الممتحنة

Al-Mumtahana

سورت ۶۰ · آیات: ۱۳ · مدنی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمۡ أَوۡلِيَآءَ تُلۡقُونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَقَدۡ كَفَرُواْ بِمَا جَآءَكُم مِّنَ ٱلۡحَقِّ يُخۡرِجُونَ ٱلرَّسُولَ وَإِيَّاكُمۡ أَن تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ رَبِّكُمۡ إِن كُنتُمۡ خَرَجۡتُمۡ جِهَٰدٗا فِي سَبِيلِي وَٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِيۚ تُسِرُّونَ إِلَيۡهِم بِٱلۡمَوَدَّةِ وَأَنَا۠ أَعۡلَمُ بِمَآ أَخۡفَيۡتُمۡ وَمَآ أَعۡلَنتُمۡۚ وَمَن يَفۡعَلۡهُ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ

    آیت ⁦۶۰:۱⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! agar tum meray raastay mein jihad kernay ki khatir aur meri khushnoodi hasil kernay kay liye ( gharon say ) niklay ho to meray dushmanon aur apney dushmanon ko aisa dost matt banao kay unn ko mohabbat kay paygham bhejney lago , halankay tumharay paas jo haq aaya hai , unhon ney uss ko itna jhutlaya hai kay woh Rasool ko bhi aur tumhen bhi sirf iss wajeh say ( makkay say ) bahir nikaltay rahey hain kay tum apney perwerdigar Allah per emaan laye ho . tum unn say khufiya tor per dosti ki baat kertay ho , halankay jo kuch tum khufiya tor per kertay ho , aur jo kuch aelania kertay ho , mein uss sabb ko poori tarah janta hun . aur tum mein say koi bhi aisa keray , woh raah-e-raast say bhatak gaya .

  2. إِن يَثۡقَفُوكُمۡ يَكُونُواْ لَكُمۡ أَعۡدَآءٗ وَيَبۡسُطُوٓاْ إِلَيۡكُمۡ أَيۡدِيَهُمۡ وَأَلۡسِنَتَهُم بِٱلسُّوٓءِ وَوَدُّواْ لَوۡ تَكۡفُرُونَ

    آیت ⁦۶۰:۲⁩ کھولیں

    agar tum unn kay haath aajao to woh tumharay dushman ban jayen gay , aur apney haath aur zabanen phela phela ker tumharay sath burai keren gay , aur unn ki khuwaish yeh hai kay tum kafir ban jao .

  3. لَن تَنفَعَكُمۡ أَرۡحَامُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُمۡۚ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَفۡصِلُ بَيۡنَكُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ

    آیت ⁦۶۰:۳⁩ کھولیں

    qayamat kay din naa tumhari rishta daariyan hergiz tumharay kaam ayen gi , aur naa tumhari aulad . Allah hi tumharay darmiyan faisla keray ga , aur tum jo kuch kertay ho , Allah ussay poori tarah dekhta hai .

  4. قَدۡ كَانَتۡ لَكُمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ إِذۡ قَالُواْ لِقَوۡمِهِمۡ إِنَّا بُرَءَٰٓؤُاْ مِنكُمۡ وَمِمَّا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ كَفَرۡنَا بِكُمۡ وَبَدَا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةُ وَٱلۡبَغۡضَآءُ أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥٓ إِلَّا قَوۡلَ إِبۡرَٰهِيمَ لِأَبِيهِ لَأَسۡتَغۡفِرَنَّ لَكَ وَمَآ أَمۡلِكُ لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٖۖ رَّبَّنَا عَلَيۡكَ تَوَكَّلۡنَا وَإِلَيۡكَ أَنَبۡنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ

    آیت ⁦۶۰:۴⁩ کھولیں

    tumharay liye Ibrahim aur unn kay sathiyon mein behtareen namoona hai , jab unhon ney apni qoam say kaha tha kay : humara tum say aur Allah kay siwa tum jinn jinn ki ibadat kertay ho , unn say koi talluq nahi hai . hum tumharay ( aqaeed kay ) munkir hain , aur humaray aur tumharay darmiyan hamesha kay liye dushmani aur bughz peda hogaya hai jab tak tum sirf aik Allah per emaan naa lao . albatta Ibrahim ney apney baap say yeh zaroor kaha tha kay : mein aap kay liye Allah say maghfirat ki dua zaroor maangun ga , agar-cheh Allah kay samney mein aap ko koi faeeda phonchaney ka koi ikhtiyar nahi rakhta . aey humaray perwerdigar ! aap hi per hum ney bharosa kiya hai , aur aap hi ki taraf hum rujoo huye hain , aur aap hi ki taraf sabb ko loat ker jana hai .

  5. رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ وَٱغۡفِرۡ لَنَا رَبَّنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

    آیت ⁦۶۰:۵⁩ کھولیں

    aey humaray perwerdigar ! hamen kafiron ka takhta mashq naa banaiye , aur humaray perwerdigar ! humari maghfirat farma dijiye . yaqeenan aap , aur sirf aap ki zaat woh hai jiss ka iqtidar bhi kamil hai , jiss ki hikmat bhi kamil .

  6. لَقَدۡ كَانَ لَكُمۡ فِيهِمۡ أُسۡوَةٌ حَسَنَةٞ لِّمَن كَانَ يَرۡجُواْ ٱللَّهَ وَٱلۡيَوۡمَ ٱلۡأٓخِرَۚ وَمَن يَتَوَلَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ

    آیت ⁦۶۰:۶⁩ کھولیں

    . ( musalmano ! ) yaqeenan tumharay liye inn logon kay tarz-e-amal mein behtareen namoona hai , her uss shaks kay liye jo Allah aur roz-e-aakhirat say umeed rakhta ho . aur jo shaks mun morray , to ( woh yaad rakhay kay ) Allah sabb say bey niaz hai , bazaat-e-khud qabil-e-tareef .

  7. ۞عَسَى ٱللَّهُ أَن يَجۡعَلَ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَ ٱلَّذِينَ عَادَيۡتُم مِّنۡهُم مَّوَدَّةٗۚ وَٱللَّهُ قَدِيرٞۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ

    آیت ⁦۶۰:۷⁩ کھولیں

    kuch baeed nahi hai kay Allah tumharay aur jinn logon say tumhari dushmani hai , unn kay darmiyan dosti peda kerday , aur Allah bari qudrat wala hai , aur Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .

  8. لَّا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُقَٰتِلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَلَمۡ يُخۡرِجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ أَن تَبَرُّوهُمۡ وَتُقۡسِطُوٓاْ إِلَيۡهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ

    آیت ⁦۶۰:۸⁩ کھولیں

    Allah tumhen iss baat say mana nahi kerta kay jinn logon ney deen kay moamlay mein tum say jang nahi ki , aur tumhen tumharay gharon say nahi nikala , unn kay sath tum koi naiki ka ya insaf ka moamla kero , yaqeenan Allah insaf kernay walon ko pasand kerta hai .

  9. إِنَّمَا يَنۡهَىٰكُمُ ٱللَّهُ عَنِ ٱلَّذِينَ قَٰتَلُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ وَأَخۡرَجُوكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ وَظَٰهَرُواْ عَلَىٰٓ إِخۡرَاجِكُمۡ أَن تَوَلَّوۡهُمۡۚ وَمَن يَتَوَلَّهُمۡ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّٰلِمُونَ

    آیت ⁦۶۰:۹⁩ کھولیں

    Allah to tumhen iss baat say mana kerta hai kay jinn logon ney tumharay sath deen kay moamlay mein jang ki hai , aur tumhen apney gharon say nikala hai , aur tumhen nikalney mein aik doosray ki madad ki hai , tum unn say dosti rakho . aur jo log unn say dosti rakhen gay , woh zalim log hain .

  10. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا جَآءَكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ مُهَٰجِرَٰتٖ فَٱمۡتَحِنُوهُنَّۖ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِهِنَّۖ فَإِنۡ عَلِمۡتُمُوهُنَّ مُؤۡمِنَٰتٖ فَلَا تَرۡجِعُوهُنَّ إِلَى ٱلۡكُفَّارِۖ لَا هُنَّ حِلّٞ لَّهُمۡ وَلَا هُمۡ يَحِلُّونَ لَهُنَّۖ وَءَاتُوهُم مَّآ أَنفَقُواْۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ أَن تَنكِحُوهُنَّ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّۚ وَلَا تُمۡسِكُواْ بِعِصَمِ ٱلۡكَوَافِرِ وَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقۡتُمۡ وَلۡيَسۡـَٔلُواْ مَآ أَنفَقُواْۚ ذَٰلِكُمۡ حُكۡمُ ٱللَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡۖ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ 

    آیت ⁦۶۰:۱۰⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! jab tumharay paas musalman aurten hijrat ker kay ayen to tum unn ko janch liya kero . Allah hi unn kay emaan kay baaray mein behtar janta hai . phir jab tumhen yeh maloom hojaye kay woh momin aurten hain to tum unhen kafiron kay paas wapis naa bhejna . woh unn kafiron kay liye halal nahi hain , aur woh kafir inn kay liye halal nahi hain . aur inn kafiron ney jo kuch ( inn aurton per mehar ki soorat mein ) kharch kiya ho , woh unhen ada kerdo . aur tum per inn aurton say nikah kernay mein koi gunah nahi hai , jabkay tum ney unn kay mehar unhen ada kerdiye hon . aur tum kafir aurton ki asmaten apney qabazay mein baqi naa rakho , aur jo kuch tum ney ( unn kafir biwiyon per mehar ki soorat mein ) kharch kiya tha , woh tum ( unn kay naye shohron say ) maang lo , aur unhon ney jo kuch ( apni musalman hojaney wali biwiyon per ) kharch kiya tha , woh ( unn kay naye musalman shohron say ) maang len . yeh Allah ka faisla hai , wohi tumharay darmiyan faisla kerta hai , aur Allah baray ilm wala , bari hikmat wala hai .

  11. وَإِن فَاتَكُمۡ شَيۡءٞ مِّنۡ أَزۡوَٰجِكُمۡ إِلَى ٱلۡكُفَّارِ فَعَاقَبۡتُمۡ فَـَٔاتُواْ ٱلَّذِينَ ذَهَبَتۡ أَزۡوَٰجُهُم مِّثۡلَ مَآ أَنفَقُواْۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ أَنتُم بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۶۰:۱۱⁩ کھولیں

    aur agar tumhari biwiyon mein say koi kafiron kay paas jaker tumharay haath say nikal jaye , phir tumhari noabat aaye to jinn logon ki biwiyan jati rahi hain , unn ko itni raqam ada kerdo jitni unhon ney ( apni unn biwiyon per ) kharch ki thi , aur Allah say dartay raho jiss per tum emaan laye ho .

  12. يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ إِذَا جَآءَكَ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ يُبَايِعۡنَكَ عَلَىٰٓ أَن لَّا يُشۡرِكۡنَ بِٱللَّهِ شَيۡـٔٗا وَلَا يَسۡرِقۡنَ وَلَا يَزۡنِينَ وَلَا يَقۡتُلۡنَ أَوۡلَٰدَهُنَّ وَلَا يَأۡتِينَ بِبُهۡتَٰنٖ يَفۡتَرِينَهُۥ بَيۡنَ أَيۡدِيهِنَّ وَأَرۡجُلِهِنَّ وَلَا يَعۡصِينَكَ فِي مَعۡرُوفٖ فَبَايِعۡهُنَّ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُنَّ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ

    آیت ⁦۶۰:۱۲⁩ کھولیں

    aey nabi ! jab tumharay paas musalman aurten iss baat per beyat kernay kay liye ayen kay woh Allah kay sath kissi bhi cheez ko shareek nahi maanen gi , aur chori nahi keren gi , aur zina nahi keren gi , aur apni aulad ko qatal nahi keren gi , aur naa koi aisa bohtan baandhen gi jo unhon ney apney haathon aur paon kay darmiyan gharr liya ho , aur naa kissi bhalay kaam mein tumhari nafarmani keren gi , to tum unn ko beyat kerliya kero , aur unn kay haq mein Allah say maghfirat ki dua kiya kero . yaqeenan Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .

  13. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَوَلَّوۡاْ قَوۡمًا غَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ قَدۡ يَئِسُواْ مِنَ ٱلۡأٓخِرَةِ كَمَا يَئِسَ ٱلۡكُفَّارُ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡقُبُورِ

    آیت ⁦۶۰:۱۳⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! unn logon ko dost naa banao jinn per Allah ney ghazab farmaya hai . Who to aakhirat say issi tarah mayyus hochukay hain jaisay kafir log qabron mein madfoon logon say mayyus hain .