يس
Yaseen
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Ya-Seen !
وَٱلۡقُرۡءَانِ ٱلۡحَكِيمِ
آیت ۳۶:۲ کھولیںhikmat bharay Quran ki qasam !
إِنَّكَ لَمِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۶:۳ کھولیںtum yaqeenan payghumberon mein say ho
عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
آیت ۳۶:۴ کھولیںbilkul seedhay raastay per !
تَنزِيلَ ٱلۡعَزِيزِ ٱلرَّحِيمِ
آیت ۳۶:۵ کھولیںyeh Quran uss zaat ki taraf say utaara jaraha hai jiss ka iqtidar bhi kamil hai , jiss ki rehmat bhi kamil ,
لِتُنذِرَ قَوۡمٗا مَّآ أُنذِرَ ءَابَآؤُهُمۡ فَهُمۡ غَٰفِلُونَ
آیت ۳۶:۶ کھولیںtakay tum unn logon ko khabrdar kero jinn kay baap dadon ko pehlay khabrdar nahi kiya gaya tha , iss liye woh ghaflat mein parray huye hain .
لَقَدۡ حَقَّ ٱلۡقَوۡلُ عَلَىٰٓ أَكۡثَرِهِمۡ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
آیت ۳۶:۷ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay unn mein say aksar logon kay baaray mein baat poori hochuki hai , iss liye woh emaan nahi latay .
إِنَّا جَعَلۡنَا فِيٓ أَعۡنَٰقِهِمۡ أَغۡلَٰلٗا فَهِيَ إِلَى ٱلۡأَذۡقَانِ فَهُم مُّقۡمَحُونَ
آیت ۳۶:۸ کھولیںhum ney unn kay galon mein toq daal rakhay hain , jo thorriyon tak phonchay huye hain , aur iss wajeh say unn kay sar oopper ko uthay reh gaye hain .
وَجَعَلۡنَا مِنۢ بَيۡنِ أَيۡدِيهِمۡ سَدّٗا وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ سَدّٗا فَأَغۡشَيۡنَٰهُمۡ فَهُمۡ لَا يُبۡصِرُونَ
آیت ۳۶:۹ کھولیںaur hum ney aik aarr unn kay aagay kharri kerdi hai , aur aik aarr unn kay peechay kharri kerdi hai , aur iss tarah unhen her taraf say dhaank liya hai jiss kay nateejay mein unhen kuch sujhai nahi deta .
وَسَوَآءٌ عَلَيۡهِمۡ ءَأَنذَرۡتَهُمۡ أَمۡ لَمۡ تُنذِرۡهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
آیت ۳۶:۱۰ کھولیںaur unn kay liye dono baaten barabar hain , chahye tum unhen khabrdar kero , ya khabrdar naa kero , woh emaan nahi layen gay .
إِنَّمَا تُنذِرُ مَنِ ٱتَّبَعَ ٱلذِّكۡرَ وَخَشِيَ ٱلرَّحۡمَٰنَ بِٱلۡغَيۡبِۖ فَبَشِّرۡهُ بِمَغۡفِرَةٖ وَأَجۡرٖ كَرِيمٍ
آیت ۳۶:۱۱ کھولیںtum to sirf aesay shaks ko khabrdar ker-saktay ho jo naseehat per chalay , aur khudaye rehman ko dekhay baghair uss say daray . chunacheh aesay shaks ko tum maghfirat aur ba-izzat ajar ki khushkhabri suna do .
إِنَّا نَحۡنُ نُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَنَكۡتُبُ مَا قَدَّمُواْ وَءَاثَٰرَهُمۡۚ وَكُلَّ شَيۡءٍ أَحۡصَيۡنَٰهُ فِيٓ إِمَامٖ مُّبِينٖ
آیت ۳۶:۱۲ کھولیںyaqeenan hum hi murdon ko zinda keren gay , aur jo kuch amal unhon ney aagay bhejay hain , hum unn ko bhi likhtay jatay hain , aur unn kay kamon kay jo asraat hain unn ko bhi . aur hum ney aik wazeh kitab mein her her cheez ka poora ehata ker rakha hai .
وَٱضۡرِبۡ لَهُم مَّثَلًا أَصۡحَٰبَ ٱلۡقَرۡيَةِ إِذۡ جَآءَهَا ٱلۡمُرۡسَلُونَ
آیت ۳۶:۱۳ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) tum inn kay samney aik basti walon ki misal paish kero , jab unn kay paas Rasool aaye thay .
إِذۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهِمُ ٱثۡنَيۡنِ فَكَذَّبُوهُمَا فَعَزَّزۡنَا بِثَالِثٖ فَقَالُوٓاْ إِنَّآ إِلَيۡكُم مُّرۡسَلُونَ
آیت ۳۶:۱۴ کھولیںjab hum ney unn kay paas ( shuroo mein ) do Rasool bhejay , to unhon ney dono ko jhutla diya , phir hum ney aik teesray kay zariye unn ki taeed ki , aur unn sabb ney kaha kay : yaqeen jano hamen tumharay paas Rasool bana ker bheja gaya hai .
قَالُواْ مَآ أَنتُمۡ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُنَا وَمَآ أَنزَلَ ٱلرَّحۡمَٰنُ مِن شَيۡءٍ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا تَكۡذِبُونَ
آیت ۳۶:۱۵ کھولیںunhon ney kaha : tumhari haqeeqat iss kay siwa kuch bhi nahi kay tum hum jaisay hi aadmi ho . aur khudaye rehman ney koi cheez nazil nahi ki hai , aur tum sarasar jhoot bol rahey ho .
قَالُواْ رَبُّنَا يَعۡلَمُ إِنَّآ إِلَيۡكُمۡ لَمُرۡسَلُونَ
آیت ۳۶:۱۶ کھولیںunn ( Rasoolon ) ney kaha : humara perwerdigar khoob janta hai kay hamen waqaee tumharay paas Rasool bana ker bheja gaya hai .
وَمَا عَلَيۡنَآ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
آیت ۳۶:۱۷ کھولیںaur humari zimma daari iss say ziyada nahi hai kay saaf saaf paygham phoncha den .
قَالُوٓاْ إِنَّا تَطَيَّرۡنَا بِكُمۡۖ لَئِن لَّمۡ تَنتَهُواْ لَنَرۡجُمَنَّكُمۡ وَلَيَمَسَّنَّكُم مِّنَّا عَذَابٌ أَلِيمٞ
آیت ۳۶:۱۸ کھولیںbasti walon ney kaha : hum ney to tumharay andar nahoosat mehsoos ki hai . yaqeen jano agar tum baaz naa aaye to hum tum per pathar barsayen gay , aur humaray haathon tumhen bari dardnak saza milay gi .
قَالُواْ طَٰٓئِرُكُم مَّعَكُمۡ أَئِن ذُكِّرۡتُمۚ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ مُّسۡرِفُونَ
آیت ۳۶:۱۹ کھولیںRasoolon ney kaha : tumhari nahoosat khud tumharay sath lagi hoi hai . kiya yeh baaten iss liye ker rahey ho kay tumhen naseehat ki baat phonchai gaee hai ? asal baat yeh hai kay tum khud hadd say guzray huye log ho .
وَجَآءَ مِنۡ أَقۡصَا ٱلۡمَدِينَةِ رَجُلٞ يَسۡعَىٰ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱتَّبِعُواْ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
آیت ۳۶:۲۰ کھولیںaur shehar kay perlay ilaqay say aik shaks dorrta huwa aaya . uss ney kaha : aey meri qoam kay logo ! inn Rasoolon ka kehna maan lo ,
ٱتَّبِعُواْ مَن لَّا يَسۡـَٔلُكُمۡ أَجۡرٗا وَهُم مُّهۡتَدُونَ
آیت ۳۶:۲۱ کھولیںinn logon ka kehna maan lo jo tum say koi ujrat nahi maang rahey , aur woh sahih raastay per hain .
وَمَا لِيَ لَآ أَعۡبُدُ ٱلَّذِي فَطَرَنِي وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
آیت ۳۶:۲۲ کھولیںaur bhala mein uss zaat ki ibadat kiyon naa kerun jiss ney mujhay peda kiya hai ? aur ussi ki taraf tum sabb ko wapis bheja jaye ga .
ءَأَتَّخِذُ مِن دُونِهِۦٓ ءَالِهَةً إِن يُرِدۡنِ ٱلرَّحۡمَٰنُ بِضُرّٖ لَّا تُغۡنِ عَنِّي شَفَٰعَتُهُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَا يُنقِذُونِ
آیت ۳۶:۲۳ کھولیںbhala kiya ussay chorr ker mein aeson ko mabood maanun kay agar khudaye rehman mujhay koi nuqsan phonchaney ka irada kerlay to unn ki sifarish meray kissi kaam naa aaye , aur naa woh mujhay churra saken-?
إِنِّيٓ إِذٗا لَّفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
آیت ۳۶:۲۴ کھولیںagar mein aisa kerun ga to yaqeenan mein khuli gumrahi mein mubtala hojaon ga .
إِنِّيٓ ءَامَنتُ بِرَبِّكُمۡ فَٱسۡمَعُونِ
آیت ۳۶:۲۵ کھولیںmein to tumharay perwerdigar per emaan laa-chuka . abb tum bhi meri baat sunn lo .
قِيلَ ٱدۡخُلِ ٱلۡجَنَّةَۖ قَالَ يَٰلَيۡتَ قَوۡمِي يَعۡلَمُونَ
آیت ۳۶:۲۶ کھولیں. ( aakhir kaar basti walon ney uss ko qatal kerdiya , aur Allah taalaa ki taraf say uss say ) kaha gaya kay : jannat mein dakhil hojao . uss ney ( jannat ki naimaten dekh ker ) kaha kay : kaash ! meri qoam ko maloom hojaye
بِمَا غَفَرَ لِي رَبِّي وَجَعَلَنِي مِنَ ٱلۡمُكۡرَمِينَ
آیت ۳۶:۲۷ کھولیںkay meray perwerdigar ney kiss tarah meri bakhshish ki hai , aur mujhay ba-izzat logon mein shamil kiya hai !
۞وَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَىٰ قَوۡمِهِۦ مِنۢ بَعۡدِهِۦ مِن جُندٖ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَمَا كُنَّا مُنزِلِينَ
آیت ۳۶:۲۸ کھولیںaur uss shaks kay baad hum ney uss ki qoam per aasman say koi lashkar nahi utaara , aur naa hamen utaarney ki zaroorat thi .
إِن كَانَتۡ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ فَإِذَا هُمۡ خَٰمِدُونَ
آیت ۳۶:۲۹ کھولیںwoh to bus aik hi chinghaarr thi jiss say woh aik dum bujh ker reh gaye .
يَٰحَسۡرَةً عَلَى ٱلۡعِبَادِۚ مَا يَأۡتِيهِم مِّن رَّسُولٍ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
آیت ۳۶:۳۰ کھولیںafsos hai aesay bandon kay haal per ! unn kay paas koi Rasool aisa nahi aaya jiss ka woh mazaq naa uratay rahey hon .
أَلَمۡ يَرَوۡاْ كَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّنَ ٱلۡقُرُونِ أَنَّهُمۡ إِلَيۡهِمۡ لَا يَرۡجِعُونَ
آیت ۳۶:۳۱ کھولیںkiya unhon ney nahi dekha kay unn say pehlay hum kitni qoamon ko iss tarah halak ker-chukay hain kay woh unn kay paas loat ker nahi aatay ?
وَإِن كُلّٞ لَّمَّا جَمِيعٞ لَّدَيۡنَا مُحۡضَرُونَ
آیت ۳۶:۳۲ کھولیںaur yeh jitney log hain , inn sabhi ko ikattha ker kay humaray samney hazir kiya jaye ga .
وَءَايَةٞ لَّهُمُ ٱلۡأَرۡضُ ٱلۡمَيۡتَةُ أَحۡيَيۡنَٰهَا وَأَخۡرَجۡنَا مِنۡهَا حَبّٗا فَمِنۡهُ يَأۡكُلُونَ
آیت ۳۶:۳۳ کھولیںaur inn kay liye aik nishani woh zameen hai jo murda parri hoi thi . hum ney ussay zindagi ata ki , aur uss say ghalla nikala , jiss ki khurak yeh khatay hain .
وَجَعَلۡنَا فِيهَا جَنَّٰتٖ مِّن نَّخِيلٖ وَأَعۡنَٰبٖ وَفَجَّرۡنَا فِيهَا مِنَ ٱلۡعُيُونِ
آیت ۳۶:۳۴ کھولیںaur hum ney uss zameen mein khajooron aur angooron kay baagh peda kiye , aur aisa intizam kiya kay uss mein say paani kay chashmay phoot niklay ,
لِيَأۡكُلُواْ مِن ثَمَرِهِۦ وَمَا عَمِلَتۡهُ أَيۡدِيهِمۡۚ أَفَلَا يَشۡكُرُونَ
آیت ۳۶:۳۵ کھولیںtakay yeh uss ki pedawaar mein say khayen , halankay uss ko inn kay haathon ney nahi banaya tha . kiya phir bhi yeh shukar ada nahi keren gay ?
سُبۡحَٰنَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَزۡوَٰجَ كُلَّهَا مِمَّا تُنۢبِتُ ٱلۡأَرۡضُ وَمِنۡ أَنفُسِهِمۡ وَمِمَّا لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۳۶:۳۶ کھولیںpak hai woh zaat jiss ney her cheez kay jooray jooray peda kiye hain , uss pedawaar kay bhi jo zameen ugati hai , aur khud inn insanon kay bhi , aur unn cheezon kay bhi jinhen yeh log ( abhi ) jantay tak nahi hain .
وَءَايَةٞ لَّهُمُ ٱلَّيۡلُ نَسۡلَخُ مِنۡهُ ٱلنَّهَارَ فَإِذَا هُم مُّظۡلِمُونَ
آیت ۳۶:۳۷ کھولیںaur inn kay liye aik aur nishani raat hai . hum uss per say din ka chilka utaar letay hain to woh yakayak andheray mein reh jatay hain .
وَٱلشَّمۡسُ تَجۡرِي لِمُسۡتَقَرّٖ لَّهَاۚ ذَٰلِكَ تَقۡدِيرُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
آیت ۳۶:۳۸ کھولیںaur sooraj apney thikaney ki taraf chala jaraha hai . yeh sabb uss zaat ka muqarrar kiya huwa nizam hai jiss ka iqtidar bhi kamil hai , jiss ka ilm bhi kamil .
وَٱلۡقَمَرَ قَدَّرۡنَٰهُ مَنَازِلَ حَتَّىٰ عَادَ كَٱلۡعُرۡجُونِ ٱلۡقَدِيمِ
آیت ۳۶:۳۹ کھولیںaur chaand hai kay hum ney uss ki manzilen naap tol ker muqarrar kerdi hain , yahan tak kay woh jab ( unn manzilon kay doray say ) loat ker aata hai to khajoor ki purani tehni ki tarah ( patla ) ho ker reh jata hai .
لَا ٱلشَّمۡسُ يَنۢبَغِي لَهَآ أَن تُدۡرِكَ ٱلۡقَمَرَ وَلَا ٱلَّيۡلُ سَابِقُ ٱلنَّهَارِۚ وَكُلّٞ فِي فَلَكٖ يَسۡبَحُونَ
آیت ۳۶:۴۰ کھولیںnaa to sooraj ki yeh majal hai kay woh chaand ko ja-pakray , aur naa raat din say aagay nikal sakti hai . aur yeh sabb apney apney madaar mein ter rahey hain .
وَءَايَةٞ لَّهُمۡ أَنَّا حَمَلۡنَا ذُرِّيَّتَهُمۡ فِي ٱلۡفُلۡكِ ٱلۡمَشۡحُونِ
آیت ۳۶:۴۱ کھولیںaur inn kay liye aik aur nishani yeh hai kay hum ney inn ki aulad ko bhari hoi kashti mein sawar kiya ,
وَخَلَقۡنَا لَهُم مِّن مِّثۡلِهِۦ مَا يَرۡكَبُونَ
آیت ۳۶:۴۲ کھولیںaur hum ney inn kay liye ussi jaisi aur cheezen bhi peda ken jinn per yeh sawari kertay hain .
وَإِن نَّشَأۡ نُغۡرِقۡهُمۡ فَلَا صَرِيخَ لَهُمۡ وَلَا هُمۡ يُنقَذُونَ
آیت ۳۶:۴۳ کھولیںaur agar hum chahen to enhen gharq ker daalen , jiss kay baad naa to koi inn ki fariyad ko phonchay , aur naa unn ki jaan bachai jasakay .
إِلَّا رَحۡمَةٗ مِّنَّا وَمَتَٰعًا إِلَىٰ حِينٖ
آیت ۳۶:۴۴ کھولیںlekin yeh sabb humari taraf say aik rehmat hai , aur aik moyyan waqt tak ( zindagi ka ) maza uthaney ka moaqa hai ( jo enhen diya jaraha hai ) .
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّقُواْ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيكُمۡ وَمَا خَلۡفَكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
آیت ۳۶:۴۵ کھولیںaur jab inn say kaha jata hai kay : bacho uss ( azab ) say jo tumharay samney hai , aur jo tumharay ( marney kay ) baad aaye ga , takay tum per reham kiya jaye . ( to woh zara kaan nahi dhartay )
وَمَا تَأۡتِيهِم مِّنۡ ءَايَةٖ مِّنۡ ءَايَٰتِ رَبِّهِمۡ إِلَّا كَانُواْ عَنۡهَا مُعۡرِضِينَ
آیت ۳۶:۴۶ کھولیںaur unn kay perwerdigar ki nishaniyon mein say koi nishani aesi nahi aati jiss say woh mun naa morr letay hon .
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ أَنفِقُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ قَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَنُطۡعِمُ مَن لَّوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ أَطۡعَمَهُۥٓ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
آیت ۳۶:۴۷ کھولیںaur jab unn say kaha jata hai kay : Allah ney tumhen jo rizq diya hai , uss mein say ( ghareebon per bhi ) kharch kero , to yeh kafir log musalmanon say kehtay hain kay : kiya hum unn logon ko khana khilayen jinhen agar Allah chahta to khud khila deta ? ( musalmano ! ) tumhari haqeeqat iss kay siwa kuch bhi nahi kay tum khuli gumrahi mein parray huye ho .
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
آیت ۳۶:۴۸ کھولیںaur kehtay hain kay : yeh ( qayamat ka ) wada kab poora hoga-? ( musalmano ! ) batao , agar tum sachay ho .
مَا يَنظُرُونَ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ تَأۡخُذُهُمۡ وَهُمۡ يَخِصِّمُونَ
آیت ۳۶:۴۹ کھولیں. ( darasal ) yeh log bus aik chinghaarr ka intizar ker rahey hain jo inn ki hujjat bazi kay aen darmiyan enhen aa-pakray gi ,
فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ تَوۡصِيَةٗ وَلَآ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِمۡ يَرۡجِعُونَ
آیت ۳۶:۵۰ کھولیںphir naa yeh koi wasiyyat ker-saken gay , aur naa apney ghar walon kay paas loat ker jasaken gay .
وَنُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَإِذَا هُم مِّنَ ٱلۡأَجۡدَاثِ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ يَنسِلُونَ
آیت ۳۶:۵۱ کھولیںaur soor phoonka jaye ga to yakayak yeh apni qabron say nikal ker apney perwerdigar ki taraf tezi say rawana hojayen gay .
قَالُواْ يَٰوَيۡلَنَا مَنۢ بَعَثَنَا مِن مَّرۡقَدِنَاۜۗ هَٰذَا مَا وَعَدَ ٱلرَّحۡمَٰنُ وَصَدَقَ ٱلۡمُرۡسَلُونَ
آیت ۳۶:۵۲ کھولیںkahen gay kay : haaye humari kam bakhti ! hamen kiss ney humaray marqad say utha kharra kiya hai ? ( jawab milay ga kay ) : yeh wohi cheez hai jiss ka khudaye rehman ney wada kiya tha , aur payghumberon ney sachi baat kahi thi .
إِن كَانَتۡ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ فَإِذَا هُمۡ جَمِيعٞ لَّدَيۡنَا مُحۡضَرُونَ
آیت ۳۶:۵۳ کھولیںaur kuch nahi , bus aik zor ki aawaz hogi , jiss kay baad yeh sabb kay sabb humaray samney hazir kerdiye jayen gay .
فَٱلۡيَوۡمَ لَا تُظۡلَمُ نَفۡسٞ شَيۡـٔٗا وَلَا تُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۳۶:۵۴ کھولیںchunacheh uss din kissi shaks per koi zulm nahi hoga , aur tumhen kissi aur cheez ka nahi , balkay unhi kamon ka badla milay ga jo tum kiya kertay thay .
إِنَّ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ ٱلۡيَوۡمَ فِي شُغُلٖ فَٰكِهُونَ
آیت ۳۶:۵۵ کھولیںjannat walay log uss din yaqeenan apney mashghalay mein magan hon gay ,
هُمۡ وَأَزۡوَٰجُهُمۡ فِي ظِلَٰلٍ عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ مُتَّكِـُٔونَ
آیت ۳۶:۵۶ کھولیںwoh aur unn ki biwiyan ghaney sayon mein aaram deh nishiston per tek lagaye huye hon gay .
لَهُمۡ فِيهَا فَٰكِهَةٞ وَلَهُم مَّا يَدَّعُونَ
آیت ۳۶:۵۷ کھولیںwahan unn kay liye meway hon gay , aur unhen her woh cheez milay gi jo woh mangwayen gay .
سَلَٰمٞ قَوۡلٗا مِّن رَّبّٖ رَّحِيمٖ
آیت ۳۶:۵۸ کھولیںrehmat walay perwerdigar ki taraf say unhen salam kaha jaye ga .
وَٱمۡتَٰزُواْ ٱلۡيَوۡمَ أَيُّهَا ٱلۡمُجۡرِمُونَ
آیت ۳۶:۵۹ کھولیں. ( aur kafiron say kaha jaye ga kay : ) aey mujrimo ! aaj tum ( mominon say ) alag hojao .
۞أَلَمۡ أَعۡهَدۡ إِلَيۡكُمۡ يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ أَن لَّا تَعۡبُدُواْ ٱلشَّيۡطَٰنَۖ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٞ
آیت ۳۶:۶۰ کھولیںaey Adam kay beto ! kiya mein ney tumhen yeh takeed nahi kerdi thi kay tum shetan ki ibadat naa kerna , woh tumhara khula dushman hai ,
وَأَنِ ٱعۡبُدُونِيۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ
آیت ۳۶:۶۱ کھولیںaur yeh kay tum meri ibadat kerna . yehi seedha raasta hai .
وَلَقَدۡ أَضَلَّ مِنكُمۡ جِبِلّٗا كَثِيرًاۖ أَفَلَمۡ تَكُونُواْ تَعۡقِلُونَ
آیت ۳۶:۶۲ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay shetan ney tum mein say aik bari khilqat ko gumrah ker daala . to kiya tum samajhtay nahi thay ?
هَٰذِهِۦ جَهَنَّمُ ٱلَّتِي كُنتُمۡ تُوعَدُونَ
آیت ۳۶:۶۳ کھولیںyeh hai woh jahannum jiss say tumhen daraya jata tha !
ٱصۡلَوۡهَا ٱلۡيَوۡمَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
آیت ۳۶:۶۴ کھولیںaaj iss mein dakhil hojao , kiyonkay tum kufr kiya kertay thay .
ٱلۡيَوۡمَ نَخۡتِمُ عَلَىٰٓ أَفۡوَٰهِهِمۡ وَتُكَلِّمُنَآ أَيۡدِيهِمۡ وَتَشۡهَدُ أَرۡجُلُهُم بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
آیت ۳۶:۶۵ کھولیںaaj kay din hum unn kay mun per mohar lagaden gay , aur unn kay haath hum say baat keren gay , aur unn kay paon gawahi den gay kay woh kiya kamai kiya kertay thay .
وَلَوۡ نَشَآءُ لَطَمَسۡنَا عَلَىٰٓ أَعۡيُنِهِمۡ فَٱسۡتَبَقُواْ ٱلصِّرَٰطَ فَأَنَّىٰ يُبۡصِرُونَ
آیت ۳۶:۶۶ کھولیںaur agar hum chahen to ( yahin duniya mein ) unn ki aankhen malya mait kerden , phir yeh raastay ( ki talash ) mein bhagay phiren , lekin enhen kahan kuch sujhai dey ga ?
وَلَوۡ نَشَآءُ لَمَسَخۡنَٰهُمۡ عَلَىٰ مَكَانَتِهِمۡ فَمَا ٱسۡتَطَٰعُواْ مُضِيّٗا وَلَا يَرۡجِعُونَ
آیت ۳۶:۶۷ کھولیںaur agar hum chahen to inn ki apni jagah per bethay bethay inn ki soorten iss tarah maskh kerden kay yeh naa aagay barh saken , aur naa peechay loat saken .
وَمَن نُّعَمِّرۡهُ نُنَكِّسۡهُ فِي ٱلۡخَلۡقِۚ أَفَلَا يَعۡقِلُونَ
آیت ۳۶:۶۸ کھولیںaur hum jiss shaks ko lambi umar detay hain , ussay takhleeqi aetbar say ulat hi detay hain . kiya phir bhi unhen aqal nahi aati-?
وَمَا عَلَّمۡنَٰهُ ٱلشِّعۡرَ وَمَا يَنۢبَغِي لَهُۥٓۚ إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ وَقُرۡءَانٞ مُّبِينٞ
آیت ۳۶:۶۹ کھولیںaur hum ney ( apney ) inn ( payghumber ) ko naa shaeeri sikhai hai , aur naa woh inn kay shayaan-e-shaan hai . yeh to bus aik naseehat ki baat hai , aur aisa Quran jo haqeeqat ko khol khol ker biyan kerta hai ,
لِّيُنذِرَ مَن كَانَ حَيّٗا وَيَحِقَّ ٱلۡقَوۡلُ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
آیت ۳۶:۷۰ کھولیںtakay her uss shaks ko khabrdar keray jo zinda ho , aur takay kufr kernay walon per hujjat poori hojaye .
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا خَلَقۡنَا لَهُم مِّمَّا عَمِلَتۡ أَيۡدِينَآ أَنۡعَٰمٗا فَهُمۡ لَهَا مَٰلِكُونَ
آیت ۳۶:۷۱ کھولیںaur kiya unhon ney yeh nahi dekha kay hum ney apney haathon ki banai hoi cheezon mein say unn kay liye maweshi peda kiye , aur yeh unn kay malik banay huye hain-?
وَذَلَّلۡنَٰهَا لَهُمۡ فَمِنۡهَا رَكُوبُهُمۡ وَمِنۡهَا يَأۡكُلُونَ
آیت ۳۶:۷۲ کھولیںaur hum ney inn maweshiyon ko unn kay qaboo mein dey diya hai , chunacheh inn mein say kuch woh hain jo inn ki sawari banay huye hain , aur kuch woh hain jinhen yeh khatay hain .
وَلَهُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ وَمَشَارِبُۚ أَفَلَا يَشۡكُرُونَ
آیت ۳۶:۷۳ کھولیںneez inn ko inn maweshiyon say aur bhi fawaeed hasil hotay hain , aur peenay ki cheezen milti hain . kiya phir bhi yeh shukar nahi baja layen gay ?
وَٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ ءَالِهَةٗ لَّعَلَّهُمۡ يُنصَرُونَ
آیت ۳۶:۷۴ کھولیںaur enhon ney Allah ko chorr ker iss umeed per doosray khuda bana rakhay hain kay enhen ( unn say ) madad milay ,
لَا يَسۡتَطِيعُونَ نَصۡرَهُمۡ وَهُمۡ لَهُمۡ جُندٞ مُّحۡضَرُونَ
آیت ۳۶:۷۵ کھولیں. ( halankay ) unn mein yeh taqat hi nahi hai kay inn ki madad ker-saken , balkay woh inn kay liye aik aisa ( mukhalif ) lashkar banen gay jissay ( qayamat mein inn kay samney ) hazir kerliya jaye ga .
فَلَا يَحۡزُنكَ قَوۡلُهُمۡۘ إِنَّا نَعۡلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعۡلِنُونَ
آیت ۳۶:۷۶ کھولیںgharz ( aey payghumber ! ) inn ki baaten tumhen ranjeedah naa keren . yaqeen jano hamen sabb maloom hai kay yeh kiya kuch chupatay , aur kiya kuch zahir kertay hain .
أَوَلَمۡ يَرَ ٱلۡإِنسَٰنُ أَنَّا خَلَقۡنَٰهُ مِن نُّطۡفَةٖ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٞ مُّبِينٞ
آیت ۳۶:۷۷ کھولیںaur kiya insan ney yeh nahi dekha kay hum ney ussay nutfay say peda kiya tha-? phir achanak woh khullam khula jhagrra kernay wala ban gaya .
وَضَرَبَ لَنَا مَثَلٗا وَنَسِيَ خَلۡقَهُۥۖ قَالَ مَن يُحۡيِ ٱلۡعِظَٰمَ وَهِيَ رَمِيمٞ
آیت ۳۶:۷۸ کھولیںhumaray baaray mein to woh baaten banata hai , aur khud apni pedaeesh ko bhula betha hai . kehta hai kay : inn haddiyon ko kon zindagi dey ga jabkay woh gal chuki hon gi ?
قُلۡ يُحۡيِيهَا ٱلَّذِيٓ أَنشَأَهَآ أَوَّلَ مَرَّةٖۖ وَهُوَ بِكُلِّ خَلۡقٍ عَلِيمٌ
آیت ۳۶:۷۹ کھولیںkeh do kay : inn ko wohi zindagi dey ga jiss ney enhen pehli baar peda kiya tha , aur woh peda kernay ka her kaam janta hai ,
ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُم مِّنَ ٱلشَّجَرِ ٱلۡأَخۡضَرِ نَارٗا فَإِذَآ أَنتُم مِّنۡهُ تُوقِدُونَ
آیت ۳۶:۸۰ کھولیںwohi hai jiss ney tumharay liye sarsabz darkht say aag peda kerdi hai , phir tum zara si dair mein uss say sulganey ka kaam ley letay ho .
أَوَلَيۡسَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِقَٰدِرٍ عَلَىٰٓ أَن يَخۡلُقَ مِثۡلَهُمۚ بَلَىٰ وَهُوَ ٱلۡخَلَّٰقُ ٱلۡعَلِيمُ
آیت ۳۶:۸۱ کھولیںbhala jiss zaat ney aasmano aur zameen ko peda kiya hai , kiya woh iss baat per qadir nahi hai kay inn jaison ko ( dobara ) peda ker-sakay ? kiyon nahi-? jabkay woh sabb kuch peda kernay ki poori maharat rakhta hai !
إِنَّمَآ أَمۡرُهُۥٓ إِذَآ أَرَادَ شَيۡـًٔا أَن يَقُولَ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
آیت ۳۶:۸۲ کھولیںuss ka moamla to yeh hai kay jab woh kissi cheez ka irada kerlay to sirf itna kehta hai kay : hoja bus woh hojati hai .
فَسُبۡحَٰنَ ٱلَّذِي بِيَدِهِۦ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيۡءٖ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
آیت ۳۶:۸۳ کھولیںgharz pak hai woh zaat jiss kay haath mein her cheez ki hukoomat hai , aur ussi ki taraf tum sabb ko aakhir kaar ley jaya jaye ga .