الأنبياء

Al-Anbiyaa

سورت ۲۱ · آیات: ۱۱۲ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. ٱقۡتَرَبَ لِلنَّاسِ حِسَابُهُمۡ وَهُمۡ فِي غَفۡلَةٖ مُّعۡرِضُونَ

    آیت ⁦۲۱:۱⁩ کھولیں

    logon kay liye unn kay hisab ka waqt qareeb aa-phoncha hai , aur woh hain kay ghaflat ki halat mein mun pheray huye hain !

  2. مَا يَأۡتِيهِم مِّن ذِكۡرٖ مِّن رَّبِّهِم مُّحۡدَثٍ إِلَّا ٱسۡتَمَعُوهُ وَهُمۡ يَلۡعَبُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲⁩ کھولیں

    jab kabhi unn kay perwerdigar ki taraf say naseehat ki koi naee baat unn kay paas aati hai to woh ussay mazaq bana bana ker iss halat mein suntay hain .

  3. لَاهِيَةٗ قُلُوبُهُمۡۗ وَأَسَرُّواْ ٱلنَّجۡوَى ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ هَلۡ هَٰذَآ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡۖ أَفَتَأۡتُونَ ٱلسِّحۡرَ وَأَنتُمۡ تُبۡصِرُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳⁩ کھولیں

    kay unn kay dil fuzooliyaat mein munhamik hotay hain . aur yeh zalim chupkay chupkay ( aik doosray say ) sargoshi kertay hain kay : yeh shaks ( yani Muhammad ( SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) tumhi jaisa aik insan nahi to aur kiya hai-? kiya phir bhi tum soojhtay boojhtay jadoo ki baat sunney jao gay-?

  4. قَالَ رَبِّي يَعۡلَمُ ٱلۡقَوۡلَ فِي ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۲۱:۴⁩ کھولیں

    payghumber ney ( jawab mein ) kaha kay : aasman aur zameen mein jo kuch kaha jata hai , mera perwerdigar uss sabb ko janta hai . woh her baat sunta hai , her cheez say ba-khabar hai .

  5. بَلۡ قَالُوٓاْ أَضۡغَٰثُ أَحۡلَٰمِۭ بَلِ ٱفۡتَرَىٰهُ بَلۡ هُوَ شَاعِرٞ فَلۡيَأۡتِنَا بِـَٔايَةٖ كَمَآ أُرۡسِلَ ٱلۡأَوَّلُونَ

    آیت ⁦۲۱:۵⁩ کھولیں

    yehi nahi balkay inn logon ney yeh bhi kaha kay : yeh ( Quran ) bey jorr khuwabon ka majmooa hai , balkay yeh inn sahab ney khud gharr liya hai , balkay yeh aik shaeer hain . bhala yeh humaray samney koi nishani to ley ayen jaisay pichlay payghumber ( nishaniyon kay sath ) bhejay gaye thay !

  6. مَآ ءَامَنَتۡ قَبۡلَهُم مِّن قَرۡيَةٍ أَهۡلَكۡنَٰهَآۖ أَفَهُمۡ يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۲۱:۶⁩ کھولیں

    halankay inn say pehlay jiss kissi basti ko hum ney halak kiya , woh emaan nahi laee , abb kiya yeh log emaan ley ayen gay-?

  7. وَمَآ أَرۡسَلۡنَا قَبۡلَكَ إِلَّا رِجَالٗا نُّوحِيٓ إِلَيۡهِمۡۖ فَسۡـَٔلُوٓاْ أَهۡلَ ٱلذِّكۡرِ إِن كُنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۲۱:۷⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) hum ney tum say pehlay kissi aur ko nahi , aadmiyon hi ko Rasool bana ker bheja tha jinn per hum wahi nazil kertay thay . lehaza ( kafiron say kaho kay ) agar tumhen khud ilm nahi hai to naseehat ka ilm rakhney walon say pooch lo .

  8. وَمَا جَعَلۡنَٰهُمۡ جَسَدٗا لَّا يَأۡكُلُونَ ٱلطَّعَامَ وَمَا كَانُواْ خَٰلِدِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸⁩ کھولیں

    aur hum ney unn ( Rasoolon ) ko aesay jism bana ker peda nahi kerdiya tha kay woh khana naa khatay hon , aur naa woh aesay thay kay hamesha zinda rahen .

  9. ثُمَّ صَدَقۡنَٰهُمُ ٱلۡوَعۡدَ فَأَنجَيۡنَٰهُمۡ وَمَن نَّشَآءُ وَأَهۡلَكۡنَا ٱلۡمُسۡرِفِينَ

    آیت ⁦۲۱:۹⁩ کھولیں

    phir hum ney unn say jo wada kiya tha , ussay sacha ker dikhaya kay unn ko bhi bacha liya , aur ( unn kay ilawa ) jinn ko hum ney chaha unn ko bhi , aur jo log hadd say guzar chukay thay , unhen halak kerdiya .

  10. لَقَدۡ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكُمۡ كِتَٰبٗا فِيهِ ذِكۡرُكُمۡۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰⁩ کھولیں

    . ( abb ) hum ney tumharay paas aik aesi kitab utaari hai jiss mein tumharay liye naseehat hai . kiya phir bhi tum nahi samajhtay-?

  11. وَكَمۡ قَصَمۡنَا مِن قَرۡيَةٖ كَانَتۡ ظَالِمَةٗ وَأَنشَأۡنَا بَعۡدَهَا قَوۡمًا ءَاخَرِينَ

    آیت ⁦۲۱:۱۱⁩ کھولیں

    aur hum ney kitni bastiyon ko pees daala jo zalim then aur unn kay baad hum ney doosri naslen peda ken .

  12. فَلَمَّآ أَحَسُّواْ بَأۡسَنَآ إِذَا هُم مِّنۡهَا يَرۡكُضُونَ

    آیت ⁦۲۱:۱۲⁩ کھولیں

    chunacheh jab unhon ney humaray azab ki aahat pai to woh aik dum wahan say bhagney lagay .

  13. لَا تَرۡكُضُواْ وَٱرۡجِعُوٓاْ إِلَىٰ مَآ أُتۡرِفۡتُمۡ فِيهِ وَمَسَٰكِنِكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تُسۡـَٔلُونَ

    آیت ⁦۲۱:۱۳⁩ کھولیں

    . ( unn say kaha gaya : ) bhago matt , aur wapis jao apney unhi makanaat aur ussi aesh o ishrat kay saman ki taraf jiss kay mazay tum loot rahey thay , shayad tum say kuch poocha jaye .

  14. قَالُواْ يَٰوَيۡلَنَآ إِنَّا كُنَّا ظَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۱۴⁩ کھولیں

    woh kehney lagay : haaye humari kam bakhti ! sachi baat yeh hai kay hum log hi zalim thay .

  15. فَمَا زَالَت تِّلۡكَ دَعۡوَىٰهُمۡ حَتَّىٰ جَعَلۡنَٰهُمۡ حَصِيدًا خَٰمِدِينَ

    آیت ⁦۲۱:۱۵⁩ کھولیں

    unn ki yehi pukar jari rahi yahan tak kay hum ney unn ko aik katti hoi kheti , aik bujhi hoi aag bana ker rakh diya .

  16. وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَآءَ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا لَٰعِبِينَ

    آیت ⁦۲۱:۱۶⁩ کھولیں

    aur hum ney aasman , zameen aur jo kuch unn kay darmiyan hai , uss ko iss liye peda nahi kiya kay hum koi khel kerna chahtay hon .

  17. لَوۡ أَرَدۡنَآ أَن نَّتَّخِذَ لَهۡوٗا لَّٱتَّخَذۡنَٰهُ مِن لَّدُنَّآ إِن كُنَّا فَٰعِلِينَ

    آیت ⁦۲۱:۱۷⁩ کھولیں

    agar hamen koi khel banana hota to hum khud apney paas say bana letay , agar hamen aisa kerna hi hota .

  18. بَلۡ نَقۡذِفُ بِٱلۡحَقِّ عَلَى ٱلۡبَٰطِلِ فَيَدۡمَغُهُۥ فَإِذَا هُوَ زَاهِقٞۚ وَلَكُمُ ٱلۡوَيۡلُ مِمَّا تَصِفُونَ

    آیت ⁦۲۱:۱۸⁩ کھولیں

    balkay hum to haq baat ko batil per kheench maartay hain , jo uss ka sar torr daalta hai , aur woh aik dum malya mait hojata hai . aur jo baaten tum bana rahey ho , unn ki wajeh say kharabi tumhari hi hai .

  19. وَلَهُۥ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَمَنۡ عِندَهُۥ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ عَنۡ عِبَادَتِهِۦ وَلَا يَسۡتَحۡسِرُونَ

    آیت ⁦۲۱:۱۹⁩ کھولیں

    aur aasmano aur zameen mein jo log bhi hain , Allah kay hain . aur jo ( farishtay ) Allah kay paas hain , woh naa uss ki ibadat say sarkashi kertay hain , naa thaktay hain .

  20. يُسَبِّحُونَ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ لَا يَفۡتُرُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۲۰⁩ کھولیں

    woh raat din uss ki tasbeeh kertay rehtay hain , aur sust nahi parrtay .

  21. أَمِ ٱتَّخَذُوٓاْ ءَالِهَةٗ مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ هُمۡ يُنشِرُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲۱⁩ کھولیں

    bhala kiya inn logon ney zameen mein say aesay khuda bana rakhay hain jo naee zindagi detay hain-?

  22. لَوۡ كَانَ فِيهِمَآ ءَالِهَةٌ إِلَّا ٱللَّهُ لَفَسَدَتَاۚ فَسُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ رَبِّ ٱلۡعَرۡشِ عَمَّا يَصِفُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲۲⁩ کھولیں

    agar aasman aur zameen mein Allah kay siwa doosray khuda hotay to dono darham barham hojatay . lehaza arsh ka malik Allah unn baaton say bilkul pak hai jo yeh log banaya kertay hain .

  23. لَا يُسۡـَٔلُ عَمَّا يَفۡعَلُ وَهُمۡ يُسۡـَٔلُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲۳⁩ کھولیں

    woh jo kuch kerta hai , uss ka kissi ko jawab deh nahi hai , aur inn sabb ko jawab dahi kerni hogi .

  24. أَمِ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ ءَالِهَةٗۖ قُلۡ هَاتُواْ بُرۡهَٰنَكُمۡۖ هَٰذَا ذِكۡرُ مَن مَّعِيَ وَذِكۡرُ مَن قَبۡلِيۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ ٱلۡحَقَّۖ فَهُم مُّعۡرِضُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲۴⁩ کھولیں

    bhala kiya ussay chorr ker unhon ney doosray khuda bana rakhay hain-? ( aey payghumber ! ) inn say kaho kay : lao apni daleel ! yeh ( Quran ) bhi mojood hai jiss mein meray sath walon kay liye naseehat hai , aur woh ( kitaben ) bhi mojood hain jinn mein mujh say pehlay logon kay liye naseehat thi . lekin waqiaa yeh hai kay inn mein say aksar log haq baat ka yaqeen nahi kertay , iss liye mun morray huye hain .

  25. وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ مِن رَّسُولٍ إِلَّا نُوحِيٓ إِلَيۡهِ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّآ أَنَا۠ فَٱعۡبُدُونِ

    آیت ⁦۲۱:۲۵⁩ کھولیں

    aur tum say pehlay hum ney koi aisa Rasool nahi bheja jiss per hum ney yeh wahi nazil naa ki ho kay : meray siwa koi khuda nahi hai , lehaza meri ibadat kero .

  26. وَقَالُواْ ٱتَّخَذَ ٱلرَّحۡمَٰنُ وَلَدٗاۗ سُبۡحَٰنَهُۥۚ بَلۡ عِبَادٞ مُّكۡرَمُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲۶⁩ کھولیں

    yeh log kehtay hain kay : khudaye rehman ( farishton ki shakal mein ) aulad rakhta hai . subhan Allah ! balkay ( farishtay to Allah kay ) banday hain jinhen izzat bakhshi gaee hai .

  27. لَا يَسۡبِقُونَهُۥ بِٱلۡقَوۡلِ وَهُم بِأَمۡرِهِۦ يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲۷⁩ کھولیں

    woh uss say aagay barh ker koi baat nahi kertay , aur woh ussi kay hukum per amal kertay hain .

  28. يَعۡلَمُ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡ وَلَا يَشۡفَعُونَ إِلَّا لِمَنِ ٱرۡتَضَىٰ وَهُم مِّنۡ خَشۡيَتِهِۦ مُشۡفِقُونَ

    آیت ⁦۲۱:۲۸⁩ کھولیں

    woh unn ki tamam agli pichli baaton ko janta hai , aur woh kissi ki sifarish nahi ker-saktay , siwaye uss kay jiss kay liye Allah ki marzi ho , aur woh uss kay khof say sehmay rehtay hain .

  29. ۞وَمَن يَقُلۡ مِنۡهُمۡ إِنِّيٓ إِلَٰهٞ مِّن دُونِهِۦ فَذَٰلِكَ نَجۡزِيهِ جَهَنَّمَۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۲۹⁩ کھولیں

    aur agar unn mein say koi ( bil-farz ) yeh kahey kay : Allah kay ilawa mein bhi mabood hun to uss ko hum jahannum ki saza den gay . aesay zalimon ko hum aesi hi saza detay hain .

  30. أَوَلَمۡ يَرَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَنَّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ كَانَتَا رَتۡقٗا فَفَتَقۡنَٰهُمَاۖ وَجَعَلۡنَا مِنَ ٱلۡمَآءِ كُلَّ شَيۡءٍ حَيٍّۚ أَفَلَا يُؤۡمِنُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۳۰⁩ کھولیں

    jinn logon ney kufr apna liya hai , kiya unhen yeh maloom nahi hai kay saray aasman aur zameen band thay , phir hum ney unhen khol diya , aur paani say her jandaar cheez peda ki hai ? kiya phir bhi yeh emaan nahi layen gay-?

  31. وَجَعَلۡنَا فِي ٱلۡأَرۡضِ رَوَٰسِيَ أَن تَمِيدَ بِهِمۡ وَجَعَلۡنَا فِيهَا فِجَاجٗا سُبُلٗا لَّعَلَّهُمۡ يَهۡتَدُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳۱⁩ کھولیں

    aur hum ney zameen mein jamay huye pahar peda kiye hain , takay woh unhen ley ker hilney naa paye , aur uss mein hum ney chorray chorray raastay banaye hain , takay woh manzil tak phonch saken .

  32. وَجَعَلۡنَا ٱلسَّمَآءَ سَقۡفٗا مَّحۡفُوظٗاۖ وَهُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِهَا مُعۡرِضُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳۲⁩ کھولیں

    aur hum ney aasman ko aik mehfooz chat bana diya hai , aur yeh log hain kay uss ki nishaniyon say mun morray huye hain .

  33. وَهُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ فِي فَلَكٖ يَسۡبَحُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳۳⁩ کھولیں

    aur wohi ( Allah ) hai jiss ney raat aur din aur sooraj aur chaand peda kiye . sabb kissi naa kissi madaar mein ter rahey hain .

  34. وَمَا جَعَلۡنَا لِبَشَرٖ مِّن قَبۡلِكَ ٱلۡخُلۡدَۖ أَفَإِيْن مِّتَّ فَهُمُ ٱلۡخَٰلِدُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳۴⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) tum say pehlay bhi hamesha zinda rehna hum ney kissi fard bashar kay liye tey nahi kiya . chunacheh agar tumhara intiqal hogaya to kiya yeh log aesay hain jo hamesha zinda rahen-?

  35. كُلُّ نَفۡسٖ ذَآئِقَةُ ٱلۡمَوۡتِۗ وَنَبۡلُوكُم بِٱلشَّرِّ وَٱلۡخَيۡرِ فِتۡنَةٗۖ وَإِلَيۡنَا تُرۡجَعُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳۵⁩ کھولیں

    her jaan daar ko moat ka maza chakhna hai . aur hum tumhen aazmaney kay liye buri bhali halaton mein mubtala kertay hain , aur tum sabb humaray paas hi loata ker laye jao gay .

  36. وَإِذَا رَءَاكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِن يَتَّخِذُونَكَ إِلَّا هُزُوًا أَهَٰذَا ٱلَّذِي يَذۡكُرُ ءَالِهَتَكُمۡ وَهُم بِذِكۡرِ ٱلرَّحۡمَٰنِ هُمۡ كَٰفِرُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳۶⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney kufr apna rakha hai , woh jab tumhen dekhtay hain to iss kay siwa unn ka koi kaam nahi hota kay woh tumhara mazaq bananey lagtay hain ( aur kehtay hain : ) kiya yehi sahab hain jo tumharay khudaon ka ziker kiya kertay hain-? ( yani yeh kehtay hain kay inn ki koi haqeeqat nahi ) halankay inn ( kafiron ) ki apni halat yeh hai kay woh khudaye rehman hi ka ziker kernay say inkar kiye bethay hain !

  37. خُلِقَ ٱلۡإِنسَٰنُ مِنۡ عَجَلٖۚ سَأُوْرِيكُمۡ ءَايَٰتِي فَلَا تَسۡتَعۡجِلُونِ

    آیت ⁦۲۱:۳۷⁩ کھولیں

    insan jald bazi ki khaslat ley ker peda huwa hai . mein unqareeb tumhen apni nishaniyan dikhla dun ga , lehaza tum mujh say jaldi matt machao .

  38. وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۲۱:۳۸⁩ کھولیں

    aur yeh log ( musalmanon say ) kehtay hain kay : agar tum sachay ho to aakhir yeh ( azab ki ) dhamki kab poori hogi-?

  39. لَوۡ يَعۡلَمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ حِينَ لَا يَكُفُّونَ عَن وُجُوهِهِمُ ٱلنَّارَ وَلَا عَن ظُهُورِهِمۡ وَلَا هُمۡ يُنصَرُونَ

    آیت ⁦۲۱:۳۹⁩ کھولیں

    kaash inn kafiron ko uss waqt ki kuch khabar lagg jati jab yeh naa apney chehron say aag ko door ker-saken gay , aur naa apni pushton say , aur naa inn ko koi madad moyassar aaye gi .

  40. بَلۡ تَأۡتِيهِم بَغۡتَةٗ فَتَبۡهَتُهُمۡ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ رَدَّهَا وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۴۰⁩ کھولیں

    balkay woh ( aag ) unn kay paas aik dum aa-dhamkay gi , aur unn kay hosh o hawaas gumm ker kay rakh dey gi , phir naa yeh ussay peechay hata saken gay , aur naa unhen koi mohlat di jaye gi .

  41. وَلَقَدِ ٱسۡتُهۡزِئَ بِرُسُلٖ مِّن قَبۡلِكَ فَحَاقَ بِٱلَّذِينَ سَخِرُواْ مِنۡهُم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ

    آیت ⁦۲۱:۴۱⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) tum say pehlay bhi payghumberon ka mazaq uraya gaya tha , phir unn ka mazaq bananey walon ko ussi cheez ney aa-ghera jiss ka woh mazaq uraya kertay thay .

  42. قُلۡ مَن يَكۡلَؤُكُم بِٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ مِنَ ٱلرَّحۡمَٰنِۚ بَلۡ هُمۡ عَن ذِكۡرِ رَبِّهِم مُّعۡرِضُونَ

    آیت ⁦۲۱:۴۲⁩ کھولیں

    keh do kay : kon hai jo raat mein aur din mein khudaye rehman ( kay azab say ) say tumhara bachao keray-? magar woh hain kay apney perwerdigar kay ziker say mun morray huye hain .

  43. أَمۡ لَهُمۡ ءَالِهَةٞ تَمۡنَعُهُم مِّن دُونِنَاۚ لَا يَسۡتَطِيعُونَ نَصۡرَ أَنفُسِهِمۡ وَلَا هُم مِّنَّا يُصۡحَبُونَ

    آیت ⁦۲۱:۴۳⁩ کھولیں

    bhala kiya inn kay paas humaray siwa koi aesay khuda hain jo inn ki hifazat kertay hon-? woh to khud apni madad nahi ker-saktay , aur naa humaray muqablay mein koi unn ka sath dey sakta hai .

  44. بَلۡ مَتَّعۡنَا هَٰٓؤُلَآءِ وَءَابَآءَهُمۡ حَتَّىٰ طَالَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡعُمُرُۗ أَفَلَا يَرَوۡنَ أَنَّا نَأۡتِي ٱلۡأَرۡضَ نَنقُصُهَا مِنۡ أَطۡرَافِهَآۚ أَفَهُمُ ٱلۡغَٰلِبُونَ

    آیت ⁦۲۱:۴۴⁩ کھولیں

    balkay moamla yeh hai kay hum ney inn ko aur inn kay AabaoAjdaad ko saman-e-aesh ata kiya , yahan tak kay ( issi halat mein ) unn per aik umar guzar gaee . bhala kiya unhen yeh nazar nahi aata kay hum zameen ko uss kay mukhtalif kinaron say ghatatay chalay aarahey hain . phir kiya woh ghalib aajayen gay-?

  45. قُلۡ إِنَّمَآ أُنذِرُكُم بِٱلۡوَحۡيِۚ وَلَا يَسۡمَعُ ٱلصُّمُّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا مَا يُنذَرُونَ

    آیت ⁦۲۱:۴۵⁩ کھولیں

    keh do kay : mein to tumhen wahi kay zariye darata hun lekin behray log aesay hain kay jab unhen daraya jata hai to woh koi pukar nahi suntay .

  46. وَلَئِن مَّسَّتۡهُمۡ نَفۡحَةٞ مِّنۡ عَذَابِ رَبِّكَ لَيَقُولُنَّ يَٰوَيۡلَنَآ إِنَّا كُنَّا ظَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۴۶⁩ کھولیں

    aur agar tumharay perwerdigar kay azab ka aik jhonka bhi unhen choo jaye to yeh keh uthen gay kay : haaye humari kam bakhti ! waqaee hum log zalim thay .

  47. وَنَضَعُ ٱلۡمَوَٰزِينَ ٱلۡقِسۡطَ لِيَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ فَلَا تُظۡلَمُ نَفۡسٞ شَيۡـٔٗاۖ وَإِن كَانَ مِثۡقَالَ حَبَّةٖ مِّنۡ خَرۡدَلٍ أَتَيۡنَا بِهَاۗ وَكَفَىٰ بِنَا حَٰسِبِينَ

    آیت ⁦۲۱:۴۷⁩ کھولیں

    aur hum qayamat kay din aesi tarazooyen laa rakhen gay jo sarapa insaf hon gi , chunacheh kissi per koi zulm nahi hoga . aur agar koi amal raai kay daney kay barabar bhi hoga , to hum ussay samney ley ayen gay . aur hisab lenay kay liye hum kafi hain .

  48. وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَىٰ وَهَٰرُونَ ٱلۡفُرۡقَانَ وَضِيَآءٗ وَذِكۡرٗا لِّلۡمُتَّقِينَ

    آیت ⁦۲۱:۴۸⁩ کھولیں

    aur hum ney musa aur Haroon ko haq o batil ka aik mayaar ( hidayat ki ) aik roshni aur unn muttaqi logon kay liye naseehat ka saman ata kiya tha .

  49. ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُم بِٱلۡغَيۡبِ وَهُم مِّنَ ٱلسَّاعَةِ مُشۡفِقُونَ

    آیت ⁦۲۱:۴۹⁩ کھولیں

    jo dekhtay baghair apney perwerdigar say daren , aur jinn ko qayamat ki gharri ka khof laga huwa ho .

  50. وَهَٰذَا ذِكۡرٞ مُّبَارَكٌ أَنزَلۡنَٰهُۚ أَفَأَنتُمۡ لَهُۥ مُنكِرُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۵۰⁩ کھولیں

    aur abb yeh ( Quran ) barkaton wala paygham naseehat hai jo hum ney nazil kiya hai . kiya phir bhi tum issay manney say inkar kertay ho-?

  51. ۞وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَآ إِبۡرَٰهِيمَ رُشۡدَهُۥ مِن قَبۡلُ وَكُنَّا بِهِۦ عَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۵۱⁩ کھولیں

    aur iss say pehlay hum ney Ibrahim ko woh samajh boojh ata ki thi jo unn kay laeeq thi , aur hum unhen khoob jantay thay .

  52. إِذۡ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوۡمِهِۦ مَا هَٰذِهِ ٱلتَّمَاثِيلُ ٱلَّتِيٓ أَنتُمۡ لَهَا عَٰكِفُونَ

    آیت ⁦۲۱:۵۲⁩ کھولیں

    woh waqt yaad kero jab unhon ney apney baap aur apni qoam say kaha tha kay : yeh kiya moorten hain jinn kay aagay tum dharna diye bethay ho-?

  53. قَالُواْ وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا لَهَا عَٰبِدِينَ

    آیت ⁦۲۱:۵۳⁩ کھولیں

    woh bolay kay : hum ney apney baap dadon ko inn ki ibadat kertay huye paya hai .

  54. قَالَ لَقَدۡ كُنتُمۡ أَنتُمۡ وَءَابَآؤُكُمۡ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۲۱:۵۴⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : haqeeqat yeh hai kay tum bhi aur tumharay baap daday bhi khuli gumrahi mein mubtala rahey ho .

  55. قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا بِٱلۡحَقِّ أَمۡ أَنتَ مِنَ ٱللَّٰعِبِينَ

    آیت ⁦۲۱:۵۵⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : kiya tum hum say sach mooch ki baat ker rahey ho , ya dil lagi ker rahey ho-?

  56. قَالَ بَل رَّبُّكُمۡ رَبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ ٱلَّذِي فَطَرَهُنَّ وَأَنَا۠ عَلَىٰ ذَٰلِكُم مِّنَ ٱلشَّٰهِدِينَ

    آیت ⁦۲۱:۵۶⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : nahi , balkay tumhara perwerdigar woh hai jo tamam aasmano aur zameen ka malik hai , jiss ney yeh sari cheezen peda ki hain , aur logo ! mein iss baat per gawahi deta hun .

  57. وَتَٱللَّهِ لَأَكِيدَنَّ أَصۡنَٰمَكُم بَعۡدَ أَن تُوَلُّواْ مُدۡبِرِينَ

    آیت ⁦۲۱:۵۷⁩ کھولیں

    aur Allah ki qasam ! jab tum peeth pher ker chalay jao gay to mein tumharay button kay sath aik ( aisa ) kaam kerun ga ( jiss say unn ki haqeeqat khul jaye gi ) .

  58. فَجَعَلَهُمۡ جُذَٰذًا إِلَّا كَبِيرٗا لَّهُمۡ لَعَلَّهُمۡ إِلَيۡهِ يَرۡجِعُونَ

    آیت ⁦۲۱:۵۸⁩ کھولیں

    chunacheh Ibrahim ney unn kay baray butt kay siwa saray button ko tukrray tukrray kerdiya , takay woh log unn ki taraf rujoo keren .

  59. قَالُواْ مَن فَعَلَ هَٰذَا بِـَٔالِهَتِنَآ إِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۵۹⁩ کھولیں

    woh kehney lagay kay : humaray khudaon kay sath yeh harkat kiss ney ki hai-? woh koi bara hi zalim tha .

  60. قَالُواْ سَمِعۡنَا فَتٗى يَذۡكُرُهُمۡ يُقَالُ لَهُۥٓ إِبۡرَٰهِيمُ 

    آیت ⁦۲۱:۶۰⁩ کھولیں

    kuch logon ney kaha : hum ney aik nojawan ko suna hai kay woh inn button kay baaray mein baaten banaya kerta hai , ussay Ibrahim kehtay hain .

  61. قَالُواْ فَأۡتُواْ بِهِۦ عَلَىٰٓ أَعۡيُنِ ٱلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَشۡهَدُونَ

    آیت ⁦۲۱:۶۱⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : to phir uss ko sabb logon kay samney ley ker aao , takay sabb gawah ban jayen .

  62. قَالُوٓاْ ءَأَنتَ فَعَلۡتَ هَٰذَا بِـَٔالِهَتِنَا يَٰٓإِبۡرَٰهِيمُ

    آیت ⁦۲۱:۶۲⁩ کھولیں

    . ( phir jab Ibrahim ko laya gaya to ) woh bolay : Ibrahim ! kiya humaray khudaon kay sath yeh harkat tum hi ney ki hai-?

  63. قَالَ بَلۡ فَعَلَهُۥ كَبِيرُهُمۡ هَٰذَا فَسۡـَٔلُوهُمۡ إِن كَانُواْ يَنطِقُونَ

    آیت ⁦۲۱:۶۳⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : nahi , balkay yeh harkat unn kay iss baray sardar ney ki hai , abb inhi button say pooch lo , agar yeh boltay hon .

  64. فَرَجَعُوٓاْ إِلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ فَقَالُوٓاْ إِنَّكُمۡ أَنتُمُ ٱلظَّٰلِمُونَ

    آیت ⁦۲۱:۶۴⁩ کھولیں

    iss per woh log apney dil mein kuch sochney lagay , aur ( apney aap say ) kehney lagay kay : sachi baat to yehi hai kay tum khud zalim ho .

  65. ثُمَّ نُكِسُواْ عَلَىٰ رُءُوسِهِمۡ لَقَدۡ عَلِمۡتَ مَا هَٰٓؤُلَآءِ يَنطِقُونَ

    آیت ⁦۲۱:۶۵⁩ کھولیں

    phir unhon ney apney sar jhuka liye , aur kaha : tumhen to maloom hi hai kay yeh boltay nahi hain .

  66. قَالَ أَفَتَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُكُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَا يَضُرُّكُمۡ

    آیت ⁦۲۱:۶۶⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : bhala batao kay kiya tum Allah ko chorr ker aesi cheezon ki ibadat ker rahey ho jo tumhen naa kuch faeeda phonchati hain naa nuqsan-?

  67. أُفّٖ لَّكُمۡ وَلِمَا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۲۱:۶۷⁩ کھولیں

    tuff hai tum per bhi , aur unn per bhi jinn ki tum Allah ko chorr ker ibadat kertay ho . bhala kiya tumhen itni samajh nahi-?

  68. قَالُواْ حَرِّقُوهُ وَٱنصُرُوٓاْ ءَالِهَتَكُمۡ إِن كُنتُمۡ فَٰعِلِينَ

    آیت ⁦۲۱:۶۸⁩ کھولیں

    woh ( aik doosray say ) kehney lagay : aag mein jala daalo iss shaks ko , aur apney khudaon ki madad kero , agar tum mein kuch kernay ka dum kham hai .

  69. قُلۡنَا يَٰنَارُ كُونِي بَرۡدٗا وَسَلَٰمًا عَلَىٰٓ إِبۡرَٰهِيمَ

    آیت ⁦۲۱:۶۹⁩ کھولیں

    . ( chunacheh unhon ney Ibrahim ko aag mein daal diya , aur ) hum ney kaha : aey aag ! thandi hoja , aur Ibrahim kay liye salamti ban jaa .

  70. وَأَرَادُواْ بِهِۦ كَيۡدٗا فَجَعَلۡنَٰهُمُ ٱلۡأَخۡسَرِينَ 

    آیت ⁦۲۱:۷۰⁩ کھولیں

    unn logon ney Ibrahim kay liye burai ka mansooba banaya tha , magar nateeja yeh huwa kay hum ney unhi ko buri tarah nakam kerdiya .

  71. وَنَجَّيۡنَٰهُ وَلُوطًا إِلَى ٱلۡأَرۡضِ ٱلَّتِي بَٰرَكۡنَا فِيهَا لِلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۱⁩ کھولیں

    aur hum unhen aur loot ko bacha ker uss sarzameen ki taraf ley gaye jiss mein hum ney duniya jahan kay logon kay liye barkaten rakhi hain .

  72. وَوَهَبۡنَا لَهُۥٓ إِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ نَافِلَةٗۖ وَكُلّٗا جَعَلۡنَا صَٰلِحِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۲⁩ کھولیں

    aur hum ney unn ko inaam kay tor per Ishaq aur Yaqoob ata kiye . aur unn mein say her aik ko hum ney naik banaya .

  73. وَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَئِمَّةٗ يَهۡدُونَ بِأَمۡرِنَا وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡهِمۡ فِعۡلَ ٱلۡخَيۡرَٰتِ وَإِقَامَ ٱلصَّلَوٰةِ وَإِيتَآءَ ٱلزَّكَوٰةِۖ وَكَانُواْ لَنَا عَٰبِدِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۳⁩ کھولیں

    aur unn sabb ko hum ney peshwa banaya jo humaray hukum say logon ki rehnumai kertay thay , aur hum ney wahi kay zariye unhen naikiyan kernay , namaz qaeem kernay aur zakat ada kernay ki takeed ki thi , aur woh humaray ibadat guzaar thay .

  74. وَلُوطًا ءَاتَيۡنَٰهُ حُكۡمٗا وَعِلۡمٗا وَنَجَّيۡنَٰهُ مِنَ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِي كَانَت تَّعۡمَلُ ٱلۡخَبَٰٓئِثَۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمَ سَوۡءٖ فَٰسِقِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۴⁩ کھولیں

    aur loot ko hum ney hikmat aur ilm ata kiya , aur unhen uss basti say nijat di jo ganday kaam kerti thi . haqeeqat mein woh boht burai wali nafarman qoam thi .

  75. وَأَدۡخَلۡنَٰهُ فِي رَحۡمَتِنَآۖ إِنَّهُۥ مِنَ ٱلصَّٰلِحِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۵⁩ کھولیں

    aur loot ko hum ney apni rehmat mein dakhil kerliya , woh yaqeenan naik logon mein say thay .

  76. وَنُوحًا إِذۡ نَادَىٰ مِن قَبۡلُ فَٱسۡتَجَبۡنَا لَهُۥ فَنَجَّيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥ مِنَ ٱلۡكَرۡبِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۲۱:۷۶⁩ کھولیں

    aur nooh ko bhi ( hum ney hikmat aur ilm ata kiya ) , woh waqt yaad kero jab uss waqaey say pehlay unhon ney hamen pukara , to hum ney unn ki dua qubool ki , aur unn ko aur unn kay sathiyon ko bari bhari museebat say bacha liya .

  77. وَنَصَرۡنَٰهُ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمَ سَوۡءٖ فَأَغۡرَقۡنَٰهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۷⁩ کھولیں

    aur jiss qoam ney humari nishaniyon ko jhutlaya tha , uss kay muqablay mein unn ki madad ki . haqeeqat yeh hai kay woh boht buray log thay , iss liye hum ney unn sabb ko gharq kerdiya .

  78. وَدَاوُۥدَ وَسُلَيۡمَٰنَ إِذۡ يَحۡكُمَانِ فِي ٱلۡحَرۡثِ إِذۡ نَفَشَتۡ فِيهِ غَنَمُ ٱلۡقَوۡمِ وَكُنَّا لِحُكۡمِهِمۡ شَٰهِدِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۸⁩ کھولیں

    aur dawood aur suleman ( ko bhi hum ney hikmat aur ilm ata kiya tha ) jab woh dono aik khet kay jhagray ka faisla ker rahey thay , kiyonkay kuch logon ki bakriyan raat kay waqt uss khet mein jaa ghusi then , aur unn logon kay baaray mein jo faisla huwa ussay hum khud dekh rahey thay .

  79. فَفَهَّمۡنَٰهَا سُلَيۡمَٰنَۚ وَكُلًّا ءَاتَيۡنَا حُكۡمٗا وَعِلۡمٗاۚ وَسَخَّرۡنَا مَعَ دَاوُۥدَ ٱلۡجِبَالَ يُسَبِّحۡنَ وَٱلطَّيۡرَۚ وَكُنَّا فَٰعِلِينَ

    آیت ⁦۲۱:۷۹⁩ کھولیں

    chunacheh uss faislay ki samajh hum ney suleman ko dey di , aur ( wesay ) hum ney dono hi ko hikmat aur ilm ata kiya tha . aur hum ney dawood kay sath paharon ko tabey daar bana diya tha kay woh parindon ko sath ley ker tasbeeh keren , aur yeh saray kaam kernay walay hum thay .

  80. وَعَلَّمۡنَٰهُ صَنۡعَةَ لَبُوسٖ لَّكُمۡ لِتُحۡصِنَكُم مِّنۢ بَأۡسِكُمۡۖ فَهَلۡ أَنتُمۡ شَٰكِرُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۸۰⁩ کھولیں

    aur hum ney unhen tumharay faeeday kay liye aik jangi libas ( yani zirah ) bananey ki sanat sikhai takay woh tumhen larraee mein aik doosray ki zadd say bachaye . abb batao kay kiya tum shukar guzaar ho-?

  81. وَلِسُلَيۡمَٰنَ ٱلرِّيحَ عَاصِفَةٗ تَجۡرِي بِأَمۡرِهِۦٓ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ ٱلَّتِي بَٰرَكۡنَا فِيهَاۚ وَكُنَّا بِكُلِّ شَيۡءٍ عَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۱⁩ کھولیں

    aur hum ney tez chalti hoi hawa ko suleman kay tabey kerdiya tha jo unn kay hukum say uss sarzameen ki taraf chalti thi jiss mein hum ney barkaten rakhi hain . aur hamen her her baat ka poora poora ilm hai .

  82. وَمِنَ ٱلشَّيَٰطِينِ مَن يَغُوصُونَ لَهُۥ وَيَعۡمَلُونَ عَمَلٗا دُونَ ذَٰلِكَۖ وَكُنَّا لَهُمۡ حَٰفِظِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۲⁩ کھولیں

    aur kuch aesay shareer jinnaat bhi hum ney unn kay tabey kerdiye thay jo unn ki khatir paani mein ghotay lagatay thay , aur uss kay siwa aur bhi kaam kertay thay . aur unn sabb ki dekh bhaal kernay walay hum thay .

  83. ۞وَأَيُّوبَ إِذۡ نَادَىٰ رَبَّهُۥٓ أَنِّي مَسَّنِيَ ٱلضُّرُّ وَأَنتَ أَرۡحَمُ ٱلرَّٰحِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۳⁩ کھولیں

    aur Ayub ko dekho ! jab unhon ney apney perwerdigar ko pukara kay : mujhay yeh takleef lagg gaee hai , aur tu saray reham kernay walon say barh ker reham kernay wala hai .

  84. فَٱسۡتَجَبۡنَا لَهُۥ فَكَشَفۡنَا مَا بِهِۦ مِن ضُرّٖۖ وَءَاتَيۡنَٰهُ أَهۡلَهُۥ وَمِثۡلَهُم مَّعَهُمۡ رَحۡمَةٗ مِّنۡ عِندِنَا وَذِكۡرَىٰ لِلۡعَٰبِدِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۴⁩ کھولیں

    phir hum ney unn ki dua qubool ki , aur unhen jo takleef laahaq thi , ussay door kerdiya , aur unn ko unn kay ghar walay bhi diye , aur inn/unn kay sath itney hi log aur bhi , takay humari taraf say rehmat ka muzahira ho , aur ibadat kernay walon ko aik yaadgaar sabaq milay .

  85. وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِدۡرِيسَ وَذَا ٱلۡكِفۡلِۖ كُلّٞ مِّنَ ٱلصَّٰبِرِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۵⁩ کھولیں

    aur Ismail aur Idrees aur zulkifil ko dekho ! yeh sabb sabar kernay walon mein say thay .

  86. وَأَدۡخَلۡنَٰهُمۡ فِي رَحۡمَتِنَآۖ إِنَّهُم مِّنَ ٱلصَّٰلِحِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۶⁩ کھولیں

    aur unn ko hum ney apni rehmat mein dakhil kerliya tha . yaqeenan unn ka shumar naik logon mein hai .

  87. وَذَا ٱلنُّونِ إِذ ذَّهَبَ مُغَٰضِبٗا فَظَنَّ أَن لَّن نَّقۡدِرَ عَلَيۡهِ فَنَادَىٰ فِي ٱلظُّلُمَٰتِ أَن لَّآ إِلَٰهَ إِلَّآ أَنتَ سُبۡحَٰنَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ ٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۷⁩ کھولیں

    aur machli walay ( payghumber yani Younus aleh-assalam ) ko dekho ! jab woh khafa ho ker chal kharray huye thay , aur yeh samjhay thay kay hum unn ki koi pakar nahi keren gay . phir unhon ney andheriyon mein say aawaz lagai kay : ( ya Allah ! ) teray siwa koi mabood nahi , to her aeb say pak hai . beyshak mein qusoor waar hun .

  88. فَٱسۡتَجَبۡنَا لَهُۥ وَنَجَّيۡنَٰهُ مِنَ ٱلۡغَمِّۚ وَكَذَٰلِكَ نُـۨجِي ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۸⁩ کھولیں

    iss per hum ney unn ki dua qubool ki , aur unhen ghuttan say nijat ata ki . aur issi tarah hum emaan rakhney walon ko nijat detay hain .

  89. وَزَكَرِيَّآ إِذۡ نَادَىٰ رَبَّهُۥ رَبِّ لَا تَذَرۡنِي فَرۡدٗا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡوَٰرِثِينَ

    آیت ⁦۲۱:۸۹⁩ کھولیں

    aur zakriya ko dekho ! jab unhon ney apney perwerdigar ko pukara tha kay : ya rab ! mujhay akela naa choriye , aur aap sabb say behtar waris hain .

  90. فَٱسۡتَجَبۡنَا لَهُۥ وَوَهَبۡنَا لَهُۥ يَحۡيَىٰ وَأَصۡلَحۡنَا لَهُۥ زَوۡجَهُۥٓۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِ وَيَدۡعُونَنَا رَغَبٗا وَرَهَبٗاۖ وَكَانُواْ لَنَا خَٰشِعِينَ 

    آیت ⁦۲۱:۹۰⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney unn ki dua qubool ki , aur unn ko Yahya ( jaisa beta ) ata kiya , aur unn ki khatir unn ki biwi ko acha kerdiya . yaqeenan yeh log bhalai kay kamon mein tezi dikhatay thay , aur hamen shoq aur roab kay aalam mein pukara kertay thay , aur unn kay dil humaray aagay jhukay huye thay .

  91. وَٱلَّتِيٓ أَحۡصَنَتۡ فَرۡجَهَا فَنَفَخۡنَا فِيهَا مِن رُّوحِنَا وَجَعَلۡنَٰهَا وَٱبۡنَهَآ ءَايَةٗ لِّلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۹۱⁩ کھولیں

    aur uss khatoon ko dekho jiss ney apni asmat ki hifazat ki thi , phir hum ney uss kay andar apni rooh phoonki , aur unhen aur unn kay betay ko duniya jahan kay logon kay liye aik nishani bana diya .

  92. إِنَّ هَٰذِهِۦٓ أُمَّتُكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَأَنَا۠ رَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُونِ

    آیت ⁦۲۱:۹۲⁩ کھولیں

    . ( logo ! ) yaqeen rakho kay yeh ( deen jiss ki yeh tamam anbiya dawat detay rahey hain ) tumhara deen hai jo aik hi deen hai , aur mein tumhara perwerdigar hun , lehaza tum meri ibadat kero .

  93. وَتَقَطَّعُوٓاْ أَمۡرَهُم بَيۡنَهُمۡۖ كُلٌّ إِلَيۡنَا رَٰجِعُونَ

    آیت ⁦۲۱:۹۳⁩ کھولیں

    aur logon ney apney deen ko aapas mein tukrray tukrray ker kay baant liya , ( magar ) sabb humaray paas loat ker aaney walay hain .

  94. فَمَن يَعۡمَلۡ مِنَ ٱلصَّٰلِحَٰتِ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَلَا كُفۡرَانَ لِسَعۡيِهِۦ وَإِنَّا لَهُۥ كَٰتِبُونَ

    آیت ⁦۲۱:۹۴⁩ کھولیں

    phir jo momin ban ker naik amal keray ga to uss ki koshish ki na-qadri nahi hogi , aur hum uss koshish ko likhtay jatay hain .

  95. وَحَرَٰمٌ عَلَىٰ قَرۡيَةٍ أَهۡلَكۡنَٰهَآ أَنَّهُمۡ لَا يَرۡجِعُونَ

    آیت ⁦۲۱:۹۵⁩ کھولیں

    aur jiss kissi basti ( kay logon ) ko hum ney halak kiya hai , uss kay liye na-mumkin hai kay woh palat ker ( duniya mein ) aajayen ,

  96. حَتَّىٰٓ إِذَا فُتِحَتۡ يَأۡجُوجُ وَمَأۡجُوجُ وَهُم مِّن كُلِّ حَدَبٖ يَنسِلُونَ

    آیت ⁦۲۱:۹۶⁩ کھولیں

    yahan tak kay jab yajooj aur majooj ko khol diya jaye ga , aur woh her bulandi say phisaltay nazar ayen gay ,

  97. وَٱقۡتَرَبَ ٱلۡوَعۡدُ ٱلۡحَقُّ فَإِذَا هِيَ شَٰخِصَةٌ أَبۡصَٰرُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَٰوَيۡلَنَا قَدۡ كُنَّا فِي غَفۡلَةٖ مِّنۡ هَٰذَا بَلۡ كُنَّا ظَٰلِمِينَ

    آیت ⁦۲۱:۹۷⁩ کھولیں

    aur sacha wada poora honey ka waqt qareeb aajaye ga to achanak halat yeh hogi kay jinn logon ney kufr apna liya tha unn ki aankhen phatti ki phatti reh jayen gi , ( aur woh kahen gay kay : ) haaye humari kam bakhti ! hum iss cheez say bilkul hi ghaflat mein thay , balkay hum ney baray sitam dahaye thay .

  98. إِنَّكُمۡ وَمَا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ حَصَبُ جَهَنَّمَ أَنتُمۡ لَهَا وَٰرِدُونَ

    آیت ⁦۲۱:۹۸⁩ کھولیں

    . ( aey shirk kernay walo ! ) yaqeen rakho kay tum aur jinn ki tum Allah ko chorr ker ibadat kertay ho , woh sabb jahannum ka endhan hain . tumhen ussi jahannum mein jaa utarna hai .

  99. لَوۡ كَانَ هَٰٓؤُلَآءِ ءَالِهَةٗ مَّا وَرَدُوهَاۖ وَكُلّٞ فِيهَا خَٰلِدُونَ

    آیت ⁦۲۱:۹۹⁩ کھولیں

    agar yeh waqaee khuda hotay to uss ( jahannum ) mein naa jatay . aur sabb kay sabb uss mein hamesha rahen gay .

  100. لَهُمۡ فِيهَا زَفِيرٞ وَهُمۡ فِيهَا لَا يَسۡمَعُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۰⁩ کھولیں

    wahan unn ki cheekhen niklen gi , aur wahan woh kuch sunn nahi saken gay .

  101. إِنَّ ٱلَّذِينَ سَبَقَتۡ لَهُم مِّنَّا ٱلۡحُسۡنَىٰٓ أُوْلَٰٓئِكَ عَنۡهَا مُبۡعَدُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۱⁩ کھولیں

    . ( albatta ) jinn logon kay liye humari taraf say bhalai pehlay say likhi ja-chuki hai , ( yani naik momin ) unn ko uss jahannum say door rakha jaye ga .

  102. لَا يَسۡمَعُونَ حَسِيسَهَاۖ وَهُمۡ فِي مَا ٱشۡتَهَتۡ أَنفُسُهُمۡ خَٰلِدُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۲⁩ کھولیں

    woh uss ki sarsarahat bhi nahi sunen gay , aur woh hamesha hamesha apni mann pasand cheezon kay darmiyan rahen gay .

  103. لَا يَحۡزُنُهُمُ ٱلۡفَزَعُ ٱلۡأَكۡبَرُ وَتَتَلَقَّىٰهُمُ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ هَٰذَا يَوۡمُكُمُ ٱلَّذِي كُنتُمۡ تُوعَدُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۳⁩ کھولیں

    unn ko woh ( qayamat ki ) sabb say bari pareshani ghumgeen nahi keray gi , aur farishtay unn ka ( yeh keh ker ) istaqbal keren gay ( kay : ) yeh tumhara woh din hai jiss ka tum say wada kiya jata tha .

  104. يَوۡمَ نَطۡوِي ٱلسَّمَآءَ كَطَيِّ ٱلسِّجِلِّ لِلۡكُتُبِۚ كَمَا بَدَأۡنَآ أَوَّلَ خَلۡقٖ نُّعِيدُهُۥۚ وَعۡدًا عَلَيۡنَآۚ إِنَّا كُنَّا فَٰعِلِينَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۴⁩ کھولیں

    uss din ( ka dhiyan rakho ) jab hum aasman ko iss tarah lapet den gay jaisay kaghazon kay toomaar mein tehreeren lapet di jati hain . jiss tarah hum ney pehli baar takhleeq ki ibtida ki thi , issi tarah hum ussay dobara peda kerden gay . yeh aik wada hai jissay poora kernay ka hum ney zimma liya hai . hamen yaqeenan yeh kaam kerna hai .

  105. وَلَقَدۡ كَتَبۡنَا فِي ٱلزَّبُورِ مِنۢ بَعۡدِ ٱلذِّكۡرِ أَنَّ ٱلۡأَرۡضَ يَرِثُهَا عِبَادِيَ ٱلصَّٰلِحُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۵⁩ کھولیں

    aur hum ney zaboor mein naseehat kay baad yeh likh diya tha kay zameen kay waris meray naik banday hon gay .

  106. إِنَّ فِي هَٰذَا لَبَلَٰغٗا لِّقَوۡمٍ عَٰبِدِينَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۶⁩ کھولیں

    beyshak iss ( Quran ) mein ibadat guzaar logon kay liye kafi paygham hai .

  107. وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ إِلَّا رَحۡمَةٗ لِّلۡعَٰلَمِينَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۷⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) hum ney tumhen saray jahano kay liye rehmat hi rehmat bana ker bheja hai .

  108. قُلۡ إِنَّمَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّ أَنَّمَآ إِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۖ فَهَلۡ أَنتُم مُّسۡلِمُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۸⁩ کھولیں

    keh do kay : mujh per to yehi wahi aati hai kay tumhara khuda bus aik hi khuda hai . to kiya tum itaat qubool kertay ho-?

  109. فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَقُلۡ ءَاذَنتُكُمۡ عَلَىٰ سَوَآءٖۖ وَإِنۡ أَدۡرِيٓ أَقَرِيبٌ أَم بَعِيدٞ مَّا تُوعَدُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۰۹⁩ کھولیں

    phir bhi agar yeh log mun morren to keh do kay : mein ney tumhen al-al-aelaan khabrdar kerdiya hai . aur mujhay yeh maloom nahi hai kay jiss ( saza ) ka tum say wada kiya jaraha hai , woh qareeb hai ya door .

  110. إِنَّهُۥ يَعۡلَمُ ٱلۡجَهۡرَ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ وَيَعۡلَمُ مَا تَكۡتُمُونَ 

    آیت ⁦۲۱:۱۱۰⁩ کھولیں

    beyshak Allah woh baaten bhi janta hai jo buland aawaz say kahi jati hain , aur woh baaten bhi janta hai jo tum chupatay ho .

  111. وَإِنۡ أَدۡرِي لَعَلَّهُۥ فِتۡنَةٞ لَّكُمۡ وَمَتَٰعٌ إِلَىٰ حِينٖ

    آیت ⁦۲۱:۱۱۱⁩ کھولیں

    aur mein nahi janta shayad ( saza mein ) yeh ( takheer ) tumharay liye aik aazmaesh hai , aur kissi khaas waqt tak kay liye mazay kernay ka moaqa dena hai .

  112. قَٰلَ رَبِّ ٱحۡكُم بِٱلۡحَقِّۗ وَرَبُّنَا ٱلرَّحۡمَٰنُ ٱلۡمُسۡتَعَانُ عَلَىٰ مَا تَصِفُونَ

    آیت ⁦۲۱:۱۱۲⁩ کھولیں

    . ( aakhir-kaar ) payghumber ney kaha kay : aey meray perwerdigar ! haq ka faisla ker-dijiye , aur humara perwerdigar barri rehmat wala hai , aur jo baaten tum banatay ho , unn kay muqablay mein ussi ki madad darkar hai .