مريم

Maryam

سورت ۱۹ · آیات: ۹۸ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. Kaaf-Haa-Yaa-Aen-Suad

  2. ذِكۡرُ رَحۡمَتِ رَبِّكَ عَبۡدَهُۥ زَكَرِيَّآ

    آیت ⁦۱۹:۲⁩ کھولیں

    yeh tazkarah hai uss rehmat ka jo tumharay perwerdigar ney apney banday zakriya per ki thi .

  3. إِذۡ نَادَىٰ رَبَّهُۥ نِدَآءً خَفِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۳⁩ کھولیں

    yeh uss waqt ki baat hai jab unhon ney apney perwerdigar ko aahista aahista aawaz say pukara tha .

  4. قَالَ رَبِّ إِنِّي وَهَنَ ٱلۡعَظۡمُ مِنِّي وَٱشۡتَعَلَ ٱلرَّأۡسُ شَيۡبٗا وَلَمۡ أَكُنۢ بِدُعَآئِكَ رَبِّ شَقِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴⁩ کھولیں

    unhon ney kaha tha kay : meray perwerdigar ! meri haddiyan tak kamzor parr-gai hain , aur sar burhapay ki safedi say bharak utha hai , aur meray perwerdigar ! mein aap say dua maang ker kabhi na-murad nahi huwa .

  5. وَإِنِّي خِفۡتُ ٱلۡمَوَٰلِيَ مِن وَرَآءِي وَكَانَتِ ٱمۡرَأَتِي عَاقِرٗا فَهَبۡ لِي مِن لَّدُنكَ وَلِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۵⁩ کھولیں

    aur mujhay apney baad apney chachazaad bhaiyon ka andesha laga huwa hai , aur meri biwi baanjh hai , lehaza aap khaas apney paas say mujhay aik aisa waris ata ker-dijiye

  6. يَرِثُنِي وَيَرِثُ مِنۡ ءَالِ يَعۡقُوبَۖ وَٱجۡعَلۡهُ رَبِّ رَضِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶⁩ کھولیں

    jo mera bhi waris ho , aur Yaqoob ( aleh-assalam ) ki aulad say bhi meeras paye . aur ya rab ! ussay aisa banaiye jo ( khud aap ka ) pasandeeda ho .

  7. يَٰزَكَرِيَّآ إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَٰمٍ ٱسۡمُهُۥ يَحۡيَىٰ لَمۡ نَجۡعَل لَّهُۥ مِن قَبۡلُ سَمِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۷⁩ کھولیں

    . ( aawaz aai kay : ) aey zakriya ! hum tumhen aik aesay larkay ki khushkhabri detay hain jiss ka naam Yahya hoga . iss say pehlay hum ney iss kay naam ka koi aur shaks peda nahi kiya .

  8. قَالَ رَبِّ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَٰمٞ وَكَانَتِ ٱمۡرَأَتِي عَاقِرٗا وَقَدۡ بَلَغۡتُ مِنَ ٱلۡكِبَرِ عِتِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۸⁩ کھولیں

    zakriya ney kaha : meray perwerdigar ! meray yahan larka kiss tarah peda hoga jabkay meri biwi baanjh hai , aur mein burhapay say iss haal ko phonch gaya hun kay mera jism sookh chuka hai !

  9. قَالَ كَذَٰلِكَ قَالَ رَبُّكَ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٞ وَقَدۡ خَلَقۡتُكَ مِن قَبۡلُ وَلَمۡ تَكُ شَيۡـٔٗا

    آیت ⁦۱۹:۹⁩ کھولیں

    kaha : haan ! aisa hi hoga . tumharay rab ney farmaya hai kay yeh to meray liye mamooli baat hai . aur iss say pehlay mein ney tumhen peda kiya tha jab tum kuch bhi nahi thay .

  10. قَالَ رَبِّ ٱجۡعَل لِّيٓ ءَايَةٗۖ قَالَ ءَايَتُكَ أَلَّا تُكَلِّمَ ٱلنَّاسَ ثَلَٰثَ لَيَالٖ سَوِيّٗا 

    آیت ⁦۱۹:۱۰⁩ کھولیں

    zakriya ney kaha : meray perwerdigar ! meray liye koi nishani muqarrar farma dijiye . farmaya : tumhari nishani yeh hai kay tum sehat mand honey kay bawajood teen raat tak logon say baat nahi ker-sako gay .

  11. فَخَرَجَ عَلَىٰ قَوۡمِهِۦ مِنَ ٱلۡمِحۡرَابِ فَأَوۡحَىٰٓ إِلَيۡهِمۡ أَن سَبِّحُواْ بُكۡرَةٗ وَعَشِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۱⁩ کھولیں

    chunacheh woh ibadat gaah say nikal ker apni qoam kay samney aaye , aur unn ko isharay say hidayat di kay tum log subha o shaam Allah ki tasbeeh kiya kero .

  12. يَٰيَحۡيَىٰ خُذِ ٱلۡكِتَٰبَ بِقُوَّةٖۖ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡحُكۡمَ صَبِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۲⁩ کھولیں

    . ( phir jab Yahya peda ho ker baray hogaye to hum ney unn say farmaya : ) aey Yahya ! kitab ko mazbooti say thaam lo . aur hum ney bachpan hi mein unn ko danai bhi ata kerdi thi ,

  13. وَحَنَانٗا مِّن لَّدُنَّا وَزَكَوٰةٗۖ وَكَانَ تَقِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۳⁩ کھولیں

    aur khaas apney paas say naram dili aur pakeezgi bhi . aur woh baray perhezgar thay ,

  14. وَبَرَّۢا بِوَٰلِدَيۡهِ وَلَمۡ يَكُن جَبَّارًا عَصِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۴⁩ کھولیں

    aur apney walaiden kay khidmat guzaar ! naa woh sarkash thay , naa nafarman .

  15. وَسَلَٰمٌ عَلَيۡهِ يَوۡمَ وُلِدَ وَيَوۡمَ يَمُوتُ وَيَوۡمَ يُبۡعَثُ حَيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۵⁩ کھولیں

    aur ( Allah taalaa ki taraf say ) salam hai unn per uss din bhi jiss roz woh peda huye , uss din bhi jiss roz unhen moat aaye gi , aur uss din bhi jiss roz unhen zinda ker kay dobara uthaya jaye ga .

  16. وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مَرۡيَمَ إِذِ ٱنتَبَذَتۡ مِنۡ أَهۡلِهَا مَكَانٗا شَرۡقِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۶⁩ کھولیں

    aur iss kitab mein maryam ka bhi tazkarah kero . uss waqt ka tazkarah jab woh apney ghar walon say alehda ho ker uss jagah chali gaeen jo mashriq ki taraf waqay thi .

  17. فَٱتَّخَذَتۡ مِن دُونِهِمۡ حِجَابٗا فَأَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهَا رُوحَنَا فَتَمَثَّلَ لَهَا بَشَرٗا سَوِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۷⁩ کھولیں

    phir unhon ney unn logon kay aur apney darmiyan aik perda daal liya . iss moaqa per hum ney unn kay paas apni rooh ( yani aik farishtay ) ko bheja jo unn kay samney aik mukammal insan ki shakal mein zahir huwa .

  18. قَالَتۡ إِنِّيٓ أَعُوذُ بِٱلرَّحۡمَٰنِ مِنكَ إِن كُنتَ تَقِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۸⁩ کھولیں

    maryam ney kaha : mein tum say khudaye rehman ki panah maangti hun . agar tum mein khuda ka khof hai ( to yahan say hatt jao )

  19. قَالَ إِنَّمَآ أَنَا۠ رَسُولُ رَبِّكِ لِأَهَبَ لَكِ غُلَٰمٗا زَكِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۱۹⁩ کھولیں

    farishtay ney kaha : mein to tumharay rab ka bheja huwa ( farishta ) hun ( aur iss liye aaya hun ) takay tumhen aik pakeezah larka dun .

  20. قَالَتۡ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَٰمٞ وَلَمۡ يَمۡسَسۡنِي بَشَرٞ وَلَمۡ أَكُ بَغِيّٗا 

    آیت ⁦۱۹:۲۰⁩ کھولیں

    maryam ney kaha : meray larka kaisay hojaye ga , jabkay mujhay kissi bashar ney chooa tak nahi hai , aur naa mein koi bad-kaar aurat hun-?

  21. قَالَ كَذَٰلِكِ قَالَ رَبُّكِ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٞۖ وَلِنَجۡعَلَهُۥٓ ءَايَةٗ لِّلنَّاسِ وَرَحۡمَةٗ مِّنَّاۚ وَكَانَ أَمۡرٗا مَّقۡضِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۱⁩ کھولیں

    farishtay ney kaha : aesay hi hojaye ga . tumharay rab ney farmaya hai kay : yeh meray liye aik mamooli baat hai . aur hum yeh kaam iss liye keren gay takay uss larkay ko logon kay liye ( apni qudrat ki ) aik nishani banayen , aur apni taraf say rehmat ka muzahira keren . aur yeh baat poori tarah tey hochuki hai .

  22. ۞فَحَمَلَتۡهُ فَٱنتَبَذَتۡ بِهِۦ مَكَانٗا قَصِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۲⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay maryam ko uss bacchay ka hamal thehar gaya , ( aur jab wiladat ka waqt qareeb aaya ) to woh uss ko ley ker logon say alag aik door maqam per chali gaeen .

  23. فَأَجَآءَهَا ٱلۡمَخَاضُ إِلَىٰ جِذۡعِ ٱلنَّخۡلَةِ قَالَتۡ يَٰلَيۡتَنِي مِتُّ قَبۡلَ هَٰذَا وَكُنتُ نَسۡيٗا مَّنسِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۳⁩ کھولیں

    phir zachgi kay dard ney unhen aik khujoor kay darkht kay paas phoncha diya . woh kehney lagen : kaash kay mein iss say pehlay hi mar-gaee hoti , aur mar ker bhooli basri hojati !

  24. فَنَادَىٰهَا مِن تَحۡتِهَآ أَلَّا تَحۡزَنِي قَدۡ جَعَلَ رَبُّكِ تَحۡتَكِ سَرِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۴⁩ کھولیں

    phir farishtay ney unn kay neechay aik jagah say unhen aawaz di kay : ghum naa kero , tumharay rab ney tumharay neechay aik chashma peda kerdiya hai .

  25. وَهُزِّيٓ إِلَيۡكِ بِجِذۡعِ ٱلنَّخۡلَةِ تُسَٰقِطۡ عَلَيۡكِ رُطَبٗا جَنِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۵⁩ کھولیں

    aur khujoor kay taney ko apni taraf hilao , uss mein say pakki hoi taza khujooren tum per jharen gi .

  26. فَكُلِي وَٱشۡرَبِي وَقَرِّي عَيۡنٗاۖ فَإِمَّا تَرَيِنَّ مِنَ ٱلۡبَشَرِ أَحَدٗا فَقُولِيٓ إِنِّي نَذَرۡتُ لِلرَّحۡمَٰنِ صَوۡمٗا فَلَنۡ أُكَلِّمَ ٱلۡيَوۡمَ إِنسِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۶⁩ کھولیں

    abb khao , aur piyo , aur aankhen thandi rakho . aur agar logon mein say kissi ko aata dekho to ( isharay say ) keh dena kay : aaj mein ney khudaye rehman kay liye aik rozay ki mannat maani hai , iss liye mein kissi bhi insan say baat nahi kerun gi .

  27. فَأَتَتۡ بِهِۦ قَوۡمَهَا تَحۡمِلُهُۥۖ قَالُواْ يَٰمَرۡيَمُ لَقَدۡ جِئۡتِ شَيۡـٔٗا فَرِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۷⁩ کھولیں

    phir woh uss bacchay ko uthaye huye apni qoam kay paas ayen . woh kehney lagay kay : maryam ! tum ney to bara ghazab daha diya .

  28. يَٰٓأُخۡتَ هَٰرُونَ مَا كَانَ أَبُوكِ ٱمۡرَأَ سَوۡءٖ وَمَا كَانَتۡ أُمُّكِ بَغِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۸⁩ کھولیں

    aey Haroon ki behan ! naa to tumhara baap koi bura aadmi tha , naa tumhari maa koi bad-kaar aurat thi !

  29. فَأَشَارَتۡ إِلَيۡهِۖ قَالُواْ كَيۡفَ نُكَلِّمُ مَن كَانَ فِي ٱلۡمَهۡدِ صَبِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۲۹⁩ کھولیں

    iss per maryam ney uss bacchay ki taraf ishara kiya . logon ney kaha : bhala hum iss say kaisay baat keren jo abhi paalney mein parra huwa baccha hai-?

  30. قَالَ إِنِّي عَبۡدُ ٱللَّهِ ءَاتَىٰنِيَ ٱلۡكِتَٰبَ وَجَعَلَنِي نَبِيّٗا 

    آیت ⁦۱۹:۳۰⁩ کھولیں

    . ( iss per ) baccha bol utha kay : mein Allah ka banda hun . uss ney mujhay kitab di hai , aur nabi banaya hai ,

  31. وَجَعَلَنِي مُبَارَكًا أَيۡنَ مَا كُنتُ وَأَوۡصَٰنِي بِٱلصَّلَوٰةِ وَٱلزَّكَوٰةِ مَا دُمۡتُ حَيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۳۱⁩ کھولیں

    aur jahan bhi mein rahun , mujhay ba-barkat banaya hai , aur jab tak zinda rahun , mujhay namaz aur zakat ka hukum diya hai ,

  32. وَبَرَّۢا بِوَٰلِدَتِي وَلَمۡ يَجۡعَلۡنِي جَبَّارٗا شَقِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۳۲⁩ کھولیں

    aur mujhay apni walida ka farmanbardaar banaya hai , aur mujhay sarkash aur sang dil nahi banaya .

  33. وَٱلسَّلَٰمُ عَلَيَّ يَوۡمَ وُلِدتُّ وَيَوۡمَ أَمُوتُ وَيَوۡمَ أُبۡعَثُ حَيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۳۳⁩ کھولیں

    aur ( Allah tala ki taraf say ) salamti hai mujh per uss din bhi jab mein peda huwa , aur uss din bhi jiss din mein marun ga , aur uss din bhi jab mujhay dobara zinda ker kay uthaya jaye ga .

  34. ذَٰلِكَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَۖ قَوۡلَ ٱلۡحَقِّ ٱلَّذِي فِيهِ يَمۡتَرُونَ

    آیت ⁦۱۹:۳۴⁩ کھولیں

    yeh hain essa bin maryam ! inn ( ki haqeeqat ) kay baaray mein sachi baat yeh hai jiss mein log jhagarr rahey hain .

  35. مَا كَانَ لِلَّهِ أَن يَتَّخِذَ مِن وَلَدٖۖ سُبۡحَٰنَهُۥٓۚ إِذَا قَضَىٰٓ أَمۡرٗا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ

    آیت ⁦۱۹:۳۵⁩ کھولیں

    Allah ki yeh shaan nahi hai kay woh koi beta banaye , uss ki zaat pak hai . jab woh kissi baat ka faisla kerleta hai to bus uss say yeh kehta hai kay : hoja chunacheh who ho jati hai .

  36. وَإِنَّ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ

    آیت ⁦۱۹:۳۶⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! logon say keh do kay : ) yaqeenan Allah mera bhi perwerdigar hai , aur tumhara bhi perwerdigar , iss liye uss ki ibadat kero . yehi seedha raasta hai .

  37. فَٱخۡتَلَفَ ٱلۡأَحۡزَابُ مِنۢ بَيۡنِهِمۡۖ فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن مَّشۡهَدِ يَوۡمٍ عَظِيمٍ

    آیت ⁦۱۹:۳۷⁩ کھولیں

    phir bhi unn mein say mukhtalif girohon ney ikhtilaf daal diya hai , chunacheh jiss din yeh aik zabardast din ka mushaeeda keren gay , uss din unn ki bari tabahi hogi jinhon ney kufr ka irtikab kiya hai .

  38. أَسۡمِعۡ بِهِمۡ وَأَبۡصِرۡ يَوۡمَ يَأۡتُونَنَا لَٰكِنِ ٱلظَّٰلِمُونَ ٱلۡيَوۡمَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۱۹:۳۸⁩ کھولیں

    jiss roz yeh humaray paas ayen gay , uss din yeh kitney sunney walay aur dekhney walay ban jayen gay ! lekin yeh zalim aaj khuli gumrahi mein parray huye hain .

  39. وَأَنذِرۡهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡحَسۡرَةِ إِذۡ قُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ وَهُمۡ فِي غَفۡلَةٖ وَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۱۹:۳۹⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) inn ko uss pachtaway kay din say daraiye jab her baat ka aakhri faisla hojaye ga , jabkay yeh log ( iss waqt ) ghaflat mein hain , aur emaan nahi laarahey .

  40. إِنَّا نَحۡنُ نَرِثُ ٱلۡأَرۡضَ وَمَنۡ عَلَيۡهَا وَإِلَيۡنَا يُرۡجَعُونَ 

    آیت ⁦۱۹:۴۰⁩ کھولیں

    yaqeen jano kay zameen aur iss/uss per saray rehney walon kay waris hum hi hon gay , aur humari taraf hi inn/unn sabb ko lotaya jaye ga .

  41. وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ إِبۡرَٰهِيمَۚ إِنَّهُۥ كَانَ صِدِّيقٗا نَّبِيًّا

    آیت ⁦۱۹:۴۱⁩ کھولیں

    aur iss kitab mein Ibrahim ka bhi tazkarah kero . beyshak woh sachai kay khoogar nabi thay .

  42. إِذۡ قَالَ لِأَبِيهِ يَٰٓأَبَتِ لِمَ تَعۡبُدُ مَا لَا يَسۡمَعُ وَلَا يُبۡصِرُ وَلَا يُغۡنِي عَنكَ شَيۡـٔٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۲⁩ کھولیں

    yaad kero jab unhon ney apney baap say kaha tha kay : abba jaan ! aap aesi cheezon ki kiyon ibadat kertay hain jo naa sunti hain , naa dekhti hain , aur naa aap ka koi kaam ker-sakti hain-?

  43. يَٰٓأَبَتِ إِنِّي قَدۡ جَآءَنِي مِنَ ٱلۡعِلۡمِ مَا لَمۡ يَأۡتِكَ فَٱتَّبِعۡنِيٓ أَهۡدِكَ صِرَٰطٗا سَوِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۳⁩ کھولیں

    abba jaan ! meray paas aik aisa ilm aaya hai jo aap kay paas nahi aaya , iss liye meri baat maan lijiye , mein aap ko seedha raasta batla dun ga .

  44. يَٰٓأَبَتِ لَا تَعۡبُدِ ٱلشَّيۡطَٰنَۖ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ كَانَ لِلرَّحۡمَٰنِ عَصِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۴⁩ کھولیں

    abba jaan ! shetan ki ibadat naa kijiye . yaqeen janiye kay shetan khudaye rehman ka nafarman hai .

  45. يَٰٓأَبَتِ إِنِّيٓ أَخَافُ أَن يَمَسَّكَ عَذَابٞ مِّنَ ٱلرَّحۡمَٰنِ فَتَكُونَ لِلشَّيۡطَٰنِ وَلِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۵⁩ کھولیں

    abba jaan ! mujhay andesha hai kay khudaye rehman ki taraf say aap ko koi azab naa aa-pakray , jiss kay nateejay mein aap shetan kay sathi ban ker reh jayen .

  46. قَالَ أَرَاغِبٌ أَنتَ عَنۡ ءَالِهَتِي يَٰٓإِبۡرَٰهِيمُۖ لَئِن لَّمۡ تَنتَهِ لَأَرۡجُمَنَّكَۖ وَٱهۡجُرۡنِي مَلِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۶⁩ کھولیں

    unn kay baap ney kaha : Ibrahim ! kiya tum meray khudaon say beyzar ho-? yaad rakho , agar tum baaz naa aaye to mein tum per pathar barsaon ga , aur abb tum hamesha kay liye mujh say door hojao .

  47. قَالَ سَلَٰمٌ عَلَيۡكَۖ سَأَسۡتَغۡفِرُ لَكَ رَبِّيٓۖ إِنَّهُۥ كَانَ بِي حَفِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۷⁩ کھولیں

    Ibrahim ney kaha : mein aap ko ( rukhsat ka ) salam kerta hun . mein apney perwerdigar say aap ki bakhshish ki dua kerun ga . beyshak woh mujh per boht meharban hai .

  48. وَأَعۡتَزِلُكُمۡ وَمَا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَأَدۡعُواْ رَبِّي عَسَىٰٓ أَلَّآ أَكُونَ بِدُعَآءِ رَبِّي شَقِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۸⁩ کھولیں

    aur mein aap logon say bhi alag hota hun , aur Allah ko chorr ker aap log jinn jinn ki ibadat kertay hain , unn say bhi , aur mein apney perwerdigar ko pukarta rahun ga . mujhay poori umeed hai kay apney rab ko pukar ker mein na-murad nahi rahun ga .

  49. فَلَمَّا ٱعۡتَزَلَهُمۡ وَمَا يَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَهَبۡنَا لَهُۥٓ إِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَۖ وَكُلّٗا جَعَلۡنَا نَبِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۴۹⁩ کھولیں

    chunacheh jab woh unn say aur unn ( button ) say alag hogaye jinhen woh Allah kay bajaye pukara kertay thay , to hum ney unhen Ishaq aur Yaqoob ( jaisi aulad ) bakhshi, aur unn mein say her aik ko nabi banaya .

  50. وَوَهَبۡنَا لَهُم مِّن رَّحۡمَتِنَا وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ لِسَانَ صِدۡقٍ عَلِيّٗا 

    آیت ⁦۱۹:۵۰⁩ کھولیں

    aur unn ko apni rehmat say nawaza , aur unhen oonchay darjay ki naik naami ata ki .

  51. وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مُوسَىٰٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ مُخۡلَصٗا وَكَانَ رَسُولٗا نَّبِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۵۱⁩ کھولیں

    aur iss kitab mein musa ka bhi tazkarah kero . beyshak woh Allah kay chunay huye banday thay , aur Rasool aur nabi thay .

  52. وَنَٰدَيۡنَٰهُ مِن جَانِبِ ٱلطُّورِ ٱلۡأَيۡمَنِ وَقَرَّبۡنَٰهُ نَجِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۵۲⁩ کھولیں

    hum ney unhen koh-e-toor ki dayen janib say pukara , aur unhen apna raz daar bana ker apna qurb ata kiya .

  53. وَوَهَبۡنَا لَهُۥ مِن رَّحۡمَتِنَآ أَخَاهُ هَٰرُونَ نَبِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۵۳⁩ کھولیں

    aur hum ney unn kay bhai Haroon ko nabi bana ker apni rehmat say unhen ( aik madadgaar ) ata kiya .

  54. وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ إِسۡمَٰعِيلَۚ إِنَّهُۥ كَانَ صَادِقَ ٱلۡوَعۡدِ وَكَانَ رَسُولٗا نَّبِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۵۴⁩ کھولیں

    aur iss kitab mein Ismail ka bhi tazkarah kero . beyshak woh waday kay sachay thay , aur Rasool aur nabi thay .

  55. وَكَانَ يَأۡمُرُ أَهۡلَهُۥ بِٱلصَّلَوٰةِ وَٱلزَّكَوٰةِ وَكَانَ عِندَ رَبِّهِۦ مَرۡضِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۵۵⁩ کھولیں

    aur woh apney ghar walon ko bhi namaz aur zakat ka hukum diya kertay thay , aur apney perwerdigar kay nazdeek pasandeeda thay .

  56. وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ إِدۡرِيسَۚ إِنَّهُۥ كَانَ صِدِّيقٗا نَّبِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۵۶⁩ کھولیں

    aur iss kitab mein Idrees ka bhi tazkarah kero . beyshak woh sachai kay khoogar nabi thay .

  57. وَرَفَعۡنَٰهُ مَكَانًا عَلِيًّا

    آیت ⁦۱۹:۵۷⁩ کھولیں

    aur hum ney unhen rafat dey ker aik buland maqam tak phoncha diya tha .

  58. أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ مِن ذُرِّيَّةِ ءَادَمَ وَمِمَّنۡ حَمَلۡنَا مَعَ نُوحٖ وَمِن ذُرِّيَّةِ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡرَٰٓءِيلَ وَمِمَّنۡ هَدَيۡنَا وَٱجۡتَبَيۡنَآۚ إِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُ ٱلرَّحۡمَٰنِ خَرُّواْۤ سُجَّدٗاۤ وَبُكِيّٗا۩

    آیت ⁦۱۹:۵۸⁩ کھولیں

    Adam ki aulad mein say yeh woh nabi hain jinn per Allah ney inaam farmaya , aur inn mein say kuch unn logon ki aulad mein say hain jinn ko hum ney nooh kay sath ( kashti mein ) sawar kiya tha , aur kuch Ibrahim aur Israel ( Yaqoob aleh-assalam ) ki aulad mein say hain . aur yeh sabb unn logon mein say hain jinn ko hum ney hidayat di , aur ( apney deen kay liye ) muntakhib kiya . jab unn kay samney khudaye rehman ki aayaton ki tilawat ki jati toh yeh rotay huye sajday mein gir jatay thay .

  59. ۞فَخَلَفَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ خَلۡفٌ أَضَاعُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَٱتَّبَعُواْ ٱلشَّهَوَٰتِۖ فَسَوۡفَ يَلۡقَوۡنَ غَيًّا

    آیت ⁦۱۹:۵۹⁩ کھولیں

    phir inn kay baad aesay log inn ki jagah aaye jinhon ney namazon ko barbad kiya , aur apni nafsani khuwaishaat kay peechay chalay . chunacheh inn ki gumrahi boht jald inn kay samney aajaye gi .

  60. إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَأُوْلَٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ وَلَا يُظۡلَمُونَ شَيۡـٔٗا 

    آیت ⁦۱۹:۶۰⁩ کھولیں

    albatta jinn logon ney tauba kerli , aur emaan ley aaye , aur naik amal kiye , to aesay log jannat mein dakhil hon gay , aur unn per zara bhi zulm nahi hoga .

  61. جَنَّٰتِ عَدۡنٍ ٱلَّتِي وَعَدَ ٱلرَّحۡمَٰنُ عِبَادَهُۥ بِٱلۡغَيۡبِۚ إِنَّهُۥ كَانَ وَعۡدُهُۥ مَأۡتِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۱⁩ کھولیں

    . ( unn ka dakhila ) aesay hamesha baqi rehney walay baaghaat mein ( hoga ) jinn ka khudaye rehman ney apney bandon say unn kay dekhay baghair wada ker rakha hai . yaqeenan uss ka wada aisa hai kay yeh uss tak zaroor phonchen gay .

  62. لَّا يَسۡمَعُونَ فِيهَا لَغۡوًا إِلَّا سَلَٰمٗاۖ وَلَهُمۡ رِزۡقُهُمۡ فِيهَا بُكۡرَةٗ وَعَشِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۲⁩ کھولیں

    woh uss mein salamti ki baaton kay siwa koi laghw baat nahi sunen gay . aur wahan unn ka rizq unhen subha o shaam mila keray ga .

  63. تِلۡكَ ٱلۡجَنَّةُ ٱلَّتِي نُورِثُ مِنۡ عِبَادِنَا مَن كَانَ تَقِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۳⁩ کھولیں

    yeh hai woh jannat jiss ka waris hum apney bandon mein say uss ko banayen gay jo muttaqi ho .

  64. وَمَا نَتَنَزَّلُ إِلَّا بِأَمۡرِ رَبِّكَۖ لَهُۥ مَا بَيۡنَ أَيۡدِينَا وَمَا خَلۡفَنَا وَمَا بَيۡنَ ذَٰلِكَۚ وَمَا كَانَ رَبُّكَ نَسِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۴⁩ کھولیں

    aur ( farishtay tum say yeh kehtay hain kay ) hum aap kay rab kay hukum kay baghair utar ker nahi aatay . jo kuch humaray aagay hai , aur jo kuch humaray peechay hai , aur jo kuch inn kay darmiyan hai , woh sabb ussi ki milkiyat hai . aur tumhara rab aisa nahi hai jo bhool jaya keray .

  65. رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا فَٱعۡبُدۡهُ وَٱصۡطَبِرۡ لِعِبَٰدَتِهِۦۚ هَلۡ تَعۡلَمُ لَهُۥ سَمِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۵⁩ کھولیں

    woh aasmano aur zameen ka bhi malik hai , aur jo makhlooqaat unn kay darmiyan hain , unn ka bhi . lehaza tum uss ki ibadat kero , aur uss ki ibadat per jamay raho . kiya tumharay ilm mein koi aur hai jo uss jaisi sifaat rakhta ho-?

  66. وَيَقُولُ ٱلۡإِنسَٰنُ أَءِذَا مَا مِتُّ لَسَوۡفَ أُخۡرَجُ حَيًّا

    آیت ⁦۱۹:۶۶⁩ کھولیں

    aur ( kafir ) insan yeh kehta hai kay : jab mein mar-chuka hun ga to kiya waqaee uss waqt mujhay zinda ker kay nikala jaye ga-?

  67. أَوَلَا يَذۡكُرُ ٱلۡإِنسَٰنُ أَنَّا خَلَقۡنَٰهُ مِن قَبۡلُ وَلَمۡ يَكُ شَيۡـٔٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۷⁩ کھولیں

    kiya iss insan ko yeh baat yaad nahi aati kay hum ney ussay shuroo mein uss waqt peda kiya tha jab woh kuch bhi nahi tha-?

  68. فَوَرَبِّكَ لَنَحۡشُرَنَّهُمۡ وَٱلشَّيَٰطِينَ ثُمَّ لَنُحۡضِرَنَّهُمۡ حَوۡلَ جَهَنَّمَ جِثِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۸⁩ کھولیں

    to qasam hai tumharay perwerdigar ki ! hum inn ko aur inn kay sath saray shetanon ko zaroor ikattha keren gay , phir inn ko dozakh kay gird iss tarah ley ker ayen gay kay yeh sabb ghuttnon kay ball giray huye hon gay .

  69. ثُمَّ لَنَنزِعَنَّ مِن كُلِّ شِيعَةٍ أَيُّهُمۡ أَشَدُّ عَلَى ٱلرَّحۡمَٰنِ عِتِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۶۹⁩ کھولیں

    phir inn kay her giroh mein say unn logon ko kheench nikalen gay jo khudaye rehman kay sath sarkashi kernay mein ziyada sakht thay .

  70. ثُمَّ لَنَحۡنُ أَعۡلَمُ بِٱلَّذِينَ هُمۡ أَوۡلَىٰ بِهَا صِلِيّٗا 

    آیت ⁦۱۹:۷۰⁩ کھولیں

    phir yeh baat hum hi khoob jantay hain kay woh kon log hain jo sabb say pehlay iss dozakh mein jhonkay janey kay ziyada mustahiq hain .

  71. وَإِن مِّنكُمۡ إِلَّا وَارِدُهَاۚ كَانَ عَلَىٰ رَبِّكَ حَتۡمٗا مَّقۡضِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۷۱⁩ کھولیں

    aur tum mein say koi nahi hai jiss ka iss ( dozakh ) per guzar naa ho . iss baat ka tumharay perwerdigar ney hatmi tor per zimma ley rakha hai .

  72. ثُمَّ نُنَجِّي ٱلَّذِينَ ٱتَّقَواْ وَّنَذَرُ ٱلظَّٰلِمِينَ فِيهَا جِثِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۷۲⁩ کھولیں

    phir jinn logon ney taqwa ikhtiyar kiya hai , unhen toh hum nijat dey den gay , aur jo zalim hain , unhen iss halat mein chorr den gay kay woh iss ( dozakh mein ) ghuttnon kay ball parray hon gay .

  73. وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَيُّ ٱلۡفَرِيقَيۡنِ خَيۡرٞ مَّقَامٗا وَأَحۡسَنُ نَدِيّٗا

    آیت ⁦۱۹:۷۳⁩ کھولیں

    aur jab unn kay samney humari khuli khuli aayaten tilawat ki jati hain , toh kafir log mominon say kehtay hain kay : batao , hum dono fareeqon mein say kiss ka maqam ziyada behtar hai , aur kiss ki majlis ziyada achi hai ?

  74. وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّن قَرۡنٍ هُمۡ أَحۡسَنُ أَثَٰثٗا وَرِءۡيٗا

    آیت ⁦۱۹:۷۴⁩ کھولیں

    aur ( yeh nahi dekhtay kay ) inn say pehlay hum kitni naslen halak ker-chukay hain , jo apney saz-o-saman aur zahiri aan baan mein inn say kahen behtar then .

  75. قُلۡ مَن كَانَ فِي ٱلضَّلَٰلَةِ فَلۡيَمۡدُدۡ لَهُ ٱلرَّحۡمَٰنُ مَدًّاۚ حَتَّىٰٓ إِذَا رَأَوۡاْ مَا يُوعَدُونَ إِمَّا ٱلۡعَذَابَ وَإِمَّا ٱلسَّاعَةَ فَسَيَعۡلَمُونَ مَنۡ هُوَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضۡعَفُ جُندٗا

    آیت ⁦۱۹:۷۵⁩ کھولیں

    keh do kay : jo log gumrahi mein jaa parren toh unn kay liye munasib yehi hai kay khudaye rehman unhen khoob dheel deta rahey . yahan tak kay jab yeh log woh cheez khud dekh len gay jiss say enhen daraya jaraha hai , chahye woh ( iss duniya ka ) azab ho , ya qayamat , to uss waqt enhen pata chalay ga kay bad-tareen maqam kiss ka tha , aur lashkar kiss ka ziyada kamzor tha .

  76. وَيَزِيدُ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ٱهۡتَدَوۡاْ هُدٗىۗ وَٱلۡبَٰقِيَٰتُ ٱلصَّٰلِحَٰتُ خَيۡرٌ عِندَ رَبِّكَ ثَوَابٗا وَخَيۡرٞ مَّرَدًّا

    آیت ⁦۱۹:۷۶⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney seedha raasta ikhtiyar kerliya hai , Allah unn ko hidayat mein aur taraqqi deta hai . aur jo naik amal baqi rehney walay hain , unn ka badla bhi tumharay perwerdigar kay yahan behtar milay ga , aur unn ka ( majmooi ) anjam bhi behtar hoga .

  77. أَفَرَءَيۡتَ ٱلَّذِي كَفَرَ بِـَٔايَٰتِنَا وَقَالَ لَأُوتَيَنَّ مَالٗا وَوَلَدًا

    آیت ⁦۱۹:۷۷⁩ کھولیں

    bhala tum ney uss shaks ko bhi dekha jiss ney humari aayaton ko manney say inkar kiya hai, aur yeh kaha hai kay : mujhay maal aur aulad ( aakhirat mein bhi ) zaroor milen gay .

  78. أَطَّلَعَ ٱلۡغَيۡبَ أَمِ ٱتَّخَذَ عِندَ ٱلرَّحۡمَٰنِ عَهۡدٗا

    آیت ⁦۱۹:۷۸⁩ کھولیں

    kiya uss ney aalam-e-ghaib mein jhank ker dekh liya hai , ya uss ney khudaye rehman say koi ehad ley rakha hai-?

  79. كَلَّاۚ سَنَكۡتُبُ مَا يَقُولُ وَنَمُدُّ لَهُۥ مِنَ ٱلۡعَذَابِ مَدّٗا

    آیت ⁦۱۹:۷۹⁩ کھولیں

    hergiz nahi ! jo kuch yeh keh raha hai , hum ussay bhi likh rakhen gay , aur uss kay azab mein aur izafa kerden gay .

  80. وَنَرِثُهُۥ مَا يَقُولُ وَيَأۡتِينَا فَرۡدٗا 

    آیت ⁦۱۹:۸۰⁩ کھولیں

    aur jiss ( maal aur aulad ) ka yeh hawala dey raha hai , uss kay waris hum hon gay , aur yeh humaray paas tan e tanha aaye ga .

  81. وَٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ ءَالِهَةٗ لِّيَكُونُواْ لَهُمۡ عِزّٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۱⁩ کھولیں

    aur unn logon ney Allah kay siwa doosray mabood iss liye bana rakhay hain takay woh inn ki pusht panahi keren .

  82. كَلَّاۚ سَيَكۡفُرُونَ بِعِبَادَتِهِمۡ وَيَكُونُونَ عَلَيۡهِمۡ ضِدًّا

    آیت ⁦۱۹:۸۲⁩ کھولیں

    yeh sabb ghalat baat hai ! woh toh inn ki ibadat hi ka inkar kerden gay , aur ultay inn kay mukhalif hojayen gay .

  83. أَلَمۡ تَرَ أَنَّآ أَرۡسَلۡنَا ٱلشَّيَٰطِينَ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ تَؤُزُّهُمۡ أَزّٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۳⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) kiya tumhen yeh maloom nahi hai kay hum ney kafiron per shayateen chorr rakhay hain jo enhen barabar uksatey rehtay hain-?

  84. فَلَا تَعۡجَلۡ عَلَيۡهِمۡۖ إِنَّمَا نَعُدُّ لَهُمۡ عَدّٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۴⁩ کھولیں

    lehaza tum inn kay moamlay mein jaldi naa kero . hum toh inn kay liye ginti ginn rahey hain .

  85. يَوۡمَ نَحۡشُرُ ٱلۡمُتَّقِينَ إِلَى ٱلرَّحۡمَٰنِ وَفۡدٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۵⁩ کھولیں

    . ( uss din ko naa bhoolo ) jiss din hum saray muttaqi logon ko mehman bana ker khudaye rehman kay paas jama keren gay ,

  86. وَنَسُوقُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ إِلَىٰ جَهَنَّمَ وِرۡدٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۶⁩ کھولیں

    aur mujrimon ko piyasay janweron ki tarah hanka ker dozakh ki taraf ley jayen gay .

  87. لَّا يَمۡلِكُونَ ٱلشَّفَٰعَةَ إِلَّا مَنِ ٱتَّخَذَ عِندَ ٱلرَّحۡمَٰنِ عَهۡدٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۷⁩ کھولیں

    logon ko kissi ki sifarish kernay ka ikhtiyar bhi nahi hoga , siwaye unn logon kay jinhon ney khudaye rehman say koi ijazat hasil kerli ho .

  88. وَقَالُواْ ٱتَّخَذَ ٱلرَّحۡمَٰنُ وَلَدٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۸⁩ کھولیں

    aur yeh log kehtay hain kay khudaye rehman ki koi aulad hai !

  89. لَّقَدۡ جِئۡتُمۡ شَيۡـًٔا إِدّٗا

    آیت ⁦۱۹:۸۹⁩ کھولیں

    . ( aesi baat kehney walo ! ) haqeeqat yeh hai kay tum ney bari sangeen harkat ki hai .

  90. تَكَادُ ٱلسَّمَٰوَٰتُ يَتَفَطَّرۡنَ مِنۡهُ وَتَنشَقُّ ٱلۡأَرۡضُ وَتَخِرُّ ٱلۡجِبَالُ هَدًّا 

    آیت ⁦۱۹:۹۰⁩ کھولیں

    kuch baeed nahi kay iss ki wajeh say aasman phatt parren , zameen shaqq hojaye aur pahar toot ker gir parren .

  91. أَن دَعَوۡاْ لِلرَّحۡمَٰنِ وَلَدٗا

    آیت ⁦۱۹:۹۱⁩ کھولیں

    kay inn logon ney khudaye rehman kay liye aulad honey ka dawa kiya hai .

  92. وَمَا يَنۢبَغِي لِلرَّحۡمَٰنِ أَن يَتَّخِذَ وَلَدًا

    آیت ⁦۱۹:۹۲⁩ کھولیں

    halankay khudaye rehman ki yeh shaan nahi hai kay uss ki koi aulad ho .

  93. إِن كُلُّ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ إِلَّآ ءَاتِي ٱلرَّحۡمَٰنِ عَبۡدٗا

    آیت ⁦۱۹:۹۳⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen mein jitney log hain , unn mein say koi aisa nahi hai jo khudaye rehman kay huzoor banda ban ker naa aaye .

  94. لَّقَدۡ أَحۡصَىٰهُمۡ وَعَدَّهُمۡ عَدّٗا

    آیت ⁦۱۹:۹۴⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay uss ney sabb ka ehata ker rakha hai aur unhen khoob achi tarah gin rakha hai .

  95. وَكُلُّهُمۡ ءَاتِيهِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فَرۡدًا

    آیت ⁦۱۹:۹۵⁩ کھولیں

    aur qayamat kay din unn mein say aik aik shaks uss kay paas akela aaye ga .

  96. إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ سَيَجۡعَلُ لَهُمُ ٱلرَّحۡمَٰنُ وُدّٗا

    آیت ⁦۱۹:۹۶⁩ کھولیں

    . ( haan ) beyshak jo log emaan ley aaye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , khudaye rehman unn kay liye dilon mein mohabbat peda kerday ga .

  97. فَإِنَّمَا يَسَّرۡنَٰهُ بِلِسَانِكَ لِتُبَشِّرَ بِهِ ٱلۡمُتَّقِينَ وَتُنذِرَ بِهِۦ قَوۡمٗا لُّدّٗا

    آیت ⁦۱۹:۹۷⁩ کھولیں

    chunacheh ( aey payghumber ! ) hum ney iss Quran ko tumhari zaban mein aasaan bana diya hai takay tum iss kay zariye muttaqi logon ko khushkhabri do , aur issi kay zariye unn logon ko darao jo zidd ki wajeh say jhagray per aamada hain .

  98. وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّن قَرۡنٍ هَلۡ تُحِسُّ مِنۡهُم مِّنۡ أَحَدٍ أَوۡ تَسۡمَعُ لَهُمۡ رِكۡزَۢا

    آیت ⁦۱۹:۹۸⁩ کھولیں

    inn say pehlay hum kitni hi qoamon ko halak ker-chukay hain . kiya tumhen tatolney say bhi unn mein say kissi ka pata milta hai , ya unn mein say kissi ki bhanak bhi tumhen sunai deti hai-?