فصلت

Fussilat

سورت ۴۱ · آیات: ۵۴ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. Haa-Meem

  2. تَنزِيلٞ مِّنَ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

    آیت ⁦۴۱:۲⁩ کھولیں

    yeh kalam uss zaat ki taraf say nazil kiya jaraha hai jo sabb per meharban hai , boht meharban hai .

  3. كِتَٰبٞ فُصِّلَتۡ ءَايَٰتُهُۥ قُرۡءَانًا عَرَبِيّٗا لِّقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۴۱:۳⁩ کھولیں

    arbi Quran ki shakal mein yeh woh kitab hai jiss ki aayaten ilm hasil kernay walon kay liye tafseel say biyan ki gaee hain ,

  4. بَشِيرٗا وَنَذِيرٗا فَأَعۡرَضَ أَكۡثَرُهُمۡ فَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ

    آیت ⁦۴۱:۴⁩ کھولیں

    yeh Quran khushkhabri denay wala bhi hai , aur khabrdar kernay wala bhi . phir bhi inn mein say aksar logon ney mun morr rakha hai jiss kay nateejay mein woh suntay nahi hain ,

  5. وَقَالُواْ قُلُوبُنَا فِيٓ أَكِنَّةٖ مِّمَّا تَدۡعُونَآ إِلَيۡهِ وَفِيٓ ءَاذَانِنَا وَقۡرٞ وَمِنۢ بَيۡنِنَا وَبَيۡنِكَ حِجَابٞ فَٱعۡمَلۡ إِنَّنَا عَٰمِلُونَ

    آیت ⁦۴۱:۵⁩ کھولیں

    aur ( payghumber SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam say ) kehtay hain kay : jiss cheez ki taraf tum hamen bula rahey ho , uss kay liye humaray dil ghilafon mein liptay huye hain , humaray kaan behray hain , aur humaray aur tumharay darmiyan aik perda haeel hai . lehaza tum apna kaam kertay raho , hum apna kaam ker rahey hain .

  6. قُلۡ إِنَّمَآ أَنَا۠ بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يُوحَىٰٓ إِلَيَّ أَنَّمَآ إِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ فَٱسۡتَقِيمُوٓاْ إِلَيۡهِ وَٱسۡتَغۡفِرُوهُۗ وَوَيۡلٞ لِّلۡمُشۡرِكِينَ

    آیت ⁦۴۱:۶⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) keh do kay : mein to tum hi jaisa aik insan hun . ( albatta ) mujh per yeh wahi nazil hoti hai kay tumhara khuda bus aik hi khuda hai . lehaza tum apna rukh seedha ussi ki taraf rakho , aur ussi say maghfirat maango . aur bari tabahi hai unn mushrikon kay liye

  7. ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ كَٰفِرُونَ

    آیت ⁦۴۱:۷⁩ کھولیں

    jo zakat ada nahi kertay , aur unn ka haal yeh hai kay aakhirat kay woh bilkul hi munkir hain .

  8. إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَهُمۡ أَجۡرٌ غَيۡرُ مَمۡنُونٖ

    آیت ⁦۴۱:۸⁩ کھولیں

    . ( albatta ) jo log emaan ley aaye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , unn kay liye beyshak aisa ajar hai jiss ka silsila kabhi tootney wala nahi hai .

  9. ۞قُلۡ أَئِنَّكُمۡ لَتَكۡفُرُونَ بِٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَرۡضَ فِي يَوۡمَيۡنِ وَتَجۡعَلُونَ لَهُۥٓ أَندَادٗاۚ ذَٰلِكَ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۴۱:۹⁩ کھولیں

    keh do kay : kiya tum waqaee uss zaat kay sath kufr ka moamla kertay ho jiss ney zameen ko do din mein peda kiya , aur uss kay sath doosron ko shareek thehratay ho-? woh zaat to saray jahano ki perwerish kernay wali hai .

  10. وَجَعَلَ فِيهَا رَوَٰسِيَ مِن فَوۡقِهَا وَبَٰرَكَ فِيهَا وَقَدَّرَ فِيهَآ أَقۡوَٰتَهَا فِيٓ أَرۡبَعَةِ أَيَّامٖ سَوَآءٗ لِّلسَّآئِلِينَ 

    آیت ⁦۴۱:۱۰⁩ کھولیں

    aur uss ney zameen mein jamay huye pahar peda kiye jo uss kay oopper ubhray huye hain , aur uss mein barkat daal di , aur uss mein tawazun kay sath uss ki ghizayen peda ken sabb kuch chaar din mein tamam sawal kernay walon kay liye barabar !

  11. ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰٓ إِلَى ٱلسَّمَآءِ وَهِيَ دُخَانٞ فَقَالَ لَهَا وَلِلۡأَرۡضِ ٱئۡتِيَا طَوۡعًا أَوۡ كَرۡهٗا قَالَتَآ أَتَيۡنَا طَآئِعِينَ

    آیت ⁦۴۱:۱۱⁩ کھولیں

    phir woh aasman ki taraf mutawajjah huwa , jabkay woh uss waqt dhuyen ki shakal mein tha , aur uss say aur zameen say kaha : chalay aao , chahye khushi say ya zabardasti . dono ney kaha : hum khushi khushi aatay hain .

  12. فَقَضَىٰهُنَّ سَبۡعَ سَمَٰوَاتٖ فِي يَوۡمَيۡنِ وَأَوۡحَىٰ فِي كُلِّ سَمَآءٍ أَمۡرَهَاۚ وَزَيَّنَّا ٱلسَّمَآءَ ٱلدُّنۡيَا بِمَصَٰبِيحَ وَحِفۡظٗاۚ ذَٰلِكَ تَقۡدِيرُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ

    آیت ⁦۴۱:۱۲⁩ کھولیں

    chunacheh uss ney do din mein apney faislay kay tehat unn kay saat aasman bana diye , aur her aasman mein uss kay munasib hukum bhej diya . aur hum ney uss qareeb walay aasman ko chiraghon say sajaya , aur ussay khoob mehfooz kerdiya . yeh uss zaat ki napi tuli mansooba bandi hai jiss ka iqtidar bhi kamil hai , jiss ka ilm bhi mukammal .

  13. فَإِنۡ أَعۡرَضُواْ فَقُلۡ أَنذَرۡتُكُمۡ صَٰعِقَةٗ مِّثۡلَ صَٰعِقَةِ عَادٖ وَثَمُودَ

    آیت ⁦۴۱:۱۳⁩ کھولیں

    phir bhi agar yeh log mun morren to keh do kay : mein ne tumhen uss karrkay say khabar daar kerdiya hai jaisa karrka aad aur samood per nazil huwa tha .

  14. إِذۡ جَآءَتۡهُمُ ٱلرُّسُلُ مِنۢ بَيۡنِ أَيۡدِيهِمۡ وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّا ٱللَّهَۖ قَالُواْ لَوۡ شَآءَ رَبُّنَا لَأَنزَلَ مَلَٰٓئِكَةٗ فَإِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ

    آیت ⁦۴۱:۱۴⁩ کھولیں

    yeh uss waqt ki baat hai jab unn kay paas payghumber ( kabhi ) unn kay aagay say aur ( kabhi ) unn kay peechay say yeh paygham ley ker aaye kay Allah kay siwa kissi cheez ki ibadat naa kero . unhon ney kaha kay : agar humara perwerdigar chahta to farishtay bhejta . lehaza jiss baat kay sath tumhen bheja gaya hai , hum uss ko manney say inkar kertay hain .

  15. فَأَمَّا عَادٞ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَقَالُواْ مَنۡ أَشَدُّ مِنَّا قُوَّةًۖ أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَهُمۡ هُوَ أَشَدُّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗۖ وَكَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ

    آیت ⁦۴۱:۱۵⁩ کھولیں

    phir aad ka qissa to yeh huwa kay unhon ney zameen mein nahaq takabbur ka ravaiyya ikhtiyar kiya , aur kaha kay : kon hai jo taqat mein hum say ziyada ho ? bhala kiya unn ko yeh nahi soojha kay jiss Allah ney unn ko peda kiya hai , woh taqat mein unn say kahen ziyada hai ? aur woh humari aayaton ka inkar kertay rahey .

  16. فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِيحٗا صَرۡصَرٗا فِيٓ أَيَّامٖ نَّحِسَاتٖ لِّنُذِيقَهُمۡ عَذَابَ ٱلۡخِزۡيِ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَخۡزَىٰۖ وَهُمۡ لَا يُنصَرُونَ

    آیت ⁦۴۱:۱۶⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney kuch manhoos dino mein unn per aandhi ki shakal mein hawa bheji takay unhen dunyawi zindagi mein ruswai kay azab ka maza chakhayen . aur aakhirat ka azab uss say bhi ziyada ruswa kernay wala hai , aur unn ko koi madad moyassar nahi aaye gi .

  17. وَأَمَّا ثَمُودُ فَهَدَيۡنَٰهُمۡ فَٱسۡتَحَبُّواْ ٱلۡعَمَىٰ عَلَى ٱلۡهُدَىٰ فَأَخَذَتۡهُمۡ صَٰعِقَةُ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡهُونِ بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ

    آیت ⁦۴۱:۱۷⁩ کھولیں

    rahey samood , to hum ney unhen seedha raasta dikhaya tha . lekin unhon ney seedha raasta ikhtiyar kernay kay muqablay mein andha rehney ko ziyada pasand kiya , chunacheh unhon ney jo kamai ker rakhi thi , uss ki wajeh say unn ko aesay azab kay karrkay ney aa pakra jo sarapa zillat tha ,

  18. وَنَجَّيۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ

    آیت ⁦۴۱:۱۸⁩ کھولیں

    aur jo log emaan ley aaye thay , aur taqwa ikhtiyar kiye huye thay , unn ko hum ney nijat dey di .

  19. وَيَوۡمَ يُحۡشَرُ أَعۡدَآءُ ٱللَّهِ إِلَى ٱلنَّارِ فَهُمۡ يُوزَعُونَ

    آیت ⁦۴۱:۱۹⁩ کھولیں

    aur uss din ka dhiyan rakho jab Allah kay dushmanon ko jama ker kay aag ki taraf ley jaya jaye ga , chunacheh unhen toliyon mein baant diya jaye ga .

  20. حَتَّىٰٓ إِذَا مَا جَآءُوهَا شَهِدَ عَلَيۡهِمۡ سَمۡعُهُمۡ وَأَبۡصَٰرُهُمۡ وَجُلُودُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ 

    آیت ⁦۴۱:۲۰⁩ کھولیں

    yahan tak kay jab woh uss ( aag ) kay paas phonch jayen gay to unn kay kaan , unn ki aankhen aur unn ki khalen unn kay khilaf gawahi den gi kay woh kiya kuch kertay rahey hain .

  21. وَقَالُواْ لِجُلُودِهِمۡ لِمَ شَهِدتُّمۡ عَلَيۡنَاۖ قَالُوٓاْ أَنطَقَنَا ٱللَّهُ ٱلَّذِيٓ أَنطَقَ كُلَّ شَيۡءٖۚ وَهُوَ خَلَقَكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ

    آیت ⁦۴۱:۲۱⁩ کھولیں

    woh apni khalon say kahen gay kay : tum ney humaray khilaf kiyon gawahi di . ? woh kahen gi kay : hamen ussi zaat ney bolney ki taqat dey di hai jiss ney her cheez ko goyai ata farmaee . aur wohi hai jiss ney tumhen pehli baar peda kiya tha , aur ussi ki taraf tumhen wapis ley jaya jaa raha hai .

  22. وَمَا كُنتُمۡ تَسۡتَتِرُونَ أَن يَشۡهَدَ عَلَيۡكُمۡ سَمۡعُكُمۡ وَلَآ أَبۡصَٰرُكُمۡ وَلَا جُلُودُكُمۡ وَلَٰكِن ظَنَنتُمۡ أَنَّ ٱللَّهَ لَا يَعۡلَمُ كَثِيرٗا مِّمَّا تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۴۱:۲۲⁩ کھولیں

    aur tum ( gunah kertay waqt ) iss baat say to chup hi nahi saktay thay kay tumharay kaan , tumhari aankhen aur tumhari khalen tumharay khilaf gawahi den , lekin tumhara gumaan yeh tha kay Allah ko tumharay boht say aemal ka ilm nahi hai .

  23. وَذَٰلِكُمۡ ظَنُّكُمُ ٱلَّذِي ظَنَنتُم بِرَبِّكُمۡ أَرۡدَىٰكُمۡ فَأَصۡبَحۡتُم مِّنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ

    آیت ⁦۴۱:۲۳⁩ کھولیں

    apney perwerdigar kay baaray mein tumhara yehi gumaan tha jiss ney tumhen barbad kiya , aur issi kay nateejay mein tum unn logon mein shamil hogaye jo sarasar khasaray mein hain .

  24. فَإِن يَصۡبِرُواْ فَٱلنَّارُ مَثۡوٗى لَّهُمۡۖ وَإِن يَسۡتَعۡتِبُواْ فَمَا هُم مِّنَ ٱلۡمُعۡتَبِينَ

    آیت ⁦۴۱:۲۴⁩ کھولیں

    abb inn logon ka haal yeh hai kay agar yeh sabar keren tab bhi aag hi inn ka thikana hai , aur agar yeh maazrat chahen to yeh unn logon mein say nahi hain jinn ki maazrat qubool ki jati hai .

  25. ۞وَقَيَّضۡنَا لَهُمۡ قُرَنَآءَ فَزَيَّنُواْ لَهُم مَّا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡ وَحَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ خَٰسِرِينَ

    آیت ⁦۴۱:۲۵⁩ کھولیں

    aur hum ney ( duniya mein ) inn per kuch sathi musallat ker-diye thay jinhon ney inn kay aagay peechay kay saray kamon ko khushnuma bana diya tha , chunacheh jo doosray jinnaat aur insan inn say pehlay guzar chukay hain , unn kay sath mil ker ( azab ki ) baat inn per bhi sachi hoi . yaqeenan woh sabb khasara uthaney walon mein say hain .

  26. وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَا تَسۡمَعُواْ لِهَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ وَٱلۡغَوۡاْ فِيهِ لَعَلَّكُمۡ تَغۡلِبُونَ

    آیت ⁦۴۱:۲۶⁩ کھولیں

    aur yeh kafir ( aik doosray say ) kehtay hain kay : iss Quran ko suno hi nahi , aur iss kay beech mein ghull macha diya kero takay tum hi ghalib raho .

  27. فَلَنُذِيقَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَذَابٗا شَدِيدٗا وَلَنَجۡزِيَنَّهُمۡ أَسۡوَأَ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۴۱:۲۷⁩ کھولیں

    iss liye hum inn kafiron ko sakht azab ka maza chakhayen gay , aur yeh ( duniya mein ) jo bad-tareen kaam kiya kertay thay , uss ka poora poora badla den gay .

  28. ذَٰلِكَ جَزَآءُ أَعۡدَآءِ ٱللَّهِ ٱلنَّارُۖ لَهُمۡ فِيهَا دَارُ ٱلۡخُلۡدِ جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ

    آیت ⁦۴۱:۲۸⁩ کھولیں

    yehi hai saza Allah kay dushmanon ki jo aag ki soorat mein hogi . ussi mein unn ka daemi thikana hoga , jo iss baat ka badla hoga kay woh humari aayaton ka inkar kiya kertay thay .

  29. وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ رَبَّنَآ أَرِنَا ٱلَّذَيۡنِ أَضَلَّانَا مِنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ نَجۡعَلۡهُمَا تَحۡتَ أَقۡدَامِنَا لِيَكُونَا مِنَ ٱلۡأَسۡفَلِينَ

    آیت ⁦۴۱:۲۹⁩ کھولیں

    aur yeh kafir log kahen gay kay : aey humaray perwerdigar ! hamen unn jinnaat aur insanon dono ki soorat dikhaiye jinhon ney hamen gumrah kiya tha , takay hum unhen apney paon talay aisa ronden kay woh khoob zaleel hon .

  30. إِنَّ ٱلَّذِينَ قَالُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُ ثُمَّ ٱسۡتَقَٰمُواْ تَتَنَزَّلُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ أَلَّا تَخَافُواْ وَلَا تَحۡزَنُواْ وَأَبۡشِرُواْ بِٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي كُنتُمۡ تُوعَدُونَ 

    آیت ⁦۴۱:۳۰⁩ کھولیں

    . ( doosri taraf ) jinn logon ney kaha hai kay : humara rab Allah hai aur phir woh uss per sabit qadam rahey to unn per beyshak farishtay ( yeh kehtay huye ) utren gay kay : naa koi khof dil mein lao , naa kissi baat ka ghum kero , aur uss jannat say khush hojao jiss ka tum say wada kiya jata tha .

  31. نَحۡنُ أَوۡلِيَآؤُكُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِۖ وَلَكُمۡ فِيهَا مَا تَشۡتَهِيٓ أَنفُسُكُمۡ وَلَكُمۡ فِيهَا مَا تَدَّعُونَ

    آیت ⁦۴۱:۳۱⁩ کھولیں

    hum duniya wali zindagi mein bhi tumharay sathi thay , aur aakhirat mein bhi rahen gay . aur iss jannat mein her woh cheez tumharay hi liye hai jiss ko tumhara dil chahye , aur iss mein her woh cheez tumharay hi liye hai jo tum mangwana chahao ,

  32. نُزُلٗا مِّنۡ غَفُورٖ رَّحِيمٖ

    آیت ⁦۴۱:۳۲⁩ کھولیں

    yeh sabb kuch uss zaat ki taraf say pehli pehli meyzbani hai jiss ki bakhshish bhi boht hai , jiss ki rehmat bhi kamil .

  33. وَمَنۡ أَحۡسَنُ قَوۡلٗا مِّمَّن دَعَآ إِلَى ٱللَّهِ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا وَقَالَ إِنَّنِي مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۴۱:۳۳⁩ کھولیں

    aur uss shaks say behtar baat kiss ki hogi jo Allah ki taraf dawat dey , aur naik amal keray , aur yeh kahey kay mein farmanbardaron mein shamil hun .

  34. وَلَا تَسۡتَوِي ٱلۡحَسَنَةُ وَلَا ٱلسَّيِّئَةُۚ ٱدۡفَعۡ بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ فَإِذَا ٱلَّذِي بَيۡنَكَ وَبَيۡنَهُۥ عَدَٰوَةٞ كَأَنَّهُۥ وَلِيٌّ حَمِيمٞ

    آیت ⁦۴۱:۳۴⁩ کھولیں

    aur naiki aur badi barabar nahi hoti . tum badi ka difaa aesay tareeqay say kero jo behtareen ho . nateeja yeh hoga kay jiss kay aur tumharay darmiyan dushmani thi , woh dekhtay hi dekhtay aisa hojaye ga jaisay woh ( tumhara ) jigri dost ho .

  35. وَمَا يُلَقَّىٰهَآ إِلَّا ٱلَّذِينَ صَبَرُواْ وَمَا يُلَقَّىٰهَآ إِلَّا ذُو حَظٍّ عَظِيمٖ

    آیت ⁦۴۱:۳۵⁩ کھولیں

    aur yeh baat sirf unhi ko ata hoti hai jo sabar say kaam letay hain , aur yeh baat ussi ko ata hoti hai jo baray naseebay wala ho .

  36. وَإِمَّا يَنزَغَنَّكَ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ نَزۡغٞ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۴۱:۳۶⁩ کھولیں

    aur agar tumhen shetan ki taraf say kabhi koi kachoka lagay to shetan mardood say Allah ki panah maang liya kero . beyshak woh her baat sunney wala , her baat janney wala hai .

  37. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِ ٱلَّيۡلُ وَٱلنَّهَارُ وَٱلشَّمۡسُ وَٱلۡقَمَرُۚ لَا تَسۡجُدُواْ لِلشَّمۡسِ وَلَا لِلۡقَمَرِ وَٱسۡجُدُواْۤ لِلَّهِۤ ٱلَّذِي خَلَقَهُنَّ إِن كُنتُمۡ إِيَّاهُ تَعۡبُدُونَ

    آیت ⁦۴۱:۳۷⁩ کھولیں

    aur ussi ki nishaniyon mein say hain yeh raat aur din aur sooraj aur chaand . naa sooraj ko sajda kero , naa chaand ko , aur sajda uss Allah ko kero jiss ney unhen peda kiya hai , agar waqaee tumhen ussi ki ibadat kerni hai .

  38. فَإِنِ ٱسۡتَكۡبَرُواْ فَٱلَّذِينَ عِندَ رَبِّكَ يُسَبِّحُونَ لَهُۥ بِٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَهُمۡ لَا يَسۡـَٔمُونَ۩

    آیت ⁦۴۱:۳۸⁩ کھولیں

    phir bhi agar yeh ( kafir ) takabbur say kaam len , to ( kertay rahen ) kiyonkay jo ( farishtay ) tumharay rab kay paas hain , woh din raat uss ki tasbeeh kertay hain , aur woh uktatay nahi hain .

  39. وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنَّكَ تَرَى ٱلۡأَرۡضَ خَٰشِعَةٗ فَإِذَآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهَا ٱلۡمَآءَ ٱهۡتَزَّتۡ وَرَبَتۡۚ إِنَّ ٱلَّذِيٓ أَحۡيَاهَا لَمُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰٓۚ إِنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ

    آیت ⁦۴۱:۳۹⁩ کھولیں

    aur uss ki nishaniyon mein say yeh bhi hai kay tum zameen ko dekhtay ho kay woh murjhai parri hai . phir junhi hum ney uss per paani utaara , woh harkat mein aagae , aur uss mein barhotry peda hogaee . haqeeqat yeh hai kay jiss ney uss zameen ko zinda kiya , wohi murdon ko bhi zinda kernay wala hai . yaqeenan woh her cheez per qadir hai .

  40. إِنَّ ٱلَّذِينَ يُلۡحِدُونَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا لَا يَخۡفَوۡنَ عَلَيۡنَآۗ أَفَمَن يُلۡقَىٰ فِي ٱلنَّارِ خَيۡرٌ أَم مَّن يَأۡتِيٓ ءَامِنٗا يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ ٱعۡمَلُواْ مَا شِئۡتُمۡ إِنَّهُۥ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ 

    آیت ⁦۴۱:۴۰⁩ کھولیں

    jo log humari aayaton kay baaray mein tairrah raasta ikhtiyar kertay hain , woh hum say chup nahi saktay . bhala batao kay jiss shaks ko aag mein daal diya jaye , woh behtar hai , ya woh shaks jo qayamat kay din bey khof o khatar aaye ga ? ( acha ) jo chahao , kerlo , yaqeen jano kay woh tumharay her kaam ko khoob dekh raha hai .

  41. إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِٱلذِّكۡرِ لَمَّا جَآءَهُمۡۖ وَإِنَّهُۥ لَكِتَٰبٌ عَزِيزٞ

    آیت ⁦۴۱:۴۱⁩ کھولیں

    beyshak ( unn logon ney boht bura kiya hai ) jinhon ney naseehat ki iss kitab ka inkar kiya jabkay woh unn kay paas aa-chuki thi , halankay woh bari izzat wali kitab hai ,

  42. لَّا يَأۡتِيهِ ٱلۡبَٰطِلُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَلَا مِنۡ خَلۡفِهِۦۖ تَنزِيلٞ مِّنۡ حَكِيمٍ حَمِيدٖ

    آیت ⁦۴۱:۴۲⁩ کھولیں

    jiss tak batil ki koi rasai nahi hai , naa uss kay aagay say , naa uss kay peechay say . yeh uss zaat ki taraf say utaari jaa rahi hai jo hikmat ka malik hai , tamam tareefen ussi ki taraf loatti hain .

  43. مَّا يُقَالُ لَكَ إِلَّا مَا قَدۡ قِيلَ لِلرُّسُلِ مِن قَبۡلِكَۚ إِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغۡفِرَةٖ وَذُو عِقَابٍ أَلِيمٖ

    آیت ⁦۴۱:۴۳⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) tum say jo baaten kahi jaa rahi hain , woh wohi hain jo tum say pehlay payghumberon say kahi gaee then . yaqeen rakho tumhara perwerdigar maghfirat kernay wala bhi hai , aur dardnak saza denay wala bhi .

  44. وَلَوۡ جَعَلۡنَٰهُ قُرۡءَانًا أَعۡجَمِيّٗا لَّقَالُواْ لَوۡلَا فُصِّلَتۡ ءَايَٰتُهُۥٓۖ ءَا۬عۡجَمِيّٞ وَعَرَبِيّٞۗ قُلۡ هُوَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ هُدٗى وَشِفَآءٞۚ وَٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ فِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٞ وَهُوَ عَلَيۡهِمۡ عَمًىۚ أُوْلَٰٓئِكَ يُنَادَوۡنَ مِن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ

    آیت ⁦۴۱:۴۴⁩ کھولیں

    aur agar hum iss ( Quran ) ko ajmi Quran banatay to yeh log kehtay kay : iss ki aayaten khol khol ker kiyon nahi biyan ki gaeen-? yeh kiya baat hai kay Quran ajmi hai , aur payghumber arbi-? keh do kay : jo log emaan layen , unn kay liye yeh hidayat aur shifa ka saman hai , aur jo emaan nahi latay , unn kay kanon mein daat lagi hoi hai , aur yeh ( Quran ) unn kay liye andheray mein bhatakney ka saman hai . aesay logon ko kissi door daraz jagah say pukara jaa raha hai .

  45. وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ فَٱخۡتُلِفَ فِيهِۚ وَلَوۡلَا كَلِمَةٞ سَبَقَتۡ مِن رَّبِّكَ لَقُضِيَ بَيۡنَهُمۡۚ وَإِنَّهُمۡ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُ مُرِيبٖ

    آیت ⁦۴۱:۴۵⁩ کھولیں

    aur hum ney musa ko bhi kitab di thi , phir uss mein bhi ikhtilaf huwa . aur agar tumharay perwerdigar ki taraf say aik baat pehlay hi tey naa kerdi gaee hoti , to inn logon ka moamla chuka hi diya gaya hota . aur haqeeqat yeh hai kay yeh log aesay shak mein parray huye hain jiss ney inn ko khaljaan mein daal rakha hai .

  46. مَّنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَسَآءَ فَعَلَيۡهَاۗ وَمَا رَبُّكَ بِظَلَّٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ

    آیت ⁦۴۱:۴۶⁩ کھولیں

    jo koi naik amal kerta hai , woh apney hi faeeday kay liye kerta hai , aur jo koi burai kerta hai , woh apney hi nuqsan kay liye kerta hai , aur tumhara perwerdigar bandon per zulm kernay wala nahi hai .

  47. ۞إِلَيۡهِ يُرَدُّ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِۚ وَمَا تَخۡرُجُ مِن ثَمَرَٰتٖ مِّنۡ أَكۡمَامِهَا وَمَا تَحۡمِلُ مِنۡ أُنثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلۡمِهِۦۚ وَيَوۡمَ يُنَادِيهِمۡ أَيۡنَ شُرَكَآءِي قَالُوٓاْ ءَاذَنَّٰكَ مَا مِنَّا مِن شَهِيدٖ

    آیت ⁦۴۱:۴۷⁩ کھولیں

    qayamat ka ilm ussi ki taraf lotaya jata hai . aur Allah kay ilm kay baghair naa phalon mein say koi phal apney shagoofon say nikalta hai , aur naa kissi mada ko hamal thehrta hai , aur naa uss kay koi baccha peda hota hai . aur jiss din woh inn ( mushrikon ) ko pukaray ga kay : kahan hain meray woh shareek-? to woh kahen gay kay : hum to aap say yehi arz kertay hain kay hum mein say koi abb iss baat ka gawah nahi hai ( kay aap ka koi shareek hai )

  48. وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَدۡعُونَ مِن قَبۡلُۖ وَظَنُّواْ مَا لَهُم مِّن مَّحِيصٖ

    آیت ⁦۴۱:۴۸⁩ کھولیں

    aur pehlay yeh log jinn ( jhootay khudaon ) ko pukara kertay thay , unn ko abb unn ka koi suragh nahi milay ga , aur woh samajh jayen gay kay unn kay liye abb bachao ka koi raasta nahi hai .

  49. لَّا يَسۡـَٔمُ ٱلۡإِنسَٰنُ مِن دُعَآءِ ٱلۡخَيۡرِ وَإِن مَّسَّهُ ٱلشَّرُّ فَيَـُٔوسٞ قَنُوطٞ

    آیت ⁦۴۱:۴۹⁩ کھولیں

    insan ka haal yeh hai kay woh bhalai maangney say nahi thakta , aur agar ussay koi burai choo jaye to aisa mayyus hojata hai kay her umeed chorr bethta hai .

  50. وَلَئِنۡ أَذَقۡنَٰهُ رَحۡمَةٗ مِّنَّا مِنۢ بَعۡدِ ضَرَّآءَ مَسَّتۡهُ لَيَقُولَنَّ هَٰذَا لِي وَمَآ أَظُنُّ ٱلسَّاعَةَ قَآئِمَةٗ وَلَئِن رُّجِعۡتُ إِلَىٰ رَبِّيٓ إِنَّ لِي عِندَهُۥ لَلۡحُسۡنَىٰۚ فَلَنُنَبِّئَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِمَا عَمِلُواْ وَلَنُذِيقَنَّهُم مِّنۡ عَذَابٍ غَلِيظٖ 

    آیت ⁦۴۱:۵۰⁩ کھولیں

    aur jo takleef ussay phonchi thi , agar uss kay baad hum ussay apni taraf say kissi rehmat ka maza chakha den to woh laziman yeh kahey ga kay : yeh to mera haq tha , aur mein nahi samajhta kay qayamat aaney wali hai , aur agar mujhay apney rab kay paas wapis bheja bhi gaya to mujhay yaqeen hai kay uss kay paas bhi mujhay khush haali hi zaroor milay gi . abb hum inn kafiron ko yeh zaroor jatlayen gay kay unhon ney kiya amal kiye hain , aur unhen aik sakht azab ka maza zaroor chakhayen gay .

  51. وَإِذَآ أَنۡعَمۡنَا عَلَى ٱلۡإِنسَٰنِ أَعۡرَضَ وَنَـَٔا بِجَانِبِهِۦ وَإِذَا مَسَّهُ ٱلشَّرُّ فَذُو دُعَآءٍ عَرِيضٖ

    آیت ⁦۴۱:۵۱⁩ کھولیں

    aur jab hum insan per koi inaam kertay hain to woh mun morr leta aur pehlo badal ker door chala jata hai , aur jab ussay koi burai choo jati hai to woh lambi chorri duayen kernay lagta hai .

  52. قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن كَانَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ ثُمَّ كَفَرۡتُم بِهِۦ مَنۡ أَضَلُّ مِمَّنۡ هُوَ فِي شِقَاقِۭ بَعِيدٖ

    آیت ⁦۴۱:۵۲⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn kafiron say ) kaho kay : zara mujhay batao kay agar yeh ( Quran ) Allah ki taraf say aaya hai , phir bhi tum ney iss ka inkar kiya to uss shaks say ziyada gumrah kon hoga jo ( uss ki ) mukhalifat mein boht door nikal gaya ho-?

  53. سَنُرِيهِمۡ ءَايَٰتِنَا فِي ٱلۡأٓفَاقِ وَفِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَهُمۡ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّۗ أَوَلَمۡ يَكۡفِ بِرَبِّكَ أَنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ

    آیت ⁦۴۱:۵۳⁩ کھولیں

    hum unhen apni nishaniyan kainat mein bhi dikhayen gay aur khud unn kay apney wajood mein bhi , yahan tak kay unn per yeh baat khul ker samney aajaye kay yehi haq hai . kiya tumharay rab ki yeh baat kafi nahi hai kay woh her cheez ka gawah hai-?

  54. أَلَآ إِنَّهُمۡ فِي مِرۡيَةٖ مِّن لِّقَآءِ رَبِّهِمۡۗ أَلَآ إِنَّهُۥ بِكُلِّ شَيۡءٖ مُّحِيطُۢ

    آیت ⁦۴۱:۵۴⁩ کھولیں

    yaad rakho kay yeh log apney rab ka samna kernay kay moamlay mein shak mein parray huye hain . yaad rakho kay woh her cheez ko ehatay mein liye huye hai .