النمل

An-Naml

سورت ۲۷ · آیات: ۹۳ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. طسٓۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡقُرۡءَانِ وَكِتَابٖ مُّبِينٍ

    آیت ⁦۲۷:۱⁩ کھولیں

    Tua-Seen . yeh Quran ki aur aik aesi kitab ki aayaten hein jo haqeeqat khol denay wali hai ,

  2. هُدٗى وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۷:۲⁩ کھولیں

    yeh unn mominon kay liye sarapa hidayat aur khushkhabri ban ker aai hai

  3. ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ يُوقِنُونَ

    آیت ⁦۲۷:۳⁩ کھولیں

    jo namaz qaeem kertay hain , aur zakat ada kertay hain . aur wohi hain jo aakhirat per yaqeen rakhtay hain .

  4. إِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ زَيَّنَّا لَهُمۡ أَعۡمَٰلَهُمۡ فَهُمۡ يَعۡمَهُونَ

    آیت ⁦۲۷:۴⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay jo log aakhirat per emaan nahi rakhtay , hum ney unn kay aemal ko unn ki nazron mein khushnuma bana diya hai , iss liye woh bhataktay phir rahey hain .

  5. أُوْلَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَهُمۡ سُوٓءُ ٱلۡعَذَابِ وَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ هُمُ ٱلۡأَخۡسَرُونَ

    آیت ⁦۲۷:۵⁩ کھولیں

    yehi woh log hain jinn kay liye bura azab hai , aur wohi hain jo aakhirat mein sabb say ziyada nuqsan uthaney walay hain .

  6. وَإِنَّكَ لَتُلَقَّى ٱلۡقُرۡءَانَ مِن لَّدُنۡ حَكِيمٍ عَلِيمٍ

    آیت ⁦۲۷:۶⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) bila shubha tumhen yeh Quran uss ( Allah ) ki taraf say ata kiya jaraha hai jo hikmat ka bhi malik hai , ilm ka bhi malik .

  7. إِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِأَهۡلِهِۦٓ إِنِّيٓ ءَانَسۡتُ نَارٗا سَـَٔاتِيكُم مِّنۡهَا بِخَبَرٍ أَوۡ ءَاتِيكُم بِشِهَابٖ قَبَسٖ لَّعَلَّكُمۡ تَصۡطَلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۷⁩ کھولیں

    uss waqt ko yaad kero jab musa ney apney ghar walon say kaha tha kay : mujhay aik aag nazar aai hai . mein abhi tumharay paas wahan say koi khabar ley ker aata hun , ya phir tumharay paas aag ka koi shola utha kerlay aaon ga , takay tum aag say garmi hasil ker-sako .

  8. فَلَمَّا جَآءَهَا نُودِيَ أَنۢ بُورِكَ مَن فِي ٱلنَّارِ وَمَنۡ حَوۡلَهَا وَسُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۷:۸⁩ کھولیں

    chunacheh jab woh uss aag kay paas phonchay to unhen aawaz di gaee kay : barkat ho unn per bhi jo iss aag kay andar hain , aur uss per bhi jo iss kay aas paas hai , aur pak hai Allah jo saray jahano ka perwerdigar hai .

  9. يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّهُۥٓ أَنَا ٱللَّهُ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

    آیت ⁦۲۷:۹⁩ کھولیں

    aey musa ! baat yeh hai kay mein Allah hun , baray iqtidar wala , bari hikmat wala ,

  10. وَأَلۡقِ عَصَاكَۚ فَلَمَّا رَءَاهَا تَهۡتَزُّ كَأَنَّهَا جَآنّٞ وَلَّىٰ مُدۡبِرٗا وَلَمۡ يُعَقِّبۡۚ يَٰمُوسَىٰ لَا تَخَفۡ إِنِّي لَا يَخَافُ لَدَيَّ ٱلۡمُرۡسَلُونَ 

    آیت ⁦۲۷:۱۰⁩ کھولیں

    aur zara apni laathi ko neechay phenko . phir jab unhon ney laathi ko dekha kay woh iss tarah harkat ker rahi hai jaisay woh koi saanp ho to woh peeth pher ker bhagay , aur peechay murr ker bhi naa dekha . ( irshad huwa ) musa ! daro nahi , jinn ko payghumber banaya jata hai , unn ko meray huzoor koi andesha nahi hota ,

  11. إِلَّا مَن ظَلَمَ ثُمَّ بَدَّلَ حُسۡنَۢا بَعۡدَ سُوٓءٖ فَإِنِّي غَفُورٞ رَّحِيمٞ

    آیت ⁦۲۷:۱۱⁩ کھولیں

    illa yeh kay kissi ney koi ziyadti ki ho . phir woh burai kay baad ussay badal ker achay kaam kerlay , to mein boht bakhshney wala , bara meharban hun .

  12. وَأَدۡخِلۡ يَدَكَ فِي جَيۡبِكَ تَخۡرُجۡ بَيۡضَآءَ مِنۡ غَيۡرِ سُوٓءٖۖ فِي تِسۡعِ ءَايَٰتٍ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَقَوۡمِهِۦٓۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ

    آیت ⁦۲۷:۱۲⁩ کھولیں

    aur apna haath apney giraybaan mein dakhil kero , to woh kissi beemari kay baghair safaid ho ker niklay ga . yeh dono baaten unn no nishaniyon mein say hain jo firon aur uss ki qoam ki taraf ( tumharay zariye ) bheji jarahi hain . haqeeqat yeh hai kay woh nafarman log hain .

  13. فَلَمَّا جَآءَتۡهُمۡ ءَايَٰتُنَا مُبۡصِرَةٗ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٞ

    آیت ⁦۲۷:۱۳⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay jab unn kay paas humari nishaniyan iss tarah phonchen kay woh aankhen kholney wali then , to unhon ney kaha kay : yeh to khula huwa jadoo hai .

  14. وَجَحَدُواْ بِهَا وَٱسۡتَيۡقَنَتۡهَآ أَنفُسُهُمۡ ظُلۡمٗا وَعُلُوّٗاۚ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُفۡسِدِينَ

    آیت ⁦۲۷:۱۴⁩ کھولیں

    aur agar-cheh unn kay dilon ko unn ( ki sachai ) ka yaqeen hochuka tha , magar unhon ney zulm aur takabbur ki wajeh say unn ka inkar kiya . abb dekh lo kay unn fasad machaney walon ka anjam kaisa huwa-?

  15. وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ وَسُلَيۡمَٰنَ عِلۡمٗاۖ وَقَالَا ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي فَضَّلَنَا عَلَىٰ كَثِيرٖ مِّنۡ عِبَادِهِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۷:۱۵⁩ کھولیں

    aur hum ney dawood aur suleman ko ilm ata kiya . aur unhon ney kaha : tamam tareefen Allah ki hain jiss ney hamen apney boht say momin bandon per fazilat ata farmaee hai .

  16. وَوَرِثَ سُلَيۡمَٰنُ دَاوُۥدَۖ وَقَالَ يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ عُلِّمۡنَا مَنطِقَ ٱلطَّيۡرِ وَأُوتِينَا مِن كُلِّ شَيۡءٍۖ إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ ٱلۡفَضۡلُ ٱلۡمُبِينُ

    آیت ⁦۲۷:۱۶⁩ کھولیں

    aur suleman ko dawood ki virasat mili , aur unhon ney kaha : aey logo ! hamen parindon ki boli sikhai gaee hai , aur hamen her ( zaroorat ki ) cheez ata ki gaee hai . yaqeenan yeh ( Allah taalaa ka ) khula huwa fazal hai .

  17. وَحُشِرَ لِسُلَيۡمَٰنَ جُنُودُهُۥ مِنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ وَٱلطَّيۡرِ فَهُمۡ يُوزَعُونَ

    آیت ⁦۲۷:۱۷⁩ کھولیں

    aur suleman kay liye unn kay saray lashkar jama kerdiye gaye thay jo jinnaat , insanon aur parindon per mushtamil thay , chunacheh unhen qaboo mein rakha jata tha .

  18. حَتَّىٰٓ إِذَآ أَتَوۡاْ عَلَىٰ وَادِ ٱلنَّمۡلِ قَالَتۡ نَمۡلَةٞ يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّمۡلُ ٱدۡخُلُواْ مَسَٰكِنَكُمۡ لَا يَحۡطِمَنَّكُمۡ سُلَيۡمَٰنُ وَجُنُودُهُۥ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ

    آیت ⁦۲۷:۱۸⁩ کھولیں

    yahan tak kay aik din jab yeh sabb chewntiyon ki wadi mein phonchay to aik chewnti ney kaha : chewntiyo ! apney apney gharon mein ghuss jao , kahen aisa naa ho kay suleman aur unn ka lashkar tumhen pees daalay , aur unhen pata bhi naa chalay .

  19. فَتَبَسَّمَ ضَاحِكٗا مِّن قَوۡلِهَا وَقَالَ رَبِّ أَوۡزِعۡنِيٓ أَنۡ أَشۡكُرَ نِعۡمَتَكَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَٰلِدَيَّ وَأَنۡ أَعۡمَلَ صَٰلِحٗا تَرۡضَىٰهُ وَأَدۡخِلۡنِي بِرَحۡمَتِكَ فِي عِبَادِكَ ٱلصَّٰلِحِينَ

    آیت ⁦۲۷:۱۹⁩ کھولیں

    uss ki baat per suleman muskura ker hansay , aur kehney lagay : meray perwerdigar ! mujhay iss baat ka paband bana dijiye kay mein aap ki unn naimaton ka shukar ada kerun jo aap ney mujhay aur meray walaiden ko ata farmaee hain , aur woh naik amal kerun jo aap ko pasand ho , aur apni rehmat say mujhay apney naik bandon mein shamil farma-lijiye .

  20. وَتَفَقَّدَ ٱلطَّيۡرَ فَقَالَ مَا لِيَ لَآ أَرَى ٱلۡهُدۡهُدَ أَمۡ كَانَ مِنَ ٱلۡغَآئِبِينَ

    آیت ⁦۲۷:۲۰⁩ کھولیں

    aur unhon ney ( aik martaba ) parindon ki haziri li to kaha : kiya baat hai , mujhay hudhud nazar nahi aaraha , kiya woh kahen ghaeeb hogaya hai-?

  21. لَأُعَذِّبَنَّهُۥ عَذَابٗا شَدِيدًا أَوۡ لَأَاْذۡبَحَنَّهُۥٓ أَوۡ لَيَأۡتِيَنِّي بِسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۲۷:۲۱⁩ کھولیں

    mein ussay sakht saza dun ga , ya ussay zibah ker daalun ga , illa yeh kay woh meray samney koi wazeh wajeh paish keray .

  22. فَمَكَثَ غَيۡرَ بَعِيدٖ فَقَالَ أَحَطتُ بِمَا لَمۡ تُحِطۡ بِهِۦ وَجِئۡتُكَ مِن سَبَإِۭ بِنَبَإٖ يَقِينٍ

    آیت ⁦۲۷:۲۲⁩ کھولیں

    phir hudhud ney ziyada dair nahi lagai aur ( aa-ker ) kaha kay : mein ney aesi maloomaat hasil ki hain jinn ka aap ko ilm nahi hai , aur mein mulk e saba say aap kay paas aik yaqeeni khabar ley ker aaya hun .

  23. إِنِّي وَجَدتُّ ٱمۡرَأَةٗ تَمۡلِكُهُمۡ وَأُوتِيَتۡ مِن كُلِّ شَيۡءٖ وَلَهَا عَرۡشٌ عَظِيمٞ

    آیت ⁦۲۷:۲۳⁩ کھولیں

    mein ney wahan aik aurat ko paya jo unn logon per badshahat ker rahi hai , aur uss ko her tarah ka saz-o-saman diya gaya hai , aur uss ka aik shandaar takht bhi hai .

  24. وَجَدتُّهَا وَقَوۡمَهَا يَسۡجُدُونَ لِلشَّمۡسِ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ فَصَدَّهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ فَهُمۡ لَا يَهۡتَدُونَ

    آیت ⁦۲۷:۲۴⁩ کھولیں

    mein ney uss aurat aur uss ki qoam ko paya hai kay woh Allah ko chorr ker sooraj kay aagay sajday kertay hain , aur shetan ney unn ko yeh sujha diya hai kay unn kay aemal boht achay hain , chunacheh uss ney unhen sahih raastay say rok rakha hai aur iss tarah woh hidayat say itney door hain

  25. أَلَّاۤ يَسۡجُدُواْۤ لِلَّهِ ٱلَّذِي يُخۡرِجُ ٱلۡخَبۡءَ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَيَعۡلَمُ مَا تُخۡفُونَ وَمَا تُعۡلِنُونَ

    آیت ⁦۲۷:۲۵⁩ کھولیں

    kay Allah ko sajda nahi kertay jo aasmano aur zameen ki chupi hoi cheezon ko bahir nikal lata hai , aur tum jo kuch chupao , aur jo kuch zahir kero , sabb ko janta hai .

  26. ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡعَظِيمِ۩

    آیت ⁦۲۷:۲۶⁩ کھولیں

    Allah to woh hai jiss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi , ( aur ) jo arsh-e-azeem ka malik hai . ( ? )

  27. ۞قَالَ سَنَنظُرُ أَصَدَقۡتَ أَمۡ كُنتَ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ

    آیت ⁦۲۷:۲۷⁩ کھولیں

    suleman ney kaha : hum abhi dekh letay hain kay tum ney sach kaha hai ya jhoot bolney walon mein tum bhi shamil hogaye ho .

  28. ٱذۡهَب بِّكِتَٰبِي هَٰذَا فَأَلۡقِهۡ إِلَيۡهِمۡ ثُمَّ تَوَلَّ عَنۡهُمۡ فَٱنظُرۡ مَاذَا يَرۡجِعُونَ

    آیت ⁦۲۷:۲۸⁩ کھولیں

    mera yeh khat ley ker jao aur unn kay paas daal dena , phir alag hatt jana , aur dekhna kay woh jawab mein kiya kertay hain .

  29. قَالَتۡ يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَؤُاْ إِنِّيٓ أُلۡقِيَ إِلَيَّ كِتَٰبٞ كَرِيمٌ

    آیت ⁦۲۷:۲۹⁩ کھولیں

    . ( chunacheh hudhud ney aisa hi kiya aur ) malka ney ( apney darbariyon say ) kaha : qoam kay sardaro ! meray samney aik ba-waqar khat daala gaya hai ,

  30. إِنَّهُۥ مِن سُلَيۡمَٰنَ وَإِنَّهُۥ بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ 

    آیت ⁦۲۷:۳۰⁩ کھولیں

    woh suleman ki taraf say aaya hai , aur woh Allah kay naam say shuroo kiya gaya hai jo rehman o raheem hai ,

  31. أَلَّا تَعۡلُواْ عَلَيَّ وَأۡتُونِي مُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۲۷:۳۱⁩ کھولیں

    . ( uss mein likha hai ) kay : meray muqablay mein sarkashi naa kero , aur meray paas tabey daar ban ker chalay aao .

  32. قَالَتۡ يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَؤُاْ أَفۡتُونِي فِيٓ أَمۡرِي مَا كُنتُ قَاطِعَةً أَمۡرًا حَتَّىٰ تَشۡهَدُونِ

    آیت ⁦۲۷:۳۲⁩ کھولیں

    malka ney kaha : qoam kay sardaro ! jo masla meray samney aaya hai , uss mein mujhay faisla kunn mashwara do . mein kissi maslay ka hatmi faisla uss waqt tak nahi kerti jab tak tum meray paas mojood naa ho .

  33. قَالُواْ نَحۡنُ أُوْلُواْ قُوَّةٖ وَأُوْلُواْ بَأۡسٖ شَدِيدٖ وَٱلۡأَمۡرُ إِلَيۡكِ فَٱنظُرِي مَاذَا تَأۡمُرِينَ

    آیت ⁦۲۷:۳۳⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : hum taqatwar aur datt ker larrney walay log hain , aagay moamla aap kay supurd hai , abb aap dekh len kay kiya hukum deti hain .

  34. قَالَتۡ إِنَّ ٱلۡمُلُوكَ إِذَا دَخَلُواْ قَرۡيَةً أَفۡسَدُوهَا وَجَعَلُوٓاْ أَعِزَّةَ أَهۡلِهَآ أَذِلَّةٗۚ وَكَذَٰلِكَ يَفۡعَلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۳۴⁩ کھولیں

    malka boli : haqeeqat yeh hai kay badshah log jab kissi basti mein ghuss aatay hain to ussay kharab ker daaltay hain , aur uss kay ba-izzat bashindon ko zaleel ker kay chortay hain , aur yehi kuch yeh log bhi keren gay .

  35. وَإِنِّي مُرۡسِلَةٌ إِلَيۡهِم بِهَدِيَّةٖ فَنَاظِرَةُۢ بِمَ يَرۡجِعُ ٱلۡمُرۡسَلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۳۵⁩ کھولیں

    aur mein unn kay paas aik tohfa bhejti hun , phir dekhun gi kay aelchi kiya jawab ley ker wapis aatay hain-?

  36. فَلَمَّا جَآءَ سُلَيۡمَٰنَ قَالَ أَتُمِدُّونَنِ بِمَالٖ فَمَآ ءَاتَىٰنِۦَ ٱللَّهُ خَيۡرٞ مِّمَّآ ءَاتَىٰكُمۚ بَلۡ أَنتُم بِهَدِيَّتِكُمۡ تَفۡرَحُونَ

    آیت ⁦۲۷:۳۶⁩ کھولیں

    chunacheh jab aelchi suleman kay paas phoncha to unhon ney kaha : kiya tum maal say meri imdad kerna chahtay ho-? iss ka jawab yeh hai kay Allah ney jo kuch mujhay diya hai , woh uss say kahen behtar hai jo tumhen diya hai , albatta tum hi log apney tohfay per khush hotay ho .

  37. ٱرۡجِعۡ إِلَيۡهِمۡ فَلَنَأۡتِيَنَّهُم بِجُنُودٖ لَّا قِبَلَ لَهُم بِهَا وَلَنُخۡرِجَنَّهُم مِّنۡهَآ أَذِلَّةٗ وَهُمۡ صَٰغِرُونَ

    آیت ⁦۲۷:۳۷⁩ کھولیں

    unn kay paas wapis jao , kiyonkay abb hum unn kay paas aesay lashkar ley ker phonchen gay jinn kay muqablay ki unn mein taab nahi hogi , aur unhen wahan say iss tarah nikalen gay kay woh zaleel hon gay , aur matehat ban ker rahen gay .

  38. قَالَ يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَؤُاْ أَيُّكُمۡ يَأۡتِينِي بِعَرۡشِهَا قَبۡلَ أَن يَأۡتُونِي مُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۲۷:۳۸⁩ کھولیں

    suleman ney kaha : aey ehal-e-darbar ! tum mein say kon hai jo uss aurat ka takht unn kay tabey daar ban ker aaney say pehlay hi meray paas ley aaye-?

  39. قَالَ عِفۡرِيتٞ مِّنَ ٱلۡجِنِّ أَنَا۠ ءَاتِيكَ بِهِۦ قَبۡلَ أَن تَقُومَ مِن مَّقَامِكَۖ وَإِنِّي عَلَيۡهِ لَقَوِيٌّ أَمِينٞ

    آیت ⁦۲۷:۳۹⁩ کھولیں

    aik qawi haikal jinn ney kaha : aap apni jagah say uthay bhi naa hon gay kay mein uss say pehlay hi ussay aap kay paas ley aaon ga , aur yaqeen rakhiye kay mein iss kaam ki poori taqat rakhta hun , ( aur ) amanat daar bhi hun .

  40. قَالَ ٱلَّذِي عِندَهُۥ عِلۡمٞ مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ أَنَا۠ ءَاتِيكَ بِهِۦ قَبۡلَ أَن يَرۡتَدَّ إِلَيۡكَ طَرۡفُكَۚ فَلَمَّا رَءَاهُ مُسۡتَقِرًّا عِندَهُۥ قَالَ هَٰذَا مِن فَضۡلِ رَبِّي لِيَبۡلُوَنِيٓ ءَأَشۡكُرُ أَمۡ أَكۡفُرُۖ وَمَن شَكَرَ فَإِنَّمَا يَشۡكُرُ لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ رَبِّي غَنِيّٞ كَرِيمٞ 

    آیت ⁦۲۷:۴۰⁩ کھولیں

    jiss kay paas kitab ka ilm tha , woh bol utha : mein aap ki aankh jhapakney say pehlay hi ussay aap kay paas ley aata hun . chunacheh jab suleman ney woh takht apney paas rakha huwa dekha to kaha : yeh meray perwerdigar ka fazal hai , takay woh mujhay aazamaye kay mein shukar kerta hun ya nashukri-? aur jo koi shukar kerta hai to woh apney hi faeeday kay liye shukar kerta hai , aur agar koi nashukri keray to mera perwerdigar bey niaz hai , karim hai .

  41. قَالَ نَكِّرُواْ لَهَا عَرۡشَهَا نَنظُرۡ أَتَهۡتَدِيٓ أَمۡ تَكُونُ مِنَ ٱلَّذِينَ لَا يَهۡتَدُونَ

    آیت ⁦۲۷:۴۱⁩ کھولیں

    suleman ney ( apney khuddaam say ) kaha kay : iss malka kay takht ko iss kay liye ajnabi bana do , dekhen woh issay pehchanti hai , ya woh unn logon mein say hai jo haqeeqat tak nahi phonchtay-?

  42. فَلَمَّا جَآءَتۡ قِيلَ أَهَٰكَذَا عَرۡشُكِۖ قَالَتۡ كَأَنَّهُۥ هُوَۚ وَأُوتِينَا ٱلۡعِلۡمَ مِن قَبۡلِهَا وَكُنَّا مُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۲۷:۴۲⁩ کھولیں

    gharz jab woh aai to uss say poocha gaya : kiya tumhara takht aisa hi hai-? kehney lagi : aisa lagta hai kay yeh to bilkul wohi hai . hamen to iss say pehlay hi ( aap ki sachai ka ) ilm ata hogaya tha , aur hum sar jhuka chukay thay .

  43. وَصَدَّهَا مَا كَانَت تَّعۡبُدُ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ إِنَّهَا كَانَتۡ مِن قَوۡمٖ كَٰفِرِينَ

    آیت ⁦۲۷:۴۳⁩ کھولیں

    aur ( abb tak ) uss ko ( emaan laney say ) iss baat ney rok rakha tha kay woh Allah kay bajaye doosron ki ibadat kerti thi , aakhir woh aik kafir qoam say talluq rakhti thi .

  44. قِيلَ لَهَا ٱدۡخُلِي ٱلصَّرۡحَۖ فَلَمَّا رَأَتۡهُ حَسِبَتۡهُ لُجَّةٗ وَكَشَفَتۡ عَن سَاقَيۡهَاۚ قَالَ إِنَّهُۥ صَرۡحٞ مُّمَرَّدٞ مِّن قَوَارِيرَۗ قَالَتۡ رَبِّ إِنِّي ظَلَمۡتُ نَفۡسِي وَأَسۡلَمۡتُ مَعَ سُلَيۡمَٰنَ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ

    آیت ⁦۲۷:۴۴⁩ کھولیں

    uss say kaha gaya kay : iss mehal mein dakhil hojao uss ney jo dekha to yeh samjhi kay yeh paani hai , iss liye uss ney ( paeenchay charha ker ) apni pindliyan khol den . suleman ney kaha kay : yeh to mehal hai jo shishon ki wajeh say shaffaaf nazar aaraha hai . malka bol uthi : meray perwerdigar ! haqeeqat yeh hai kay mein ney ( abb tak ) apni jaan per zulm kiya hai , aur abb mein ney suleman kay sath Allah Rabb-ul-Aalameen ki farmanbardaari qubool kerli hai .

  45. وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَىٰ ثَمُودَ أَخَاهُمۡ صَٰلِحًا أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ فَإِذَا هُمۡ فَرِيقَانِ يَخۡتَصِمُونَ

    آیت ⁦۲۷:۴۵⁩ کھولیں

    aur hum ney qoam-e-samood kay paas unn kay bhai saleh ko yeh paygham dey ker bheja kay tum Allah ki ibadat kero , to achanak woh do giroh ban gaye jo aapas mein jhagarrney lagay .

  46. قَالَ يَٰقَوۡمِ لِمَ تَسۡتَعۡجِلُونَ بِٱلسَّيِّئَةِ قَبۡلَ ٱلۡحَسَنَةِۖ لَوۡلَا تَسۡتَغۡفِرُونَ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ

    آیت ⁦۲۷:۴۶⁩ کھولیں

    saleh ney kaha : meri qoam kay logo ! achai say pehlay burai ko kiyon jaldi maangtay ho . tum Allah say moaafi kiyon nahi maangtay takay tum per reham farmaya jaye-?

  47. قَالُواْ ٱطَّيَّرۡنَا بِكَ وَبِمَن مَّعَكَۚ قَالَ طَٰٓئِرُكُمۡ عِندَ ٱللَّهِۖ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ تُفۡتَنُونَ

    آیت ⁦۲۷:۴۷⁩ کھولیں

    unhon ney kaha : hum ney to tum say aur tumharay sathiyon say bura shagoon liya hai . saleh ney kaha : tumhara shagoon to Allah kay qabazay mein hai , albatta tum logon ki aazmaesh horahi hai .

  48. وَكَانَ فِي ٱلۡمَدِينَةِ تِسۡعَةُ رَهۡطٖ يُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا يُصۡلِحُونَ

    آیت ⁦۲۷:۴۸⁩ کھولیں

    aur shehar mein no aadmi aesay thay jo zameen mein fasad machatay thay , aur islaah ka kaam nahi kertay thay .

  49. قَالُواْ تَقَاسَمُواْ بِٱللَّهِ لَنُبَيِّتَنَّهُۥ وَأَهۡلَهُۥ ثُمَّ لَنَقُولَنَّ لِوَلِيِّهِۦ مَا شَهِدۡنَا مَهۡلِكَ أَهۡلِهِۦ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ

    آیت ⁦۲۷:۴۹⁩ کھولیں

    unhon ney ( aapas mein aik doosray say ) kaha : sabb milker Allah ki qasam khao kay hum saleh aur uss kay ghar walon per raat kay waqt hamla keren gay , phir uss kay waris say keh den gay kay hum unn ghar walon ki halakat kay waqt mojood hi naa thay , aur yaqeen jano hum bilkul sachay hain .

  50. وَمَكَرُواْ مَكۡرٗا وَمَكَرۡنَا مَكۡرٗا وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ 

    آیت ⁦۲۷:۵۰⁩ کھولیں

    unhon ney yeh chaal chali , aur hum ney bhi aik chaal iss tarah chali kay unn ko pata bhi naa lagg saka .

  51. فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ مَكۡرِهِمۡ أَنَّا دَمَّرۡنَٰهُمۡ وَقَوۡمَهُمۡ أَجۡمَعِينَ

    آیت ⁦۲۷:۵۱⁩ کھولیں

    abb dekho kay unn ki chaal bazi ka anjam kaisa huwa kay hum ney unhen aur unn ki sari qoam ko tabah ker kay rakh diya .

  52. فَتِلۡكَ بُيُوتُهُمۡ خَاوِيَةَۢ بِمَا ظَلَمُوٓاْۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۲۷:۵۲⁩ کھولیں

    chunacheh woh rahey unn kay ghar jo unn kay zulm ki wajeh say weeran parray hain ! yaqeenan iss waqaey mein unn logon kay liye ibrat ka saman hai jo ilm say kaam letay hain .

  53. وَأَنجَيۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ

    آیت ⁦۲۷:۵۳⁩ کھولیں

    aur jo log emaan laye thay , aur taqwa ikhtiyar kiye huye thay , unn sabb ko hum ney bacha liya .

  54. وَلُوطًا إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦٓ أَتَأۡتُونَ ٱلۡفَٰحِشَةَ وَأَنتُمۡ تُبۡصِرُونَ

    آیت ⁦۲۷:۵۴⁩ کھولیں

    aur hum ney loot ko payghumber bana ker bheja jabkay unhon ney apni qoam say kaha tha kay : kiya tum khuli aankhon dekhtay huye bhi bey hayai ka yeh kaam kertay ho-?

  55. أَئِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلرِّجَالَ شَهۡوَةٗ مِّن دُونِ ٱلنِّسَآءِۚ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ تَجۡهَلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۵۵⁩ کھولیں

    kiya yeh koi yaqeen kernay ki baat hai kay tum apni jinsi khuwaish kay liye aurton ko chorr ker mardon kay paas jatay ho-? haqeeqat yeh hai kay tum bari jihalat kay kaam kernay walay log ho .

  56. ۞فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ أَخۡرِجُوٓاْ ءَالَ لُوطٖ مِّن قَرۡيَتِكُمۡۖ إِنَّهُمۡ أُنَاسٞ يَتَطَهَّرُونَ

    آیت ⁦۲۷:۵۶⁩ کھولیں

    iss per yeh kehney kay siwa unn ki qoam ka koi jawab nahi tha kay : loot kay ghar walon ko apni basti say nikal bahir kero , yeh baray pakbaaz bantay hain .

  57. فَأَنجَيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥٓ إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ قَدَّرۡنَٰهَا مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ

    آیت ⁦۲۷:۵۷⁩ کھولیں

    phir huwa yeh kay hum ney loot aur uss kay ghar walon ko bacha liya , siwaye unn ki biwi kay jiss kay baaray mein hum ney yeh tey kerdiya tha kay woh peechay reh janey walon mein shamil rahey gi .

  58. وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِم مَّطَرٗاۖ فَسَآءَ مَطَرُ ٱلۡمُنذَرِينَ

    آیت ⁦۲۷:۵۸⁩ کھولیں

    aur hum ney unn per aik zabardast barish barsai , chunacheh boht buri barish thi jo unn logon per barsi jinhen pehlay say khabrdar kerdiya gaya tha .

  59. قُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ وَسَلَٰمٌ عَلَىٰ عِبَادِهِ ٱلَّذِينَ ٱصۡطَفَىٰٓۗ ءَآللَّهُ خَيۡرٌ أَمَّا يُشۡرِكُونَ

    آیت ⁦۲۷:۵۹⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) kaho : tamam tareefen Allah kay liye hain , aur salam ho uss kay unn bandon per jinn ko uss ney muntakhib farmaya hai ! batao kiya Allah behtar hai ya woh jinn ko inn logon ney Allah ki khudai mein shareek bana rakha hai ?

  60. أَمَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَأَنزَلَ لَكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَنۢبَتۡنَا بِهِۦ حَدَآئِقَ ذَاتَ بَهۡجَةٖ مَّا كَانَ لَكُمۡ أَن تُنۢبِتُواْ شَجَرَهَآۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٞ يَعۡدِلُونَ 

    آیت ⁦۲۷:۶۰⁩ کھولیں

    bhala woh kon hai jiss ney aasmano aur zameen ko peda kiya , aur tumharay liye aasman say paani utaara-? phir hum ney uss paani say ba-ronaq baagh ugaye , tumharay bus mein nahi tha kay tum unn kay darakhton ko uga saktay . kiya ( phir bhi tum kehtay ho kay ) Allah kay sath koi aur khuda hai-? nahi ! balkay inn logon ney raastay say mun morr rakha hai .

  61. أَمَّن جَعَلَ ٱلۡأَرۡضَ قَرَارٗا وَجَعَلَ خِلَٰلَهَآ أَنۡهَٰرٗا وَجَعَلَ لَهَا رَوَٰسِيَ وَجَعَلَ بَيۡنَ ٱلۡبَحۡرَيۡنِ حَاجِزًاۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۲۷:۶۱⁩ کھولیں

    bhala woh kon hai jiss ney zameen ko qarar ki jagah banaya , aur uss kay bech bech mein darya peda kiye , aur uss ( ko thehraney ) kay liye ( paharon ki ) meekhen gaarr den , aur do samandaron kay darmiyan aik aarr rakh di-? kiya ( phir bhi tum kehtay ho kay ) Allah kay sath koi aur khuda hai-? nahi ! balkay unn mein say aksar log haqeeqat say na-waqif hain .

  62. أَمَّن يُجِيبُ ٱلۡمُضۡطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكۡشِفُ ٱلسُّوٓءَ وَيَجۡعَلُكُمۡ خُلَفَآءَ ٱلۡأَرۡضِۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ قَلِيلٗا مَّا تَذَكَّرُونَ

    آیت ⁦۲۷:۶۲⁩ کھولیں

    bhala woh kon hai kay jab koi bey qarar ussay pukarta hai to woh uss ki dua qubool kerta hai , aur takleef door ker deta hai , aur jo tumhen zameen ka khalifa banata hai-? kiya ( phir bhi tum kehtay ho kay ) Allah kay sath koi aur khuda hai ? nahi ! balkay tum boht kam naseehat qubool kertay ho .

  63. أَمَّن يَهۡدِيكُمۡ فِي ظُلُمَٰتِ ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ وَمَن يُرۡسِلُ ٱلرِّيَٰحَ بُشۡرَۢا بَيۡنَ يَدَيۡ رَحۡمَتِهِۦٓۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ تَعَٰلَى ٱللَّهُ عَمَّا يُشۡرِكُونَ

    آیت ⁦۲۷:۶۳⁩ کھولیں

    bhala woh kon hai jo khushki aur samandar kay andheron mein tumhen raasta dikhata hai , aur jo apni rehmat ( ki barish ) say pehlay hawayen bhejta hai jo tumhen ( barish ki ) khushkhabri deti hain-? kiya ( phir bhi tum kehtay ho kay ) Allah kay sath koi aur khuda hai-? ( nahi ! balkay ) Allah uss shirk say boht baala o bartar hai jiss ka irtikab yeh log ker rahey hain .

  64. أَمَّن يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ وَمَن يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ قُلۡ هَاتُواْ بُرۡهَٰنَكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۲۷:۶۴⁩ کھولیں

    bhala woh kon hai jiss ney sari makhlooq ko pehli baar peda kiya , phir woh uss ko dobara peda keray ga , aur jo tumhen aasman aur zameen say rizq farham kerta hai-? kiya ( phir bhi tum kehtay ho kay ) Allah kay sath koi aur khuda hai-? kaho : lao apni koi daleel , agar tum sachay ho .

  65. قُل لَّا يَعۡلَمُ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ ٱلۡغَيۡبَ إِلَّا ٱللَّهُۚ وَمَا يَشۡعُرُونَ أَيَّانَ يُبۡعَثُونَ

    آیت ⁦۲۷:۶۵⁩ کھولیں

    keh do kay : Allah kay siwa aasmano aur zameen mein kissi ko bhi ghaib ka ilm nahi hai , aur logon ko yeh bhi pata nahi hai kay unhen kab dobara zinda kiya jaye ga .

  66. بَلِ ٱدَّٰرَكَ عِلۡمُهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِۚ بَلۡ هُمۡ فِي شَكّٖ مِّنۡهَاۖ بَلۡ هُم مِّنۡهَا عَمُونَ

    آیت ⁦۲۷:۶۶⁩ کھولیں

    balkay aakhirat kay baaray mein inn ( kafiron ) ka ilm bey bus ho ker reh gaya hai , balkay woh uss kay baaray mein shak mein mubtala hain , balkay uss say andhay hochukay hain .

  67. وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَءِذَا كُنَّا تُرَٰبٗا وَءَابَآؤُنَآ أَئِنَّا لَمُخۡرَجُونَ

    آیت ⁦۲۷:۶۷⁩ کھولیں

    jinn logon ney kufr apna liya hai , woh kehtay hain kay : kiya jab hum aur humaray baap daday mitti hochukay hon gay to kiya uss waqt waqaee hamen ( qabron say ) nikala jaye ga-?

  68. لَقَدۡ وُعِدۡنَا هَٰذَا نَحۡنُ وَءَابَآؤُنَا مِن قَبۡلُ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۲۷:۶۸⁩ کھولیں

    hum say aur humaray baap dadon say iss qisam kay waday pehlay bhi kiye gaye thay , ( lekin ) inn ki haqeeqat iss kay siwa kuch nahi kay yeh qissa kahaniyan hain jo puraney zamaney kay logon say naqal hoti chali aarahi hain .

  69. قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ

    آیت ⁦۲۷:۶۹⁩ کھولیں

    kaho kay : zara zameen mein safar ker kay dekho kay mujrimon ka anjam kaisa huwa hai .

  70. وَلَا تَحۡزَنۡ عَلَيۡهِمۡ وَلَا تَكُن فِي ضَيۡقٖ مِّمَّا يَمۡكُرُونَ 

    آیت ⁦۲۷:۷۰⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) tum inn logon per ghum naa kero , aur yeh jiss makkaari ka muzahira ker rahey hain , unn ki wajeh say ghuttan mehsoos naa kero .

  71. وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۲۷:۷۱⁩ کھولیں

    yeh ( tum say ) yun kehtay hain kay : yeh wada kab poora hoga , agar tum sachay ho-?

  72. قُلۡ عَسَىٰٓ أَن يَكُونَ رَدِفَ لَكُم بَعۡضُ ٱلَّذِي تَسۡتَعۡجِلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۷۲⁩ کھولیں

    keh do kay : kuch baeed nahi hai kay jiss azab ki tum jaldi macha rahey ho , uss ka kuch hissa tumharay bilkul paas aa-laga ho .

  73. وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَشۡكُرُونَ

    آیت ⁦۲۷:۷۳⁩ کھولیں

    aur haqeeqat yeh hai kay tumhara perwerdigar logon per boht fazal kernay wala hai , lekin unn mein say aksar log shukar nahi kertay .

  74. وَإِنَّ رَبَّكَ لَيَعۡلَمُ مَا تُكِنُّ صُدُورُهُمۡ وَمَا يُعۡلِنُونَ

    آیت ⁦۲۷:۷۴⁩ کھولیں

    aur yaqeen rakho kay tumhara perwerdigar woh sari baaten bhi janta hai jo inn kay seenay chupaye huye hain , aur woh baaten bhi jo woh aelania kertay hain .

  75. وَمَا مِنۡ غَآئِبَةٖ فِي ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٍ

    آیت ⁦۲۷:۷۵⁩ کھولیں

    aur aasman aur zameen ki koi posheeda cheez aesi nahi hai jo aik wazeh kitab mein darj naa ho .

  76. إِنَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ يَقُصُّ عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ أَكۡثَرَ ٱلَّذِي هُمۡ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ

    آیت ⁦۲۷:۷۶⁩ کھولیں

    waqiaa yeh hai kay yeh Quran bano Israel kay samney aksar unn baaton ki haqeeqat wazeh kerta hai jinn mein woh ikhtilaf kertay hain .

  77. وَإِنَّهُۥ لَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۲۷:۷۷⁩ کھولیں

    aur yaqeenan yeh emaan laney walon kay liye hidayat aur rehmat hai .

  78. إِنَّ رَبَّكَ يَقۡضِي بَيۡنَهُم بِحُكۡمِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡعَلِيمُ

    آیت ⁦۲۷:۷۸⁩ کھولیں

    aur tumhara perwerdigar yaqeenan unn kay darmiyan apney hukum say faisla keray ga , aur woh bara iqtidar wala , bara ilm wala hai .

  79. فَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۖ إِنَّكَ عَلَى ٱلۡحَقِّ ٱلۡمُبِينِ

    آیت ⁦۲۷:۷۹⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum Allah per bharosa rakho . yaqeenan tum khulay khulay haq per ho .

  80. إِنَّكَ لَا تُسۡمِعُ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَلَا تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا وَلَّوۡاْ مُدۡبِرِينَ 

    آیت ⁦۲۷:۸۰⁩ کھولیں

    yaad rakho kay tum murdon ko apni baat nahi suna saktay , aur naa tum behron ko apni pukar suna saktay ho , jab woh peeth pher ker chal kharray hon .

  81. وَمَآ أَنتَ بِهَٰدِي ٱلۡعُمۡيِ عَن ضَلَٰلَتِهِمۡۖ إِن تُسۡمِعُ إِلَّا مَن يُؤۡمِنُ بِـَٔايَٰتِنَا فَهُم مُّسۡلِمُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۱⁩ کھولیں

    aur naa tum andhon ko unn ki gumrahi say bacha ker raastay per laasaktay ho . tum to unhi logon ko apni baat suna saktay ho jo humari aayaton per emaan layen , phir wohi log farmanbardaar hon gay .

  82. ۞وَإِذَا وَقَعَ ٱلۡقَوۡلُ عَلَيۡهِمۡ أَخۡرَجۡنَا لَهُمۡ دَآبَّةٗ مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ تُكَلِّمُهُمۡ أَنَّ ٱلنَّاسَ كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا لَا يُوقِنُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۲⁩ کھولیں

    aur jab humari baat poori honey ka waqt inn logon per aa-phonchay ga to hum inn kay liye zameen say aik janwer nikalen gay jo inn say baat keray ga kay log humari aayaton per yaqeen nahi rakhtay thay .

  83. وَيَوۡمَ نَحۡشُرُ مِن كُلِّ أُمَّةٖ فَوۡجٗا مِّمَّن يُكَذِّبُ بِـَٔايَٰتِنَا فَهُمۡ يُوزَعُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۳⁩ کھولیں

    aur uss din ko naa bhoolo jab hum her ummat mein say unn logon ki poori foaj ko gher layen gay jo humari aayaton ko jhutlaya kertay thay , phir unn ki jamat bandi ki jaye gi .

  84. حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُو قَالَ أَكَذَّبۡتُم بِـَٔايَٰتِي وَلَمۡ تُحِيطُواْ بِهَا عِلۡمًا أَمَّاذَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۴⁩ کھولیں

    yahan tak kay jab sabb aajayen gay to Allah kahey ga kay : kiya tum ney meri aayaton ko poori tarah samjhay baghair hi jhutla diya tha , ya kiya kertay rahey thay-?

  85. وَوَقَعَ ٱلۡقَوۡلُ عَلَيۡهِم بِمَا ظَلَمُواْ فَهُمۡ لَا يَنطِقُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۵⁩ کھولیں

    aur unhon ney jo zulm kiya tha , uss ki wajeh say unn per azab ki baat poori hojaye gi , chunacheh woh kuch bol nahi saken gay .

  86. أَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا جَعَلۡنَا ٱلَّيۡلَ لِيَسۡكُنُواْ فِيهِ وَٱلنَّهَارَ مُبۡصِرًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۶⁩ کھولیں

    kiya unhon ney dekha nahi kay hum ney raat iss liye banai hai kay woh uss mein sukoon hasil keren , aur din iss tarah banaya hai kay uss mein cheezen dikhai den-? yaqeenan iss mein unn logon kay liye bari nishaniyan hain jo emaan latay hain .

  87. وَيَوۡمَ يُنفَخُ فِي ٱلصُّورِ فَفَزِعَ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا مَن شَآءَ ٱللَّهُۚ وَكُلٌّ أَتَوۡهُ دَٰخِرِينَ

    آیت ⁦۲۷:۸۷⁩ کھولیں

    aur jiss din soor phoonka jaye ga , to aasmano aur zameen kay sabb rehney walay ghabra uthen gay , siwaye unn kay jinhen Allah chahye ga , aur sabb uss kay paas jhukay huye hazir hon gay .

  88. وَتَرَى ٱلۡجِبَالَ تَحۡسَبُهَا جَامِدَةٗ وَهِيَ تَمُرُّ مَرَّ ٱلسَّحَابِۚ صُنۡعَ ٱللَّهِ ٱلَّذِيٓ أَتۡقَنَ كُلَّ شَيۡءٍۚ إِنَّهُۥ خَبِيرُۢ بِمَا تَفۡعَلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۸⁩ کھولیں

    tum ( aaj ) paharon ko dekhtay ho to samajhtay ho kay yeh apni jagah jamay huye hain , halankay ( uss waqt ) woh iss tarah phir rahey hon gay jaisay badal phirtay hain . yeh sabb Allah ki karigari hai jiss ney her cheez ko mustehkam tareeqay say banaya hai . yaqeenan ussay poori khabar hai kay tum kiya kaam kertay ho .

  89. مَن جَآءَ بِٱلۡحَسَنَةِ فَلَهُۥ خَيۡرٞ مِّنۡهَا وَهُم مِّن فَزَعٖ يَوۡمَئِذٍ ءَامِنُونَ

    آیت ⁦۲۷:۸۹⁩ کھولیں

    jo koi naiki ley ker aaye ga ussay uss say behtar badla milay ga , aur aesay log uss din her qisam ki ghabrahat say mehfooz hon gay .

  90. وَمَن جَآءَ بِٱلسَّيِّئَةِ فَكُبَّتۡ وُجُوهُهُمۡ فِي ٱلنَّارِ هَلۡ تُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ 

    آیت ⁦۲۷:۹۰⁩ کھولیں

    aur jo koi burai ley ker aaye ga to aesay logon ko mun kay ball aag mein daal diya jaye ga . tumhen kissi aur baat ki nahi , unhi aemal ki saza di jaye gi jo tum kiya kertay thay .

  91. إِنَّمَآ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ رَبَّ هَٰذِهِ ٱلۡبَلۡدَةِ ٱلَّذِي حَرَّمَهَا وَلَهُۥ كُلُّ شَيۡءٖۖ وَأُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ

    آیت ⁦۲۷:۹۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn say keh do kay : ) mujhay to yehi hukum mila hai kay mein iss shehar kay rab ki ibadat kerun jiss ney iss shehar ko hurmat bakhshi hai , aur her cheez ka malik wohi hai , aur mujhay yeh hukum mila hai kay mein farmanbardaaron mein shamil rahun .

  92. وَأَنۡ أَتۡلُوَاْ ٱلۡقُرۡءَانَۖ فَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهۡتَدِي لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَقُلۡ إِنَّمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُنذِرِينَ

    آیت ⁦۲۷:۹۲⁩ کھولیں

    aur yeh kay mein Quran ki tilawat kerun . abb jo shaks hidayat kay raastay per aaye , woh apney hi faeeday kay liye raastay per aaye ga , aur jo gumrahi ikhtiyar keray , to keh dena kay : mein to bus unn logon mein say hon jo khabrdar kertay hain .

  93. وَقُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ سَيُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ فَتَعۡرِفُونَهَاۚ وَمَا رَبُّكَ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۲۷:۹۳⁩ کھولیں

    aur keh do kay : tamam tareefen Allah ki hain , woh tumhen apni nishaniyan dikhaye ga , phir tum unhen pehchan bhi lo gay . aur tumhara perwerdigar tumharay kamon say bey khabar nahi hai .