الجمعة

Al-Jumu'a

سورت ۶۲ · آیات: ۱۱ · مدنی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. يُسَبِّحُ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ ٱلۡمَلِكِ ٱلۡقُدُّوسِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ

    آیت ⁦۶۲:۱⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen mein jo cheez bhi hai , woh Allah ki tasbeeh kerti hai jo badshah hai baray taqadduss ka malik hai , jiss ka iqtidar bhi kamil hai , jiss ki hikmat bhi kamil .

  2. هُوَ ٱلَّذِي بَعَثَ فِي ٱلۡأُمِّيِّـۧنَ رَسُولٗا مِّنۡهُمۡ يَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِهِۦ وَيُزَكِّيهِمۡ وَيُعَلِّمُهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَإِن كَانُواْ مِن قَبۡلُ لَفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ

    آیت ⁦۶۲:۲⁩ کھولیں

    wohi hai jiss ney ummi logon mein unhi mein say aik Rasool ko bheja jo unn kay samney uss ki aayaton ki tilawat keren , aur unn ko pakeezah banayen , aur unhen kitab aur hikmat ki taleem den , jabkay woh iss say pehlay khuli gumrahi mein parray huye thay ,

  3. وَءَاخَرِينَ مِنۡهُمۡ لَمَّا يَلۡحَقُواْ بِهِمۡۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

    آیت ⁦۶۲:۳⁩ کھولیں

    aur ( yeh Rasool jinn ki taraf bhejay gaye hain ) unn mein kuch aur bhi hain jo abhi unn kay sath aa-ker nahi milay . aur woh baray iqtidar wala , bari hikmat wala hai .

  4. ذَٰلِكَ فَضۡلُ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۶۲:۴⁩ کھولیں

    yeh Allah ka fazal hai , woh jissay chahta hai deta hai , aur Allah baray fazal wala hai .

  5. مَثَلُ ٱلَّذِينَ حُمِّلُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ ثُمَّ لَمۡ يَحۡمِلُوهَا كَمَثَلِ ٱلۡحِمَارِ يَحۡمِلُ أَسۡفَارَۢاۚ بِئۡسَ مَثَلُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۶۲:۵⁩ کھولیں

    jinn logon per toraat ka bojh daala gaya , phir unhon ney iss ka bojh nahi uthaya , unn ki misal uss gadhay ki si hai jo boht si kitaben laadey huye ho . boht buri misal hai unn logon ki jinhon ney Allah ki aayaton ko jhutlaya , aur Allah aesay zalim logon ko hidayat tak nahi phonchata .

  6. قُلۡ يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ هَادُوٓاْ إِن زَعَمۡتُمۡ أَنَّكُمۡ أَوۡلِيَآءُ لِلَّهِ مِن دُونِ ٱلنَّاسِ فَتَمَنَّوُاْ ٱلۡمَوۡتَ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

    آیت ⁦۶۲:۶⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! inn say ) kaho kay : aey logo jo yahudi ban gaye ho ! agar tumhara dawa yeh hai kay saray logon ko chorr ker tum hi Allah kay dost ho , to moat ki tamanna kero , agar tum sachay ho .

  7. وَلَا يَتَمَنَّوۡنَهُۥٓ أَبَدَۢا بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلظَّٰلِمِينَ

    آیت ⁦۶۲:۷⁩ کھولیں

    aur unhon ney apney haathon jo aemal aagay bhej rakhay hain , unn ki wajeh say yeh kabhi moat ki tamanna nahi keren gay , aur Allah inn zalimon ko khoob janta hai .

  8. قُلۡ إِنَّ ٱلۡمَوۡتَ ٱلَّذِي تَفِرُّونَ مِنۡهُ فَإِنَّهُۥ مُلَٰقِيكُمۡۖ ثُمَّ تُرَدُّونَ إِلَىٰ عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ

    آیت ⁦۶۲:۸⁩ کھولیں

    kaho kay : jiss moat say tum bhagtay ho , woh tum say aa-milney wali hai , phir tumhen uss ( Allah ) ki taraf lotaya jaye ga jissay tamam posheeda aur khuli hoi baaton ka poora ilm hai , phir woh tumhen bataye ga kay tum kiya kuch kiya kertay thay .

  9. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَوٰةِ مِن يَوۡمِ ٱلۡجُمُعَةِ فَٱسۡعَوۡاْ إِلَىٰ ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَذَرُواْ ٱلۡبَيۡعَۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۶۲:۹⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! jab jumaa kay din namaz kay liye pukara jaye to Allah kay ziker ki taraf lapko , aur kharido farokht chorr do . yeh tumharay liye behtar hai , agar tum samjho .

  10. فَإِذَا قُضِيَتِ ٱلصَّلَوٰةُ فَٱنتَشِرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَٱبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِ ٱللَّهِ وَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ كَثِيرٗا لَّعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ 

    آیت ⁦۶۲:۱۰⁩ کھولیں

    phir jab namaz poori hojaye to zameen mein muntashir hojao , aur Allah ka fazal talash kero , aur Allah ko kasrat say yaad kero , takay tumhen falah naseeb ho .

  11. وَإِذَا رَأَوۡاْ تِجَٰرَةً أَوۡ لَهۡوًا ٱنفَضُّوٓاْ إِلَيۡهَا وَتَرَكُوكَ قَآئِمٗاۚ قُلۡ مَا عِندَ ٱللَّهِ خَيۡرٞ مِّنَ ٱللَّهۡوِ وَمِنَ ٱلتِّجَٰرَةِۚ وَٱللَّهُ خَيۡرُ ٱلرَّٰزِقِينَ

    آیت ⁦۶۲:۱۱⁩ کھولیں

    aur jab kuch logon ney koi tijarat ya koi khel dekha to uss ki taraf toot parray , aur tumhen kharra huwa chorr diya . keh do kay : jo kuch Allah kay paas hai , woh khel aur tijarat say kahen ziyada behtar hai , aur Allah sabb say behtar rizq denay wala hai .