طه

Taa-Haa

سورت ۲۰ · آیات: ۱۳۵ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. tua-haa .

  2. مَآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡقُرۡءَانَ لِتَشۡقَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۲⁩ کھولیں

    hum ney tum per Quran iss liye nazil nahi kiya kay tum takleef uthao .

  3. إِلَّا تَذۡكِرَةٗ لِّمَن يَخۡشَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۳⁩ کھولیں

    albatta yeh uss shaks kay liye aik naseehat hai jo darta ho .

  4. تَنزِيلٗا مِّمَّنۡ خَلَقَ ٱلۡأَرۡضَ وَٱلسَّمَٰوَٰتِ ٱلۡعُلَى

    آیت ⁦۲۰:۴⁩ کھولیں

    issay uss zaat ki taraf say thora thora ker kay nazil kiya jaraha hai jiss ney zameen aur oonchay oonchay aasman peda kiye hain .

  5. ٱلرَّحۡمَٰنُ عَلَى ٱلۡعَرۡشِ ٱسۡتَوَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۵⁩ کھولیں

    woh bari rehmat wala arsh per istawa farmaye huye hai .

  6. لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا وَمَا تَحۡتَ ٱلثَّرَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen mein jo kuch hai , aur unn kay darmiyan jo kuch hai , woh sabb bhi ussi ki milkiyat hai , aur zameen ki tehon kay neechay jo kuch hai woh bhi .

  7. وَإِن تَجۡهَرۡ بِٱلۡقَوۡلِ فَإِنَّهُۥ يَعۡلَمُ ٱلسِّرَّ وَأَخۡفَى

    آیت ⁦۲۰:۷⁩ کھولیں

    agar tum koi baat buland aawaz say kaho ( ya aahista ) , to woh chupkay say kahi hoi baaton ko , balkay aur ziyada chupi hoi baaton ko bhi janta hai .

  8. ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ لَهُ ٱلۡأَسۡمَآءُ ٱلۡحُسۡنَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۸⁩ کھولیں

    Allah woh hai jiss kay siwa koi mabood nahi hai . ussi kay achay achay naam hain .

  9. وَهَلۡ أَتَىٰكَ حَدِيثُ مُوسَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۹⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) kiya tum tak musa ka waqiaa phoncha hai-?

  10. إِذۡ رَءَا نَارٗا فَقَالَ لِأَهۡلِهِ ٱمۡكُثُوٓاْ إِنِّيٓ ءَانَسۡتُ نَارٗا لَّعَلِّيٓ ءَاتِيكُم مِّنۡهَا بِقَبَسٍ أَوۡ أَجِدُ عَلَى ٱلنَّارِ هُدٗى 

    آیت ⁦۲۰:۱۰⁩ کھولیں

    yeh uss waqt ki baat hai jab unn ko aik aag nazar aai to unhon ney apney ghar walon say kaha : tum yahin thehrao , mein ney aik aag dekhi hai . shayad mein uss mein say koi shola tumharay paas ley aaon , ya uss aag kay paas mujhay raastay ka pata mil jaye .

  11. فَلَمَّآ أَتَىٰهَا نُودِيَ يَٰمُوسَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۱۱⁩ کھولیں

    chunacheh jab woh aag kay paas phonchay to unhen aawaz di gaee kay : aey musa !

  12. إِنِّيٓ أَنَا۠ رَبُّكَ فَٱخۡلَعۡ نَعۡلَيۡكَ إِنَّكَ بِٱلۡوَادِ ٱلۡمُقَدَّسِ طُوٗى

    آیت ⁦۲۰:۱۲⁩ کھولیں

    yaqeen say jaan lo kay mein hi tumhara rab hun . abb tum apney jootay utaar do . tum iss waqt toowa ki muqaddas wadi mein ho .

  13. وَأَنَا ٱخۡتَرۡتُكَ فَٱسۡتَمِعۡ لِمَا يُوحَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۱۳⁩ کھولیں

    aur mein ney tumhen ( nabwooat kay liye ) muntakhib kiya hai . lehaza jo baat wahi kay zariye kahi jarahi hai , ussay ghor say suno .

  14. إِنَّنِيٓ أَنَا ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّآ أَنَا۠ فَٱعۡبُدۡنِي وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ لِذِكۡرِيٓ

    آیت ⁦۲۰:۱۴⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay mein hi Allah hun . meray siwa koi mabood nahi hai , iss liye meri ibadat kero , aur mujhay yaad rakhney kay liye namaz qaeem kero .

  15. إِنَّ ٱلسَّاعَةَ ءَاتِيَةٌ أَكَادُ أُخۡفِيهَا لِتُجۡزَىٰ كُلُّ نَفۡسِۭ بِمَا تَسۡعَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۵⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay qayamat ki gharri aaney wali hai . mein uss ( kay waqt ) ko khufiya rakhna chahta hun , takay her shaks ko uss kay kiye ka badla milay .

  16. فَلَا يَصُدَّنَّكَ عَنۡهَا مَن لَّا يُؤۡمِنُ بِهَا وَٱتَّبَعَ هَوَىٰهُ فَتَرۡدَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۶⁩ کھولیں

    lehaza koi essa shaks tumhen iss say hergiz ghafil naa kernay paye jo iss per emaan naa rakhta ho . aur apni khuwaishaat kay peechay chalta ho , werna tum halakat mein parr-jao gay .

  17. وَمَا تِلۡكَ بِيَمِينِكَ يَٰمُوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۷⁩ کھولیں

    aur musa ! yeh tumharay dayen haath mein kiya hai-?

  18. قَالَ هِيَ عَصَايَ أَتَوَكَّؤُاْ عَلَيۡهَا وَأَهُشُّ بِهَا عَلَىٰ غَنَمِي وَلِيَ فِيهَا مَـَٔارِبُ أُخۡرَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۸⁩ کھولیں

    musa ney kaha : yeh meri laathi hai . mein iss ka sahara leta hun , aur iss say apni bakriyon per ( darkht say ) pattay jharrta hun , aur iss say meri doosri zarooriyaat bhi poori hoti hain .

  19. قَالَ أَلۡقِهَا يَٰمُوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۹⁩ کھولیں

    farmaya : musa ! issay neechay phenk do

  20. فَأَلۡقَىٰهَا فَإِذَا هِيَ حَيَّةٞ تَسۡعَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۲۰⁩ کھولیں

    chunacheh unhon ney ussay phenk diya . bus phir kiya tha ! woh achanak aik dorrta huwa saanp ban gaee .

  21. قَالَ خُذۡهَا وَلَا تَخَفۡۖ سَنُعِيدُهَا سِيرَتَهَا ٱلۡأُولَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۲۱⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : issay pakar lo , aur daro nahi . hum abhi issay iss ki pichli halat per loata den gay .

  22. وَٱضۡمُمۡ يَدَكَ إِلَىٰ جَنَاحِكَ تَخۡرُجۡ بَيۡضَآءَ مِنۡ غَيۡرِ سُوٓءٍ ءَايَةً أُخۡرَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۲۲⁩ کھولیں

    aur apney haath ko apni baghal mein dabao , woh kissi beemari kay baghair safaid ho ker niklay ga . yeh ( tumhari nabwooat ki ) aik aur nishani hogi .

  23. لِنُرِيَكَ مِنۡ ءَايَٰتِنَا ٱلۡكُبۡرَى

    آیت ⁦۲۰:۲۳⁩ کھولیں

    . ( yeh hum iss liye ker rahey hain ) takay apni bari nishaniyon mein say kuch tumhen dikhayen .

  24. ٱذۡهَبۡ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ إِنَّهُۥ طَغَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۲۴⁩ کھولیں

    . ( abb ) firon kay paas jao . woh sarkashi mein hadd say nikal gaya hai .

  25. قَالَ رَبِّ ٱشۡرَحۡ لِي صَدۡرِي

    آیت ⁦۲۰:۲۵⁩ کھولیں

    musa ney kaha : perwerdigar ! meri khatir mera seena khol dijiye ,

  26. وَيَسِّرۡ لِيٓ أَمۡرِي

    آیت ⁦۲۰:۲۶⁩ کھولیں

    aur meray liye mera kaam aasaan bana dijiye ,

  27. وَٱحۡلُلۡ عُقۡدَةٗ مِّن لِّسَانِي

    آیت ⁦۲۰:۲۷⁩ کھولیں

    aur meri zaban mein jo girah hai , ussay door ker-dijiye ,

  28. يَفۡقَهُواْ قَوۡلِي

    آیت ⁦۲۰:۲۸⁩ کھولیں

    takay log meri baat samajh saken .

  29. وَٱجۡعَل لِّي وَزِيرٗا مِّنۡ أَهۡلِي

    آیت ⁦۲۰:۲۹⁩ کھولیں

    aur meray liye meray khandan hi kay aik fard ko madadgaar muqarrar ker-dijiye ,

  30. هَٰرُونَ أَخِي 

    آیت ⁦۲۰:۳۰⁩ کھولیں

    yani Haroon ko jo meray bhai hain !

  31. ٱشۡدُدۡ بِهِۦٓ أَزۡرِي

    آیت ⁦۲۰:۳۱⁩ کھولیں

    unn kay zariye meri taqat mazboot ker-dijiye ,

  32. وَأَشۡرِكۡهُ فِيٓ أَمۡرِي

    آیت ⁦۲۰:۳۲⁩ کھولیں

    aur unn ko mera shareek-e-kaar bana dijiye ,

  33. كَيۡ نُسَبِّحَكَ كَثِيرٗا

    آیت ⁦۲۰:۳۳⁩ کھولیں

    takay hum kasrat say aap ki tasbeeh keren ,

  34. وَنَذۡكُرَكَ كَثِيرًا

    آیت ⁦۲۰:۳۴⁩ کھولیں

    aur kasrat say aap ka ziker keren .

  35. إِنَّكَ كُنتَ بِنَا بَصِيرٗا

    آیت ⁦۲۰:۳۵⁩ کھولیں

    beyshak aap hamen achi tarah dekhney walay hain .

  36. قَالَ قَدۡ أُوتِيتَ سُؤۡلَكَ يَٰمُوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۳۶⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : musa ! tum ney jo kuch maanga hai , tumhen dey diya gaya ,

  37. وَلَقَدۡ مَنَنَّا عَلَيۡكَ مَرَّةً أُخۡرَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۳۷⁩ کھولیں

    aur hum ney tum per aik aur martaba bhi ehsan kiya tha ,

  38. إِذۡ أَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰٓ أُمِّكَ مَا يُوحَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۳۸⁩ کھولیں

    jab hum ney tumhari maa say wahi kay zariye woh baat kahi thi jo abb wahi kay zariye ( tumhen ) batai jarahi hai .

  39. أَنِ ٱقۡذِفِيهِ فِي ٱلتَّابُوتِ فَٱقۡذِفِيهِ فِي ٱلۡيَمِّ فَلۡيُلۡقِهِ ٱلۡيَمُّ بِٱلسَّاحِلِ يَأۡخُذۡهُ عَدُوّٞ لِّي وَعَدُوّٞ لَّهُۥۚ وَأَلۡقَيۡتُ عَلَيۡكَ مَحَبَّةٗ مِّنِّي وَلِتُصۡنَعَ عَلَىٰ عَيۡنِيٓ

    آیت ⁦۲۰:۳۹⁩ کھولیں

    kay iss ( bacchay ) ko sandooq mein rakho , phir iss sandooq ko darya mein daal do . phir darya ko chorr do kay woh ussay sahil kay paas laaker daal dey , jiss kay nateejay mein aik aisa shaks uss ( bacchay ) ko utha ley ga jo mera bhi dushman hoga , aur iss ka bhi dushman . aur mein ney apni taraf say tum per aik mehboobiyat nazil kerdi thi , aur yeh sabb iss liye kiya tha takay tum meri nigrani mein perwerish pao .

  40. إِذۡ تَمۡشِيٓ أُخۡتُكَ فَتَقُولُ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ مَن يَكۡفُلُهُۥۖ فَرَجَعۡنَٰكَ إِلَىٰٓ أُمِّكَ كَيۡ تَقَرَّ عَيۡنُهَا وَلَا تَحۡزَنَۚ وَقَتَلۡتَ نَفۡسٗا فَنَجَّيۡنَٰكَ مِنَ ٱلۡغَمِّ وَفَتَنَّٰكَ فُتُونٗاۚ فَلَبِثۡتَ سِنِينَ فِيٓ أَهۡلِ مَدۡيَنَ ثُمَّ جِئۡتَ عَلَىٰ قَدَرٖ يَٰمُوسَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۴۰⁩ کھولیں

    uss waqt ka tasawwur kero jab tumhari behan ghar say chalti hai , aur ( firon kay kaarindon say ) yeh kehti hai kay : kiya mein tumhen uss ( aurat ) ka pata bataon jo iss ( bacchay ) ko paalay-? iss tarah hum ney tumhen tumhari maa kay paas loata diya , takay uss ki aankh thandi rahey , aur woh ghumgeen naa ho . aur tum ney aik shaks ko maar daala tha , phir hum ney tumhen uss ghuttan say nijat di , aur tumhen kaee aazmaeshon say guzaara . phir tum kaee saal madiyan walon mein rahey , uss kay baad aey musa ! tum aik aesay waqt per yahan aaye ho jo pehlay say muqaddar tha ,

  41. وَٱصۡطَنَعۡتُكَ لِنَفۡسِي

    آیت ⁦۲۰:۴۱⁩ کھولیں

    aur mein ney tumhen khaas apney liye banaya hai .

  42. ٱذۡهَبۡ أَنتَ وَأَخُوكَ بِـَٔايَٰتِي وَلَا تَنِيَا فِي ذِكۡرِي

    آیت ⁦۲۰:۴۲⁩ کھولیں

    tum aur tumhara bhai dono meri nishaniyan ley ker jao , aur mera ziker kernay mein susti naa kerna .

  43. ٱذۡهَبَآ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ إِنَّهُۥ طَغَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۴۳⁩ کھولیں

    dono firon kay paas jao . woh hadd say aagay nikal chuka hai .

  44. فَقُولَا لَهُۥ قَوۡلٗا لَّيِّنٗا لَّعَلَّهُۥ يَتَذَكَّرُ أَوۡ يَخۡشَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۴۴⁩ کھولیں

    jaker dono uss say narmi say baat kerna , shayad woh naseehat qubool keray , ya ( Allah say ) darr jaye .

  45. قَالَا رَبَّنَآ إِنَّنَا نَخَافُ أَن يَفۡرُطَ عَلَيۡنَآ أَوۡ أَن يَطۡغَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۴۵⁩ کھولیں

    dono ney kaha : humaray perwerdigar ! hamen andesha hai kay kahen woh hum per ziyadti naa keray , ya kahen sarkashi per aamada naa hojaye .

  46. قَالَ لَا تَخَافَآۖ إِنَّنِي مَعَكُمَآ أَسۡمَعُ وَأَرَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۴۶⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : daro nahi , mein tumharay sath hun , sunn bhi raha hun , aur dekh bhi raha hun .

  47. فَأۡتِيَاهُ فَقُولَآ إِنَّا رَسُولَا رَبِّكَ فَأَرۡسِلۡ مَعَنَا بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ وَلَا تُعَذِّبۡهُمۡۖ قَدۡ جِئۡنَٰكَ بِـَٔايَةٖ مِّن رَّبِّكَۖ وَٱلسَّلَٰمُ عَلَىٰ مَنِ ٱتَّبَعَ ٱلۡهُدَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۴۷⁩ کھولیں

    abb uss kay paas jao , aur kaho kay hum dono tumharay rab kay payghumber hain , iss liye bani Israel ko humaray sath bhej do , aur unhen takleefen naa phonchao , hum tumharay paas tumharay rab ki taraf say nishani ley ker aaye hain , aur salamti ussi kay liye hai jo hidayat ki perwi keray .

  48. إِنَّا قَدۡ أُوحِيَ إِلَيۡنَآ أَنَّ ٱلۡعَذَابَ عَلَىٰ مَن كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰ

    آیت ⁦۲۰:۴۸⁩ کھولیں

    hum per yeh wahi nazil ki gaee hai kay azab uss ko hoga jo ( haq ko ) jhutlaye , aur mun morray .

  49. قَالَ فَمَن رَّبُّكُمَا يَٰمُوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۴۹⁩ کھولیں

    . ( yeh sari baaten sunn ker ) firon ney kaha : musa ! tum dono ka rab kon ?

  50. قَالَ رَبُّنَا ٱلَّذِيٓ أَعۡطَىٰ كُلَّ شَيۡءٍ خَلۡقَهُۥ ثُمَّ هَدَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۵۰⁩ کھولیں

    musa ney kaha : humara rab woh hai jiss ney her cheez ko woh banawat ata ki jo uss kay munasib thi , phir ( uss ki ) rehnumai bhi farmaee .

  51. قَالَ فَمَا بَالُ ٱلۡقُرُونِ ٱلۡأُولَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۵۱⁩ کھولیں

    firon bola : acha phir unn qoamon ka kiya moamla huwa jo pehlay guzar chuki hain-?

  52. قَالَ عِلۡمُهَا عِندَ رَبِّي فِي كِتَٰبٖۖ لَّا يَضِلُّ رَبِّي وَلَا يَنسَى

    آیت ⁦۲۰:۵۲⁩ کھولیں

    musa ney kaha : unn ka ilm meray rab kay paas aik kitab mein mehfooz hai . meray rab ko naa koi ghalati lagti hai , naa woh bhoolta hai .

  53. ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ مَهۡدٗا وَسَلَكَ لَكُمۡ فِيهَا سُبُلٗا وَأَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦٓ أَزۡوَٰجٗا مِّن نَّبَاتٖ شَتَّىٰ

    آیت ⁦۲۰:۵۳⁩ کھولیں

    yeh woh zaat hai jiss ney zameen ko tumharay liye farsh bana diya , aur uss mein tumharay liye raastay banaye , aur aasman say paani barsaya , phir hum ney uss kay zariye tarah tarah ki mukhtalif nabataat nikalen .

  54. كُلُواْ وَٱرۡعَوۡاْ أَنۡعَٰمَكُمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّأُوْلِي ٱلنُّهَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۵۴⁩ کھولیں

    khud bhi khao , aur apney maweshiyon ko bhi charao . yaqeenan inn/unn sabb baaton mein aqal walon kay liye bari nishaniyan hain .

  55. ۞مِنۡهَا خَلَقۡنَٰكُمۡ وَفِيهَا نُعِيدُكُمۡ وَمِنۡهَا نُخۡرِجُكُمۡ تَارَةً أُخۡرَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۵۵⁩ کھولیں

    issi zameen say hum ney tumhen peda kiya tha , issi mein hum tumhen wapis ley jayen gay , aur issi say aik martaba phir tumhen nikal layen gay .

  56. وَلَقَدۡ أَرَيۡنَٰهُ ءَايَٰتِنَا كُلَّهَا فَكَذَّبَ وَأَبَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۵۶⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay hum ney uss ( firon ) ko apni sari nishaniyan dikhayen , magar woh jhutlata hi raha , aur maan ker nahi diya .

  57. قَالَ أَجِئۡتَنَا لِتُخۡرِجَنَا مِنۡ أَرۡضِنَا بِسِحۡرِكَ يَٰمُوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۵۷⁩ کھولیں

    kehney laga : musa ! kiya tum iss liye aaye ho kay apney jadoo kay zariye hamen apni zameen say nikal bahir kero-?

  58. فَلَنَأۡتِيَنَّكَ بِسِحۡرٖ مِّثۡلِهِۦ فَٱجۡعَلۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكَ مَوۡعِدٗا لَّا نُخۡلِفُهُۥ نَحۡنُ وَلَآ أَنتَ مَكَانٗا سُوٗى

    آیت ⁦۲۰:۵۸⁩ کھولیں

    acha to hum bhi tumharay samney aisa hi jadoo laa ker rahen gay . abb tum kissi khulay meydan mein humaray aur apney darmiyan muqablay ka aisa waqt tey kerlo jiss ki khilaf warzi naa hum keren , naa tum kero .

  59. قَالَ مَوۡعِدُكُمۡ يَوۡمُ ٱلزِّينَةِ وَأَن يُحۡشَرَ ٱلنَّاسُ ضُحٗى

    آیت ⁦۲۰:۵۹⁩ کھولیں

    musa ney kaha : tum say woh din tey hai jiss mein jashan manaya jata hai . aur yeh bhi tey hai kay din charrhay hi logon ko jama kerliya jaye .

  60. فَتَوَلَّىٰ فِرۡعَوۡنُ فَجَمَعَ كَيۡدَهُۥ ثُمَّ أَتَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۶۰⁩ کھولیں

    chunacheh firon ( apni jagah ) wapis chala gaya , aur uss ney apni sari tadbeeren ikhatti ken , phir ( muqablay kay liye ) aagaya .

  61. قَالَ لَهُم مُّوسَىٰ وَيۡلَكُمۡ لَا تَفۡتَرُواْ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا فَيُسۡحِتَكُم بِعَذَابٖۖ وَقَدۡ خَابَ مَنِ ٱفۡتَرَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۱⁩ کھولیں

    musa ney unn ( jadoogaron say ) kaha : afsos hai tum per ! Allah per bohtan naa baandho , werna woh aik sakht azab say tumhen malya mait kerday ga , aur jo koi bohtan baandhta hai , na-murad hota hai .

  62. فَتَنَٰزَعُوٓاْ أَمۡرَهُم بَيۡنَهُمۡ وَأَسَرُّواْ ٱلنَّجۡوَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۲⁩ کھولیں

    iss per unn kay darmiyan apni raye qaeem kernay mein ikhtilaf hogaya , aur woh chupkay chupkay sargoshiyan kernay lagay .

  63. قَالُوٓاْ إِنۡ هَٰذَٰنِ لَسَٰحِرَٰنِ يُرِيدَانِ أَن يُخۡرِجَاكُم مِّنۡ أَرۡضِكُم بِسِحۡرِهِمَا وَيَذۡهَبَا بِطَرِيقَتِكُمُ ٱلۡمُثۡلَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۳⁩ کھولیں

    . ( aakhir kaar ) unhon ney kaha kay : yaqeeni tor per yeh dono ( yani musa aur Haroon ) jadoogar hain jo yeh chahtay hain kay apney jadoo kay zor per tum logon ko tumhari sarzameen say nikal bahir keren , aur tumharay behtareen ( deeni ) tareeqay ka khatima hi ker daalen .

  64. فَأَجۡمِعُواْ كَيۡدَكُمۡ ثُمَّ ٱئۡتُواْ صَفّٗاۚ وَقَدۡ أَفۡلَحَ ٱلۡيَوۡمَ مَنِ ٱسۡتَعۡلَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۴⁩ کھولیں

    lehaza apni sari tadbeeren pukhta kerlo , phir saff baandh ker aao , aur yaqeen rakho kay aaj jo ghalib aajaye ga , falah ussi ko hasil hogi .

  65. قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِمَّآ أَن تُلۡقِيَ وَإِمَّآ أَن نَّكُونَ أَوَّلَ مَنۡ أَلۡقَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۵⁩ کھولیں

    jadoogar bolay : musa ! ya to tum ( apni laathi pehlay ) daal do , ya phir hum daalney mein pehal keren ?

  66. قَالَ بَلۡ أَلۡقُواْۖ فَإِذَا حِبَالُهُمۡ وَعِصِيُّهُمۡ يُخَيَّلُ إِلَيۡهِ مِن سِحۡرِهِمۡ أَنَّهَا تَسۡعَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۶⁩ کھولیں

    musa ney kaha : nahi , tum hi daalo bus phir achanak unn ki ( daali hoi ) rassiyan aur lathiyan unn kay jadoo kay nateejay mein musa ko aesi mehsoos honey lagen jaisay dorr rahi hain .

  67. فَأَوۡجَسَ فِي نَفۡسِهِۦ خِيفَةٗ مُّوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۷⁩ کھولیں

    iss per musa ko apney dil mein kuch khof mehsoos huwa .

  68. قُلۡنَا لَا تَخَفۡ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡأَعۡلَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۸⁩ کھولیں

    hum ney kaha : daro nahi , yaqeen rakho tum hi tum sarbuland raho gay .

  69. وَأَلۡقِ مَا فِي يَمِينِكَ تَلۡقَفۡ مَا صَنَعُوٓاْۖ إِنَّمَا صَنَعُواْ كَيۡدُ سَٰحِرٖۖ وَلَا يُفۡلِحُ ٱلسَّاحِرُ حَيۡثُ أَتَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۶۹⁩ کھولیں

    aur jo ( laathi ) tumharay dayen haath mein hai , ussay ( zameen per ) daal do , inn logon ney jo karigari ki hai , woh uss sabb ko nigal jaye gi . unn ki sari karigari aik jadoogar kay kartab kay siwa kuch nahi , aur jadoogar chahye kahen chala jaye , ussay falah naseeb nahi hoti .

  70. فَأُلۡقِيَ ٱلسَّحَرَةُ سُجَّدٗا قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِرَبِّ هَٰرُونَ وَمُوسَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۷۰⁩ کھولیں

    chunacheh ( yehi huwa aur ) saray jadoogar sajday mein gira diye gaye . kehney lagay kay : hum Haroon aur musa kay rab per emaan ley aaye .

  71. قَالَ ءَامَنتُمۡ لَهُۥ قَبۡلَ أَنۡ ءَاذَنَ لَكُمۡۖ إِنَّهُۥ لَكَبِيرُكُمُ ٱلَّذِي عَلَّمَكُمُ ٱلسِّحۡرَۖ فَلَأُقَطِّعَنَّ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَرۡجُلَكُم مِّنۡ خِلَٰفٖ وَلَأُصَلِّبَنَّكُمۡ فِي جُذُوعِ ٱلنَّخۡلِ وَلَتَعۡلَمُنَّ أَيُّنَآ أَشَدُّ عَذَابٗا وَأَبۡقَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۷۱⁩ کھولیں

    firon bola : tum inn per meray ijazat denay say pehlay hi emaan ley aaye . mujhay yaqeen hai kay yeh ( musa ) tum sabb ka sarghana hai jiss ney tumhen jadoo sikhlaya hai . abb mein ney bhi paka irada kerliya hai kay tumharay haath paon mukhalif samton say kaatun ga , aur tumhen khujoor kay tanon per sooli charhaon ga . aur tumhen yaqeenan pata lagg jaye ga kay hum dono mein say kiss ka azab ziyada sakht aur dairpa hai .

  72. قَالُواْ لَن نُّؤۡثِرَكَ عَلَىٰ مَا جَآءَنَا مِنَ ٱلۡبَيِّنَٰتِ وَٱلَّذِي فَطَرَنَاۖ فَٱقۡضِ مَآ أَنتَ قَاضٍۖ إِنَّمَا تَقۡضِي هَٰذِهِ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَآ

    آیت ⁦۲۰:۷۲⁩ کھولیں

    jadoogaron ney kaha : qasam uss zaat ki jiss ney hamen peda kiya hai ! humaray samney jo roshan nishaniyan aagae hain , unn per hum tumhen hergiz tarjeeh nahi dey saktay . abb tumhen jo kuch kerna ho , kerlo . tum jo kuch bhi kero gay , issi dunyawi zindagi kay liye hoga .

  73. إِنَّآ ءَامَنَّا بِرَبِّنَا لِيَغۡفِرَ لَنَا خَطَٰيَٰنَا وَمَآ أَكۡرَهۡتَنَا عَلَيۡهِ مِنَ ٱلسِّحۡرِۗ وَٱللَّهُ خَيۡرٞ وَأَبۡقَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۷۳⁩ کھولیں

    hum to apney rab per emaan laa-chukay hain , takay woh humaray gunahon ko bhi bakhsh dey , aur jadoo kay uss kaam ko bhi jiss per tum ney hamen majboor kiya . aur Allah hi sabb say acha aur hamesha baqi rehney wala hai .

  74. إِنَّهُۥ مَن يَأۡتِ رَبَّهُۥ مُجۡرِمٗا فَإِنَّ لَهُۥ جَهَنَّمَ لَا يَمُوتُ فِيهَا وَلَا يَحۡيَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۷۴⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay jo shaks apney perwerdigar kay paas mujrim ban ker aaye ga , uss kay liye jahannum hai jiss mein naa woh maray ga aur naa jiye ga .

  75. وَمَن يَأۡتِهِۦ مُؤۡمِنٗا قَدۡ عَمِلَ ٱلصَّٰلِحَٰتِ فَأُوْلَٰٓئِكَ لَهُمُ ٱلدَّرَجَٰتُ ٱلۡعُلَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۷۵⁩ کھولیں

    aur jo shaks uss kay paas momin ban ker aaye ga jiss ney naik amal bhi kiye hon gay , to aesay hi logon kay liye buland darjaat hain ,

  76. جَنَّٰتُ عَدۡنٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ جَزَآءُ مَن تَزَكَّىٰ

    آیت ⁦۲۰:۷۶⁩ کھولیں

    woh hamesha rehney walay baaghaat jinn kay neechay say nehren behti hon gi , jinn mein woh hamesha rahen gay ! aur yeh sila hai uss ka jiss ney pakeezgi ikhtiyar ki .

  77. وَلَقَدۡ أَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ أَنۡ أَسۡرِ بِعِبَادِي فَٱضۡرِبۡ لَهُمۡ طَرِيقٗا فِي ٱلۡبَحۡرِ يَبَسٗا لَّا تَخَٰفُ دَرَكٗا وَلَا تَخۡشَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۷۷⁩ کھولیں

    aur hum ney musa per wahi bheji kay : tum meray bandon ko ley ker raaton raat rawana hojao , phir unn kay liye samandar mein aik khushk raasta iss tarah nikal lena kay naa tumhen ( dushman kay ) aa-pakarney ka andesha rahey , aur naa koi aur khof ho .

  78. فَأَتۡبَعَهُمۡ فِرۡعَوۡنُ بِجُنُودِهِۦ فَغَشِيَهُم مِّنَ ٱلۡيَمِّ مَا غَشِيَهُمۡ

    آیت ⁦۲۰:۷۸⁩ کھولیں

    chunacheh firon ney apney lashkaron samet unn ka peecha kiya to samandar ki jiss ( khofnak ) cheez ney unhen dhaanpa , woh unhen dhaanp ker hi rahi .

  79. وَأَضَلَّ فِرۡعَوۡنُ قَوۡمَهُۥ وَمَا هَدَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۷۹⁩ کھولیں

    aur firon ney apni qoam ko buray raastay per lagaya , aur unhen sahih raasta naa dikhaya .

  80. يَٰبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ قَدۡ أَنجَيۡنَٰكُم مِّنۡ عَدُوِّكُمۡ وَوَٰعَدۡنَٰكُمۡ جَانِبَ ٱلطُّورِ ٱلۡأَيۡمَنَ وَنَزَّلۡنَا عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَنَّ وَٱلسَّلۡوَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۸۰⁩ کھولیں

    aey bani Israel ! hum ney tumhen tumharay dushman say nijat di , aur tum say koh-e-toor kay dayen janib aaney ka wada thehraya , aur tum per mann-o-salwa nazil kiya .

  81. كُلُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا رَزَقۡنَٰكُمۡ وَلَا تَطۡغَوۡاْ فِيهِ فَيَحِلَّ عَلَيۡكُمۡ غَضَبِيۖ وَمَن يَحۡلِلۡ عَلَيۡهِ غَضَبِي فَقَدۡ هَوَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۸۱⁩ کھولیں

    jo pakeezah rizq hum ney tumhen ata kiya hai , uss mein say khao , aur uss mein sarkashi naa kero jiss kay nateejay mein tum per mera ghazab nazil hojaye . aur jiss kissi per mera ghazab nazil hojata hai , woh tabahi mein gir ker rehta hai .

  82. وَإِنِّي لَغَفَّارٞ لِّمَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا ثُمَّ ٱهۡتَدَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۸۲⁩ کھولیں

    aur yeh bhi haqeeqat hai kay jo shaks tauba keray , emaan laye , aur naik amal keray , phir seedhay raastay per qaeem rahey to mein uss kay liye boht bakhshney wala hun .

  83. ۞وَمَآ أَعۡجَلَكَ عَن قَوۡمِكَ يَٰمُوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۸۳⁩ کھولیں

    aur ( jab musa koh-e-toor per apney logon say pehlay chalay aaye to Allah ney unn say kaha : ) musa ! tum apni qoam say pehlay jaldi kiyon aagaye ?

  84. قَالَ هُمۡ أُوْلَآءِ عَلَىٰٓ أَثَرِي وَعَجِلۡتُ إِلَيۡكَ رَبِّ لِتَرۡضَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۸۴⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : woh meray peechay peechay aaya hi chahtay hain , aur perwerdigar ! mein aap kay paas iss liye jaldi aagaya takay aap khush hon .

  85. قَالَ فَإِنَّا قَدۡ فَتَنَّا قَوۡمَكَ مِنۢ بَعۡدِكَ وَأَضَلَّهُمُ ٱلسَّامِرِيُّ

    آیت ⁦۲۰:۸۵⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : phir tumharay aaney kay baad hum ney tumhari qoam ko fitney mein mubtala kerdiya hai , aur unhen saamri ney gumrah ker daala hai .

  86. فَرَجَعَ مُوسَىٰٓ إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ غَضۡبَٰنَ أَسِفٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ أَلَمۡ يَعِدۡكُمۡ رَبُّكُمۡ وَعۡدًا حَسَنًاۚ أَفَطَالَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡعَهۡدُ أَمۡ أَرَدتُّمۡ أَن يَحِلَّ عَلَيۡكُمۡ غَضَبٞ مِّن رَّبِّكُمۡ فَأَخۡلَفۡتُم مَّوۡعِدِي

    آیت ⁦۲۰:۸۶⁩ کھولیں

    chunacheh musa ghum o ghussay mein bharay huye apni qoam kay paas wapis lotay . kehney lagay : meri qoam kay logo ! kiya tumharay perwerdigar ney tum say aik acha wada nahi kiya tha-? to kiya tum per koi boht lambi mauddat guzar gaee thi , ya tum chahtay hi yeh thay kay tum per tumharay rab ka ghazab nazil hojaye , aur iss wajeh say tum ney mujh say wada khilafi ki-?

  87. قَالُواْ مَآ أَخۡلَفۡنَا مَوۡعِدَكَ بِمَلۡكِنَا وَلَٰكِنَّا حُمِّلۡنَآ أَوۡزَارٗا مِّن زِينَةِ ٱلۡقَوۡمِ فَقَذَفۡنَٰهَا فَكَذَٰلِكَ أَلۡقَى ٱلسَّامِرِيُّ

    آیت ⁦۲۰:۸۷⁩ کھولیں

    kehney lagay : hum ney apney ikhtiyar say aap kay waday ki khilaf warzi nahi ki , balkay huwa yeh kay hum per logon kay zewraat kay bojh laday huye thay , iss liye hum ney unhen phenk diya , phir issi tarah saamri ney kuch daala

  88. فَأَخۡرَجَ لَهُمۡ عِجۡلٗا جَسَدٗا لَّهُۥ خُوَارٞ فَقَالُواْ هَٰذَآ إِلَٰهُكُمۡ وَإِلَٰهُ مُوسَىٰ فَنَسِيَ

    آیت ⁦۲۰:۸۸⁩ کھولیں

    aur logon kay samney aik bachrra bana ker nikal liya , aik jism tha jiss mein say aawaz nikalti thi . log kehney lagay kay : yeh tumhara mabood hai , aur musa ka bhi mabood hai , magar musa bhool gaye hain .

  89. أَفَلَا يَرَوۡنَ أَلَّا يَرۡجِعُ إِلَيۡهِمۡ قَوۡلٗا وَلَا يَمۡلِكُ لَهُمۡ ضَرّٗا وَلَا نَفۡعٗا

    آیت ⁦۲۰:۸۹⁩ کھولیں

    bhala kiya unhen yeh nazar nahi aaraha tha kay woh naa unn ki baat ka jawab deta tha aur naa unn ko koi nuqsan ya nafaa phoncha sakta tha-?

  90. وَلَقَدۡ قَالَ لَهُمۡ هَٰرُونُ مِن قَبۡلُ يَٰقَوۡمِ إِنَّمَا فُتِنتُم بِهِۦۖ وَإِنَّ رَبَّكُمُ ٱلرَّحۡمَٰنُ فَٱتَّبِعُونِي وَأَطِيعُوٓاْ أَمۡرِي 

    آیت ⁦۲۰:۹۰⁩ کھولیں

    aur Haroon ney unn say pehlay hi kaha tha kay : meri qoam kay logo ! tum iss ( bachrray ) ki wajeh say fitney mein mubtala hogaye ho , aur haqeeqat mein tumhara rab to rehman hai , iss liye tum meray peechay chalo aur meri baat maano .

  91. قَالُواْ لَن نَّبۡرَحَ عَلَيۡهِ عَٰكِفِينَ حَتَّىٰ يَرۡجِعَ إِلَيۡنَا مُوسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۹۱⁩ کھولیں

    woh kehney lagay kay : jab tak musa wapis naa aajayen , hum to issi ki ibadat per jamay rahen gay .

  92. قَالَ يَٰهَٰرُونُ مَا مَنَعَكَ إِذۡ رَأَيۡتَهُمۡ ضَلُّوٓاْ

    آیت ⁦۲۰:۹۲⁩ کھولیں

    musa ney ( wapis aa-ker ) kaha : Haroon ! jab tum ney dekh liya tha kay yeh log gumrah hogaye hain to tumhen kiss cheez ney roka tha

  93. أَلَّا تَتَّبِعَنِۖ أَفَعَصَيۡتَ أَمۡرِي

    آیت ⁦۲۰:۹۳⁩ کھولیں

    kay tum meray peechay chalay aatay-? bhala kiya tum ney meri baat ki khilaf warzi ki-?

  94. قَالَ يَبۡنَؤُمَّ لَا تَأۡخُذۡ بِلِحۡيَتِي وَلَا بِرَأۡسِيٓۖ إِنِّي خَشِيتُ أَن تَقُولَ فَرَّقۡتَ بَيۡنَ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ وَلَمۡ تَرۡقُبۡ قَوۡلِي

    آیت ⁦۲۰:۹۴⁩ کھولیں

    Haroon ney kaha : meray maa kay betay ! meri daarhi naa pakro , aur naa mera sar . haqeeqat mein mujhay yeh andesha tha kay tum yeh kaho gay kay tum ney bani Israel mein tafarqa daal diya , aur meri baat ka paas nahi kiya .

  95. قَالَ فَمَا خَطۡبُكَ يَٰسَٰمِرِيُّ

    آیت ⁦۲۰:۹۵⁩ کھولیں

    musa ney kaha : acha to saamri ! tujhay kiya huwa tha-?

  96. قَالَ بَصُرۡتُ بِمَا لَمۡ يَبۡصُرُواْ بِهِۦ فَقَبَضۡتُ قَبۡضَةٗ مِّنۡ أَثَرِ ٱلرَّسُولِ فَنَبَذۡتُهَا وَكَذَٰلِكَ سَوَّلَتۡ لِي نَفۡسِي

    آیت ⁦۲۰:۹۶⁩ کھولیں

    woh bola : mein ney aik aesi cheez dekh li thi jo doosron ko nazar nahi aai thi . iss liye mein ney Rasool kay naqsh-e-qadam say aik mutthi uthali , aur ussay ( bachrray per ) daal diya . aur meray dil ney mujhay kuch aisa hi sujhaya.

  97. قَالَ فَٱذۡهَبۡ فَإِنَّ لَكَ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ أَن تَقُولَ لَا مِسَاسَۖ وَإِنَّ لَكَ مَوۡعِدٗا لَّن تُخۡلَفَهُۥۖ وَٱنظُرۡ إِلَىٰٓ إِلَٰهِكَ ٱلَّذِي ظَلۡتَ عَلَيۡهِ عَاكِفٗاۖ لَّنُحَرِّقَنَّهُۥ ثُمَّ لَنَنسِفَنَّهُۥ فِي ٱلۡيَمِّ نَسۡفًا

    آیت ⁦۲۰:۹۷⁩ کھولیں

    musa ney kaha : acha to jaa , abb zindagi bhar tera kaam yeh hoga kay tu logon say yeh kaha keray ga kay mujhay naa choona . aur ( iss kay ilawa ) teray liye aik waday ka waqt muqarrar hai jo tujh say talaya nahi jasakta . aur dekh apney iss ( jhootay ) mabood ko jiss per tu jama betha tha ! hum issay jala daalen gay , aur phir iss ( ki raakh ) ko choora choora ker kay samandar mein bikhair den gay .

  98. إِنَّمَآ إِلَٰهُكُمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ وَسِعَ كُلَّ شَيۡءٍ عِلۡمٗا

    آیت ⁦۲۰:۹۸⁩ کھولیں

    haqeeqat mein tum sabb ka mabood to bus aik hi Allah hai , jiss kay siwa koi mabood nahi hai . uss ka ilm her cheez ka ehata kiye huye hai .

  99. كَذَٰلِكَ نَقُصُّ عَلَيۡكَ مِنۡ أَنۢبَآءِ مَا قَدۡ سَبَقَۚ وَقَدۡ ءَاتَيۡنَٰكَ مِن لَّدُنَّا ذِكۡرٗا

    آیت ⁦۲۰:۹۹⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) mazi mein jo halaat guzray hain unn mein say kuch waqiyaat hum issi tarah tum ko sunatay hain , aur hum ney tumhen khaas apney paas say aik naseehat nama ata kiya hai .

  100. مَّنۡ أَعۡرَضَ عَنۡهُ فَإِنَّهُۥ يَحۡمِلُ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وِزۡرًا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۰⁩ کھولیں

    jo log uss say mun morren gay , to woh qayamat kay din bara bhari bojh laadey hon gay ,

  101. خَٰلِدِينَ فِيهِۖ وَسَآءَ لَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ حِمۡلٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۱⁩ کھولیں

    jiss ( kay azab ) mein woh hamesha rahen gay , aur qayamat kay din unn kay liye yeh bad-tareen bojh hoga ,

  102. يَوۡمَ يُنفَخُ فِي ٱلصُّورِۚ وَنَحۡشُرُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ يَوۡمَئِذٖ زُرۡقٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۲⁩ کھولیں

    jiss din soor phoonka jaye ga , aur uss din hum saray mujrimon ko gher ker iss tarah jama keren gay kay woh neelay parray hon gay ,

  103. يَتَخَٰفَتُونَ بَيۡنَهُمۡ إِن لَّبِثۡتُمۡ إِلَّا عَشۡرٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۳⁩ کھولیں

    aapas mein sargoshiyan ker rahey hon gay kay tum ( qabron mein yaa duniya mein ) das din say ziyada nahi thehray .

  104. نَّحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَقُولُونَ إِذۡ يَقُولُ أَمۡثَلُهُمۡ طَرِيقَةً إِن لَّبِثۡتُمۡ إِلَّا يَوۡمٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۴⁩ کھولیں

    jiss baaray mein woh baaten keren gay uss ki haqeeqat hamen khoob maloom hai , jabkay unn mein say jiss ka tareeqa sabb say behtar hoga , woh kahey ga kay tum aik din say ziyada nahi thehray .

  105. وَيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡجِبَالِ فَقُلۡ يَنسِفُهَا رَبِّي نَسۡفٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۵⁩ کھولیں

    aur log tum say paharon kay baaray mein poochtay hain ( kay qayamat mein inn ka kiya banay ga-? ) jawab mein keh do kay mera perwerdigar inn ko dhool ki tarah urra dey ga .

  106. فَيَذَرُهَا قَاعٗا صَفۡصَفٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۶⁩ کھولیں

    aur zameen ko aisa humwaar chatiyal meydan bana ker choray ga .

  107. لَّا تَرَىٰ فِيهَا عِوَجٗا وَلَآ أَمۡتٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۷⁩ کھولیں

    kay uss mein tumhen naa koi ball nazar aaye ga , naa koi ubhaar .

  108. يَوۡمَئِذٖ يَتَّبِعُونَ ٱلدَّاعِيَ لَا عِوَجَ لَهُۥۖ وَخَشَعَتِ ٱلۡأَصۡوَاتُ لِلرَّحۡمَٰنِ فَلَا تَسۡمَعُ إِلَّا هَمۡسٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۸⁩ کھولیں

    uss din sabb kay sabb munadi kay peechay iss tarah chalay ayen gay kay uss kay samney koi tairrah nahi dikha saken gay . aur khudaye rehman kay aagay tamam aawazen dabb ker reh jayen gi , chunacheh tumhen paon ki sarsarahat kay siwa kuch sunai nahi dey ga .

  109. يَوۡمَئِذٖ لَّا تَنفَعُ ٱلشَّفَٰعَةُ إِلَّا مَنۡ أَذِنَ لَهُ ٱلرَّحۡمَٰنُ وَرَضِيَ لَهُۥ قَوۡلٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۰۹⁩ کھولیں

    uss din kissi ki sifarish kaam nahi aaye gi , siwaye uss shaks ( ki sifarish ) kay jissay khudaye rehman ney ijazat dey di ho , aur jiss kay bolney per woh razi ho .

  110. يَعۡلَمُ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡ وَلَا يُحِيطُونَ بِهِۦ عِلۡمٗا 

    آیت ⁦۲۰:۱۱۰⁩ کھولیں

    woh logon ki sari agli pichli baaton ko janta hai , aur woh uss kay ilm ka ehata nahi ker-saktay .

  111. ۞وَعَنَتِ ٱلۡوُجُوهُ لِلۡحَيِّ ٱلۡقَيُّومِۖ وَقَدۡ خَابَ مَنۡ حَمَلَ ظُلۡمٗا

    آیت ⁦۲۰:۱۱۱⁩ کھولیں

    aur saray kay saray chehray haee o qayyum kay aagay jhukay hon gay , aur jo koi zulm ka bojh laad ker laya hoga na-murad hoga .

  112. وَمَن يَعۡمَلۡ مِنَ ٱلصَّٰلِحَٰتِ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَلَا يَخَافُ ظُلۡمٗا وَلَا هَضۡمٗا

    آیت ⁦۲۰:۱۱۲⁩ کھولیں

    aur jiss ney naik amal kiye hon gay , jabkay woh momin bhi ho , to ussay naa kissi ziyadti ka andesha hoga , naa kissi haq talfi ka .

  113. وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَٰهُ قُرۡءَانًا عَرَبِيّٗا وَصَرَّفۡنَا فِيهِ مِنَ ٱلۡوَعِيدِ لَعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ أَوۡ يُحۡدِثُ لَهُمۡ ذِكۡرٗا

    آیت ⁦۲۰:۱۱۳⁩ کھولیں

    aur hum ney issi tarah yeh wahi aik arbi Quran ki shakal mein nazil ki hai , aur iss mein tanbeehaat ko tarah tarah say biyan kiya hai , takay log perhezgari ikhtiyar keren , ya yeh Quran unn mein kuch soch samajh peda keray .

  114. فَتَعَٰلَى ٱللَّهُ ٱلۡمَلِكُ ٱلۡحَقُّۗ وَلَا تَعۡجَلۡ بِٱلۡقُرۡءَانِ مِن قَبۡلِ أَن يُقۡضَىٰٓ إِلَيۡكَ وَحۡيُهُۥۖ وَقُل رَّبِّ زِدۡنِي عِلۡمٗا

    آیت ⁦۲۰:۱۱۴⁩ کھولیں

    aesi hi oonchi shaan hai Allah ki , jo saltanat ka haqeeqi malik hai ! aur ( aey payghumber ! ) jab Quran wahi kay zariye nazil horaha ho to uss kay mukammal honey say pehlay Quran parhney mein jaldi naa kiya kero , aur yeh dua kertay raha kero kay : meray perwerdigar ! mujhay ilm mein aur taraqqi ata farma .

  115. وَلَقَدۡ عَهِدۡنَآ إِلَىٰٓ ءَادَمَ مِن قَبۡلُ فَنَسِيَ وَلَمۡ نَجِدۡ لَهُۥ عَزۡمٗا

    آیت ⁦۲۰:۱۱۵⁩ کھولیں

    aur hum ney iss say pehlay Adam ko aik baat ki takeed ki thi , phir unn say bhool hogaee , aur hum ney unn mein azam nahi paya .

  116. وَإِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلَٰٓئِكَةِ ٱسۡجُدُواْ لِأٓدَمَ فَسَجَدُوٓاْ إِلَّآ إِبۡلِيسَ أَبَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۱۶⁩ کھولیں

    yaad kero woh waqt jab hum ney farishton say kaha tha kay Adam ko sajda kero , chunacheh sabb ney sajda kiya , albatta iblees tha jiss ney inkar kiya .

  117. فَقُلۡنَا يَٰٓـَٔادَمُ إِنَّ هَٰذَا عَدُوّٞ لَّكَ وَلِزَوۡجِكَ فَلَا يُخۡرِجَنَّكُمَا مِنَ ٱلۡجَنَّةِ فَتَشۡقَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۱۱۷⁩ کھولیں

    chunacheh hum ney kaha kay : aey Adam ! yeh tumhara aur tumhari biwi ka dushman hai , lehaza aisa naa ho kay yeh tum dono ko jannat say niklwa dey , aur tum mushaqqat mein parr-jao .

  118. إِنَّ لَكَ أَلَّا تَجُوعَ فِيهَا وَلَا تَعۡرَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۱۸⁩ کھولیں

    yahan to tumhen yeh faeeda hai kay naa tum bhookay hogay , naa nangay ,

  119. وَأَنَّكَ لَا تَظۡمَؤُاْ فِيهَا وَلَا تَضۡحَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۱۹⁩ کھولیں

    aur naa yahan piyasay raho gay , naa dhoop mein tapo gay .

  120. فَوَسۡوَسَ إِلَيۡهِ ٱلشَّيۡطَٰنُ قَالَ يَٰٓـَٔادَمُ هَلۡ أَدُلُّكَ عَلَىٰ شَجَرَةِ ٱلۡخُلۡدِ وَمُلۡكٖ لَّا يَبۡلَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۱۲۰⁩ کھولیں

    phir shetan ney unn kay dil mein waswasa daala . kehney laga : aey Adam ! kiya mein tumhen aik aisa darkht bataon jiss say jaodaani zindagi aur woh badshahi hasil hojati hai jo kabhi purani nahi parrti-?

  121. فَأَكَلَا مِنۡهَا فَبَدَتۡ لَهُمَا سَوۡءَٰتُهُمَا وَطَفِقَا يَخۡصِفَانِ عَلَيۡهِمَا مِن وَرَقِ ٱلۡجَنَّةِۚ وَعَصَىٰٓ ءَادَمُ رَبَّهُۥ فَغَوَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۲۱⁩ کھولیں

    chunacheh unn dono ney uss darkht mein say kuch khaliya jiss say unn dono kay sharam kay maqamaat unn kay samney khul gaye , aur woh dono jannat kay patton ko apney oopper ganthnay lagay . aur ( iss tarah ) Adam ney apney rab ka kaha taala , aur bhatak gaye .

  122. ثُمَّ ٱجۡتَبَٰهُ رَبُّهُۥ فَتَابَ عَلَيۡهِ وَهَدَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۲۲⁩ کھولیں

    phir unn kay rab ney unhen chunn liya , chunacheh unn ki tauba qubool farmaee , aur unhen hidayat ata farmaee .

  123. قَالَ ٱهۡبِطَا مِنۡهَا جَمِيعَۢاۖ بَعۡضُكُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوّٞۖ فَإِمَّا يَأۡتِيَنَّكُم مِّنِّي هُدٗى فَمَنِ ٱتَّبَعَ هُدَايَ فَلَا يَضِلُّ وَلَا يَشۡقَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۲۳⁩ کھولیں

    Allah ney farmaya : tum dono kay dono yahan say neechay utar jao , tum aik doosray kay dushman hogay . phir agar tumhen meri taraf say koi hidayat phonchay , to jo koi meri hidayat ki perwi keray ga , woh naa gumrah hoga , aur naa kissi mushkil mein girftaar hoga .

  124. وَمَنۡ أَعۡرَضَ عَن ذِكۡرِي فَإِنَّ لَهُۥ مَعِيشَةٗ ضَنكٗا وَنَحۡشُرُهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ أَعۡمَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۲۴⁩ کھولیں

    aur jo meri naseehat say mun morray ga to uss ko bari tang zindagi milay gi , aur qayamat kay din hum ussay andha ker kay uthayen gay .

  125. قَالَ رَبِّ لِمَ حَشَرۡتَنِيٓ أَعۡمَىٰ وَقَدۡ كُنتُ بَصِيرٗا

    آیت ⁦۲۰:۱۲۵⁩ کھولیں

    woh kahey ga kay : ya rab ! tu ney mujhay andha ker kay kiyon uthaya , halankay mein to aankhon wala tha-?

  126. قَالَ كَذَٰلِكَ أَتَتۡكَ ءَايَٰتُنَا فَنَسِيتَهَاۖ وَكَذَٰلِكَ ٱلۡيَوۡمَ تُنسَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۲۶⁩ کھولیں

    Allah kahey ga : issi tarah humari aayaten teray paas aai then , magar tu ney unhen bhula diya . aur aaj ussi tarah tujhay bhula diya jaye ga .

  127. وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي مَنۡ أَسۡرَفَ وَلَمۡ يُؤۡمِنۢ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِۦۚ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَشَدُّ وَأَبۡقَىٰٓ

    آیت ⁦۲۰:۱۲۷⁩ کھولیں

    aur jo shaks hadd say guzar jata hai , aur apney perwerdigar ki nishaniyon per emaan nahi lata , ussay hum issi tarah saza detay hain , aur aakhirat ka azab waqaee ziyada sakht aur ziyada dair rehney wala hai .

  128. أَفَلَمۡ يَهۡدِ لَهُمۡ كَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّنَ ٱلۡقُرُونِ يَمۡشُونَ فِي مَسَٰكِنِهِمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّأُوْلِي ٱلنُّهَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۲۸⁩ کھولیں

    phir kiya inn logon ko iss baat ney bhi koi hidayat ka sabaq nahi diya kay inn say pehlay kitni naslen then jinhen hum ney halak kerdiya , jinn ki bastiyon mein yeh log chaltay phirtay bhi hain-? yaqeenan jinn logon kay paas aqal hai , unn kay liye iss baat mein ibrat kay baray saman hain .

  129. وَلَوۡلَا كَلِمَةٞ سَبَقَتۡ مِن رَّبِّكَ لَكَانَ لِزَامٗا وَأَجَلٞ مُّسَمّٗى

    آیت ⁦۲۰:۱۲۹⁩ کھولیں

    aur agar tumharay rab ki taraf say aik baat pehlay hi tey naa kerdi gaee hoti , aur ( uss kay nateejay mein azab ki ) aik miyaad muqarrar naa hoti , to lazimi tor per azab ( unn ko ) chimat chuka hota .

  130. فَٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ قَبۡلَ طُلُوعِ ٱلشَّمۡسِ وَقَبۡلَ غُرُوبِهَاۖ وَمِنۡ ءَانَآيِٕ ٱلَّيۡلِ فَسَبِّحۡ وَأَطۡرَافَ ٱلنَّهَارِ لَعَلَّكَ تَرۡضَىٰ 

    آیت ⁦۲۰:۱۳۰⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) yeh log jo baaten kertay hain , tum inn per sabar kero , aur sooraj nikalney say pehlay aur uss kay ghuroob hone say pehlay apney rab ki tasbeeh aur hamd kertay raho , aur raat kay oqaat mein bhi tasbeeh kero , aur din kay kinaron mein bhi , takay tum khush hojao .

  131. وَلَا تَمُدَّنَّ عَيۡنَيۡكَ إِلَىٰ مَا مَتَّعۡنَا بِهِۦٓ أَزۡوَٰجٗا مِّنۡهُمۡ زَهۡرَةَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا لِنَفۡتِنَهُمۡ فِيهِۚ وَرِزۡقُ رَبِّكَ خَيۡرٞ وَأَبۡقَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۳۱⁩ کھولیں

    aur dunyawi zindagi ki uss bahar ki taraf aankhen utha ker bhi naa dekho jo hum ney inn ( kafiron ) mein say mukhtalif logon ko mazay uraney kay liye dey rakhi hai , takay hum inn ko uss kay zariye aazmayen . aur tumharay rab ka rizq sabb say behtar aur sabb say ziyada dairpa hai .

  132. وَأۡمُرۡ أَهۡلَكَ بِٱلصَّلَوٰةِ وَٱصۡطَبِرۡ عَلَيۡهَاۖ لَا نَسۡـَٔلُكَ رِزۡقٗاۖ نَّحۡنُ نَرۡزُقُكَۗ وَٱلۡعَٰقِبَةُ لِلتَّقۡوَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۳۲⁩ کھولیں

    aur apney ghar walon ko namaz ka hukum do , aur khud bhi uss per sabit qadam raho . hum tum say rizq nahi chahtay , rizq to hum tumhen den gay . aur behtar anjam taqwa hi ka hai .

  133. وَقَالُواْ لَوۡلَا يَأۡتِينَا بِـَٔايَةٖ مِّن رَّبِّهِۦٓۚ أَوَلَمۡ تَأۡتِهِم بَيِّنَةُ مَا فِي ٱلصُّحُفِ ٱلۡأُولَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۳۳⁩ کھولیں

    aur yeh log kehtay hain kay : yeh ( nabi ) humaray paas apney rab ki taraf say koi nishani kiyon nahi ley aatay-? bhala kiya inn kay paas pichlay ( aasmani ) saheefon kay mazameen ki gawahi nahi aagae ?

  134. وَلَوۡ أَنَّآ أَهۡلَكۡنَٰهُم بِعَذَابٖ مِّن قَبۡلِهِۦ لَقَالُواْ رَبَّنَا لَوۡلَآ أَرۡسَلۡتَ إِلَيۡنَا رَسُولٗا فَنَتَّبِعَ ءَايَٰتِكَ مِن قَبۡلِ أَن نَّذِلَّ وَنَخۡزَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۳۴⁩ کھولیں

    aur agar hum enhen iss ( Quran ) say pehlay inn ko kissi azab say halak ker-detay to yeh log kehtay kay : humaray perwerdigar ! aap ney humaray paas koi payghumber kiyon nahi bheja , takay hum zaleel aur ruswa honey say pehlay aap ki aayaton ki perwi kertay-?

  135. قُلۡ كُلّٞ مُّتَرَبِّصٞ فَتَرَبَّصُواْۖ فَسَتَعۡلَمُونَ مَنۡ أَصۡحَٰبُ ٱلصِّرَٰطِ ٱلسَّوِيِّ وَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ

    آیت ⁦۲۰:۱۳۵⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn say ) keh do kay : ( hum ) sabb intizar ker rahey hain , lehaza tum bhi intizar kero kiyonkay unqareeb tumhen pata chal jaye ga kay seedhay raastay walay log kon hain , aur kon hain jo hidayat paagaye hain-?