الواقعة

Al-Waaqia

سورت ۵۶ · آیات: ۹۶ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. إِذَا وَقَعَتِ ٱلۡوَاقِعَةُ

    آیت ⁦۵۶:۱⁩ کھولیں

    jab woh honey wala waqiaa paish aajaye ga ,

  2. لَيۡسَ لِوَقۡعَتِهَا كَاذِبَةٌ

    آیت ⁦۵۶:۲⁩ کھولیں

    to uss kay paish aaney ko koi jhutlaney wala nahi hoga ,

  3. خَافِضَةٞ رَّافِعَةٌ

    آیت ⁦۵۶:۳⁩ کھولیں

    woh aik teh o baala kernay wali cheez hogi ,

  4. إِذَا رُجَّتِ ٱلۡأَرۡضُ رَجّٗا

    آیت ⁦۵۶:۴⁩ کھولیں

    jab zameen aik bhonchal say jhanjorr di jaye gi ,

  5. وَبُسَّتِ ٱلۡجِبَالُ بَسّٗا

    آیت ⁦۵۶:۵⁩ کھولیں

    aur paharon ko pees ker choora kerdiya jaye ga

  6. فَكَانَتۡ هَبَآءٗ مُّنۢبَثّٗا

    آیت ⁦۵۶:۶⁩ کھولیں

    yahan tak kay woh bikhra huwa ghubar ban ker reh jayen gay ,

  7. وَكُنتُمۡ أَزۡوَٰجٗا ثَلَٰثَةٗ

    آیت ⁦۵۶:۷⁩ کھولیں

    aur ( logo ! ) tum teen qismon mein butt jao gay .

  8. فَأَصۡحَٰبُ ٱلۡمَيۡمَنَةِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَيۡمَنَةِ

    آیت ⁦۵۶:۸⁩ کھولیں

    chunacheh jo dayen haath walay hain , kiya kehna unn dayen haath walon ka !

  9. وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡمَشۡـَٔمَةِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَشۡـَٔمَةِ

    آیت ⁦۵۶:۹⁩ کھولیں

    aur jo bayen haath walay hain , kiya batayen woh bayen haath walay kiya hain-?

  10. وَٱلسَّٰبِقُونَ ٱلسَّٰبِقُونَ 

    آیت ⁦۵۶:۱۰⁩ کھولیں

    aur jo sabqat ley janey walay hain , woh to hain hi sabqat ley janey walay !

  11. أُوْلَٰٓئِكَ ٱلۡمُقَرَّبُونَ

    آیت ⁦۵۶:۱۱⁩ کھولیں

    wohi hain jo Allah kay khaas muqarrab banday hain ,

  12. فِي جَنَّٰتِ ٱلنَّعِيمِ

    آیت ⁦۵۶:۱۲⁩ کھولیں

    woh naimaton kay baaghaat mein hon gay ,

  13. ثُلَّةٞ مِّنَ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۵۶:۱۳⁩ کھولیں

    . shuroo kay logon mein say boht say ,

  14. وَقَلِيلٞ مِّنَ ٱلۡأٓخِرِينَ

    آیت ⁦۵۶:۱۴⁩ کھولیں

    aur baad kay logon mein say thoray

  15. عَلَىٰ سُرُرٖ مَّوۡضُونَةٖ

    آیت ⁦۵۶:۱۵⁩ کھولیں

    soney kay taaron say bani hoi oonchi nishiston per

  16. مُّتَّكِـِٔينَ عَلَيۡهَا مُتَقَٰبِلِينَ

    آیت ⁦۵۶:۱۶⁩ کھولیں

    aik doosray kay samney unn per takiya lagaye huye !

  17. يَطُوفُ عَلَيۡهِمۡ وِلۡدَٰنٞ مُّخَلَّدُونَ

    آیت ⁦۵۶:۱۷⁩ کھولیں

    sada rehney walay larkay unn kay samney gardish mein hon gay ,

  18. بِأَكۡوَابٖ وَأَبَارِيقَ وَكَأۡسٖ مِّن مَّعِينٖ

    آیت ⁦۵۶:۱۸⁩ کھولیں

    aesi sharab kay piyalay , jug aur jaam ley ker

  19. لَّا يُصَدَّعُونَ عَنۡهَا وَلَا يُنزِفُونَ

    آیت ⁦۵۶:۱۹⁩ کھولیں

    jiss say naa unn kay sar mein dard hoga , aur naa unn kay hosh uren gay ,

  20. وَفَٰكِهَةٖ مِّمَّا يَتَخَيَّرُونَ 

    آیت ⁦۵۶:۲۰⁩ کھولیں

    aur woh phal ley ker jo woh pasand keren ,

  21. وَلَحۡمِ طَيۡرٖ مِّمَّا يَشۡتَهُونَ

    آیت ⁦۵۶:۲۱⁩ کھولیں

    aur parindon ka woh gosht ley ker jiss ko unn ka dil chahye !

  22. وَحُورٌ عِينٞ

    آیت ⁦۵۶:۲۲⁩ کھولیں

    aur woh bari bari aankhon wali hooren !

  23. كَأَمۡثَٰلِ ٱللُّؤۡلُوِٕ ٱلۡمَكۡنُونِ

    آیت ⁦۵۶:۲۳⁩ کھولیں

    aesi jaisay chupa ker rakhay huye moti !

  24. جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۵۶:۲۴⁩ کھولیں

    yeh sabb badla hoga unn kamon ka jo woh kiya kertay thay .

  25. لَا يَسۡمَعُونَ فِيهَا لَغۡوٗا وَلَا تَأۡثِيمًا

    آیت ⁦۵۶:۲۵⁩ کھولیں

    woh uss jannat mein naa koi beyhooda baat sunen gay , aur naa koi gunah ki baat ,

  26. إِلَّا قِيلٗا سَلَٰمٗا سَلَٰمٗا

    آیت ⁦۵۶:۲۶⁩ کھولیں

    haan jo baat hogi , salamti hi salamti ki hogi .

  27. وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡيَمِينِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلۡيَمِينِ

    آیت ⁦۵۶:۲۷⁩ کھولیں

    aur woh jo dayen haath walay hon gay , kiya kehna unn dayen haath walon ka !

  28. فِي سِدۡرٖ مَّخۡضُودٖ

    آیت ⁦۵۶:۲۸⁩ کھولیں

    . ( woh aesh keren gay ) kaantton say pak bairiyon mein !

  29. وَطَلۡحٖ مَّنضُودٖ

    آیت ⁦۵۶:۲۹⁩ کھولیں

    aur oopper talay laday huye kelay kay darakhton mein ,

  30. وَظِلّٖ مَّمۡدُودٖ 

    آیت ⁦۵۶:۳۰⁩ کھولیں

    aur door tak phelay huye saye mein ,

  31. وَمَآءٖ مَّسۡكُوبٖ

    آیت ⁦۵۶:۳۱⁩ کھولیں

    aur behtay huye paani mein ,

  32. وَفَٰكِهَةٖ كَثِيرَةٖ

    آیت ⁦۵۶:۳۲⁩ کھولیں

    aur dher saray phalon mein

  33. لَّا مَقۡطُوعَةٖ وَلَا مَمۡنُوعَةٖ

    آیت ⁦۵۶:۳۳⁩ کھولیں

    jo naa kabhi khatam hon gay , aur naa unn per koi rok tok hogi ,

  34. وَفُرُشٖ مَّرۡفُوعَةٍ

    آیت ⁦۵۶:۳۴⁩ کھولیں

    aur oonchay rakhay huye farshon mein .

  35. إِنَّآ أَنشَأۡنَٰهُنَّ إِنشَآءٗ

    آیت ⁦۵۶:۳۵⁩ کھولیں

    yaqeen jano , hum ney unn aurton ko naee uthaan di hai ,

  36. فَجَعَلۡنَٰهُنَّ أَبۡكَارًا

    آیت ⁦۵۶:۳۶⁩ کھولیں

    chunacheh unhen kanwariyan banaya hai ,

  37. عُرُبًا أَتۡرَابٗا

    آیت ⁦۵۶:۳۷⁩ کھولیں

    . ( shohron kay liye ) mohabbat say bhari hoi , umar mein barabar !

  38. لِّأَصۡحَٰبِ ٱلۡيَمِينِ

    آیت ⁦۵۶:۳۸⁩ کھولیں

    sabb kuch dayen haath walon kay liye ,

  39. ثُلَّةٞ مِّنَ ٱلۡأَوَّلِينَ

    آیت ⁦۵۶:۳۹⁩ کھولیں

    . ( jinn mein say ) boht say shuroo kay logon mein say hon gay ,

  40. وَثُلَّةٞ مِّنَ ٱلۡأٓخِرِينَ 

    آیت ⁦۵۶:۴۰⁩ کھولیں

    aur boht say baad walon mein say .

  41. وَأَصۡحَٰبُ ٱلشِّمَالِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلشِّمَالِ

    آیت ⁦۵۶:۴۱⁩ کھولیں

    aur jo bayen haath walay hain , kiya batayen bayen haath walay kiya hain-?

  42. فِي سَمُومٖ وَحَمِيمٖ

    آیت ⁦۵۶:۴۲⁩ کھولیں

    woh hon gay tapti hoi lo mein , aur kholtay huye paani mein ,

  43. وَظِلّٖ مِّن يَحۡمُومٖ

    آیت ⁦۵۶:۴۳⁩ کھولیں

    aur siyah dhuyen kay saye mein ,

  44. لَّا بَارِدٖ وَلَا كَرِيمٍ

    آیت ⁦۵۶:۴۴⁩ کھولیں

    jo naa thanda hoga , naa koi faeeda phonchaney wala .

  45. إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَبۡلَ ذَٰلِكَ مُتۡرَفِينَ

    آیت ⁦۵۶:۴۵⁩ کھولیں

    yeh log iss say pehlay baray aesh mein thay ,

  46. وَكَانُواْ يُصِرُّونَ عَلَى ٱلۡحِنثِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۵۶:۴۶⁩ کھولیں

    aur baray bhari gunah per array rehtay thay

  47. وَكَانُواْ يَقُولُونَ أَئِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ

    آیت ⁦۵۶:۴۷⁩ کھولیں

    aur kaha kertay thay kay : kiya jab hum mar-jayen gay , aur mitti aur haddiyan ban ker reh jayen gay , to kiya hamen dobara zinda kiya jaye ga-?

  48. أَوَءَابَآؤُنَا ٱلۡأَوَّلُونَ

    آیت ⁦۵۶:۴۸⁩ کھولیں

    aur kiya humaray pehlay guzray huye baap dadon ko bhi-?

  49. قُلۡ إِنَّ ٱلۡأَوَّلِينَ وَٱلۡأٓخِرِينَ

    آیت ⁦۵۶:۴۹⁩ کھولیں

    keh do kay : yaqeenan sabb aglay aur pichlay log

  50. لَمَجۡمُوعُونَ إِلَىٰ مِيقَٰتِ يَوۡمٖ مَّعۡلُومٖ 

    آیت ⁦۵۶:۵۰⁩ کھولیں

    aik mutayyan din kay tey shuda waqt per zaroor ikatthay kiye jayen gay ,

  51. ثُمَّ إِنَّكُمۡ أَيُّهَا ٱلضَّآلُّونَ ٱلۡمُكَذِّبُونَ

    آیت ⁦۵۶:۵۱⁩ کھولیں

    phir aey jhutlaney walay gumraho ! tum logon ko

  52. لَأٓكِلُونَ مِن شَجَرٖ مِّن زَقُّومٖ

    آیت ⁦۵۶:۵۲⁩ کھولیں

    aik aesay darkht mein say khana parray ga jiss ka naam zaqoom hai ,

  53. فَمَالِـُٔونَ مِنۡهَا ٱلۡبُطُونَ

    آیت ⁦۵۶:۵۳⁩ کھولیں

    phir ussi say pet bharney hon gay ,

  54. فَشَٰرِبُونَ عَلَيۡهِ مِنَ ٱلۡحَمِيمِ

    آیت ⁦۵۶:۵۴⁩ کھولیں

    phir uss kay oopper say kholta huwa paani peena parray ga ,

  55. فَشَٰرِبُونَ شُرۡبَ ٱلۡهِيمِ

    آیت ⁦۵۶:۵۵⁩ کھولیں

    aur peena bhi iss tarah jaisay piyas ki beemari walay oont peetay hain .

  56. هَٰذَا نُزُلُهُمۡ يَوۡمَ ٱلدِّينِ

    آیت ⁦۵۶:۵۶⁩ کھولیں

    yeh hogi jaza o saza kay din unn logon ki mehmani !

  57. نَحۡنُ خَلَقۡنَٰكُمۡ فَلَوۡلَا تُصَدِّقُونَ

    آیت ⁦۵۶:۵۷⁩ کھولیں

    hum ney tumhen peda kiya hai , phir tum tasdeeq kiyon nahi kertay-?

  58. أَفَرَءَيۡتُم مَّا تُمۡنُونَ

    آیت ⁦۵۶:۵۸⁩ کھولیں

    zara yeh batlao kay jo nutfa tum tapkatay ho ,

  59. ءَأَنتُمۡ تَخۡلُقُونَهُۥٓ أَمۡ نَحۡنُ ٱلۡخَٰلِقُونَ

    آیت ⁦۵۶:۵۹⁩ کھولیں

    kiya ussay tum peda kertay ho ya peda kernay walay hum hain-?

  60. نَحۡنُ قَدَّرۡنَا بَيۡنَكُمُ ٱلۡمَوۡتَ وَمَا نَحۡنُ بِمَسۡبُوقِينَ 

    آیت ⁦۵۶:۶۰⁩ کھولیں

    hum ney hi tumharay darmiyan moat kay faislay ker rakhay hain , aur koi nahi hai jo hamen iss baat say aajiz ker-sakay

  61. عَلَىٰٓ أَن نُّبَدِّلَ أَمۡثَٰلَكُمۡ وَنُنشِئَكُمۡ فِي مَا لَا تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۱⁩ کھولیں

    kay hum tumhari jagah tum jaisay aur log ley ayen , aur tumhen phir say kissi aesi halat mein peda kerden jissay tum nahi jantay .

  62. وَلَقَدۡ عَلِمۡتُمُ ٱلنَّشۡأَةَ ٱلۡأُولَىٰ فَلَوۡلَا تَذَكَّرُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۲⁩ کھولیں

    aur tumhen apni pehli pedaeesh ka poora pata hai , phir kiyon sabaq nahi letay-?

  63. أَفَرَءَيۡتُم مَّا تَحۡرُثُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۳⁩ کھولیں

    acha yeh batao kay jo kuch tum zameen mein botay ho ,

  64. ءَأَنتُمۡ تَزۡرَعُونَهُۥٓ أَمۡ نَحۡنُ ٱلزَّٰرِعُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۴⁩ کھولیں

    kiya ussay tum ugatay ho , ya uganey walay hum hain-?

  65. لَوۡ نَشَآءُ لَجَعَلۡنَٰهُ حُطَٰمٗا فَظَلۡتُمۡ تَفَكَّهُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۵⁩ کھولیں

    agar hum chahen to ussay choora choora ker daalen , jiss per tum bhonchkay reh jao

  66. إِنَّا لَمُغۡرَمُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۶⁩ کھولیں

    kay hum per to tawaan parr-gaya ,

  67. بَلۡ نَحۡنُ مَحۡرُومُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۷⁩ کھولیں

    balkay hum hain hi badd naseeb !

  68. أَفَرَءَيۡتُمُ ٱلۡمَآءَ ٱلَّذِي تَشۡرَبُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۸⁩ کھولیں

    acha yeh batao kay yeh paani jo tum peetay ho ,

  69. ءَأَنتُمۡ أَنزَلۡتُمُوهُ مِنَ ٱلۡمُزۡنِ أَمۡ نَحۡنُ ٱلۡمُنزِلُونَ

    آیت ⁦۵۶:۶۹⁩ کھولیں

    kiya ussay badalon say tum ney utaara hai , ya utaarney walay hum hain-?

  70. لَوۡ نَشَآءُ جَعَلۡنَٰهُ أُجَاجٗا فَلَوۡلَا تَشۡكُرُونَ 

    آیت ⁦۵۶:۷۰⁩ کھولیں

    agar hum chahen to ussay karrwa bana ker rakh den , phir tum kiyon shukar ada nahi kertay-?

  71. أَفَرَءَيۡتُمُ ٱلنَّارَ ٱلَّتِي تُورُونَ

    آیت ⁦۵۶:۷۱⁩ کھولیں

    acha yeh batao kay yeh aag jo tum sulgatay ho ,

  72. ءَأَنتُمۡ أَنشَأۡتُمۡ شَجَرَتَهَآ أَمۡ نَحۡنُ ٱلۡمُنشِـُٔونَ

    آیت ⁦۵۶:۷۲⁩ کھولیں

    kiya uss ka darkht tum ney peda kiya hai , ya peda kernay walay hum hain-?

  73. نَحۡنُ جَعَلۡنَٰهَا تَذۡكِرَةٗ وَمَتَٰعٗا لِّلۡمُقۡوِينَ

    آیت ⁦۵۶:۷۳⁩ کھولیں

    hum ney hi uss ko naseehat ka saman aur sehrai musfiron kay liye faeeday ki cheez banaya hai .

  74. فَسَبِّحۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۵۶:۷۴⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum apney azeem perwerdigar ka naam ley ker uss ki tasbeeh kero .

  75. ۞فَلَآ أُقۡسِمُ بِمَوَٰقِعِ ٱلنُّجُومِ

    آیت ⁦۵۶:۷۵⁩ کھولیں

    abb mein unn jagahon ki qasam kha ker kehta hun jahan sitaray girtay hain ,

  76. وَإِنَّهُۥ لَقَسَمٞ لَّوۡ تَعۡلَمُونَ عَظِيمٌ

    آیت ⁦۵۶:۷۶⁩ کھولیں

    . aur agar tum samjho to yeh bari zabardast qasam hai

  77. إِنَّهُۥ لَقُرۡءَانٞ كَرِيمٞ

    آیت ⁦۵۶:۷۷⁩ کھولیں

    kay yeh bara ba-waqar Quran hai

  78. فِي كِتَٰبٖ مَّكۡنُونٖ

    آیت ⁦۵۶:۷۸⁩ کھولیں

    jo aik mehfooz kitab mein ( pehlay say ) darj hai ,

  79. لَّا يَمَسُّهُۥٓ إِلَّا ٱلۡمُطَهَّرُونَ

    آیت ⁦۵۶:۷۹⁩ کھولیں

    iss ko wohi log chootay hain jo khoob pak hain ,

  80. تَنزِيلٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ 

    آیت ⁦۵۶:۸۰⁩ کھولیں

    yeh tamam jahano kay perwerdigar ki taraf say thora thora ker kay utaara jaraha hai .

  81. أَفَبِهَٰذَا ٱلۡحَدِيثِ أَنتُم مُّدۡهِنُونَ

    آیت ⁦۵۶:۸۱⁩ کھولیں

    kiya phir bhi tum iss kalam say bey perwai barattay ho-?

  82. وَتَجۡعَلُونَ رِزۡقَكُمۡ أَنَّكُمۡ تُكَذِّبُونَ

    آیت ⁦۵۶:۸۲⁩ کھولیں

    aur tum ney issi ko apna rozgar bana liya hai kay ( iss ko ) jhutlatay raho-?

  83. فَلَوۡلَآ إِذَا بَلَغَتِ ٱلۡحُلۡقُومَ

    آیت ⁦۵۶:۸۳⁩ کھولیں

    phir aisa kiyon nahi hota hai kay jab ( kissi ki ) jaan galay tak phonch jati hai ,

  84. وَأَنتُمۡ حِينَئِذٖ تَنظُرُونَ

    آیت ⁦۵۶:۸۴⁩ کھولیں

    aur uss waqt tum ( hasrat say uss ko ) dekh rahey hotay ho ,

  85. وَنَحۡنُ أَقۡرَبُ إِلَيۡهِ مِنكُمۡ وَلَٰكِن لَّا تُبۡصِرُونَ

    آیت ⁦۵۶:۸۵⁩ کھولیں

    . aur tum say ziyada hum uss kay qareeb hotay hain , magar tumhen nazar nahi aata

  86. فَلَوۡلَآ إِن كُنتُمۡ غَيۡرَ مَدِينِينَ

    آیت ⁦۵۶:۸۶⁩ کھولیں

    agar tumhara hisab kitab honey wala nahi hai to aisa kiyon nahi hota

  87. تَرۡجِعُونَهَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۵۶:۸۷⁩ کھولیں

    kay tum uss jaan ko wapis ley aao , agar tum sachay ho-?

  88. فَأَمَّآ إِن كَانَ مِنَ ٱلۡمُقَرَّبِينَ

    آیت ⁦۵۶:۸۸⁩ کھولیں

    phir agar woh ( marney wala ) Allah kay muqarrab bandon mein say ho

  89. فَرَوۡحٞ وَرَيۡحَانٞ وَجَنَّتُ نَعِيمٖ

    آیت ⁦۵۶:۸۹⁩ کھولیں

    to ( uss kay liye ) aaram hi aaram hai , khushboo hi khushboo hai , aur naimaton say bhara baagh hai .

  90. وَأَمَّآ إِن كَانَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡيَمِينِ 

    آیت ⁦۵۶:۹۰⁩ کھولیں

    aur agar woh dayen haath walon mein say ho

  91. فَسَلَٰمٞ لَّكَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡيَمِينِ

    آیت ⁦۵۶:۹۱⁩ کھولیں

    to ( uss say kaha jaye ga kay : ) tumharay liye salamti hi salamti hai kay tum dayen haath walon mein say ho .

  92. وَأَمَّآ إِن كَانَ مِنَ ٱلۡمُكَذِّبِينَ ٱلضَّآلِّينَ

    آیت ⁦۵۶:۹۲⁩ کھولیں

    aur agar woh unn gumrahon mein say ho jo haq ko jhutlaney walay thay

  93. فَنُزُلٞ مِّنۡ حَمِيمٖ

    آیت ⁦۵۶:۹۳⁩ کھولیں

    to ( uss kay liye ) kholtay huye paani ki mehmani hai ,

  94. وَتَصۡلِيَةُ جَحِيمٍ

    آیت ⁦۵۶:۹۴⁩ کھولیں

    aur dozakh ka dakhila hai !

  95. إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ حَقُّ ٱلۡيَقِينِ

    آیت ⁦۵۶:۹۵⁩ کھولیں

    uss mein koi shak nahi kay bilkul sahih maani mein yehi yaqeeni baat hai .

  96. فَسَبِّحۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۵۶:۹۶⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum apney azeem perwerdigar ka naam ley ker uss ki tasbeeh kero .