التغابن

At-Taghaabun

سورت ۶۴ · آیات: ۱۸ · مدنی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. يُسَبِّحُ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ لَهُ ٱلۡمُلۡكُ وَلَهُ ٱلۡحَمۡدُۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ

    آیت ⁦۶۴:۱⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen mein jo cheez bhi hai , woh Allah ki tasbeeh kerti hai , aur badshahi ussi ki hai , aur tareef ussi ki , aur woh her cheez per poori qudrat rakhta hai .

  2. هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُمۡ فَمِنكُمۡ كَافِرٞ وَمِنكُم مُّؤۡمِنٞۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ

    آیت ⁦۶۴:۲⁩ کھولیں

    wohi hai jiss ney tumhen peda kiya , phir tum mein say koi kafir hai , aur koi momin . aur jo kuch tum kertay ho , Allah ussay khoob dekhta hai .

  3. خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّ وَصَوَّرَكُمۡ فَأَحۡسَنَ صُوَرَكُمۡۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ

    آیت ⁦۶۴:۳⁩ کھولیں

    uss ney aasmano aur zameen ko bar-haq peda kiya hai , aur tumhari soorten banai hain , aur tumhari soorten achi banai hain , aur ussi ki taraf aakhir kaar ( sabb ko ) palat ker jana hai .

  4. يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَيَعۡلَمُ مَا تُسِرُّونَ وَمَا تُعۡلِنُونَۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ

    آیت ⁦۶۴:۴⁩ کھولیں

    aasmano aur zameen mein jo kuch hai , woh ussay janta hai , aur jo kuch tum chup ker kertay ho aur jo kuch khullam khula kertay ho , uss ka bhi ussay poora ilm hai , aur Allah dilon ki baaton tak ka khoob janney wala hai .

  5. أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَبَؤُاْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَبۡلُ فَذَاقُواْ وَبَالَ أَمۡرِهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ

    آیت ⁦۶۴:۵⁩ کھولیں

    kiya tumharay paas unn logon kay waqiyaat nahi phonchay jinhon ney pehlay kufr ikhtiyar kiya tha , phir apney kamon ka wabal chakha , aur ( aaenda ) unn kay hissay mein aik dardnak azab hai-?

  6. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُۥ كَانَت تَّأۡتِيهِمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالُوٓاْ أَبَشَرٞ يَهۡدُونَنَا فَكَفَرُواْ وَتَوَلَّواْۖ وَّٱسۡتَغۡنَى ٱللَّهُۚ وَٱللَّهُ غَنِيٌّ حَمِيدٞ

    آیت ⁦۶۴:۶⁩ کھولیں

    yeh sabb kuch iss liye huwa kay unn kay paas unn kay payghumber roshan dalaeel ley ker aatay thay to woh kehtay thay kay : kiya ( hum jaisay ) insan hain jo hamen hidayat den gay-? gharz unhon ney kufr ikhtiyar kiya , aur mun morra , aur Allah ney bhi bey niazi barti , aur Allah bilkul bey niaz hai , bazaat-e-khud qabil-e-tareef !

  7. زَعَمَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَن لَّن يُبۡعَثُواْۚ قُلۡ بَلَىٰ وَرَبِّي لَتُبۡعَثُنَّ ثُمَّ لَتُنَبَّؤُنَّ بِمَا عَمِلۡتُمۡۚ وَذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ

    آیت ⁦۶۴:۷⁩ کھولیں

    jinn logon ney kufr apna liya hai , woh yeh dawa kertay hain kay unhen kabhi dobara zinda nahi kiya jaye ga . keh do : kiyon nahi-? meray perwerdigar ki qasam ! tumhen zaroor dobara zinda kiya jaye ga , phir tumhen bataya jaye ga kay tum ney kiya kuch kiya tha , aur yeh Allah kay liye mamooli si baat hai .

  8. فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَٱلنُّورِ ٱلَّذِيٓ أَنزَلۡنَاۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ

    آیت ⁦۶۴:۸⁩ کھولیں

    lehaza Allah per aur uss kay Rasool per aur uss roshni per emaan lao jo hum ney nazil ki hai , aur tum jo kuch kertay ho , Allah uss say poori tarah ba-khabar hai .

  9. يَوۡمَ يَجۡمَعُكُمۡ لِيَوۡمِ ٱلۡجَمۡعِۖ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلتَّغَابُنِۗ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَيَعۡمَلۡ صَٰلِحٗا يُكَفِّرۡ عَنۡهُ سَيِّـَٔاتِهِۦ وَيُدۡخِلۡهُ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ

    آیت ⁦۶۴:۹⁩ کھولیں

    . ( yeh doosri zindagi ) uss din ( hogi ) jab Allah tumhen roz-e-hashar mein ikattha keray ga . woh aisa din hoga jiss mein kuch log doosron ko hasrat mein daal den gay , aur jo shaks Allah per emaan laya hoga , aur uss ney naik amal kiye hon gay , Allah uss kay gunahon ko moaaf kerday ga , aur uss ko aesay baaghon mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren behti hon gi , jinn mein woh hamesha hamesha rahen gay . yeh hai bari kamiyabi .

  10. وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ 

    آیت ⁦۶۴:۱۰⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney kufr ikhtiyar kiya hoga , aur humari aayaton ko jhutlaya hoga , woh dozakh walay hon gay jiss mein woh hamesha rahen gay , aur woh boht bura thikana hai .

  11. مَآ أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَمَن يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ يَهۡدِ قَلۡبَهُۥۚ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ

    آیت ⁦۶۴:۱۱⁩ کھولیں

    koi museebat Allah kay hukum kay baghair nahi aati , aur jo koi Allah per emaan lata hai , woh uss kay dil ko hidayat bakhshta hai , aur Allah her cheez ko khoob janney wala hai .

  12. وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَۚ فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَإِنَّمَا عَلَىٰ رَسُولِنَا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ

    آیت ⁦۶۴:۱۲⁩ کھولیں

    aur tum Allah ki farmanbardaari kero , aur Rasool ki farmanbardaari kero . phir agar tum ney mun morra to humaray Rasool ki zimma daari sirf yeh hai kay woh saaf saaf baat phoncha dey .

  13. ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ

    آیت ⁦۶۴:۱۳⁩ کھولیں

    Allah woh hai jiss kay siwa koi mabood nahi hai , aur mominon ko Allah hi per bharosa kerna chahiye .

  14. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّ مِنۡ أَزۡوَٰجِكُمۡ وَأَوۡلَٰدِكُمۡ عَدُوّٗا لَّكُمۡ فَٱحۡذَرُوهُمۡۚ وَإِن تَعۡفُواْ وَتَصۡفَحُواْ وَتَغۡفِرُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ

    آیت ⁦۶۴:۱۴⁩ کھولیں

    aey emaan walo ! tumhari biwiyon aur tumhari aulad mein say kuch tumharay dushman hain , iss liye unn say hoshiyar raho . aur agar tum moaaf kerdo , aur darguzar kero , aur bakhsh do to Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .

  15. إِنَّمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَأَوۡلَٰدُكُمۡ فِتۡنَةٞۚ وَٱللَّهُ عِندَهُۥٓ أَجۡرٌ عَظِيمٞ

    آیت ⁦۶۴:۱۵⁩ کھولیں

    tumharay maal aur tumhari aulad to tumharay liye aik aazmaesh hain , aur woh Allah hi hai jiss kay paas bara ajar hai .

  16. فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ مَا ٱسۡتَطَعۡتُمۡ وَٱسۡمَعُواْ وَأَطِيعُواْ وَأَنفِقُواْ خَيۡرٗا لِّأَنفُسِكُمۡۗ وَمَن يُوقَ شُحَّ نَفۡسِهِۦ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ

    آیت ⁦۶۴:۱۶⁩ کھولیں

    lehaza jahan tak tum say hosakay Allah say dartay raho , aur suno aur maano , aur ( Allah kay hukum kay mutabiq ) kharch kero , yeh tumharay hi liye behtar hai . aur jo log apney dil ki lalach say mehfooz hojayen , wohi falah paaney walay hain .

  17. إِن تُقۡرِضُواْ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا يُضَٰعِفۡهُ لَكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ شَكُورٌ حَلِيمٌ

    آیت ⁦۶۴:۱۷⁩ کھولیں

    agar tum Allah ko achi tarah qarz do gay to Allah tumharay liye uss ko kaee guna barha dey ga , aur tumharay gunah bakhsh dey ga , aur Allah bara qadardaan , boht burdbaar hai .

  18. عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

    آیت ⁦۶۴:۱۸⁩ کھولیں

    woh her bhed ka aur her khuli hoi cheez ka janney wala hai , baray iqtidar ka , bari hikmat ka malik !