الحديد

Al-Hadid

سورت ۵۷ · آیات: ۲۹ · مدنی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

    آیت ⁦۵۷:۱⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen mein jo cheez bhi hai , woh Allah ki tasbeeh kerti hai , aur wohi hai jo iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .

  2. لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ

    آیت ⁦۵۷:۲⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen ki badshahat ussi ki hai , wohi zindagi bakhshta aur moat deta hai , aur woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai .

  3. هُوَ ٱلۡأَوَّلُ وَٱلۡأٓخِرُ وَٱلظَّٰهِرُ وَٱلۡبَاطِنُۖ وَهُوَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ

    آیت ⁦۵۷:۳⁩ کھولیں

    wohi awwal bhi hai , aur aakhir bhi , zahir bhi hai, aur chupa huwa bhi , aur woh her cheez ko poori tarah janney wala hai .

  4. هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ يَعۡلَمُ مَا يَلِجُ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا يَخۡرُجُ مِنۡهَا وَمَا يَنزِلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ وَمَا يَعۡرُجُ فِيهَاۖ وَهُوَ مَعَكُمۡ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ

    آیت ⁦۵۷:۴⁩ کھولیں

    wohi hai jiss ney aasmano aur zameen ko cheh din mein peda kiya , phir arsh per istawa farmaya . woh her uss cheez ko janta hai jo zameen mein dakhil hoti hai , aur jo uss say nikalti hai , aur her uss cheez ko jo aasman say utarti hai , aur jo uss mein charrhti hai , aur tum jahan kahen ho , woh tumharay sath hai . aur jo kaam bhi tum kertay ho , Allah uss ko dekhta hai .

  5. لَّهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ

    آیت ⁦۵۷:۵⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen ki badshahat ussi ki hai , aur tamam moamlaat Allah hi ki taraf lotaye jatay hain .

  6. يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِۚ وَهُوَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ

    آیت ⁦۵۷:۶⁩ کھولیں

    woh raat ko din mein dakhil ker deta hai , aur din ko raat mein dakhil ker deta hai , aur woh seenon mein chupi hoi baaton ko khoob janta hai .

  7. ءَامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَأَنفِقُواْ مِمَّا جَعَلَكُم مُّسۡتَخۡلَفِينَ فِيهِۖ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَأَنفَقُواْ لَهُمۡ أَجۡرٞ كَبِيرٞ

    آیت ⁦۵۷:۷⁩ کھولیں

    Allah aur uss kay Rasool per emaan rakho , aur jiss ( maal ) mein Allah ney tumhen qaeem maqam banaya hai , uss mein say ( Allah kay raastay mein ) kharch kero . chunacheh tum mein say jo log emaan laye hain , aur unhon ney ( Allah kay raastay mein ) kharch kiya hai , unn kay liye bara ajar hai .

  8. وَمَا لَكُمۡ لَا تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلرَّسُولُ يَدۡعُوكُمۡ لِتُؤۡمِنُواْ بِرَبِّكُمۡ وَقَدۡ أَخَذَ مِيثَٰقَكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ

    آیت ⁦۵۷:۸⁩ کھولیں

    aur tumharay liye konsi wajeh hai kay tum Allah per emaan naa rakho , halankay Rasool tumhen dawat dey rahey hain kay tum apney perwerdigar per emaan rakho , aur woh tum say ehad ley chukay hain , agar tum waqaee momin ho .

  9. هُوَ ٱلَّذِي يُنَزِّلُ عَلَىٰ عَبۡدِهِۦٓ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖ لِّيُخۡرِجَكُم مِّنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ بِكُمۡ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٞ

    آیت ⁦۵۷:۹⁩ کھولیں

    Allah wohi to hai jo apney banday per khuli khuli aayaten nazil farmata hai , takay tumhen andheriyon say nikal ker roshni mein laye . aur yaqeen jano Allah tum per boht shafiq , boht meharban hai .

  10. وَمَا لَكُمۡ أَلَّا تُنفِقُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلِلَّهِ مِيرَٰثُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَا يَسۡتَوِي مِنكُم مَّنۡ أَنفَقَ مِن قَبۡلِ ٱلۡفَتۡحِ وَقَٰتَلَۚ أُوْلَٰٓئِكَ أَعۡظَمُ دَرَجَةٗ مِّنَ ٱلَّذِينَ أَنفَقُواْ مِنۢ بَعۡدُ وَقَٰتَلُواْۚ وَكُلّٗا وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ 

    آیت ⁦۵۷:۱۰⁩ کھولیں

    aur tumharay liye konsi wajeh hai kay tum Allah kay raastay mein kharch naa kero , halankay aasmano aur zameen ki sari meeras Allah hi kay liye hai . tum mein say jinhon ney ( makkah ki ) fatah say pehlay kharch kiya , aur larraee larri , woh ( baad walon kay ) barabar nahi hain . woh darjay mein unn logon say barhay huye hain jinhon ney ( fatah makkah kay ) baad kharch kiya , aur larraee larri . yun Allah ney bhalai ka wada unn sabb say ker rakha hai , aur tum jo kuch kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .

  11. مَّن ذَا ٱلَّذِي يُقۡرِضُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا فَيُضَٰعِفَهُۥ لَهُۥ وَلَهُۥٓ أَجۡرٞ كَرِيمٞ

    آیت ⁦۵۷:۱۱⁩ کھولیں

    kon hai jo Allah ko qarz dey-? acha qarz ! jiss kay nateejay mein Allah ussay denay walay kay liye kaee guna barha dey-? aur aesay shaks ko bara ba-izzat ajar milay ga

  12. يَوۡمَ تَرَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ يَسۡعَىٰ نُورُهُم بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَبِأَيۡمَٰنِهِمۖ بُشۡرَىٰكُمُ ٱلۡيَوۡمَ جَنَّٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ

    آیت ⁦۵۷:۱۲⁩ کھولیں

    uss din jab tum momin mardon aur momin aurton ko dekho gay kay unn ka noor unn kay samney aur unn kay dayen janib dorr raha hoga , ( aur unn say kaha jaye ga kay : ) aaj tumhen khushkhabri hai unn baaghaat ki jinn kay neechay nehren behti hain , jinn mein tum hamesha hamesha raho gay . yehi hai jo bari zabardast kamiyabi hai .

  13. يَوۡمَ يَقُولُ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلۡمُنَٰفِقَٰتُ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱنظُرُونَا نَقۡتَبِسۡ مِن نُّورِكُمۡ قِيلَ ٱرۡجِعُواْ وَرَآءَكُمۡ فَٱلۡتَمِسُواْ نُورٗاۖ فَضُرِبَ بَيۡنَهُم بِسُورٖ لَّهُۥ بَابُۢ بَاطِنُهُۥ فِيهِ ٱلرَّحۡمَةُ وَظَٰهِرُهُۥ مِن قِبَلِهِ ٱلۡعَذَابُ

    آیت ⁦۵۷:۱۳⁩ کھولیں

    uss din jab munafiq mard aur munafiq aurten emaan walon say kahen gay kay : zara humara intizar kerlo kay tumharay noor say hum bhi kuch roshni hasil kerlen . unn say kaha jaye ga kay : tum apney peechay loat jao , phir noor talash kero . phir unn kay darmiyan aik deewar haeel kerdi jaye gi jiss mein aik darwaza hoga jiss kay andar ki taraf rehmat hogi , aur bahir ki taraf azab hoga .

  14. يُنَادُونَهُمۡ أَلَمۡ نَكُن مَّعَكُمۡۖ قَالُواْ بَلَىٰ وَلَٰكِنَّكُمۡ فَتَنتُمۡ أَنفُسَكُمۡ وَتَرَبَّصۡتُمۡ وَٱرۡتَبۡتُمۡ وَغَرَّتۡكُمُ ٱلۡأَمَانِيُّ حَتَّىٰ جَآءَ أَمۡرُ ٱللَّهِ وَغَرَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ

    آیت ⁦۵۷:۱۴⁩ کھولیں

    woh mominon ko pukaren gay kay : kiya hum tumharay sath nahi thay-? momin kahen gay kay : haan ! thay to sahi , lekin tum ney khud apney aap ko fitney mein daal liya , aur intizar mein rahey , shak mein parray rahey , aur jhooti aarzoon ney tumhen dhokay mein daalay rakha , yahan tak kay Allah ka hukum aagaya , aur woh bara dhokay baaz ( yani shetan ) tumhen Allah kay baaray mein dhoka hi deta raha .

  15. فَٱلۡيَوۡمَ لَا يُؤۡخَذُ مِنكُمۡ فِدۡيَةٞ وَلَا مِنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ مَأۡوَىٰكُمُ ٱلنَّارُۖ هِيَ مَوۡلَىٰكُمۡۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ

    آیت ⁦۵۷:۱۵⁩ کھولیں

    chunacheh aaj naa tum say koi fidya qubool kiya jaye ga , aur naa unn logon say jinhon ney ( khulay bandon ) kufr ikhtiyar kiya tha . tumhara thikana dozakh hai , wohi tumhari rakhwali hai , aur yeh boht bura anjam hai .

  16. ۞أَلَمۡ يَأۡنِ لِلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَن تَخۡشَعَ قُلُوبُهُمۡ لِذِكۡرِ ٱللَّهِ وَمَا نَزَلَ مِنَ ٱلۡحَقِّ وَلَا يَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلُ فَطَالَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡأَمَدُ فَقَسَتۡ قُلُوبُهُمۡۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ

    آیت ⁦۵۷:۱۶⁩ کھولیں

    jo log emaan ley aaye hain , kiya unn kay liye abb bhi waqt nahi aaya kay unn kay dil Allah kay ziker kay liye aur jo haq utra hai , uss kay liye paseej jayen-? aur woh unn logon ki tarah naa banen jinn ko pehlay kitab di gaee thi , phir unn per aik lambi mauddat guzar gaee , aur unn kay dil sakht hogaye , aur ( aaj ) unn mein say boht say nafarman hain-?

  17. ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يُحۡيِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۚ قَدۡ بَيَّنَّا لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ

    آیت ⁦۵۷:۱۷⁩ کھولیں

    khoob samajh lo kay Allah zameen ko uss kay murda hojaney kay baad zindagi bakhshta hai . hum ney tumharay liye nishaniyan khol khol ker wazeh kerdi hain , takay tum samajh say kaam lo .

  18. إِنَّ ٱلۡمُصَّدِّقِينَ وَٱلۡمُصَّدِّقَٰتِ وَأَقۡرَضُواْ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا يُضَٰعَفُ لَهُمۡ وَلَهُمۡ أَجۡرٞ كَرِيمٞ

    آیت ⁦۵۷:۱۸⁩ کھولیں

    yaqeenan woh jo sadqa denay walay mard aur sadqa denay wali aurten hain aur unhon ney Allah ko qarz diya hai , acha qarz unn kay liye uss ( sadqay ) ko kaee guna barha diya jaye ga , aur unn kay liye ba-izzat ajar hai .

  19. وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦٓ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلصِّدِّيقُونَۖ وَٱلشُّهَدَآءُ عِندَ رَبِّهِمۡ لَهُمۡ أَجۡرُهُمۡ وَنُورُهُمۡۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ

    آیت ⁦۵۷:۱۹⁩ کھولیں

    aur jo log Allah per aur uss kay Rasoolon per emaan laye hain , wohi apney rab kay nazdeek siddiq aur shaheed hain . unn kay liye unn ka ajar aur unn ka noor hai . aur jinn logon ney kufr apna liya , aur humari nishaniyon ko jhutlaya , woh dozakhi log hain .

  20. ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا لَعِبٞ وَلَهۡوٞ وَزِينَةٞ وَتَفَاخُرُۢ بَيۡنَكُمۡ وَتَكَاثُرٞ فِي ٱلۡأَمۡوَٰلِ وَٱلۡأَوۡلَٰدِۖ كَمَثَلِ غَيۡثٍ أَعۡجَبَ ٱلۡكُفَّارَ نَبَاتُهُۥ ثُمَّ يَهِيجُ فَتَرَىٰهُ مُصۡفَرّٗا ثُمَّ يَكُونُ حُطَٰمٗاۖ وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٞ شَدِيدٞ وَمَغۡفِرَةٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٞۚ وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا مَتَٰعُ ٱلۡغُرُورِ 

    آیت ⁦۵۷:۲۰⁩ کھولیں

    khoob samajh lo kay iss duniya wali zindagi ki haqeeqat bus yeh hai kay woh naam hai khel kood ka , zahiri sajawat ka , tumharay aik doosray per fakhar jataney ka , aur maal aur aulad mein aik doosray say barhney ki koshish kernay ka . iss ki misal aesi hai jaisay aik barish jiss say ugney wali cheezen kisano ko boht achi lagti hain , phir woh apna zor dikhati hai , phir tum uss ko dekhtay ho kay zard parr-gai hai , phir woh choora choora hojati hai . aur aakhirat mein ( aik toh ) sakht azab hai , aur ( doosray ) Allah ki taraf say bakhshish hai , aur khushnoodi aur duniya wali zindagi dhokay kay saman kay siwa kuch bhi nahi hai .

  21. سَابِقُوٓاْ إِلَىٰ مَغۡفِرَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ وَجَنَّةٍ عَرۡضُهَا كَعَرۡضِ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ أُعِدَّتۡ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۚ ذَٰلِكَ فَضۡلُ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۵۷:۲۱⁩ کھولیں

    aik doosray say aagay barhney ki koshish karo apney perwerdigar ki bakhshish ki taraf aur uss jannat ki taraf jiss ki chorai sare aasmano aur zameen ki chorai jaisi hai , yeh unn logon kay liye tayyar ki gaee hai jo Allah aur uss kay Rasoolon per emaan laye hain . yeh Allah ka fazal hai jo woh jiss ko chahta hai deta hai . aur Allah baray fazal wala hai .

  22. مَآ أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِيٓ أَنفُسِكُمۡ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مِّن قَبۡلِ أَن نَّبۡرَأَهَآۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ

    آیت ⁦۵۷:۲۲⁩ کھولیں

    koi museebat aesi nahi hai jo zameen mein nazil hoti ya tumhari janon ko laahaq hoti ho , magar woh aik kitab mein uss waqt say darj hai jab hum ney inn janon ko peda bhi nahi kiya tha . yaqeen jano yeh baat Allah kay liye boht aasaan hai .

  23. لِّكَيۡلَا تَأۡسَوۡاْ عَلَىٰ مَا فَاتَكُمۡ وَلَا تَفۡرَحُواْ بِمَآ ءَاتَىٰكُمۡۗ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ كُلَّ مُخۡتَالٖ فَخُورٍ

    آیت ⁦۵۷:۲۳⁩ کھولیں

    yeh iss liye takay jo cheez tum say jati rahey , uss per tum ghum mein naa parro , aur jo cheez Allah tumhen ata farmadey , uss per tum itrao nahi , aur Allah kissi aesay shaks ko pasand nahi kerta jo itrahat mein mubtala ho , shekhi bgharney wala ho ,

  24. ٱلَّذِينَ يَبۡخَلُونَ وَيَأۡمُرُونَ ٱلنَّاسَ بِٱلۡبُخۡلِۗ وَمَن يَتَوَلَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ

    آیت ⁦۵۷:۲۴⁩ کھولیں

    woh aesay log hain jo kanjoosi kertay hain , aur doosray logon ko bhi kanjoosi ki talqeen kertay hain . aur jo shaks mun morr ley to yaad rakho kay Allah hi hai jo sabb say bey niaz hai , bazaat-e-khud qabil-e-tareef !

  25. لَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا رُسُلَنَا بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَأَنزَلۡنَا مَعَهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡمِيزَانَ لِيَقُومَ ٱلنَّاسُ بِٱلۡقِسۡطِۖ وَأَنزَلۡنَا ٱلۡحَدِيدَ فِيهِ بَأۡسٞ شَدِيدٞ وَمَنَٰفِعُ لِلنَّاسِ وَلِيَعۡلَمَ ٱللَّهُ مَن يَنصُرُهُۥ وَرُسُلَهُۥ بِٱلۡغَيۡبِۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيٌّ عَزِيزٞ

    آیت ⁦۵۷:۲۵⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay hum ney apney payghumberon ko khuli hoi nishaniyan dey ker bheja , aur unn kay sath kitab bhi utaari , aur tarazoo bhi , takay log insaf per qaeem rahen , aur hum ney loha utaara jiss mein jangi taqat bhi hai , aur logon kay liye doosray faeeday bhi , aur yeh iss liye takay Allah jaan ley kay kon hai jo uss ko dekhay baghair uss ( kay deen ) ki aur uss kay payghumberon ki madad kerta hai . yaqeen rakho kay Allah bari quooat ka , baray iqtidar ka malik hai .

  26. وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحٗا وَإِبۡرَٰهِيمَ وَجَعَلۡنَا فِي ذُرِّيَّتِهِمَا ٱلنُّبُوَّةَ وَٱلۡكِتَٰبَۖ فَمِنۡهُم مُّهۡتَدٖۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ

    آیت ⁦۵۷:۲۶⁩ کھولیں

    aur hum ney nooh ko aur Ibrahim ko payghumber bana ker bheja , aur unn dono ki aulad mein nabwooat aur kitab ka silsila jari kiya . phir unn mein say kuch to hidayat per aagaye , aur unn mein say boht say log nafarman rahey .

  27. ثُمَّ قَفَّيۡنَا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم بِرُسُلِنَا وَقَفَّيۡنَا بِعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡإِنجِيلَۖ وَجَعَلۡنَا فِي قُلُوبِ ٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُوهُ رَأۡفَةٗ وَرَحۡمَةٗۚ وَرَهۡبَانِيَّةً ٱبۡتَدَعُوهَا مَا كَتَبۡنَٰهَا عَلَيۡهِمۡ إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ رِضۡوَٰنِ ٱللَّهِ فَمَا رَعَوۡهَا حَقَّ رِعَايَتِهَاۖ فَـَٔاتَيۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنۡهُمۡ أَجۡرَهُمۡۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ

    آیت ⁦۵۷:۲۷⁩ کھولیں

    phir hum ney unn kay peechay unhi kay naqsh-e-qadam per apney aur payghumber bhejay , aur unn kay peechay essa ibn-e-maryam ko bheja , aur unhen injeel ata ki , aur jinn logon ney unn ki perwi ki , unn kay dilon mein hum ney shafqat aur reham dili peda kerdi . aur jahan tak rahbaniyat ka talluq hai , woh unhon ney khud ejaad kerli thi , hum ney uss ko unn kay zimmay wajib nahi kiya tha , lekin unhon ney Allah ki khushnoodi hasil kerni chahi , phir uss ki wesi riyat naa ker-sakay jaisay uss ka haq tha . gharz unn mein say jo emaan laye thay , unn ko hum ney unn ka ajar diya , aur unn mein say boht log nafarman hi rahey .

  28. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَءَامِنُواْ بِرَسُولِهِۦ يُؤۡتِكُمۡ كِفۡلَيۡنِ مِن رَّحۡمَتِهِۦ وَيَجۡعَل لَّكُمۡ نُورٗا تَمۡشُونَ بِهِۦ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ

    آیت ⁦۵۷:۲۸⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! Allah say daro , aur uss kay payghumber per emaan lao , takay woh tumhen apni rehmat kay do hissay ata farmaye , aur tumharay liye woh noor peda keray jiss kay zariye tum chal sako , aur tumhari bakhshish farmadey . aur Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .

  29. لِّئَلَّا يَعۡلَمَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ أَلَّا يَقۡدِرُونَ عَلَىٰ شَيۡءٖ مِّن فَضۡلِ ٱللَّهِ وَأَنَّ ٱلۡفَضۡلَ بِيَدِ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۵۷:۲۹⁩ کھولیں

    takay ehal-e-kitab ko maloom hojaye kay Allah kay fazal mein say kissi cheez per unhen koi ikhtiyar nahi hai , aur yeh kay fazal tamam tarr Allah kay haath mein hai jo woh jiss ko chahta hai , ata farmata hai , aur Allah fazal-e-azeem ka malik hai .