الشعراء

Ash-Shu'araa

سورت ۲۶ · آیات: ۲۲۷ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. Tua-Seen-Meem

  2. تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ

    آیت ⁦۲۶:۲⁩ کھولیں

    yeh uss kitab ki aayaten hain jo haq ko wazeh kernay wali hai .

  3. لَعَلَّكَ بَٰخِعٞ نَّفۡسَكَ أَلَّا يَكُونُواْ مُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۳⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) shayad tum iss ghum mein apni jaan halak kiye jarahey ho kay yeh log emaan ( kiyon ) nahi latay !

  4. إِن نَّشَأۡ نُنَزِّلۡ عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ ءَايَةٗ فَظَلَّتۡ أَعۡنَٰقُهُمۡ لَهَا خَٰضِعِينَ

    آیت ⁦۲۶:۴⁩ کھولیں

    agar hum chahen to inn/unn per aasman say koi aesi nishani utaar den kay uss kay aagay inn ki gardanen jhuk ker reh jayen .

  5. وَمَا يَأۡتِيهِم مِّن ذِكۡرٖ مِّنَ ٱلرَّحۡمَٰنِ مُحۡدَثٍ إِلَّا كَانُواْ عَنۡهُ مُعۡرِضِينَ

    آیت ⁦۲۶:۵⁩ کھولیں

    . ( inn ka haal to yeh hai kay ) inn kay paas khudaye rehman ki taraf say jo koi naee naseehat aati hai , yeh uss say mun morr letay hain .

  6. فَقَدۡ كَذَّبُواْ فَسَيَأۡتِيهِمۡ أَنۢبَٰٓؤُاْ مَا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ

    آیت ⁦۲۶:۶⁩ کھولیں

    iss tarah unhon ney haq ko jhutla diya hai . chunacheh yeh log jinn baaton ka mazaq uratay rahey hain , abb unqareeb unn kay theek theek haqaeeq inn kay samney aajayen gay .

  7. أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ كَمۡ أَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ زَوۡجٖ كَرِيمٍ

    آیت ⁦۲۶:۷⁩ کھولیں

    aur kiya unhon ney zameen ko nahi dekha kay hum ney iss mein her nafees qisam ki kitni cheezen ugai hain-?

  8. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۸⁩ کھولیں

    yaqeenan inn sabb cheezon mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi inn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  9. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۲۶:۹⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , boht meharban bhi .

  10. وَإِذۡ نَادَىٰ رَبُّكَ مُوسَىٰٓ أَنِ ٱئۡتِ ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّٰلِمِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰⁩ کھولیں

    aur uss waqt ka haal suno jab tumharay perwerdigar ney musa ko aawaz dey ker kaha tha kay : uss zalim qoam kay paas jao ,

  11. قَوۡمَ فِرۡعَوۡنَۚ أَلَا يَتَّقُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۱⁩ کھولیں

    yani firon ki qoam kay paas . kiya unn kay dil mein khuda ka khof nahi hai ?

  12. قَالَ رَبِّ إِنِّيٓ أَخَافُ أَن يُكَذِّبُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۲⁩ کھولیں

    musa ney kaha kay : meray perwerdigar ! mujhay darr hai kay woh mujhay jhoota banayen gay .

  13. وَيَضِيقُ صَدۡرِي وَلَا يَنطَلِقُ لِسَانِي فَأَرۡسِلۡ إِلَىٰ هَٰرُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۳⁩ کھولیں

    aur mera dil tang honey lagta hai , aur meri zaban nahi chalti . iss liye aap Haroon ko bhi ( nabwooat ka ) paygham bhej dijiye .

  14. وَلَهُمۡ عَلَيَّ ذَنۢبٞ فَأَخَافُ أَن يَقۡتُلُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۴⁩ کھولیں

    aur meray khilaf inn logon ney aik jurm bhi aaeed ker rakha hai , jiss ki wajeh say mujhay darr hai kay woh mujhay qatal naa ker daalen .

  15. قَالَ كَلَّاۖ فَٱذۡهَبَا بِـَٔايَٰتِنَآۖ إِنَّا مَعَكُم مُّسۡتَمِعُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۵⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya kay : hergiz nahi ! tum dono humari nishaniyan ley ker jao . yaqeen rakho kay hum tumharay sath hain , sari baaten suntay rahen gay .

  16. فَأۡتِيَا فِرۡعَوۡنَ فَقُولَآ إِنَّا رَسُولُ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶⁩ کھولیں

    abb tum dono firon kay paas jao , aur kaho kay : hum dono Rabb-ul-Aalameen kay payghumber hain

  17. أَنۡ أَرۡسِلۡ مَعَنَا بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ

    آیت ⁦۲۶:۱۷⁩ کھولیں

    . ( aur yeh paygham laye hain ) kay tum bano Israel ko humaray sath bhej do .

  18. قَالَ أَلَمۡ نُرَبِّكَ فِينَا وَلِيدٗا وَلَبِثۡتَ فِينَا مِنۡ عُمُرِكَ سِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸⁩ کھولیں

    firon ney ( jawab mein musa ( aleh-assalam ) say ) kaha : kiya hum ney tumhen uss waqt apney paas rakh ker nahi paala tha jab tum bilkul bacchay thay ? aur tum ney apni umar kay boht say saal humaray yahan reh ker guzaray ,

  19. وَفَعَلۡتَ فَعۡلَتَكَ ٱلَّتِي فَعَلۡتَ وَأَنتَ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۹⁩ کھولیں

    aur jo harkat tum ney ki thi woh bhi ker guzray , aur tum baray nashukray aadmi ho .

  20. قَالَ فَعَلۡتُهَآ إِذٗا وَأَنَا۠ مِنَ ٱلضَّآلِّينَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰⁩ کھولیں

    musa ney kaha : uss waqt woh kaam mein aesi halat mein ker guzra tha kay mujhay pata nahi tha .

  21. فَفَرَرۡتُ مِنكُمۡ لَمَّا خِفۡتُكُمۡ فَوَهَبَ لِي رَبِّي حُكۡمٗا وَجَعَلَنِي مِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱⁩ کھولیں

    chunacheh jab mujhay tum logon say khof huwa to mein tumharay paas say farar hogaya , phir Allah ney mujhay hikmat ata farmaee , aur payghumberon mein shamil farma diya .

  22. وَتِلۡكَ نِعۡمَةٞ تَمُنُّهَا عَلَيَّ أَنۡ عَبَّدتَّ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ

    آیت ⁦۲۶:۲۲⁩ کھولیں

    aur woh ehsan jo tum mujh per rakh rahey ho , ( uss ki haqeeqat ) yeh hai kay tum ney saray bano Israel ko ghulam bana rakha hai .

  23. قَالَ فِرۡعَوۡنُ وَمَا رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۳⁩ کھولیں

    firon ney kaha : aur yeh Rabb-ul-Aalameen kiya cheez hai-?

  24. قَالَ رَبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَآۖ إِن كُنتُم مُّوقِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۴⁩ کھولیں

    musa ney kaha : woh saray aasmano aur zameen ka , aur unn sari cheezon ka perwerdigar hai jo unn kay darmiyan pai jati hain , agar tum ko waqaee yaqeen kerna ho .

  25. قَالَ لِمَنۡ حَوۡلَهُۥٓ أَلَا تَسۡتَمِعُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۵⁩ کھولیں

    firon ney apney ird-gird kay logon say kaha : sunn rahey ho kay nahi-?

  26. قَالَ رَبُّكُمۡ وَرَبُّ ءَابَآئِكُمُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۶⁩ کھولیں

    musa ney kaha : woh tumhara bhi perwerdigar hai , aur tumharay pichlay baap dadon ka bhi .

  27. قَالَ إِنَّ رَسُولَكُمُ ٱلَّذِيٓ أُرۡسِلَ إِلَيۡكُمۡ لَمَجۡنُونٞ

    آیت ⁦۲۶:۲۷⁩ کھولیں

    firon bola : tumhara yeh payghumber jo tumharay paas bheja gaya hai , yeh to bilkul hi deewana hai .

  28. قَالَ رَبُّ ٱلۡمَشۡرِقِ وَٱلۡمَغۡرِبِ وَمَا بَيۡنَهُمَآۖ إِن كُنتُمۡ تَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۸⁩ کھولیں

    musa ney kaha : woh mashriq o maghrib ka bhi perwerdigar hai , aur unn kay darmiyan sari cheezon ka bhi , agar tum aqal say kaam lo .

  29. قَالَ لَئِنِ ٱتَّخَذۡتَ إِلَٰهًا غَيۡرِي لَأَجۡعَلَنَّكَ مِنَ ٱلۡمَسۡجُونِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۹⁩ کھولیں

    kehney laga : yaad rakho , agar tum ney meray siwa kissi aur ko mabood maana to mein tumhen zaroor unn logon mein shamil kerdun ga jo jail khaney mein parray huye hain .

  30. قَالَ أَوَلَوۡ جِئۡتُكَ بِشَيۡءٖ مُّبِينٖ 

    آیت ⁦۲۶:۳۰⁩ کھولیں

    musa bolay : aur agar mein tumhen koi aesi cheez laa dikhaon jo haq ko wazeh ker dey , phir-?

  31. قَالَ فَأۡتِ بِهِۦٓ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ

    آیت ⁦۲۶:۳۱⁩ کھولیں

    firon ney kaha : acha , agar waqaee sachay ho to ley aao woh cheez .

  32. فَأَلۡقَىٰ عَصَاهُ فَإِذَا هِيَ ثُعۡبَانٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۲۶:۳۲⁩ کھولیں

    chunacheh musa ney apna assa phenka , aur dekhtay hi dekhtay woh khula huwa azdaha ban gaya ,

  33. وَنَزَعَ يَدَهُۥ فَإِذَا هِيَ بَيۡضَآءُ لِلنَّٰظِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۳۳⁩ کھولیں

    aur unhon ney apna haath ( baghal mein say ) kheench ker nikala to pal bhar mein woh sabb dekhney walon kay samney safaid hogaya .

  34. قَالَ لِلۡمَلَإِ حَوۡلَهُۥٓ إِنَّ هَٰذَا لَسَٰحِرٌ عَلِيمٞ

    آیت ⁦۲۶:۳۴⁩ کھولیں

    firon ney apney irdgird kay sardaron say kaha : yaqeenan yeh koi mahir jadoogar hai .

  35. يُرِيدُ أَن يُخۡرِجَكُم مِّنۡ أَرۡضِكُم بِسِحۡرِهِۦ فَمَاذَا تَأۡمُرُونَ

    آیت ⁦۲۶:۳۵⁩ کھولیں

    yeh chahta hai kay apney jadoo kay zariye tumhen tumhari sarzameen say nikal bahir keray . abb batao tumhari kiya raye hai ?

  36. قَالُوٓاْ أَرۡجِهۡ وَأَخَاهُ وَٱبۡعَثۡ فِي ٱلۡمَدَآئِنِ حَٰشِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۳۶⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : inn ko aur inn kay bhai ko kuch mohlat dijiye , aur tamam shehron mein herkaray bhej dijiye .

  37. يَأۡتُوكَ بِكُلِّ سَحَّارٍ عَلِيمٖ

    آیت ⁦۲۶:۳۷⁩ کھولیں

    jo har mahir jadoogar ko aap kay paas ley ayen ( aur inn jadoogaron ka muqabla keren )

  38. فَجُمِعَ ٱلسَّحَرَةُ لِمِيقَٰتِ يَوۡمٖ مَّعۡلُومٖ

    آیت ⁦۲۶:۳۸⁩ کھولیں

    chunacheh aik din muqarrara waqt per saray jadoogar jama kerliye gaye .

  39. وَقِيلَ لِلنَّاسِ هَلۡ أَنتُم مُّجۡتَمِعُونَ

    آیت ⁦۲۶:۳۹⁩ کھولیں

    aur logon say kaha gaya kay : kiya tum log jama horahey ho-?

  40. لَعَلَّنَا نَتَّبِعُ ٱلسَّحَرَةَ إِن كَانُواْ هُمُ ٱلۡغَٰلِبِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۴۰⁩ کھولیں

    shayad agar yeh jadoogar hi ghalib aagaye to hum inhi kay raastay per chalen .

  41. فَلَمَّا جَآءَ ٱلسَّحَرَةُ قَالُواْ لِفِرۡعَوۡنَ أَئِنَّ لَنَا لَأَجۡرًا إِن كُنَّا نَحۡنُ ٱلۡغَٰلِبِينَ

    آیت ⁦۲۶:۴۱⁩ کھولیں

    phir jab jadoogar aaye to unhon ney firon say kaha : yeh baat to yaqeeni hai naa kay agar hum ghalib aagaye to hamen koi inaam milay ga-?

  42. قَالَ نَعَمۡ وَإِنَّكُمۡ إِذٗا لَّمِنَ ٱلۡمُقَرَّبِينَ

    آیت ⁦۲۶:۴۲⁩ کھولیں

    firon ney kaha : haan haan , aur tumhen uss soorat mein muqarrab logon mein bhi zaroor shamil kerliya jaye ga .

  43. قَالَ لَهُم مُّوسَىٰٓ أَلۡقُواْ مَآ أَنتُم مُّلۡقُونَ

    آیت ⁦۲۶:۴۳⁩ کھولیں

    musa ney unn jadoogaron say kaha : jo kuch tumhen phenkna hai , phenko .

  44. فَأَلۡقَوۡاْ حِبَالَهُمۡ وَعِصِيَّهُمۡ وَقَالُواْ بِعِزَّةِ فِرۡعَوۡنَ إِنَّا لَنَحۡنُ ٱلۡغَٰلِبُونَ

    آیت ⁦۲۶:۴۴⁩ کھولیں

    iss per unn jadoogaron ney apni rassiyan aur lathiyan zameen per daal den , aur kaha kay : firon ki izzat ki qasam ! hum hi hum ghalib ayen gay .

  45. فَأَلۡقَىٰ مُوسَىٰ عَصَاهُ فَإِذَا هِيَ تَلۡقَفُ مَا يَأۡفِكُونَ

    آیت ⁦۲۶:۴۵⁩ کھولیں

    abb musa ney apna asaa zameen per daala to achanak uss ney ( azdaha ban ker ) uss tamashay ko nigalna shuroo kerdiya jo woh jhoot moott bana rahey thay .

  46. فَأُلۡقِيَ ٱلسَّحَرَةُ سَٰجِدِينَ

    آیت ⁦۲۶:۴۶⁩ کھولیں

    bus phir woh jadoogar sajday mein gira diye gaye .

  47. قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۴۷⁩ کھولیں

    kehney lagay kay : hum Rabb-ul-Aalameen per emaan ley aaye ,

  48. رَبِّ مُوسَىٰ وَهَٰرُونَ

    آیت ⁦۲۶:۴۸⁩ کھولیں

    jo musa aur Haroon ka perwerdigar hai .

  49. قَالَ ءَامَنتُمۡ لَهُۥ قَبۡلَ أَنۡ ءَاذَنَ لَكُمۡۖ إِنَّهُۥ لَكَبِيرُكُمُ ٱلَّذِي عَلَّمَكُمُ ٱلسِّحۡرَ فَلَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَۚ لَأُقَطِّعَنَّ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَرۡجُلَكُم مِّنۡ خِلَٰفٖ وَلَأُصَلِّبَنَّكُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۲۶:۴۹⁩ کھولیں

    firon bola : tum meray ijazat denay say pehlay hi musa per emaan ley aaye . sabit huwa kay yeh tum sabb ka sarghana hai jiss ney tumhen jadoo sikhaya hai . acha abhi tumhen pata chal jaye ga . mein tum sabb kay aik taraf kay haath aur doosri taraf kay paon katwaon ga , aur tum sabb ko sooli per latka dun ga .

  50. قَالُواْ لَا ضَيۡرَۖ إِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا مُنقَلِبُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۵۰⁩ کھولیں

    jadoogaron ney kaha : humara kuch nahi bigrey ga , hamen yaqeen hai kay hum loat ker apney perwerdigar kay paas chalay jayen gay .

  51. إِنَّا نَطۡمَعُ أَن يَغۡفِرَ لَنَا رَبُّنَا خَطَٰيَٰنَآ أَن كُنَّآ أَوَّلَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۵۱⁩ کھولیں

    hum to shoq say umeed lagaye huye hain kay humara perwerdigar iss wajeh say humari khatayen bakhsh dey ga kay hum sabb say pehlay emaan laye thay .

  52. ۞وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ أَنۡ أَسۡرِ بِعِبَادِيٓ إِنَّكُم مُّتَّبَعُونَ

    آیت ⁦۲۶:۵۲⁩ کھولیں

    aur hum ney musa kay paas wahi bheji kay : meray bandon ko ley ker raaton raat rawana hojao , tumhara peecha yaqeenan kiya jaye ga .

  53. فَأَرۡسَلَ فِرۡعَوۡنُ فِي ٱلۡمَدَآئِنِ حَٰشِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۵۳⁩ کھولیں

    iss per firon ney shehron mein herkaray bhej diye

  54. إِنَّ هَٰٓؤُلَآءِ لَشِرۡذِمَةٞ قَلِيلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۵۴⁩ کھولیں

    . ( aur yeh kehla bheja kay : ) yeh ( bani Israel ) aik choti si toli kay thoray say log hain .

  55. وَإِنَّهُمۡ لَنَا لَغَآئِظُونَ

    آیت ⁦۲۶:۵۵⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay enhon ney humaray dil jalaye huye hain ,

  56. وَإِنَّا لَجَمِيعٌ حَٰذِرُونَ

    آیت ⁦۲۶:۵۶⁩ کھولیں

    aur hum sabb ehtiyati tadbeeren kiye huye hain ( lehaza sabb milker inn ka taaqqub kero )

  57. فَأَخۡرَجۡنَٰهُم مِّن جَنَّٰتٖ وَعُيُونٖ

    آیت ⁦۲۶:۵۷⁩ کھولیں

    iss tarah hum unhen bahir nikal laye baaghon aur chashmon say bhi .

  58. وَكُنُوزٖ وَمَقَامٖ كَرِيمٖ

    آیت ⁦۲۶:۵۸⁩ کھولیں

    aur khazanon aur ba-izzat maqamaat say bhi .

  59. كَذَٰلِكَۖ وَأَوۡرَثۡنَٰهَا بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ

    آیت ⁦۲۶:۵۹⁩ کھولیں

    inn ka moamla to issi tarah huwa , aur ( doosri taraf ) unn cheezon ka waris hum ney bani Israel ko bana diya .

  60. فَأَتۡبَعُوهُم مُّشۡرِقِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۶۰⁩ کھولیں

    gharz huwa yeh kay yeh sabb log sooraj nikaltay hi unn ka peecha kernay nikal kharray huye .

  61. فَلَمَّا تَرَٰٓءَا ٱلۡجَمۡعَانِ قَالَ أَصۡحَٰبُ مُوسَىٰٓ إِنَّا لَمُدۡرَكُونَ

    آیت ⁦۲۶:۶۱⁩ کھولیں

    phir jab dono jathay aik doosray ko nazar aaney lagay to musa kay sathiyon ney kaha kay : abb to pakki baat hai kay hum pakar hi liye gaye .

  62. قَالَ كَلَّآۖ إِنَّ مَعِيَ رَبِّي سَيَهۡدِينِ

    آیت ⁦۲۶:۶۲⁩ کھولیں

    musa ney kaha : hergiz nahi , meray sath yaqeeni tor say mera perwerdigar hai , woh mujhay raasta bataye ga .

  63. فَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ أَنِ ٱضۡرِب بِّعَصَاكَ ٱلۡبَحۡرَۖ فَٱنفَلَقَ فَكَانَ كُلُّ فِرۡقٖ كَٱلطَّوۡدِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۲۶:۶۳⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney musa kay paas wahi bheji kay apni laathi samandar per maaro . bus phir samandar phatt gaya , aur her hissa aik baray pahar ki tarah kharra hogaya .

  64. وَأَزۡلَفۡنَا ثَمَّ ٱلۡأٓخَرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۶۴⁩ کھولیں

    aur doosray fareeq ko bhi hum uss jagah kay nazdeek ley aaye .

  65. وَأَنجَيۡنَا مُوسَىٰ وَمَن مَّعَهُۥٓ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۲۶:۶۵⁩ کھولیں

    aur musa aur unn kay tamam sathiyon ko hum ney bachaliya ,

  66. ثُمَّ أَغۡرَقۡنَا ٱلۡأٓخَرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۶۶⁩ کھولیں

    phir doosron ko gharq ker daala .

  67. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۶۷⁩ کھولیں

    yaqeenan iss saray waqaey mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi inn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  68. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۲۶:۶۸⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , bara meharban bhi .

  69. وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ إِبۡرَٰهِيمَ

    آیت ⁦۲۶:۶۹⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) inn ko Ibrahim ka waqiaa sunao ,

  70. إِذۡ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوۡمِهِۦ مَا تَعۡبُدُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۷۰⁩ کھولیں

    jab unhon ney apney baap aur apni qoam say kaha tha kay : tum kiss cheez ki ibadat kertay ho-?

  71. قَالُواْ نَعۡبُدُ أَصۡنَامٗا فَنَظَلُّ لَهَا عَٰكِفِينَ

    آیت ⁦۲۶:۷۱⁩ کھولیں

    unhon ney kaha kay : hum button ki ibadat kertay hain , aur unhi kay aagay dharna diye rehtay hain .

  72. قَالَ هَلۡ يَسۡمَعُونَكُمۡ إِذۡ تَدۡعُونَ

    آیت ⁦۲۶:۷۲⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : jab tum unn ko pukartay ho to kiya yeh tumhari baat suntay hain-?

  73. أَوۡ يَنفَعُونَكُمۡ أَوۡ يَضُرُّونَ

    آیت ⁦۲۶:۷۳⁩ کھولیں

    ya tumhen koi faeeda ya nuqsan phonchatay hain-?

  74. قَالُواْ بَلۡ وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا كَذَٰلِكَ يَفۡعَلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۷۴⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : asal baat yeh hai kay hum ney apney baap dadon ko aisa hi kertay huye paya hai .

  75. قَالَ أَفَرَءَيۡتُم مَّا كُنتُمۡ تَعۡبُدُونَ

    آیت ⁦۲۶:۷۵⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : bhala kabhi tum ney inn cheezon ko ghor say dekha bhi jinn ki tum ibadat kertay rahey ho-?

  76. أَنتُمۡ وَءَابَآؤُكُمُ ٱلۡأَقۡدَمُونَ

    آیت ⁦۲۶:۷۶⁩ کھولیں

    tum bhi aur tumharay puraney baap daday bhi !

  77. فَإِنَّهُمۡ عَدُوّٞ لِّيٓ إِلَّا رَبَّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۷۷⁩ کھولیں

    meray liye to yeh sabb dushman hain , siwaye aik Rabb-ul-Aalameen kay

  78. ٱلَّذِي خَلَقَنِي فَهُوَ يَهۡدِينِ

    آیت ⁦۲۶:۷۸⁩ کھولیں

    jiss ney mujhay peda kiya hai , phir wohi meri rehnumai farmata hai ,

  79. وَٱلَّذِي هُوَ يُطۡعِمُنِي وَيَسۡقِينِ

    آیت ⁦۲۶:۷۹⁩ کھولیں

    aur jo mujhay khilata pilata hai

  80. وَإِذَا مَرِضۡتُ فَهُوَ يَشۡفِينِ 

    آیت ⁦۲۶:۸۰⁩ کھولیں

    aur jab mein beemar hota hun to mujhay shifa deta hai ,

  81. وَٱلَّذِي يُمِيتُنِي ثُمَّ يُحۡيِينِ

    آیت ⁦۲۶:۸۱⁩ کھولیں

    aur jo mujhay moat dey ga , phir zinda keray ga ,

  82. وَٱلَّذِيٓ أَطۡمَعُ أَن يَغۡفِرَ لِي خَطِيٓـَٔتِي يَوۡمَ ٱلدِّينِ

    آیت ⁦۲۶:۸۲⁩ کھولیں

    aur jiss say mein yeh umeed lagaye huye hun kay woh hisab o kitab kay din meri khata bakhsh dey ga .

  83. رَبِّ هَبۡ لِي حُكۡمٗا وَأَلۡحِقۡنِي بِٱلصَّٰلِحِينَ

    آیت ⁦۲۶:۸۳⁩ کھولیں

    meray perwerdigar ! mujhay hikmat ata farma , aur mujhay naik logon mein shamil farmaley ,

  84. وَٱجۡعَل لِّي لِسَانَ صِدۡقٖ فِي ٱلۡأٓخِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۸۴⁩ کھولیں

    aur aaney wali naslon mein meray liye woh zabanen peda farmadey jo meri sachai ki gawahi den .

  85. وَٱجۡعَلۡنِي مِن وَرَثَةِ جَنَّةِ ٱلنَّعِيمِ

    آیت ⁦۲۶:۸۵⁩ کھولیں

    aur mujhay unn logon mein say bana dey jo naimaton wali jannat kay waris hon gay .

  86. وَٱغۡفِرۡ لِأَبِيٓ إِنَّهُۥ كَانَ مِنَ ٱلضَّآلِّينَ

    آیت ⁦۲۶:۸۶⁩ کھولیں

    aur meray baap ki maghfirat farma . yaqeenan woh gumrah logon mein say hai .

  87. وَلَا تُخۡزِنِي يَوۡمَ يُبۡعَثُونَ

    آیت ⁦۲۶:۸۷⁩ کھولیں

    aur uss din mujhay ruswa naa kerna jiss din logon ko dobara zinda kiya jaye ga ,

  88. يَوۡمَ لَا يَنفَعُ مَالٞ وَلَا بَنُونَ

    آیت ⁦۲۶:۸۸⁩ کھولیں

    jiss din naa koi maal kaam aaye ga , naa aulad ,

  89. إِلَّا مَنۡ أَتَى ٱللَّهَ بِقَلۡبٖ سَلِيمٖ

    آیت ⁦۲۶:۸۹⁩ کھولیں

    haan jo shaks Allah kay paas salamti wala dil ley ker aaye ga , ( uss ko nijat milay gi )

  90. وَأُزۡلِفَتِ ٱلۡجَنَّةُ لِلۡمُتَّقِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۹۰⁩ کھولیں

    aur jannat muttaqi logon kay liye qareeb kerdi jaye gi ,

  91. وَبُرِّزَتِ ٱلۡجَحِيمُ لِلۡغَاوِينَ

    آیت ⁦۲۶:۹۱⁩ کھولیں

    aur dozakh khulay tor per gumrahon kay samney kerdi jaye gi

  92. وَقِيلَ لَهُمۡ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡ تَعۡبُدُونَ

    آیت ⁦۲۶:۹۲⁩ کھولیں

    aur unn say kaha jaye ga kay : kahan hain woh jinn ki tum Allah ko chorr ker ibadat kiya kertay thay ?

  93. مِن دُونِ ٱللَّهِ هَلۡ يَنصُرُونَكُمۡ أَوۡ يَنتَصِرُونَ

    آیت ⁦۲۶:۹۳⁩ کھولیں

    kiya woh tumhari madad keren gay ya khud apna bachao kerlen gay-?

  94. فَكُبۡكِبُواْ فِيهَا هُمۡ وَٱلۡغَاوُۥنَ

    آیت ⁦۲۶:۹۴⁩ کھولیں

    phir unn ko aur gumrahon ko bhi ondhay mun dozakh mein daal diya jaye ga ,

  95. وَجُنُودُ إِبۡلِيسَ أَجۡمَعُونَ

    آیت ⁦۲۶:۹۵⁩ کھولیں

    aur iblees kay saray lashkaron ko bhi .

  96. قَالُواْ وَهُمۡ فِيهَا يَخۡتَصِمُونَ

    آیت ⁦۲۶:۹۶⁩ کھولیں

    wahan yeh sabb aapas mein jhagarrtay huye ( apney maboodon say ) kahen gay

  97. تَٱللَّهِ إِن كُنَّا لَفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ

    آیت ⁦۲۶:۹۷⁩ کھولیں

    kay : Allah ki qasam hum to uss zamaney mein khuli gumrahi mein mubtala thay .

  98. إِذۡ نُسَوِّيكُم بِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۹۸⁩ کھولیں

    jab hum ney tumhen Rabb-ul-Aalameen kay barabar qarar dey rakha tha .

  99. وَمَآ أَضَلَّنَآ إِلَّا ٱلۡمُجۡرِمُونَ

    آیت ⁦۲۶:۹۹⁩ کھولیں

    aur hamen to inn baray baray mujrimon ney hi gumrah kiya tha .

  100. فَمَا لَنَا مِن شَٰفِعِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۰⁩ کھولیں

    nateeja yeh hai kay naa to hamen kissi qisam ki sifarish kernay walay moyassar hain

  101. وَلَا صَدِيقٍ حَمِيمٖ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۱⁩ کھولیں

    aur naa koi aisa dost jo hamdardi ker-sakay .

  102. فَلَوۡ أَنَّ لَنَا كَرَّةٗ فَنَكُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۲⁩ کھولیں

    abb kaash kay hamen aik martaba duniya mein wapis janey ka moaqa mil jaye to hum momin ban jayen !

  103. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۳⁩ کھولیں

    yaqeenan iss saray waqaey mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi inn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  104. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۴⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , boht meharban bhi .

  105. كَذَّبَتۡ قَوۡمُ نُوحٍ ٱلۡمُرۡسَلِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۵⁩ کھولیں

    nooh ki qoam ney payghumberon ko jhutlaya .

  106. إِذۡ قَالَ لَهُمۡ أَخُوهُمۡ نُوحٌ أَلَا تَتَّقُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۶⁩ کھولیں

    jabkay unn kay bhai nooh ney unn say kaha kay : kiya tum Allah say dartay nahi ho-?

  107. إِنِّي لَكُمۡ رَسُولٌ أَمِينٞ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۷⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay mein tumharay liye aik amanat daar payghumber hun ,

  108. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۸⁩ کھولیں

    lehaza tum Allah say daro , aur meri baat maano .

  109. وَمَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۰۹⁩ کھولیں

    aur mein tum say iss kaam per kissi qisam ki koi ujrat nahi maangta . mera ajar to sirf uss zaat ney apney zimmay ley rakha hai jo saray duniya jahan ki perwerish kerti hai .

  110. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ 

    آیت ⁦۲۶:۱۱۰⁩ کھولیں

    lehaza tum Allah say daro , aur meri baat maano .

  111. ۞قَالُوٓاْ أَنُؤۡمِنُ لَكَ وَٱتَّبَعَكَ ٱلۡأَرۡذَلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۱⁩ کھولیں

    woh log bolay : kiya hum tum per emaan ley ayen , halankay baray neechay darjay kay log tumharay peechay lagay huye hain-?

  112. قَالَ وَمَا عِلۡمِي بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۲⁩ کھولیں

    nooh ney kaha : mein kiya janon kay woh kiya kaam kertay hain-?

  113. إِنۡ حِسَابُهُمۡ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّيۖ لَوۡ تَشۡعُرُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۳⁩ کھولیں

    unn ka hisab lena kissi aur ka nahi , meray perwerdigar ka kaam hai . kaash ! tum samajh say kaam lo .

  114. وَمَآ أَنَا۠ بِطَارِدِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۴⁩ کھولیں

    aur mein inn mominon ko dhutkar ker apney say door nahi ker-sakta .

  115. إِنۡ أَنَا۠ إِلَّا نَذِيرٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۵⁩ کھولیں

    mein to bus aik khabrdar kernay wala hun jo ( tumharay samney ) haqeeqat khol ker rakh raha hai .

  116. قَالُواْ لَئِن لَّمۡ تَنتَهِ يَٰنُوحُ لَتَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمَرۡجُومِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۶⁩ کھولیں

    woh kehney lagay : aey nooh ! agar tum baaz naa aaye to tumhen pathar maar maar ker halak kerdiya jaye ga .

  117. قَالَ رَبِّ إِنَّ قَوۡمِي كَذَّبُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۷⁩ کھولیں

    nooh ney kaha : meray perwerdigar ! meri qoam ney mujhay jhutla diya hai .

  118. فَٱفۡتَحۡ بَيۡنِي وَبَيۡنَهُمۡ فَتۡحٗا وَنَجِّنِي وَمَن مَّعِيَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۸⁩ کھولیں

    abb aap meray aur inn kay darmiyaan do tok faisla ker-dijiye , aur mujhay aur meray momin sathiyon ko bacha lijiye .

  119. فَأَنجَيۡنَٰهُ وَمَن مَّعَهُۥ فِي ٱلۡفُلۡكِ ٱلۡمَشۡحُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۱۹⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney unhen aur unn kay sathiyon ko bhari hoi kashti mein bacha liya ,

  120. ثُمَّ أَغۡرَقۡنَا بَعۡدُ ٱلۡبَاقِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۲۰⁩ کھولیں

    phir uss kay baad baqi logon ko gharq kerdiya .

  121. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۱⁩ کھولیں

    yaqeenan iss saray waqaey mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi inn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  122. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۲⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , boht meharban bhi .

  123. كَذَّبَتۡ عَادٌ ٱلۡمُرۡسَلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۳⁩ کھولیں

    aad ki qoam ney payghumberon ko jhutlaya

  124. إِذۡ قَالَ لَهُمۡ أَخُوهُمۡ هُودٌ أَلَا تَتَّقُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۴⁩ کھولیں

    jabkay unn kay bhai Hood ney unn say kaha kay : kiya tum Allah say dartay nahi ho-?

  125. إِنِّي لَكُمۡ رَسُولٌ أَمِينٞ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۵⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay mein tumharay liye aik amanat daar payghumber hun ,

  126. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۶⁩ کھولیں

    lehaza tum Allah say daro , aur meri baat maano .

  127. وَمَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۷⁩ کھولیں

    aur mein tum say iss kaam per kissi qisam ki koi ujrat nahi maangta , mera ajar to sirf uss zaat ney apney zimmay ley rakha hai jo saray duniya jahan ki perwerish kerti hai .

  128. أَتَبۡنُونَ بِكُلِّ رِيعٍ ءَايَةٗ تَعۡبَثُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۸⁩ کھولیں

    kiya tum her oonchi jagah per koi yaad gaar bana ker fuzool harkaten kertay ho-?

  129. وَتَتَّخِذُونَ مَصَانِعَ لَعَلَّكُمۡ تَخۡلُدُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۲۹⁩ کھولیں

    aur tum ney bari karigari say banai hoi imaraten iss tarah rakh chorri hain jaisay tumhen hamesha zinda rehna hai ?

  130. وَإِذَا بَطَشۡتُم بَطَشۡتُمۡ جَبَّارِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۳۰⁩ کھولیں

    aur jab kissi ki pakar kertay ho to pakay zalim o jabir ban ker pakar kertay ho .

  131. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۱⁩ کھولیں

    abb Allah say daro , aur meri baat maano .

  132. وَٱتَّقُواْ ٱلَّذِيٓ أَمَدَّكُم بِمَا تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۲⁩ کھولیں

    aur uss zaat say daro jiss ney unn cheezon say nawaz ker tumhari quooat mein izafa kiya hai jo tum khud jantay ho .

  133. أَمَدَّكُم بِأَنۡعَٰمٖ وَبَنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۳⁩ کھولیں

    uss ney tumhen maweshiyon aur aulad say bhi nawaza hai ,

  134. وَجَنَّٰتٖ وَعُيُونٍ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۴⁩ کھولیں

    aur baaghon aur chashmon say bhi .

  135. إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۵⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay mujhay tum per aik zabardast din kay azab ka andesha hai .

  136. قَالُواْ سَوَآءٌ عَلَيۡنَآ أَوَعَظۡتَ أَمۡ لَمۡ تَكُن مِّنَ ٱلۡوَٰعِظِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۶⁩ کھولیں

    woh kehney lagay : chahye tum naseehat kero , ya naa kero , humaray liye sabb barabar hai .

  137. إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا خُلُقُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۷⁩ کھولیں

    yeh baaten to wohi hain jo pichlay logon ki aadat rahi hain .

  138. وَمَا نَحۡنُ بِمُعَذَّبِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۸⁩ کھولیں

    aur hum azab ka nishana banney walay nahi hain .

  139. فَكَذَّبُوهُ فَأَهۡلَكۡنَٰهُمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۳۹⁩ کھولیں

    gharz unn logon ney Hood ko jhutlaya , jiss kay nateejay mein hum ney unn ko halak kerdiya . yaqeenan iss saray waqaey mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi unn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  140. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ 

    آیت ⁦۲۶:۱۴۰⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , bara meharban bhi .

  141. كَذَّبَتۡ ثَمُودُ ٱلۡمُرۡسَلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۱⁩ کھولیں

    qoam-e-samood ney payghumberon ko jhutlaya ,

  142. إِذۡ قَالَ لَهُمۡ أَخُوهُمۡ صَٰلِحٌ أَلَا تَتَّقُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۲⁩ کھولیں

    jabkay unn kay bhai saleh ney unn say kaha kay : kiya tum Allah say dartay nahi ho-?

  143. إِنِّي لَكُمۡ رَسُولٌ أَمِينٞ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۳⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay mein tumharay liye aik amanat daar payghumber hun ,

  144. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۴⁩ کھولیں

    lehaza tum Allah say daro , aur meri baat maano .

  145. وَمَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۵⁩ کھولیں

    aur mein tum say iss kaam per kissi qisam ki koi ujrat nahi maangta . mera ajar to sirf uss zaat ney apney zimmay ley rakha hai jo saray duniya jahan ki perwerish kerti hai .

  146. أَتُتۡرَكُونَ فِي مَا هَٰهُنَآ ءَامِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۶⁩ کھولیں

    kiya tumhen itminan kay sath unn sari naimaton mein hamesha rehney diya jaye ga jo yahan mojood hain-?

  147. فِي جَنَّٰتٖ وَعُيُونٖ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۷⁩ کھولیں

    inn baaghon aur chashmon mein-?

  148. وَزُرُوعٖ وَنَخۡلٖ طَلۡعُهَا هَضِيمٞ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۸⁩ کھولیں

    aur inn khetiyon aur inn/unn nakhlistanon mein jinn kay khoshay aik doosray mein paywast hain-?

  149. وَتَنۡحِتُونَ مِنَ ٱلۡجِبَالِ بُيُوتٗا فَٰرِهِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۴۹⁩ کھولیں

    aur kiya paharon ko baray naaz kay sath tarash ker tum ( hamesha ) ghar banatay raho gay-?

  150. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ 

    آیت ⁦۲۶:۱۵۰⁩ کھولیں

    abb Allah say daro , aur meri baat maano .

  151. وَلَا تُطِيعُوٓاْ أَمۡرَ ٱلۡمُسۡرِفِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۱⁩ کھولیں

    aur unn hadd say guzray huye logon ka kehna matt maano

  152. ٱلَّذِينَ يُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا يُصۡلِحُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۲⁩ کھولیں

    jo zameen mein fasad phelatay hain , aur islaah ka kaam nahi kertay .

  153. قَالُوٓاْ إِنَّمَآ أَنتَ مِنَ ٱلۡمُسَحَّرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۳⁩ کھولیں

    woh kehney lagay kay : tum per to kissi ney bara bhari jadoo kerdiya hai ,

  154. مَآ أَنتَ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُنَا فَأۡتِ بِـَٔايَةٍ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۴⁩ کھولیں

    tumhari haqeeqat iss kay siwa kuch bhi nahi kay tum hum jaisay hi aik insan ho . lehaza agar sachay ho to koi nishani ley ker aao .

  155. قَالَ هَٰذِهِۦ نَاقَةٞ لَّهَا شِرۡبٞ وَلَكُمۡ شِرۡبُ يَوۡمٖ مَّعۡلُومٖ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۵⁩ کھولیں

    saleh ney kaha : ( lo ) yeh oontni hai . paani peenay kay liye aik baari iss ki hogi , aur aik moyyan din mein aik baari tumhari .

  156. وَلَا تَمَسُّوهَا بِسُوٓءٖ فَيَأۡخُذَكُمۡ عَذَابُ يَوۡمٍ عَظِيمٖ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۶⁩ کھولیں

    aur iss ko buri niyyat say haath bhi naa lagana , werna aik zabardast din ka azab tumhen aa-pakray ga .

  157. فَعَقَرُوهَا فَأَصۡبَحُواْ نَٰدِمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۷⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay unhon ney uss oontni ki koonchen kaat daalen , aur aakhir kaar pasheman huye .

  158. فَأَخَذَهُمُ ٱلۡعَذَابُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۸⁩ کھولیں

    chunacheh azab ney unhen aa-pakra . yaqeenan iss saray waqaey mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi unn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  159. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۲۶:۱۵۹⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , bara meharban bhi .

  160. كَذَّبَتۡ قَوۡمُ لُوطٍ ٱلۡمُرۡسَلِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۶۰⁩ کھولیں

    loot ki qoam ney payghumberon ko jhutlaya ,

  161. إِذۡ قَالَ لَهُمۡ أَخُوهُمۡ لُوطٌ أَلَا تَتَّقُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۱⁩ کھولیں

    jabkay unn kay bhai loot ney unn say kaha kay : kiya tum Allah say dartay nahi ho-?

  162. إِنِّي لَكُمۡ رَسُولٌ أَمِينٞ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۲⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay mein tumharay liye aik amanat daar payghumber hun ,

  163. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۳⁩ کھولیں

    lehaza tum Allah say daro , aur meri baat maano .

  164. وَمَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۴⁩ کھولیں

    aur mein tum say iss kaam per kissi qisam ki koi ujrat nahi maangta . mera ajar to sirf uss zaat ney apney zimmay ley rakha hai jo saray duniya jahan ki perwerish kerti hai .

  165. أَتَأۡتُونَ ٱلذُّكۡرَانَ مِنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۵⁩ کھولیں

    kiya duniya jahan kay saray logon mein tum ho jo mardon kay paas jatay ho ,

  166. وَتَذَرُونَ مَا خَلَقَ لَكُمۡ رَبُّكُم مِّنۡ أَزۡوَٰجِكُمۚ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٌ عَادُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۶⁩ کھولیں

    aur tumhari biwiyan jo tumharay rab ney tumharay liye peda ki hain , unn ko choray bethay ho-? haqeeqat to yeh hai kay tum hadd say bilkul guzray huye log ho .

  167. قَالُواْ لَئِن لَّمۡ تَنتَهِ يَٰلُوطُ لَتَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُخۡرَجِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۷⁩ کھولیں

    kehney lagay : loot ! agar tum baaz naa aaye to tum bhi unn logon mein shamil hojao gay jinhen ( basti say ) nikal bahir kiya jata hai .

  168. قَالَ إِنِّي لِعَمَلِكُم مِّنَ ٱلۡقَالِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۸⁩ کھولیں

    loot ney kaha : yaqeen jano , mein unn logon mein say hon jo tumharay iss kaam say bilkul beyzar hain .

  169. رَبِّ نَجِّنِي وَأَهۡلِي مِمَّا يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۶۹⁩ کھولیں

    meray perwerdigar ! jo harkaten yeh log ker rahey hain , mujhay aur meray ghar walon ko unn say nijat deydey .

  170. فَنَجَّيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥٓ أَجۡمَعِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۷۰⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney unn ko aur unn kay sabb ghar walon ko nijat di ,

  171. إِلَّا عَجُوزٗا فِي ٱلۡغَٰبِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۱⁩ کھولیں

    siwaye aik burhiya kay jo peechay rehney walon mein shamil rahi .

  172. ثُمَّ دَمَّرۡنَا ٱلۡأٓخَرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۲⁩ کھولیں

    phir aur sabb ko hum ney tabah kerdiya .

  173. وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِم مَّطَرٗاۖ فَسَآءَ مَطَرُ ٱلۡمُنذَرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۳⁩ کھولیں

    aur unn per aik zabardast barish barsa di . gharz boht buri barish thi jo unn per barsi jinhen pehlay say dara diya gaya tha .

  174. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۴⁩ کھولیں

    yaqeenan iss saray waqaey mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi inn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  175. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۵⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , bara meharban bhi .

  176. كَذَّبَ أَصۡحَٰبُ لۡـَٔيۡكَةِ ٱلۡمُرۡسَلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۶⁩ کھولیں

    aieka kay bashindon ney payghumberon ko jhutlaya ,

  177. إِذۡ قَالَ لَهُمۡ شُعَيۡبٌ أَلَا تَتَّقُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۷⁩ کھولیں

    jabkay shoaib ney unn say kaha kay : kiya tum Allah say dartay nahi ho-?

  178. إِنِّي لَكُمۡ رَسُولٌ أَمِينٞ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۸⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay mein tumharay liye aik amanat daar payghumber hun ,

  179. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ

    آیت ⁦۲۶:۱۷۹⁩ کھولیں

    lehaza tum Allah say daro , aur meri baat maano .

  180. وَمَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۸۰⁩ کھولیں

    aur mein tum say iss kaam per kissi qisam ki koi ujrat nahi maangta . mera ajar to sirf uss zaat ney apney zimmay ley rakha hai jo saray duniya jahan ki perwerish kerti hai .

  181. ۞أَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَلَا تَكُونُواْ مِنَ ٱلۡمُخۡسِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۱⁩ کھولیں

    poora poora naap diya kero , aur unn logon mein say naa bano jo doosron ko ghatay mein daaltay hain .

  182. وَزِنُواْ بِٱلۡقِسۡطَاسِ ٱلۡمُسۡتَقِيمِ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۲⁩ کھولیں

    aur seedhi tarazoo say tola kero ,

  183. وَلَا تَبۡخَسُواْ ٱلنَّاسَ أَشۡيَآءَهُمۡ وَلَا تَعۡثَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُفۡسِدِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۳⁩ کھولیں

    aur logon ko unn ki cheezen ghata ker naa diya kero , aur zameen mein fasad machatay matt phiro .

  184. وَٱتَّقُواْ ٱلَّذِي خَلَقَكُمۡ وَٱلۡجِبِلَّةَ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۴⁩ کھولیں

    aur uss zaat say daro jiss ney tumhen bhi peda kiya hai , aur pichli khalqat ko bhi .

  185. قَالُوٓاْ إِنَّمَآ أَنتَ مِنَ ٱلۡمُسَحَّرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۵⁩ کھولیں

    kehney lagay : tum per to kissi ney bara bhari jadoo kerdiya hai ,

  186. وَمَآ أَنتَ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُنَا وَإِن نَّظُنُّكَ لَمِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۶⁩ کھولیں

    tumhari haqeeqat iss kay siwa kuch bhi nahi kay tum hum jaisay hi aik insan ho , aur hum tumhen pooray yaqeen kay sath jhoota samajhtay hain .

  187. فَأَسۡقِطۡ عَلَيۡنَا كِسَفٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۷⁩ کھولیں

    lehaza agar tum sachay ho to hum per aasman ka koi tukrra gira do .

  188. قَالَ رَبِّيٓ أَعۡلَمُ بِمَا تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۸⁩ کھولیں

    shoaib ney kaha : mera perwerdigar khoob janta hai kay tum kiya ker-rahey ho .

  189. فَكَذَّبُوهُ فَأَخَذَهُمۡ عَذَابُ يَوۡمِ ٱلظُّلَّةِۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٍ

    آیت ⁦۲۶:۱۸۹⁩ کھولیں

    gharz unn logon ney shoaib ko jhutlaya jiss ka nateeja yeh huwa kay unhen sayeban walay din kay azab ney aa-pakra . beyshak woh aik zabardast din ka azab tha .

  190. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗۖ وَمَا كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّؤۡمِنِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۱۹۰⁩ کھولیں

    yaqeenan iss saray waqaey mein ibrat ka bara saman hai , phir bhi unn mein say aksar log emaan nahi latay ,

  191. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۱⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar sahab-e-iqtidar bhi hai , bara meharban bhi .

  192. وَإِنَّهُۥ لَتَنزِيلُ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۲⁩ کھولیں

    beyshak yeh Quran Rabb-ul-Aalameen ka nazil kiya huwa hai .

  193. نَزَلَ بِهِ ٱلرُّوحُ ٱلۡأَمِينُ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۳⁩ کھولیں

    amanat daar farishta issay ley ker utra hai

  194. عَلَىٰ قَلۡبِكَ لِتَكُونَ مِنَ ٱلۡمُنذِرِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۴⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) tumharay qalb per utra hai takay tum unn ( payghumberon ) mein shamil hojao jo logon ko khabrdar kertay hain ,

  195. بِلِسَانٍ عَرَبِيّٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۵⁩ کھولیں

    aesi arbi zaban mein utra hai jo paygham ko wazeh ker-denay wali hai .

  196. وَإِنَّهُۥ لَفِي زُبُرِ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۶⁩ کھولیں

    aur iss ( Quran ) ka tazkarah pichli ( aasmani ) kitabon mein bhi mojood hai .

  197. أَوَلَمۡ يَكُن لَّهُمۡ ءَايَةً أَن يَعۡلَمَهُۥ عُلَمَٰٓؤُاْ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۷⁩ کھولیں

    bhala kiya inn logon kay liye yeh koi daleel nahi hai kay bano Israel kay ulama iss say waqif hain-?

  198. وَلَوۡ نَزَّلۡنَٰهُ عَلَىٰ بَعۡضِ ٱلۡأَعۡجَمِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۸⁩ کھولیں

    aur agar hum yeh kitab ajmi logon mein say kissi per nazil ker-detay ,

  199. فَقَرَأَهُۥ عَلَيۡهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ مُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۱۹۹⁩ کھولیں

    aur woh inn kay samney parh bhi deta to yeh log tab bhi uss per emaan naa latay .

  200. كَذَٰلِكَ سَلَكۡنَٰهُ فِي قُلُوبِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۰⁩ کھولیں

    mujrimon kay dilon mein to hum ney iss ko issi tarah dakhil kiya hai ,

  201. لَا يُؤۡمِنُونَ بِهِۦ حَتَّىٰ يَرَوُاْ ٱلۡعَذَابَ ٱلۡأَلِيمَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۱⁩ کھولیں

    yeh log iss per uss waqt tak emaan nahi layen gay jab tak dardnak azab aankhon say naa dekh len ,

  202. فَيَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۲⁩ کھولیں

    aur woh unn kay paas iss tarah achanak aa-khara ho kay inn ko pata bhi naa chalay ,

  203. فَيَقُولُواْ هَلۡ نَحۡنُ مُنظَرُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۳⁩ کھولیں

    phir yeh keh uthen kay kiya hamen kuch mohlat mil sakti hai ?

  204. أَفَبِعَذَابِنَا يَسۡتَعۡجِلُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۴⁩ کھولیں

    to kiya yeh log humaray azab kay liye jaldi macha rahey hain-?

  205. أَفَرَءَيۡتَ إِن مَّتَّعۡنَٰهُمۡ سِنِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۵⁩ کھولیں

    bhala batao agar hum kaee saal tak enhen aesh ka saman mohaiyya kertay rahen ,

  206. ثُمَّ جَآءَهُم مَّا كَانُواْ يُوعَدُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۶⁩ کھولیں

    phir woh ( azab ) inn kay oopper aa-khara ho jiss say enhen daraya jaraha hai .

  207. مَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يُمَتَّعُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۷⁩ کھولیں

    to aesh ka jo saman inn ko diya jata raha woh enhen ( azab kay waqt ) kiya faeeda phoncha sakta hai ?

  208. وَمَآ أَهۡلَكۡنَا مِن قَرۡيَةٍ إِلَّا لَهَا مُنذِرُونَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۸⁩ کھولیں

    aur hum ney kissi basti ko iss kay baghair halak nahi kiya kay ( pehlay ) uss kay liye khabrdar kernay walay mojood thay ,

  209. ذِكۡرَىٰ وَمَا كُنَّا ظَٰلِمِينَ 

    آیت ⁦۲۶:۲۰۹⁩ کھولیں

    takay woh naseehat keren , aur hum aesay to nahi hain kay zulm keren .

  210. وَمَا تَنَزَّلَتۡ بِهِ ٱلشَّيَٰطِينُ 

    آیت ⁦۲۶:۲۱۰⁩ کھولیں

    aur iss Quran ko shayateen ley ker nahi utray ,

  211. وَمَا يَنۢبَغِي لَهُمۡ وَمَا يَسۡتَطِيعُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۱⁩ کھولیں

    naa yeh Quran unn kay matlab ka hai , aur naa woh aisa ker-saktay hain ,

  212. إِنَّهُمۡ عَنِ ٱلسَّمۡعِ لَمَعۡزُولُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۲⁩ کھولیں

    unhen to ( wahi kay ) sunney say bhi rok diya gaya hai .

  213. فَلَا تَدۡعُ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَتَكُونَ مِنَ ٱلۡمُعَذَّبِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۳⁩ کھولیں

    lehaza Allah kay sath koi mabood naa maano , kabhi tum bhi unn logon mein shamil hojao jinhen azab hoga .

  214. وَأَنذِرۡ عَشِيرَتَكَ ٱلۡأَقۡرَبِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۴⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) tum apney qareeb tareen khandan ko khabrdar kero ,

  215. وَٱخۡفِضۡ جَنَاحَكَ لِمَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۵⁩ کھولیں

    aur jo momin tumharay peechay chalen , unn kay liye inkisari kay sath apni shafqat ka bazoo jhuka do ,

  216. فَإِنۡ عَصَوۡكَ فَقُلۡ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّمَّا تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۶⁩ کھولیں

    aur agar woh tumhari nafarmani keren to keh do kay : jo kuch tum ker rahey ho , uss say mera koi talluq nahi .

  217. وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱلۡعَزِيزِ ٱلرَّحِيمِ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۷⁩ کھولیں

    aur uss ( Allah ) per bharosa rakho jo bara iqtidar wala , boht meharban hai .

  218. ٱلَّذِي يَرَىٰكَ حِينَ تَقُومُ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۸⁩ کھولیں

    jo tumhen uss waqt bhi dekhta hai jab tum ( ibadat kay liye ) kharray hotay ho ,

  219. وَتَقَلُّبَكَ فِي ٱلسَّٰجِدِينَ

    آیت ⁦۲۶:۲۱۹⁩ کھولیں

    aur sajda kernay walon kay darmiyan tumhari aamd-o-raft ko bhi dekhta hai ,

  220. إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ 

    آیت ⁦۲۶:۲۲۰⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay wohi hai jo her baat sunta her cheez janta hai

  221. هَلۡ أُنَبِّئُكُمۡ عَلَىٰ مَن تَنَزَّلُ ٱلشَّيَٰطِينُ

    آیت ⁦۲۶:۲۲۱⁩ کھولیں

    kiya mein tumhen bataon kay shayateen kinn logon per utartey hain-?

  222. تَنَزَّلُ عَلَىٰ كُلِّ أَفَّاكٍ أَثِيمٖ

    آیت ⁦۲۶:۲۲۲⁩ کھولیں

    woh her aesay shaks per utartey hain jo perlay darjay ka jhoota gunehgaar ho ,

  223. يُلۡقُونَ ٱلسَّمۡعَ وَأَكۡثَرُهُمۡ كَٰذِبُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۲۳⁩ کھولیں

    woh suni sunai baat laa daaltay hain , aur unn mein say aksar jhootay hotay hain .

  224. وَٱلشُّعَرَآءُ يَتَّبِعُهُمُ ٱلۡغَاوُۥنَ

    آیت ⁦۲۶:۲۲۴⁩ کھولیں

    rahey shaeer log , to unn kay peechay to bey raah log chaltay hain .

  225. أَلَمۡ تَرَ أَنَّهُمۡ فِي كُلِّ وَادٖ يَهِيمُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۲۵⁩ کھولیں

    kiya tum ney nahi dekha kay woh her wadi mein bhataktay phirtay hain-?

  226. وَأَنَّهُمۡ يَقُولُونَ مَا لَا يَفۡعَلُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۲۶⁩ کھولیں

    aur yeh kay woh aesi baaten kehtay hain jo kertay nahi hain ,

  227. إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ وَذَكَرُواْ ٱللَّهَ كَثِيرٗا وَٱنتَصَرُواْ مِنۢ بَعۡدِ مَا ظُلِمُواْۗ وَسَيَعۡلَمُ ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ أَيَّ مُنقَلَبٖ يَنقَلِبُونَ

    آیت ⁦۲۶:۲۲۷⁩ کھولیں

    haan magar woh log mustasna hain jo emaan laye , aur unhon ney naik amal kiye , aur Allah ko kasrat say yaad kiya , aur apney oopper zulm honey kay baad uss ka badla liya . aur zulm kernay walon ko unqareeb pata chal jaye ga kay woh kiss anjam ki taraf palat rahey hain .