الحاقة
Al-Haaqqa
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
ٱلۡحَآقَّةُ
آیت ۶۹:۱ کھولیںwoh haqeeqat jo ho ker rahey gi !
مَا ٱلۡحَآقَّةُ
آیت ۶۹:۲ کھولیںkiya hai woh haqeeqat jo ho ker rahey gi-?
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا ٱلۡحَآقَّةُ
آیت ۶۹:۳ کھولیںaur tumhen kiya pata kay woh haqeeqat kiya hai jo ho ker rahey gi-?
كَذَّبَتۡ ثَمُودُ وَعَادُۢ بِٱلۡقَارِعَةِ
آیت ۶۹:۴ کھولیںsamood aur aad ki qoamon ney ussi jhanjorr daalney wali haqeeqat ko jhutlaya tha .
فَأَمَّا ثَمُودُ فَأُهۡلِكُواْ بِٱلطَّاغِيَةِ
آیت ۶۹:۵ کھولیںnateeja yeh kay jo samood kay log thay , woh ( chinghaarr ki ) aesi aafat say halak kiye gaye jo hadd say ziyada ( khofnak ) thi .
وَأَمَّا عَادٞ فَأُهۡلِكُواْ بِرِيحٖ صَرۡصَرٍ عَاتِيَةٖ
آیت ۶۹:۶ کھولیںaur jo aad kay log thay , unhen aik aesi bey qaboo toofani huwa say halak kiya gaya
سَخَّرَهَا عَلَيۡهِمۡ سَبۡعَ لَيَالٖ وَثَمَٰنِيَةَ أَيَّامٍ حُسُومٗاۖ فَتَرَى ٱلۡقَوۡمَ فِيهَا صَرۡعَىٰ كَأَنَّهُمۡ أَعۡجَازُ نَخۡلٍ خَاوِيَةٖ
آیت ۶۹:۷ کھولیںjissay Allah ney unn per saat raat aur aath din lagataar musallat rakha . chunacheh tum ( agar wahan hotay to ) dekhtay kay woh log wahan khujoor kay khokhlay tanon ki tarah pacharay huye parray thay .
فَهَلۡ تَرَىٰ لَهُم مِّنۢ بَاقِيَةٖ
آیت ۶۹:۸ کھولیںabb kiya unn mein say koi bacha huwa nazar aata hai-?
وَجَآءَ فِرۡعَوۡنُ وَمَن قَبۡلَهُۥ وَٱلۡمُؤۡتَفِكَٰتُ بِٱلۡخَاطِئَةِ
آیت ۶۹:۹ کھولیںaur firon aur uss say pehlay kay logon ney aur ( loat ( aleh-assalam ) ki ) ulti hoi bastiyon ney bhi issi jurm ka irtikab kiya tha ,
فَعَصَوۡاْ رَسُولَ رَبِّهِمۡ فَأَخَذَهُمۡ أَخۡذَةٗ رَّابِيَةً
آیت ۶۹:۱۰ کھولیںkay unhon ney apney perwerdigar kay payghumber ki nafarmani ki thi , iss liye Allah ney unhen sakht pakar mein ley liya .
إِنَّا لَمَّا طَغَا ٱلۡمَآءُ حَمَلۡنَٰكُمۡ فِي ٱلۡجَارِيَةِ
آیت ۶۹:۱۱ کھولیںjab paani tughyani per aaya to hum ney tumhen kashti mein sawar kerdiya ,
لِنَجۡعَلَهَا لَكُمۡ تَذۡكِرَةٗ وَتَعِيَهَآ أُذُنٞ وَٰعِيَةٞ
آیت ۶۹:۱۲ کھولیںtakay hum iss waqaey ko tumharay liye sabaq aamoz bana den aur yaad rakhney walay kaan issay ( sunn ker ) yaad rakhen .
فَإِذَا نُفِخَ فِي ٱلصُّورِ نَفۡخَةٞ وَٰحِدَةٞ
آیت ۶۹:۱۳ کھولیںphir jab aik hi dafa soor mein phoonk maar di jaye gi ,
وَحُمِلَتِ ٱلۡأَرۡضُ وَٱلۡجِبَالُ فَدُكَّتَا دَكَّةٗ وَٰحِدَةٗ
آیت ۶۹:۱۴ کھولیںaur zameen aur paharon ko utha ker aik hi zarab mein reza reza kerdiya jaye ga ,
فَيَوۡمَئِذٖ وَقَعَتِ ٱلۡوَاقِعَةُ
آیت ۶۹:۱۵ کھولیںtu uss din woh waqiaa paish aajaye ga jissay paish aana hai .
وَٱنشَقَّتِ ٱلسَّمَآءُ فَهِيَ يَوۡمَئِذٖ وَاهِيَةٞ
آیت ۶۹:۱۶ کھولیںaur aasman phatt parray ga , aur woh uss din bilkul boda parr-jaye ga .
وَٱلۡمَلَكُ عَلَىٰٓ أَرۡجَآئِهَاۚ وَيَحۡمِلُ عَرۡشَ رَبِّكَ فَوۡقَهُمۡ يَوۡمَئِذٖ ثَمَٰنِيَةٞ
آیت ۶۹:۱۷ کھولیںaur farishtay uss kay kinaron per hon gay , aur tumharay perwerdigar kay arsh ko uss din aath farishtay apney oopper uthaye huye hon gay .
يَوۡمَئِذٖ تُعۡرَضُونَ لَا تَخۡفَىٰ مِنكُمۡ خَافِيَةٞ
آیت ۶۹:۱۸ کھولیںuss din tumhari paishi issi tarah hogi kay tumhari koi chupi hoi cheez chupi nahi rahey gi .
فَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِيَمِينِهِۦ فَيَقُولُ هَآؤُمُ ٱقۡرَءُواْ كِتَٰبِيَهۡ
آیت ۶۹:۱۹ کھولیںphir jiss kissi ko uss ka aemal nama uss kay dayen haath mein diya jaye ga , woh kahey ga kay : logo ! lo yeh mera aemal nama parho ,
إِنِّي ظَنَنتُ أَنِّي مُلَٰقٍ حِسَابِيَهۡ
آیت ۶۹:۲۰ کھولیںmein pehlay hi samajhta tha kay mujhay apney hisab ka samna kerna hoga .
فَهُوَ فِي عِيشَةٖ رَّاضِيَةٖ
آیت ۶۹:۲۱ کھولیںchunacheh woh mann pasand aesh mein hoga ,
فِي جَنَّةٍ عَالِيَةٖ
آیت ۶۹:۲۲ کھولیںuss oonchi jannat mein
قُطُوفُهَا دَانِيَةٞ
آیت ۶۹:۲۳ کھولیںjiss kay phal jhukay parr rahey hon gay ,
كُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ هَنِيٓـَٔۢا بِمَآ أَسۡلَفۡتُمۡ فِي ٱلۡأَيَّامِ ٱلۡخَالِيَةِ
آیت ۶۹:۲۴ کھولیں. ( kaha jaye ga kay : ) apney unn aemal kay silay mein mazay say khao piyo , jo tum ney guzray huye dino mein kiye thay .
وَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِشِمَالِهِۦ فَيَقُولُ يَٰلَيۡتَنِي لَمۡ أُوتَ كِتَٰبِيَهۡ
آیت ۶۹:۲۵ کھولیںraha woh shaks jiss ka aemal nama uss kay bayen haath mein diya jaye ga , to woh kahey ga kay : aey kaash ! mujhay mera aemal nama diya hi naa jata ,
وَلَمۡ أَدۡرِ مَا حِسَابِيَهۡ
آیت ۶۹:۲۶ کھولیںaur mujhay khabar bhi naa hoti kay mera hisab kiya hai ?
يَٰلَيۡتَهَا كَانَتِ ٱلۡقَاضِيَةَ
آیت ۶۹:۲۷ کھولیںaey kaash ! kay meri moat hi per mera kaam tamam hojata !
مَآ أَغۡنَىٰ عَنِّي مَالِيَهۡۜ
آیت ۶۹:۲۸ کھولیںmera maal meray kuch kaam naa aaya ,
هَلَكَ عَنِّي سُلۡطَٰنِيَهۡ
آیت ۶۹:۲۹ کھولیںmera sara zor mujh say jata raha .
خُذُوهُ فَغُلُّوهُ
آیت ۶۹:۳۰ کھولیں. ( aesay shaks kay baaray mein hukum hoga : ) pakro issay , aur iss kay galay mein toq daal do ,
ثُمَّ ٱلۡجَحِيمَ صَلُّوهُ
آیت ۶۹:۳۱ کھولیںphir issay dozakh mein jhonk do ,
ثُمَّ فِي سِلۡسِلَةٖ ذَرۡعُهَا سَبۡعُونَ ذِرَاعٗا فَٱسۡلُكُوهُ
آیت ۶۹:۳۲ کھولیںphir issay aesi zanjeer mein piro do jiss ki paymaish satar haath kay barabar ho .
إِنَّهُۥ كَانَ لَا يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ ٱلۡعَظِيمِ
آیت ۶۹:۳۳ کھولیںyeh naa to khudaye buzurg o bartar per emaan lata tha ,
وَلَا يَحُضُّ عَلَىٰ طَعَامِ ٱلۡمِسۡكِينِ
آیت ۶۹:۳۴ کھولیںaur naa gharib ko khana khilaney ki targheeb deta tha ,
فَلَيۡسَ لَهُ ٱلۡيَوۡمَ هَٰهُنَا حَمِيمٞ
آیت ۶۹:۳۵ کھولیںlehaza aaj yahan naa iss ka koi yaaro madadgaar hai ,
وَلَا طَعَامٌ إِلَّا مِنۡ غِسۡلِينٖ
آیت ۶۹:۳۶ کھولیںaur naa iss ko koi khaney ki cheez moyassar hai , siwaye ghisleen kay ,
لَّا يَأۡكُلُهُۥٓ إِلَّا ٱلۡخَٰطِـُٔونَ
آیت ۶۹:۳۷ کھولیںjissay gunehgaaron kay siwa koi nahi khaye ga .
فَلَآ أُقۡسِمُ بِمَا تُبۡصِرُونَ
آیت ۶۹:۳۸ کھولیںabb mein qasam khata hun uss ki bhi jissay tum dekhtay ho ,
وَمَا لَا تُبۡصِرُونَ
آیت ۶۹:۳۹ کھولیںaur uss ki bhi jissay tum nahi dekhtay
إِنَّهُۥ لَقَوۡلُ رَسُولٖ كَرِيمٖ
آیت ۶۹:۴۰ کھولیںkay yeh ( Quran ) aik moaziz paygham laney walay ka kalam hai ,
وَمَا هُوَ بِقَوۡلِ شَاعِرٖۚ قَلِيلٗا مَّا تُؤۡمِنُونَ
آیت ۶۹:۴۱ کھولیںaur yeh kissi shaeer ka kalam nahi hai . ( magar ) tum emaan thora hi latay ho ,
وَلَا بِقَوۡلِ كَاهِنٖۚ قَلِيلٗا مَّا تَذَكَّرُونَ
آیت ۶۹:۴۲ کھولیںaur naa yeh kissi kahin ka kalam hai . ( magar ) tum sabaq thora hi letay ho .
تَنزِيلٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۶۹:۴۳ کھولیںyeh kalam tamam jahano kay perwerdigar ki taraf say utaara jaraha hai .
وَلَوۡ تَقَوَّلَ عَلَيۡنَا بَعۡضَ ٱلۡأَقَاوِيلِ
آیت ۶۹:۴۴ کھولیںaur agar ( bil-farz ) yeh payghumber kuch ( jhooti ) baaten bana ker humari taraf mansoob ker-detay ,
لَأَخَذۡنَا مِنۡهُ بِٱلۡيَمِينِ
آیت ۶۹:۴۵ کھولیںtu hum inn ka dahana haath pakartay ,
ثُمَّ لَقَطَعۡنَا مِنۡهُ ٱلۡوَتِينَ
آیت ۶۹:۴۶ کھولیںphir hum inn ki sheh rag kaat detay
فَمَا مِنكُم مِّنۡ أَحَدٍ عَنۡهُ حَٰجِزِينَ
آیت ۶۹:۴۷ کھولیںphir tum mein say koi naa hota jo unn kay bachao kay liye aarray aa-sakta .
وَإِنَّهُۥ لَتَذۡكِرَةٞ لِّلۡمُتَّقِينَ
آیت ۶۹:۴۸ کھولیںaur yaqeen jano kay yeh perhezgaron kay liye aik naseehat hai ,
وَإِنَّا لَنَعۡلَمُ أَنَّ مِنكُم مُّكَذِّبِينَ
آیت ۶۹:۴۹ کھولیںaur hamen khoob maloom hai kay tum mein kuch log jhutlaney walay bhi hain .
وَإِنَّهُۥ لَحَسۡرَةٌ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
آیت ۶۹:۵۰ کھولیںaur yeh ( Quran ) aesay kafiron kay liye hasrat ka sabab hai .
وَإِنَّهُۥ لَحَقُّ ٱلۡيَقِينِ
آیت ۶۹:۵۱ کھولیںaur yehi woh yaqeeni baat hai jo sarasar haq hai .
فَسَبِّحۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلۡعَظِيمِ
آیت ۶۹:۵۲ کھولیںlehaza tum apney perwerdigar kay azmat walay naam ki tasbeeh kertay raho .