فاطر
Faatir
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ فَاطِرِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ جَاعِلِ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ رُسُلًا أُوْلِيٓ أَجۡنِحَةٖ مَّثۡنَىٰ وَثُلَٰثَ وَرُبَٰعَۚ يَزِيدُ فِي ٱلۡخَلۡقِ مَا يَشَآءُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
آیت ۳۵:۱ کھولیںtamam tarr tareef Allah ki hai jo aasmano aur zameen ka peda kernay wala hai , jiss ney unn farishton ko paygham ley janey kay liye muqarrar kiya hai , jo do do , teen teen aur chaar chaar peron walay hain . woh pedaeesh mein jitna chahta hai izafa ker deta hai . beyshak Allah her cheez ki qudrat rakhney wala hai .
مَّا يَفۡتَحِ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ مِن رَّحۡمَةٖ فَلَا مُمۡسِكَ لَهَاۖ وَمَا يُمۡسِكۡ فَلَا مُرۡسِلَ لَهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۳۵:۲ کھولیںjiss rehmat ko Allah logon kay liye khol dey , koi nahi hai jo ussay rok sakay , aur jissay woh rok ley to koi nahi hai jo uss kay baad ussay churra sakay . aur wohi hai jo iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ هَلۡ مِنۡ خَٰلِقٍ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
آیت ۳۵:۳ کھولیںaey logo ! yaad kero unn naimaton ko jo Allah ney tum per nazil ki hain . kiya Allah kay siwa koi aur khaliq hai jo tumhen aasman aur zameen say rizq deta ho-? uss kay siwa koi mabood nahi hai . phir aakhir tum kahan ondhay chalay jarahey ho-?
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كُذِّبَتۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
آیت ۳۵:۴ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) agar yeh log tumhen jhutla rahey hain to tum say pehlay bhi payghumberon ko jhutlaya gaya hai . aur tamam moamlaat aakhir kaar Allah hi ki taraf lotaye jayen gay .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَلَا يَغُرَّنَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ
آیت ۳۵:۵ کھولیںaey logo ! yaqeen jano kay Allah ka wada sacha hai , lehaza tumhen yeh dunyawi zindagi hergiz dhokay mein naa daalay , aur naa Allah kay moamlay mein tumhen woh ( shetan ) dhokay mein daalney paye jo bara dhokay baaz hai .
إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ لَكُمۡ عَدُوّٞ فَٱتَّخِذُوهُ عَدُوًّاۚ إِنَّمَا يَدۡعُواْ حِزۡبَهُۥ لِيَكُونُواْ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
آیت ۳۵:۶ کھولیںyaqeen jano kay shetan tumhara dushman hai , iss liye uss ko dushman hi samajhtay raho . woh to apney manney walon ko jo dawat deta hai , woh iss liye deta hai takay woh dozakh kay baasi ban jayen .
ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۖ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٞ كَبِيرٌ
آیت ۳۵:۷ کھولیںjinn logon ney kufr apna liya hai , unn kay liye shadeed azab hai , aur jo log emaan ley aaye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , unn kay liye maghfirat hai , aur bara ajar !
أَفَمَن زُيِّنَ لَهُۥ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ فَرَءَاهُ حَسَنٗاۖ فَإِنَّ ٱللَّهَ يُضِلُّ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُۖ فَلَا تَذۡهَبۡ نَفۡسُكَ عَلَيۡهِمۡ حَسَرَٰتٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِمَا يَصۡنَعُونَ
آیت ۳۵:۸ کھولیںbhala batao kay jiss shaks ki nazron mein uss ki bad-amli hi khushnuma bana ker paish ki gaee ho , jiss ki bana per woh uss bad-amli ko acha samajhta ho , ( woh naik aadmi kay barabar kaisay hosakta hai-? ) kiyonkay Allah jiss ko chahta hai , raastay say bhatka deta hai , aur jiss ko chahta hai theek raastay per phoncha deta hai . lehaza ( aey payghumber ) aisa naa ho kay inn ( kafiron ) per afsos kay maaray tumhari jaan hi jati rahey . yaqeen rakho kay jo kuch yeh ker rahey hain , Allah ussay khoob janta hai .
وَٱللَّهُ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ ٱلرِّيَٰحَ فَتُثِيرُ سَحَابٗا فَسُقۡنَٰهُ إِلَىٰ بَلَدٖ مَّيِّتٖ فَأَحۡيَيۡنَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۚ كَذَٰلِكَ ٱلنُّشُورُ
آیت ۳۵:۹ کھولیںaur Allah hi hai jo hawayen bhejta hai , phir woh badalon ko uthati hain , phir hum unhen hanka ker aik aesay shehar ki taraf ley jatay hain jo ( qehat say ) murda hochuka hota hai , phir hum uss ( barish ) kay zariye murda zameen ko naee zindagi ata kertay hain . bus issi tarah insanon ki doosri zindagi hogi .
مَن كَانَ يُرِيدُ ٱلۡعِزَّةَ فَلِلَّهِ ٱلۡعِزَّةُ جَمِيعًاۚ إِلَيۡهِ يَصۡعَدُ ٱلۡكَلِمُ ٱلطَّيِّبُ وَٱلۡعَمَلُ ٱلصَّٰلِحُ يَرۡفَعُهُۥۚ وَٱلَّذِينَ يَمۡكُرُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۖ وَمَكۡرُ أُوْلَٰٓئِكَ هُوَ يَبُورُ
آیت ۳۵:۱۰ کھولیںjo shaks izzat hasil kerna chahta ho , to tamam tarr izzat Allah kay qabazay mein hai . pakeezah kalma ussi ki taraf charrta hai , aur naik amal uss ko oopper uthata hai . aur jo log buri buri makkariyan ker rahey hain , unn ko sakht azab hoga , aur unn ki makkaari hi hai jo malya mait hojaye gi .
وَٱللَّهُ خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ جَعَلَكُمۡ أَزۡوَٰجٗاۚ وَمَا تَحۡمِلُ مِنۡ أُنثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلۡمِهِۦۚ وَمَا يُعَمَّرُ مِن مُّعَمَّرٖ وَلَا يُنقَصُ مِنۡ عُمُرِهِۦٓ إِلَّا فِي كِتَٰبٍۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
آیت ۳۵:۱۱ کھولیںaur Allah ney tumhen mitti say peda kiya , phir nutfay say , phir tumhen jooray jooray bana diya . aur kissi mada ko jo koi hamal hota hai , aur jo kuch woh janti hai , woh sabb Allah kay ilm say hota hai . aur kissi umar raseedah ko jitni umar di jati hai , aur uss ki umar mein jo koi kami hoti hai , woh sabb aik kitab mein darj hai . haqeeqat yeh hai kay yeh sabb kuch Allah kay liye boht aasaan hai .
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡبَحۡرَانِ هَٰذَا عَذۡبٞ فُرَاتٞ سَآئِغٞ شَرَابُهُۥ وَهَٰذَا مِلۡحٌ أُجَاجٞۖ وَمِن كُلّٖ تَأۡكُلُونَ لَحۡمٗا طَرِيّٗا وَتَسۡتَخۡرِجُونَ حِلۡيَةٗ تَلۡبَسُونَهَاۖ وَتَرَى ٱلۡفُلۡكَ فِيهِ مَوَاخِرَ لِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
آیت ۳۵:۱۲ کھولیںaur do darya barabar nahi hotay . aik aisa meetha hai kay uss say piyas bujhti hai , jo peenay mein khushgawar hai , aur doosra karrwa namkeen . aur her aik say tum ( machliyon ka ) taza gosht khatay ho , aur woh zewar nikaltay ho jo tumharay pehanney kay kaam aata hai . aur tum kashtiyon ko dekhtay ho kay woh uss ( darya ) mein paani ko phaarti hoi chalti hain , takay tum Allah ka fazal talash kero , aur takay shukar guzaar bano .
يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ لَهُ ٱلۡمُلۡكُۚ وَٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ مَا يَمۡلِكُونَ مِن قِطۡمِيرٍ
آیت ۳۵:۱۳ کھولیںwoh raat ko din mein dakhil ker deta hai , aur din ko raat mein dakhil ker deta hai , aur uss ney sooraj aur chaand ko kaam per laga diya hai . ( inn mein say ) her aik kissi muqarrara miyaad tak kay liye rawan dawan hai . yeh hai Allah jo tumhara perwerdigar hai , sari badshahi ussi ki hai . aur ussay chorr ker jinn ( jhootay khudaon ) ko tum pukartay ho , woh khujoor ki guthli kay chilkay kay barabar bhi koi ikhtiyar nahi rakhtay .
إِن تَدۡعُوهُمۡ لَا يَسۡمَعُواْ دُعَآءَكُمۡ وَلَوۡ سَمِعُواْ مَا ٱسۡتَجَابُواْ لَكُمۡۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكۡفُرُونَ بِشِرۡكِكُمۡۚ وَلَا يُنَبِّئُكَ مِثۡلُ خَبِيرٖ
آیت ۳۵:۱۴ کھولیںagar tum unn ko pukaro gay to woh tumhari pukar sunen gay hi nahi , aur agar sunn bhi len to tumhen koi jawab nahi dey saken gay . aur qayamat kay din woh khud tumharay shirk ki tardeed keren gay . aur jiss zaat ko tamam baaton ki mukammal khabar hai , uss kay barabar tumhen koi aur sahih baat nahi bataye ga .
۞يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ أَنتُمُ ٱلۡفُقَرَآءُ إِلَى ٱللَّهِۖ وَٱللَّهُ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
آیت ۳۵:۱۵ کھولیںaey logo ! tum sabb Allah kay mohtaj ho , aur Allah bey niaz hai , her tareef ka bazaat-e-khud mustahiq .
إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ وَيَأۡتِ بِخَلۡقٖ جَدِيدٖ
آیت ۳۵:۱۶ کھولیںagar woh chahye to tum sabb ko fana kerday , aur aik naee makhlooq wajood mein ley aaye .
وَمَا ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ بِعَزِيزٖ
آیت ۳۵:۱۷ کھولیںaur yeh kaam Allah kay liye kuch bhi mushkil nahi hai .
وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ وَإِن تَدۡعُ مُثۡقَلَةٌ إِلَىٰ حِمۡلِهَا لَا يُحۡمَلۡ مِنۡهُ شَيۡءٞ وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰٓۗ إِنَّمَا تُنذِرُ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُم بِٱلۡغَيۡبِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَۚ وَمَن تَزَكَّىٰ فَإِنَّمَا يَتَزَكَّىٰ لِنَفۡسِهِۦۚ وَإِلَى ٱللَّهِ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۳۵:۱۸ کھولیںaur koi bojh uthaney wala kissi doosray ka bojh nahi uthaye ga , aur jiss kissi per bara bojh lada huwa ho , woh agar kissi aur ko uss kay uthaney ki dawat dey ga to uss mein say kuch bhi uthaya nahi jaye ga , chahye woh ( jissay bojh uthaney ki dawat di gaee thi ) koi qareebi rishta daar hi kiyon naa ho . ( aey payghumber ! ) tum unhi logon ko khabrdar ker-saktay ho jo apney perwerdigar ko dekhay baghair uss say dartay hon , aur jinhon ney namaz qaeem ki ho . aur jo shaks pak hota hai , woh apney hi faeeday kay liye pak hota hai . aur aakhir-kaar sabb ko Allah hi ki taraf loat ker jana hai .
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ
آیت ۳۵:۱۹ کھولیںaur andha aur dekhney wala barabar nahi hosaktay .
وَلَا ٱلظُّلُمَٰتُ وَلَا ٱلنُّورُ
آیت ۳۵:۲۰ کھولیںaur naa andheray aur roshni
وَلَا ٱلظِّلُّ وَلَا ٱلۡحَرُورُ
آیت ۳۵:۲۱ کھولیںaur naa saya aur dhoop
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَحۡيَآءُ وَلَا ٱلۡأَمۡوَٰتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُسۡمِعُ مَن يَشَآءُۖ وَمَآ أَنتَ بِمُسۡمِعٖ مَّن فِي ٱلۡقُبُورِ
آیت ۳۵:۲۲ کھولیںaur zinda log aur murday barabar nahi hosaktay , aur Allah to jiss ko chahta hai , baat suna deta hai , aur tum unn ko baat nahi suna saktay jo qabron mein parray hain .
إِنۡ أَنتَ إِلَّا نَذِيرٌ
آیت ۳۵:۲۳ کھولیںtum to bus aik khabrdar kernay walay ho .
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ بَشِيرٗا وَنَذِيرٗاۚ وَإِن مِّنۡ أُمَّةٍ إِلَّا خَلَا فِيهَا نَذِيرٞ
آیت ۳۵:۲۴ کھولیںhum ney tumhen haq baat dey ker iss tarah bheja hai kay tum khushkhabri do , aur khabrdar kero . aur koi ummat aesi nahi hai jiss mein koi khabar daar kernay wala naa aaya ho .
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَبِٱلزُّبُرِ وَبِٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُنِيرِ
آیت ۳۵:۲۵ کھولیںaur agar yeh log tumhen jhutla rahey hain to jo ( kafir ) inn say pehlay thay , unhon ney bhi ( Rasoolon ko ) jhutlaya tha . unn kay payghumber unn kay paas khuli khuli nishaniyan ley ker , saheefay ley ker aur roshni phelaney wali kitab ley ker aaye thay .
ثُمَّ أَخَذۡتُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۖ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
آیت ۳۵:۲۶ کھولیںphir jinn logon ney inkar ki rawish apnai thi , mein ney unhen pakar mein ley liya . abb dekho kay meri saza kaisi ( holnaak ) thi !
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ ثَمَرَٰتٖ مُّخۡتَلِفًا أَلۡوَٰنُهَاۚ وَمِنَ ٱلۡجِبَالِ جُدَدُۢ بِيضٞ وَحُمۡرٞ مُّخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهَا وَغَرَابِيبُ سُودٞ
آیت ۳۵:۲۷ کھولیںkiya tum ney nahi dekha kay Allah ney aasman say paani utaara , phir hum ney uss kay zariye rang ba-rang kay phal ugaye-? aur paharon mein bhi aesay tukrray hain jo rang ba-rang kay safaid aur surkh hain , aur kalay siyah bhi .
وَمِنَ ٱلنَّاسِ وَٱلدَّوَآبِّ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ مُخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهُۥ كَذَٰلِكَۗ إِنَّمَا يَخۡشَى ٱللَّهَ مِنۡ عِبَادِهِ ٱلۡعُلَمَٰٓؤُاْۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ غَفُورٌ
آیت ۳۵:۲۸ کھولیںaur insanon aur janweron aur chopayo mein bhi aesay hain jinn kay rang mukhtalif hain . Allah say uss kay bandon mein say wohi dartay hain jo ilm rakhney walay hain . yaqeenan Allah sahab-e-iqtidar bhi hai , boht bakhshney wala bhi .
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَتۡلُونَ كِتَٰبَ ٱللَّهِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ سِرّٗا وَعَلَانِيَةٗ يَرۡجُونَ تِجَٰرَةٗ لَّن تَبُورَ
آیت ۳۵:۲۹ کھولیںjo log Allah ki kitab ki tilawat kertay hain , aur jinhon ney namaz ki pabandi ker rakhi hai , aur hum ney unhen jo rizq diya hai , uss mein say woh ( naik kamon mein ) khufiya aur aelania kharch kertay hain , woh aesi tijarat kay umeedwaar hain jo kabhi nuqsan nahi uthaye gi .
لِيُوَفِّيَهُمۡ أُجُورَهُمۡ وَيَزِيدَهُم مِّن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ غَفُورٞ شَكُورٞ
آیت ۳۵:۳۰ کھولیںtakay Allah unn kay pooray ajar unn ko deydey , aur apney fazal say aur ziyada bhi dey . yaqeenan woh boht bakhshney wala , bara qadar daan hai .
وَٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ هُوَ ٱلۡحَقُّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ بِعِبَادِهِۦ لَخَبِيرُۢ بَصِيرٞ
آیت ۳۵:۳۱ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) hum ney tumharay paas wahi kay zariye jo kitab bheji hai , woh sachi hai jo apney say pehli kitabon ki tasdeeq kerti hoi aai hai . yaqeenan Allah apney bandon say poori tarah ba-khabar , her cheez ko dekhney wala hai .
ثُمَّ أَوۡرَثۡنَا ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِينَ ٱصۡطَفَيۡنَا مِنۡ عِبَادِنَاۖ فَمِنۡهُمۡ ظَالِمٞ لِّنَفۡسِهِۦ وَمِنۡهُم مُّقۡتَصِدٞ وَمِنۡهُمۡ سَابِقُۢ بِٱلۡخَيۡرَٰتِ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَضۡلُ ٱلۡكَبِيرُ
آیت ۳۵:۳۲ کھولیںphir hum ney iss kitab ka waris apney bandon mein say unn ko banaya jinhen hum ney chunn liya tha . phir unn mein say kuch woh hain jo apni jaan per zulm kernay walay hain , aur unhi mein say kuch aesay hain jo darmiyaney darjay kay hain , aur kuch woh hain jo Allah ki tofiq say naikiyon mein barhay chalay jatay hain . aur yeh ( Allah ka ) boht bara fazal hai .
جَنَّٰتُ عَدۡنٖ يَدۡخُلُونَهَا يُحَلَّوۡنَ فِيهَا مِنۡ أَسَاوِرَ مِن ذَهَبٖ وَلُؤۡلُؤٗاۖ وَلِبَاسُهُمۡ فِيهَا حَرِيرٞ
آیت ۳۵:۳۳ کھولیںhamesha basney kay baaghaat hain jinn mein woh log dakhil hon gay , wahan unn ko soney kay kangganon aur motiyon say aarasta kiya jaye ga , aur unn ka libas wahan per resham hoga .
وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِيٓ أَذۡهَبَ عَنَّا ٱلۡحَزَنَۖ إِنَّ رَبَّنَا لَغَفُورٞ شَكُورٌ
آیت ۳۵:۳۴ کھولیںaur woh kahen gay kay : tamam tarr tareef Allah ki hai jiss ney hum say her ghum door kerdiya . beyshak humara perwerdigar boht bakhshney wala , bara qadardaan hai ,
ٱلَّذِيٓ أَحَلَّنَا دَارَ ٱلۡمُقَامَةِ مِن فَضۡلِهِۦ لَا يَمَسُّنَا فِيهَا نَصَبٞ وَلَا يَمَسُّنَا فِيهَا لُغُوبٞ
آیت ۳۵:۳۵ کھولیںjiss ney apney fazal say hum ko abadi thikaney kay ghar mein laa utaara hai jiss mein naa hamen kabhi koi kulfat choo-ker guzray gi , aur naa kabhi koi thakan paish aaye gi .
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ نَارُ جَهَنَّمَ لَا يُقۡضَىٰ عَلَيۡهِمۡ فَيَمُوتُواْ وَلَا يُخَفَّفُ عَنۡهُم مِّنۡ عَذَابِهَاۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي كُلَّ كَفُورٖ
آیت ۳۵:۳۶ کھولیںaur jinn logon ney kufr ki rawish apna li hai , unn kay liye dozakh ki aag hai . naa to unn ka kaam tamam kiya jaye ga kay woh mar hi jayen , aur naa unn say dozakh ka azab halka kiya jaye ga . her nashukray kafir ko hum aesi hi saza detay hain .
وَهُمۡ يَصۡطَرِخُونَ فِيهَا رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا نَعۡمَلۡ صَٰلِحًا غَيۡرَ ٱلَّذِي كُنَّا نَعۡمَلُۚ أَوَلَمۡ نُعَمِّرۡكُم مَّا يَتَذَكَّرُ فِيهِ مَن تَذَكَّرَ وَجَآءَكُمُ ٱلنَّذِيرُۖ فَذُوقُواْ فَمَا لِلظَّٰلِمِينَ مِن نَّصِيرٍ
آیت ۳۵:۳۷ کھولیںaur woh uss dozakh mein cheekh pukar machayen gay kay : aey humaray perwerdigar ! hamen bahir nikal dey takay hum jo kaam pehlay kiya kertay thay , unhen chorr ker naik amal keren . ( unn say jawab mein kaha jaye ga kay : ) bhala kiya hum ney tumhen itni umar nahi di thi kay jiss kissi ko uss mein sochna samajhna hota , woh samajh leta-? aur tumharay paas khabrdar kernay wala bhi aaya tha . abb maza chakho , kiyonkay koi nahi hai jo aesay zalimon ka madadgaar banay .
إِنَّ ٱللَّهَ عَٰلِمُ غَيۡبِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
آیت ۳۵:۳۸ کھولیںbeyshak Allah aasmano aur zameen ki posheeda cheezon ka ilm rakhta hai . beyshak woh seenon mein chupi hoi baaton ko khoob janta hai .
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَكُمۡ خَلَٰٓئِفَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ فَمَن كَفَرَ فَعَلَيۡهِ كُفۡرُهُۥۖ وَلَا يَزِيدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ كُفۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ إِلَّا مَقۡتٗاۖ وَلَا يَزِيدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ كُفۡرُهُمۡ إِلَّا خَسَارٗا
آیت ۳۵:۳۹ کھولیںwohi hai jiss ney tumhen zameen mein ( pichlay logon ka ) janasheen banaya . abb jo shaks kufr keray ga to uss ka kufr ussi per parray ga . aur kafiron kay liye unn ka kufr unn kay perwerdigar kay paas ghazab kay siwa kissi aur cheez mein izafa nahi kerta , aur kafiron ko unn kay kufr say khasaray kay siwa kissi cheez mein taraqqi hasil nahi hoti .
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ شُرَكَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُواْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ لَهُمۡ شِرۡكٞ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ أَمۡ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ كِتَٰبٗا فَهُمۡ عَلَىٰ بَيِّنَتٖ مِّنۡهُۚ بَلۡ إِن يَعِدُ ٱلظَّٰلِمُونَ بَعۡضُهُم بَعۡضًا إِلَّا غُرُورًا
آیت ۳۵:۴۰ کھولیں. ( aey payghumber ! ) inn say kaho kay : bhala batao tum Allah ko chorr ker apney jinn mann gharrat shareekon ko pooja kertay ho , zara mujhay dikhao kay unhon ney zameen ka konsa hissa peda kiya hai ? ya aasmano ( ki pedaeesh mein ) unn ki konsi shirkat hai ? ya phir hum ney unhen koi kitab dey rakhi hai jiss ki kissi wazeh hidayat per yeh log qaeem hain-? nahi , balkay yeh zalim log aik doosray ko khalis dhokay ki yaqeen dahani kertay aaye hain .
۞إِنَّ ٱللَّهَ يُمۡسِكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ أَن تَزُولَاۚ وَلَئِن زَالَتَآ إِنۡ أَمۡسَكَهُمَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنۢ بَعۡدِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ حَلِيمًا غَفُورٗا
آیت ۳۵:۴۱ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay Allah ney aasmano aur zameen ko thaam rakha hai kay woh apni jagah say talen nahi . aur agar woh tall jayen to uss kay siwa koi nahi hai jo unhen thaam sakay . yaqeenan Allah bara burdbaar, boht bakhshney wala hai .
وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِن جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ لَّيَكُونُنَّ أَهۡدَىٰ مِنۡ إِحۡدَى ٱلۡأُمَمِۖ فَلَمَّا جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ مَّا زَادَهُمۡ إِلَّا نُفُورًا
آیت ۳۵:۴۲ کھولیںaur enhon ney pehlay baray zoron mein Allah ki qasmen khai then kay agar inn kay paas koi khabrdar kernay wala ( payghumber ) aaya to woh her doosri ummat say ziyada hidayat qubool kernay walay hon gay . magar jab unn kay paas aik khabrdar kernay wala aagaya to uss kay aaney say unn ki halat mein aur koi taraqqi nahi hoi , siwaye iss kay kay yeh ( haq kay raastay say ) aur ziyada bhagney lagay ,
ٱسۡتِكۡبَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَكۡرَ ٱلسَّيِّيِٕۚ وَلَا يَحِيقُ ٱلۡمَكۡرُ ٱلسَّيِّئُ إِلَّا بِأَهۡلِهِۦۚ فَهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا سُنَّتَ ٱلۡأَوَّلِينَۚ فَلَن تَجِدَ لِسُنَّتِ ٱللَّهِ تَبۡدِيلٗاۖ وَلَن تَجِدَ لِسُنَّتِ ٱللَّهِ تَحۡوِيلًا
آیت ۳۵:۴۳ کھولیںiss liye kay enhen zameen mein apni barai ka ghamand tha , aur enhon ney ( haq ki mukhalifat mein ) buri buri chaalen chalni shuroo kerden . halankay buri chaalen kissi aur ko nahi , khud apney chalney walon hi ko gheray mein ley leti hain . abb yeh log uss dastoor kay siwa kiss baat kay muntazir hain jiss per pichlay logon kay sath amal hota aaya hai ? ( agar yeh baat hai ) to tum Allah kay tey shuda dastoor mein kabhi koi tabdeeli nahi pao gay , aur naa tum Allah kay tey shuda dastoor ko kabhi talta huwa pao gay .
أَوَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَكَانُوٓاْ أَشَدَّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُعۡجِزَهُۥ مِن شَيۡءٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَلِيمٗا قَدِيرٗا
آیت ۳۵:۴۴ کھولیںaur kiya inn logon ney zameen mein kabhi safar nahi kiya jiss say woh yeh dekhtay kay jo log inn say pehlay guzray hain , unn ka anjam kaisa huwa , jabkay woh taqat mein inn say boht ziyada mazboot thay ? aur Allah aisa nahi hai kay aasmano ya zameen ki koi cheez ussay aajiz ker-sakay . beyshak woh ilm ka bhi malik hai , qudrat ka bhi malik .
وَلَوۡ يُؤَاخِذُ ٱللَّهُ ٱلنَّاسَ بِمَا كَسَبُواْ مَا تَرَكَ عَلَىٰ ظَهۡرِهَا مِن دَآبَّةٖ وَلَٰكِن يُؤَخِّرُهُمۡ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗىۖ فَإِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِعِبَادِهِۦ بَصِيرَۢا
آیت ۳۵:۴۵ کھولیںaur agar Allah logon kay her kartoot per unn ki pakar kernay lagta to iss zameen ki pusht per kissi chalney walay ko naa chorta , lekin woh aik moyyan mauddat tak kay liye unn ko mohlat dey raha hai . phir jab unn ka muqarrara waqt aajaye ga , to Allah apney bandon ko khud dekh ley ga .