المجادلة
Al-Mujaadila
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
قَدۡ سَمِعَ ٱللَّهُ قَوۡلَ ٱلَّتِي تُجَٰدِلُكَ فِي زَوۡجِهَا وَتَشۡتَكِيٓ إِلَى ٱللَّهِ وَٱللَّهُ يَسۡمَعُ تَحَاوُرَكُمَآۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٌ
آیت ۵۸:۱ کھولیں. ( aey payghumber ! ) Allah ney uss aurat ki baat sunn li hai jo tum say apney shohar kay baaray mein behas ker rahi hai , aur Allah say fariyad kerti jati hai . aur Allah tum dono ki guftoogo sunn raha hai . yaqeenan Allah sabb kuch sunney dekhney wala hai .
ٱلَّذِينَ يُظَٰهِرُونَ مِنكُم مِّن نِّسَآئِهِم مَّا هُنَّ أُمَّهَٰتِهِمۡۖ إِنۡ أُمَّهَٰتُهُمۡ إِلَّا ٱلَّٰٓـِٔي وَلَدۡنَهُمۡۚ وَإِنَّهُمۡ لَيَقُولُونَ مُنكَرٗا مِّنَ ٱلۡقَوۡلِ وَزُورٗاۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَعَفُوٌّ غَفُورٞ
آیت ۵۸:۲ کھولیںtum mein say jo log apni biwiyon say zihar kertay hain , ( unn kay iss amal say ) woh biwiyan unn ki mayen nahi hojaten . unn ki mayen to wohi hain jinhon ney unn ko janam diya hai . haqeeqat yeh hai kay yeh log aesi baat kehtay hain jo boht buri hai , aur jhoot hai , aur Allah boht moaaf kernay wala , boht bakhshney wala hai .
وَٱلَّذِينَ يُظَٰهِرُونَ مِن نِّسَآئِهِمۡ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا قَالُواْ فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مِّن قَبۡلِ أَن يَتَمَآسَّاۚ ذَٰلِكُمۡ تُوعَظُونَ بِهِۦۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
آیت ۵۸:۳ کھولیںaur jo log apni biwiyon say zihar kertay hain , phir unhon ney jo kuch kaha hai , uss say rujoo kertay hain , to unn kay zimmay aik ghulam azad kerna hai , qabal iss kay kay woh ( miyan biwi ) aik doosray ko haath lagayen . yeh hai woh baat jiss ki tumhen naseehat ki jarahi hai , aur jo kuch tum kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .
فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ شَهۡرَيۡنِ مُتَتَابِعَيۡنِ مِن قَبۡلِ أَن يَتَمَآسَّاۖ فَمَن لَّمۡ يَسۡتَطِعۡ فَإِطۡعَامُ سِتِّينَ مِسۡكِينٗاۚ ذَٰلِكَ لِتُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦۚ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۗ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٌ
آیت ۵۸:۴ کھولیںphir jiss shaks ko ghulam moyassar naa ho , uss kay zimmay do mutawatir maheenon kay rozay hain , qabal iss kay kay woh ( miyan biwi ) aik doosray ko haath lagayen . phir jiss ko iss ki bhi istataat naa ho , uss kay zimmay saat miskeeno ko khana khilana hai . yeh iss liye takay tum Allah aur uss kay Rasool per emaan lao . aur yeh Allah ki muqarrar ki hoi haden hain , aur kafiron kay liye dardnak azab hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحَآدُّونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ كُبِتُواْ كَمَا كُبِتَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ وَقَدۡ أَنزَلۡنَآ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖۚ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٞ مُّهِينٞ
آیت ۵۸:۵ کھولیںyaqeen rakho kay jo log Allah aur uss kay Rasool ki mukhalifat kertay hain , woh aesay hi zaleel hon gay jaisay inn say pehlay log zaleel huye thay , aur hum ney khuli khuli aayaten nazil kerdi hain , aur kafiron kay liye aisa azab hai jo khuwar ker kay rakh dey ga ,
يَوۡمَ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُوٓاْۚ أَحۡصَىٰهُ ٱللَّهُ وَنَسُوهُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
آیت ۵۸:۶ کھولیںuss din jab Allah unn sabb ko dobara zinda keray ga , phir unhen bataye ga kay unhon ney kiya kuch kiya tha . Allah ney ussay ginn ginn ker mehfooz rakha hai , aur yeh ussay bhool gaye hain . aur Allah her cheez ka gawah hai .
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ مَا يَكُونُ مِن نَّجۡوَىٰ ثَلَٰثَةٍ إِلَّا هُوَ رَابِعُهُمۡ وَلَا خَمۡسَةٍ إِلَّا هُوَ سَادِسُهُمۡ وَلَآ أَدۡنَىٰ مِن ذَٰلِكَ وَلَآ أَكۡثَرَ إِلَّا هُوَ مَعَهُمۡ أَيۡنَ مَا كَانُواْۖ ثُمَّ يُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُواْ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
آیت ۵۸:۷ کھولیںkiya tum ney nahi dekha kay aasmano aur zameen mein jo kuch hai , Allah ussay janta hai ? kabhi teen aadmiyon mein koi sargoshi aesi nahi hoti jiss mein chotha woh naa ho , aur naa paanch aadmiyon ki koi sargoshi aesi hoti hai jiss mein chata woh naa ho , aur chahye sargoshi kernay walay iss say kam hun ya ziyada , woh jahan bhi hon , Allah unn kay sath hota hai . phir woh qayamat kay din unhen bataye ga kay unhon ney kiya kuch kiya tha . beyshak Allah her cheez ko janney wala hai .
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ نُهُواْ عَنِ ٱلنَّجۡوَىٰ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا نُهُواْ عَنۡهُ وَيَتَنَٰجَوۡنَ بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَمَعۡصِيَتِ ٱلرَّسُولِۖ وَإِذَا جَآءُوكَ حَيَّوۡكَ بِمَا لَمۡ يُحَيِّكَ بِهِ ٱللَّهُ وَيَقُولُونَ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ لَوۡلَا يُعَذِّبُنَا ٱللَّهُ بِمَا نَقُولُۚ حَسۡبُهُمۡ جَهَنَّمُ يَصۡلَوۡنَهَاۖ فَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
آیت ۵۸:۸ کھولیںkiya tum ney unn logon ko nahi dekha jinhen sargoshi kernay say mana kerdiya gaya tha , phir bhi woh wohi kaam kertay hain jiss say unhen mana kiya gaya tha-? aur woh aik doosray kay sath aesi sargoshiyan kertay hain jo gunah , ziyadti aur Rasool ki nafarmani per mushtamil hoti hain . aur ( aey payghumber ! ) jab woh tumharay paas aatay hain to tumhen aesay tareeqay say salam kertay hain jiss say Allah ney tumhen salam nahi kiya , aur apney dilon mein kehtay hain kay : hum jo kuch keh rahey hain , uss per Allah hamen saza kiyon nahi dey deta-? jahannum hi unn ( ki khabar lenay ) kay liye kafi hai , woh ussi mein jaa phonchen gay , aur woh phonchney ki boht buri jagah hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا تَنَٰجَيۡتُمۡ فَلَا تَتَنَٰجَوۡاْ بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَمَعۡصِيَتِ ٱلرَّسُولِ وَتَنَٰجَوۡاْ بِٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
آیت ۵۸:۹ کھولیںaey emaan walo ! jab tum aapas mein aik doosray say sargoshi kero to aesi sargoshi naa kero jo gunah , ziyadti aur Rasool ki nafarmani per mushtamil ho , haan aesi sargoshi kero jo naik kamon aur taqwa per mushtamil ho , aur Allah say dartay raho , jiss kay paas tum sabb ko jama ker kay ley jaya jaye ga .
إِنَّمَا ٱلنَّجۡوَىٰ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ لِيَحۡزُنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَيۡسَ بِضَآرِّهِمۡ شَيۡـًٔا إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
آیت ۵۸:۱۰ کھولیںaesi sargoshi to shetan ki taraf say hoti hai , takay woh emaan walon ko ghum mein mubtala keray , aur woh Allah kay hukum kay baghair unhen zara bhi nuqsan nahi phoncha sakta . aur mominon ko Allah hi per bharosa rakhna chahiye .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قِيلَ لَكُمۡ تَفَسَّحُواْ فِي ٱلۡمَجَٰلِسِ فَٱفۡسَحُواْ يَفۡسَحِ ٱللَّهُ لَكُمۡۖ وَإِذَا قِيلَ ٱنشُزُواْ فَٱنشُزُواْ يَرۡفَعِ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ دَرَجَٰتٖۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
آیت ۵۸:۱۱ کھولیںaey emaan walo ! jab tum say kaha jaye kay majlison mein doosron kay liye gunjaeesh peda kero , to gunjaeesh peda kerdiya kero , Allah tumharay liye wusat peda keray ga , aur jab kaha jaye kay uth jao , to uth jao , tum mein say jo log emaan laye hain , aur jinn ko ilm ata kiya gaya hai , Allah unn ko darjon mein buland keray ga . aur jo kuch tum kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا نَٰجَيۡتُمُ ٱلرَّسُولَ فَقَدِّمُواْ بَيۡنَ يَدَيۡ نَجۡوَىٰكُمۡ صَدَقَةٗۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ لَّكُمۡ وَأَطۡهَرُۚ فَإِن لَّمۡ تَجِدُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
آیت ۵۸:۱۲ کھولیںaey emaan walo ! jab tum Rasool say tanhai mein koi baat kerna chahao to apni uss tanhai ki baat say pehlay kuch sadqa kerdiya kero . yeh tareeqa tumharay haq mein behtar aur ziyada suthra tareeqa hai . haan agar tumharay paas ( sadqa kernay kay liye ) kuch naa ho to Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .
ءَأَشۡفَقۡتُمۡ أَن تُقَدِّمُواْ بَيۡنَ يَدَيۡ نَجۡوَىٰكُمۡ صَدَقَٰتٖۚ فَإِذۡ لَمۡ تَفۡعَلُواْ وَتَابَ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۚ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
آیت ۵۸:۱۳ کھولیںkiya tum iss baat say darr gaye kay apni tanhai ki baat say pehlay sadqaat diya kero-? abb jabkay tum aisa nahi ker-sakay , aur Allah ney tumhen moaaf kerdiya to tum namaz qaeem kertay raho , aur zakat detay raho , aur Allah aur uss kay Rasool ki farmanbardaari kertay raho . aur jo kaam bhi tum kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .
۞أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ تَوَلَّوۡاْ قَوۡمًا غَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مَّا هُم مِّنكُمۡ وَلَا مِنۡهُمۡ وَيَحۡلِفُونَ عَلَى ٱلۡكَذِبِ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
آیت ۵۸:۱۴ کھولیںkiya tum ney unn ko nahi dekha jinhon ney aesay logon ko dost banaya huwa hai jinn per Allah ka ghazab hai-? yeh naa to tumharay hain , aur naa unn kay , aur yeh jantay boojhtay jhooti baaton per qasmen kha jatay hain .
أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدًاۖ إِنَّهُمۡ سَآءَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
آیت ۵۸:۱۵ کھولیںAllah ney inn kay liye sakht azab tayyar ker rakha hai . haqeeqat yeh hai kay boht buray hain woh kaam jo yeh kertay rahey hain .
ٱتَّخَذُوٓاْ أَيۡمَٰنَهُمۡ جُنَّةٗ فَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ فَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
آیت ۵۸:۱۶ کھولیںenhon ney apni qasmon ko aik dhaal bana liya hai , phir woh doosron ko Allah kay raastay say roktay rahey hain . iss liye inn kay liye aisa azab hai jo zaleel ker kay rakh dey ga .
لَّن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
آیت ۵۸:۱۷ کھولیںinn kay maal aur inn ki aulad Allah kay muqablay mein inn kay kuch kaam nahi ayen gay . yeh dozakh walay log hain . yeh hamesha ussi mein rahen gay .
يَوۡمَ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ جَمِيعٗا فَيَحۡلِفُونَ لَهُۥ كَمَا يَحۡلِفُونَ لَكُمۡ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُمۡ عَلَىٰ شَيۡءٍۚ أَلَآ إِنَّهُمۡ هُمُ ٱلۡكَٰذِبُونَ
آیت ۵۸:۱۸ کھولیںjiss din Allah inn sabb ko dobara zinda keray ga to uss kay samney bhi yeh ussi tarah qasmen khayen gay jaisay tumharay samney khatay hain , aur yeh samjhen gay kay enhen koi sahara mil gaya hai . yaad rakho yeh log bilkul jhootay hain .
ٱسۡتَحۡوَذَ عَلَيۡهِمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ فَأَنسَىٰهُمۡ ذِكۡرَ ٱللَّهِۚ أُوْلَٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ أَلَآ إِنَّ حِزۡبَ ٱلشَّيۡطَٰنِ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
آیت ۵۸:۱۹ کھولیںinn per shetan ney poori tarah qabza jama ker enhen Allah ki yaad say ghafil kerdiya hai . yeh shetan ka giroh hai . yaad rakho shetan ka giroh hi na-murad honey wala hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحَآدُّونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ أُوْلَٰٓئِكَ فِي ٱلۡأَذَلِّينَ
آیت ۵۸:۲۰ کھولیںbeyshak jo log Allah aur uss kay Rasool ki mukhalifat kertay hain , woh zaleel tareen logon mein shamil hain .
كَتَبَ ٱللَّهُ لَأَغۡلِبَنَّ أَنَا۠ وَرُسُلِيٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيٌّ عَزِيزٞ
آیت ۵۸:۲۱ کھولیںAllah ney yeh baat likh di hai kay mein aur meray payghumber zaroor ghalib ayen gay . yaqeen rakho kay Allah bari quooat wala , baray iqtidar wala hai .
لَّا تَجِدُ قَوۡمٗا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ يُوَآدُّونَ مَنۡ حَآدَّ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَوۡ كَانُوٓاْ ءَابَآءَهُمۡ أَوۡ أَبۡنَآءَهُمۡ أَوۡ إِخۡوَٰنَهُمۡ أَوۡ عَشِيرَتَهُمۡۚ أُوْلَٰٓئِكَ كَتَبَ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡإِيمَٰنَ وَأَيَّدَهُم بِرُوحٖ مِّنۡهُۖ وَيُدۡخِلُهُمۡ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ رَضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ أُوْلَٰٓئِكَ حِزۡبُ ٱللَّهِۚ أَلَآ إِنَّ حِزۡبَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
آیت ۵۸:۲۲ کھولیںjo log Allah aur aakhirat kay din per emaan rakhtay hain , unn ko tum aisa nahi pao gay kay woh unn say dosti rakhtay hon jinhon ney Allah aur uss kay Rasool ki mukhalifat ki hai , chahye woh unn kay baap hon , ya unn kay betay ya unn kay bhai ya unn kay khandan walay . yeh woh log hain jinn kay dilon mein Allah ney emaan naqsh kerdiya hai , aur apni rooh say unn ki madad ki hai , aur unhen woh aesay baaghon mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren behti hon gi , jahan woh hamesha rahen gay . Allah unn say razi hogaya hai , aur woh Allah say razi hogaye hain . yeh Allah ka giroh hai . yaad rakho kay Allah ka giroh hi falah paaney wala hai .