الحج
Al-Hajj
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡۚ إِنَّ زَلۡزَلَةَ ٱلسَّاعَةِ شَيۡءٌ عَظِيمٞ
آیت ۲۲:۱ کھولیںaey logo ! apney perwerdigar ( kay ghazab ) say daro . yaqeen jano kay qayamat ka bhonchal bari zabardast cheez hai .
يَوۡمَ تَرَوۡنَهَا تَذۡهَلُ كُلُّ مُرۡضِعَةٍ عَمَّآ أَرۡضَعَتۡ وَتَضَعُ كُلُّ ذَاتِ حَمۡلٍ حَمۡلَهَا وَتَرَى ٱلنَّاسَ سُكَٰرَىٰ وَمَا هُم بِسُكَٰرَىٰ وَلَٰكِنَّ عَذَابَ ٱللَّهِ شَدِيدٞ
آیت ۲۲:۲ کھولیںjiss din woh tumhen nazar aajaye ga , uss din her doodh pilaney wali uss bacchay ( tak ) ko bhool bethay gi , jiss ko uss ney doodh pilaya , aur her hamal wali apna hamal gira bethay gi , aur log tumhen yun nazar ayen gay kay woh nashay mein bad-hawas hain , halankay woh nashay mein nahi hon gay , balkay Allah ka azab bara sakht hoga .
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُجَٰدِلُ فِي ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَيَتَّبِعُ كُلَّ شَيۡطَٰنٖ مَّرِيدٖ
آیت ۲۲:۳ کھولیںaur logon mein kuch aesay hain jo Allah kay baaray mein bey janey boojhay jhagray kertay hain , aur uss sarkash shetan kay peechay chal kharray hotay hain .
كُتِبَ عَلَيۡهِ أَنَّهُۥ مَن تَوَلَّاهُ فَأَنَّهُۥ يُضِلُّهُۥ وَيَهۡدِيهِ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
آیت ۲۲:۴ کھولیںjiss kay muqaddar mein yeh likh diya gaya hai kay jo koi ussay dost banaye ga , to woh uss ko gumrah keray ga , aur ussay bharakti dozakh kay azab ki taraf ley jaye ga .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِن كُنتُمۡ فِي رَيۡبٖ مِّنَ ٱلۡبَعۡثِ فَإِنَّا خَلَقۡنَٰكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ مِنۡ عَلَقَةٖ ثُمَّ مِن مُّضۡغَةٖ مُّخَلَّقَةٖ وَغَيۡرِ مُخَلَّقَةٖ لِّنُبَيِّنَ لَكُمۡۚ وَنُقِرُّ فِي ٱلۡأَرۡحَامِ مَا نَشَآءُ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى ثُمَّ نُخۡرِجُكُمۡ طِفۡلٗا ثُمَّ لِتَبۡلُغُوٓاْ أَشُدَّكُمۡۖ وَمِنكُم مَّن يُتَوَفَّىٰ وَمِنكُم مَّن يُرَدُّ إِلَىٰٓ أَرۡذَلِ ٱلۡعُمُرِ لِكَيۡلَا يَعۡلَمَ مِنۢ بَعۡدِ عِلۡمٖ شَيۡـٔٗاۚ وَتَرَى ٱلۡأَرۡضَ هَامِدَةٗ فَإِذَآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهَا ٱلۡمَآءَ ٱهۡتَزَّتۡ وَرَبَتۡ وَأَنۢبَتَتۡ مِن كُلِّ زَوۡجِۭ بَهِيجٖ
آیت ۲۲:۵ کھولیںaey logo ! agar tumhen dobara zinda honey kay baaray mein kuch shak hai to ( zara socho kay ) hum ney tumhen mitti say peda kiya , phir nutfay say , phir aik jamay huye khoon say , phir aik gosht kay loathray say jo ( kabhi ) poora ban jata hai , aur ( kabhi ) poora nahi banta , takay hum tumharay liye ( tumhari ) haqeeqat khol ker bata den , aur hum ( tumhen ) maon kay pet mein jab tak chahtay hain , aik mutayyan mauddat tak thehraye rakhtay hain , phir tumhen aik bacchay ki shakal mein bahir latay hain , phir ( tumhen paaltay hain ) takay tum apni bharpoor umar tak phonch jao , aur tum mein say baaz woh hain jo ( pehlay hi ) duniya say utha liye jatay hain , aur tumhi mein say baaz woh hotay hain jinn ko bad-tareen umar ( yani intehai burhapay ) tak loata diya jata hai , yahan tak kay woh sabb kuch janney kay baad bhi kuch nahi jantay . aur tum dekhtay ho kay zameen murjhai hoi parri hai , phir jab hum uss per paani barsatay hain to woh harkat mein aati hai , uss mein barhotry hoti hai , aur woh her qisam ki khushnuma cheezen ugati hai .
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ وَأَنَّهُۥ يُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَأَنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
آیت ۲۲:۶ کھولیںyeh sabb kuch iss wajeh say hai kay Allah hi ka wajood bar-haq hai , aur wohi bey janon mein jaan daalta hai , aur woh her cheez per mukammal qudrat rakhta hai ,
وَأَنَّ ٱلسَّاعَةَ ءَاتِيَةٞ لَّا رَيۡبَ فِيهَا وَأَنَّ ٱللَّهَ يَبۡعَثُ مَن فِي ٱلۡقُبُورِ
آیت ۲۲:۷ کھولیںaur iss liye kay qayamat ki gharri aaney wali hai , jiss mein koi shak nahi hai , aur iss liye kay Allah unn sabb logon ko dobara zinda keray ga jo qabron mein hain .
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُجَٰدِلُ فِي ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَلَا هُدٗى وَلَا كِتَٰبٖ مُّنِيرٖ
آیت ۲۲:۸ کھولیںaur logon mein kuch aesay hain jo Allah kay baaray mein jhagray kertay hain , halankay unn kay paas naa koi ilm hai , naa hidayat , aur naa koi roshni denay wali kitab .
ثَانِيَ عِطۡفِهِۦ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۖ لَهُۥ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞۖ وَنُذِيقُهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ
آیت ۲۲:۹ کھولیںwoh takabbur say apna pehlo akarraye huye hain , takay doosron ko bhi Allah kay raastay say gumrah keren . aesay hi shaks kay liye duniya mein ruswai hai , aur qayamat kay din hum ussay jalti hoi aag ka maza chakhayen gay .
ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتۡ يَدَاكَ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَيۡسَ بِظَلَّٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
آیت ۲۲:۱۰ کھولیں. ( kay ) yeh sabb kuch teray uss kartoot ka badla hai jo tu ney apney haathon say aagay bheja tha , aur yeh baat tey hai kay Allah bandon per zulm dhaaney wala nahi hai .
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَعۡبُدُ ٱللَّهَ عَلَىٰ حَرۡفٖۖ فَإِنۡ أَصَابَهُۥ خَيۡرٌ ٱطۡمَأَنَّ بِهِۦۖ وَإِنۡ أَصَابَتۡهُ فِتۡنَةٌ ٱنقَلَبَ عَلَىٰ وَجۡهِهِۦ خَسِرَ ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةَۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡخُسۡرَانُ ٱلۡمُبِينُ
آیت ۲۲:۱۱ کھولیںaur logon mein woh shaks bhi hai jo aik kinaray per reh ker Allah ki ibadat kerta hai . chunacheh agar ussay ( duniya mein ) koi faeeda phonch gaya to woh uss say mutmaeen hojata hai , aur agar ussay koi aazmaesh paish aagae to woh mun morr ker ( phir kufr ki taraf ) chal deta hai . aesay shaks ney duniya bhi khoi , aur aakhirat bhi . yehi to khula huwa ghaata hai .
يَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَضُرُّهُۥ وَمَا لَا يَنفَعُهُۥۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلضَّلَٰلُ ٱلۡبَعِيدُ
آیت ۲۲:۱۲ کھولیںwoh Allah ko chorr ker unn ki ibadat kerta hai jo naa ussay nuqsan phoncha saktay hain , naa koi faeeda dey saktay hain . yehi to perlay darjay ki gumrahi hai .
يَدۡعُواْ لَمَن ضَرُّهُۥٓ أَقۡرَبُ مِن نَّفۡعِهِۦۚ لَبِئۡسَ ٱلۡمَوۡلَىٰ وَلَبِئۡسَ ٱلۡعَشِيرُ
آیت ۲۲:۱۳ کھولیںyeh aesay ( jhootay khuda ) ko pukartay hain jiss ka nuqsan uss kay faeeday say ziyada qareeb hai . aisa madadgaar bhi kitna bura hai , aur aisa sathi bhi kitna bura !
إِنَّ ٱللَّهَ يُدۡخِلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَفۡعَلُ مَا يُرِيدُ
آیت ۲۲:۱۴ کھولیںjo log emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , Allah yaqeenan unn ko aesay baaghaat mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren behti hon gi , yaqeenan Allah her woh kaam kerta hai jiss ka irada kerleta hai .
مَن كَانَ يَظُنُّ أَن لَّن يَنصُرَهُ ٱللَّهُ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ فَلۡيَمۡدُدۡ بِسَبَبٍ إِلَى ٱلسَّمَآءِ ثُمَّ لۡيَقۡطَعۡ فَلۡيَنظُرۡ هَلۡ يُذۡهِبَنَّ كَيۡدُهُۥ مَا يَغِيظُ
آیت ۲۲:۱۵ کھولیںjo shaks yeh samajhta tha kay Allah duniya aur aakhirat mein iss ( payghumber ) ki madad nahi keray ga to woh aasman tak aik rassi taan ker rabta kaat daalay , phir dekhay kay kiya uss ki yeh tadbeer uss ki jhunjhulahat door ker-sakti hai ?
وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَٰهُ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖ وَأَنَّ ٱللَّهَ يَهۡدِي مَن يُرِيدُ
آیت ۲۲:۱۶ کھولیںaur hum ney iss ( Quran ) ko khuli khuli nishaniyon ki soorat mein issi tarah utaara hai , aur Allah jiss ko chahta hai , hidayat deta hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلصَّٰبِـِٔينَ وَٱلنَّصَٰرَىٰ وَٱلۡمَجُوسَ وَٱلَّذِينَ أَشۡرَكُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ يَفۡصِلُ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
آیت ۲۲:۱۷ کھولیںbilashuba momin hon ya yahudi , saabi hon ya nasrani aur majoosi , ya woh jinhon ney shirk ikhtiyar kiya hai , Allah qayamat kay din inn sabb kay darmiyan faisla keray ga . yaqeenan Allah her cheez ka gawah hai .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يَسۡجُدُۤ لَهُۥۤ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ وَٱلشَّمۡسُ وَٱلۡقَمَرُ وَٱلنُّجُومُ وَٱلۡجِبَالُ وَٱلشَّجَرُ وَٱلدَّوَآبُّ وَكَثِيرٞ مِّنَ ٱلنَّاسِۖ وَكَثِيرٌ حَقَّ عَلَيۡهِ ٱلۡعَذَابُۗ وَمَن يُهِنِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن مُّكۡرِمٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَفۡعَلُ مَا يَشَآءُ۩
آیت ۲۲:۱۸ کھولیںkiya tum ney nahi dekha kay Allah kay aagay woh sabb sajda kertay hain jo aasmano mein hain aur woh sabb jo zameen mein hain , neez sooraj aur chaand , aur sitaray aur pahar , aur darkht aur janwer , aur boht say insan bhi ! aur boht say aesay bhi hain jinn per azab tey hochuka hai . aur jissay Allah zaleel kerday , koi nahi hai jo ussay izzat dey sakay . yaqeenan Allah wohi kerta hai jo chahta hai .
۞هَٰذَانِ خَصۡمَانِ ٱخۡتَصَمُواْ فِي رَبِّهِمۡۖ فَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ قُطِّعَتۡ لَهُمۡ ثِيَابٞ مِّن نَّارٖ يُصَبُّ مِن فَوۡقِ رُءُوسِهِمُ ٱلۡحَمِيمُ
آیت ۲۲:۱۹ کھولیںyeh ( momin aur kafir ) do fareeq hain jinhon ney apney perwerdigar kay baaray mein aik doosray say jhagrra kiya hai . abb ( iss ka faisla iss tarah hoga kay ) jinn logon ney kufr apnaya hai , unn kay liye aag kay kapray tarashey jayen gay . unn kay saron kay oopper say kholta huwa paani chorra jaye ga .
يُصۡهَرُ بِهِۦ مَا فِي بُطُونِهِمۡ وَٱلۡجُلُودُ
آیت ۲۲:۲۰ کھولیںjiss say unn kay pet kay andar ki cheezen aur khalen gal jayen gi .
وَلَهُم مَّقَٰمِعُ مِنۡ حَدِيدٖ
آیت ۲۲:۲۱ کھولیںaur unn kay liye lohey kay hathoray hon gay .
كُلَّمَآ أَرَادُوٓاْ أَن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا مِنۡ غَمٍّ أُعِيدُواْ فِيهَا وَذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ
آیت ۲۲:۲۲ کھولیںjab kabhi takleef say tang aa-ker woh iss/uss say nikalna chahen gay , to enhen/unhen phir ussi/issi mein loata diya jaye ga , kay chakho jalti aag ka maza !
إِنَّ ٱللَّهَ يُدۡخِلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ يُحَلَّوۡنَ فِيهَا مِنۡ أَسَاوِرَ مِن ذَهَبٖ وَلُؤۡلُؤٗاۖ وَلِبَاسُهُمۡ فِيهَا حَرِيرٞ
آیت ۲۲:۲۳ کھولیں. ( doosri taraf ) jo log emaan laye hain , aur jinhon ney naik kaam kiye hain , Allah unn ko aesi jannaton mein dakhil keray ga jinn kay neechay say nehren behti hon gi , jahan unhen soney kay kangganon aur motiyon say sajaya jaye ga , aur jahan unn ka libas resham hoga .
وَهُدُوٓاْ إِلَى ٱلطَّيِّبِ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ وَهُدُوٓاْ إِلَىٰ صِرَٰطِ ٱلۡحَمِيدِ
آیت ۲۲:۲۴ کھولیںaur ( wajeh yeh hai kay ) inn logon ki rasai pakeezah baat ( yani kalma toheed ) tak hogaee thi , aur woh uss khuda kay raastay tak phonch gaye thay jo her tareef ka mustahiq hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَيَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ ٱلَّذِي جَعَلۡنَٰهُ لِلنَّاسِ سَوَآءً ٱلۡعَٰكِفُ فِيهِ وَٱلۡبَادِۚ وَمَن يُرِدۡ فِيهِ بِإِلۡحَادِۭ بِظُلۡمٖ نُّذِقۡهُ مِنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
آیت ۲۲:۲۵ کھولیںbeyshak woh log ( saza kay laeeq hain ) jinhon ney kufr apna liya hai , aur jo doosron ko Allah kay raastay say aur uss masjid-e-haram say roktay hain jissay hum ney logon kay liye aisa banaya hai kay uss mein wahan kay bashinday aur bahir say aaney walay sabb barabar hain . aur jo koi shaks uss mein zulm ker kay tairrhi raah nikalay ga , hum ussay dardnak azab ka maza chakhayen gay .
وَإِذۡ بَوَّأۡنَا لِإِبۡرَٰهِيمَ مَكَانَ ٱلۡبَيۡتِ أَن لَّا تُشۡرِكۡ بِي شَيۡـٔٗا وَطَهِّرۡ بَيۡتِيَ لِلطَّآئِفِينَ وَٱلۡقَآئِمِينَ وَٱلرُّكَّعِ ٱلسُّجُودِ
آیت ۲۲:۲۶ کھولیںaur yaad kero woh waqt jab hum ney Ibrahim ko iss ghar ( yani khana kaaba ) ki jagah bata di thi , ( aur yeh hidayat di thi kay : ) meray sath kissi ko shareek naa thehrana , aur meray ghar ko unn logon kay liye pak rakhna jo ( yahan ) tawaf keren , aur ibadat kay liye kharray hon , aur rukoo sajday baja layen .
وَأَذِّن فِي ٱلنَّاسِ بِٱلۡحَجِّ يَأۡتُوكَ رِجَالٗا وَعَلَىٰ كُلِّ ضَامِرٖ يَأۡتِينَ مِن كُلِّ فَجٍّ عَمِيقٖ
آیت ۲۲:۲۷ کھولیںaur logon mein hajj ka aelaan kerdo , kay woh tumharay paas pedal ayen , aur door daraz kay raaston say safar kernay wali unn oontniyon per sawar ho ker ayen jo ( lambay safar say ) dubli hogaee hon ,
لِّيَشۡهَدُواْ مَنَٰفِعَ لَهُمۡ وَيَذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ فِيٓ أَيَّامٖ مَّعۡلُومَٰتٍ عَلَىٰ مَا رَزَقَهُم مِّنۢ بَهِيمَةِ ٱلۡأَنۡعَٰمِۖ فَكُلُواْ مِنۡهَا وَأَطۡعِمُواْ ٱلۡبَآئِسَ ٱلۡفَقِيرَ
آیت ۲۲:۲۸ کھولیںtakay woh unn fawaeed ko aankhon say dekhen jo unn kay liye rakhay gaye hain , aur mutayyan dino mein unn chopayo per Allah ka naam len jo Allah ney unhen ata kiye hain . chunacheh ( musalmano ! ) unn janweron mein say khud bhi khao , aur tang dast mohtaj ko bhi khilao .
ثُمَّ لۡيَقۡضُواْ تَفَثَهُمۡ وَلۡيُوفُواْ نُذُورَهُمۡ وَلۡيَطَّوَّفُواْ بِٱلۡبَيۡتِ ٱلۡعَتِيقِ
آیت ۲۲:۲۹ کھولیںphir ( hajj kernay walay ) logon ko chahiye kay woh apna mail kuchail door keren , aur apni mannaten poori keren , aur iss bait-e-ateeq ka tawaf keren .
ذَٰلِكَۖ وَمَن يُعَظِّمۡ حُرُمَٰتِ ٱللَّهِ فَهُوَ خَيۡرٞ لَّهُۥ عِندَ رَبِّهِۦۗ وَأُحِلَّتۡ لَكُمُ ٱلۡأَنۡعَٰمُ إِلَّا مَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡۖ فَٱجۡتَنِبُواْ ٱلرِّجۡسَ مِنَ ٱلۡأَوۡثَٰنِ وَٱجۡتَنِبُواْ قَوۡلَ ٱلزُّورِ
آیت ۲۲:۳۰ کھولیںyeh sari baaten yaad rakho , aur jo shaks inn cheezon ki taazeem keray ga jinn ko Allah ney hurmat di hai , to uss kay haq mein yeh amal uss kay perwerdigar kay nazdeek boht behtar hai . saray maweshi tumharay liye halal kerdiye gaye hain , siwaye unn janweron kay jinn ki tafseel tumhen parh ker suna di gaee hai . lehaza button ki gandagi say aur jhooti baat say iss tarah bach ker raho .
حُنَفَآءَ لِلَّهِ غَيۡرَ مُشۡرِكِينَ بِهِۦۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَكَأَنَّمَا خَرَّ مِنَ ٱلسَّمَآءِ فَتَخۡطَفُهُ ٱلطَّيۡرُ أَوۡ تَهۡوِي بِهِ ٱلرِّيحُ فِي مَكَانٖ سَحِيقٖ
آیت ۲۲:۳۱ کھولیںkay tum yaksoi kay sath Allah ki taraf rukh kiye huye ho , uss kay sath kissi ko shareek naa mantay ho . aur jo shaks Allah kay sath kissi ko shareek thehraye to goya woh aasman say gir parra , phir ya to perinday ussay uchak ley jayen , ya hawa ussay kahen door daraz ki jagah laa phenkay .
ذَٰلِكَۖ وَمَن يُعَظِّمۡ شَعَٰٓئِرَ ٱللَّهِ فَإِنَّهَا مِن تَقۡوَى ٱلۡقُلُوبِ
آیت ۲۲:۳۲ کھولیںyeh sari baaten yaad rakho , aur jo shaks Allah kay shaaeer ki taazeem keray , to yeh baat dilon kay taqwa say hasil hoti hai .
لَكُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى ثُمَّ مَحِلُّهَآ إِلَى ٱلۡبَيۡتِ ٱلۡعَتِيقِ
آیت ۲۲:۳۳ کھولیںtumhen aik moyyan waqt tak inn ( janweron say ) fawaeed hasil kernay ka haq hai , phir inn kay halal honey ki manzil ussi qadeem ghar ( yani khana kaaba ) kay aas paas hai .
وَلِكُلِّ أُمَّةٖ جَعَلۡنَا مَنسَكٗا لِّيَذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَىٰ مَا رَزَقَهُم مِّنۢ بَهِيمَةِ ٱلۡأَنۡعَٰمِۗ فَإِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ فَلَهُۥٓ أَسۡلِمُواْۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُخۡبِتِينَ
آیت ۲۲:۳۴ کھولیںaur hum ney her ummat kay liye qurbani iss gharz kay liye muqarrar ki hai kay woh unn maweshiyon per Allah ka naam len jo Allah ney unhen ata farmaye hain . lehaza tumhara khuda bus aik hi khuda hai , chunacheh tum ussi ki farmanbardaari kero , aur khushkhabri suna do unn logon ko jinn kay dil Allah kay aagay jhukay huye hain ,
ٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَجِلَتۡ قُلُوبُهُمۡ وَٱلصَّٰبِرِينَ عَلَىٰ مَآ أَصَابَهُمۡ وَٱلۡمُقِيمِي ٱلصَّلَوٰةِ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
آیت ۲۲:۳۵ کھولیںjinn ka haal yeh hai kay jab unn kay samney Allah ka ziker kiya jata hai to unn kay dilon per roab taari hojata hai , aur jo apney oopper parrney wali her museebat per sabar kernay walay hain , aur namaz ko qaeem kernay walay hain , aur jo rizq hum ney unhen diya hai , uss mein say ( Allah kay raastay mein ) kharch kertay hain .
وَٱلۡبُدۡنَ جَعَلۡنَٰهَا لَكُم مِّن شَعَٰٓئِرِ ٱللَّهِ لَكُمۡ فِيهَا خَيۡرٞۖ فَٱذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهَا صَوَآفَّۖ فَإِذَا وَجَبَتۡ جُنُوبُهَا فَكُلُواْ مِنۡهَا وَأَطۡعِمُواْ ٱلۡقَانِعَ وَٱلۡمُعۡتَرَّۚ كَذَٰلِكَ سَخَّرۡنَٰهَا لَكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
آیت ۲۲:۳۶ کھولیںaur qurbani kay oont aur gaye ko hum ney tumharay liye Allah kay shaaeer mein shamil kiya hai , tumharay liye unn mein bhalai hai . chunacheh jab woh aik qatar mein kharray hon , unn per Allah ka naam lo , phir jab ( zibah hoker ) unn kay pehlo zameen per gir-jayen to unn ( kay gosht ) mein say khud bhi khao , aur unn mohtajon ko bhi khilao jo sabar say bethay hon , aur unn ko bhi jo apni hajat zahir keren . aur unn janweron ko hum ney issi tarah tumharay tabey bana diya hai takay tum shukar guzaar bano .
لَن يَنَالَ ٱللَّهَ لُحُومُهَا وَلَا دِمَآؤُهَا وَلَٰكِن يَنَالُهُ ٱلتَّقۡوَىٰ مِنكُمۡۚ كَذَٰلِكَ سَخَّرَهَا لَكُمۡ لِتُكَبِّرُواْ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَىٰكُمۡۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۲۲:۳۷ کھولیںAllah ko naa unn ka gosht phonchta hai , naa unn ka khoon , lekin uss kay paas tumhara taqwa phonchta hai . uss ney yeh janwer issi tarah tumharay tabey bana diye hain , takay tum iss baat per Allah ki takbeer kero kay uss ney tumhen hidayat ata farmaee . aur jo log khush asloobi say naik amal kertay hain , unhen khushkhabri suna do .
۞إِنَّ ٱللَّهَ يُدَٰفِعُ عَنِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ كُلَّ خَوَّانٖ كَفُورٍ
آیت ۲۲:۳۸ کھولیںbeyshak Allah unn logon ka difaa keray ga jo emaan ley aaye hain . yaqeen jano kay Allah kissi dagha baaz nashukray ko pasand nahi kerta .
أُذِنَ لِلَّذِينَ يُقَٰتَلُونَ بِأَنَّهُمۡ ظُلِمُواْۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ نَصۡرِهِمۡ لَقَدِيرٌ
آیت ۲۲:۳۹ کھولیںjinn logon say jang ki jarahi hai , unhen ijazat di jati hai ( kay woh apney difaa mein larren ) kiyonkay unn per zulm kiya gaya hai , aur yaqeen rakho kay Allah unn ko fatah dilaney per poori tarah qadir hai .
ٱلَّذِينَ أُخۡرِجُواْ مِن دِيَٰرِهِم بِغَيۡرِ حَقٍّ إِلَّآ أَن يَقُولُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُۗ وَلَوۡلَا دَفۡعُ ٱللَّهِ ٱلنَّاسَ بَعۡضَهُم بِبَعۡضٖ لَّهُدِّمَتۡ صَوَٰمِعُ وَبِيَعٞ وَصَلَوَٰتٞ وَمَسَٰجِدُ يُذۡكَرُ فِيهَا ٱسۡمُ ٱللَّهِ كَثِيرٗاۗ وَلَيَنصُرَنَّ ٱللَّهُ مَن يَنصُرُهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ
آیت ۲۲:۴۰ کھولیںyeh woh log hain jinhen sirf itni baat per apney gharon say nahaq nikala gaya hai kay unhon ney yeh kaha tha kay humara perwerdigar Allah hai . aur agar Allah logon kay aik giroh ( kay sharr ) ko doosray kay zariye dafa naa kerta rehta to khanqahen aur kaleesa aur ibadat gaahen aur masjiden jinn mein Allah ka kasrat say ziker kiya jata hai , sabb mismaar kerdi jaten . aur Allah zaroor unn logon ki madad keray ga jo uss ( kay deen ) ki madad keren gay . bilashuba Allah bari quooat wala , baray iqtidar wala hai .
ٱلَّذِينَ إِن مَّكَّنَّٰهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَوُاْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَمَرُواْ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَنَهَوۡاْ عَنِ ٱلۡمُنكَرِۗ وَلِلَّهِ عَٰقِبَةُ ٱلۡأُمُورِ
آیت ۲۲:۴۱ کھولیںyeh aesay log hain kay agar hum enhen zameen mein iqtidar bakhshen to woh namaz qaeem keren , aur zakat ada keren , aur logon ko naiki ki takeed keren , aur burai say roken . aur tamam kamon ka anjam Allah hi kay qabazay mein hai .
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَعَادٞ وَثَمُودُ
آیت ۲۲:۴۲ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) agar yeh log tumhen jhutlatay hain , to inn say pehlay nooh ki qoam , aur aad o samood ki qoamen bhi ( apney apney payghumberon ko ) jhutla chuki hain ,
وَقَوۡمُ إِبۡرَٰهِيمَ وَقَوۡمُ لُوطٖ
آیت ۲۲:۴۳ کھولیںneez Ibrahim ki qoam aur loot ki qoam
وَأَصۡحَٰبُ مَدۡيَنَۖ وَكُذِّبَ مُوسَىٰۖ فَأَمۡلَيۡتُ لِلۡكَٰفِرِينَ ثُمَّ أَخَذۡتُهُمۡۖ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
آیت ۲۲:۴۴ کھولیںaur madiyan kay log bhi . aur musa ko bhi jhutlaya gaya tha , chunacheh unn kafiron ko mein ney kuch dheel di , phir unhen pakar mein ley liya , abb dekh lo kay meri pakar kaisi thi !
فَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ أَهۡلَكۡنَٰهَا وَهِيَ ظَالِمَةٞ فَهِيَ خَاوِيَةٌ عَلَىٰ عُرُوشِهَا وَبِئۡرٖ مُّعَطَّلَةٖ وَقَصۡرٖ مَّشِيدٍ
آیت ۲۲:۴۵ کھولیںgharz kitni bastiyan then jinn ko hum ney uss waqt halak kiya jab woh zulm ker rahi then , chunacheh woh apni chatton kay ball giri parri hain , aur kitney hi kunaen jo abb beykaar huye parray hain , aur kitney pakay banay huye mehal ( jo khanndar ban chukay hain ) .
أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَتَكُونَ لَهُمۡ قُلُوبٞ يَعۡقِلُونَ بِهَآ أَوۡ ءَاذَانٞ يَسۡمَعُونَ بِهَاۖ فَإِنَّهَا لَا تَعۡمَى ٱلۡأَبۡصَٰرُ وَلَٰكِن تَعۡمَى ٱلۡقُلُوبُ ٱلَّتِي فِي ٱلصُّدُورِ
آیت ۲۲:۴۶ کھولیںtu kiya yeh log zameen mein chalay phiray nahi hain jiss say unhen woh dil hasil hotay jo unhen samajh dey saktay , ya aesay kaan hasil hotay jinn say woh sunn saktay-? haqeeqat yeh hai kay aankhen andhi nahi hoten , balkay woh dil andhay hojatay hain jo seenon kay andar hain .
وَيَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلۡعَذَابِ وَلَن يُخۡلِفَ ٱللَّهُ وَعۡدَهُۥۚ وَإِنَّ يَوۡمًا عِندَ رَبِّكَ كَأَلۡفِ سَنَةٖ مِّمَّا تَعُدُّونَ
آیت ۲۲:۴۷ کھولیںaur yeh log tum say azab jaldi laney ka mutalba kertay hain , halankay Allah apney waday ki hergiz khilaf warzi nahi keray ga , aur yaqeen jano kay tumharay rab kay yahan ka aik din tumhari ginti kay mutabiq aik hazar saal ki tarah ka hota hai .
وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ أَمۡلَيۡتُ لَهَا وَهِيَ ظَالِمَةٞ ثُمَّ أَخَذۡتُهَا وَإِلَيَّ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۲۲:۴۸ کھولیںaur kitni hi bastiyan aesi then jinhen mein ney mohlat di thi , aur woh zulm kerti rahen , phir mein ney unhen pakar mein ley liya , aur sabb ko aakhir kaar meray paas hi loattna hoga .
قُلۡ يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنَّمَآ أَنَا۠ لَكُمۡ نَذِيرٞ مُّبِينٞ
آیت ۲۲:۴۹ کھولیں. ( aey payghumber ! ) keh do kay : aey logo ! mein to tumhen wazahat kay sath khabrdar kernay wala hun .
فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
آیت ۲۲:۵۰ کھولیںphir jo log emaan ley aaye , aur naik amal kernay lagay , to unn kay liye maghfirat hai , aur ba-izzat rizq hai .
وَٱلَّذِينَ سَعَوۡاْ فِيٓ ءَايَٰتِنَا مُعَٰجِزِينَ أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۲۲:۵۱ کھولیںaur jinn logon ney humari nishaniyon ko neecha dikhaney kay liye dorr dhoop ki hai , to woh dozakh kay baasi hain .
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ مِن رَّسُولٖ وَلَا نَبِيٍّ إِلَّآ إِذَا تَمَنَّىٰٓ أَلۡقَى ٱلشَّيۡطَٰنُ فِيٓ أُمۡنِيَّتِهِۦ فَيَنسَخُ ٱللَّهُ مَا يُلۡقِي ٱلشَّيۡطَٰنُ ثُمَّ يُحۡكِمُ ٱللَّهُ ءَايَٰتِهِۦۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
آیت ۲۲:۵۲ کھولیںaur ( aey payghumber ! ) tum say pehlay hum ney jab bhi koi Rasool ya nabi bheja to uss kay sath yeh waqiaa zaroor huwa kay jab uss ney ( Allah ka kalam ) parha to shetan ney uss kay parhney kay sath hi ( kuffaar kay dilon mein ) koi rukawat daal di , phir jo rukawat shetan daalta hai , Allah ussay door ker deta hai , phir apni aayaton ko ziyada mazboot ker deta hai , aur Allah baray ilm ka , bari hikmat ka malik hai .
لِّيَجۡعَلَ مَا يُلۡقِي ٱلشَّيۡطَٰنُ فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ وَٱلۡقَاسِيَةِ قُلُوبُهُمۡۗ وَإِنَّ ٱلظَّٰلِمِينَ لَفِي شِقَاقِۭ بَعِيدٖ
آیت ۲۲:۵۳ کھولیںyeh ( shetan ney rukawat iss liye daali ) takay jo rukawat shetan ney daali thi , Allah ussay unn logon kay liye fitna bana dey jinn kay dilon mein rog hai , aur jinn kay dil sakht hain . aur yaqeen jano kay yeh zalim log mukhalifat mein boht door chalay gaye hain .
وَلِيَعۡلَمَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ فَيُؤۡمِنُواْ بِهِۦ فَتُخۡبِتَ لَهُۥ قُلُوبُهُمۡۗ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهَادِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
آیت ۲۲:۵۴ کھولیںaur ( uss rukawat ko Allah taalaa ney iss liye door kiya ) takay jinn logon ko ilm ata huwa hai , woh jaan len kay yehi ( kalam ) bar-haq hai jo tumharay perwerdigar ki taraf say aaya hai , phir woh uss per emaan layen , aur unn kay dil uss kay aagay jhuk jayen . aur yaqeen rakho kay Allah emaan walon ko seedhay raastay ki hidayat denay wala hai .
وَلَا يَزَالُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي مِرۡيَةٖ مِّنۡهُ حَتَّىٰ تَأۡتِيَهُمُ ٱلسَّاعَةُ بَغۡتَةً أَوۡ يَأۡتِيَهُمۡ عَذَابُ يَوۡمٍ عَقِيمٍ
آیت ۲۲:۵۵ کھولیںaur jinn logon ney kufr apna liya hai , woh iss ( kalam ) ki taraf say barabar shak hi mein parray rahen gay , yahan tak kay unn per achanak qayamat aajaye , ya aesay din ka azab unn tak aa-phonchay jo ( unn kay liye ) kissi bhalai ko janam denay ki salahiyat say khaali hoga .
ٱلۡمُلۡكُ يَوۡمَئِذٖ لِّلَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَهُمۡۚ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ فِي جَنَّٰتِ ٱلنَّعِيمِ
آیت ۲۲:۵۶ کھولیںbadshahi uss din Allah ki hogi , woh unn kay darmiyan faisla keray ga , chunacheh jo log emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , woh naimaton kay baaghaat mein hon gay .
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا فَأُوْلَٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
آیت ۲۲:۵۷ کھولیںaur jinn logon ney kufr apna liya hai , aur humari aayaton ko jhutlaya hai , to aesay logon kay liye zillat wala azab hoga .
وَٱلَّذِينَ هَاجَرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ثُمَّ قُتِلُوٓاْ أَوۡ مَاتُواْ لَيَرۡزُقَنَّهُمُ ٱللَّهُ رِزۡقًا حَسَنٗاۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهُوَ خَيۡرُ ٱلرَّٰزِقِينَ
آیت ۲۲:۵۸ کھولیںaur jinn logon ney Allah kay raastay mein hijrat ki , phir qatal kerdiye gaye ya unn ka intiqal hogaya , to Allah unhen zaroor acha rizq dey ga , aur yaqeen rakho kay Allah hi behtareen rizq denay wala hai .
لَيُدۡخِلَنَّهُم مُّدۡخَلٗا يَرۡضَوۡنَهُۥۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَعَلِيمٌ حَلِيمٞ
آیت ۲۲:۵۹ کھولیںwoh unhen zaroor aesi jagah phonchaye ga jiss say woh khush hojayen gay , aur Allah yaqeenan her baat janney wala , bara burdbaar hai .
۞ذَٰلِكَۖ وَمَنۡ عَاقَبَ بِمِثۡلِ مَا عُوقِبَ بِهِۦ ثُمَّ بُغِيَ عَلَيۡهِ لَيَنصُرَنَّهُ ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَعَفُوٌّ غَفُورٞ
آیت ۲۲:۶۰ کھولیںyeh baat to tey hai , aur ( aagay yeh bhi sunn lo kay ) jiss shaks ney kissi ko badlay mein itni hi takleef phonchai jitni uss ko phonchai gaee thi , uss kay baad phir uss say ziyadti ki gaee , to Allah uss ki zaroor madad keray ga . yaqeen rakho kay Allah boht moaaf kernay wala , boht bakhshney wala hai .
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَأَنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٞ
آیت ۲۲:۶۱ کھولیںyeh iss liye kay Allah ( ki qudrat itni bari hai kay woh ) raat ko din mein dakhil ker deta aur din ko raat mein dakhil ker deta hai , aur iss liye kay Allah her baat sunta , her cheez dekhta hai .
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ وَأَنَّ مَا يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ هُوَ ٱلۡبَٰطِلُ وَأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡكَبِيرُ
آیت ۲۲:۶۲ کھولیںyeh iss liye kay Allah hi haq hai , aur yeh log ussay chorr ker jinn cheezon ki ibadat kertay hain , woh sabb batil hain , aur Allah hi woh hai jiss ki shaan bhi oonchi hai , rutba bhi bara .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَتُصۡبِحُ ٱلۡأَرۡضُ مُخۡضَرَّةًۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَطِيفٌ خَبِيرٞ
آیت ۲۲:۶۳ کھولیںkiya tum ney nahi dekha kay Allah ney aasman say paani utaara , jiss say zameen sarsabz hojati hai ? haqeeqat yeh hai kay Allah bara meharban , her baat say ba-khabar hai .
لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
آیت ۲۲:۶۴ کھولیںjo kuch aasmano mein hai , aur jo kuch zameen mein hai , sabb ussi ka hai . aur yaqeen rakho kay Allah hi woh zaat hai jo sabb say bey niaz hai , bazaat-e-khud qabil-e-tareef .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ سَخَّرَ لَكُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَٱلۡفُلۡكَ تَجۡرِي فِي ٱلۡبَحۡرِ بِأَمۡرِهِۦ وَيُمۡسِكُ ٱلسَّمَآءَ أَن تَقَعَ عَلَى ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا بِإِذۡنِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِٱلنَّاسِ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٞ
آیت ۲۲:۶۵ کھولیںkiya tum ney nahi dekha kay Allah ney zameen ki sari cheezen tumharay kaam mein laga rakhi hain , aur woh kashtiyan bhi jo uss kay hukum say samandar mein chalti hain-? aur uss ney aasman ko iss tarah thaam rakha hai kay woh uss ki ijazat kay baghair zameen per nahi gir sakta . haqeeqat yeh hai kay Allah logon kay sath shafqat ka bartao kernay wala , bara meharban hai .
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَحۡيَاكُمۡ ثُمَّ يُمِيتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيكُمۡۗ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَكَفُورٞ
آیت ۲۲:۶۶ کھولیںaur wohi hai jiss ney tumhen zindagi di , phir woh tumhen moat dey ga , phir tumhen zinda keray ga . waqaee insan bara nashukra hai .
لِّكُلِّ أُمَّةٖ جَعَلۡنَا مَنسَكًا هُمۡ نَاسِكُوهُۖ فَلَا يُنَٰزِعُنَّكَ فِي ٱلۡأَمۡرِۚ وَٱدۡعُ إِلَىٰ رَبِّكَۖ إِنَّكَ لَعَلَىٰ هُدٗى مُّسۡتَقِيمٖ
آیت ۲۲:۶۷ کھولیںhum ney her ummat kay logon kay liye ibadat ka aik tareeqa muqarrar kiya hai , jiss kay mutabiq woh ibadat kertay hain , lehaza ( aey payghumber ! ) logon ko tum say iss moamlay mein jhagrra nahi kerna chahiye , aur tum apney perwerdigar ki taraf dawat detay raho . tum yaqeenan seedhay raastay per ho .
وَإِن جَٰدَلُوكَ فَقُلِ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا تَعۡمَلُونَ
آیت ۲۲:۶۸ کھولیںaur agar woh tum say jhagrren to keh do kay : jo kuch tum ker rahey ho , Allah ussay khoob janta hai .
ٱللَّهُ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
آیت ۲۲:۶۹ کھولیںAllah qayamat kay din tumharay darmiyan unn baaton ka faisla keray ga jinn mein tum ikhtilaf kiya kertay thay .
أَلَمۡ تَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّ ذَٰلِكَ فِي كِتَٰبٍۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
آیت ۲۲:۷۰ کھولیںkiya tum nahi jantay kay aasman aur zameen ki tamam cheezen Allah kay ilm mein hain-? yeh sabb baaten aik kitab mein mehfooz hain . beyshak yeh saray kaam Allah kay liye boht aasaan hain .
وَيَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ سُلۡطَٰنٗا وَمَا لَيۡسَ لَهُم بِهِۦ عِلۡمٞۗ وَمَا لِلظَّٰلِمِينَ مِن نَّصِيرٖ
آیت ۲۲:۷۱ کھولیںaur yeh log Allah ko chorr ker unn cheezon ki ibadat kertay hain jinn ( kay mabood honey ) ki Allah ney koi daleel nazil nahi ki , aur khud inn logon ko bhi uss kay baaray mein koi ilm hasil nahi . aur inn zalimon ka ( aakhirat mein ) koi madadgaar nahi hoga .
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ تَعۡرِفُ فِي وُجُوهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلۡمُنكَرَۖ يَكَادُونَ يَسۡطُونَ بِٱلَّذِينَ يَتۡلُونَ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِنَاۗ قُلۡ أَفَأُنَبِّئُكُم بِشَرّٖ مِّن ذَٰلِكُمُۚ ٱلنَّارُ وَعَدَهَا ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۲۲:۷۲ کھولیںaur jab inn ko humari aayaten apni poori wazahaton kay sath parh ker sunai jati hain , to tum inn kafiron kay chehron per nagawari kay asraat saaf pehchan letay ho , aisa lagta hai kay yeh unn logon per hamla kerden gay jo enhen humari aayaten parh ker suna rahey hain . keh do kay : logo ! kiya mein tumhen aesi cheez batla dun jo iss say ziyada nagawar hai ? aag ! Allah ney kafiron say iss ka wada ker rakha hai , aur woh boht bura thikana hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٞ فَٱسۡتَمِعُواْ لَهُۥٓۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ لَن يَخۡلُقُواْ ذُبَابٗا وَلَوِ ٱجۡتَمَعُواْ لَهُۥۖ وَإِن يَسۡلُبۡهُمُ ٱلذُّبَابُ شَيۡـٔٗا لَّا يَسۡتَنقِذُوهُ مِنۡهُۚ ضَعُفَ ٱلطَّالِبُ وَٱلۡمَطۡلُوبُ
آیت ۲۲:۷۳ کھولیںlogo ! aik misal biyan ki jarahi hai abb ussay kaan laga ker suno ! tum log Allah ko chorr ker jinn jinn ko dua kay liye pukartay ho , woh aik makkhi bhi peda nahi ker-saktay , chahye iss kaam kay liye sabb kay sabb ikatthay hojayen , aur agar makkhi unn say koi cheez cheen ker lay jaye to woh uss say churra bhi nahi saktay . aisa dua maangney wala bhi boda aur jiss say dua maangi jarahi hai woh bhi !
مَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ
آیت ۲۲:۷۴ کھولیںinn logon ney Allah ki theek theek qadar hi nahi pehchani . haqeeqat yeh hai kay Allah quooat ka bhi malik hai , iqtidar ka bhi malik .
ٱللَّهُ يَصۡطَفِي مِنَ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةِ رُسُلٗا وَمِنَ ٱلنَّاسِۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٞ
آیت ۲۲:۷۵ کھولیںAllah farishton mein say bhi apna paygham phonchaney walay muntakhib kerta hai , aur insanon mein say bhi . yaqeenan Allah her baat sunta her cheez dekhta hai .
يَعۡلَمُ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
آیت ۲۲:۷۶ کھولیںwoh unn kay aagay aur peechay ki sari baaton ko janta hai , aur Allah hi per tamam moamlaat ka daromadar hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱرۡكَعُواْ وَٱسۡجُدُواْۤ وَٱعۡبُدُواْ رَبَّكُمۡ وَٱفۡعَلُواْ ٱلۡخَيۡرَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ۩
آیت ۲۲:۷۷ کھولیںaey emaan walo ! rukoo kero , aur sajda kero , aur apney perwerdigar ki bandagi kero , aur bhalai kay kaam kero , takay tumhen falah hasil ho .
وَجَٰهِدُواْ فِي ٱللَّهِ حَقَّ جِهَادِهِۦۚ هُوَ ٱجۡتَبَىٰكُمۡ وَمَا جَعَلَ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلدِّينِ مِنۡ حَرَجٖۚ مِّلَّةَ أَبِيكُمۡ إِبۡرَٰهِيمَۚ هُوَ سَمَّىٰكُمُ ٱلۡمُسۡلِمِينَ مِن قَبۡلُ وَفِي هَٰذَا لِيَكُونَ ٱلرَّسُولُ شَهِيدًا عَلَيۡكُمۡ وَتَكُونُواْ شُهَدَآءَ عَلَى ٱلنَّاسِۚ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱعۡتَصِمُواْ بِٱللَّهِ هُوَ مَوۡلَىٰكُمۡۖ فَنِعۡمَ ٱلۡمَوۡلَىٰ وَنِعۡمَ ٱلنَّصِيرُ
آیت ۲۲:۷۸ کھولیںaur Allah kay raastay mein jihad kero , jaisa kay jihad ka haq hai . uss ney tumhen ( apney deen kay liye ) muntakhib kerliya hai , aur tum per deen kay moamlay mein koi tangi nahi rakhi . apney baap Ibrahim kay deen ko mazbooti say thaam lo , uss ney pehlay bhi tumhara naam muslim rakha tha , aur iss ( Quran ) mein bhi , takay yeh Rasool tumharay liye gawah banen , aur tum doosray logon kay liye gawah bano . lehaza namaz qaeem kero , aur zakat ada kero , aur Allah ko mazbooti say thamay rakho , woh tumhara rakhwala hai , dekho , kitna acha rakhwala , aur kitna acha madadgaar !