النور
An-Noor
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
سُورَةٌ أَنزَلۡنَٰهَا وَفَرَضۡنَٰهَا وَأَنزَلۡنَا فِيهَآ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖ لَّعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
آیت ۲۴:۱ کھولیںyeh aik surat hai jo hum ney nazil ki hai , aur jiss ( kay ehkaam ) ko hum ney farz kiya hai , aur iss mein khuli khuli aayaten nazil ki hain , takay tum naseehat hasil kero .
ٱلزَّانِيَةُ وَٱلزَّانِي فَٱجۡلِدُواْ كُلَّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا مِاْئَةَ جَلۡدَةٖۖ وَلَا تَأۡخُذۡكُم بِهِمَا رَأۡفَةٞ فِي دِينِ ٱللَّهِ إِن كُنتُمۡ تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۖ وَلۡيَشۡهَدۡ عَذَابَهُمَا طَآئِفَةٞ مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۲۴:۲ کھولیںzina kernay wali aurat aur zina kernay walay mard dono ko so so korray lagao , aur agar tum Allah aur yoam-e-aakhirat per emaan rakhtay ho , to Allah kay deen kay moamlay mein unn per taras khaney ka koi jazbah tum per ghalib naa aaye . aur yeh bhi chahiye kay mominon ka aik majmaa unn ki saza ko khuli aankhon dekhay .
ٱلزَّانِي لَا يَنكِحُ إِلَّا زَانِيَةً أَوۡ مُشۡرِكَةٗ وَٱلزَّانِيَةُ لَا يَنكِحُهَآ إِلَّا زَانٍ أَوۡ مُشۡرِكٞۚ وَحُرِّمَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۲۴:۳ کھولیںzaani mard nikah kerta hai to zina kaar ya mushrik aurat hi say nikah kerta hai , aur zina kaar aurat say nikah kerta hai to wohi mard jo khud zaani ho , ya mushrik ho , aur yeh baat mominon kay liye haram kerdi gaee hai .
وَٱلَّذِينَ يَرۡمُونَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ثُمَّ لَمۡ يَأۡتُواْ بِأَرۡبَعَةِ شُهَدَآءَ فَٱجۡلِدُوهُمۡ ثَمَٰنِينَ جَلۡدَةٗ وَلَا تَقۡبَلُواْ لَهُمۡ شَهَٰدَةً أَبَدٗاۚ وَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
آیت ۲۴:۴ کھولیںaur jo log pak daman aurton per tohmat lagayen , phir chaar gawah ley ker naa ayen , to unn ko assi korray lagao , aur unn ki gawahi kabhi qubool naa kero , aur woh khud fasiq hain .
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ وَأَصۡلَحُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
آیت ۲۴:۵ کھولیںhaan jo log iss kay baad tauba kerlen , aur ( apni ) islaah kerlen , to Allah boht bakhshney wala , bara reham kernay wala hai .
وَٱلَّذِينَ يَرۡمُونَ أَزۡوَٰجَهُمۡ وَلَمۡ يَكُن لَّهُمۡ شُهَدَآءُ إِلَّآ أَنفُسُهُمۡ فَشَهَٰدَةُ أَحَدِهِمۡ أَرۡبَعُ شَهَٰدَٰتِۭ بِٱللَّهِ إِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ
آیت ۲۴:۶ کھولیںaur jo log apni biwiyon per tohmat lagayen , aur khud apney siwa unn kay paas koi aur gawah naa hon to aesay kissi shaks ko jo gawahi deni hogi woh yeh hai kay woh chaar martaba Allah ki qasam kha ker yeh biyan dey kay woh ( biwi per lagaye huye ilzam mein ) yaqeenan sacha hai .
وَٱلۡخَٰمِسَةُ أَنَّ لَعۡنَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ إِن كَانَ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
آیت ۲۴:۷ کھولیںaur paanchwen martaba yeh kahey kay : agar mein ( apney ilzam mein ) jhoota hun to mujh per Allah ki lanat ho .
وَيَدۡرَؤُاْ عَنۡهَا ٱلۡعَذَابَ أَن تَشۡهَدَ أَرۡبَعَ شَهَٰدَٰتِۭ بِٱللَّهِ إِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
آیت ۲۴:۸ کھولیںaur aurat say ( zina ki ) saza door kernay ka raasta yeh hai kay woh chaar martaba Allah ki qasam kha ker yeh gawahi dey kay uss ka shohar ( iss ilzam mein ) jhoota hai .
وَٱلۡخَٰمِسَةَ أَنَّ غَضَبَ ٱللَّهِ عَلَيۡهَآ إِن كَانَ مِنَ ٱلصَّٰدِقِينَ
آیت ۲۴:۹ کھولیںaur paanchwen martaba yeh kahey kay : agar woh sacha ho to mujh per Allah ka ghazab nazil ho .
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ وَأَنَّ ٱللَّهَ تَوَّابٌ حَكِيمٌ
آیت ۲۴:۱۰ کھولیںaur agar tum per Allah ka fazal aur uss ki rehmat naa hoti aur yeh baat naa hoti kay Allah kasrat say tauba qubool kernay wala , hikmat wala hai ( to khud soch lo kay tumhara kiya banta-? ) .
إِنَّ ٱلَّذِينَ جَآءُو بِٱلۡإِفۡكِ عُصۡبَةٞ مِّنكُمۡۚ لَا تَحۡسَبُوهُ شَرّٗا لَّكُمۖ بَلۡ هُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۚ لِكُلِّ ٱمۡرِيٕٖ مِّنۡهُم مَّا ٱكۡتَسَبَ مِنَ ٱلۡإِثۡمِۚ وَٱلَّذِي تَوَلَّىٰ كِبۡرَهُۥ مِنۡهُمۡ لَهُۥ عَذَابٌ عَظِيمٞ
آیت ۲۴:۱۱ کھولیںyaqeen jano kay jo log yeh jhooti tohmat gharr ker laye hain , woh tumharay andar hi ka aik tola hai . tum iss baat ko apney liye bura naa samjho , balkay yeh tumharay liye behtar hi behtar hai . inn logon mein say her aik kay hissay mein apney kiye ka gunah aaya hai . aur inn mein say jiss shaks ney iss ( bohtan ) ka bara hissa apney sar liya hai , uss kay liye to zabardast azab hai .
لَّوۡلَآ إِذۡ سَمِعۡتُمُوهُ ظَنَّ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ بِأَنفُسِهِمۡ خَيۡرٗا وَقَالُواْ هَٰذَآ إِفۡكٞ مُّبِينٞ
آیت ۲۴:۱۲ کھولیںjiss waqt tum logon ney yeh baat suni thi to aisa kiyon naa huwa kay momin mard bhi aur momin aurten bhi apney baaray mein naik gumaan rakhtay aur keh detay kay yeh khullam khula jhoot hai-?
لَّوۡلَا جَآءُو عَلَيۡهِ بِأَرۡبَعَةِ شُهَدَآءَۚ فَإِذۡ لَمۡ يَأۡتُواْ بِٱلشُّهَدَآءِ فَأُوْلَٰٓئِكَ عِندَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡكَٰذِبُونَ
آیت ۲۴:۱۳ کھولیںwoh ( bohtan laganey walay ) iss baat per chaar gawah kiyon nahi ley aaye-? abb jabkay woh gawah nahi laye to Allah kay nazdeek wohi jhootay hain .
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ لَمَسَّكُمۡ فِي مَآ أَفَضۡتُمۡ فِيهِ عَذَابٌ عَظِيمٌ
آیت ۲۴:۱۴ کھولیںaur agar tum per duniya aur aakhirat mein Allah ka fazal aur uss ki rehmat naa hoti to jinn baaton mein tum parr-gaye thay , unn ki wajeh say tum per uss waqt sakht azab aa-parta ,
إِذۡ تَلَقَّوۡنَهُۥ بِأَلۡسِنَتِكُمۡ وَتَقُولُونَ بِأَفۡوَاهِكُم مَّا لَيۡسَ لَكُم بِهِۦ عِلۡمٞ وَتَحۡسَبُونَهُۥ هَيِّنٗا وَهُوَ عِندَ ٱللَّهِ عَظِيمٞ
آیت ۲۴:۱۵ کھولیںjab tum apni zabanon say iss baat ko aik doosray say naqal ker rahey thay , aur apney mun say woh baat keh rahey thay jiss ka tumhen koi ilm nahi tha , aur tum iss baat ko mamooli samajh rahey thay , halankay Allah kay nazdeek woh bari sangeen baat thi .
وَلَوۡلَآ إِذۡ سَمِعۡتُمُوهُ قُلۡتُم مَّا يَكُونُ لَنَآ أَن نَّتَكَلَّمَ بِهَٰذَا سُبۡحَٰنَكَ هَٰذَا بُهۡتَٰنٌ عَظِيمٞ
آیت ۲۴:۱۶ کھولیںaur jiss waqt tum ney yeh baat suni thi , ussi waqt tum ney yeh kiyon nahi kaha kay : hamen koi haq nahi phonchta kay hum yeh baat mun say nikalen , ya Allah ! aap ki zaat her aeb say pak hai , yeh to bara zabardast bohtan hai .
يَعِظُكُمُ ٱللَّهُ أَن تَعُودُواْ لِمِثۡلِهِۦٓ أَبَدًا إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
آیت ۲۴:۱۷ کھولیںAllah tumhen naseehat kerta hai kay phir kabhi aisa naa kerna , agar waqaee tum momin ho .
وَيُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِۚ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
آیت ۲۴:۱۸ کھولیںaur Allah tumharay samney hidayat ki baaten saaf saaf biyan ker-raha hai . aur Allah ilm ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحِبُّونَ أَن تَشِيعَ ٱلۡفَٰحِشَةُ فِي ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
آیت ۲۴:۱۹ کھولیںyaad rakho kay jo log yeh chahtay hain kay emaan walon mein bey hayai phelay , unn kay liye duniya aur aakhirat mein dardnak azab hai , aur Allah janta hai , aur tum nahi jantay .
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ وَأَنَّ ٱللَّهَ رَءُوفٞ رَّحِيمٞ
آیت ۲۴:۲۰ کھولیںaur agar yeh baat naa hoti kay Allah ka fazal aur uss ki rehmat tumharay shamil-e-haal hai , aur Allah bara shafiq , bara meharban hai ( to tum bhi naa bachtay )
۞يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّبِعُواْ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ وَمَن يَتَّبِعۡ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِ فَإِنَّهُۥ يَأۡمُرُ بِٱلۡفَحۡشَآءِ وَٱلۡمُنكَرِۚ وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ مَا زَكَىٰ مِنكُم مِّنۡ أَحَدٍ أَبَدٗا وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يُزَكِّي مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
آیت ۲۴:۲۱ کھولیںaey emaan walo ! tum shetan kay peechay naa chalo , aur agar koi shaks shetan kay peechay chalay , to shetan to hamesha bey hayai aur badi ki talqeen keray ga . aur agar tum per Allah ka fazal aur rehmat naa hoti to tum mein say koi bhi kabhi pak saaf naa hota , lekin Allah jiss ko chahta hai , pak saaf ker deta hai . aur Allah her baat sunta , her cheez janta hai .
وَلَا يَأۡتَلِ أُوْلُواْ ٱلۡفَضۡلِ مِنكُمۡ وَٱلسَّعَةِ أَن يُؤۡتُوٓاْ أُوْلِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينَ وَٱلۡمُهَٰجِرِينَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ وَلۡيَعۡفُواْ وَلۡيَصۡفَحُوٓاْۗ أَلَا تُحِبُّونَ أَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
آیت ۲۴:۲۲ کھولیںaur tum mein say jo log ehal-e-khair hain aur maali wusat rakhtay hain , woh aesi qasam naa khayen kay woh rishta daaron , miskeeno aur Allah kay raastay mein hijrat kernay walon ko kuch nahi den gay , aur unhen chahiye kay moaafi aur darguzar say kaam len . kiya tumhen yeh pasand nahi hai kay Allah tumhari khatayen bakhsh dey-? aur Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَرۡمُونَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ٱلۡغَٰفِلَٰتِ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ لُعِنُواْ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
آیت ۲۴:۲۳ کھولیںyaad rakho kay jo log pak daman bholi bhaali musalman aurton per tohmat lagatay hain , unn per duniya aur aakhirat mein phitkaar parr-chuki hai , aur unn ko uss din zabardast azab hoga .
يَوۡمَ تَشۡهَدُ عَلَيۡهِمۡ أَلۡسِنَتُهُمۡ وَأَيۡدِيهِمۡ وَأَرۡجُلُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
آیت ۲۴:۲۴ کھولیںjiss din khud unn ki zabanen , unn kay haath aur unn kay paon unn kay khilaf uss kartoot ki gawahi den gay jo woh kertay rahey hain .
يَوۡمَئِذٖ يُوَفِّيهِمُ ٱللَّهُ دِينَهُمُ ٱلۡحَقَّ وَيَعۡلَمُونَ أَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ ٱلۡمُبِينُ
آیت ۲۴:۲۵ کھولیںuss din Allah unn ko woh badla poora poora deydey ga jiss kay woh mustahiq hain , aur unn ko pata chal jaye ga kay Allah hi haq hai , aur wohi sari baat khol denay wala hai .
ٱلۡخَبِيثَٰتُ لِلۡخَبِيثِينَ وَٱلۡخَبِيثُونَ لِلۡخَبِيثَٰتِۖ وَٱلطَّيِّبَٰتُ لِلطَّيِّبِينَ وَٱلطَّيِّبُونَ لِلطَّيِّبَٰتِۚ أُوْلَٰٓئِكَ مُبَرَّءُونَ مِمَّا يَقُولُونَۖ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
آیت ۲۴:۲۶ کھولیںgandi aurten ganday mardon kay laeeq hain , aur ganday mard gandi aurton kay laeeq . aur pakbaaz aurten pakbaaz mardon kay laeeq hain , aur pakbaaz mard pakbaaz aurton kay laeeq . yeh ( pakbaaz mard aur aurten ) unn baaton say bilkul mubarra hain jo yeh log bana rahey hain . unn ( pakbaazon ) kay hissay mein to maghfirat hai aur ba-izzat rizq .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَدۡخُلُواْ بُيُوتًا غَيۡرَ بُيُوتِكُمۡ حَتَّىٰ تَسۡتَأۡنِسُواْ وَتُسَلِّمُواْ عَلَىٰٓ أَهۡلِهَاۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
آیت ۲۴:۲۷ کھولیںaey emaan walo ! apney gharon kay siwa doosray gharon mein uss waqt tak dakhil naa ho jab tak ijazat naa ley lo , aur unn mein basney walon ko salam naa kerlo . yehi tareeqa tumharay liye behtar hai , umeed hai kay tum khayal rakho gay .
فَإِن لَّمۡ تَجِدُواْ فِيهَآ أَحَدٗا فَلَا تَدۡخُلُوهَا حَتَّىٰ يُؤۡذَنَ لَكُمۡۖ وَإِن قِيلَ لَكُمُ ٱرۡجِعُواْ فَٱرۡجِعُواْۖ هُوَ أَزۡكَىٰ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
آیت ۲۴:۲۸ کھولیںaur agar tum unn gharon mein kissi ko naa pao tab bhi unn mein uss waqt tak dakhil naa ho jab tak tumhen ijazat naa dey di jaye . aur agar tum say kaha jaye kay : wapis chalay jao to wapis chalay jao . yehi tumharay liye pakeezah tareen tareeqa hai , aur tum jo amal bhi kertay ho , Allah ko uss ka poora poora ilm hai .
لَّيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَدۡخُلُواْ بُيُوتًا غَيۡرَ مَسۡكُونَةٖ فِيهَا مَتَٰعٞ لَّكُمۡۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تُبۡدُونَ وَمَا تَكۡتُمُونَ
آیت ۲۴:۲۹ کھولیںtumharay liye iss mein koi gunah nahi hai kay tum aesay gharon mein ( ijazat liye baghair ) dakhil ho jinn mein koi rehta naa ho , aur unn say tumhen faeeda uthaney ka haq ho . aur tum jo kaam aelania kertay ho , aur jo chup ker kertay ho , Allah unn sabb ko janta hai .
قُل لِّلۡمُؤۡمِنِينَ يَغُضُّواْ مِنۡ أَبۡصَٰرِهِمۡ وَيَحۡفَظُواْ فُرُوجَهُمۡۚ ذَٰلِكَ أَزۡكَىٰ لَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا يَصۡنَعُونَ
آیت ۲۴:۳۰ کھولیںmomin mardon say keh do kay woh apni nigahen neechi rakhen , aur apni sharmgahon ki hifazat keren . yehi unn kay liye pakeezah tareen tareeqa hai . woh jo kaarwaiyan kertay hain , Allah unn sabb say poori tarah ba-khabar hai .
وَقُل لِّلۡمُؤۡمِنَٰتِ يَغۡضُضۡنَ مِنۡ أَبۡصَٰرِهِنَّ وَيَحۡفَظۡنَ فُرُوجَهُنَّ وَلَا يُبۡدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا مَا ظَهَرَ مِنۡهَاۖ وَلۡيَضۡرِبۡنَ بِخُمُرِهِنَّ عَلَىٰ جُيُوبِهِنَّۖ وَلَا يُبۡدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا لِبُعُولَتِهِنَّ أَوۡ ءَابَآئِهِنَّ أَوۡ ءَابَآءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوۡ أَبۡنَآئِهِنَّ أَوۡ أَبۡنَآءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوۡ إِخۡوَٰنِهِنَّ أَوۡ بَنِيٓ إِخۡوَٰنِهِنَّ أَوۡ بَنِيٓ أَخَوَٰتِهِنَّ أَوۡ نِسَآئِهِنَّ أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُنَّ أَوِ ٱلتَّٰبِعِينَ غَيۡرِ أُوْلِي ٱلۡإِرۡبَةِ مِنَ ٱلرِّجَالِ أَوِ ٱلطِّفۡلِ ٱلَّذِينَ لَمۡ يَظۡهَرُواْ عَلَىٰ عَوۡرَٰتِ ٱلنِّسَآءِۖ وَلَا يَضۡرِبۡنَ بِأَرۡجُلِهِنَّ لِيُعۡلَمَ مَا يُخۡفِينَ مِن زِينَتِهِنَّۚ وَتُوبُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ جَمِيعًا أَيُّهَ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
آیت ۲۴:۳۱ کھولیںaur momin aurton say keh do kay woh apni nigahen neechi rakhen , aur apni sharmgahon ki hifazat keren , aur apni sajawat ko kissi per zahir naa keren , siwaye uss kay jo khud hi zahir hojaye , aur apni oarhniyon kay aanchal apney giraybanon per daal liya keren , aur apni sajawat aur kissi per zahir naa keren , siwaye apney shohron kay , ya apney baap , ya apney shohron kay baap kay , ya apney beton ya apney shohron kay beton kay , ya apney bhaiyon ya apney bhaiyon kay beton , ya apni behnon kay beton kay , ya apni aurton kay , ya unn kay jo apney haathon ki milkiyat mein hain , ya unn khidmat guzaron kay jinn kay dil mein koi ( jinsi ) taqaza nahi hota , ya unn bacchon kay jo abhi aurton kay chupay huye hisson say aashna nahi huye . aur musalman aurton ko chahiye kay woh apney paon zameen per iss tarah naa maaren kay unhon ney jo zeenat chupa rakhi hai woh maloom hojaye . aur aey momino ! tum sabb Allah kay samney tauba kero , takay tumhen falah naseeb ho .
وَأَنكِحُواْ ٱلۡأَيَٰمَىٰ مِنكُمۡ وَٱلصَّٰلِحِينَ مِنۡ عِبَادِكُمۡ وَإِمَآئِكُمۡۚ إِن يَكُونُواْ فُقَرَآءَ يُغۡنِهِمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۗ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ
آیت ۲۴:۳۲ کھولیںtum mein say jinn ( mardon ya aurton ) ka uss waqt nikah naa ho , unn ka bhi nikah kerao , aur tumharay ghulamon aur baandiyon mein say jo nikah kay qabil hon , unn ka bhi . agar woh tang dast hon to Allah apney fazal say unhen bey niaz kerday ga . aur Allah boht wusat wala hai , sabb kuch janta hai .
وَلۡيَسۡتَعۡفِفِ ٱلَّذِينَ لَا يَجِدُونَ نِكَاحًا حَتَّىٰ يُغۡنِيَهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۗ وَٱلَّذِينَ يَبۡتَغُونَ ٱلۡكِتَٰبَ مِمَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡ فَكَاتِبُوهُمۡ إِنۡ عَلِمۡتُمۡ فِيهِمۡ خَيۡرٗاۖ وَءَاتُوهُم مِّن مَّالِ ٱللَّهِ ٱلَّذِيٓ ءَاتَىٰكُمۡۚ وَلَا تُكۡرِهُواْ فَتَيَٰتِكُمۡ عَلَى ٱلۡبِغَآءِ إِنۡ أَرَدۡنَ تَحَصُّنٗا لِّتَبۡتَغُواْ عَرَضَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَمَن يُكۡرِههُّنَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ مِنۢ بَعۡدِ إِكۡرَٰهِهِنَّ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
آیت ۲۴:۳۳ کھولیںaur jinn logon ko nikah kay mawaqeh moyassar naa hon , woh pak damani kay sath rahen , yahan tak kay Allah apney fazal say unhen bey niaz kerday . aur tumhari milkiyat kay ghulam baandiyon mein say jo makatibat ka moahida kerna chahen , agar unn mein bhalai dekho to unn say makatibat ka moahida kerliya kero , aur ( musalmano ! ) Allah ney tumhen jo maal dey rakha hai , uss mein say aesay ghulam baandiyon ko bhi diya kero , aur apni baandiyon ko dunyawi zindagi ka saz-o-saman hasil kernay kay liye bad-kaari per majboor naa kero jabkay woh pak damani chahti hon . aur jo koi unhen majboor keray ga to unn ko majboor kernay kay baad Allah ( unn baandiyon ko ) boht bakhshney wala , bara meharban hai .
وَلَقَدۡ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكُمۡ ءَايَٰتٖ مُّبَيِّنَٰتٖ وَمَثَلٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلِكُمۡ وَمَوۡعِظَةٗ لِّلۡمُتَّقِينَ
آیت ۲۴:۳۴ کھولیںaur hum ney woh aayaten bhi utaar ker tum tak phoncha di hain jo her baat ko wazeh kernay wali hain , aur unn logon ki misalen bhi jo tum say pehlay guzar chukay hain , aur woh naseehat bhi jo Allah say darney walon kay liye kaar-aamad hai .
۞ٱللَّهُ نُورُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ مَثَلُ نُورِهِۦ كَمِشۡكَوٰةٖ فِيهَا مِصۡبَاحٌۖ ٱلۡمِصۡبَاحُ فِي زُجَاجَةٍۖ ٱلزُّجَاجَةُ كَأَنَّهَا كَوۡكَبٞ دُرِّيّٞ يُوقَدُ مِن شَجَرَةٖ مُّبَٰرَكَةٖ زَيۡتُونَةٖ لَّا شَرۡقِيَّةٖ وَلَا غَرۡبِيَّةٖ يَكَادُ زَيۡتُهَا يُضِيٓءُ وَلَوۡ لَمۡ تَمۡسَسۡهُ نَارٞۚ نُّورٌ عَلَىٰ نُورٖۚ يَهۡدِي ٱللَّهُ لِنُورِهِۦ مَن يَشَآءُۚ وَيَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡأَمۡثَٰلَ لِلنَّاسِۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
آیت ۲۴:۳۵ کھولیںAllah tamam aasmano aur zameen ka noor hai . uss kay noor ki misal kuch yun hai jaisay aik taaq ho jiss mein chiragh rakha ho , chiragh aik sheeshay mein ho , sheesha aisa ho jaisay aik sitara , moti ki tarah chamakta huwa ! woh chiragh aesay barkat walay darkht yani zaitoon say roshan kiya jaye jo naa ( sirf ) mashriqi ho naa ( sirf ) maghribi , aisa lagta ho kay uss ka tel khud hi roshni deydey ga , chahye ussay aag bhi naa lagay . noor balaye noor ! Allah apney noor tak jissay chahta hai , phoncha deta hai , aur Allah logon kay faeeday kay liye tamseelen biyan kerta hai , aur Allah her cheez ko khoob janney wala hai .
فِي بُيُوتٍ أَذِنَ ٱللَّهُ أَن تُرۡفَعَ وَيُذۡكَرَ فِيهَا ٱسۡمُهُۥ يُسَبِّحُ لَهُۥ فِيهَا بِٱلۡغُدُوِّ وَٱلۡأٓصَالِ
آیت ۲۴:۳۶ کھولیںjinn gharon kay baaray mein Allah ney yeh hukum diya hai kay unn ko buland maqam diya jaye , aur unn mein uss ka naam ley ker ziker kiya jaye , unn mein subha o shaam woh log uski tasbeeh kertay hain
رِجَالٞ لَّا تُلۡهِيهِمۡ تِجَٰرَةٞ وَلَا بَيۡعٌ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَإِقَامِ ٱلصَّلَوٰةِ وَإِيتَآءِ ٱلزَّكَوٰةِ يَخَافُونَ يَوۡمٗا تَتَقَلَّبُ فِيهِ ٱلۡقُلُوبُ وَٱلۡأَبۡصَٰرُ
آیت ۲۴:۳۷ کھولیںjinhen koi tijarat ya koi kharid-o-farokht naa Allah ki yaad say ghafil kerti hai naa namaz qaeem kernay say aur naa zakat denay say . woh uss din say dartay rehtay hain jiss mein dil aur nigahen ulat palat ker reh jayen gi .
لِيَجۡزِيَهُمُ ٱللَّهُ أَحۡسَنَ مَا عَمِلُواْ وَيَزِيدَهُم مِّن فَضۡلِهِۦۗ وَٱللَّهُ يَرۡزُقُ مَن يَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٖ
آیت ۲۴:۳۸ کھولیںnateeja yeh hai kay Allah inn logon ko inn kay aemal ka behtareen badla dey ga , aur apney fazal say mazeed kuch aur bhi dey ga , aur Allah jiss ko chahta hai , bey hisab deta hai .
وَٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَعۡمَٰلُهُمۡ كَسَرَابِۭ بِقِيعَةٖ يَحۡسَبُهُ ٱلظَّمۡـَٔانُ مَآءً حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَهُۥ لَمۡ يَجِدۡهُ شَيۡـٔٗا وَوَجَدَ ٱللَّهَ عِندَهُۥ فَوَفَّىٰهُ حِسَابَهُۥۗ وَٱللَّهُ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
آیت ۲۴:۳۹ کھولیںaur ( doosri taraf ) jinn logon ney kufr apna liya hai , unn kay aemal ki misal aesi hai jaisay aik chatiyal sehra mein aik sarab ho jissay piyasa aadmi paani samajh bethta hai, yahan tak kay jab uss kay paas phonchta hai to maloom hota hai kay woh kuch bhi nahi tha , aur uss kay paas Allah ko pata hai , chunacheh Allah uss ka poora poora hisab chuka deta hai . aur Allah boht jaldi hisab ley leta hai .
أَوۡ كَظُلُمَٰتٖ فِي بَحۡرٖ لُّجِّيّٖ يَغۡشَىٰهُ مَوۡجٞ مِّن فَوۡقِهِۦ مَوۡجٞ مِّن فَوۡقِهِۦ سَحَابٞۚ ظُلُمَٰتُۢ بَعۡضُهَا فَوۡقَ بَعۡضٍ إِذَآ أَخۡرَجَ يَدَهُۥ لَمۡ يَكَدۡ يَرَىٰهَاۗ وَمَن لَّمۡ يَجۡعَلِ ٱللَّهُ لَهُۥ نُورٗا فَمَا لَهُۥ مِن نُّورٍ
آیت ۲۴:۴۰ کھولیںya phir unn ( aemal ) ki misal aesi hai jaisay kissi gehray samandar mein phelay huye andheray , kay samandar ko aik moaj ney dhaanp rakha ho , jiss kay oopper aik aur moaj ho , aur uss kay oopper badal , gharz oopper talay andheray hi andheray ! agar koi apna hath bahir nikalay to ussay bhi naa dekh paye . aur jiss shaks ko Allah hi noor ata naa keray , uss kay naseeb mein koi noor nahi .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُسَبِّحُ لَهُۥ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱلطَّيۡرُ صَٰٓفَّٰتٖۖ كُلّٞ قَدۡ عَلِمَ صَلَاتَهُۥ وَتَسۡبِيحَهُۥۗ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِمَا يَفۡعَلُونَ
آیت ۲۴:۴۱ کھولیںkiya tum ney dekha nahi kay aasmano aur zameen mein jo bhi , hain Allah hi ki tasbeeh kertay hain , aur woh perinday bhi jo per phelaye huye urtay hain . her aik ko apni namaz aur apni tasbeeh ka tareeqa maloom hai . aur Allah unn kay saray kamon say poori tarah ba-khabar hai .
وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَإِلَى ٱللَّهِ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۲۴:۴۲ کھولیںaur aasmano aur zameen ki badshahi Allah hi kay liye hai , aur Allah hi ki taraf ( sabb ko ) loat ker jana hai .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُزۡجِي سَحَابٗا ثُمَّ يُؤَلِّفُ بَيۡنَهُۥ ثُمَّ يَجۡعَلُهُۥ رُكَامٗا فَتَرَى ٱلۡوَدۡقَ يَخۡرُجُ مِنۡ خِلَٰلِهِۦ وَيُنَزِّلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مِن جِبَالٖ فِيهَا مِنۢ بَرَدٖ فَيُصِيبُ بِهِۦ مَن يَشَآءُ وَيَصۡرِفُهُۥ عَن مَّن يَشَآءُۖ يَكَادُ سَنَا بَرۡقِهِۦ يَذۡهَبُ بِٱلۡأَبۡصَٰرِ
آیت ۲۴:۴۳ کھولیںkiya tum ney dekha nahi kay Allah badalon ko hankata hai , phir unn ko aik doosray say jorr deta hai , phir unhen teh bar teh ghata mein tabdeel ker deta hai , phir tum dekhtay ho kay barish uss kay darmiyan say baras rahi hai . aur aasman mein ( badalon ki shakal mein ) jo pahar kay pahar hotay hain , Allah unn say olay barsata hai , phir jiss kay liye chahta hai , unn ko museebat bana deta hai , aur jiss say chahta hai , unn ka rukh pher deta hai . aisa lagta hai kay uss ki bijli ki chamak aankhon ki beenai uchak ley jaye gi .
يُقَلِّبُ ٱللَّهُ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَعِبۡرَةٗ لِّأُوْلِي ٱلۡأَبۡصَٰرِ
آیت ۲۴:۴۴ کھولیںwohi Allah raat aur din ka ulat pher kerta hai . yaqeenan inn sabb baaton mein unn logon kay liye naseehat ka saman hai jinn kay paas dekhney wali aankhen hain .
وَٱللَّهُ خَلَقَ كُلَّ دَآبَّةٖ مِّن مَّآءٖۖ فَمِنۡهُم مَّن يَمۡشِي عَلَىٰ بَطۡنِهِۦ وَمِنۡهُم مَّن يَمۡشِي عَلَىٰ رِجۡلَيۡنِ وَمِنۡهُم مَّن يَمۡشِي عَلَىٰٓ أَرۡبَعٖۚ يَخۡلُقُ ٱللَّهُ مَا يَشَآءُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
آیت ۲۴:۴۵ کھولیںaur Allah ney zameen per chalney walay her jandaar ko paani say peda kiya hai . phir unn mein say kuch woh hain jo apney pet kay ball chaltay hain , kuch woh hain jo do paon per chaltay hain , aur kuch woh hain jo chaar ( paon ) per chaltay hain . Allah jo chahta hai peda kerta hai . yaqeenan Allah her baat per qudrat rakhta hai .
لَّقَدۡ أَنزَلۡنَآ ءَايَٰتٖ مُّبَيِّنَٰتٖۚ وَٱللَّهُ يَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
آیت ۲۴:۴۶ کھولیںbeyshak hum ney woh aayaten nazil ki hain jo haqeeqat ko khol khol ker biyan kernay wali hain , aur Allah jiss ko chahta hai , seedhay raastay tak phoncha deta hai .
وَيَقُولُونَ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَبِٱلرَّسُولِ وَأَطَعۡنَا ثُمَّ يَتَوَلَّىٰ فَرِيقٞ مِّنۡهُم مِّنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَۚ وَمَآ أُوْلَٰٓئِكَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۲۴:۴۷ کھولیںaur yeh ( munafiq ) log kehtay hain kay hum Allah per aur Rasool per emaan ley aaye hain aur hum farmanbardaar hogaye hain , phir inn mein say aik giroh uss kay baad bhi mun morr leta hai . yeh log ( haqeeqat mein ) momin nahi hain .
وَإِذَا دُعُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَهُمۡ إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُم مُّعۡرِضُونَ
آیت ۲۴:۴۸ کھولیںaur jab unhen Allah aur uss kay Rasool ki taraf bulaya jata hai takay Rasool unn kay darmiyan faisla keren to unn mein say kuch log aik dum rukh pher letay hain .
وَإِن يَكُن لَّهُمُ ٱلۡحَقُّ يَأۡتُوٓاْ إِلَيۡهِ مُذۡعِنِينَ
آیت ۲۴:۴۹ کھولیںaur agar khud unhen haq wasool kerna ho to woh baray farmanbardaar ban ker Rasool kay paas chalay aatay hain .
أَفِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ أَمِ ٱرۡتَابُوٓاْ أَمۡ يَخَافُونَ أَن يَحِيفَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ وَرَسُولُهُۥۚ بَلۡ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّٰلِمُونَ
آیت ۲۴:۵۰ کھولیںkiya inn kay dilon mein koi rog hai , ya yeh shak mein parray huye hain , ya enhen yeh andesha hai kay Allah aur uss ka Rasool unn per zulm dahaye ga-? nahi , balkay zulm dhaaney walay to khud yeh log hain .
إِنَّمَا كَانَ قَوۡلَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ إِذَا دُعُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَهُمۡ أَن يَقُولُواْ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۚ وَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
آیت ۲۴:۵۱ کھولیںmominon ki baat to yeh hoti hai kay jab unhen Allah aur uss kay Rasool ki taraf bulaya jata hai takay Rasool unn kay darmiyan faisla keren to woh yeh kehtay hain kay : hum ney ( hukum ) sunn liya , aur maan liya aur aesay hi log hain jo falah paaney walay hain .
وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَخۡشَ ٱللَّهَ وَيَتَّقۡهِ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
آیت ۲۴:۵۲ کھولیںaur jo log Allah aur uss kay Rasool ki farmanbardaari keren , Allah say daren , aur uss ki nafarmani say bachen , to wohi log kamiyab hain .
۞وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِنۡ أَمَرۡتَهُمۡ لَيَخۡرُجُنَّۖ قُل لَّا تُقۡسِمُواْۖ طَاعَةٞ مَّعۡرُوفَةٌۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
آیت ۲۴:۵۳ کھولیںaur yeh ( munafiq log ) baray zoron say Allah ki qasmen khatay hain kay agar ( aey payghumber ! ) tum unhen hukum do gay to yeh nikal kharray hon gay . ( unn say ) kaho kay : qasmen naa khao . ( tumhari ) farmanbardaari ka sabb ko pata hai . yaqeen jano kay tum jo kuch kertay ho Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .
قُلۡ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَۖ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّمَا عَلَيۡهِ مَا حُمِّلَ وَعَلَيۡكُم مَّا حُمِّلۡتُمۡۖ وَإِن تُطِيعُوهُ تَهۡتَدُواْۚ وَمَا عَلَى ٱلرَّسُولِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
آیت ۲۴:۵۴ کھولیں. ( unn say ) kaho kay : Allah ka hukum maano , aur Rasool kay farmanbardaar bano , phir bhi agar tum ney mun pheray rakha to Rasool per to itna hi bojh hai jiss ki zimma daari unn per daali gaee hai , aur jo bojh tum per daala gaya hai , uss kay zimma daar tum khud ho . agar tum unn ki farmanbardaari kero gay to hidayat paajao gay , aur Rasool ka farz iss say ziyada nahi hai kay woh saaf saaf baat phoncha den .
وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَيَسۡتَخۡلِفَنَّهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ كَمَا ٱسۡتَخۡلَفَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَلَيُمَكِّنَنَّ لَهُمۡ دِينَهُمُ ٱلَّذِي ٱرۡتَضَىٰ لَهُمۡ وَلَيُبَدِّلَنَّهُم مِّنۢ بَعۡدِ خَوۡفِهِمۡ أَمۡنٗاۚ يَعۡبُدُونَنِي لَا يُشۡرِكُونَ بِي شَيۡـٔٗاۚ وَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
آیت ۲۴:۵۵ کھولیںtum mein say jo log emaan ley aaye hain , aur jinhon ney naik amal kiye hain , unn say Allah ney wada kiya hai kay woh unhen zaroor zameen mein apna khalifa banaye ga , jiss tarah unn say pehlay logon ko banaya tha , aur unn kay liye uss deen ko zaroor iqtidar bakhshay ga jissay unn kay liye pasand kiya hai , aur unn ko jo khof laahaq raha hai , uss kay badlay unhen zaroor aman ata keray ga . ( bus ) woh meri ibadat keren , meray sath kissi cheez ko shareek naa thehrayen . aur jo log iss kay baad bhi nashukri keren gay to aesay log nafarman hon gay .
وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
آیت ۲۴:۵۶ کھولیںaur namaz qaeem kero , aur zakat ada kero , aur Rasool ki farmanbardaari kero , takay tumharay sath rehmat ka bartao kiya jaye .
لَا تَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مُعۡجِزِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَمَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُۖ وَلَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۲۴:۵۷ کھولیںyeh hergiz naa samajhna kay jinn logon ney kufr ka raasta apna liya hai , woh zameen mein ( kahen bhag ker hamen ) bey bus kerden gay . unn ka thikana dozakh hai , aur yaqeenan woh boht hi bura thikana hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِيَسۡتَـٔۡذِنكُمُ ٱلَّذِينَ مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡ وَٱلَّذِينَ لَمۡ يَبۡلُغُواْ ٱلۡحُلُمَ مِنكُمۡ ثَلَٰثَ مَرَّٰتٖۚ مِّن قَبۡلِ صَلَوٰةِ ٱلۡفَجۡرِ وَحِينَ تَضَعُونَ ثِيَابَكُم مِّنَ ٱلظَّهِيرَةِ وَمِنۢ بَعۡدِ صَلَوٰةِ ٱلۡعِشَآءِۚ ثَلَٰثُ عَوۡرَٰتٖ لَّكُمۡۚ لَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ وَلَا عَلَيۡهِمۡ جُنَاحُۢ بَعۡدَهُنَّۚ طَوَّٰفُونَ عَلَيۡكُم بَعۡضُكُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
آیت ۲۴:۵۸ کھولیںaey emaan walo ! jo ghulam londiyan tumhari milkiyat mein hain , aur tum mein say jo bacchay abhi buloog tak nahi phonchay , unn ko chahiye kay woh teen oqaat mein ( tumharay paas aaney kay liye ) tum say ijazat liya keren . namaz-e-fajar say pehlay , aur jab tum dophare kay waqt apney kapray utaar ker rakha kertay ho , aur namaz-e-esha kay baad . yeh teen waqt tumharay perday kay oqaat hain . inn oqaat kay ilawa naa tum per koi tangi hai , naa unn per . unn ka bhi tumharay paas aana jana laga rehta hai , tumhara bhi aik doosray kay paas . Allah issi tarah aayaton ko tumharay samney khol khol ker biyan kerta hai , aur Allah ilm ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
وَإِذَا بَلَغَ ٱلۡأَطۡفَٰلُ مِنكُمُ ٱلۡحُلُمَ فَلۡيَسۡتَـٔۡذِنُواْ كَمَا ٱسۡتَـٔۡذَنَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
آیت ۲۴:۵۹ کھولیںaur jab tumharay bacchay buloog ko phonch jayen , to woh bhi ussi tarah ijazat liya keren jaisay unn say pehlay baligh honey walay ijazat letay rahey hain . Allah issi tarah apni aayaten khol khol ker tumharay samney biyan kerta hai , aur Allah ilm ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
وَٱلۡقَوَٰعِدُ مِنَ ٱلنِّسَآءِ ٱلَّٰتِي لَا يَرۡجُونَ نِكَاحٗا فَلَيۡسَ عَلَيۡهِنَّ جُنَاحٌ أَن يَضَعۡنَ ثِيَابَهُنَّ غَيۡرَ مُتَبَرِّجَٰتِۭ بِزِينَةٖۖ وَأَن يَسۡتَعۡفِفۡنَ خَيۡرٞ لَّهُنَّۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
آیت ۲۴:۶۰ کھولیںaur jinn bari boorhi aurton ko nikah ki koi tawaqqo naa rahi ho , unn kay liye iss mein koi gunah nahi hai kay woh apney ( zaeed ) kapray , ( maslan chadaren , na-mehramon kay samney ) utaar ker rakh den , ba-shartey-kay zeenat ki numaish naa keren , aur agar woh ehtiyat hi rakhen to unn kay liye aur ziyada behtar hai . aur Allah sabb kuch sunta , her baat janta hai .
لَّيۡسَ عَلَى ٱلۡأَعۡمَىٰ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡأَعۡرَجِ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡمَرِيضِ حَرَجٞ وَلَا عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۡ أَن تَأۡكُلُواْ مِنۢ بُيُوتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ ءَابَآئِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أُمَّهَٰتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ إِخۡوَٰنِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أَخَوَٰتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أَعۡمَٰمِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ عَمَّٰتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أَخۡوَٰلِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ خَٰلَٰتِكُمۡ أَوۡ مَا مَلَكۡتُم مَّفَاتِحَهُۥٓ أَوۡ صَدِيقِكُمۡۚ لَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَأۡكُلُواْ جَمِيعًا أَوۡ أَشۡتَاتٗاۚ فَإِذَا دَخَلۡتُم بُيُوتٗا فَسَلِّمُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۡ تَحِيَّةٗ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِ مُبَٰرَكَةٗ طَيِّبَةٗۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
آیت ۲۴:۶۱ کھولیںnaa kissi na-beena kay liye iss mein koi gunah hai , naa kissi paon say maazoor shaks kay liye koi gunah hai , naa kissi beemar shaks kay liye koi gunah hai , aur naa khud tumharay liye kay tum apney gharon say kuch khalo , ya apney baap dada kay gharon say , ya apni maon kay gharon say , ya apney bhaiyon kay gharon say , ya apni behnon kay gharon say , ya apney chachaon kay gharon say , ya apni phoopiyon kay gharon say , ya apney mamooan kay gharon say , ya apni khalaon kay gharon say , ya unn gharon say jinn ki chabiyan tumharay ikhtiyar mein hon . ya apney doston kay gharon say . iss mein bhi tumharay liye koi gunah nahi hai kay sabb milker khao , ya alag alag . chunacheh jab tum gharon mein dakhil ho to apney logon ko salam kiya kero , kay yeh mulaqat ki woh ba-barkat pakeezah dua hai jo Allah ki taraf say aai hai . Allah issi tarah aayaton ko tumharay samney khol khol ker biyan kerta hai , takay tum samajh jao .
إِنَّمَا ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَإِذَا كَانُواْ مَعَهُۥ عَلَىٰٓ أَمۡرٖ جَامِعٖ لَّمۡ يَذۡهَبُواْ حَتَّىٰ يَسۡتَـٔۡذِنُوهُۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَسۡتَـٔۡذِنُونَكَ أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦۚ فَإِذَا ٱسۡتَـٔۡذَنُوكَ لِبَعۡضِ شَأۡنِهِمۡ فَأۡذَن لِّمَن شِئۡتَ مِنۡهُمۡ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُمُ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
آیت ۲۴:۶۲ کھولیںmomin to woh log hain jo Allah aur uss kay Rasool ko dil say mantay hain , aur jab Rasool kay sath kissi ijtimaee kaam mein shareek hotay hain to unn say ijazat liye baghair kahen nahi jatay . ( aey payghumber ! ) jo log tum say ijazat letay hain , yehi woh log hain jo Allah aur uss kay Rasool ko dil say mantay hain . chunacheh jab woh apney kissi kaam kay liye tum say ijazat maangen to unn mein say jinn ko chahao , ijazat dey diya kero , aur unn kay liye Allah say maghfirat ki dua kiya kero . yaqeenan Allah boht bakhshney wala , bara meharban hai .
لَّا تَجۡعَلُواْ دُعَآءَ ٱلرَّسُولِ بَيۡنَكُمۡ كَدُعَآءِ بَعۡضِكُم بَعۡضٗاۚ قَدۡ يَعۡلَمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ يَتَسَلَّلُونَ مِنكُمۡ لِوَاذٗاۚ فَلۡيَحۡذَرِ ٱلَّذِينَ يُخَالِفُونَ عَنۡ أَمۡرِهِۦٓ أَن تُصِيبَهُمۡ فِتۡنَةٌ أَوۡ يُصِيبَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
آیت ۲۴:۶۳ کھولیں. ( aey logo ! ) apney darmiyan Rasool kay bulaney ko aisa ( mamooli ) naa samjho jaisay tum aapas mein aik doosray ko bula liya kertay ho . Allah tum mein say unn logon ko khoob janta hai jo aik doosray ki aarr ley ker chupkay say khisak jatay hain . lehaza jo log uss kay hukum ki khilaf warzi kertay hain , unn ko iss baat say darna chahiye kay kahen unn per koi aafat naa aa-parey , ya unhen koi dardnak azab naa aa-pakray .
أَلَآ إِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ قَدۡ يَعۡلَمُ مَآ أَنتُمۡ عَلَيۡهِ وَيَوۡمَ يُرۡجَعُونَ إِلَيۡهِ فَيُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُواْۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ
آیت ۲۴:۶۴ کھولیںyaad rakho kay aasmano aur zameen mein jo kuch hai Allah hi ka hai . tum jiss halat per bhi ho , Allah ussay khoob janta hai , aur jiss din sabb ko uss kay paas lotaya jaye ga , uss din woh unn ko batadey ga kay unhon ney kiya amal kiya tha , aur Allah ko her baat ka poora poora ilm hai .