المنافقون
Al-Munaafiqoon
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
إِذَا جَآءَكَ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ قَالُواْ نَشۡهَدُ إِنَّكَ لَرَسُولُ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ إِنَّكَ لَرَسُولُهُۥ وَٱللَّهُ يَشۡهَدُ إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ لَكَٰذِبُونَ
آیت ۶۳:۱ کھولیںjab munafiq log tumharay paas aatay hain to kehtay hain : hum gawahi detay hain kay aap Allah kay Rasool hain aur Allah janta hai kay aap waqaee uss kay Rasool hain , aur Allah ( yeh bhi ) gawahi deta hai kay yeh munafiq log jhootay hain .
ٱتَّخَذُوٓاْ أَيۡمَٰنَهُمۡ جُنَّةٗ فَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ إِنَّهُمۡ سَآءَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
آیت ۶۳:۲ کھولیںenhon ney apni qasmon ko aik dhaal bana rakha hai , phir yeh log doosron ko Allah kay raastay say roktay hain . haqeeqat yeh hai kay boht hi buray hain woh kaam jo yeh log kertay rahey hain .
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ فَطُبِعَ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَهُمۡ لَا يَفۡقَهُونَ
آیت ۶۳:۳ کھولیںyeh sari baaten iss wajeh say hain kay yeh ( shuroo mein ba-zahir ) emaan ley aaye , phir enhon ney kufr apna liya , iss liye inn kay dilon per mohar laga di gaee , nateeja yeh kay yeh log ( haq baat ) samajhtay hi nahi hain .
۞وَإِذَا رَأَيۡتَهُمۡ تُعۡجِبُكَ أَجۡسَامُهُمۡۖ وَإِن يَقُولُواْ تَسۡمَعۡ لِقَوۡلِهِمۡۖ كَأَنَّهُمۡ خُشُبٞ مُّسَنَّدَةٞۖ يَحۡسَبُونَ كُلَّ صَيۡحَةٍ عَلَيۡهِمۡۚ هُمُ ٱلۡعَدُوُّ فَٱحۡذَرۡهُمۡۚ قَٰتَلَهُمُ ٱللَّهُۖ أَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
آیت ۶۳:۴ کھولیںjab tum inn ko dekho to inn kay deel dol tumhen boht achay lagen , aur agar woh baat keren to tum unn ki baaten suntay reh jao , unn ki misal aesi hai jaisay yeh lakriyan hain jo kissi saharay say lagi rakhi hain . yeh her cheekh pukar ko apney khilaf samajhtay hain . yehi hain jo ( tumharay ) dushman hain , iss liye inn say hoshiyar raho . Allah ki maar ho inn per ! yeh kahan ondhay chalay jarahey hain-?
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ يَسۡتَغۡفِرۡ لَكُمۡ رَسُولُ ٱللَّهِ لَوَّوۡاْ رُءُوسَهُمۡ وَرَأَيۡتَهُمۡ يَصُدُّونَ وَهُم مُّسۡتَكۡبِرُونَ
آیت ۶۳:۵ کھولیںaur jab inn say kaha jata hai kay aao , Allah kay Rasool tumharay haq mein maghfirat ki dua keren , to yeh apney saron ko matkatay hain , aur tum enhen dekho gay kay woh baray ghamand kay aalam mein bey rukhi say kaam letay hain .
سَوَآءٌ عَلَيۡهِمۡ أَسۡتَغۡفَرۡتَ لَهُمۡ أَمۡ لَمۡ تَسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ لَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
آیت ۶۳:۶ کھولیں. ( aey payghumber ! ) inn kay haq mein dono baaten barabar hain , chahye tum inn kay liye maghfirat ki dua kero ya naa kero , Allah enhen hergiz nahi bakhshay ga . yaqeen jano Allah aesay nafarman logon ko hidayat tak nahi phonchata .
هُمُ ٱلَّذِينَ يَقُولُونَ لَا تُنفِقُواْ عَلَىٰ مَنۡ عِندَ رَسُولِ ٱللَّهِ حَتَّىٰ يَنفَضُّواْۗ وَلِلَّهِ خَزَآئِنُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلَٰكِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ لَا يَفۡقَهُونَ
آیت ۶۳:۷ کھولیںyehi to hain jo kehtay hain kay jo log Rasool Allah kay paas hain unn per kuch kharch naa kero , yahan tak kay yeh khud hi muntashir hojayen gay , halankay aasmano aur zameen kay tamam khazaney Allah hi kay hain , lekin munafiq log samajhtay nahi hain .
يَقُولُونَ لَئِن رَّجَعۡنَآ إِلَى ٱلۡمَدِينَةِ لَيُخۡرِجَنَّ ٱلۡأَعَزُّ مِنۡهَا ٱلۡأَذَلَّۚ وَلِلَّهِ ٱلۡعِزَّةُ وَلِرَسُولِهِۦ وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ وَلَٰكِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ لَا يَعۡلَمُونَ
آیت ۶۳:۸ کھولیںkehtay hain kay : agar hum madina ko loat ker jayen gay to jo izzat wala hai , woh wahan say zillat walay ko nikal bahir keray ga halankay izzat to Allah hi ko hasil hai , aur uss kay Rasool ko , aur emaan walon ko , lekin munafiq log nahi jantay .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُلۡهِكُمۡ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُمۡ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
آیت ۶۳:۹ کھولیںaey emaan walo ! tumhari dolat aur tumhari aulad tumhen Allah ki yaad say ghafil naa kernay payen . aur jo log aisa keren gay , woh baray ghatay ka soda kernay walay hon gay .
وَأَنفِقُواْ مِن مَّا رَزَقۡنَٰكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ فَيَقُولَ رَبِّ لَوۡلَآ أَخَّرۡتَنِيٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ قَرِيبٖ فَأَصَّدَّقَ وَأَكُن مِّنَ ٱلصَّٰلِحِينَ
آیت ۶۳:۱۰ کھولیںaur hum ney tumhen jo rizq diya hai , uss mein say ( Allah kay hukum kay mutabiq ) kharch kerlo , qabal iss kay kay tum mein say kissi kay paas moat aajaye to woh yeh kahey kay : aey meray perwerdigar ! tu ney mujhay thori dair kay liye aur mohlat kiyon naa dey di kay mein khoob sadqa kerta , aur naik logon mein shamil hojata .
وَلَن يُؤَخِّرَ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِذَا جَآءَ أَجَلُهَاۚ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
آیت ۶۳:۱۱ کھولیںaur jab kissi shaks ka moyyan waqt aajaye ga to Allah ussay hergiz mohlat nahi dey ga , aur jo kuch tum kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .