الحشر
Al-Hashr
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۵۹:۱ کھولیںaasmano aur zameen mein jo bhi koi cheez hai , uss ney Allah ki tasbeeh ki hai , aur wohi hai jo iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَخۡرَجَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ مِن دِيَٰرِهِمۡ لِأَوَّلِ ٱلۡحَشۡرِۚ مَا ظَنَنتُمۡ أَن يَخۡرُجُواْۖ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُم مَّانِعَتُهُمۡ حُصُونُهُم مِّنَ ٱللَّهِ فَأَتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِنۡ حَيۡثُ لَمۡ يَحۡتَسِبُواْۖ وَقَذَفَ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلرُّعۡبَۚ يُخۡرِبُونَ بُيُوتَهُم بِأَيۡدِيهِمۡ وَأَيۡدِي ٱلۡمُؤۡمِنِينَ فَٱعۡتَبِرُواْ يَٰٓأُوْلِي ٱلۡأَبۡصَٰرِ
آیت ۵۹:۲ کھولیںwohi hai jiss ney ehal-e-kitab mein say kafir logon ko unn kay gharon say pehlay ijtima kay moaqa per nikal diya . ( musalmano ! ) tumhen yeh khayal bhi nahi tha kay woh niklen gay , aur woh bhi yeh samjhay huye thay kay unn kay qalay enhen/unhen Allah say bacha len gay . phir Allah unn kay paas aesi jagah say aaya jahan unn ka gumaan bhi nahi tha , aur Allah ney unn kay dilon mein roab daal diya kay woh apney gharon ko khud apney haathon say bhi aur musalmanon kay haathon say bhi ujaarr rahey thay . lehaza aey aankhon walo ! ibrat hasil kerlo .
وَلَوۡلَآ أَن كَتَبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡجَلَآءَ لَعَذَّبَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابُ ٱلنَّارِ
آیت ۵۹:۳ کھولیںaur agar Allah ney unn ki qismat mein jala watni naa likh di hoti to woh duniya hi mein unn ko azab dey deta , albatta aakhirat mein unn kay liye dozakh ka azab hai .
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ شَآقُّواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۖ وَمَن يُشَآقِّ ٱللَّهَ فَإِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
آیت ۵۹:۴ کھولیںyeh iss liye kay unhon ney Allah aur uss kay Rasool say dushmani thaani , aur jo shaks Allah say dushmani kerta hai , to Allah bara sakht azab denay wala hai .
مَا قَطَعۡتُم مِّن لِّينَةٍ أَوۡ تَرَكۡتُمُوهَا قَآئِمَةً عَلَىٰٓ أُصُولِهَا فَبِإِذۡنِ ٱللَّهِ وَلِيُخۡزِيَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
آیت ۵۹:۵ کھولیںtum ney khujoor kay jo darkht kaatay , ya unhen apni jarron per kharra rehney diya , to yeh sabb kuch Allah kay hukum say tha , aur iss liye tha takay Allah nafarmano ko ruswa keray .
وَمَآ أَفَآءَ ٱللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ مِنۡهُمۡ فَمَآ أَوۡجَفۡتُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ خَيۡلٖ وَلَا رِكَابٖ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يُسَلِّطُ رُسُلَهُۥ عَلَىٰ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
آیت ۵۹:۶ کھولیںaur Allah ney apney Rasool ko unn ka jo maal bhi fey kay tor per dlwaya , uss kay liye tum ney naa apney ghorray dorraye , naa oont , lekin Allah apney payghumberon ko jiss per chahta hai , tasallut ata farma deta hai . aur Allah her cheez per poori qudrat rakhney wala hai .
مَّآ أَفَآءَ ٱللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡقُرَىٰ فَلِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ كَيۡ لَا يَكُونَ دُولَةَۢ بَيۡنَ ٱلۡأَغۡنِيَآءِ مِنكُمۡۚ وَمَآ ءَاتَىٰكُمُ ٱلرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَىٰكُمۡ عَنۡهُ فَٱنتَهُواْۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
آیت ۵۹:۷ کھولیںAllah apney Rasool ko ( doosri ) bastiyon say jo maal bhi fey kay tor per dilwa dey , to woh Allah ka haq hai , aur uss kay Rasool ka , aur qraabat daaron ka , aur yateemon , miskeeno aur musfiron ka , takay woh maal sirf unhi kay darmiyan gardish kerta naa reh jaye jo tum mein dolat mand log hain . aur Rasool tumhen jo kuch den , woh ley lo , aur jiss cheez say mana keren , uss say ruk jao , aur Allah say dartay raho . beyshak Allah sakht saza denay wala hai .
لِلۡفُقَرَآءِ ٱلۡمُهَٰجِرِينَ ٱلَّذِينَ أُخۡرِجُواْ مِن دِيَٰرِهِمۡ وَأَمۡوَٰلِهِمۡ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٗا وَيَنصُرُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓۚ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلصَّٰدِقُونَ
آیت ۵۹:۸ کھولیں. ( neez yeh maal fey ) unn hajat mand mohajreen ka haq hai jinhen apney gharon aur apney maalon say bey dakhal kiya gaya hai . woh Allah ki taraf say fazal aur uss ki khushnoodi kay talab gaar hain , aur Allah aur uss kay Rasool ki madad kertay hain . yehi log hain jo raast baaz hain .
وَٱلَّذِينَ تَبَوَّءُو ٱلدَّارَ وَٱلۡإِيمَٰنَ مِن قَبۡلِهِمۡ يُحِبُّونَ مَنۡ هَاجَرَ إِلَيۡهِمۡ وَلَا يَجِدُونَ فِي صُدُورِهِمۡ حَاجَةٗ مِّمَّآ أُوتُواْ وَيُؤۡثِرُونَ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ وَلَوۡ كَانَ بِهِمۡ خَصَاصَةٞۚ وَمَن يُوقَ شُحَّ نَفۡسِهِۦ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
آیت ۵۹:۹ کھولیں. ( aur yeh maal fey ) unn logon ka haq hai jo pehlay hi say iss jagah ( yani madina mein ) emaan kay sath muqeem hain , jo koi unn kay paas hijrat ker kay aata hai , yeh uss say mohabbat kertay hain , aur jo kuch unn ( mohajreen ) ko diya jata hai , yeh apney seenon mein uss ki koi khuwaish bhi mehsoos nahi kertay , aur unn ko apney aap per tarjeeh detay hain , chahye unn per tang dasti ki halat guzar rahi ho . aur jo log apni tabiyat kay bukhul say mehfooz hojayen , wohi hain jo falah paaney walay hain .
وَٱلَّذِينَ جَآءُو مِنۢ بَعۡدِهِمۡ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لَنَا وَلِإِخۡوَٰنِنَا ٱلَّذِينَ سَبَقُونَا بِٱلۡإِيمَٰنِ وَلَا تَجۡعَلۡ فِي قُلُوبِنَا غِلّٗا لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ رَبَّنَآ إِنَّكَ رَءُوفٞ رَّحِيمٌ
آیت ۵۹:۱۰ کھولیںaur ( yeh maal fey ) unn logon ka bhi haq hai jo inn ( mohajreen aur ansaar ) kay baad aaye , woh yeh kehtay hain kay : aey humaray perwerdigar ! humari bhi maghfirat farmaiye , aur humaray unn bhaiyon ki bhi jo hum say pehlay emaan laa-chukay hain , aur humaray dilon mein emaan laney walon kay liye koi bughz naa rakhiye . aey humaray perwerdigar ! aap boht shafiq , boht meharban hain .
۞أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ نَافَقُواْ يَقُولُونَ لِإِخۡوَٰنِهِمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَئِنۡ أُخۡرِجۡتُمۡ لَنَخۡرُجَنَّ مَعَكُمۡ وَلَا نُطِيعُ فِيكُمۡ أَحَدًا أَبَدٗا وَإِن قُوتِلۡتُمۡ لَنَنصُرَنَّكُمۡ وَٱللَّهُ يَشۡهَدُ إِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
آیت ۵۹:۱۱ کھولیںkiya tum ney unn ko nahi dekha jinhon ney munafiqat say kaam liya hai kay woh apney unn bhaiyon say jo kafir ehal-e-kitab mein say hain yeh kehtay hain kay : agar tumhen nikala gaya to hum bhi tumharay sath niklen gay , aur tumharay baaray mein kabhi kissi aur ka kehna nahi maanen gay , aur agar tum say jang ki gaee to hum tumhari madad keren gay . aur Allah gawahi deta hai kay yeh log bilkul jhootay hain .
لَئِنۡ أُخۡرِجُواْ لَا يَخۡرُجُونَ مَعَهُمۡ وَلَئِن قُوتِلُواْ لَا يَنصُرُونَهُمۡ وَلَئِن نَّصَرُوهُمۡ لَيُوَلُّنَّ ٱلۡأَدۡبَٰرَ ثُمَّ لَا يُنصَرُونَ
آیت ۵۹:۱۲ کھولیںyeh pakki baat hai kay agar inn ( ehal-e-kitab ) ko nikala gaya to yeh unn kay sath nahi niklen gay , aur agar unn say jang ki gaee to yeh unn ki madad nahi keren gay , aur agar bil-farz unn ki madad ki bhi to peeth pher ker bhagen gay , phir inn ki koi madad nahi keray ga .
لَأَنتُمۡ أَشَدُّ رَهۡبَةٗ فِي صُدُورِهِم مِّنَ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَفۡقَهُونَ
آیت ۵۹:۱۳ کھولیں. ( musalmano ! ) haqeeqat yeh hai kay inn kay dilon mein tumhari dehshat Allah say ziyada hai . yeh iss liye kay yeh woh log hain jinhen samajh nahi hai .
لَا يُقَٰتِلُونَكُمۡ جَمِيعًا إِلَّا فِي قُرٗى مُّحَصَّنَةٍ أَوۡ مِن وَرَآءِ جُدُرِۭۚ بَأۡسُهُم بَيۡنَهُمۡ شَدِيدٞۚ تَحۡسَبُهُمۡ جَمِيعٗا وَقُلُوبُهُمۡ شَتَّىٰۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَعۡقِلُونَ
آیت ۵۹:۱۴ کھولیںyeh sabb log ikatthay ho ker bhi tum say jang nahi keren gay , magar aesi bastiyon mein jo qalon mein mehfooz hon , ya phir deewaron kay peechay chup ker . inn ki aapas ki mukhalfaten boht sakht hain . tum enhen ikattha samajhtay ho , halankay inn kay dil phatay huye hain . yeh iss liye kay yeh woh log hain jinhen aqal nahi hai .
كَمَثَلِ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ قَرِيبٗاۖ ذَاقُواْ وَبَالَ أَمۡرِهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
آیت ۵۹:۱۵ کھولیںinn ki halat unn logon ki si hai jo inn say kuch hi pehlay apney kartoot ka maza chakh chukay hain aur inn kay liye dardnak azab hai .
كَمَثَلِ ٱلشَّيۡطَٰنِ إِذۡ قَالَ لِلۡإِنسَٰنِ ٱكۡفُرۡ فَلَمَّا كَفَرَ قَالَ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّنكَ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَ رَبَّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۵۹:۱۶ کھولیںinn ki misal shetan ki si hai kay woh insan say kehta hai kay : kafir hoja phir jab woh kafir hojata hai to kehta hai kay : mein tujh say bari hun , mein to Allah say darta hun jo saray jahano ka perwerdigar hai .
فَكَانَ عَٰقِبَتَهُمَآ أَنَّهُمَا فِي ٱلنَّارِ خَٰلِدَيۡنِ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ جَزَٰٓؤُاْ ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۵۹:۱۷ کھولیںchunacheh inn dono ka anjam yeh hai kay woh dono dozakh mein hon gay jahan woh hamesha rahen gay . aur yehi zulm kernay walon ki saza hai .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلۡتَنظُرۡ نَفۡسٞ مَّا قَدَّمَتۡ لِغَدٖۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
آیت ۵۹:۱۸ کھولیںaey emaan walo ! Allah say daro , aur her shaks yeh dekhay kay uss ney kal kay liye kiya aagay bheja hai . aur Allah say daro . yaqeen rakho kay jo kuch tum kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ نَسُواْ ٱللَّهَ فَأَنسَىٰهُمۡ أَنفُسَهُمۡۚ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
آیت ۵۹:۱۹ کھولیںaur tum unn jaisay naa hojana jo Allah ko bhool bethay thay , to Allah ney unhen khud apney aap say ghafil kerdiya . wohi log hain jo nafarman hain .
لَا يَسۡتَوِيٓ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِۚ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
آیت ۵۹:۲۰ کھولیںjannat walay aur dozakh walay barabar nahi hosaktay . jannat walay hi woh hain jo kamiyab hain .
لَوۡ أَنزَلۡنَا هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ عَلَىٰ جَبَلٖ لَّرَأَيۡتَهُۥ خَٰشِعٗا مُّتَصَدِّعٗا مِّنۡ خَشۡيَةِ ٱللَّهِۚ وَتِلۡكَ ٱلۡأَمۡثَٰلُ نَضۡرِبُهَا لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَفَكَّرُونَ
آیت ۵۹:۲۱ کھولیںagar hum ney yeh Quran kissi pahar per utaara hota to tum ussay dekhtay kay woh Allah kay roab say jhuka jaraha hai , aur phata parrta hai . aur hum yeh misalen logon kay samney iss liye biyan kertay hain takay woh ghor-o-fiker say kaam len .
هُوَ ٱللَّهُ ٱلَّذِي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِۖ هُوَ ٱلرَّحۡمَٰنُ ٱلرَّحِيمُ
آیت ۵۹:۲۲ کھولیںwoh Allah wohi hai jiss kay siwa koi mabood nahi . woh chupi aur khuli her baat ko janney wala hai . wohi hai jo sabb per meharban hai , boht meharban hai .
هُوَ ٱللَّهُ ٱلَّذِي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡمَلِكُ ٱلۡقُدُّوسُ ٱلسَّلَٰمُ ٱلۡمُؤۡمِنُ ٱلۡمُهَيۡمِنُ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡجَبَّارُ ٱلۡمُتَكَبِّرُۚ سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
آیت ۵۹:۲۳ کھولیںwoh Allah wohi hai jiss kay siwa koi mabood nahi hai , jo badshah hai , taqadduss ka malik hai , salamti denay wala hai , aman bakhshney wala hai , sabb ka nigehban hai , baray iqtidar wala hai , her kharabi ki islaah kernay wala hai , barai ka malik hai . pak hai Allah uss shirk say jo yeh log kertay hain .
هُوَ ٱللَّهُ ٱلۡخَٰلِقُ ٱلۡبَارِئُ ٱلۡمُصَوِّرُۖ لَهُ ٱلۡأَسۡمَآءُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ يُسَبِّحُ لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۵۹:۲۴ کھولیںwoh Allah wohi hai jo peda kernay wala hai , wajood mein laney wala hai , soorat bananey wala hai , ussi kay sabb say achay naam hain . aasmano aur zameen mein jitni cheezen hain , woh uss ki tasbeeh kerti hain , aur wohi hai jo iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .