المعارج

Al-Ma'aarij

سورت ۷۰ · آیات: ۴۴ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. سَأَلَ سَآئِلُۢ بِعَذَابٖ وَاقِعٖ

    آیت ⁦۷۰:۱⁩ کھولیں

    aik maangney walay ney woh azab maanga hai

  2. لِّلۡكَٰفِرِينَ لَيۡسَ لَهُۥ دَافِعٞ

    آیت ⁦۷۰:۲⁩ کھولیں

    jo kafiron per aaney wala hai , koi nahi hai jo ussay rok sakay .

  3. مِّنَ ٱللَّهِ ذِي ٱلۡمَعَارِجِ

    آیت ⁦۷۰:۳⁩ کھولیں

    woh Allah ki taraf say aaye ga jo charrney kay tamam raaston ka malik hai ,

  4. تَعۡرُجُ ٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ وَٱلرُّوحُ إِلَيۡهِ فِي يَوۡمٖ كَانَ مِقۡدَارُهُۥ خَمۡسِينَ أَلۡفَ سَنَةٖ

    آیت ⁦۷۰:۴⁩ کھولیں

    farishtay aur rooh-ul-qudus uss ki taraf aik aesay din mein charh ker jatay hain jiss ki miqdaar pachas hazar saal hai .

  5. فَٱصۡبِرۡ صَبۡرٗا جَمِيلًا

    آیت ⁦۷۰:۵⁩ کھولیں

    lehaza tum khoobsurti kay sath sabar say kaam lo .

  6. إِنَّهُمۡ يَرَوۡنَهُۥ بَعِيدٗا

    آیت ⁦۷۰:۶⁩ کھولیں

    yeh log ussay door samajh rahey hain ,

  7. وَنَرَىٰهُ قَرِيبٗا

    آیت ⁦۷۰:۷⁩ کھولیں

    aur hum ussay qareeb dekh rahey hain .

  8. يَوۡمَ تَكُونُ ٱلسَّمَآءُ كَٱلۡمُهۡلِ

    آیت ⁦۷۰:۸⁩ کھولیں

    . ( woh azab ) uss din hoga jab aasman tel ki talchat ki tarah hojaye ga ,

  9. وَتَكُونُ ٱلۡجِبَالُ كَٱلۡعِهۡنِ

    آیت ⁦۷۰:۹⁩ کھولیں

    aur pahar rangeen rooi ki tarah hojayen gay ,

  10. وَلَا يَسۡـَٔلُ حَمِيمٌ حَمِيمٗا 

    آیت ⁦۷۰:۱۰⁩ کھولیں

    aur koi jigri dost kissi jigri dost ko poochay ga bhi nahi ,

  11. يُبَصَّرُونَهُمۡۚ يَوَدُّ ٱلۡمُجۡرِمُ لَوۡ يَفۡتَدِي مِنۡ عَذَابِ يَوۡمِئِذِۭ بِبَنِيهِ

    آیت ⁦۷۰:۱۱⁩ کھولیں

    halankay woh aik doosray ko dikha bhi diye jayen gay . mujrim yeh chahye ga kay uss din kay azab say choottney kay liye apney betay fidya mein deydey ,

  12. وَصَٰحِبَتِهِۦ وَأَخِيهِ

    آیت ⁦۷۰:۱۲⁩ کھولیں

    aur apni biwi aur apna bhai ,

  13. وَفَصِيلَتِهِ ٱلَّتِي تُـٔۡوِيهِ

    آیت ⁦۷۰:۱۳⁩ کھولیں

    aur apna woh khandan jo ussay panah deta tha ,

  14. وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا ثُمَّ يُنجِيهِ

    آیت ⁦۷۰:۱۴⁩ کھولیں

    aur zameen kay saray kay saray bashinday . phir ( unn sabb ko fidya mein dey ker ) apney aap ko bacha ley .

  15. كَلَّآۖ إِنَّهَا لَظَىٰ

    آیت ⁦۷۰:۱۵⁩ کھولیں

    . ( lekin ) aisa hergiz nahi hosakay ga ! woh to aik bharakti hoi aag hai ,

  16. نَزَّاعَةٗ لِّلشَّوَىٰ

    آیت ⁦۷۰:۱۶⁩ کھولیں

    jo khaal utaar ley gi ,

  17. تَدۡعُواْ مَنۡ أَدۡبَرَ وَتَوَلَّىٰ

    آیت ⁦۷۰:۱۷⁩ کھولیں

    her uss shaks ko bulaye gi jiss ney peeth pher ker mun morra hoga ,

  18. وَجَمَعَ فَأَوۡعَىٰٓ

    آیت ⁦۷۰:۱۸⁩ کھولیں

    aur ( maal ) ikattha kiya hoga , phir ussay seent seent ker rakha hoga .

  19. ۞إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ خُلِقَ هَلُوعًا

    آیت ⁦۷۰:۱۹⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay insan boht kam hosla peda kiya gaya hai ,

  20. إِذَا مَسَّهُ ٱلشَّرُّ جَزُوعٗا 

    آیت ⁦۷۰:۲۰⁩ کھولیں

    jab ussay koi takleef phonchti hai to boht woh ghabra jata hai ,

  21. وَإِذَا مَسَّهُ ٱلۡخَيۡرُ مَنُوعًا

    آیت ⁦۷۰:۲۱⁩ کھولیں

    aur jab uss kay paas khushhali aati hai to boht bakheel ban jata hai ,

  22. إِلَّا ٱلۡمُصَلِّينَ

    آیت ⁦۷۰:۲۲⁩ کھولیں

    magar woh namazi aesay nahi hain ,

  23. ٱلَّذِينَ هُمۡ عَلَىٰ صَلَاتِهِمۡ دَآئِمُونَ

    آیت ⁦۷۰:۲۳⁩ کھولیں

    jo apni namaz ki hamesha pabandi kertay hain ,

  24. وَٱلَّذِينَ فِيٓ أَمۡوَٰلِهِمۡ حَقّٞ مَّعۡلُومٞ

    آیت ⁦۷۰:۲۴⁩ کھولیں

    aur jinn kay maal o dolat mein aik mutayyan haq hai

  25. لِّلسَّآئِلِ وَٱلۡمَحۡرُومِ

    آیت ⁦۷۰:۲۵⁩ کھولیں

    sawali aur bey sawali ka

  26. وَٱلَّذِينَ يُصَدِّقُونَ بِيَوۡمِ ٱلدِّينِ

    آیت ⁦۷۰:۲۶⁩ کھولیں

    aur jo roz jaza ko bar-haq mantay hain ,

  27. وَٱلَّذِينَ هُم مِّنۡ عَذَابِ رَبِّهِم مُّشۡفِقُونَ

    آیت ⁦۷۰:۲۷⁩ کھولیں

    aur jo apney perwerdigar kay azab say sehmay rehtay hain ,

  28. إِنَّ عَذَابَ رَبِّهِمۡ غَيۡرُ مَأۡمُونٖ

    آیت ⁦۷۰:۲۸⁩ کھولیں

    . yaqeenan unn kay perwerdigar ka azab aesi cheez nahi hai jiss say bey fikri barti jaye

  29. وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِفُرُوجِهِمۡ حَٰفِظُونَ

    آیت ⁦۷۰:۲۹⁩ کھولیں

    aur jo apni sharmgahon ki ( aur sabb say ) hifazat kertay hain ,

  30. إِلَّا عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِهِمۡ أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُمۡ فَإِنَّهُمۡ غَيۡرُ مَلُومِينَ 

    آیت ⁦۷۰:۳۰⁩ کھولیں

    . siwaye apni biwiyon aur unn baandiyon kay jo unn ki milkiyat mein aa-chuki hon , kiyonkay aesay logon per koi malamat nahi hai .

  31. فَمَنِ ٱبۡتَغَىٰ وَرَآءَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡعَادُونَ

    آیت ⁦۷۰:۳۱⁩ کھولیں

    albatta jo log inn kay ilawa koi aur tareeqa ikhtiyar kerna chahen , woh hadd say guzray huye log hain

  32. وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِأَمَٰنَٰتِهِمۡ وَعَهۡدِهِمۡ رَٰعُونَ

    آیت ⁦۷۰:۳۲⁩ کھولیں

    aur jo apni amanton aur ehad ka paas rakhney walay hain ,

  33. وَٱلَّذِينَ هُم بِشَهَٰدَٰتِهِمۡ قَآئِمُونَ

    آیت ⁦۷۰:۳۳⁩ کھولیں

    aur jo apni gawahiyon theek theek denay walay hain ,

  34. وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَلَىٰ صَلَاتِهِمۡ يُحَافِظُونَ

    آیت ⁦۷۰:۳۴⁩ کھولیں

    aur jo apni namaz ki poori poori hifazat kernay walay hain ,

  35. أُوْلَٰٓئِكَ فِي جَنَّٰتٖ مُّكۡرَمُونَ

    آیت ⁦۷۰:۳۵⁩ کھولیں

    woh log hain jo jannaton mein izzat kay sath rahen gay .

  36. فَمَالِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ قِبَلَكَ مُهۡطِعِينَ

    آیت ⁦۷۰:۳۶⁩ کھولیں

    tu ( aey payghumber ! ) inn kafiron ko kiya hogaya kay yeh tumhari taraf charrhay chalay aarahey hain ,

  37. عَنِ ٱلۡيَمِينِ وَعَنِ ٱلشِّمَالِ عِزِينَ

    آیت ⁦۷۰:۳۷⁩ کھولیں

    dayen taraf say bhi aur bayen taraf say bhi , toliyan bana bana ker !

  38. أَيَطۡمَعُ كُلُّ ٱمۡرِيٕٖ مِّنۡهُمۡ أَن يُدۡخَلَ جَنَّةَ نَعِيمٖ

    آیت ⁦۷۰:۳۸⁩ کھولیں

    kiya inn mein say her shaks ko yeh lalach hai kay ussay naimaton wali jannat mein dakhil kiya jaye ?

  39. كَلَّآۖ إِنَّا خَلَقۡنَٰهُم مِّمَّا يَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۷۰:۳۹⁩ کھولیں

    hergiz aisa nahi hoga ! hum ney unn ko uss cheez say peda kiya hai jissay yeh khud jantay hain .

  40. فَلَآ أُقۡسِمُ بِرَبِّ ٱلۡمَشَٰرِقِ وَٱلۡمَغَٰرِبِ إِنَّا لَقَٰدِرُونَ 

    آیت ⁦۷۰:۴۰⁩ کھولیں

    abb mein qasam khata hun unn tamam maqamaat kay malik ki jahan say sitaray nikaltay aur jahan say ghuroob hotay hain kay hum yaqeenan iss baat per qadir hain

  41. عَلَىٰٓ أَن نُّبَدِّلَ خَيۡرٗا مِّنۡهُمۡ وَمَا نَحۡنُ بِمَسۡبُوقِينَ

    آیت ⁦۷۰:۴۱⁩ کھولیں

    kay unn ki jagah unn say behtar log ley ayen , aur koi hamen hara nahi sakta .

  42. فَذَرۡهُمۡ يَخُوضُواْ وَيَلۡعَبُواْ حَتَّىٰ يُلَٰقُواْ يَوۡمَهُمُ ٱلَّذِي يُوعَدُونَ

    آیت ⁦۷۰:۴۲⁩ کھولیں

    lehaza tum enhen chorr do kay yeh apni beyhooda baaton mein munhamik aur khel kood mein parr rahen , yahan tak kay apney uss din say jaa milen jiss ka inn say wada kiya jaraha hai .

  43. يَوۡمَ يَخۡرُجُونَ مِنَ ٱلۡأَجۡدَاثِ سِرَاعٗا كَأَنَّهُمۡ إِلَىٰ نُصُبٖ يُوفِضُونَ

    آیت ⁦۷۰:۴۳⁩ کھولیں

    jiss din yeh jaldi jaldi qabron say iss tarah niklen gay jaisay apney button ki taraf dorray jarahey hon .

  44. خَٰشِعَةً أَبۡصَٰرُهُمۡ تَرۡهَقُهُمۡ ذِلَّةٞۚ ذَٰلِكَ ٱلۡيَوۡمُ ٱلَّذِي كَانُواْ يُوعَدُونَ

    آیت ⁦۷۰:۴۴⁩ کھولیں

    inn ki nigahen jhuki hoi hon gi , zillat inn per chai hoi hogi . yeh wohi din hoga jiss ka inn say wada kiya jaraha hai .