraj kay nikaltay waqt unn kay sath tasbeeh kiya keren .

  19. وَٱلطَّيۡرَ مَحۡشُورَةٗۖ كُلّٞ لَّهُۥٓ أَوَّابٞ

    آیت ⁦۳۸:۱۹⁩ کھولیں

    aur parindon ko bhi , jinhen ikattha kerliya jata tha . yeh sabb unn kay sath mil ker Allah ka khoob ziker kertay thay .

  20. وَشَدَدۡنَا مُلۡكَهُۥ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡحِكۡمَةَ وَفَصۡلَ ٱلۡخِطَابِ 

    آیت ⁦۳۸:۲۰⁩ کھولیں

    aur hum ney unn ki saltanat ko istehkaam bakhsha tha , aur unhen danai aur faisla kunn guftoogo ka saliqa ata kiya tha .

  21. ۞وَهَلۡ أَتَىٰكَ نَبَؤُاْ ٱلۡخَصۡمِ إِذۡ تَسَوَّرُواْ ٱلۡمِحۡرَابَ

    آیت ⁦۳۸:۲۱⁩ کھولیں

    aur kiya tumhen unn muqadma walon ki khabar phonchi hai jab woh deewar per charh ker ibadat gaah mein ghuss aaye thay-?

  22. إِذۡ دَخَلُواْ عَلَىٰ دَاوُۥدَ فَفَزِعَ مِنۡهُمۡۖ قَالُواْ لَا تَخَفۡۖ خَصۡمَانِ بَغَىٰ بَعۡضُنَا عَلَىٰ بَعۡضٖ فَٱحۡكُم بَيۡنَنَا بِٱلۡحَقِّ وَلَا تُشۡطِطۡ وَٱهۡدِنَآ إِلَىٰ سَوَآءِ ٱلصِّرَٰطِ

    آیت ⁦۳۸:۲۲⁩ کھولیں

    jab woh dawood kay paas phonchay to dawood unn say ghabra gaye . unhon ney kaha : dariye nahi , hum aik jhagray kay do fareeq hain , hum mein say aik ney doosray kay sath ziyadti ki hai . abb aap humaray darmiyan theek theek faisla ker-dijiye , aur ziyadti naa kijiye , aur hamen theek theek raasta bata dijiye .

  23. إِنَّ هَٰذَآ أَخِي لَهُۥ تِسۡعٞ وَتِسۡعُونَ نَعۡجَةٗ وَلِيَ نَعۡجَةٞ وَٰحِدَةٞ فَقَالَ أَكۡفِلۡنِيهَا وَعَزَّنِي فِي ٱلۡخِطَابِ

    آیت ⁦۳۸:۲۳⁩ کھولیں

    yeh mera bhai hai . iss kay paas ninnanway dunbiyan hain , aur meray paas aik hi dunbi hai , abb yeh kehta hai kay woh bhi meray hawalay kero , aur iss ney zor-e-biyan say mujhay daba liya hai .

  24. قَالَ لَقَدۡ ظَلَمَكَ بِسُؤَالِ نَعۡجَتِكَ إِلَىٰ نِعَاجِهِۦۖ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلۡخُلَطَآءِ لَيَبۡغِي بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٍ إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ وَقَلِيلٞ مَّا هُمۡۗ وَظَنَّ دَاوُۥدُ أَنَّمَا فَتَنَّٰهُ فَٱسۡتَغۡفَرَ رَبَّهُۥ وَخَرَّۤ رَاكِعٗاۤ وَأَنَابَ۩

    آیت ⁦۳۸:۲۴⁩ کھولیں

    dawood ney kaha : iss ney apni dunbiyon mein shamil kernay kay liye tumhari dunbi ka jo mutalba kiya hai , uss mein yaqeenan tum per zulm kiya hai . aur boht say log jinn kay darmiyan shirkat hoti hai , woh aik doosray kay sath ziyadti kertay hain , siwaye unn kay jo emaan laye hain , aur jinhon ney naik amal kiye hain , aur woh boht kam hain . aur dawood ko khayal aaya kay hum ney darasal unn ki aazmaesh ki hai , iss liye unhon ney apney perwerdigar say moaafi maangi , jhuk ker sajday mein gir gaye , aur Allah say lo lagai .

  25. فَغَفَرۡنَا لَهُۥ ذَٰلِكَۖ وَإِنَّ لَهُۥ عِندَنَا لَزُلۡفَىٰ وَحُسۡنَ مَـَٔابٖ

    آیت ⁦۳۸:۲۵⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney uss moamlay mein unhen moaafi dey di . aur haqeeqat yeh hai kay unn ko humaray paas khaas taqarrub hasil hai , aur behtareen thikana !

  26. يَٰدَاوُۥدُ إِنَّا جَعَلۡنَٰكَ خَلِيفَةٗ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱحۡكُم بَيۡنَ ٱلنَّاسِ بِٱلۡحَقِّ وَلَا تَتَّبِعِ ٱلۡهَوَىٰ فَيُضِلَّكَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَضِلُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدُۢ بِمَا نَسُواْ يَوۡمَ ٱلۡحِسَابِ

    آیت ⁦۳۸:۲۶⁩ کھولیں

    aey dawood ! hum ney tumhen zameen mein khalifa banaya hai , lehaza tum logon kay darmiyan bar-haq faislay kero , aur nafsani khuwaish kay peechay naa chalo , werna woh tumhen Allah kay raastay say bhatka dey gi . yaqeen rakho kay jo log Allah kay raastay say bhatak jatay hain , unn kay liye sakht azab hai , kiyonkay unhon ney hisab kay din ko bhula diya tha .

  27. وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَآءَ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا بَٰطِلٗاۚ ذَٰلِكَ ظَنُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنَ ٱلنَّارِ

    آیت ⁦۳۸:۲۷⁩ کھولیں

    aur hum ney aasman o zameen aur unn kay darmiyan jo cheezen hain unn ko fuzool hi peda nahi kerdiya . yeh to unn logon ka gumaan hai jinhon ney kufr ikhtiyar kerliya hai , chunacheh unn kafiron kay liye dozakh ki shakal mein bari tabahi hai .

  28. أَمۡ نَجۡعَلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ كَٱلۡمُفۡسِدِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ نَجۡعَلُ ٱلۡمُتَّقِينَ كَٱلۡفُجَّارِ

    آیت ⁦۳۸:۲۸⁩ کھولیں

    jo log emaan laye hain , aur jinhon ney naik amal kiye hain , kiya hum unn ko aesay logon kay barabar kerden gay jo zameen mein fasad machatay hain-? ya hum perhezgaron ko bad-kaaron kay barabar kerden gay-?

  29. كِتَٰبٌ أَنزَلۡنَٰهُ إِلَيۡكَ مُبَٰرَكٞ لِّيَدَّبَّرُوٓاْ ءَايَٰتِهِۦ وَلِيَتَذَكَّرَ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ

    آیت ⁦۳۸:۲۹⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) yeh aik ba-barkat kitab hai jo hum ney tum per iss liye utaari hai kay log iss ki aayaton per ghor-o-fiker keren , aur takay aqal rakhney walay naseehat hasil keren .

  30. وَوَهَبۡنَا لِدَاوُۥدَ سُلَيۡمَٰنَۚ نِعۡمَ ٱلۡعَبۡدُ إِنَّهُۥٓ أَوَّابٌ 

    آیت ⁦۳۸:۳۰⁩ کھولیں

    aur hum ney dawood ko suleman ( jaisa beta ) ata kiya , woh behtareen banday thay , waqaee woh Allah say khoob lo lagaye huye thay .

  31. إِذۡ عُرِضَ عَلَيۡهِ بِٱلۡعَشِيِّ ٱلصَّٰفِنَٰتُ ٱلۡجِيَادُ

    آیت ⁦۳۸:۳۱⁩ کھولیں

    . ( woh aik yaadgaar waqt tha ) jab unn kay samney shaam kay waqt achi nasal kay umda ghorray paish kiye gaye ,

  32. فَقَالَ إِنِّيٓ أَحۡبَبۡتُ حُبَّ ٱلۡخَيۡرِ عَن ذِكۡرِ رَبِّي حَتَّىٰ تَوَارَتۡ بِٱلۡحِجَابِ

    آیت ⁦۳۸:۳۲⁩ کھولیں

    to unhon ney kaha : mein ney iss dolat ki mohabbat apney perwerdigar ki yaad hi ki wajeh say ikhtiyar ki hai yahan tak kay woh oat mein chup gaye .

  33. رُدُّوهَا عَلَيَّۖ فَطَفِقَ مَسۡحَۢا بِٱلسُّوقِ وَٱلۡأَعۡنَاقِ

    آیت ⁦۳۸:۳۳⁩ کھولیں

    . ( iss per unhon ney kaha : ) inn ko meray paas wapis ley aao , chunacheh woh ( unn ki ) pindliyon aur gardanon per haath pherney lagay .

  34. وَلَقَدۡ فَتَنَّا سُلَيۡمَٰنَ وَأَلۡقَيۡنَا عَلَىٰ كُرۡسِيِّهِۦ جَسَدٗا ثُمَّ أَنَابَ

    آیت ⁦۳۸:۳۴⁩ کھولیں

    aur yeh bhi waqiaa hai kay hum ney suleman ki aik aazmaesh ki thi , aur unn ki kursi per aik dharr laa ker daal diya tha , phir unhon ney ( Allah say ) rujoo kiya ,

  35. قَالَ رَبِّ ٱغۡفِرۡ لِي وَهَبۡ لِي مُلۡكٗا لَّا يَنۢبَغِي لِأَحَدٖ مِّنۢ بَعۡدِيٓۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡوَهَّابُ

    آیت ⁦۳۸:۳۵⁩ کھولیں

    kehney lagay kay : meray perwerdigar ! meri bakhshish farma dey , aur mujhay aesi saltanat bakhsh dey jo meray baad kissi aur kay liye munasib naa ho . beyshak teri , aur sirf teri hi zaat woh hai jo itni sakhi data hai .

  36. فَسَخَّرۡنَا لَهُ ٱلرِّيحَ تَجۡرِي بِأَمۡرِهِۦ رُخَآءً حَيۡثُ أَصَابَ

    آیت ⁦۳۸:۳۶⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney hawa ko unn kay qaboo mein kerdiya jo unn kay hukum say jahan woh chahtay humwaar ho ker chala kerti thi .

  37. وَٱلشَّيَٰطِينَ كُلَّ بَنَّآءٖ وَغَوَّاصٖ

    آیت ⁦۳۸:۳۷⁩ کھولیں

    aur shareer jinnaat bhi unn kay qaboo mein dey diye thay , jinn mein her tarah kay meymaar aur ghota khor shamil thay .

  38. وَءَاخَرِينَ مُقَرَّنِينَ فِي ٱلۡأَصۡفَادِ

    آیت ⁦۳۸:۳۸⁩ کھولیں

    aur kuch woh jinnaat jo zanjeeron mein jakray huye thay .

  39. هَٰذَا عَطَآؤُنَا فَٱمۡنُنۡ أَوۡ أَمۡسِكۡ بِغَيۡرِ حِسَابٖ

    آیت ⁦۳۸:۳۹⁩ کھولیں

    . ( aur unn say kaha tha kay : ) yeh humara atiya hai , abb tumhen ikhtiyar hai kay ehsan ker kay kissi ko kuch do , ya apney paas rakho , tum per kissi hisab ki zimma daari nahi hai .

  40. وَإِنَّ لَهُۥ عِندَنَا لَزُلۡفَىٰ وَحُسۡنَ مَـَٔابٖ 

    آیت ⁦۳۸:۴۰⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay unn ko humaray paas khaas taqarrub hasil hai , aur behtareen thikana !

  41. وَٱذۡكُرۡ عَبۡدَنَآ أَيُّوبَ إِذۡ نَادَىٰ رَبَّهُۥٓ أَنِّي مَسَّنِيَ ٱلشَّيۡطَٰنُ بِنُصۡبٖ وَعَذَابٍ

    آیت ⁦۳۸:۴۱⁩ کھولیں

    aur humaray banday Ayub ko yaad kero , jab unhon ney apney perwerdigar ko pukara tha kay : shetan mujhay dukh aur azaar laga gaya hai .

  42. ٱرۡكُضۡ بِرِجۡلِكَۖ هَٰذَا مُغۡتَسَلُۢ بَارِدٞ وَشَرَابٞ

    آیت ⁦۳۸:۴۲⁩ کھولیں

    . ( hum ney unn say kaha : ) apna paon zameen per maaro , lo ! yeh thanda paani hai nahaney kay liye bhi , aur peenay kay liye bhi .

  43. وَوَهَبۡنَا لَهُۥٓ أَهۡلَهُۥ وَمِثۡلَهُم مَّعَهُمۡ رَحۡمَةٗ مِّنَّا وَذِكۡرَىٰ لِأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ

    آیت ⁦۳۸:۴۳⁩ کھولیں

    aur ( iss tarah ) hum ney unhen unn kay ghar walay bhi ata kerdiye , aur unn kay sath utney hi aur bhi . takay unn per humari rehmat ho , aur aqal walon kay liye aik yaadgaar naseehat .

  44. وَخُذۡ بِيَدِكَ ضِغۡثٗا فَٱضۡرِب بِّهِۦ وَلَا تَحۡنَثۡۗ إِنَّا وَجَدۡنَٰهُ صَابِرٗاۚ نِّعۡمَ ٱلۡعَبۡدُ إِنَّهُۥٓ أَوَّابٞ

    آیت ⁦۳۸:۴۴⁩ کھولیں

    aur ( hum ney unn say yeh bhi kaha kay : ) apney haath mein tinkon ka aik muttha lo , aur uss say maar do , aur apni qasam matt torro . haqeeqat yeh hai kay hum ney unhen bara sabar kernay wala paya , woh behtareen banday thay , waqaee woh Allah say khoob lo lagaye huye thay .

  45. وَٱذۡكُرۡ عِبَٰدَنَآ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ أُوْلِي ٱلۡأَيۡدِي وَٱلۡأَبۡصَٰرِ

    آیت ⁦۳۸:۴۵⁩ کھولیں

    aur humaray bandon Ibrahim , Ishaq aur Yaqoob ko yaad kero jo ( naik amal kernay walay ) haath aur ( dekhney wali ) aankhen rakhtay thay .

  46. إِنَّآ أَخۡلَصۡنَٰهُم بِخَالِصَةٖ ذِكۡرَى ٱلدَّارِ

    آیت ⁦۳۸:۴۶⁩ کھولیں

    hum ney unhen aik khaas wasf kay liye chunn liya tha , jo ( aakhirat kay ) haqeeqi ghar ki yaad thi .

  47. وَإِنَّهُمۡ عِندَنَا لَمِنَ ٱلۡمُصۡطَفَيۡنَ ٱلۡأَخۡيَارِ

    آیت ⁦۳۸:۴۷⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay humaray nazdeek woh chunay huye behtareen logon mein say thay .

  48. وَٱذۡكُرۡ إِسۡمَٰعِيلَ وَٱلۡيَسَعَ وَذَا ٱلۡكِفۡلِۖ وَكُلّٞ مِّنَ ٱلۡأَخۡيَارِ

    آیت ⁦۳۸:۴۸⁩ کھولیں

    aur Ismail aur Al-Yasaa aur zulkifil ko yaad kero . aur yeh sabb behtareen logon mein say thay .

  49. هَٰذَا ذِكۡرٞۚ وَإِنَّ لِلۡمُتَّقِينَ لَحُسۡنَ مَـَٔابٖ

    آیت ⁦۳۸:۴۹⁩ کھولیں

    yeh sabb kuch aik naseehat ka paygham hai , aur yaqeen jano kay jo log taqwa ikhtiyar kertay hain , aakhri thikaney ki behtari unhi kay hissay mein aaye gi ,

  50. جَنَّٰتِ عَدۡنٖ مُّفَتَّحَةٗ لَّهُمُ ٱلۡأَبۡوَٰبُ 

    آیت ⁦۳۸:۵۰⁩ کھولیں

    yani hamesha basay rehney kay liye jannaten jinn kay darwazay unn kay liye poori tarah khulay hon gay !

  51. مُتَّكِـِٔينَ فِيهَا يَدۡعُونَ فِيهَا بِفَٰكِهَةٖ كَثِيرَةٖ وَشَرَابٖ

    آیت ⁦۳۸:۵۱⁩ کھولیں

    jahan woh takiya lagaye huye boht say meway aur mashroobat mangwa rahey hon gay ,

  52. ۞وَعِندَهُمۡ قَٰصِرَٰتُ ٱلطَّرۡفِ أَتۡرَابٌ

    آیت ⁦۳۸:۵۲⁩ کھولیں

    aur unn kay paas woh hum umar khawateen hon gi jinn ki nigahen ( apney shohron per ) markooz hon gi .

  53. هَٰذَا مَا تُوعَدُونَ لِيَوۡمِ ٱلۡحِسَابِ

    آیت ⁦۳۸:۵۳⁩ کھولیں

    yeh hai woh ( naimaton say bharpoor zindagi ) jiss ka tum say roz-e-hisab mein wada kiya gaya hai .

  54. إِنَّ هَٰذَا لَرِزۡقُنَا مَا لَهُۥ مِن نَّفَادٍ

    آیت ⁦۳۸:۵۴⁩ کھولیں

    beyshak yeh humari ata hai jo kabhi khatam honey wali nahi .

  55. هَٰذَاۚ وَإِنَّ لِلطَّٰغِينَ لَشَرَّ مَـَٔابٖ

    آیت ⁦۳۸:۵۵⁩ کھولیں

    aik taraf to yeh hai , aur ( doosri taraf ) jinn logon ney sarkashi ikhtiyar ki hai , yaqeen jano , unn ka aakhri thikana boht bura hoga ,

  56. جَهَنَّمَ يَصۡلَوۡنَهَا فَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ

    آیت ⁦۳۸:۵۶⁩ کھولیں

    yani dozakh jiss mein woh dakhil hon gay ! phir woh unn ka bad-tareen bistar banay gi .

  57. هَٰذَا فَلۡيَذُوقُوهُ حَمِيمٞ وَغَسَّاقٞ

    آیت ⁦۳۸:۵۷⁩ کھولیں

    yeh hai kholta huwa paani aur peep ! abb woh iss ka maza chaken ,

  58. وَءَاخَرُ مِن شَكۡلِهِۦٓ أَزۡوَٰجٌ

    آیت ⁦۳۸:۵۸⁩ کھولیں

    aur unn tarah tarah ki cheezon ka jo issi jaisi ( takleef deh ) hon gi .

  59. هَٰذَا فَوۡجٞ مُّقۡتَحِمٞ مَّعَكُمۡ لَا مَرۡحَبَۢا بِهِمۡۚ إِنَّهُمۡ صَالُواْ ٱلنَّارِ

    آیت ⁦۳۸:۵۹⁩ کھولیں

    . ( jab woh apney perokaaron ko aata dekhen gay to aik doosray say kahen gay : ) yeh aik aur lashkar hai jo tumharay sath ghusa chala aaraha hai , phitkaar ho inn per , yeh sabb aag mein jalney walay hain .

  60. قَالُواْ بَلۡ أَنتُمۡ لَا مَرۡحَبَۢا بِكُمۡۖ أَنتُمۡ قَدَّمۡتُمُوهُ لَنَاۖ فَبِئۡسَ ٱلۡقَرَارُ 

    آیت ⁦۳۸:۶۰⁩ کھولیں

    woh ( aaney walay ) kahen gay : nahi , balkay phitkaar tum per ho , tum hi to yeh museebat humaray aagay laye ho , abb to yehi bad-tareen jagah hai jiss mein rehna hoga .

  61. قَالُواْ رَبَّنَا مَن قَدَّمَ لَنَا هَٰذَا فَزِدۡهُ عَذَابٗا ضِعۡفٗا فِي ٱلنَّارِ

    آیت ⁦۳۸:۶۱⁩ کھولیں

    . ( phir woh Allah taalaa say kahen gay kay : ) aey humaray perwerdigar ! jo shaks bhi yeh museebat humaray aagay laya hai , ussay dozakh mein dugna azab dijiye .

  62. وَقَالُواْ مَا لَنَا لَا نَرَىٰ رِجَالٗا كُنَّا نَعُدُّهُم مِّنَ ٱلۡأَشۡرَارِ

    آیت ⁦۳۸:۶۲⁩ کھولیں

    aur woh ( aik doosray say ) kahen gay : kiya baat hai kay hamen woh log ( yahan dozakh mein ) nazar nahi aarahey jinhen hum buray logon mein shumar kertay thay ?

  63. أَتَّخَذۡنَٰهُمۡ سِخۡرِيًّا أَمۡ زَاغَتۡ عَنۡهُمُ ٱلۡأَبۡصَٰرُ

    آیت ⁦۳۸:۶۳⁩ کھولیں

    kiya hum ney unn ka ( nahaq ) mazaq uraya tha , ya unhen dekhney say nigahon ko ghalati lagg rahi hai-?

  64. إِنَّ ذَٰلِكَ لَحَقّٞ تَخَاصُمُ أَهۡلِ ٱلنَّارِ

    آیت ⁦۳۸:۶۴⁩ کھولیں

    . yaqeenan dozakhiyon kay aapas mein jhagarrney ki yeh sari baaten bilkul sachi hain jo ho ker rahen gi .

  65. قُلۡ إِنَّمَآ أَنَا۠ مُنذِرٞۖ وَمَا مِنۡ إِلَٰهٍ إِلَّا ٱللَّهُ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّارُ

    آیت ⁦۳۸:۶۵⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) keh do kay : mein to aik khabrdar kernay wala hun , aur uss Allah kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi jo aik hai , jo sabb per ghalib hai ,

  66. رَبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفَّٰرُ

    آیت ⁦۳۸:۶۶⁩ کھولیں

    jo tamam aasmano aur zameen aur unn kay darmiyan her cheez ka malik hai , jiss ka iqtidar sabb per chaya huwa hai , jo boht bakhshney wala hai .

  67. قُلۡ هُوَ نَبَؤٌاْ عَظِيمٌ

    آیت ⁦۳۸:۶۷⁩ کھولیں

    keh do kay : yeh aik azeem haqeeqat ka izhar hai ,

  68. أَنتُمۡ عَنۡهُ مُعۡرِضُونَ

    آیت ⁦۳۸:۶۸⁩ کھولیں

    jiss say tum mun morray huye ho ,

  69. مَا كَانَ لِيَ مِنۡ عِلۡمِۭ بِٱلۡمَلَإِ ٱلۡأَعۡلَىٰٓ إِذۡ يَخۡتَصِمُونَ

    آیت ⁦۳۸:۶۹⁩ کھولیں

    mujhay aalam-e-baala ki baaton ka kuch ilm nahi tha jab woh ( farishtay ) sawal jawab ker rahey thay .

  70. إِن يُوحَىٰٓ إِلَيَّ إِلَّآ أَنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٞ مُّبِينٌ 

    آیت ⁦۳۸:۷۰⁩ کھولیں

    meray paas wahi sirf iss liye aati hai kay mein saaf saaf khabrdar kernay wala hun .

  71. إِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلَٰٓئِكَةِ إِنِّي خَٰلِقُۢ بَشَرٗا مِّن طِينٖ

    آیت ⁦۳۸:۷۱⁩ کھولیں

    yaad kero jab tumharay perwerdigar ney farishton say kaha kay mein garay say aik insan peda kernay wala hun ,

  72. فَإِذَا سَوَّيۡتُهُۥ وَنَفَخۡتُ فِيهِ مِن رُّوحِي فَقَعُواْ لَهُۥ سَٰجِدِينَ

    آیت ⁦۳۸:۷۲⁩ کھولیں

    chunacheh jab mein ussay poori tarah bana dun aur uss mein apni rooh phoonk dun to tum uss kay aagay sajday mein gir jana .

  73. فَسَجَدَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ كُلُّهُمۡ أَجۡمَعُونَ

    آیت ⁦۳۸:۷۳⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay saray kay saray farishton ney to sajda kiya ,

  74. إِلَّآ إِبۡلِيسَ ٱسۡتَكۡبَرَ وَكَانَ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۳۸:۷۴⁩ کھولیں

    albatta iblees ney naa kiya , uss ney takabbur say kaam liya , aur kafiron mein shamil hogaya .

  75. قَالَ يَٰٓإِبۡلِيسُ مَا مَنَعَكَ أَن تَسۡجُدَ لِمَا خَلَقۡتُ بِيَدَيَّۖ أَسۡتَكۡبَرۡتَ أَمۡ كُنتَ مِنَ ٱلۡعَالِينَ

    آیت ⁦۳۸:۷۵⁩ کھولیں

    Allah ney kaha : iblees ! jiss ko mein ney apney haathon say peda kiya , uss ko sajda kernay say tujhay kiss cheez ney roka hai-? kiya tu ney takabbur say kaam liya hai , ya tu koi boht oonchi hastiyon mein say hai ?

  76. قَالَ أَنَا۠ خَيۡرٞ مِّنۡهُ خَلَقۡتَنِي مِن نَّارٖ وَخَلَقۡتَهُۥ مِن طِينٖ

    آیت ⁦۳۸:۷۶⁩ کھولیں

    kehney laga : mein iss ( Adam ) say behtar hun . tu ney mujhay aag say peda kiya hai , aur iss ko garay say peda kiya hai .

  77. قَالَ فَٱخۡرُجۡ مِنۡهَا فَإِنَّكَ رَجِيمٞ

    آیت ⁦۳۸:۷۷⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya kay : acha to nikal jaa yahan say ! kiyonkay tu mardood hai ,

  78. وَإِنَّ عَلَيۡكَ لَعۡنَتِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلدِّينِ

    آیت ⁦۳۸:۷۸⁩ کھولیں

    aur yaqeen jaan qayamat kay din tak tujh per meri phitkaar rahey gi .

  79. قَالَ رَبِّ فَأَنظِرۡنِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ

    آیت ⁦۳۸:۷۹⁩ کھولیں

    uss ney kaha : meray perwerdigar ! phir tu mujhay uss din tak kay liye ( jeenay ki ) mohlat deydey jiss din logon ko dobara zinda kiya jaye ga .

  80. قَالَ فَإِنَّكَ مِنَ ٱلۡمُنظَرِينَ 

    آیت ⁦۳۸:۸۰⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : chal , tujhay unn logon mein shamil kerliya gaya hai jinhen mohlat di jaye gi ,

  81. إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡوَقۡتِ ٱلۡمَعۡلُومِ

    آیت ⁦۳۸:۸۱⁩ کھولیں

    . ( lekin ) aik mutayyan waqt kay din tak .

  82. قَالَ فَبِعِزَّتِكَ لَأُغۡوِيَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۳۸:۸۲⁩ کھولیں

    kehney laga : bus to mein teri izzat ki qasam khata hun kay mein inn sabb ko behkaon ga ,

  83. إِلَّا عِبَادَكَ مِنۡهُمُ ٱلۡمُخۡلَصِينَ

    آیت ⁦۳۸:۸۳⁩ کھولیں

    siwaye teray barguzida bandon kay .

  84. قَالَ فَٱلۡحَقُّ وَٱلۡحَقَّ أَقُولُ

    آیت ⁦۳۸:۸۴⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : to phir sachi baat yeh hai , aur mein sachi baat hi kaha kerta hun ,

  85. لَأَمۡلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنكَ وَمِمَّن تَبِعَكَ مِنۡهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۳۸:۸۵⁩ کھولیں

    kay mein tujh say aur unn sabb say jo unn mein say teray peechay chalen gay , jahannum ko bhar ker rahun ga .

  86. قُلۡ مَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٖ وَمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُتَكَلِّفِينَ

    آیت ⁦۳۸:۸۶⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! logon say ) keh do kay : mein tum say iss ( Islam ki dawat ) per koi ujrat nahi maangta , aur naa mein banwati logon mein say hun .

  87. إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ لِّلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۳۸:۸۷⁩ کھولیں

    yeh to duniya jahan kay logon kay liye bus aik naseehat hai ,

  88. وَلَتَعۡلَمُنَّ نَبَأَهُۥ بَعۡدَ حِينِۭ

    آیت ⁦۳۸:۸۸⁩ کھولیں

    aur thoray say waqt kay baad tumhen iss ka haal maloom hojaye ga .