الفرقان

Al-Furqaan

سورت ۲۵ · آیات: ۷۷ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. تَبَارَكَ ٱلَّذِي نَزَّلَ ٱلۡفُرۡقَانَ عَلَىٰ عَبۡدِهِۦ لِيَكُونَ لِلۡعَٰلَمِينَ نَذِيرًا

    آیت ⁦۲۵:۱⁩ کھولیں

    bari shaan hai uss zaat ki jiss ney apney banday per haq o batil ka faisla ker-denay wali yeh kitab nazil ki , takay woh duniya jahan kay logon ko khabrdar kerday .

  2. ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلَمۡ يَتَّخِذۡ وَلَدٗا وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ شَرِيكٞ فِي ٱلۡمُلۡكِ وَخَلَقَ كُلَّ شَيۡءٖ فَقَدَّرَهُۥ تَقۡدِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۲⁩ کھولیں

    woh zaat jo aasmano aur zameen ki badshahat ki tanha malik hai aur jiss ney naa to koi beta banaya hai , aur naa uss ki badshahat mein koi shareek hai , aur jiss ney her cheez ko peda ker kay uss ko aik napa tula andaz ata kiya hai .

  3. وَٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ ءَالِهَةٗ لَّا يَخۡلُقُونَ شَيۡـٔٗا وَهُمۡ يُخۡلَقُونَ وَلَا يَمۡلِكُونَ لِأَنفُسِهِمۡ ضَرّٗا وَلَا نَفۡعٗا وَلَا يَمۡلِكُونَ مَوۡتٗا وَلَا حَيَوٰةٗ وَلَا نُشُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۳⁩ کھولیں

    aur logon ney ussay chorr ker aesay khuda bana rakhay hain jo kuch peda nahi kertay , balkay khud peda kiye jatay hain , aur jinn ka khud apney nuqsan ya faeeday per bhi koi bus nahi chalta , aur naa kissi ka marna ya jeena unn kay ikhtiyar mein hai , naa kissi ko dobara zinda kerna .

  4. وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ إِفۡكٌ ٱفۡتَرَىٰهُ وَأَعَانَهُۥ عَلَيۡهِ قَوۡمٌ ءَاخَرُونَۖ فَقَدۡ جَآءُو ظُلۡمٗا وَزُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۴⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney kufr apna liya hai , woh kehtay hain kay : yeh ( Quran ) to kuch bhi nahi , bus aik mann gharrat cheez hai jo iss shaks ney gharr li hai , aur iss kaam mein kuch aur log bhi uss kay madadgaar banay hain . iss tarah ( yeh baat keh ker ) yeh log baray zulm aur khulay jhoot per utar aaye hain .

  5. وَقَالُوٓاْ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ ٱكۡتَتَبَهَا فَهِيَ تُمۡلَىٰ عَلَيۡهِ بُكۡرَةٗ وَأَصِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۵⁩ کھولیں

    aur kehtay hain kay : yeh to pichlay logon ki likhi hoi kahaniyan hain jo iss shaks ney likhwali hain , aur subha o shaam wohi iss kay samney parh ker sunai jati hain .

  6. قُلۡ أَنزَلَهُ ٱلَّذِي يَعۡلَمُ ٱلسِّرَّ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا

    آیت ⁦۲۵:۶⁩ کھولیں

    keh do kay : yeh kalam to uss ( Allah ) ney nazil kiya hai jo her bhed ko poori tarah janta hai , aasmano mein bhi , zameen mein bhi . beyshak woh boht bakhshney wala , bara meharban hai .

  7. وَقَالُواْ مَالِ هَٰذَا ٱلرَّسُولِ يَأۡكُلُ ٱلطَّعَامَ وَيَمۡشِي فِي ٱلۡأَسۡوَاقِ لَوۡلَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِ مَلَكٞ فَيَكُونَ مَعَهُۥ نَذِيرًا

    آیت ⁦۲۵:۷⁩ کھولیں

    aur yeh kehtay hain kay : yeh kaisa Rasool hai jo khana bhi khata hai , aur bazaron mein bhi chalta phirta hai ? iss kay paas koi farishta kiyon nahi bheja gaya jo iss kay sath reh ker logon ko darata-?

  8. أَوۡ يُلۡقَىٰٓ إِلَيۡهِ كَنزٌ أَوۡ تَكُونُ لَهُۥ جَنَّةٞ يَأۡكُلُ مِنۡهَاۚ وَقَالَ ٱلظَّٰلِمُونَ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا رَجُلٗا مَّسۡحُورًا

    آیت ⁦۲۵:۸⁩ کھولیں

    ya iss kay oopper koi khazana hi aa-parta , ya iss kay paas koi baagh hota jiss mein say yeh khaya kerta . aur yeh zalim ( musalmanon say ) kehtay hain kay : tum jiss kay peechay chal rahey ho , woh aur kuch nahi , bus aik shaks hai jiss per jadoo hogaya hai .

  9. ٱنظُرۡ كَيۡفَ ضَرَبُواْ لَكَ ٱلۡأَمۡثَٰلَ فَضَلُّواْ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۹⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) dekho inn logon ney tumharay baaray mein kaisi kaisi baaten banai hain , chunacheh aesay bhatkay hain kay raastay per aana inn kay bus say bahir hai .

  10. تَبَارَكَ ٱلَّذِيٓ إِن شَآءَ جَعَلَ لَكَ خَيۡرٗا مِّن ذَٰلِكَ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ وَيَجۡعَل لَّكَ قُصُورَۢا 

    آیت ⁦۲۵:۱۰⁩ کھولیں

    bari shaan hai uss ( Allah ) ki jo agar chahye to tumhen inn sabb say kahen behtar cheez , ( aik baagh kay bajaye ) boht say baaghaat deydey jinn kay neechay nehren behti hon , aur tumhen boht say mehalaat ka malik bana dey .

  11. بَلۡ كَذَّبُواْ بِٱلسَّاعَةِۖ وَأَعۡتَدۡنَا لِمَن كَذَّبَ بِٱلسَّاعَةِ سَعِيرًا

    آیت ⁦۲۵:۱۱⁩ کھولیں

    asal haqeeqat yeh hai kay inn logon ney qayamat ki gharri ko jhutlaya huwa hai , aur jo koi qayamat ki gharri ko jhutlaye , uss kay liye hum ney bharakti hoi aag tayyar ker rakhi hai .

  12. إِذَا رَأَتۡهُم مِّن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ سَمِعُواْ لَهَا تَغَيُّظٗا وَزَفِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۱۲⁩ کھولیں

    jab woh unn ko door say dekhay gi to yeh log uss kay bipharney aur phunkarney ki aawazen sunen gay .

  13. وَإِذَآ أُلۡقُواْ مِنۡهَا مَكَانٗا ضَيِّقٗا مُّقَرَّنِينَ دَعَوۡاْ هُنَالِكَ ثُبُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۱۳⁩ کھولیں

    aur jab inn ko achi tarah baandh ker uss ki aik tang jagah mein phenka jaye ga to wahan yeh moat ko aawaz dey ker pukaren gay .

  14. لَّا تَدۡعُواْ ٱلۡيَوۡمَ ثُبُورٗا وَٰحِدٗا وَٱدۡعُواْ ثُبُورٗا كَثِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۱۴⁩ کھولیں

    . ( uss waqt inn say kaha jaye ga kay : ) aaj tum moat ko sirf aik baar naa pukaro , balkay baar baar moat ko pukartay hi raho .

  15. قُلۡ أَذَٰلِكَ خَيۡرٌ أَمۡ جَنَّةُ ٱلۡخُلۡدِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۚ كَانَتۡ لَهُمۡ جَزَآءٗ وَمَصِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۱۵⁩ کھولیں

    kaho kay yeh anjam behtar hai ya hamesha rehney wali jannat , jiss ka wada muttaqi logon say kiya gaya hai-? woh unn kay liye inaam hogi , aur unn ka aakhri anjam .

  16. لَّهُمۡ فِيهَا مَا يَشَآءُونَ خَٰلِدِينَۚ كَانَ عَلَىٰ رَبِّكَ وَعۡدٗا مَّسۡـُٔولٗا

    آیت ⁦۲۵:۱۶⁩ کھولیں

    wahan unhen hamesha hamesha bastay huye her woh cheez milay gi jo woh chahen gay . yeh woh zimma daraana wada hai jo tumharay rab ney apney oopper lazim kerliya hai .

  17. وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ وَمَا يَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ فَيَقُولُ ءَأَنتُمۡ أَضۡلَلۡتُمۡ عِبَادِي هَٰٓؤُلَآءِ أَمۡ هُمۡ ضَلُّواْ ٱلسَّبِيلَ

    آیت ⁦۲۵:۱۷⁩ کھولیں

    aur woh din ( enhen yaad dilao ) jab Allah inn ( kafiron ) ko bhi hashar mein jama keray ga aur unn ( maboodon ) ko bhi jinn ki yeh khuda ko chorr ker ibadat kertay thay , aur ( inn kay maboodon say ) kahey ga kay : kiya tum ney meray inn bandon ko behkaya tha , ya yeh raastay say khud bhatkay thay-?

  18. قَالُواْ سُبۡحَٰنَكَ مَا كَانَ يَنۢبَغِي لَنَآ أَن نَّتَّخِذَ مِن دُونِكَ مِنۡ أَوۡلِيَآءَ وَلَٰكِن مَّتَّعۡتَهُمۡ وَءَابَآءَهُمۡ حَتَّىٰ نَسُواْ ٱلذِّكۡرَ وَكَانُواْ قَوۡمَۢا بُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۱۸⁩ کھولیں

    woh kahen gay kay : aap ki zaat her aeb say pak hai . humari majal nahi thi kay hum aap ko chorr ker doosray rakhwalon kay qaeel hon , lekin huwa yeh kay aap ney inn ko aur inn kay baap dadon ko duniya ka saz-o-saman diya , yahan tak kay jo baat yaad rakhni thi , yeh ussay bhula bethay , aur ( iss tarah ) yeh khud barbad ho ker rahey .

  19. فَقَدۡ كَذَّبُوكُم بِمَا تَقُولُونَ فَمَا تَسۡتَطِيعُونَ صَرۡفٗا وَلَا نَصۡرٗاۚ وَمَن يَظۡلِم مِّنكُمۡ نُذِقۡهُ عَذَابٗا كَبِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۱۹⁩ کھولیں

    lo , ( aey kafiro ! ) enhon ney to tumhari woh sari baaten jhutla den jo tum kaha kertay ho . abb naa ( azab ko ) taalna tumharay bus mein hai , naa koi madad hasil kerna . aur tum mein say jo koi zulm ka murtakib hai , hum ussay baray bhari azab ka maza chakhayen gay .

  20. وَمَآ أَرۡسَلۡنَا قَبۡلَكَ مِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ إِلَّآ إِنَّهُمۡ لَيَأۡكُلُونَ ٱلطَّعَامَ وَيَمۡشُونَ فِي ٱلۡأَسۡوَاقِۗ وَجَعَلۡنَا بَعۡضَكُمۡ لِبَعۡضٖ فِتۡنَةً أَتَصۡبِرُونَۗ وَكَانَ رَبُّكَ بَصِيرٗا 

    آیت ⁦۲۵:۲۰⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) hum ney tum say pehlay jitney payghumber bhejay , woh sabb aesay thay kay khana bhi khatay thay , aur bazaron mein bhi chaltay phirtay thay , aur hum ney tum logon ko aik doosray ki aazmaesh ka zariya banaya hai . batao kiya sabar kero gay-? aur tumhara perwerdigar her baat dekh raha hai .

  21. ۞وَقَالَ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ أَوۡ نَرَىٰ رَبَّنَاۗ لَقَدِ ٱسۡتَكۡبَرُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ وَعَتَوۡ عُتُوّٗا كَبِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۲۱⁩ کھولیں

    jinn logon ko yeh tawaqqo hi nahi hai kay woh ( kissi waqt ) hum say aa-milen gay , woh yun kehtay hain kay : hum per farishtay kiyon nahi utaray jatay-? ya phir aisa kiyon nahi hota kay hum khud apney perwerdigar ko dekh len-? haqeeqat yeh hai kay yeh apney dilon mein apney aap ko boht bara samjhay huye hain , aur enhon ney bari sarkashi ikhtiyar ki hoi hai .

  22. يَوۡمَ يَرَوۡنَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةَ لَا بُشۡرَىٰ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُجۡرِمِينَ وَيَقُولُونَ حِجۡرٗا مَّحۡجُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۲۲⁩ کھولیں

    jiss din inn ko farishtay nazar aagaye , uss din inn mujrimon kay liye koi khushi ka moaqa nahi hoga , balkay yeh kehtay phiren gay kay khudaya ! hamen aesi panah dey kay yeh hum say door hojayen .

  23. وَقَدِمۡنَآ إِلَىٰ مَا عَمِلُواْ مِنۡ عَمَلٖ فَجَعَلۡنَٰهُ هَبَآءٗ مَّنثُورًا

    آیت ⁦۲۵:۲۳⁩ کھولیں

    aur enhon ney ( duniya mein ) jo amal kiye hain , hum unn ka faisla kernay per ayen gay to enhen fizza mein bikhray huye gard o ghubar ( ki tarah bey qeemat ) bana den gay .

  24. أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ يَوۡمَئِذٍ خَيۡرٞ مُّسۡتَقَرّٗا وَأَحۡسَنُ مَقِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۲۴⁩ کھولیں

    uss din jannati log hon gay jinn ka mustaqar bhi behtareen hoga , aur aaram gaah bhi khoob hogi .

  25. وَيَوۡمَ تَشَقَّقُ ٱلسَّمَآءُ بِٱلۡغَمَٰمِ وَنُزِّلَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ تَنزِيلًا

    آیت ⁦۲۵:۲۵⁩ کھولیں

    aur jiss din aasman phatt ker aik badal ko raah dey ga , aur farishtay iss tarah utaray jayen gay kay unn ka taar bandh jaye ga .

  26. ٱلۡمُلۡكُ يَوۡمَئِذٍ ٱلۡحَقُّ لِلرَّحۡمَٰنِۚ وَكَانَ يَوۡمًا عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ عَسِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۲۶⁩ کھولیں

    uss din sahih maani mein badshahi khudaye rehman ki hogi , aur woh din kafiron per boht sakht hoga .

  27. وَيَوۡمَ يَعَضُّ ٱلظَّالِمُ عَلَىٰ يَدَيۡهِ يَقُولُ يَٰلَيۡتَنِي ٱتَّخَذۡتُ مَعَ ٱلرَّسُولِ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۲۷⁩ کھولیں

    aur jiss din zalim insan ( hasrat say ) apney haathon ko kaat khaye ga , aur kahey ga : kaash mein ney payghumber ki hamraahi ikhtiyar kerli hoti !

  28. يَٰوَيۡلَتَىٰ لَيۡتَنِي لَمۡ أَتَّخِذۡ فُلَانًا خَلِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۲۸⁩ کھولیں

    haaye meri barbadi ! kaash mein ney falan shaks ko dost naa banaya hota !

  29. لَّقَدۡ أَضَلَّنِي عَنِ ٱلذِّكۡرِ بَعۡدَ إِذۡ جَآءَنِيۗ وَكَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ لِلۡإِنسَٰنِ خَذُولٗا

    آیت ⁦۲۵:۲۹⁩ کھولیں

    meray paas naseehat aa-chuki thi , magar iss ( dost ) ney mujhay uss say bhatka diya . aur shetan to hai hi aisa kay waqt parrney per insan ko bey kass chorr jata hai .

  30. وَقَالَ ٱلرَّسُولُ يَٰرَبِّ إِنَّ قَوۡمِي ٱتَّخَذُواْ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ مَهۡجُورٗا 

    آیت ⁦۲۵:۳۰⁩ کھولیں

    aur Rasool ( SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) kahen gay kay : ya rab ! meri qoam iss Quran ko bilkul chorr bethi thi .

  31. وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَا لِكُلِّ نَبِيٍّ عَدُوّٗا مِّنَ ٱلۡمُجۡرِمِينَۗ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ هَادِيٗا وَنَصِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۱⁩ کھولیں

    aur hum ney issi tarah mujrim logon ko her nabi ka dushman banaya hai . aur tumhara perwerdigar hidayat denay aur madad kernay kay liye kafi hai .

  32. وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَا نُزِّلَ عَلَيۡهِ ٱلۡقُرۡءَانُ جُمۡلَةٗ وَٰحِدَةٗۚ كَذَٰلِكَ لِنُثَبِّتَ بِهِۦ فُؤَادَكَۖ وَرَتَّلۡنَٰهُ تَرۡتِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۲⁩ کھولیں

    aur yeh kafir log kehtay hain kay : inn per sara Quran aik hi dafa mein kiyon nazil nahi kerdiya gaya-? ( aey payghumber ! ) hum ney aisa iss liye kiya hai takay iss kay zariye tumhara dil mazboot rakhen , aur hum ney issay thehar thehar ker parhwaya hai .

  33. وَلَا يَأۡتُونَكَ بِمَثَلٍ إِلَّا جِئۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ وَأَحۡسَنَ تَفۡسِيرًا

    آیت ⁦۲۵:۳۳⁩ کھولیں

    aur jab kabhi yeh log tumharay paas koi anokhi baat ley ker aatay hain , hum tumhen ( uss ka ) theek theek jawab aur ziyada wazahat kay sath ata ker-detay hain .

  34. ٱلَّذِينَ يُحۡشَرُونَ عَلَىٰ وُجُوهِهِمۡ إِلَىٰ جَهَنَّمَ أُوْلَٰٓئِكَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضَلُّ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۴⁩ کھولیں

    jinn logon ko gher ker mun kay ball dozakh ki taraf ley jaya jaye ga , woh bad-tareen maqam per hain , aur unn ka raasta bad-tareen gumrahi ka raasta hai .

  35. وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ وَجَعَلۡنَا مَعَهُۥٓ أَخَاهُ هَٰرُونَ وَزِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۵⁩ کھولیں

    beyshak hum ney musa ko kitab di thi , aur unn kay sath unn kay bhai Haroon ko madadgaar kay tor per muqarrar kiya tha .

  36. فَقُلۡنَا ٱذۡهَبَآ إِلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا فَدَمَّرۡنَٰهُمۡ تَدۡمِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۶⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney kaha tha kay : tum dono unn logon kay paas jao jinhon ney humari nishaniyon ko jhutlaya hai . aakhir nateeja yeh huwa kay hum ney unn ko tabah ker kay neest o na-bood kerdiya .

  37. وَقَوۡمَ نُوحٖ لَّمَّا كَذَّبُواْ ٱلرُّسُلَ أَغۡرَقۡنَٰهُمۡ وَجَعَلۡنَٰهُمۡ لِلنَّاسِ ءَايَةٗۖ وَأَعۡتَدۡنَا لِلظَّٰلِمِينَ عَذَابًا أَلِيمٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۷⁩ کھولیں

    aur nooh ki qoam ney jab payghumberon ko jhutlaya to hum ney unhen gharq kerdiya , aur unn ko logon kay liye ibrat ka saman bana diya . aur hum ney unn zalimon kay liye aik dardnak azab tayyar ker rakha hai .

  38. وَعَادٗا وَثَمُودَاْ وَأَصۡحَٰبَ ٱلرَّسِّ وَقُرُونَۢا بَيۡنَ ذَٰلِكَ كَثِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۸⁩ کھولیں

    issi tarah hum ney aad o samood aur ashaab-ur-Rass ko aur unn kay darmiyan boht si naslon ko tabah kiya .

  39. وَكُلّٗا ضَرَبۡنَا لَهُ ٱلۡأَمۡثَٰلَۖ وَكُلّٗا تَبَّرۡنَا تَتۡبِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۳۹⁩ کھولیں

    unn mein say her aik ko samjhaney kay liye hum ney misalen den , aur ( jab woh naa maaney to ) her aik ko hum ney pees ker rakh diya .

  40. وَلَقَدۡ أَتَوۡاْ عَلَى ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِيٓ أُمۡطِرَتۡ مَطَرَ ٱلسَّوۡءِۚ أَفَلَمۡ يَكُونُواْ يَرَوۡنَهَاۚ بَلۡ كَانُواْ لَا يَرۡجُونَ نُشُورٗا 

    آیت ⁦۲۵:۴۰⁩ کھولیں

    aur yeh ( kuffaar-e-makkah ) uss basti say ho ker guzartay rahey hain jiss per buri tarah ( pathraon ki ) barish barsai gaee thi . bhala kiya yeh uss basti ko dekhtay nahi rahey-? ( phir bhi enhen ibrat nahi hoi ) balkay inn kay dil mein doosri zindagi ka andesha tak peda nahi huwa .

  41. وَإِذَا رَأَوۡكَ إِن يَتَّخِذُونَكَ إِلَّا هُزُوًا أَهَٰذَا ٱلَّذِي بَعَثَ ٱللَّهُ رَسُولًا

    آیت ⁦۲۵:۴۱⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) jab yeh log tumhen dekhtay hain to inn ka koi kaam iss kay siwa nahi hota kay yeh tumhara mazaq banatay hain kay : kiya yehi woh sahab hain jinhen Allah ney payghumber bana ker bheja hai ?

  42. إِن كَادَ لَيُضِلُّنَا عَنۡ ءَالِهَتِنَا لَوۡلَآ أَن صَبَرۡنَا عَلَيۡهَاۚ وَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ حِينَ يَرَوۡنَ ٱلۡعَذَابَ مَنۡ أَضَلُّ سَبِيلًا

    آیت ⁦۲۵:۴۲⁩ کھولیں

    agar hum apney khudaon ( ki aqeedat ) per mazbooti say jamay naa rehtay to inn sahab ney to hamen unn say bhatkaney mein koi kasar nahi chorri thi . ( jo log yeh baaten keh rahey hain ) jab unhen azab aankhon say nazar aajaye ga tab unhen pata chalay ga kay kon raastay say bilkul bhatka huwa tha-?

  43. أَرَءَيۡتَ مَنِ ٱتَّخَذَ إِلَٰهَهُۥ هَوَىٰهُ أَفَأَنتَ تَكُونُ عَلَيۡهِ وَكِيلًا

    آیت ⁦۲۵:۴۳⁩ کھولیں

    bhala batao jiss shaks ney apna khuda apni nafsani khuwaish ko bana liya ho , to ( aey payghumber ! ) kiya tum uss ki zimma daari ley saktay ho-?

  44. أَمۡ تَحۡسَبُ أَنَّ أَكۡثَرَهُمۡ يَسۡمَعُونَ أَوۡ يَعۡقِلُونَۚ إِنۡ هُمۡ إِلَّا كَٱلۡأَنۡعَٰمِ بَلۡ هُمۡ أَضَلُّ سَبِيلًا

    آیت ⁦۲۵:۴۴⁩ کھولیں

    ya tumhara khayal yeh hai kay inn mein say aksar log suntay ya samajhtay hain-? nahi ! inn ki misal to bus chaar paon kay janweron ki si hai , balkay yeh unn say ziyada raah say bhatkay huye hain .

  45. أَلَمۡ تَرَ إِلَىٰ رَبِّكَ كَيۡفَ مَدَّ ٱلظِّلَّ وَلَوۡ شَآءَ لَجَعَلَهُۥ سَاكِنٗا ثُمَّ جَعَلۡنَا ٱلشَّمۡسَ عَلَيۡهِ دَلِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۴۵⁩ کھولیں

    kiya tum ney apney perwerdigar ( ki qudrat ) ko nahi dekha kay woh kiss tarah saye ko phelata hai-? aur agar woh chahta to ussay aik jagah thehra deta . phir hum ney sooraj ko uss kay liye rehnuma bana diya hai .

  46. ثُمَّ قَبَضۡنَٰهُ إِلَيۡنَا قَبۡضٗا يَسِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۴۶⁩ کھولیں

    phir hum ussay thora thora ker kay apni taraf samett letay hain .

  47. وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ لِبَاسٗا وَٱلنَّوۡمَ سُبَاتٗا وَجَعَلَ ٱلنَّهَارَ نُشُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۴۷⁩ کھولیں

    aur wohi hai jiss ney tumharay liye raat ko libas banaya , aur neend ko sarapa sukoon , aur din ko dobara uth kharray honey ka zariya bana diya .

  48. وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ ٱلرِّيَٰحَ بُشۡرَۢا بَيۡنَ يَدَيۡ رَحۡمَتِهِۦۚ وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ طَهُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۴۸⁩ کھولیں

    aur wohi hai jiss ney apni rehmat ( yani barish ) say pehlay hawayen bhejen jo ( barish ki ) khushkhabri ley ker aati hain , aur hum ney hi aasman say pakeezah paani utaara hai ,

  49. لِّنُحۡـِۧيَ بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗا وَنُسۡقِيَهُۥ مِمَّا خَلَقۡنَآ أَنۡعَٰمٗا وَأَنَاسِيَّ كَثِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۴۹⁩ کھولیں

    takay hum uss kay zariye murda zameen ko zindagi bakhshen , aur apni makhlooq mein say boht say maweshiyon aur insanon ko uss say sairaab keren .

  50. وَلَقَدۡ صَرَّفۡنَٰهُ بَيۡنَهُمۡ لِيَذَّكَّرُواْ فَأَبَىٰٓ أَكۡثَرُ ٱلنَّاسِ إِلَّا كُفُورٗا 

    آیت ⁦۲۵:۵۰⁩ کھولیں

    aur hum ney logon kay faeeday kay liye uss ( paani ) ki ulat pher ker rakhi hai , takay woh sabaq hasil keren . lekin aksar log nashukri kay siwa her baat say inkari hain .

  51. وَلَوۡ شِئۡنَا لَبَعَثۡنَا فِي كُلِّ قَرۡيَةٖ نَّذِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۱⁩ کھولیں

    aur agar hum chahtay to her basti mein aik alag aagah kernay wala ( payghumber ) bhej detay .

  52. فَلَا تُطِعِ ٱلۡكَٰفِرِينَ وَجَٰهِدۡهُم بِهِۦ جِهَادٗا كَبِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۲⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum inn kafiron ka kehna naa maano , aur iss Quran kay zariye unn kay khilaf poori quooat say jidojehad kero .

  53. ۞وَهُوَ ٱلَّذِي مَرَجَ ٱلۡبَحۡرَيۡنِ هَٰذَا عَذۡبٞ فُرَاتٞ وَهَٰذَا مِلۡحٌ أُجَاجٞ وَجَعَلَ بَيۡنَهُمَا بَرۡزَخٗا وَحِجۡرٗا مَّحۡجُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۳⁩ کھولیں

    aur wohi hai jiss ney do daryaon ko iss tarah mila ker chalaya hai kay aik meetha hai jiss say taskeen milti hai , aur aik namkeen hai , sakht karrwa . aur inn dono kay darmiyan aik aarr aur aesi rukawat haeel kerdi hai jiss ko ( dono mein say ) koi uboor nahi ker-sakta .

  54. وَهُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ مِنَ ٱلۡمَآءِ بَشَرٗا فَجَعَلَهُۥ نَسَبٗا وَصِهۡرٗاۗ وَكَانَ رَبُّكَ قَدِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۴⁩ کھولیں

    aur wohi hai jiss ney paani say insan ko peda kiya , phir uss ko nasbi aur susrali rishtay ata kiye , aur tumhara perwerdigar bari qudrat wala hai .

  55. وَيَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُهُمۡ وَلَا يَضُرُّهُمۡۗ وَكَانَ ٱلۡكَافِرُ عَلَىٰ رَبِّهِۦ ظَهِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۵⁩ کھولیں

    aur yeh log hain kay Allah ko chorr ker aesi cheezon ki ibadat ker rahey hain jo naa inn ko koi faeeda phonchati hain , naa nuqsan . aur kafir insan ney apney perwerdigar hi ki mukhalifat per kamar baandh rakhi hai .

  56. وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ إِلَّا مُبَشِّرٗا وَنَذِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۶⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) hum ney tumhen kissi aur kaam kay liye nahi , balkay iss liye bheja hai kay tum logon ko khushkhabri do , aur khabrdar kero .

  57. قُلۡ مَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍ إِلَّا مَن شَآءَ أَن يَتَّخِذَ إِلَىٰ رَبِّهِۦ سَبِيلٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۷⁩ کھولیں

    keh do kay : mein iss kaam per tum say koi ujrat nahi maangta , haan jo shaks yeh chahye kay apney rab tak phonchney ka raasta ikhtiyar kerlay ( to yehi meri ujrat hai )

  58. وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱلۡحَيِّ ٱلَّذِي لَا يَمُوتُ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِهِۦۚ وَكَفَىٰ بِهِۦ بِذُنُوبِ عِبَادِهِۦ خَبِيرًا

    آیت ⁦۲۵:۵۸⁩ کھولیں

    aur tum uss zaat per bharosa rakho jo zinda hai , jissay kabhi moat nahi aaye gi , aur ussi ki hamd kay sath tasbeeh kertay raho , aur woh apney bandon kay gunahon ki khabar rakhney kay liye kafi hai .

  59. ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ ٱلرَّحۡمَٰنُ فَسۡـَٔلۡ بِهِۦ خَبِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۵۹⁩ کھولیں

    woh zaat jiss ney cheh din mein saray aasman aur zameen aur unn kay darmiyan ki cheezen peda ken, phir uss ney arsh per istawa farmaya , woh rehman hai , iss liye uss ki shaan kissi janney walay say poocho .

  60. وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱسۡجُدُواْۤ لِلرَّحۡمَٰنِ قَالُواْ وَمَا ٱلرَّحۡمَٰنُ أَنَسۡجُدُ لِمَا تَأۡمُرُنَا وَزَادَهُمۡ نُفُورٗا۩ 

    آیت ⁦۲۵:۶۰⁩ کھولیں

    aur jab inn logon say kaha jata hai kay rehman ko sajda kero to yeh kehtay hain kay : rehman kiya hota hai-? kiya jissay bhi tum keh do , hum ussay sajda kiya keren-? aur iss baat say woh aur ziyada bidakney lagtay hain .

  61. تَبَارَكَ ٱلَّذِي جَعَلَ فِي ٱلسَّمَآءِ بُرُوجٗا وَجَعَلَ فِيهَا سِرَٰجٗا وَقَمَرٗا مُّنِيرٗا

    آیت ⁦۲۵:۶۱⁩ کھولیں

    bari shaan hai uss ki jiss ney aasman mein burj banaye . aur uss mein aik roshan chiragh aur noor phelaney wala chaand peda kiya .

  62. وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ خِلۡفَةٗ لِّمَنۡ أَرَادَ أَن يَذَّكَّرَ أَوۡ أَرَادَ شُكُورٗا

    آیت ⁦۲۵:۶۲⁩ کھولیں

    aur wohi hai jiss ney raat aur din ko aisa banaya kay woh aik doosray kay peechay chalay aatay hain , ( magar yeh sari baaten ) uss shaks kay liye ( kaar-aamad hain ) jo naseehat hasil kernay ka irada rakhta ho ya shukar baja lana chahta ho .

  63. وَعِبَادُ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلَّذِينَ يَمۡشُونَ عَلَى ٱلۡأَرۡضِ هَوۡنٗا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ ٱلۡجَٰهِلُونَ قَالُواْ سَلَٰمٗا

    آیت ⁦۲۵:۶۳⁩ کھولیں

    aur rehman kay banday woh hain jo zameen per aajzi say chaltay hain , aur jab jahil log unn say ( jahilana ) khitab kertay hain to woh salamti ki baat kehtay hain .

  64. وَٱلَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمۡ سُجَّدٗا وَقِيَٰمٗا

    آیت ⁦۲۵:۶۴⁩ کھولیں

    aur jo raaten iss tarah guzaartay hain kay apney perwerdigar kay aagay ( kabhi ) sajday mein hotay hain , aur ( kabhi ) qayam mein .

  65. وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱصۡرِفۡ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا

    آیت ⁦۲۵:۶۵⁩ کھولیں

    aur jo yeh kehtay hain kay : humaray perwerdigar ! jahannum kay azab ko hum say door rakhiye . haqeeqat yeh hai kay uss ka azab woh tabahi hai jo chimat ker reh jati hai .

  66. إِنَّهَا سَآءَتۡ مُسۡتَقَرّٗا وَمُقَامٗا

    آیت ⁦۲۵:۶۶⁩ کھولیں

    yaqeenan woh kissi ka mustaqar aur qayam gaah banney kay liye bad-tareen jagah hai .

  67. وَٱلَّذِينَ إِذَآ أَنفَقُواْ لَمۡ يُسۡرِفُواْ وَلَمۡ يَقۡتُرُواْ وَكَانَ بَيۡنَ ذَٰلِكَ قَوَامٗا

    آیت ⁦۲۵:۶۷⁩ کھولیں

    aur jo kharch kertay hain to naa fuzool kharchi kertay hain , naa tangi kertay hain , balkay unn ka tareeqa iss ( ifraat o tafreet ) kay darmiyan aetidaal ka tareeqa hai .

  68. وَٱلَّذِينَ لَا يَدۡعُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ وَلَا يَقۡتُلُونَ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَلَا يَزۡنُونَۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ يَلۡقَ أَثَامٗا

    آیت ⁦۲۵:۶۸⁩ کھولیں

    aur jo Allah kay sath kissi bhi doosray mabood ki ibadat nahi kertay , aur jiss jaan ko Allah ney hurmat bakhshi hai , ussay nahaq qatal nahi kertay , aur naa woh zina kertay hain . aur jo shaks bhi yeh kaam keray ga , ussay apney gunah kay wabal ka samna kerna parray ga .

  69. يُضَٰعَفۡ لَهُ ٱلۡعَذَابُ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَيَخۡلُدۡ فِيهِۦ مُهَانًا

    آیت ⁦۲۵:۶۹⁩ کھولیں

    qayamat kay din uss ka azab barha barha ker dugna kerdiya jaye ga , aur woh zaleel ho ker uss azab mein hamesha hamesha rahey ga .

  70. إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ عَمَلٗا صَٰلِحٗا فَأُوْلَٰٓئِكَ يُبَدِّلُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِهِمۡ حَسَنَٰتٖۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا 

    آیت ⁦۲۵:۷۰⁩ کھولیں

    haan magar jo koi tauba kerlay , emaan ley aaye , aur naik amal keray to Allah aesay logon ki buraiyon ko naikiyon mein tabdeel kerday ga , aur Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .

  71. وَمَن تَابَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَإِنَّهُۥ يَتُوبُ إِلَى ٱللَّهِ مَتَابٗا

    آیت ⁦۲۵:۷۱⁩ کھولیں

    aur jo koi tauba kerta aur naik amal kerta hai to woh dar-haqeeqat Allah ki taraf theek theek loat aata hai .

  72. وَٱلَّذِينَ لَا يَشۡهَدُونَ ٱلزُّورَ وَإِذَا مَرُّواْ بِٱللَّغۡوِ مَرُّواْ كِرَامٗا

    آیت ⁦۲۵:۷۲⁩ کھولیں

    aur ( rehman kay banday woh hain ) jo nahaq kamon mein shamil nahi hotay , aur jab kissi laghw cheez kay paas say guzartay hain to waqar kay sath guzar jatay hain .

  73. وَٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُواْ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ لَمۡ يَخِرُّواْ عَلَيۡهَا صُمّٗا وَعُمۡيَانٗا

    آیت ⁦۲۵:۷۳⁩ کھولیں

    aur jab unhen apney rab ki aayaat kay zariye naseehat ki jati hai to woh unn per behray aur andhay ban ker nahi girtay .

  74. وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبۡ لَنَا مِنۡ أَزۡوَٰجِنَا وَذُرِّيَّٰتِنَا قُرَّةَ أَعۡيُنٖ وَٱجۡعَلۡنَا لِلۡمُتَّقِينَ إِمَامًا

    آیت ⁦۲۵:۷۴⁩ کھولیں

    aur jo ( dua kertay huye ) kehtay hain kay : humaray perwerdigar ! hamen apni biwi bacchon say aankhon ki thandak ata farma , aur hamen perhezgaron ka sarbarah bana dey .

  75. أُوْلَٰٓئِكَ يُجۡزَوۡنَ ٱلۡغُرۡفَةَ بِمَا صَبَرُواْ وَيُلَقَّوۡنَ فِيهَا تَحِيَّةٗ وَسَلَٰمًا

    آیت ⁦۲۵:۷۵⁩ کھولیں

    yeh log hain jinhen unn kay sabar kay badlay jannat kay bala-khaney ata hon gay , aur wahan duaon aur salam say unn ka istaqbal kiya jaye ga .

  76. خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ حَسُنَتۡ مُسۡتَقَرّٗا وَمُقَامٗا

    آیت ⁦۲۵:۷۶⁩ کھولیں

    woh wahan hamesha zinda rahen gay . kissi ka mustaqar aur qayam gaah banney kay liye woh behtareen jagah hai .

  77. قُلۡ مَا يَعۡبَؤُاْ بِكُمۡ رَبِّي لَوۡلَا دُعَآؤُكُمۡۖ فَقَدۡ كَذَّبۡتُمۡ فَسَوۡفَ يَكُونُ لِزَامَۢا

    آیت ⁦۲۵:۷۷⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! logon say ) keh do kay : meray perwerdigar ko tumhari zara bhi perwa naa hoti , agar tum uss ko naa pukartay . abb jabkay ( aey kafiro ! ) tum ney haq ko jhutla diya hai to yeh jhutlana tumharay galay parr ker rahey ga .