المؤمنون
Al-Muminoon
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
قَدۡ أَفۡلَحَ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
آیت ۲۳:۱ کھولیںunn emaan walon ney yaqeenan falah paali hai .
ٱلَّذِينَ هُمۡ فِي صَلَاتِهِمۡ خَٰشِعُونَ
آیت ۲۳:۲ کھولیںjo apni namaz mein dil say jhukney walay hain ,
وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَنِ ٱللَّغۡوِ مُعۡرِضُونَ
آیت ۲۳:۳ کھولیںaur jo laghw cheezon say mun morray huye hain .
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِلزَّكَوٰةِ فَٰعِلُونَ
آیت ۲۳:۴ کھولیںaur jo zakat per amal kernay walay hain ,
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِفُرُوجِهِمۡ حَٰفِظُونَ
آیت ۲۳:۵ کھولیںaur jo apni sharmgahon ki ( aur sabb say ) hifazat kertay hain ,
إِلَّا عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِهِمۡ أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُمۡ فَإِنَّهُمۡ غَيۡرُ مَلُومِينَ
آیت ۲۳:۶ کھولیںsiwaye apni biwiyon aur unn kaneezon kay jo unn ki milkiyat mein aa-chuki hon , kiyonkay aesay log qabil-e-malamat nahi hain ,
فَمَنِ ٱبۡتَغَىٰ وَرَآءَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡعَادُونَ
آیت ۲۳:۷ کھولیںhaan jo iss kay ilawa koi aur tareeqa ikhtiyar kerna chahen to aesay log hadd say guzray huye hain .
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِأَمَٰنَٰتِهِمۡ وَعَهۡدِهِمۡ رَٰعُونَ
آیت ۲۳:۸ کھولیںaur woh jo apni amanton aur apney ehad ka paas rakhney walay hain ,
وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَلَىٰ صَلَوَٰتِهِمۡ يُحَافِظُونَ
آیت ۲۳:۹ کھولیںaur jo apni namazon ki poori nigrani rakhtay hain .
أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡوَٰرِثُونَ
آیت ۲۳:۱۰ کھولیںyeh hain woh waris .
ٱلَّذِينَ يَرِثُونَ ٱلۡفِرۡدَوۡسَ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
آیت ۲۳:۱۱ کھولیںjinhen jannat-ul-Firdous ki meeras milay gi . yeh uss mein hamesha hamesha rahen gay .
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن سُلَٰلَةٖ مِّن طِينٖ
آیت ۲۳:۱۲ کھولیںaur hum ney insan ko mitti kay satt say peda kiya ,
ثُمَّ جَعَلۡنَٰهُ نُطۡفَةٗ فِي قَرَارٖ مَّكِينٖ
آیت ۲۳:۱۳ کھولیںphir hum ney ussay tapki hoi boond ki shakal mein aik mehfooz jagah per rakha ,
ثُمَّ خَلَقۡنَا ٱلنُّطۡفَةَ عَلَقَةٗ فَخَلَقۡنَا ٱلۡعَلَقَةَ مُضۡغَةٗ فَخَلَقۡنَا ٱلۡمُضۡغَةَ عِظَٰمٗا فَكَسَوۡنَا ٱلۡعِظَٰمَ لَحۡمٗا ثُمَّ أَنشَأۡنَٰهُ خَلۡقًا ءَاخَرَۚ فَتَبَارَكَ ٱللَّهُ أَحۡسَنُ ٱلۡخَٰلِقِينَ
آیت ۲۳:۱۴ کھولیںphir hum ney uss boond ko jamay huye khoon ki shakal dey di , phir uss jamay huye khoon ko aik loathra bana diya , phir uss loathray ko haddiyon mein tabdeel kerdiya , phir haddiyon ko gosht ka libas pehnaya , phir ussay aesi uthaan di kay woh aik doosri hi makhlooq ban ker kharra hogaya . gharz bari shaan hai Allah ki jo saray karigaron say barh ker karigar hai !
ثُمَّ إِنَّكُم بَعۡدَ ذَٰلِكَ لَمَيِّتُونَ
آیت ۲۳:۱۵ کھولیںphir iss sabb kay baad tumhen yaqeenan moat aaney wali hai ,
ثُمَّ إِنَّكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ تُبۡعَثُونَ
آیت ۲۳:۱۶ کھولیںphir qayamat kay din tumhen yaqeenan dobara zinda kiya jaye ga .
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا فَوۡقَكُمۡ سَبۡعَ طَرَآئِقَ وَمَا كُنَّا عَنِ ٱلۡخَلۡقِ غَٰفِلِينَ
آیت ۲۳:۱۷ کھولیںaur hum ney tumharay oopper saat teh bar teh raastay peda kiye hain , aur hum makhlooq say ghafil nahi hain .
وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءَۢ بِقَدَرٖ فَأَسۡكَنَّٰهُ فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَإِنَّا عَلَىٰ ذَهَابِۭ بِهِۦ لَقَٰدِرُونَ
آیت ۲۳:۱۸ کھولیںaur hum ney aasman say theek andazay kay mutabiq paani utaara , phir ussay zameen mein thehra diya , aur yaqeen rakho , hum ussay ghaeeb ker-denay per bhi qadir hain .
فَأَنشَأۡنَا لَكُم بِهِۦ جَنَّٰتٖ مِّن نَّخِيلٖ وَأَعۡنَٰبٖ لَّكُمۡ فِيهَا فَوَٰكِهُ كَثِيرَةٞ وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
آیت ۲۳:۱۹ کھولیںphir hum ney uss say tumharay liye khujooron aur angooron kay baaghaat peda kiye jinn say tumhen boht say meway hasil hotay hain , aur unhi mein say tum khatay ho .
وَشَجَرَةٗ تَخۡرُجُ مِن طُورِ سَيۡنَآءَ تَنۢبُتُ بِٱلدُّهۡنِ وَصِبۡغٖ لِّلۡأٓكِلِينَ
آیت ۲۳:۲۰ کھولیںaur woh darkht bhi peda kiya jo toor-e-seena say nikalta hai , jo apney sath tel ley ker aur khaney walon kay liye salan ley ker ugta hai .
وَإِنَّ لَكُمۡ فِي ٱلۡأَنۡعَٰمِ لَعِبۡرَةٗۖ نُّسۡقِيكُم مِّمَّا فِي بُطُونِهَا وَلَكُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ كَثِيرَةٞ وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
آیت ۲۳:۲۱ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay tumharay liye maweshiyon mein bari naseehat ka saman hai . jo ( doodh ) unn kay pet mein hai , uss say hum tumhen sairaab kertay hain , aur unn mein tumharay liye boht say fawaeed hain , aur unhi say tum ghiza bhi hasil kertay ho .
وَعَلَيۡهَا وَعَلَى ٱلۡفُلۡكِ تُحۡمَلُونَ
آیت ۲۳:۲۲ کھولیںaur unhi per aur kashtiyon per tumhen sawar bhi kiya jata hai .
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ فَقَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
آیت ۲۳:۲۳ کھولیںaur hum ney nooh ko unn ki qoam kay paas bheja tha , chunacheh unhon ney ( qoam say ) kaha kay : meri qoam kay logo ! Allah ki ibadat kero , uss kay siwa tumhara koi mabood nahi hai . bhala kiya tum dartay nahi ho-?
فَقَالَ ٱلۡمَلَؤُاْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ مَا هَٰذَآ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يُرِيدُ أَن يَتَفَضَّلَ عَلَيۡكُمۡ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَأَنزَلَ مَلَٰٓئِكَةٗ مَّا سَمِعۡنَا بِهَٰذَا فِيٓ ءَابَآئِنَا ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۲۳:۲۴ کھولیںiss per unn ki qoam kay kafir sardaron ney ( aik doosray say ) kaha : iss shaks ki iss kay siwa koi haqeeqat nahi kay yeh tumhi jaisa aik insan hai jo tum per apni bartari jamana chahta hai , aur agar Allah chahta to farishtay nazil ker deta . yeh baat to hum ney apney pichlay baap dadon mein kabhi nahi suni .
إِنۡ هُوَ إِلَّا رَجُلُۢ بِهِۦ جِنَّةٞ فَتَرَبَّصُواْ بِهِۦ حَتَّىٰ حِينٖ
آیت ۲۳:۲۵ کھولیں. ( raha yeh shaks , to ) yeh aur kuch nahi , aik aisa aadmi hai jissay junoon laahaq hogaya hai , iss liye kuch waqt tak iss ka intizar ker kay dekh lo ( kay shayad apney hawaas mein aajaye )
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي بِمَا كَذَّبُونِ
آیت ۲۳:۲۶ کھولیںnooh ney kaha : ya rab ! inn logon ney mujhay jiss tarah jhoota banaya hai , uss per to hi meri madad farma .
فَأَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡهِ أَنِ ٱصۡنَعِ ٱلۡفُلۡكَ بِأَعۡيُنِنَا وَوَحۡيِنَا فَإِذَا جَآءَ أَمۡرُنَا وَفَارَ ٱلتَّنُّورُ فَٱسۡلُكۡ فِيهَا مِن كُلّٖ زَوۡجَيۡنِ ٱثۡنَيۡنِ وَأَهۡلَكَ إِلَّا مَن سَبَقَ عَلَيۡهِ ٱلۡقَوۡلُ مِنۡهُمۡۖ وَلَا تُخَٰطِبۡنِي فِي ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ إِنَّهُم مُّغۡرَقُونَ
آیت ۲۳:۲۷ کھولیںchunacheh hum ney unn kay paas wahi bheji kay : tum humari nigrani mein aur humari wahi kay mutabiq kashti banao . phir jab humara hukum aajaye , aur tanoor ubal parray , to her qisam kay janweron mein say aik aik jorra ley ker ussay bhi uss kashti mein sawar ker lena , aur apney ghar walon ko bhi , siwaye unn kay jinn kay khilaf pehlay hi hukum sadir hochuka hai . aur inn zalimon kay baaray mein mujh say koi baat naa kerna , yeh baat tey hai kay yeh sabb gharq kiye jayen gay .
فَإِذَا ٱسۡتَوَيۡتَ أَنتَ وَمَن مَّعَكَ عَلَى ٱلۡفُلۡكِ فَقُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي نَجَّىٰنَا مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۲۳:۲۸ کھولیںphir jab tum aur tumharay sathi kashti mein theek theek beth chuken , to kehna : shukar hai Allah ka jiss ney hamen zalim logon say nijat ata farmaee .
وَقُل رَّبِّ أَنزِلۡنِي مُنزَلٗا مُّبَارَكٗا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡمُنزِلِينَ
آیت ۲۳:۲۹ کھولیںaur kehna : ya-Rab ! mujhay aisa utarna naseeb ker jo barkat wala ho , aur tu behtareen utaarney wala hai .
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ وَإِن كُنَّا لَمُبۡتَلِينَ
آیت ۲۳:۳۰ کھولیںiss saray waqaey mein bari nishaniyan hain , aur yaqeeni baat hai kay hamen aazmaesh to kerni hi kerni thi .
ثُمَّ أَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قَرۡنًا ءَاخَرِينَ
آیت ۲۳:۳۱ کھولیںphir unn kay baad hum ney doosri naslen peda ken ,
فَأَرۡسَلۡنَا فِيهِمۡ رَسُولٗا مِّنۡهُمۡ أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
آیت ۲۳:۳۲ کھولیںaur unn kay darmiyan unhi mein kay aik shaks ko Rasool bana ker bheja . ( jiss ney kaha ) kay : Allah ki ibadat kero , uss kay siwa tumhara koi mabood nahi hai . bhala kiya tum dartay nahi ho-?
وَقَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِلِقَآءِ ٱلۡأٓخِرَةِ وَأَتۡرَفۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا مَا هَٰذَآ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يَأۡكُلُ مِمَّا تَأۡكُلُونَ مِنۡهُ وَيَشۡرَبُ مِمَّا تَشۡرَبُونَ
آیت ۲۳:۳۳ کھولیںunn ki qoam kay woh sardar jinhon ney kufr apna rakha tha , aur jinhon ney aakhirat ka samna kernay ko jhutlaya tha , aur jinn ko hum ney dunyawi zindagi mein khoob aesh dey rakha tha , unhon ney ( aik doosray say ) kaha : iss shaks ki haqeeqat iss kay siwa kuch nahi hai kay yeh tumhi jaisa aik insan hai . jo cheez tum khatay ho , yeh bhi khata hai , aur jo tum peetay ho , yeh bhi peeta hai .
وَلَئِنۡ أَطَعۡتُم بَشَرٗا مِّثۡلَكُمۡ إِنَّكُمۡ إِذٗا لَّخَٰسِرُونَ
آیت ۲۳:۳۴ کھولیںaur agar kahen tum ney apney hi jaisay aik insan ki farmanbardaari qubool kerli to tum baray hi ghatay ka soda kero gay .
أَيَعِدُكُمۡ أَنَّكُمۡ إِذَا مِتُّمۡ وَكُنتُمۡ تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَنَّكُم مُّخۡرَجُونَ
آیت ۲۳:۳۵ کھولیںbhala batao yeh shaks tumhen darata hai kay jab tum mar-jao gay , aur mitti aur haddiyon mein tabdeel hojao gay , to tumhen dobara zameen say nikala jaye ga-?
۞هَيۡهَاتَ هَيۡهَاتَ لِمَا تُوعَدُونَ
آیت ۲۳:۳۶ کھولیںjiss baat say tumhen daraya jaraha hai , woh to boht hi baeed baat hai , samajh say bilkul hi door !
إِنۡ هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا ٱلدُّنۡيَا نَمُوتُ وَنَحۡيَا وَمَا نَحۡنُ بِمَبۡعُوثِينَ
آیت ۲۳:۳۷ کھولیںzindagi to humari iss dunyawi zindagi kay siwa koi aur nahi hai , ( yahin ) hum martay aur jeetay hain , aur hamen dobara zinda nahi kiya jasakta .
إِنۡ هُوَ إِلَّا رَجُلٌ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا وَمَا نَحۡنُ لَهُۥ بِمُؤۡمِنِينَ
آیت ۲۳:۳۸ کھولیں. ( raha yeh shaks , to ) yeh aur kuch nahi , aik aisa aadmi hai jiss ney Allah per jhoota bohtan gharra hai , aur hum iss per emaan laney walay nahi hain .
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي بِمَا كَذَّبُونِ
آیت ۲۳:۳۹ کھولیںpayghumber ney kaha : ya rab ! inn logon ney mujhay jiss tarah jhoota banaya hai , uss per tu hi meri madad farma .
قَالَ عَمَّا قَلِيلٖ لَّيُصۡبِحُنَّ نَٰدِمِينَ
آیت ۲۳:۴۰ کھولیںAllah ney farmaya : abb thori hi dair ki baat hai kay yeh log pachtatay reh jayen gay .
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ بِٱلۡحَقِّ فَجَعَلۡنَٰهُمۡ غُثَآءٗۚ فَبُعۡدٗا لِّلۡقَوۡمِ ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۲۳:۴۱ کھولیںchunacheh iss sachay waday kay mutabiq unn ko aik chinghaarr ney aa-pakra aur hum ney unhen koorra karkat bana ker rakh diya . phitkaar hai aesay zalim logon per !
ثُمَّ أَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قُرُونًا ءَاخَرِينَ
آیت ۲۳:۴۲ کھولیںiss kay baad hum ney doosri naslen peda ken .
مَا تَسۡبِقُ مِنۡ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ
آیت ۲۳:۴۳ کھولیںkoi ummat naa apney moyyan waqt say pehlay jasakti hai , naa uss kay baad thehar sakti hai .
ثُمَّ أَرۡسَلۡنَا رُسُلَنَا تَتۡرَاۖ كُلَّ مَا جَآءَ أُمَّةٗ رَّسُولُهَا كَذَّبُوهُۖ فَأَتۡبَعۡنَا بَعۡضَهُم بَعۡضٗا وَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَحَادِيثَۚ فَبُعۡدٗا لِّقَوۡمٖ لَّا يُؤۡمِنُونَ
آیت ۲۳:۴۴ کھولیںphir hum ney pey-dar-pay apney payghumber bhejay , jab bhi kissi qoam kay paas uss ka payghumber aata to woh ussay jhutlatay , chunacheh hum ney bhi aik kay baad aik ( ko halak kernay ) ka silsila baandh diya , aur unhen qissa kahaniyan bana daala . phitkaar hai unn logon per jo emaan nahi latay !
ثُمَّ أَرۡسَلۡنَا مُوسَىٰ وَأَخَاهُ هَٰرُونَ بِـَٔايَٰتِنَا وَسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٍ
آیت ۲۳:۴۵ کھولیںphir hum ney musa aur unn kay bhai Haroon ko apni nishaniyon aur wazeh saboot kay sath
إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ وَكَانُواْ قَوۡمًا عَالِينَ
آیت ۲۳:۴۶ کھولیںfiron aur uss kay sardaron kay paas bheja to unhon ney ghamand ka muzahira kiya , aur woh baray takabbur walay log thay .
فَقَالُوٓاْ أَنُؤۡمِنُ لِبَشَرَيۡنِ مِثۡلِنَا وَقَوۡمُهُمَا لَنَا عَٰبِدُونَ
آیت ۲۳:۴۷ کھولیںchunacheh kehney lagay : kiya hum apney jaisay do aadmiyon per emaan ley ayen , halankay unn ki qoam humari ghulami ker rahi hai ?
فَكَذَّبُوهُمَا فَكَانُواْ مِنَ ٱلۡمُهۡلَكِينَ
آیت ۲۳:۴۸ کھولیںiss tarah unhon ney unn dono ko jhutlaya , aur aakhir kaar woh bhi unn logon say jaa milay jinhen halak kiya gaya tha .
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ لَعَلَّهُمۡ يَهۡتَدُونَ
آیت ۲۳:۴۹ کھولیںaur musa ko hum ney kitab ata farmaee , takay unn kay log rehnumai hasil keren .
وَجَعَلۡنَا ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥٓ ءَايَةٗ وَءَاوَيۡنَٰهُمَآ إِلَىٰ رَبۡوَةٖ ذَاتِ قَرَارٖ وَمَعِينٖ
آیت ۲۳:۵۰ کھولیںaur maryam kay betay ( essa aleh-assalam ) ko aur unn ki maa ko hum ney aik nishani banaya , aur unn dono ko aik aesi bulandi per panah di jo aik pursukoon jagah thi , aur jahan saaf suthra paani behta tha .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلرُّسُلُ كُلُواْ مِنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَٱعۡمَلُواْ صَٰلِحًاۖ إِنِّي بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
آیت ۲۳:۵۱ کھولیںaey payghumbero ! pakeezah cheezon mein say ( jo chahao ) khao aur naik amal kero . yaqeen rakho kay jo kuch tum kertay ho , mujhay uss ka poora poora ilm hai .
وَإِنَّ هَٰذِهِۦٓ أُمَّتُكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَأَنَا۠ رَبُّكُمۡ فَٱتَّقُونِ
آیت ۲۳:۵۲ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay yehi tumhara deen hai , ( sabb kay liye ) aik hi deen ! aur mein tumhara perwerdigar hun , iss liye dil mein ( sirf ) mera roab rakho .
فَتَقَطَّعُوٓاْ أَمۡرَهُم بَيۡنَهُمۡ زُبُرٗاۖ كُلُّ حِزۡبِۭ بِمَا لَدَيۡهِمۡ فَرِحُونَ
آیت ۲۳:۵۳ کھولیںphir huwa yeh kay logon ney apney deen mein baham phoot daal ker firqay bana liye . her giroh ney apney khayal mein jo tareeqa ikhtiyar kerliya hai , ussi per magan hai .
فَذَرۡهُمۡ فِي غَمۡرَتِهِمۡ حَتَّىٰ حِينٍ
آیت ۲۳:۵۴ کھولیںlehaza ( aey payghumber ! ) inn ko aik khaas waqt tak apni jihalat mein dooba rehney do .
أَيَحۡسَبُونَ أَنَّمَا نُمِدُّهُم بِهِۦ مِن مَّالٖ وَبَنِينَ
آیت ۲۳:۵۵ کھولیںkiya yeh log iss khayal mein hain kay hum inn ko jo dolat aur aulad diye jarahey hain ,
نُسَارِعُ لَهُمۡ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ بَل لَّا يَشۡعُرُونَ
آیت ۲۳:۵۶ کھولیںto unn ko bhalaiyan phonchaney mein jaldi dikha rahey hain-? nahi , balkay inn ko haqeeqat ka shaoor nahi hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ هُم مِّنۡ خَشۡيَةِ رَبِّهِم مُّشۡفِقُونَ
آیت ۲۳:۵۷ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay jo log apney perwerdigar kay roab say daray rehtay hain ,
وَٱلَّذِينَ هُم بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ يُؤۡمِنُونَ
آیت ۲۳:۵۸ کھولیںaur jo apney perwerdigar ki aayaton per emaan latay hain ,
وَٱلَّذِينَ هُم بِرَبِّهِمۡ لَا يُشۡرِكُونَ
آیت ۲۳:۵۹ کھولیںaur jo apney perwerdigar kay sath kissi ko shareek nahi mantay ,
وَٱلَّذِينَ يُؤۡتُونَ مَآ ءَاتَواْ وَّقُلُوبُهُمۡ وَجِلَةٌ أَنَّهُمۡ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ رَٰجِعُونَ
آیت ۲۳:۶۰ کھولیںaur woh jo amal bhi kertay hain , ussay kertay waqt unn kay dil iss baat say sehmay hotay hain kay unhen apney perwerdigar kay paas wapis jana hai ,
أُوْلَٰٓئِكَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِ وَهُمۡ لَهَا سَٰبِقُونَ
آیت ۲۳:۶۱ کھولیںwoh hain jo bhalaiyan hasil kernay mein jaldi dikha rahey hain , aur woh hain jo unn ki taraf tezi say aagay barh rahey hain .
وَلَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۚ وَلَدَيۡنَا كِتَٰبٞ يَنطِقُ بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
آیت ۲۳:۶۲ کھولیںaur hum kissi shaks ko uss ki taqat say ziyada kissi kaam ki zimma daari nahi detay , aur humaray paas aik kitab hai jo ( sabb ka haal ) theek theek bol dey gi , aur unn per koi zulm nahi hoga .
بَلۡ قُلُوبُهُمۡ فِي غَمۡرَةٖ مِّنۡ هَٰذَا وَلَهُمۡ أَعۡمَٰلٞ مِّن دُونِ ذَٰلِكَ هُمۡ لَهَا عَٰمِلُونَ
آیت ۲۳:۶۳ کھولیںlekin unn kay dil iss baat say ghaflat mein doobay huye hain , aur iss kay ilawa unn ki aur bhi kaarastaniyan hain jo woh kertay rehtay hain .
حَتَّىٰٓ إِذَآ أَخَذۡنَا مُتۡرَفِيهِم بِٱلۡعَذَابِ إِذَا هُمۡ يَجۡـَٔرُونَ
آیت ۲۳:۶۴ کھولیںyahan tak kay jab hum unn kay dolat mand logon ko azab mein pakar len gay to woh aik dum bilbila uthen gay .
لَا تَجۡـَٔرُواْ ٱلۡيَوۡمَۖ إِنَّكُم مِّنَّا لَا تُنصَرُونَ
آیت ۲۳:۶۵ کھولیںaaj bilbilao nahi , humari taraf say tumhen koi madad nahi milay gi .
قَدۡ كَانَتۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَكُنتُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡ تَنكِصُونَ
آیت ۲۳:۶۶ کھولیںmeri aayaten tum ko parh ker sunai jati then , to tum ultay paon murr jatay thay ,
مُسۡتَكۡبِرِينَ بِهِۦ سَٰمِرٗا تَهۡجُرُونَ
آیت ۲۳:۶۷ کھولیںbaray ghuroor say iss ( Quran ) kay baaray mein raat ko majlisen jama ker beyhooda baaten kertay thay .
أَفَلَمۡ يَدَّبَّرُواْ ٱلۡقَوۡلَ أَمۡ جَآءَهُم مَّا لَمۡ يَأۡتِ ءَابَآءَهُمُ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۲۳:۶۸ کھولیںbhala kiya inn logon ney iss kalam per ghor nahi kiya , ya inn kay paas koi aesi cheez aagae hai jo inn kay pichlay baap dadon kay paas nahi aai thi ?
أَمۡ لَمۡ يَعۡرِفُواْ رَسُولَهُمۡ فَهُمۡ لَهُۥ مُنكِرُونَ
آیت ۲۳:۶۹ کھولیںya yeh apney payghumber ko ( pehlay say ) jantay hi nahi thay , iss wajeh say unn ka inkar ker rahey hain-?
أَمۡ يَقُولُونَ بِهِۦ جِنَّةُۢۚ بَلۡ جَآءَهُم بِٱلۡحَقِّ وَأَكۡثَرُهُمۡ لِلۡحَقِّ كَٰرِهُونَ
آیت ۲۳:۷۰ کھولیںya unn ka kehna hai kay inn ( payghumber ) ko junoon laahaq hogaya hai ? nahi , balkay ( asal wajeh yeh hai kay ) yeh payghumber inn kay paas haq ley ker aaye hain , aur inn mein say aksar log haq ko pasand nahi kertay .
وَلَوِ ٱتَّبَعَ ٱلۡحَقُّ أَهۡوَآءَهُمۡ لَفَسَدَتِ ٱلسَّمَٰوَٰتُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهِنَّۚ بَلۡ أَتَيۡنَٰهُم بِذِكۡرِهِمۡ فَهُمۡ عَن ذِكۡرِهِم مُّعۡرِضُونَ
آیت ۲۳:۷۱ کھولیںaur agar haq inn ki khuwaishaat kay tabey hojata to aasman aur zameen aur unn mein basney walay sabb barbad hojatay . nahi , balkay hum unn kay paas khud unn kay liye naseehat ka saman ley ker aaye hain , aur woh hain kay khud apni naseehat say mun morray huye hain .
أَمۡ تَسۡـَٔلُهُمۡ خَرۡجٗا فَخَرَاجُ رَبِّكَ خَيۡرٞۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلرَّٰزِقِينَ
آیت ۲۳:۷۲ کھولیںya ( inn kay inkar ki wajeh yeh hai kay ) tum inn say koi moawza maang rahey ho-? to ( yeh baat bhi ghalat hai , iss liye kay ) tumharay perwerdigar ka diya huwa moawza ( tumharay liye ) kahen behtar hai , aur woh behtareen rizq denay wala hai .
وَإِنَّكَ لَتَدۡعُوهُمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
آیت ۲۳:۷۳ کھولیںaur haqeeqat yeh hai kay tum to unhen seedhay raastay ki taraf bula rahey ho ,
وَإِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ عَنِ ٱلصِّرَٰطِ لَنَٰكِبُونَ
آیت ۲۳:۷۴ کھولیںaur jo log aakhirat per emaan nahi rakhtay , woh raastay say bilkul hatay huye hain .
۞وَلَوۡ رَحِمۡنَٰهُمۡ وَكَشَفۡنَا مَا بِهِم مِّن ضُرّٖ لَّلَجُّواْ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
آیت ۲۳:۷۵ کھولیںaur agar hum inn per reham keren aur uss takleef ko door kerden jiss mein yeh mubtala hain tab bhi yeh bhataktay huye apni sarkashi per array rahen gay .
وَلَقَدۡ أَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡعَذَابِ فَمَا ٱسۡتَكَانُواْ لِرَبِّهِمۡ وَمَا يَتَضَرَّعُونَ
آیت ۲۳:۷۶ کھولیںwaqiaa yeh hai kay hum ney inn ko ( aik martaba ) azab mein pakra tha , to uss waqt bhi yeh log apney perwerdigar kay samney nahi jhukay . aur yeh to aajzi ki rawish ikhtiyar kertay hi nahi hain .
حَتَّىٰٓ إِذَا فَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَابٗا ذَا عَذَابٖ شَدِيدٍ إِذَا هُمۡ فِيهِ مُبۡلِسُونَ
آیت ۲۳:۷۷ کھولیںyahan tak kay jab hum inn per sakht azab wala darwaza khol den gay , to yeh aik dum uss mein mayyus ho ker reh jayen gay .
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
آیت ۲۳:۷۸ کھولیںwoh Allah hi to hai jiss ney tumharay liye kaan aur aankhen aur dil peda kiye . ( magar ) tum log boht kam shukar ada kertay ho .
وَهُوَ ٱلَّذِي ذَرَأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
آیت ۲۳:۷۹ کھولیںaur wohi hai jiss ney tumhen zameen mein phelaya , aur ussi ki taraf tumhen ikattha ker kay ley jaya jaye ga .
وَهُوَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ وَلَهُ ٱخۡتِلَٰفُ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
آیت ۲۳:۸۰ کھولیںaur wohi hai jo zindagi aur moat deta hai , aur ussi kay qabazay mein raat aur din ki tabeedilyan hain . kiya phir bhi tum aqal say kaam nahi letay-?
بَلۡ قَالُواْ مِثۡلَ مَا قَالَ ٱلۡأَوَّلُونَ
آیت ۲۳:۸۱ کھولیںiss kay bajaye yeh log bhi wesi hi baaten kertay hain jaisi pichlay logon ney ki then .
قَالُوٓاْ أَءِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ
آیت ۲۳:۸۲ کھولیںkehtay hain kay : kiya jab hum mar-jayen gay aur mitti aur haddiyon mein tabdeel hojayen gay , to kiya waqaee hamen dobara zinda ker kay uthaya jaye ga-?
لَقَدۡ وُعِدۡنَا نَحۡنُ وَءَابَآؤُنَا هَٰذَا مِن قَبۡلُ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۲۳:۸۳ کھولیںyeh woh yaqeen dahani hai jo hum say bhi ki gaee hai , aur iss say pehlay humaray baap dadon say bhi ki gaee thi . iss ki koi haqeeqat iss kay siwa nahi kay yeh pichlay logon kay banaye huye afsaney hain .
قُل لِّمَنِ ٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهَآ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
آیت ۲۳:۸۴ کھولیں. ( aey payghumber ! zara inn say ) kaho kay : yeh sari zameen aur iss mein basney walay kiss ki milkiyat hain-? batao agar jantay ho .
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
آیت ۲۳:۸۵ کھولیںwoh zaroor yehi kahen gay kay : yeh sabb kuch Allah ka hai . kaho kay : kiya phir bhi tum sabaq nahi letay-?
قُلۡ مَن رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ ٱلسَّبۡعِ وَرَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡعَظِيمِ
آیت ۲۳:۸۶ کھولیںkaho kay : saat aasmano ka malik aur aali shaan arsh ka malik kon hai ?
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ أَفَلَا تَتَّقُونَ
آیت ۲۳:۸۷ کھولیںwoh zaroor yehi kahen gay kay : yeh sabb kuch Allah ka hai . kaho kay : kiya phir bhi tum Allah say nahi dartay-?
قُلۡ مَنۢ بِيَدِهِۦ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُوَ يُجِيرُ وَلَا يُجَارُ عَلَيۡهِ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
آیت ۲۳:۸۸ کھولیںkaho kay : kon hai jiss kay haath mein her cheez ka mukammal ikhtiyar hai , aur jo panah deta hai , aur uss kay muqablay mein koi kissi ko panah nahi dey sakta-? batao agar jantay ho .
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ فَأَنَّىٰ تُسۡحَرُونَ
آیت ۲۳:۸۹ کھولیںwoh zaroor yehi kahen gay kay : sara ikhtiyar Allah ka hai . kaho kay : phir kahan say tum per koi jadoo chal jata hai ?
بَلۡ أَتَيۡنَٰهُم بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
آیت ۲۳:۹۰ کھولیںnahi ( yeh afsaney nahi ) balkay hum ney unhen haq baat phonchai hai , aur yeh log yaqeenan jhootay hain .
مَا ٱتَّخَذَ ٱللَّهُ مِن وَلَدٖ وَمَا كَانَ مَعَهُۥ مِنۡ إِلَٰهٍۚ إِذٗا لَّذَهَبَ كُلُّ إِلَٰهِۭ بِمَا خَلَقَ وَلَعَلَا بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ عَمَّا يَصِفُونَ
آیت ۲۳:۹۱ کھولیںnaa to Allah ney koi beta banaya hai , aur naa uss kay sath koi aur khuda hai . agar aisa hota to her khuda apni makhlooq ko ley ker alag hojata , aur phir woh aik doosray per charrhai ker-detay . pak hai Allah unn baaton say jo yeh log banatay hain ,
عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ فَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
آیت ۲۳:۹۲ کھولیںwoh Allah jissay tamam chupi aur khuli baaton ka mukammal ilm hai . lehaza woh inn kay shirk say boht buland o baala hai .
قُل رَّبِّ إِمَّا تُرِيَنِّي مَا يُوعَدُونَ
آیت ۲۳:۹۳ کھولیں. ( aey payghumber ! ) dua kero kay : meray perwerdigar ! jiss azab ki dhamki inn ( kafiron ) ko di jarahi hai , agar aap ussay meri aankhon kay samney ley ayen ,
رَبِّ فَلَا تَجۡعَلۡنِي فِي ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۲۳:۹۴ کھولیںto aey meray perwerdigar ! mujhay inn zalim logon kay sath shamil naa kijiye ga .
وَإِنَّا عَلَىٰٓ أَن نُّرِيَكَ مَا نَعِدُهُمۡ لَقَٰدِرُونَ
آیت ۲۳:۹۵ کھولیںaur yaqeen jano kay hum jiss cheez ki enhen dhamki dey rahey hain , ussay tumhari aankhon kay samney laney per poori tarah qadir hain .
ٱدۡفَعۡ بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ ٱلسَّيِّئَةَۚ نَحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَصِفُونَ
آیت ۲۳:۹۶ کھولیں. ( lekin jab tak woh waqt naa aaye ) tum burai ka dafiya aesay tareeqay say kertay raho jo behtareen ho . jo baaten yeh log banatay hain , hum khoob jantay hain .
وَقُل رَّبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنۡ هَمَزَٰتِ ٱلشَّيَٰطِينِ
آیت ۲۳:۹۷ کھولیںaur dua kero kay : meray perwerdigar ! mein shetan kay lagaye huye charkon say aap ki panah maangta hun ,
وَأَعُوذُ بِكَ رَبِّ أَن يَحۡضُرُونِ
آیت ۲۳:۹۸ کھولیںaur meray perwerdigar ! mein unn kay apney qareeb aaney say bhi aap ki panah maangta hun .
حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَ أَحَدَهُمُ ٱلۡمَوۡتُ قَالَ رَبِّ ٱرۡجِعُونِ
آیت ۲۳:۹۹ کھولیںyahan tak kay jab unn mein say kissi per moat aa-khari hogi to woh kahey ga kay : meray perwerdigar ! mujhay wapis bhej dijiye ,
لَعَلِّيٓ أَعۡمَلُ صَٰلِحٗا فِيمَا تَرَكۡتُۚ كَلَّآۚ إِنَّهَا كَلِمَةٌ هُوَ قَآئِلُهَاۖ وَمِن وَرَآئِهِم بَرۡزَخٌ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
آیت ۲۳:۱۰۰ کھولیںtakay jiss duniya ko mein chorr aaya hun , uss mein jaker naik amal kerun . hergiz nahi ! yeh to aik baat hi baat hai jo woh zaban say keh raha hai , aur inn ( marney walon ) kay samney aalam e barzakh ki aarr hai . jo uss waqt tak qaeem rahey gi jab tak unn ko dobara zinda ker kay uthaya jaye .
فَإِذَا نُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَلَآ أَنسَابَ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَئِذٖ وَلَا يَتَسَآءَلُونَ
آیت ۲۳:۱۰۱ کھولیںphir jab soor phoonka jaye ga to uss din naa unn kay darmiyan rishtay natay baqi rahen gay , aur naa koi kissi ko poochay ga .
فَمَن ثَقُلَتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
آیت ۲۳:۱۰۲ کھولیںuss waqt jinn kay palray bhari niklay , to wohi hon gay jo falah payen gay ,
وَمَنۡ خَفَّتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فِي جَهَنَّمَ خَٰلِدُونَ
آیت ۲۳:۱۰۳ کھولیںaur jinn kay palray halkay parr-gaye , to yeh woh log hon gay jinhon ney apney liye ghatay ka soda kiya tha , woh dozakh mein hamesha hamesha rahen gay .
تَلۡفَحُ وُجُوهَهُمُ ٱلنَّارُ وَهُمۡ فِيهَا كَٰلِحُونَ
آیت ۲۳:۱۰۴ کھولیںaag unn kay chehron ko jhulas daalay gi , aur uss mein unn ki soorten bigar jayen gi .
أَلَمۡ تَكُنۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَكُنتُم بِهَا تُكَذِّبُونَ
آیت ۲۳:۱۰۵ کھولیں. ( unn say kaha jaye ga kay : ) kiya meri aayaten tumhen parh ker sunai nahi jati then-? aur tum unn ko jhutlaya kertay thay .
قَالُواْ رَبَّنَا غَلَبَتۡ عَلَيۡنَا شِقۡوَتُنَا وَكُنَّا قَوۡمٗا ضَآلِّينَ
آیت ۲۳:۱۰۶ کھولیںwoh kahen gay : humaray perwerdigar ! hum per humari bad-bakhti chah gaee thi , aur hum gumrah log thay .
رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا مِنۡهَا فَإِنۡ عُدۡنَا فَإِنَّا ظَٰلِمُونَ
آیت ۲۳:۱۰۷ کھولیںhumaray perwerdigar ! hamen yahan say bahir nikal dijiye , phir agar hum dobara wohi kaam keren to beyshak hum zalim hon gay .
قَالَ ٱخۡسَـُٔواْ فِيهَا وَلَا تُكَلِّمُونِ
آیت ۲۳:۱۰۸ کھولیںAllah farmaye ga : issi ( dozakh ) mein zaleel ho ker parray raho , aur mujh say baat bhi naa kero .
إِنَّهُۥ كَانَ فَرِيقٞ مِّنۡ عِبَادِي يَقُولُونَ رَبَّنَآ ءَامَنَّا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّٰحِمِينَ
آیت ۲۳:۱۰۹ کھولیںmeray bandon mein say aik jamat yeh dua kerti thi kay : aey humaray perwerdigar ! hum emaan ley aaye hain , pus hamen bakhsh dijiye , aur hum per reham farmaiye , aur aap sabb reham kernay walon say barh ker reham farmaney walay hain .
فَٱتَّخَذۡتُمُوهُمۡ سِخۡرِيًّا حَتَّىٰٓ أَنسَوۡكُمۡ ذِكۡرِي وَكُنتُم مِّنۡهُمۡ تَضۡحَكُونَ
آیت ۲۳:۱۱۰ کھولیںto tum ney unn logon ka mazaq banaya tha . yahan tak kay unn hi ( kay sath cher-chaar ) ney tumhen meri yaad tak say ghafil kerdiya , aur tum unn ki hansi uratay rahey .
إِنِّي جَزَيۡتُهُمُ ٱلۡيَوۡمَ بِمَا صَبَرُوٓاْ أَنَّهُمۡ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
آیت ۲۳:۱۱۱ کھولیںunhon ney jiss tarah sabar say kaam liya tha , aaj mein ney unhen uss ka yeh badla diya hai kay unhon ney apni murad paali hai .
قَٰلَ كَمۡ لَبِثۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ عَدَدَ سِنِينَ
آیت ۲۳:۱۱۲ کھولیں. ( phir ) Allah ( inn dozakhiyon say ) farmaye ga : tum zameen mein ginti kay kitney saal rahey-?
قَالُواْ لَبِثۡنَا يَوۡمًا أَوۡ بَعۡضَ يَوۡمٖ فَسۡـَٔلِ ٱلۡعَآدِّينَ
آیت ۲۳:۱۱۳ کھولیںwoh kahen gay kay : hum aik din ya aik din say bhi kam rahey hon gay . ( hamen poori tarah yaad nahi ) iss liye jinhon ney ( waqt ki ) ginti ki ho , unn say pooch lijiye .
قَٰلَ إِن لَّبِثۡتُمۡ إِلَّا قَلِيلٗاۖ لَّوۡ أَنَّكُمۡ كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
آیت ۲۳:۱۱۴ کھولیںAllah farmaye ga : tum thori mauddat say ziyada nahi rahey . kiya khoob hota agar yeh baat tum ney ( uss waqt ) samajh li hoti !
أَفَحَسِبۡتُمۡ أَنَّمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ عَبَثٗا وَأَنَّكُمۡ إِلَيۡنَا لَا تُرۡجَعُونَ
آیت ۲۳:۱۱۵ کھولیںbhala kiya tum yeh samjhay bethay thay kay hum ney tumhen yunhi bey maqsad peda kerdiya , aur tumhen wapis humaray paas nahi laya jaye ga-?
فَتَعَٰلَى ٱللَّهُ ٱلۡمَلِكُ ٱلۡحَقُّۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡكَرِيمِ
آیت ۲۳:۱۱۶ کھولیںgharz boht oonchi shaan hai Allah ki jo sahih maani mein badshah hai ! uss kay siwa koi mabood nahi , woh izzat walay arsh ka malik hai .
وَمَن يَدۡعُ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ لَا بُرۡهَٰنَ لَهُۥ بِهِۦ فَإِنَّمَا حِسَابُهُۥ عِندَ رَبِّهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
آیت ۲۳:۱۱۷ کھولیںaur jo shaks Allah kay sath kissi aur khuda ko pukaray , jiss per uss kay paas kissi qisam ki koi daleel nahi , to uss ka hisab uss kay perwerdigar kay paas hai . yaqeen jano kay kafir log falah nahi paaskatay .
وَقُل رَّبِّ ٱغۡفِرۡ وَٱرۡحَمۡ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّٰحِمِينَ
آیت ۲۳:۱۱۸ کھولیںaur tum ( aey payghumber ) yeh kaho kay : meray perwerdigar ! humari khatayen bakhsh dey , aur reham farmadey , tu saray reham kernay walon say barh ker reham kernay wala hai .