الصف
As-Saff
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
آیت ۶۱:۱ کھولیںaasmano aur zameen mein jo bhi koi cheez hai , uss ney Allah ki tasbeeh ki hai , aur wohi hai jo iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
آیت ۶۱:۲ کھولیںaey emaan walo ! tum aesi baat kiyon kehtay ho jo kertay nahi ho ?
كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ أَن تَقُولُواْ مَا لَا تَفۡعَلُونَ
آیت ۶۱:۳ کھولیںAllah kay nazdeek yeh baat bari qabil-e-nafrat hai kay tum aesi baat kaho jo kero nahi .
إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلَّذِينَ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِهِۦ صَفّٗا كَأَنَّهُم بُنۡيَٰنٞ مَّرۡصُوصٞ
آیت ۶۱:۴ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay Allah unn logon say mohabbat kerta hai jo uss kay raastay mein iss tarah saff bana ker larrtay hain jaisay woh seesa pilai hoi imarat hon .
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ لِمَ تُؤۡذُونَنِي وَقَد تَّعۡلَمُونَ أَنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُمۡۖ فَلَمَّا زَاغُوٓاْ أَزَاغَ ٱللَّهُ قُلُوبَهُمۡۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
آیت ۶۱:۵ کھولیںaur woh waqt yaad kero jab musa ney apni qoam say kaha tha kay : aey meri qoam kay logo ! tum mujhay takleef kiyon phonchatay ho , halankay tum jantay ho kay mein tumharay paas Allah ka payghumber ban ker aaya hun-? phir jab unhon ney tairrh raah ikhtiyar ki to Allah ney unn kay dilon ko tairrah kerdiya , aur Allah nafarman logon ko hidayat tak nahi phonchata .
وَإِذۡ قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ إِنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُم مُّصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيَّ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَمُبَشِّرَۢا بِرَسُولٖ يَأۡتِي مِنۢ بَعۡدِي ٱسۡمُهُۥٓ أَحۡمَدُۖ فَلَمَّا جَآءَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
آیت ۶۱:۶ کھولیںaur woh waqt yaad kero jab essa ban maryam ney kaha tha kay : aey bano Israel ! mein tumharay paas Allah ka aisa payghumber ban ker aaya hun kay mujh say pehlay jo toraat ( nazil hoi ) thi , mein uss ki tasdeeq kernay wala hun , aur uss Rasool ki khushkhabri denay wala hun jo meray baad aaye ga , jiss ka naam Ahmed hai . phir jab woh unn kay paas khuli khuli nishaniyan ley ker aaye to woh kehney lagay kay : yeh to khula huwa jadoo hai .
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُوَ يُدۡعَىٰٓ إِلَى ٱلۡإِسۡلَٰمِۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّٰلِمِينَ
آیت ۶۱:۷ کھولیںaur uss shaks say bara zalim kon hoga jo Allah per jhoot baandhay , jabkay ussay Islam ki taraf bulaya jaraha ho-? aur Allah aesay zalim logon ko hidayat tak nahi phonchata .
يُرِيدُونَ لِيُطۡفِـُٔواْ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَٱللَّهُ مُتِمُّ نُورِهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
آیت ۶۱:۸ کھولیںyeh log chahtay hain kay apney mun say Allah kay noor ko bujha den , halankay Allah apney noor ki takmeel ker kay rahey ga , chahye kafiron ko yeh baat kitni buri lagay .
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُشۡرِكُونَ
آیت ۶۱:۹ کھولیںwohi to hai jiss ney apney Rasool ko hidayat aur sachai ka deen dey ker bheja hai takay woh ussay tamam doosray deeno per ghalib kerday , chahye mushrik logon ko yeh baat kitni buri lagay .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ تِجَٰرَةٖ تُنجِيكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
آیت ۶۱:۱۰ کھولیںaey emaan walo ! kiya mein tumhen aik aesi tijarat ka pata dun jo tumhen dardnak azab say nijat dila dey-?
تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
آیت ۶۱:۱۱ کھولیں. ( woh yeh hai kay ) tum Allah aur uss kay Rasool per emaan lao , aur apney maal o dolat aur apni janon say Allah kay raastay mein jihad kero . yeh tumharay liye behtareen baat hai , agar tum samjho .
يَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡ وَيُدۡخِلۡكُمۡ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ وَمَسَٰكِنَ طَيِّبَةٗ فِي جَنَّٰتِ عَدۡنٖۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
آیت ۶۱:۱۲ کھولیںiss kay nateejay mein Allah tumhari khatir tumharay gunahon ko bakhsh dey ga , aur tumhen unn baaghon mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren behti hon gi , aur aesay umda gharon mein basaye ga jo hamesha hamesha rehney wali jannaton mein waqay hon gay . yehi zabardast kamiyabi hai .
وَأُخۡرَىٰ تُحِبُّونَهَاۖ نَصۡرٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَتۡحٞ قَرِيبٞۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
آیت ۶۱:۱۳ کھولیںaur aik aur cheez tumhen dey ga jo tumhen pasand hai , ( aur woh hai ) Allah ki taraf say madad , aur aik aesi fatah jo unqareeb hasil hogi ! aur ( aey payghumber ! ) emaan walon ko ( iss baat ki ) khushkhabri suna do .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُوٓاْ أَنصَارَ ٱللَّهِ كَمَا قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ لِلۡحَوَارِيِّـۧنَ مَنۡ أَنصَارِيٓ إِلَى ٱللَّهِۖ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ نَحۡنُ أَنصَارُ ٱللَّهِۖ فَـَٔامَنَت طَّآئِفَةٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ وَكَفَرَت طَّآئِفَةٞۖ فَأَيَّدۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَىٰ عَدُوِّهِمۡ فَأَصۡبَحُواْ ظَٰهِرِينَ
آیت ۶۱:۱۴ کھولیںaey emaan walo ! tum Allah ( kay deen ) kay madadgaar ban jao , ussi tarah jaisay essa ban maryam ( aleh-assalam ) ney hawariyon say kaha tha kay : woh kon hain jo Allah kay wastay meray madadgaar banen-? hawariyon ney kaha : hum Allah kay ( deen kay ) madadgaar hain . phir bani Israel ka aik giroh emaan ley aaya , aur aik giroh ney kufr ikhtiyar kiya . chunacheh jo log emaan laye thay , hum ney unn kay dushmanon kay khilaf unn ki madad ki , nateeja yeh huwa kay woh ghalib aaye .