الزمر

Az-Zumar

سورت ۳۹ · آیات: ۷۵ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ

    آیت ⁦۳۹:۱⁩ کھولیں

    yeh kitab Allah ki taraf say nazil ki jarahi hai , jo baray iqtidar ka malik hai , boht hikmat wala .

  2. إِنَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ فَٱعۡبُدِ ٱللَّهَ مُخۡلِصٗا لَّهُ ٱلدِّينَ

    آیت ⁦۳۹:۲⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) beyshak yeh kitab hum ney tum per bar-haq nazil ki hai , iss liye Allah ki iss tarah ibadat kero kay bandagi khalis ussi kay liye ho .

  3. أَلَا لِلَّهِ ٱلدِّينُ ٱلۡخَالِصُۚ وَٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَ مَا نَعۡبُدُهُمۡ إِلَّا لِيُقَرِّبُونَآ إِلَى ٱللَّهِ زُلۡفَىٰٓ إِنَّ ٱللَّهَ يَحۡكُمُ بَيۡنَهُمۡ فِي مَا هُمۡ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي مَنۡ هُوَ كَٰذِبٞ كَفَّارٞ

    آیت ⁦۳۹:۳⁩ کھولیں

    yaad rakho kay khalis bandagi Allah hi ka haq hai . aur jinn logon ney uss kay bajaye doosray rakhwalay bana liye hain ( yeh keh ker kay : ) hum inn ki ibadat sirf iss liye kertay hain kay yeh hamen Allah say qareeb kerden unn kay darmiyan Allah unn baaton ka faisla keray ga jinn mein woh ikhtilaf ker rahey hain . yaqeen rakho kay Allah kissi aesay shaks ko raastay per nahi lata jo jhoota ho , kufr per jama huwa ho .

  4. لَّوۡ أَرَادَ ٱللَّهُ أَن يَتَّخِذَ وَلَدٗا لَّٱصۡطَفَىٰ مِمَّا يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ سُبۡحَٰنَهُۥۖ هُوَ ٱللَّهُ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّارُ

    آیت ⁦۳۹:۴⁩ کھولیں

    agar Allah yeh chahta kay kissi ko aulad banaye to woh apni makhlooq mein say jiss ko chahta muntakhib kerleta , ( lekin ) woh pak hai ( iss baat say kay uss ki koi aulad ho ) woh to Allah hai , aik , aur zabardast iqtidar ka malik !

  5. خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۖ يُكَوِّرُ ٱلَّيۡلَ عَلَى ٱلنَّهَارِ وَيُكَوِّرُ ٱلنَّهَارَ عَلَى ٱلَّيۡلِۖ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمًّىۗ أَلَا هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡغَفَّٰرُ

    آیت ⁦۳۹:۵⁩ کھولیں

    uss ney saray aasman aur zameen bar-haq peda kiye hain . woh raat ko din per lapet deta hai , aur din ko raat per lapet deta hai , aur uss ney sooraj aur chaand ko kaam per lagaya huwa hai . her aik kissi moyyan mauddat tak kay liye rawan dawan hai . yaad rakho woh baray iqtidar ka malik , boht bakhshney wala hai .

  6. خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ ثُمَّ جَعَلَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا وَأَنزَلَ لَكُم مِّنَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ ثَمَٰنِيَةَ أَزۡوَٰجٖۚ يَخۡلُقُكُمۡ فِي بُطُونِ أُمَّهَٰتِكُمۡ خَلۡقٗا مِّنۢ بَعۡدِ خَلۡقٖ فِي ظُلُمَٰتٖ ثَلَٰثٖۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ لَهُ ٱلۡمُلۡكُۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُصۡرَفُونَ

    آیت ⁦۳۹:۶⁩ کھولیں

    uss ney tum sabb ko aik shaks say peda kiya , phir ussi say uss ka jorra banaya , aur tumharay liye maweshiyon mein say aath jooray peda kiye . woh tumhari takhleeq tumhari maon kay pet mein iss tarah kerta hai kay teen andheriyon kay darmiyan tum banawat kay aik marhalay kay baad doosray marhalay say guzartay ho . woh hai Allah jo tumhara perwerdigar hai ! sari badshahi ussi ki hai , uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi hai . phir bhi tumhara mun aakhir koi kahan say morr deta hai-?

  7. إِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ عَنكُمۡۖ وَلَا يَرۡضَىٰ لِعِبَادِهِ ٱلۡكُفۡرَۖ وَإِن تَشۡكُرُواْ يَرۡضَهُ لَكُمۡۗ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُم مَّرۡجِعُكُمۡ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ

    آیت ⁦۳۹:۷⁩ کھولیں

    agar tum kufr ikhtiyar kero gay to yaqeen rakho kay Allah tum say bey niaz hai , aur woh apney bandon kay liye kufr pasand nahi kerta , aur agar tum shukar kero gay to woh ussay tumharay liye pasand keray ga , aur koi bojh uthaney wala kissi doosray ka bojh nahi uthaye ga . phir tum sabb ko apney perwerdigar hi kay paas loat ker jana hai , uss waqt woh tumhen bataye ga kay tum kiya kuch kiya kertay thay . yaqeenan woh dilon ki baaten bhi khoob janta hai .

  8. ۞وَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ضُرّٞ دَعَا رَبَّهُۥ مُنِيبًا إِلَيۡهِ ثُمَّ إِذَا خَوَّلَهُۥ نِعۡمَةٗ مِّنۡهُ نَسِيَ مَا كَانَ يَدۡعُوٓاْ إِلَيۡهِ مِن قَبۡلُ وَجَعَلَ لِلَّهِ أَندَادٗا لِّيُضِلَّ عَن سَبِيلِهِۦۚ قُلۡ تَمَتَّعۡ بِكُفۡرِكَ قَلِيلًا إِنَّكَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِ

    آیت ⁦۳۹:۸⁩ کھولیں

    aur jab insan ko koi takleef choo jati hai to woh apney perwerdigar ko ussi say lo laga ker pukarta hai , phir jab woh insan ko apni taraf say koi naimat bakhsh deta hai to woh uss ( takleef ) ko bhool jata hai jiss kay liye pehlay Allah ko pukar raha tha , aur Allah kay liye shareek gharr leta hai , jiss kay nateejay mein doosron ko bhi Allah kay raastay say bhatkata hai . keh do kay : kuch din apney kufr kay mazay uraley , yaqeenan tu dozakh walon mein shamil hai .

  9. أَمَّنۡ هُوَ قَٰنِتٌ ءَانَآءَ ٱلَّيۡلِ سَاجِدٗا وَقَآئِمٗا يَحۡذَرُ ٱلۡأٓخِرَةَ وَيَرۡجُواْ رَحۡمَةَ رَبِّهِۦۗ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلَّذِينَ يَعۡلَمُونَ وَٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَۗ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ

    آیت ⁦۳۹:۹⁩ کھولیں

    bhala ( kiya aisa shaks uss kay barabar hosakta hai ) jo raat ki gharriyon mein ibadat kerta hai , kabhi sajday mein , kabhi qayam mein , aakhirat say darta hai , aur apney perwerdigar ki rehmat ka umeedwaar hai-? kaho kay : kiya woh jo jantay hain , aur jo nahi jantay , sabb barabar hain-? ( magar ) naseehat to wohi log qubool kertay hain jo aqal walay hain .

  10. قُلۡ يَٰعِبَادِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡۚ لِلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ فِي هَٰذِهِ ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٞۗ وَأَرۡضُ ٱللَّهِ وَٰسِعَةٌۗ إِنَّمَا يُوَفَّى ٱلصَّٰبِرُونَ أَجۡرَهُم بِغَيۡرِ حِسَابٖ 

    آیت ⁦۳۹:۱۰⁩ کھولیں

    keh do kay : aey meray emaan walay bando ! apney perwerdigar ka khof dil mein rakho . bhalai unhi ki hai jinhon ney iss duniya mein bhalai ki hai , aur Allah ki zameen boht wasee hai , jo log sabar say kaam letay hain , unn ka sawab unhen bey hisab diya jaye ga .

  11. قُلۡ إِنِّيٓ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱللَّهَ مُخۡلِصٗا لَّهُ ٱلدِّينَ

    آیت ⁦۳۹:۱۱⁩ کھولیں

    keh do kay : mujhay to hukum diya gaya hai kay mein Allah ki iss tarah ibadat kerun kay meri bandagi khalis ussi kay liye ho ,

  12. وَأُمِرۡتُ لِأَنۡ أَكُونَ أَوَّلَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۳۹:۱۲⁩ کھولیں

    aur mujhay hukum diya gaya hai kay sabb say pehla farmanbardaar mein banun .

  13. قُلۡ إِنِّيٓ أَخَافُ إِنۡ عَصَيۡتُ رَبِّي عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ

    آیت ⁦۳۹:۱۳⁩ کھولیں

    keh do kay : agar mein apney perwerdigar ki nafarmani kerun to mujhay aik zabardast din kay azab ka andesha hai .

  14. قُلِ ٱللَّهَ أَعۡبُدُ مُخۡلِصٗا لَّهُۥ دِينِي

    آیت ⁦۳۹:۱۴⁩ کھولیں

    keh do kay : mein to Allah ki ibadat iss tarah kerta hun kay mein ney apni bandagi sirf ussi kay liye khalis kerli hai .

  15. فَٱعۡبُدُواْ مَا شِئۡتُم مِّن دُونِهِۦۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡخَٰسِرِينَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ وَأَهۡلِيهِمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ أَلَا ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡخُسۡرَانُ ٱلۡمُبِينُ

    آیت ⁦۳۹:۱۵⁩ کھولیں

    abb tum ussay chorr ker jiss ki chahao , ibadat kero . keh do kay : ghatay ka soda kernay walay to woh hain jo qayamat kay din apni janon aur apney ghar walon sabb ko hara bethen gay . yaad rakho kay khula huwa ghaata yehi hai .

  16. لَهُم مِّن فَوۡقِهِمۡ ظُلَلٞ مِّنَ ٱلنَّارِ وَمِن تَحۡتِهِمۡ ظُلَلٞۚ ذَٰلِكَ يُخَوِّفُ ٱللَّهُ بِهِۦ عِبَادَهُۥۚ يَٰعِبَادِ فَٱتَّقُونِ

    آیت ⁦۳۹:۱۶⁩ کھولیں

    aesay logon kay liye unn kay oopper bhi aag kay badal hain , aur unn kay neechay bhi wesay hi badal . yeh wohi cheez hai jiss say Allah apney bandon ko darata hai . lehaza aey meray bando ! mera khof dil mein rakho .

  17. وَٱلَّذِينَ ٱجۡتَنَبُواْ ٱلطَّٰغُوتَ أَن يَعۡبُدُوهَا وَأَنَابُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ لَهُمُ ٱلۡبُشۡرَىٰۚ فَبَشِّرۡ عِبَادِ

    آیت ⁦۳۹:۱۷⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney iss baat say perhez kiya hai kay woh taghoot ki ibadat kernay lagen , aur unhon ney Allah say lo lagai hai , khushi ki khabar unhi kay liye hai , lehaza meray unn bandon ko khushi ki khabar suna do

  18. ٱلَّذِينَ يَسۡتَمِعُونَ ٱلۡقَوۡلَ فَيَتَّبِعُونَ أَحۡسَنَهُۥٓۚ أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ هَدَىٰهُمُ ٱللَّهُۖ وَأُوْلَٰٓئِكَ هُمۡ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ

    آیت ⁦۳۹:۱۸⁩ کھولیں

    jo baat ko ghor say suntay hain to uss mein jo behtareen hoti hai , uss ki perwi kertay hain . yehi woh log hain jinhen Allah ney hidayat di hai , aur yehi hain jo aqal walay hain .

  19. أَفَمَنۡ حَقَّ عَلَيۡهِ كَلِمَةُ ٱلۡعَذَابِ أَفَأَنتَ تُنقِذُ مَن فِي ٱلنَّارِ

    آیت ⁦۳۹:۱۹⁩ کھولیں

    bhala jiss shaks per azab ki baat tey hochuki , to kiya tum ussay bacha lo gay jo aag kay andar phonch chuka hai ?

  20. لَٰكِنِ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ لَهُمۡ غُرَفٞ مِّن فَوۡقِهَا غُرَفٞ مَّبۡنِيَّةٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ لَا يُخۡلِفُ ٱللَّهُ ٱلۡمِيعَادَ 

    آیت ⁦۳۹:۲۰⁩ کھولیں

    albatta jinhon ney apney perwerdigar ka khof dil mein rakha hai , unn kay liye oopper talay bani hoi oonchi oonchi imaraten hain , jinn kay neechay nehren behti hain . yeh Allah ka wada hai . Allah kabhi waday ki khilaf warzi nahi kerta .

  21. أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَسَلَكَهُۥ يَنَٰبِيعَ فِي ٱلۡأَرۡضِ ثُمَّ يُخۡرِجُ بِهِۦ زَرۡعٗا مُّخۡتَلِفًا أَلۡوَٰنُهُۥ ثُمَّ يَهِيجُ فَتَرَىٰهُ مُصۡفَرّٗا ثُمَّ يَجۡعَلُهُۥ حُطَٰمًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَذِكۡرَىٰ لِأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ

    آیت ⁦۳۹:۲۱⁩ کھولیں

    kiya tum ney nahi dekha kay Allah ney aasman say paani utaara , phir ussay zameen kay sooton mein piro diya-? phir woh uss paani say aesi khetiyan wajood mein lata hai jinn kay rang mukhtalif hain , phir woh khetiyan sookh jati hain to tum unhen dekhtay ho kay peeli parr-gai hain , phir woh unhen choora choora ker deta hai . yaqeenan inn baaton mein unn logon kay liye bara sabaq hai jo aqal rakhtay hain .

  22. أَفَمَن شَرَحَ ٱللَّهُ صَدۡرَهُۥ لِلۡإِسۡلَٰمِ فَهُوَ عَلَىٰ نُورٖ مِّن رَّبِّهِۦۚ فَوَيۡلٞ لِّلۡقَٰسِيَةِ قُلُوبُهُم مِّن ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ أُوْلَٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ

    آیت ⁦۳۹:۲۲⁩ کھولیں

    bhala kiya woh shaks jiss ka seena Allah ney Islam kay liye khol diya hai , jiss kay nateejay mein woh apney perwerdigar ki ata ki hoi roshni mein aa-chuka hai , ( sang dilon kay barabar hosakta hai ? ) haan ! barbadi unn ki hai jinn kay dil Allah kay ziker say sakht hochukay hain . yeh log khuli gumrahi mein parray huye hain .

  23. ٱللَّهُ نَزَّلَ أَحۡسَنَ ٱلۡحَدِيثِ كِتَٰبٗا مُّتَشَٰبِهٗا مَّثَانِيَ تَقۡشَعِرُّ مِنۡهُ جُلُودُ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُمۡ ثُمَّ تَلِينُ جُلُودُهُمۡ وَقُلُوبُهُمۡ إِلَىٰ ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُدَى ٱللَّهِ يَهۡدِي بِهِۦ مَن يَشَآءُۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٍ

    آیت ⁦۳۹:۲۳⁩ کھولیں

    Allah ney behtareen kalam nazil farmaya hai , aik aesi kitab jiss kay mazameen aik doosray say miltay jultay hain , jiss ki baaten baar baar dohrai gaee hain . woh log jinn kay dilon mein apney perwerdigar ka roab hai inn/unn ki khalen iss say kaanp uthti hain , phir unn kay jism aur unn kay dil naram ho ker Allah ki yaad ki taraf mutawajjah hojatay hain . yeh Allah ki hidayat hai jiss kay zariye woh jiss ko chahta hai , raah-e-raast per ley aata hai , aur jissay Allah raastay say bhatka dey , ussay koi raastay per laney wala nahi .

  24. أَفَمَن يَتَّقِي بِوَجۡهِهِۦ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَقِيلَ لِلظَّٰلِمِينَ ذُوقُواْ مَا كُنتُمۡ تَكۡسِبُونَ

    آیت ⁦۳۹:۲۴⁩ کھولیں

    bhala ( uss shaks ka kaisa bura haal hoga ) jo qayamat kay din apney chehray hi say bad-tareen azab ko rokna chahye ga-? aur zalimon say kaha jaye ga kay : chakho maza uss kamai ka jo tum ney ker rakhi thi .

  25. كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَأَتَىٰهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَشۡعُرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۲۵⁩ کھولیں

    jo log inn say pehlay thay , unhon ney bhi ( payghumberon ko ) jhutlaya tha jiss kay nateejay mein unn per azab aesi jagah say aaya jiss ki taraf unn ka gumaan bhi nahi jasakta tha ,

  26. فَأَذَاقَهُمُ ٱللَّهُ ٱلۡخِزۡيَ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَكۡبَرُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۹:۲۶⁩ کھولیں

    chunacheh Allah ney unn ko issi dunyawi zindagi mein ruswai ka maza chakhaya , aur aakhirat ka azab to aur bhi bara hai . kaash yeh log jantay !

  27. وَلَقَدۡ ضَرَبۡنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ مِن كُلِّ مَثَلٖ لَّعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۲۷⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay hum ney iss Quran mein logon ki khatir her qisam ki misalen biyan ki hain , takay log sabaq hasil keren ,

  28. قُرۡءَانًا عَرَبِيًّا غَيۡرَ ذِي عِوَجٖ لَّعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ

    آیت ⁦۳۹:۲۸⁩ کھولیں

    yeh arbi Quran jiss mein koi tairrah nahi ! takay log taqwa ikhtiyar keren .

  29. ضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا رَّجُلٗا فِيهِ شُرَكَآءُ مُتَشَٰكِسُونَ وَرَجُلٗا سَلَمٗا لِّرَجُلٍ هَلۡ يَسۡتَوِيَانِ مَثَلًاۚ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۹:۲۹⁩ کھولیں

    Allah ney aik misal yeh di hai kay aik ( ghulam ) shaks hai jiss ki milkiyat mein kaee log shareek hain jinn kay darmiyan aapas mein kheench taan bhi hai , aur doosra ( ghulam ) shaks woh hai jo pooray ka poora aik hi aadmi ki milkiyat hai . kiya inn dono ki halat aik jaisi hosakti hai-? Alhamdulillah ! ( iss misal say baat bilkul wazeh hogaee ) lekin inn mein say aksar log samajhtay nahi .

  30. إِنَّكَ مَيِّتٞ وَإِنَّهُم مَّيِّتُونَ 

    آیت ⁦۳۹:۳۰⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) moat tumhen bhi aani hai , aur moat unhen bhi aani hai ,

  31. ثُمَّ إِنَّكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عِندَ رَبِّكُمۡ تَخۡتَصِمُونَ

    آیت ⁦۳۹:۳۱⁩ کھولیں

    phir tum sabb qayamat kay din apney perwerdigar kay paas apna muqadma paish kero gay .

  32. ۞فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَذَبَ عَلَى ٱللَّهِ وَكَذَّبَ بِٱلصِّدۡقِ إِذۡ جَآءَهُۥٓۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۳۹:۳۲⁩ کھولیں

    abb batao kay uss shaks say bara zalim kon hoga jo Allah per jhoot baandhay , aur jab sachi baat uss kay paas aaye to woh uss ko jhutla dey-? kiya jahannum mein aesay kafiron ka thikana nahi hoga-?

  33. وَٱلَّذِي جَآءَ بِٱلصِّدۡقِ وَصَدَّقَ بِهِۦٓ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُتَّقُونَ

    آیت ⁦۳۹:۳۳⁩ کھولیں

    aur jo log sachi baat ley ker ayen , aur khud bhi ussay sach maanen woh hain jo muttaqi hain .

  34. لَهُم مَّا يَشَآءُونَ عِندَ رَبِّهِمۡۚ ذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ

    آیت ⁦۳۹:۳۴⁩ کھولیں

    unn ko apney perwerdigar kay paas her woh cheez milay gi jo woh chahen gay . yeh hai naik logon ka badla ,

  35. لِيُكَفِّرَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ أَسۡوَأَ ٱلَّذِي عَمِلُواْ وَيَجۡزِيَهُمۡ أَجۡرَهُم بِأَحۡسَنِ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۳۹:۳۵⁩ کھولیں

    takay unhon ney jo bad-tareen kaam kiye thay , Allah unn ka kaffara kerday , aur jo behtareen kaam kertay rahey thay , unn ka sawab unhen ata farmaye .

  36. أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِكَافٍ عَبۡدَهُۥۖ وَيُخَوِّفُونَكَ بِٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ

    آیت ⁦۳۹:۳۶⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) kiya Allah apney banday kay liye kafi nahi hai-? aur yeh log tumhen uss kay siwa doosron say daratay hain , aur jissay Allah raastay say bhatka dey , ussay koi raastay per laney wala nahi ,

  37. وَمَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن مُّضِلٍّۗ أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِعَزِيزٖ ذِي ٱنتِقَامٖ

    آیت ⁦۳۹:۳۷⁩ کھولیں

    aur jissay Allah raah-e-raast per ley aaye , ussay koi raastay say bhatkaney wala nahi . kiya Allah zabardast , intiqam lenay wala nahi-?

  38. وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلۡ أَفَرَءَيۡتُم مَّا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ إِنۡ أَرَادَنِيَ ٱللَّهُ بِضُرٍّ هَلۡ هُنَّ كَٰشِفَٰتُ ضُرِّهِۦٓ أَوۡ أَرَادَنِي بِرَحۡمَةٍ هَلۡ هُنَّ مُمۡسِكَٰتُ رَحۡمَتِهِۦۚ قُلۡ حَسۡبِيَ ٱللَّهُۖ عَلَيۡهِ يَتَوَكَّلُ ٱلۡمُتَوَكِّلُونَ

    آیت ⁦۳۹:۳۸⁩ کھولیں

    aur agar tum inn say poocho kay aasmano ko aur zameen ko kiss ney peda kiya hai-? to woh zaroor yehi kahen gay kay Allah ney . ( unn say ) kaho kay : " zara mujhay yeh batao kay tum Allah ko chorr ker jinn ( button ) ko pukartay ho , agar Allah mujhay koi nuqsan phonchaney ka irada kerlay to kiya yeh uss kay phonchaye huye nuqsan ko door ker-saktay hain-? ya agar Allah mujh per meharbani farmana chahye to kiya yeh uss ki rehmat ko rok saktay hain-? kaho kay : " meray liye Allah hi kafi hai . bharosa rakhney walay ussi per bharosa rakhtay hain .

  39. قُلۡ يَٰقَوۡمِ ٱعۡمَلُواْ عَلَىٰ مَكَانَتِكُمۡ إِنِّي عَٰمِلٞۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۹:۳۹⁩ کھولیں

    keh do kay : " aey meri qoam kay logo ! tum apney tareeqay per amal kiye jao , mein ( apney tareeqay per ) amal ker raha hun , phir unqareeb tumhen pata chal jaye ga

  40. مَن يَأۡتِيهِ عَذَابٞ يُخۡزِيهِ وَيَحِلُّ عَلَيۡهِ عَذَابٞ مُّقِيمٌ 

    آیت ⁦۳۹:۴۰⁩ کھولیں

    kay kiss per woh azab aata hai jo ussay ruswa ker kay rakh dey ga , aur kiss per woh azab nazil hota hai jo hamesha jamm ker rahey ga .

  41. إِنَّآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ لِلنَّاسِ بِٱلۡحَقِّۖ فَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيۡهَاۖ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِوَكِيلٍ

    آیت ⁦۳۹:۴۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) hum ney logon kay faeeday kay liye tum per yeh kitab bar-haq nazil ki hai . abb jo shaks raah-e-raast per aajaye ga , woh apni hi bhalai kay liye aaye ga , aur jo gumrahi ikhtiyar keray ga , woh apni gumrahi say apna hi nuqsan keray ga , aur tum uss kay zimma daar nahi ho .

  42. ٱللَّهُ يَتَوَفَّى ٱلۡأَنفُسَ حِينَ مَوۡتِهَا وَٱلَّتِي لَمۡ تَمُتۡ فِي مَنَامِهَاۖ فَيُمۡسِكُ ٱلَّتِي قَضَىٰ عَلَيۡهَا ٱلۡمَوۡتَ وَيُرۡسِلُ ٱلۡأُخۡرَىٰٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمًّىۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۲⁩ کھولیں

    Allah tamam roohon ko unn ki moat kay waqt qabz kerleta hai , aur jinn ko abhi moat nahi aai hoti , unn ko bhi unn ki neend ki halat mein ( qabz kerleta hai , ) phir jinn kay baaray mein uss ney moat ka faisla kerliya , unhen apney paas rok leta hai , aur doosri roohon ko aik moyyan waqt tak kay liye chorr deta hai . yaqeenan iss baat mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo ghor o fiker say kaam letay hain .

  43. أَمِ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ شُفَعَآءَۚ قُلۡ أَوَلَوۡ كَانُواْ لَا يَمۡلِكُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۳⁩ کھولیں

    bhala kiya inn logon ney Allah ( ki ijazat ) kay baghair kuch sirfarishi gharr rakhay hain-? ( inn say ) kaho kay : chahye yeh naa koi ikhtiyar rakhtay hon , naa kuch samajhtay hon ( phir bhi tum unhen sirfarishi mantay raho gay-? )

  44. قُل لِّلَّهِ ٱلشَّفَٰعَةُ جَمِيعٗاۖ لَّهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ ثُمَّ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۴⁩ کھولیں

    kaho kay : " sifarish to sari ki sari Allah hi kay ikhtiyar mein hai . ussi kay qabazay mein aasmano aur zameen ki badshahi hai , phir ussi ki taraf tumhen lotaya jaye ga .

  45. وَإِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَحۡدَهُ ٱشۡمَأَزَّتۡ قُلُوبُ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِۖ وَإِذَا ذُكِرَ ٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦٓ إِذَا هُمۡ يَسۡتَبۡشِرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۵⁩ کھولیں

    aur jab kabhi tanha Allah ka ziker kiya jata hai to jo log aakhirat per emaan nahi rakhtay , unn kay dil beyzar hojatay hain , aur jab uss kay siwa doosron ka ziker kiya jata hai to yeh log khushi say khil uthtay hain .

  46. قُلِ ٱللَّهُمَّ فَاطِرَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ عَٰلِمَ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ أَنتَ تَحۡكُمُ بَيۡنَ عِبَادِكَ فِي مَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۶⁩ کھولیں

    kaho : " aey Allah ! aey aasmano aur zameen ko peda kernay walay , her ghaeeb o hazir kay janney walay ! tu hi apney bandon kay darmiyan unn baaton ka faisla keray ga jinn mein woh ikhtilaf kertay rahey hain .

  47. وَلَوۡ أَنَّ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لَٱفۡتَدَوۡاْ بِهِۦ مِن سُوٓءِ ٱلۡعَذَابِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَبَدَا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مَا لَمۡ يَكُونُواْ يَحۡتَسِبُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۷⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney zulm ka irtikab kiya hai , agar unn kay paas woh sabb kuch ho jo zameen mein hai , aur uss kay sath itna hi aur bhi , to qayamat kay din badd tareen azab say bachnay kay liye woh sabb fidya kay tor per denay lagen gay , aur Allah ki taraf say woh kuch unn kay samney aajaye ga jiss ka unhen gumaan bhi nahi tha ,

  48. وَبَدَا لَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۸⁩ کھولیں

    unhon ney jo kamai ki thi , uss ki buraiyan unn kay samney zahir hojayen gi , aur jinn baaton ka woh mazaq uraya kertay thay , woh unhen chaaron taraf say gher len gi .

  49. فَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ضُرّٞ دَعَانَا ثُمَّ إِذَا خَوَّلۡنَٰهُ نِعۡمَةٗ مِّنَّا قَالَ إِنَّمَآ أُوتِيتُهُۥ عَلَىٰ عِلۡمِۭۚ بَلۡ هِيَ فِتۡنَةٞ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۹:۴۹⁩ کھولیں

    phir insan ( ka haal yeh hai kay jab uss ) ko koi takleef choo jati hai to woh hamen pukarta hai , uss kay baad jab hum ussay apni taraf say kissi naimat say nawaztay hain to woh kehta hai kay : " yeh to mujhay ( apney ) hunar ki wajeh say mili hai . nahi ! balkay yeh aazmaesh hai , lekin inn mein say aksar log nahi jantay .

  50. قَدۡ قَالَهَا ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ 

    آیت ⁦۳۹:۵۰⁩ کھولیں

    yehi baat inn say pehlay ( kuch ) logon ney bhi kahi thi , nateeja yeh huwa kay jo kuch woh kamatay thay , woh unn kay kaam nahi aaya ,

  51. فَأَصَابَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْۚ وَٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡ هَٰٓؤُلَآءِ سَيُصِيبُهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا كَسَبُواْ وَمَا هُم بِمُعۡجِزِينَ

    آیت ⁦۳۹:۵۱⁩ کھولیں

    aur unhon ney jo kamai ki thi , uss ki buraiyan unhi per aa parren , aur inn ( arab kay ) logon mein say jinhon ney zulm ka irtikab kiya hai , unn ki kamai ki buraiyan bhi unqareeb unn per aa parren gi , aur yeh ( Allah ) ko aajiz nahi ker-saktay .

  52. أَوَلَمۡ يَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۳۹:۵۲⁩ کھولیں

    aur kiya enhen yeh maloom nahi hai kay Allah jiss kay liye chahta hai , rizq mein wusat ker deta hai , aur wohi tangi bhi ker deta hai-? yaqeenan iss mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo emaan latay hain .

  53. ۞قُلۡ يَٰعِبَادِيَ ٱلَّذِينَ أَسۡرَفُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ لَا تَقۡنَطُواْ مِن رَّحۡمَةِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَغۡفِرُ ٱلذُّنُوبَ جَمِيعًاۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۳۹:۵۳⁩ کھولیں

    keh do kay : " aey meray woh bando ! jinhon ney apni janon per ziyadti ker rakhi hai , Allah ki rehmat say mayyus naa ho . yaqeen jano Allah saray kay saray gunah moaaf ker deta hai . yaqeenan woh boht bakhshney wala , bara meharban hai .

  54. وَأَنِيبُوٓاْ إِلَىٰ رَبِّكُمۡ وَأَسۡلِمُواْ لَهُۥ مِن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلۡعَذَابُ ثُمَّ لَا تُنصَرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۵۴⁩ کھولیں

    aur tum apney perwerdigar say lo lagao , aur uss kay farmanbardar ban jao qabal iss kay kay tumharay paas azab aa phonchay , phir tumhari madad nahi ki jaye gi .

  55. وَٱتَّبِعُوٓاْ أَحۡسَنَ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلۡعَذَابُ بَغۡتَةٗ وَأَنتُمۡ لَا تَشۡعُرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۵۵⁩ کھولیں

    aur tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay paas jo behtareen baaten nazil ki gaee hain , unn ki perwi kero , qabal iss kay kay tum per achanak azab aajaye , aur tumhen pata bhi naa chalay ,

  56. أَن تَقُولَ نَفۡسٞ يَٰحَسۡرَتَىٰ عَلَىٰ مَا فَرَّطتُ فِي جَنۢبِ ٱللَّهِ وَإِن كُنتُ لَمِنَ ٱلسَّٰخِرِينَ

    آیت ⁦۳۹:۵۶⁩ کھولیں

    kahen aisa naa ho kay kissi shaks ko yeh kehna parray kay : " haaye afsos meri uss kotahi per jo mein ney Allah kay moamlay mein barti ! aur sachi baat yeh hai kay mein to ( Allah taalaa kay ehkaam ka ) mazaq uraney walon mein shamil hogaya tha .

  57. أَوۡ تَقُولَ لَوۡ أَنَّ ٱللَّهَ هَدَىٰنِي لَكُنتُ مِنَ ٱلۡمُتَّقِينَ

    آیت ⁦۳۹:۵۷⁩ کھولیں

    ya koi yeh kahey kay : agar mujhay Allah hidayat deta to mein bhi muttaqi logon mein shamil hota .

  58. أَوۡ تَقُولَ حِينَ تَرَى ٱلۡعَذَابَ لَوۡ أَنَّ لِي كَرَّةٗ فَأَكُونَ مِنَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ

    آیت ⁦۳۹:۵۸⁩ کھولیں

    ya jab azab aankhon say dekh ley to yeh kahey kay : " kaash mujhay aik martaba wapis janey ka moaqa mil jaye to mein naik logon mein shamil hojaon !

  59. بَلَىٰ قَدۡ جَآءَتۡكَ ءَايَٰتِي فَكَذَّبۡتَ بِهَا وَٱسۡتَكۡبَرۡتَ وَكُنتَ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۳۹:۵۹⁩ کھولیں

    . ( tujhay hidayat ) kiyon nahi ( di gaee-? ) meri aayaten teray paas aa-chuki then , phir tu ney unhen jhutlaya , aur barai kay ghamand mein parr-gaya , aur kafiron mein shamil raha .

  60. وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ تَرَى ٱلَّذِينَ كَذَبُواْ عَلَى ٱللَّهِ وُجُوهُهُم مُّسۡوَدَّةٌۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡمُتَكَبِّرِينَ 

    آیت ⁦۳۹:۶۰⁩ کھولیں

    aur qayamat kay din tum dekho gay kay jinn logon ney Allah per jhoot baandha hai , unn kay chehray siyah parray huye hain . kiya jahannum mein aesay mutakabbiron ka thikana nahi hoga-?

  61. وَيُنَجِّي ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ بِمَفَازَتِهِمۡ لَا يَمَسُّهُمُ ٱلسُّوٓءُ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ

    آیت ⁦۳۹:۶۱⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney taqwa ikhtiyar kiya hai , Allah unn ko nijat dey ker unn ki murad ko phoncha dey ga , unhen koi takleef chooay gi bhi nahi , aur naa unhen kissi baat ka ghum hoga .

  62. ٱللَّهُ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ وَكِيلٞ

    آیت ⁦۳۹:۶۲⁩ کھولیں

    Allah her cheez ka peda kernay wala hai , aur wohi her cheez ka rakhwala hai .

  63. لَّهُۥ مَقَالِيدُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۶۳⁩ کھولیں

    saray aasmano aur zameen ki kunjiyan ussi kay paas hain , aur jinhon ney Allah ki aayaton ka inkar kiya hai ghatay mein rehney walay wohi hain .

  64. قُلۡ أَفَغَيۡرَ ٱللَّهِ تَأۡمُرُوٓنِّيٓ أَعۡبُدُ أَيُّهَا ٱلۡجَٰهِلُونَ

    آیت ⁦۳۹:۶۴⁩ کھولیں

    keh do kay : kiya phir bhi aey jahilo ! tum mujh say kehtay ho kay Allah kay siwa kissi aur ki ibadat kerun-?

  65. وَلَقَدۡ أُوحِيَ إِلَيۡكَ وَإِلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكَ لَئِنۡ أَشۡرَكۡتَ لَيَحۡبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ

    آیت ⁦۳۹:۶۵⁩ کھولیں

    aur yeh haqeeqat hai kay tum say aur tum say pehlay tamam payghumberon say wahi kay zariye yeh baat keh di gaee thi kay agar tum ney shirk ka irtikab kiya to tumhara kiya keraya sabb gharat hojaye ga , aur tum yaqeeni tor per sakht nuqsan uthaney walon mein shamil hojao gay .

  66. بَلِ ٱللَّهَ فَٱعۡبُدۡ وَكُن مِّنَ ٱلشَّٰكِرِينَ

    آیت ⁦۳۹:۶۶⁩ کھولیں

    lehaza uss kay bajaye tum Allah hi ki ibadat kero , aur shukar guzaar logon mein shamil hojao .

  67. وَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦ وَٱلۡأَرۡضُ جَمِيعٗا قَبۡضَتُهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَٱلسَّمَٰوَٰتُ مَطۡوِيَّٰتُۢ بِيَمِينِهِۦۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ

    آیت ⁦۳۹:۶۷⁩ کھولیں

    aur inn logon ney Allah taalaa ki qadar hi nahi pehchani jaisa kay uss ki qadar pehchanney ka haq tha , halankay poori ki poori zameen qayamat kay din uss ki mutthi mein hogi , aur saray kay saray aasman uss kay dayen haath mein liptay huye hon gay . woh pak hai , aur boht baala o bartar uss shirk say jiss ka irtikab yeh log ker rahey hain .

  68. وَنُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَصَعِقَ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا مَن شَآءَ ٱللَّهُۖ ثُمَّ نُفِخَ فِيهِ أُخۡرَىٰ فَإِذَا هُمۡ قِيَامٞ يَنظُرُونَ

    آیت ⁦۳۹:۶۸⁩ کھولیں

    aur soor phoonka jaye ga to aasmano aur zameen mein jitney hain , woh sabb bey hosh hojayen gay , siwaye uss kay jissay Allah chahye . phir doosri baar phoonka jaye ga to woh sabb log pal bhar mein kharray ho ker dekhney lagen gay .

  69. وَأَشۡرَقَتِ ٱلۡأَرۡضُ بِنُورِ رَبِّهَا وَوُضِعَ ٱلۡكِتَٰبُ وَجِاْيٓءَ بِٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلشُّهَدَآءِ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ

    آیت ⁦۳۹:۶۹⁩ کھولیں

    aur zameen apney perwerdigar kay noor say chamak uthay gi , aur nama aemal samney rakh diya jaye ga , aur anbiya aur sabb gawahon ko hazir kerdiya jaye ga , aur logon kay darmiyan bilkul bar-haq faisla kiya jaye ga , aur unn per koi zulm nahi hoga .

  70. وَوُفِّيَتۡ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا عَمِلَتۡ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِمَا يَفۡعَلُونَ 

    آیت ⁦۳۹:۷۰⁩ کھولیں

    aur her shaks ko uss kay amal ka poora poora badla diya jaye ga , aur jo kuch log kertay hain , Allah ussay khoob janta hai .

  71. وَسِيقَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ جَهَنَّمَ زُمَرًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوهَا فُتِحَتۡ أَبۡوَٰبُهَا وَقَالَ لَهُمۡ خَزَنَتُهَآ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَتۡلُونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِ رَبِّكُمۡ وَيُنذِرُونَكُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَاۚ قَالُواْ بَلَىٰ وَلَٰكِنۡ حَقَّتۡ كَلِمَةُ ٱلۡعَذَابِ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۳۹:۷۱⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney kufr apnaya tha , unhen jahannum ki taraf girohon ki shakal mein haanka jaye ga , yahan tak kay jab woh uss kay paas phonch jayen gay to uss kay darwazay kholay jayen gay , aur uss kay mohafiz unn say kahen gay kay : kiya tumharay paas tumharay apney logon mein say payghumber nahi aaye thay jo tumhen tumharay rab ki aayaten parh ker sunatay hon , aur tumhen iss din ka samna kernay say khabar daar kertay hon-? woh kahen gay kay : beyshak aaye thay , lekin azab ki baat kafiron per sachi ho ker rahi .

  72. قِيلَ ٱدۡخُلُوٓاْ أَبۡوَٰبَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ فَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلۡمُتَكَبِّرِينَ

    آیت ⁦۳۹:۷۲⁩ کھولیں

    kaha jaye ga kay : jahannum kay darwazon mein hamesha hamesha rehney kay liye dakhil hojao , kiyonkay boht bura thikana hai unn ka jo takabbur say kaam letay hain .

  73. وَسِيقَ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ إِلَى ٱلۡجَنَّةِ زُمَرًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوهَا وَفُتِحَتۡ أَبۡوَٰبُهَا وَقَالَ لَهُمۡ خَزَنَتُهَا سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡ طِبۡتُمۡ فَٱدۡخُلُوهَا خَٰلِدِينَ

    آیت ⁦۳۹:۷۳⁩ کھولیں

    aur jinhon ney apney perwerdigar say taqwa ka moamla rakha tha unhen jannat ki taraf girohon ki shakal mein ley jaya jaye ga , yahan tak kay jab woh uss kay paas phonchen gay , jabkay uss kay darwazay unn kay liye pehlay say kholay jaa chukay hon gay , ( to woh ajeeb aalam hoga . ) aur uss kay mohafiz unn say kahen gay kay : salam ho aap per , khoob rahey aap log ! abb iss jannat mein hamesha hamesha rehney kay liye aa jaiye .

  74. وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي صَدَقَنَا وَعۡدَهُۥ وَأَوۡرَثَنَا ٱلۡأَرۡضَ نَتَبَوَّأُ مِنَ ٱلۡجَنَّةِ حَيۡثُ نَشَآءُۖ فَنِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَٰمِلِينَ

    آیت ⁦۳۹:۷۴⁩ کھولیں

    aur woh ( jannati ) kahen gay kay : tamam tarr shukar Allah ka hai jiss ney hum say apney waday ko sacha ker dikhaya , aur hamen iss sarzameen ka aisa waris bana diya kay hum jannat mein jahan chahen apna thikana bana len . sabit huwa kay behtareen inaam ( naik ) amal kernay walon ka hai .

  75. وَتَرَى ٱلۡمَلَٰٓئِكَةَ حَآفِّينَ مِنۡ حَوۡلِ ٱلۡعَرۡشِ يُسَبِّحُونَ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡۚ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡحَقِّۚ وَقِيلَ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۳۹:۷۵⁩ کھولیں

    aur tum farishton ko dekho gay kay arsh kay gird halqa banaye huye apney perwerdigar ki hamd kay sath uss ki tasbeeh ker rahey hon gay , aur logon kay darmiyan bar-haq faisla kerdiya jaye ga , aur kehney walay kahen gay kay : tamam tarr tareef Allah ki hai jo saray jahano ka perwerdigar hai .