نوح
Nooh
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦٓ أَنۡ أَنذِرۡ قَوۡمَكَ مِن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
آیت ۷۱:۱ کھولیںhum ney nooh ko unn ki qoam kay paas bheja kay apni qoam ko khabrdar kero , qabal iss kay kay unn per koi dardnak azab aa-khara ho .
قَالَ يَٰقَوۡمِ إِنِّي لَكُمۡ نَذِيرٞ مُّبِينٌ
آیت ۷۱:۲ کھولیں. ( chunacheh ) unhon ney ( apni qoam say ) kaha kay : aey meri qoam ! mein tumharay liye aik saaf saaf khabrdar kernay wala hun
أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱتَّقُوهُ وَأَطِيعُونِ
آیت ۷۱:۳ کھولیںkay Allah ki ibadat kero , aur uss say daro , aur mera kehna maano ,
يَغۡفِرۡ لَكُم مِّن ذُنُوبِكُمۡ وَيُؤَخِّرۡكُمۡ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمًّىۚ إِنَّ أَجَلَ ٱللَّهِ إِذَا جَآءَ لَا يُؤَخَّرُۚ لَوۡ كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
آیت ۷۱:۴ کھولیںAllah tumharay gunahon ki maghfirat farmaye ga , aur tumhen aik muqarrar waqt tak baqi rakhay ga . beyshak jab Allah ka muqarrar kiya huwa waqt aajata hai to phir woh moakhir nahi hota . kaash kay tum samajhtay hotay !
قَالَ رَبِّ إِنِّي دَعَوۡتُ قَوۡمِي لَيۡلٗا وَنَهَارٗا
آیت ۷۱:۵ کھولیں. ( phir ) nooh ney ( Allah taalaa say ) kaha kay : meray perwerdigar ! mein ney apni qoam ko raat din ( haq ki ) dawat di hai ,
فَلَمۡ يَزِدۡهُمۡ دُعَآءِيٓ إِلَّا فِرَارٗا
آیت ۷۱:۶ کھولیںlekin meri dawat ka iss kay siwa koi nateeja nahi huwa kay woh aur ziyada bhagney lagay .
وَإِنِّي كُلَّمَا دَعَوۡتُهُمۡ لِتَغۡفِرَ لَهُمۡ جَعَلُوٓاْ أَصَٰبِعَهُمۡ فِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَٱسۡتَغۡشَوۡاْ ثِيَابَهُمۡ وَأَصَرُّواْ وَٱسۡتَكۡبَرُواْ ٱسۡتِكۡبَارٗا
آیت ۷۱:۷ کھولیںaur mein ney jab bhi unhen dawat di , takay aap unn ki maghfirat farmayen , to unhon ney apni ungliyan apney kanon mein dey len , apney kapray apney oopper lapet liye , apni baat per array rahey , aur takabbur hi takabbur ka muzahira kertay rahey .
ثُمَّ إِنِّي دَعَوۡتُهُمۡ جِهَارٗا
آیت ۷۱:۸ کھولیںphir mein ney unhen pukar pukar ker dawat di ,
ثُمَّ إِنِّيٓ أَعۡلَنتُ لَهُمۡ وَأَسۡرَرۡتُ لَهُمۡ إِسۡرَارٗا
آیت ۷۱:۹ کھولیںphir mein ney unn say aelania bhi baat ki , aur chupkay chupkay bhi samjhaya ,
فَقُلۡتُ ٱسۡتَغۡفِرُواْ رَبَّكُمۡ إِنَّهُۥ كَانَ غَفَّارٗا
آیت ۷۱:۱۰ کھولیںchunacheh mein ney kaha kay : apney perwerdigar say maghfirat maango , yaqeen jano woh boht bakhshney wala hai ,
يُرۡسِلِ ٱلسَّمَآءَ عَلَيۡكُم مِّدۡرَارٗا
آیت ۷۱:۱۱ کھولیںwoh tum per aasman say khoob barishen barsaye ga ,
وَيُمۡدِدۡكُم بِأَمۡوَٰلٖ وَبَنِينَ وَيَجۡعَل لَّكُمۡ جَنَّٰتٖ وَيَجۡعَل لَّكُمۡ أَنۡهَٰرٗا
آیت ۷۱:۱۲ کھولیںaur tumharay maal aur aulad mein taraqqi dey ga , aur tumharay liye baaghaat peda keray ga , aur tumhari khatir nehren mohaiyya kerday ga ,
مَّا لَكُمۡ لَا تَرۡجُونَ لِلَّهِ وَقَارٗا
آیت ۷۱:۱۳ کھولیںtumhen kiya hogaya hai kay tum Allah ki azmat say bilkul nahi dartay-?
وَقَدۡ خَلَقَكُمۡ أَطۡوَارًا
آیت ۷۱:۱۴ کھولیںhalankay uss ney tumhen takhleeq kay mukhtalif marhalon say guzaar ker peda kiya hai ,
أَلَمۡ تَرَوۡاْ كَيۡفَ خَلَقَ ٱللَّهُ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖ طِبَاقٗا
آیت ۷۱:۱۵ کھولیںkiya tum ney yeh nahi dekha kay Allah ney kiss tarah saat aasman oopper talay peda farmaye hain-?
وَجَعَلَ ٱلۡقَمَرَ فِيهِنَّ نُورٗا وَجَعَلَ ٱلشَّمۡسَ سِرَاجٗا
آیت ۷۱:۱۶ کھولیںaur unn mein chaand ko noor bana ker aur sooraj ko chiragh bana ker peda kiya hai ,
وَٱللَّهُ أَنۢبَتَكُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ نَبَاتٗا
آیت ۷۱:۱۷ کھولیںaur Allah ney tumhen zameen say behtareen tareeqay per ugaya hai ,
ثُمَّ يُعِيدُكُمۡ فِيهَا وَيُخۡرِجُكُمۡ إِخۡرَاجٗا
آیت ۷۱:۱۸ کھولیںphir woh tumhen dobara ussi mein bhej dey ga , aur ( wahin say phir ) bahir nikal kharra keray ga .
وَٱللَّهُ جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ بِسَاطٗا
آیت ۷۱:۱۹ کھولیںaur Allah ney hi tumharay liye zameen ko aik farsh bana diya hai ,
لِّتَسۡلُكُواْ مِنۡهَا سُبُلٗا فِجَاجٗا
آیت ۷۱:۲۰ کھولیںtakay tum uss kay khulay huye raaston per chalo .
قَالَ نُوحٞ رَّبِّ إِنَّهُمۡ عَصَوۡنِي وَٱتَّبَعُواْ مَن لَّمۡ يَزِدۡهُ مَالُهُۥ وَوَلَدُهُۥٓ إِلَّا خَسَارٗا
آیت ۷۱:۲۱ کھولیںnooh ney kaha : aey meray perwerdigar ! haqeeqat yeh hai kay inn logon ney mera kehna nahi maana , aur unn ( sardaron ) kay peechay chal parray jinn ko unn kay maal aur aulad ney nuqsan phonchaney kay siwa kuch nahi diya ,
وَمَكَرُواْ مَكۡرٗا كُبَّارٗا
آیت ۷۱:۲۲ کھولیںaur unhon ney bari bhari makkaari say kaam liya hai ,
وَقَالُواْ لَا تَذَرُنَّ ءَالِهَتَكُمۡ وَلَا تَذَرُنَّ وَدّٗا وَلَا سُوَاعٗا وَلَا يَغُوثَ وَيَعُوقَ وَنَسۡرٗا
آیت ۷۱:۲۳ کھولیںaur ( apney aadmiyon say ) kaha hai kay : apney maboodon ko hergiz matt chorna . naa wadd aur sawaa ko kissi soorat mein chorna , aur naa yaghoos , yaooq aur nasar ko chorna .
وَقَدۡ أَضَلُّواْ كَثِيرٗاۖ وَلَا تَزِدِ ٱلظَّٰلِمِينَ إِلَّا ضَلَٰلٗا
آیت ۷۱:۲۴ کھولیںiss tarah unhon ney boht son ko gumrah kerdiya hai , lehaza ( ya rab ! ) aap bhi inn ko gumrahi kay siwa kissi aur cheez mein taraqqi naa dijiye .
مِّمَّا خَطِيٓـَٰٔتِهِمۡ أُغۡرِقُواْ فَأُدۡخِلُواْ نَارٗا فَلَمۡ يَجِدُواْ لَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ أَنصَارٗا
آیت ۷۱:۲۵ کھولیںinn logon kay gunahon ki wajeh hi say enhen gharq kiya gaya , phir aag mein dakhil kiya gaya , aur enhen Allah ko chorr ker koi himayati moyassar nahi aaye .
وَقَالَ نُوحٞ رَّبِّ لَا تَذَرۡ عَلَى ٱلۡأَرۡضِ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ دَيَّارًا
آیت ۷۱:۲۶ کھولیںaur nooh ney yeh bhi kaha kay : meray perwerdigar ! inn kafiron mein say koi aik bashinda bhi zameen per baqi naa rakhiye ,
إِنَّكَ إِن تَذَرۡهُمۡ يُضِلُّواْ عِبَادَكَ وَلَا يَلِدُوٓاْ إِلَّا فَاجِرٗا كَفَّارٗا
آیت ۷۱:۲۷ کھولیںagar aap inn ko baqi rakhen gay to yeh aap kay bandon ko gumrah keren gay , aur inn say jo aulad peda hogi woh bad-kaar aur paki kafir hi peda hogi .
رَّبِّ ٱغۡفِرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيَّ وَلِمَن دَخَلَ بَيۡتِيَ مُؤۡمِنٗا وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۖ وَلَا تَزِدِ ٱلظَّٰلِمِينَ إِلَّا تَبَارَۢا
آیت ۷۱:۲۸ کھولیںmeray perwerdigar ! meri bhi bakhshish farma dijiye , meray walaiden ki bhi , her uss shaks ki bhi jo meray ghar mein emaan ki halat mein dakhil huwa hai aur tamam momin mardon aur momin aurton ki bhi . aur jo log zalim hain , unn ko tabahi kay siwa koi aur cheez ata naa farmaiye .