غافر
Al-Ghaafir
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Haa-Meem
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
آیت ۴۰:۲ کھولیںyeh kitab Allah ki taraf say utaari jaa rahi hai jo bara sahib-e-aqtidaar , baray ilm ka malik hai ,
غَافِرِ ٱلذَّنۢبِ وَقَابِلِ ٱلتَّوۡبِ شَدِيدِ ٱلۡعِقَابِ ذِي ٱلطَّوۡلِۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ إِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۴۰:۳ کھولیںjo gunah ko moaaf kernay wala , tauba qubool kernay wala , sakht saza denay wala , bari taqat ka malik hai . uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi . ussi ki taraf sabb ko loat ker jana hai .
مَا يُجَٰدِلُ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ إِلَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَلَا يَغۡرُرۡكَ تَقَلُّبُهُمۡ فِي ٱلۡبِلَٰدِ
آیت ۴۰:۴ کھولیںAllah ki aayaton mein jhagray wohi log peda kertay hain jinhon ney kufr apna liya hai . lehaza inn logon ka shehron mein dandanatay phirna tumhen dhokay mein naa daalay .
كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَٱلۡأَحۡزَابُ مِنۢ بَعۡدِهِمۡۖ وَهَمَّتۡ كُلُّ أُمَّةِۭ بِرَسُولِهِمۡ لِيَأۡخُذُوهُۖ وَجَٰدَلُواْ بِٱلۡبَٰطِلِ لِيُدۡحِضُواْ بِهِ ٱلۡحَقَّ فَأَخَذۡتُهُمۡۖ فَكَيۡفَ كَانَ عِقَابِ
آیت ۴۰:۵ کھولیںinn say pehlay nooh ki qoam aur unn kay baad boht say girohon ney bhi ( payghumberon ko ) jhutlaya tha , aur her qoam ney apney payghumber kay baaray mein yeh irada kiya tha kay unhen girftaar kerlay , aur unhon ney batil ka sahara ley ker jhagray kiye thay takay uss kay zariye haq ko mita den . nateeja yeh huwa kay mein ney unn ko pakar mein ley liya . abb ( dekh lo kay ) meri saza kissi ( sakht ) thi ?
وَكَذَٰلِكَ حَقَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ عَلَى ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَنَّهُمۡ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ
آیت ۴۰:۶ کھولیںaur issi tarah jinn logon ney kufr apna liya hai , unn kay baaray mein tumharay perwerdigar ki yeh baat bhi pakki hochuki hai kay woh dozakhi log hain .
ٱلَّذِينَ يَحۡمِلُونَ ٱلۡعَرۡشَ وَمَنۡ حَوۡلَهُۥ يُسَبِّحُونَ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡ وَيُؤۡمِنُونَ بِهِۦ وَيَسۡتَغۡفِرُونَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْۖ رَبَّنَا وَسِعۡتَ كُلَّ شَيۡءٖ رَّحۡمَةٗ وَعِلۡمٗا فَٱغۡفِرۡ لِلَّذِينَ تَابُواْ وَٱتَّبَعُواْ سَبِيلَكَ وَقِهِمۡ عَذَابَ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۴۰:۷ کھولیںwoh ( farishtay ) jo arsh ko uthaye huye hain , aur jo uss kay gird mojood hain , woh sabb apney perwerdigar ki hamd kay sath uss ki tasbeeh kertay rehtay hain , aur uss per emaan rakhtay hain , aur jo log emaan ley ayen hain unn kay liye maghfirat ki dua kertay hain ( kay ) : aey humaray perwerdigar ! teri rehmat aur ilm her cheez per hawi hai , iss liye jinn logon ney tauba kerli hai , aur teray raastay per chal parray hain , unn ki bakhshish farma dey , aur unhen dozakh kay azab say bacha ley .
رَبَّنَا وَأَدۡخِلۡهُمۡ جَنَّٰتِ عَدۡنٍ ٱلَّتِي وَعَدتَّهُمۡ وَمَن صَلَحَ مِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَأَزۡوَٰجِهِمۡ وَذُرِّيَّٰتِهِمۡۚ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۴۰:۸ کھولیںaur aey perwerdigar ! unhen hamesha rehney wali unn jannaton mein dakhil farma jiss ka tu ney unn say wada kiya hai . neez unn kay maa baap aur biwi bacchon mein say jo naik hon , unhen bhi . yaqeenan teri aur sirf teri zaat woh hai jiss ka iqtidar bhi kamil hai , jiss ki hikmat bhi kamil .
وَقِهِمُ ٱلسَّيِّـَٔاتِۚ وَمَن تَقِ ٱلسَّيِّـَٔاتِ يَوۡمَئِذٖ فَقَدۡ رَحِمۡتَهُۥۚ وَذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
آیت ۴۰:۹ کھولیںaur unn ko her tarah ki buraiyon say mehfooz rakh . aur uss din jissay tu ney buraiyon say mehfooz kerliya , uss per tu ney bara reham farmaya . aur yehi zabardast kamiyabi hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُنَادَوۡنَ لَمَقۡتُ ٱللَّهِ أَكۡبَرُ مِن مَّقۡتِكُمۡ أَنفُسَكُمۡ إِذۡ تُدۡعَوۡنَ إِلَى ٱلۡإِيمَٰنِ فَتَكۡفُرُونَ
آیت ۴۰:۱۰ کھولیںjinn logon ney kufr ikhtiyar kiya hai , unn say pukar ker kaha jaye ga kay : ( aaj ) tumhen jitni beyzari apney aap say ho rahi hai , uss say ziyada beyzari Allah ko uss waqt hoti thi jab tumhen emaan ki dawat di jati thi , aur tum inkar kertay thay .
قَالُواْ رَبَّنَآ أَمَتَّنَا ٱثۡنَتَيۡنِ وَأَحۡيَيۡتَنَا ٱثۡنَتَيۡنِ فَٱعۡتَرَفۡنَا بِذُنُوبِنَا فَهَلۡ إِلَىٰ خُرُوجٖ مِّن سَبِيلٖ
آیت ۴۰:۱۱ کھولیںwoh kahen gay kay : aey humaray perwerdigar ! tu ney hamen do martaba moat di , aur do martaba zindagi di , abb hum apney gunahon ka aetraaf kertay hain , to kiya ( humaray dozakh say ) nikalney ka koi raasta hai-?
ذَٰلِكُم بِأَنَّهُۥٓ إِذَا دُعِيَ ٱللَّهُ وَحۡدَهُۥ كَفَرۡتُمۡ وَإِن يُشۡرَكۡ بِهِۦ تُؤۡمِنُواْۚ فَٱلۡحُكۡمُ لِلَّهِ ٱلۡعَلِيِّ ٱلۡكَبِيرِ
آیت ۴۰:۱۲ کھولیں. ( jawab diya jaye ga kay : ) tumhari yeh halat iss liye hai kay jab Allah ko tanha pukara jata tha to tum inkar kertay thay , aur agar uss kay sath kissi aur ko shareek thehraya jata tha to tum maan letay thay . abb to faisla Allah hi ka hai jiss ki shaan boht oonchi , jiss ki zaat boht bari hai .
هُوَ ٱلَّذِي يُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ وَيُنَزِّلُ لَكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ رِزۡقٗاۚ وَمَا يَتَذَكَّرُ إِلَّا مَن يُنِيبُ
آیت ۴۰:۱۳ کھولیںwohi hai jo tumhen apni nishaniyan dikhata , aur tumharay liye aasman say rizq utaarta hai . aur naseehat to wohi maana kerta hai jo ( hidayat kay liye ) dil say rujoo ho .
فَٱدۡعُواْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
آیت ۴۰:۱۴ کھولیںlehaza ( aey logo ! ) Allah ko iss tarah pukaro kay tumhari tabeydaari khalis ussi kay liye ho , chahye kafiron ko kitna bura lagay .
رَفِيعُ ٱلدَّرَجَٰتِ ذُو ٱلۡعَرۡشِ يُلۡقِي ٱلرُّوحَ مِنۡ أَمۡرِهِۦ عَلَىٰ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦ لِيُنذِرَ يَوۡمَ ٱلتَّلَاقِ
آیت ۴۰:۱۵ کھولیںwoh oonchay darjon wala , arsh ka malik hai . woh apney bandon mai say jiss per chahta hai apney hukum say rooh ( yani wahi ) nazil ker deta hai takay mulaqat kay uss din say ( logon ko ) khabrdar keray
يَوۡمَ هُم بَٰرِزُونَۖ لَا يَخۡفَىٰ عَلَى ٱللَّهِ مِنۡهُمۡ شَيۡءٞۚ لِّمَنِ ٱلۡمُلۡكُ ٱلۡيَوۡمَۖ لِلَّهِ ٱلۡوَٰحِدِ ٱلۡقَهَّارِ
آیت ۴۰:۱۶ کھولیںjiss din woh sabb khul ker samney aajayen gay , Allah say unn ki koi cheez posheeda nahi hogi . ( kaha-jaye ga : ) kiss ki badshahi hai aaj-? ( jawab aik hi hoga kay : ) sirf Allah ki jo wahid o qahaar hai .
ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَىٰ كُلُّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡۚ لَا ظُلۡمَ ٱلۡيَوۡمَۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
آیت ۴۰:۱۷ کھولیںaaj kay din her shaks ko uss kay kiye ka badla diya jaye ga . aaj koi zulm nahi hoga . yaqeenan Allah boht jald hisab lenay wala hai .
وَأَنذِرۡهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡأٓزِفَةِ إِذِ ٱلۡقُلُوبُ لَدَى ٱلۡحَنَاجِرِ كَٰظِمِينَۚ مَا لِلظَّٰلِمِينَ مِنۡ حَمِيمٖ وَلَا شَفِيعٖ يُطَاعُ
آیت ۴۰:۱۸ کھولیں. ( aey payghumber ! ) inn logon ko aik aesi museebat kay din say darao jo qareeb aaney wali hai , jab logon kay kalejay ghutt ghutt ker mun ko aajayen gay , zalimon ka naa koi dost hoga , aur naa koi aisa sirfarishi jiss ki baat maani jaye .
يَعۡلَمُ خَآئِنَةَ ٱلۡأَعۡيُنِ وَمَا تُخۡفِي ٱلصُّدُورُ
آیت ۴۰:۱۹ کھولیںAllah aankhon ki chori ko bhi janta hai , aur unn baaton ko bhi jinn ko seenon ney chupa rakha hai .
وَٱللَّهُ يَقۡضِي بِٱلۡحَقِّۖ وَٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ لَا يَقۡضُونَ بِشَيۡءٍۗ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡبَصِيرُ
آیت ۴۰:۲۰ کھولیںaur Allah bar-haq faislay kerta hai , aur ussay chorr ker jinn ( jhootay khudaon ) ko yeh pukartay hain , woh kissi cheez ka faisla nahi ker-saktay . yaqeenan Allah hi hai jo her baat sunta , sabb kuch dekhta hai .
۞أَوَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ كَانُواْ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَانُواْ هُمۡ أَشَدَّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗ وَءَاثَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡ وَمَا كَانَ لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن وَاقٖ
آیت ۴۰:۲۱ کھولیںaur kiya inn logon ney zameen mein chal phir ker yeh nahi dekha kay jo log inn say pehlay thay , unn ka kaisa anjam hochuka hai . woh taqat mein bhi inn say ziyada mazboot thay , aur zameen mein chorri hoi yaadgaaron kay aetbar say bhi . phir Allah ney unn kay gunahon ki wajeh say unhen pakar mein ley liya , aur koi nahi tha jo unhen Allah say bachaye .
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَانَت تَّأۡتِيهِمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَكَفَرُواْ فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُۚ إِنَّهُۥ قَوِيّٞ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
آیت ۴۰:۲۲ کھولیںyeh sabb kuch iss liye huwa kay unn kay paas unn kay payghumber khuli khuli daleelen ley ker aatay thay , to yeh inkar kertay thay , iss liye Allah ney unhen pakar mein liya . yaqeenan woh bari quooat wala , saza denay mein bara sakht hai .
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مُوسَىٰ بِـَٔايَٰتِنَا وَسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٍ
آیت ۴۰:۲۳ کھولیںaur hum ney musa ko apni nishaniyon aur bari wazeh daleel dey ker firon , hamaan aur qaroon kay paas bheja tha ,
إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَهَٰمَٰنَ وَقَٰرُونَ فَقَالُواْ سَٰحِرٞ كَذَّابٞ
آیت ۴۰:۲۴ کھولیںto unhon ney kaha kay yeh jhoota jadoogar hai .
فَلَمَّا جَآءَهُم بِٱلۡحَقِّ مِنۡ عِندِنَا قَالُواْ ٱقۡتُلُوٓاْ أَبۡنَآءَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥ وَٱسۡتَحۡيُواْ نِسَآءَهُمۡۚ وَمَا كَيۡدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ
آیت ۴۰:۲۵ کھولیںphir jab woh logon kay paas woh haq baat ley ker gaye jo humari taraf say aai thi to unhon ney kaha kay : jo log unn kay sath emaan ley aaye hain , unn kay beton ko qatal ker daalo , aur unn ki aurton ko zinda rakho . halankay kafiron ki chaal ka anjam iss kay siwa kuch nahi kay woh maqsad tak naa phonch saken .
وَقَالَ فِرۡعَوۡنُ ذَرُونِيٓ أَقۡتُلۡ مُوسَىٰ وَلۡيَدۡعُ رَبَّهُۥٓۖ إِنِّيٓ أَخَافُ أَن يُبَدِّلَ دِينَكُمۡ أَوۡ أَن يُظۡهِرَ فِي ٱلۡأَرۡضِ ٱلۡفَسَادَ
آیت ۴۰:۲۶ کھولیںaur firon ney kaha : lao mein musa ko qatal hi ker daalun , aur ussay chahiye kay apney rab ko pukar ley . mujhay darr hai kay yeh tumhara deen badal daalay ga , ya zameen mein fasad barpa kerday ga .
وَقَالَ مُوسَىٰٓ إِنِّي عُذۡتُ بِرَبِّي وَرَبِّكُم مِّن كُلِّ مُتَكَبِّرٖ لَّا يُؤۡمِنُ بِيَوۡمِ ٱلۡحِسَابِ
آیت ۴۰:۲۷ کھولیںaur musa ney kaha : mein ney to her uss mutakabbir say jo yoam-e-hisab per emaan nahi rakhta , uss ki panah ley li hai jo mera bhi perwerdigar hai aur tumhara bhi perwerdigar .
وَقَالَ رَجُلٞ مُّؤۡمِنٞ مِّنۡ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ يَكۡتُمُ إِيمَٰنَهُۥٓ أَتَقۡتُلُونَ رَجُلًا أَن يَقُولَ رَبِّيَ ٱللَّهُ وَقَدۡ جَآءَكُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ مِن رَّبِّكُمۡۖ وَإِن يَكُ كَٰذِبٗا فَعَلَيۡهِ كَذِبُهُۥۖ وَإِن يَكُ صَادِقٗا يُصِبۡكُم بَعۡضُ ٱلَّذِي يَعِدُكُمۡۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي مَنۡ هُوَ مُسۡرِفٞ كَذَّابٞ
آیت ۴۰:۲۸ کھولیںaur firon kay khandan mein say aik momin shaks jo abhi tak apna emaan chupaye huye tha , bol utha kay : kiya tum aik shaks ko sirf iss liye qatal ker rahey ho kay woh kehta hai mera perwerdigar Allah hai-? halankay woh tumharay paas tumharay perwerdigar ki taraf say roshan daleelen ley ker aaya hai . aur agar woh jhoota hi ho to uss ka jhoot ussi per parray ga , aur agar sacha ho to jiss cheez say woh tumhen dara raha hai , uss mein say kuch to tum per aa hi parray gi . Allah kissi aesay shaks ko hidayat nahi deta jo hadd say guzar janey wala ( aur ) jhoot bolney ka aadi ho .
يَٰقَوۡمِ لَكُمُ ٱلۡمُلۡكُ ٱلۡيَوۡمَ ظَٰهِرِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَمَن يَنصُرُنَا مِنۢ بَأۡسِ ٱللَّهِ إِن جَآءَنَاۚ قَالَ فِرۡعَوۡنُ مَآ أُرِيكُمۡ إِلَّا مَآ أَرَىٰ وَمَآ أَهۡدِيكُمۡ إِلَّا سَبِيلَ ٱلرَّشَادِ
آیت ۴۰:۲۹ کھولیںaey meri qoam ! aaj to tumhen aesi saltanat hasil hai kay zameen mein tumhara raj hai , lekin agar Allah ka azab hum per aagaya to kon hai jo uss kay muqablay mein humari madad keray-? firon ney kaha : mein to tumhen wohi raye dun ga jissay mein durust samajhta hun , aur mein tumhari jo rehnumai ker raha hun , woh bilkul theek raastay ki taraf ker raha hun .
وَقَالَ ٱلَّذِيٓ ءَامَنَ يَٰقَوۡمِ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُم مِّثۡلَ يَوۡمِ ٱلۡأَحۡزَابِ
آیت ۴۰:۳۰ کھولیںaur jo shaks emaan ley aaya tha uss ney kaha : aey meri qoam ! mujhay darr hai kay tum per wesa hi din naa aajaye jaisa boht say girohon per aa-chuka hai .
مِثۡلَ دَأۡبِ قَوۡمِ نُوحٖ وَعَادٖ وَثَمُودَ وَٱلَّذِينَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡۚ وَمَا ٱللَّهُ يُرِيدُ ظُلۡمٗا لِّلۡعِبَادِ
آیت ۴۰:۳۱ کھولیں. ( aur tumhara haal bhi wesa naa ho ) jaisa haal nooh ( aleh-assalam ) ki qoam ka , aur aad o samood ka aur unn kay baad kay logon ka huwa tha . aur Allah bandon per zulm kerna nahi chahta .
وَيَٰقَوۡمِ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ يَوۡمَ ٱلتَّنَادِ
آیت ۴۰:۳۲ کھولیںaur aey meri qoam ! mujhay tum per uss din ka khof hai jiss mein cheekh pukar machi hogi ,
يَوۡمَ تُوَلُّونَ مُدۡبِرِينَ مَا لَكُم مِّنَ ٱللَّهِ مِنۡ عَاصِمٖۗ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ
آیت ۴۰:۳۳ کھولیںjiss din tum peeth pher ker iss tarah bhago gay kay koi bhi tumhen Allah say bachaney wala nahi hoga , aur jissay Allah bhatka dey , ussay koi raasta dikhaney wala moyassar nahi aata .
وَلَقَدۡ جَآءَكُمۡ يُوسُفُ مِن قَبۡلُ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَمَا زِلۡتُمۡ فِي شَكّٖ مِّمَّا جَآءَكُم بِهِۦۖ حَتَّىٰٓ إِذَا هَلَكَ قُلۡتُمۡ لَن يَبۡعَثَ ٱللَّهُ مِنۢ بَعۡدِهِۦ رَسُولٗاۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ ٱللَّهُ مَنۡ هُوَ مُسۡرِفٞ مُّرۡتَابٌ
آیت ۴۰:۳۴ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay iss say pehlay yousuf ( aleh-assalam ) tumharay paas roshan daleelen ley ker aaye thay , tab bhi tum unn ki laee hoi baaton kay mutalliq shak mein parray rahey . phir jab woh wafaat paagaye to tum ney kaha kay unn kay baad Allah abb koi payghumber nahi bhejay ga . issi tarah Allah unn tamam logon ko gumrahi mein daalay rakhta hai jo hadd say guzray huye , shakki hotay hain ,
ٱلَّذِينَ يُجَٰدِلُونَ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ سُلۡطَٰنٍ أَتَىٰهُمۡۖ كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ وَعِندَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ كَذَٰلِكَ يَطۡبَعُ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ قَلۡبِ مُتَكَبِّرٖ جَبَّارٖ
آیت ۴۰:۳۵ کھولیںjo apney paas kissi wazeh daleel kay aaye baghair Allah ki aayaton mein jhagray nikala kertay hain . yeh baat Allah kay nazdeek bhi qabil-e-nafrat hai , aur unn logon kay nazdeek bhi jo emaan ley aaye hain . issi tarah Allah her mutakabbir jabir shaks kay dil per mohar laga deta hai .
وَقَالَ فِرۡعَوۡنُ يَٰهَٰمَٰنُ ٱبۡنِ لِي صَرۡحٗا لَّعَلِّيٓ أَبۡلُغُ ٱلۡأَسۡبَٰبَ
آیت ۴۰:۳۶ کھولیںaur firon ney ( apney wazir say ) kaha kay : aey hamaan ! meray liye aik oonchi imarat bana do , takay mein unn raaston tak phonchun
أَسۡبَٰبَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ فَأَطَّلِعَ إِلَىٰٓ إِلَٰهِ مُوسَىٰ وَإِنِّي لَأَظُنُّهُۥ كَٰذِبٗاۚ وَكَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِفِرۡعَوۡنَ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ وَصُدَّ عَنِ ٱلسَّبِيلِۚ وَمَا كَيۡدُ فِرۡعَوۡنَ إِلَّا فِي تَبَابٖ
آیت ۴۰:۳۷ کھولیںjo aasmano kay raastay hain , phir mein musa kay khuda ko jhank ker dekhun . aur yaqeen rakho kay mein to ussay jhoota hi samajhta hun . issi tarah firon ki badd kiradaari uss ki nazar mein khushnuma bana di gaee thi , aur ussay raastay say rok diya gaya tha . aur firon ki koi chaal aesi nahi thi jo barbadi mein naa gaee ho .
وَقَالَ ٱلَّذِيٓ ءَامَنَ يَٰقَوۡمِ ٱتَّبِعُونِ أَهۡدِكُمۡ سَبِيلَ ٱلرَّشَادِ
آیت ۴۰:۳۸ کھولیںaur jo shaks emaan ley aaya tha uss ney kaha : aey meri qoam ! meri baat maano , mein tumhen hidayat kay raastay per ley jaon ga .
يَٰقَوۡمِ إِنَّمَا هَٰذِهِ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا مَتَٰعٞ وَإِنَّ ٱلۡأٓخِرَةَ هِيَ دَارُ ٱلۡقَرَارِ
آیت ۴۰:۳۹ کھولیںaey meri qoam ! yeh dunyawi zindagi to bus thora saa maza hai , aur yaqeen jano kay aakhirat hi rehney basney ka asal ghar hai .
مَنۡ عَمِلَ سَيِّئَةٗ فَلَا يُجۡزَىٰٓ إِلَّا مِثۡلَهَاۖ وَمَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا مِّن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ يُرۡزَقُونَ فِيهَا بِغَيۡرِ حِسَابٖ
آیت ۴۰:۴۰ کھولیںaur jiss shaks ney koi burai ki hogi , ussay ussi kay barabar badla diya jaye ga , aur jiss ney naik kaam kiya hoga , chahye woh mard ho ya aurat , jabkay woh momin ho , to aesay log jannat mein dakhil hon gay . wahan unhen bey hisab rizq diya jaye ga .
۞وَيَٰقَوۡمِ مَا لِيٓ أَدۡعُوكُمۡ إِلَى ٱلنَّجَوٰةِ وَتَدۡعُونَنِيٓ إِلَى ٱلنَّارِ
آیت ۴۰:۴۱ کھولیںaur aey meri qoam ! yeh kiya baat hai kay mein tumhen nijat ki taraf dawat dey raha hun , aur tum mujhay aag ki taraf bula rahey ho ?
تَدۡعُونَنِي لِأَكۡفُرَ بِٱللَّهِ وَأُشۡرِكَ بِهِۦ مَا لَيۡسَ لِي بِهِۦ عِلۡمٞ وَأَنَا۠ أَدۡعُوكُمۡ إِلَى ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡغَفَّٰرِ
آیت ۴۰:۴۲ کھولیںtum mujhay yeh dawat dey rahey ho kay Allah ka inkar kerun , aur uss kay sath aesi cheezon ko shareek maanun jinn kay baaray mein mujhay koi ilm nahi hai , aur mein tumhen uss zaat ki taraf bula raha hun jo bari sahab-e-iqtidar , boht bakhshney wali hai .
لَا جَرَمَ أَنَّمَا تَدۡعُونَنِيٓ إِلَيۡهِ لَيۡسَ لَهُۥ دَعۡوَةٞ فِي ٱلدُّنۡيَا وَلَا فِي ٱلۡأٓخِرَةِ وَأَنَّ مَرَدَّنَآ إِلَى ٱللَّهِ وَأَنَّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ هُمۡ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ
آیت ۴۰:۴۳ کھولیںsach to yeh hai kay jinn cheezon ki taraf tum mujhay bula rahey ho , woh kisi dawat kay ehal nahi hain , naa duniya mein , naa aakhirat mein , aur haqeeqat yeh hai kay hum sabb ko Allah ki taraf palat ker jana hai , aur yeh kay jo log hadd say guzarney walay hain , woh aag kay baasi hain .
فَسَتَذۡكُرُونَ مَآ أَقُولُ لَكُمۡۚ وَأُفَوِّضُ أَمۡرِيٓ إِلَى ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ
آیت ۴۰:۴۴ کھولیںgharz tum unqareeb meri yeh baaten yaad kero gay jo mein tum say keh raha hun , aur mein apna moamla Allah kay supurd kerta hun . yaqeenan Allah saray bandon ko khoob dekhney wala hai .
فَوَقَىٰهُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِ مَا مَكَرُواْۖ وَحَاقَ بِـَٔالِ فِرۡعَوۡنَ سُوٓءُ ٱلۡعَذَابِ
آیت ۴۰:۴۵ کھولیںnateeja yeh huwa kay unn logon ney jo buray buray mansoobay bana rakhay thay , Allah ney uss ( mard-e-momin ) ko unn sabb say mehfooz rakha , aur firon kay logon ko badd tareen azab ney aa ghera .
ٱلنَّارُ يُعۡرَضُونَ عَلَيۡهَا غُدُوّٗا وَعَشِيّٗاۚ وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ أَدۡخِلُوٓاْ ءَالَ فِرۡعَوۡنَ أَشَدَّ ٱلۡعَذَابِ
آیت ۴۰:۴۶ کھولیںaag hai jiss kay samney unhen subha o shaam paish kiya jata hai , aur jiss din qayamat aajaye gi , ( uss din hukum hoga kay : ) firon kay logon ko sakht tareen azab mein dakhil kerdo .
وَإِذۡ يَتَحَآجُّونَ فِي ٱلنَّارِ فَيَقُولُ ٱلضُّعَفَٰٓؤُاْ لِلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُوٓاْ إِنَّا كُنَّا لَكُمۡ تَبَعٗا فَهَلۡ أَنتُم مُّغۡنُونَ عَنَّا نَصِيبٗا مِّنَ ٱلنَّارِ
آیت ۴۰:۴۷ کھولیںaur uss waqt ( ka dhiyan rakho ) jab yeh log dozakh mein aik doosray say jhagarr rahey hon gay , chunacheh jo ( duniya mein ) kamzor thay , woh unn logon say kahen gay jo baray banay huye thay kay : hum to tumharay peechay chalney walay log thay , to kiya tum aag ka kuch hissa humaray badlay khud ley lo gay ?
قَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُوٓاْ إِنَّا كُلّٞ فِيهَآ إِنَّ ٱللَّهَ قَدۡ حَكَمَ بَيۡنَ ٱلۡعِبَادِ
آیت ۴۰:۴۸ کھولیںwoh jo baray banay huye thay , kahen gay kay : hum sabb hi iss dozakh mein hain . Allah tamam bandon kay darmiyan faisla ker-chuka hai .
وَقَالَ ٱلَّذِينَ فِي ٱلنَّارِ لِخَزَنَةِ جَهَنَّمَ ٱدۡعُواْ رَبَّكُمۡ يُخَفِّفۡ عَنَّا يَوۡمٗا مِّنَ ٱلۡعَذَابِ
آیت ۴۰:۴۹ کھولیںaur yeh sabb jo aag mein parray hon gay , dozakh kay nigranon say kahen gay kay : apney perwerdigar say dua kero kay woh kissi din hum say azab ko halka kerday .
قَالُوٓاْ أَوَلَمۡ تَكُ تَأۡتِيكُمۡ رُسُلُكُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِۖ قَالُواْ بَلَىٰۚ قَالُواْ فَٱدۡعُواْۗ وَمَا دُعَٰٓؤُاْ ٱلۡكَٰفِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَٰلٍ
آیت ۴۰:۵۰ کھولیںwoh kahen gay kay : kiya tumharay paas tumharay payghumber khuli khuli nishaniyan ley ker aatay nahi rahey thay-? dozakhi jawab den gay kay : beyshak ( aatay to rahey thay . ) woh kahen gay : phir to tum hi dua kero , aur kafiron ki dua ka koi anjam ikarat janey kay siwa nahi hai .
إِنَّا لَنَنصُرُ رُسُلَنَا وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَيَوۡمَ يَقُومُ ٱلۡأَشۡهَٰدُ
آیت ۴۰:۵۱ کھولیںyaqeen rakho kay hum apney payghumberon aur emaan laney walon ki dunyawi zindagi mein bhi madad kertay hain , aur uss din bhi keren gay jab gawahi denay walay kharray hon gay ,
يَوۡمَ لَا يَنفَعُ ٱلظَّٰلِمِينَ مَعۡذِرَتُهُمۡۖ وَلَهُمُ ٱللَّعۡنَةُ وَلَهُمۡ سُوٓءُ ٱلدَّارِ
آیت ۴۰:۵۲ کھولیںjiss din zalimon ko unn ki maazrat kuch bhi faeeda nahi dey gi , aur unn kay hissay mein phitkaar hogi , aur unn kay liye rehaeesh ki bad-tareen jagah .
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡهُدَىٰ وَأَوۡرَثۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ ٱلۡكِتَٰبَ
آیت ۴۰:۵۳ کھولیںaur hum ney musa ko hidayat ata ki , aur bani Israel ko uss kitab ka waris banaya
هُدٗى وَذِكۡرَىٰ لِأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
آیت ۴۰:۵۴ کھولیںjo aqal walon kay liye sarapa hidayat aur naseehat thi .
فَٱصۡبِرۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لِذَنۢبِكَ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ بِٱلۡعَشِيِّ وَٱلۡإِبۡكَٰرِ
آیت ۴۰:۵۵ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) sabar say kaam lo , yaqeen rakho kay Allah ka wada sacha hai , aur apney qusoor per astaghfaar kertay raho , aur subha o shaam apney perwerdigar ki hamd kay sath tasbeeh kertay raho .
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُجَٰدِلُونَ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ سُلۡطَٰنٍ أَتَىٰهُمۡ إِن فِي صُدُورِهِمۡ إِلَّا كِبۡرٞ مَّا هُم بِبَٰلِغِيهِۚ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡبَصِيرُ
آیت ۴۰:۵۶ کھولیںyaqeen jano kay jo log Allah ki aayaton kay baaray mein jhagray nikaltay hain , jabkay unn kay paas ( apney daway ki ) koi sanad nahi aai , unn kay seenon mein aur kuch nahi , balkay uss barai ka aik ghamand hai jiss tak woh kabhi phonchney walay nahi hain . lehaza tum Allah ki panah maango . yaqeenan wohi hai jo her baat sunney wala , sabb kuch dekhney wala hai .
لَخَلۡقُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ أَكۡبَرُ مِنۡ خَلۡقِ ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۴۰:۵۷ کھولیںyaqeeni baat hai kay aasmano aur zameen ka peda kerna insanon kay peda kernay say ziyada bara kaam hai , lekin aksar log ( itni si baat ) nahi samajhtay .
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ وَلَا ٱلۡمُسِيٓءُۚ قَلِيلٗا مَّا تَتَذَكَّرُونَ
آیت ۴۰:۵۸ کھولیںaur andha aur beenai rakhney wala dono barabar nahi hotay , aur naa woh log jo emaan laye , aur unhon ney naik amal kiye , woh aur bad-kaar barabar hain , ( lekin ) tum log boht kam dhiyan detay ho .
إِنَّ ٱلسَّاعَةَ لَأٓتِيَةٞ لَّا رَيۡبَ فِيهَا وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يُؤۡمِنُونَ
آیت ۴۰:۵۹ کھولیںyaqeen rakho kay qayamat ki gharri zaroor aaney wali hai , jiss mein kissi shak ki gunjaeesh nahi hai , lekin aksar log emaan nahi latay .
وَقَالَ رَبُّكُمُ ٱدۡعُونِيٓ أَسۡتَجِبۡ لَكُمۡۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَسۡتَكۡبِرُونَ عَنۡ عِبَادَتِي سَيَدۡخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ
آیت ۴۰:۶۰ کھولیںaur tumharay perwerdigar ney kaha hai kay : mujhay pukaro , mein tumhari duayen qubool kerun ga , beyshak jo log takabbur ki bana per meri ibadat say mun morrtay hain , woh zaleel ho ker jahannum mein dakhil hon gay .
ٱللَّهُ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ لِتَسۡكُنُواْ فِيهِ وَٱلنَّهَارَ مُبۡصِرًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَشۡكُرُونَ
آیت ۴۰:۶۱ کھولیںAllah hi to hai jiss ney tumharay liye raat banai , takay tum uss mein sukoon hasil kero , aur din ko dekhney wala banaya . haqeeqat yeh hai kay Allah logon per fazal farmaney wala hai , lekin aksar log shukar ada nahi kertay .
ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖ لَّآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
آیت ۴۰:۶۲ کھولیںwoh hai Allah jo tumhara perwerdigar hai , her cheez ka peda kernay wala . uss kay siwa koi mabood nahi hai . phir kahan say koi cheez tumhen ondha chala deti hai ?
كَذَٰلِكَ يُؤۡفَكُ ٱلَّذِينَ كَانُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ يَجۡحَدُونَ
آیت ۴۰:۶۳ کھولیںissi tarah woh log bhi ondhay chalay thay jo ( pehlay ) Allah ki aayaton ka inkar kiya kertay thay .
ٱللَّهُ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ قَرَارٗا وَٱلسَّمَآءَ بِنَآءٗ وَصَوَّرَكُمۡ فَأَحۡسَنَ صُوَرَكُمۡ وَرَزَقَكُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡۖ فَتَبَارَكَ ٱللَّهُ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۴۰:۶۴ کھولیںAllah hi to hai jiss ney tumharay liye zameen ko qarar ki jagah banaya , aur aasman ko aik gunmbad , aur tumhari soorat giri ki , aur tumhari soorton ko acha banaya , aur pakeezah cheezon mein say tumhen rizq ata kiya . woh hai Allah jo tumhara perwerdigar hai . gharz bari barkat wala hai Allah , saray jahano ka perwerdigar !
هُوَ ٱلۡحَيُّ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ فَٱدۡعُوهُ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَۗ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۴۰:۶۵ کھولیںwohi sada zinda hai , uss kay siwa koi mabood nahi . iss liye uss ko iss tarah pukaro kay tumhari tabey daari khalis ussi kay liye ho . tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahano ka perwerdigar hai .
۞قُلۡ إِنِّي نُهِيتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ لَمَّا جَآءَنِيَ ٱلۡبَيِّنَٰتُ مِن رَّبِّي وَأُمِرۡتُ أَنۡ أُسۡلِمَ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۴۰:۶۶ کھولیں. ( aey payghumber ! kafiron say ) keh do kay : mujhay iss baat say mana kerdiya gaya hai kay jab meray paas meray rab ki taraf say khuli khuli nishaniyan aa chuki hain , to phir bhi mein unn ki ibadat kerun jinhen tum Allah kay bajaye pukartay ho . aur mujhay yeh hukum diya gaya hai kay mein tamam jahano kay perwerdigar kay aagay sar jhuka dun .
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ مِنۡ عَلَقَةٖ ثُمَّ يُخۡرِجُكُمۡ طِفۡلٗا ثُمَّ لِتَبۡلُغُوٓاْ أَشُدَّكُمۡ ثُمَّ لِتَكُونُواْ شُيُوخٗاۚ وَمِنكُم مَّن يُتَوَفَّىٰ مِن قَبۡلُۖ وَلِتَبۡلُغُوٓاْ أَجَلٗا مُّسَمّٗى وَلَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
آیت ۴۰:۶۷ کھولیںwohi hai jiss ney tumhen mitti say peda kiya , phir nutfay say , phir jamay huye khoon say . phir woh tumhen bacchay ki shakal mein bahir lata hai , phir ( woh tumhari perwerish kerta hai ) takay tum apni bharpoor taqat ko phonch jao , aur phir boorhay hojao aur tum mein say kuch woh bhi hain jo iss say pehlay hi wafaat paajatay hain aur takay tum aik muqarrar miyaad tak phoncho , aur takay tum aqal say kaam lo .
هُوَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ فَإِذَا قَضَىٰٓ أَمۡرٗا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
آیت ۴۰:۶۸ کھولیںwohi hai jo zindagi deta aur moat deta hai . aur jab woh kissi kaam ka faisla kerleta hai to uss say sirf itna kehta hai kay : hoja bus woh hojata hai .
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يُجَٰدِلُونَ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ أَنَّىٰ يُصۡرَفُونَ
آیت ۴۰:۶۹ کھولیںkiya tum ney unn logon ko dekha jo Allah ki aayaton mein jhagray nikaltay hain-? koi kahan say unn ka rukh pher deta hai-?
ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِٱلۡكِتَٰبِ وَبِمَآ أَرۡسَلۡنَا بِهِۦ رُسُلَنَاۖ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
آیت ۴۰:۷۰ کھولیںyeh log woh hain jinhon ney iss kitab ko bhi jhutlaya hai , aur uss ( taleem ) ko bhi jiss ka hamil bana ker hum ney apney payghumber bhejay thay . chunacheh unhen unqareeb pata lagg jaye ga
إِذِ ٱلۡأَغۡلَٰلُ فِيٓ أَعۡنَٰقِهِمۡ وَٱلسَّلَٰسِلُ يُسۡحَبُونَ
آیت ۴۰:۷۱ کھولیںjab unn kay galon mein toq aur zanjeeren hon gi , unhen garam paani mein ghaseeta jaye ga ,
فِي ٱلۡحَمِيمِ ثُمَّ فِي ٱلنَّارِ يُسۡجَرُونَ
آیت ۴۰:۷۲ کھولیںphir aag mein jhonk diya jaye ga ,
ثُمَّ قِيلَ لَهُمۡ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡ تُشۡرِكُونَ
آیت ۴۰:۷۳ کھولیںphir unn say kaha jaye ga : kahan hain Allah kay siwa woh ( tumharay mabood ) jinhen tum khudai mein uss ka shareek maana kertay thay-?
مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالُواْ ضَلُّواْ عَنَّا بَل لَّمۡ نَكُن نَّدۡعُواْ مِن قَبۡلُ شَيۡـٔٗاۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ ٱللَّهُ ٱلۡكَٰفِرِينَ
آیت ۴۰:۷۴ کھولیںyeh kahen gay : woh sabb to hum say khoye gaye , balkay hum pehlay kissi cheez ko nahi pukara kertay thay . iss tarah Allah kafiron ko badd hawaas ker deta hai .
ذَٰلِكُم بِمَا كُنتُمۡ تَفۡرَحُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَبِمَا كُنتُمۡ تَمۡرَحُونَ
آیت ۴۰:۷۵ کھولیں. ( inn say yeh pehlay hi keh diya gaya hoga kay : ) yeh sabb kuch iss liye huwa kay tum zameen mein nahaq baat per itraya kertay thay , aur iss liye kay tum akarr dikhatay thay .
ٱدۡخُلُوٓاْ أَبۡوَٰبَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ فَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلۡمُتَكَبِّرِينَ
آیت ۴۰:۷۶ کھولیںjao , jahannum kay darwazon mein hamesha rehney kay liye dakhil hojao , kiyonkay takabbur kernay walon ka thikana boht hi bura hai .
فَٱصۡبِرۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۚ فَإِمَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِلَيۡنَا يُرۡجَعُونَ
آیت ۴۰:۷۷ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) tum sabar say kaam lo . yaqeen rakho kay Allah ka wada sacha hai . abb hum inn ( kafiron ko ) jiss ( azab ) say dara rahey hain , chahye uss ka kuch hissa hum tumhen bhi ( tumhari zindagi mein ) dikhla den , ya tumhen duniya say utha len , bahar-soorat inn ko humaray paas hi wapis laya jaye ga .
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا رُسُلٗا مِّن قَبۡلِكَ مِنۡهُم مَّن قَصَصۡنَا عَلَيۡكَ وَمِنۡهُم مَّن لَّمۡ نَقۡصُصۡ عَلَيۡكَۗ وَمَا كَانَ لِرَسُولٍ أَن يَأۡتِيَ بِـَٔايَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ فَإِذَا جَآءَ أَمۡرُ ٱللَّهِ قُضِيَ بِٱلۡحَقِّ وَخَسِرَ هُنَالِكَ ٱلۡمُبۡطِلُونَ
آیت ۴۰:۷۸ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay hum ney tum say pehlay bhi boht say payghumber bhejay hain . unn mein say kuch woh hain jinn kay waqiyaat hum ney tumhen bata diye hain , aur kuch woh hain jinn kay waqiyaat hum ney tumhen nahi bataye . aur kissi payghumber ko yeh ikhtiyar nahi hai kay woh Allah ki ijazat kay baghair koi moajza ley aaye . phir jab Allah ka hukum aaye ga to sachai ka faisla hojaye ga , aur jo log batil ki perwi ker rahey hain , woh uss moaqa per sakht nuqsan uthayen gay .
ٱللَّهُ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَنۡعَٰمَ لِتَرۡكَبُواْ مِنۡهَا وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
آیت ۴۰:۷۹ کھولیںAllah woh hai jiss ney tumharay liye maweshi peda kiye , takay unn mein say kuch per tum sawari kero , aur unhi mein say woh bhi hain jinhen tum khatay ho .
وَلَكُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ وَلِتَبۡلُغُواْ عَلَيۡهَا حَاجَةٗ فِي صُدُورِكُمۡ وَعَلَيۡهَا وَعَلَى ٱلۡفُلۡكِ تُحۡمَلُونَ
آیت ۴۰:۸۰ کھولیںaur tumharay liye unn mein boht say faeeday hain , aur unn ka maqsad yeh bhi hai kay tumharay dilon mein ( kahen janey ki ) jo hajat ho uss tak phonch sako . aur tumhen unn janweron per aur kashtiyon per utha kerlay jaya jata hai .
وَيُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ فَأَيَّ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ تُنكِرُونَ
آیت ۴۰:۸۱ کھولیںaur Allah tumhen apni nishaniyan dikha raha hai , phir tum Allah ki kinn kinn nishaniyon ka inkar kero gay ?
أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِنۡهُمۡ وَأَشَدَّ قُوَّةٗ وَءَاثَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
آیت ۴۰:۸۲ کھولیںbhala kiya unhon ney zameen mein chal phir ker nahi dekha kay unn say pehlay jo log thay , unn ka anjam kaisa huwa ? woh inn say tadaad mein ziyada thay , aur taqat mein bhi inn say barhay huye thay , aur unn yaadgaaron mein bhi jo woh zameen mein chorr ker gaye hain . phir bhi jo kuch woh kamatay thay , woh unn kay kuch kaam nahi aaya .
فَلَمَّا جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَرِحُواْ بِمَا عِندَهُم مِّنَ ٱلۡعِلۡمِ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
آیت ۴۰:۸۳ کھولیںchunacheh jab unn kay payghumber unn kay paas khuli khuli daleelen ley ker aaye , tab bhi woh apney uss ilm per hi naaz kertay rahey jo unn kay paas tha , aur jiss cheez ka woh mazaq uraya kertay thay , ussi ney unn ko aa ghera .
فَلَمَّا رَأَوۡاْ بَأۡسَنَا قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥ وَكَفَرۡنَا بِمَا كُنَّا بِهِۦ مُشۡرِكِينَ
آیت ۴۰:۸۴ کھولیںphir jab unhon ney humara azab aankhon say dekh liya to uss waqt kaha kay : hum khudaye wahid per emaan ley aaye , aur unn sabb ka hum ney inkar kerdiya jinn ko hum Allah kay sath shareek thehraya kertay thay .
فَلَمۡ يَكُ يَنفَعُهُمۡ إِيمَٰنُهُمۡ لَمَّا رَأَوۡاْ بَأۡسَنَاۖ سُنَّتَ ٱللَّهِ ٱلَّتِي قَدۡ خَلَتۡ فِي عِبَادِهِۦۖ وَخَسِرَ هُنَالِكَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
آیت ۴۰:۸۵ کھولیںlekin jab humara azab unhon ney dekh liya tha to uss kay baad unn ka emaan lana unhen faeeda nahi phoncha sakta tha . khabar daar raho kay Allah taalaa ka yehi mamool hai jo uss kay bandon mein pehlay say chala aata hai . aur uss moaqa per kafiron ney sakht nuqsan uthaya .