الجن

Al-Jinn

سورت ۷۲ · آیات: ۲۸ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. قُلۡ أُوحِيَ إِلَيَّ أَنَّهُ ٱسۡتَمَعَ نَفَرٞ مِّنَ ٱلۡجِنِّ فَقَالُوٓاْ إِنَّا سَمِعۡنَا قُرۡءَانًا عَجَبٗا

    آیت ⁦۷۲:۱⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) keh do : meray paas wahi aai hai kay jinnaat ki aik jamat ney ( Quran ) ghor say suna , aur ( apni qoam say jaker ) kaha kay : hum ney aik ajeeb Quran suna hai ,

  2. يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلرُّشۡدِ فَـَٔامَنَّا بِهِۦۖ وَلَن نُّشۡرِكَ بِرَبِّنَآ أَحَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۲⁩ کھولیں

    jo raah-e-raast ki taraf rehnumai kerta hai , iss liye hum uss per emaan ley aaye hain , aur abb apney perwerdigar kay sath kissi ko ( ibadat mein ) hergiz shareek nahi maanen gay .

  3. وَأَنَّهُۥ تَعَٰلَىٰ جَدُّ رَبِّنَا مَا ٱتَّخَذَ صَٰحِبَةٗ وَلَا وَلَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۳⁩ کھولیں

    aur yeh kay : humaray perwerdigar ki boht oonchi shaan hai , uss ney naa koi biwi rakhi hai , aur naa koi beta .

  4. وَأَنَّهُۥ كَانَ يَقُولُ سَفِيهُنَا عَلَى ٱللَّهِ شَطَطٗا

    آیت ⁦۷۲:۴⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hum mein say beywaqoof log Allah kay baaray mein aesi baaten kehtay thay jo haqeeqat say boht door hain .

  5. وَأَنَّا ظَنَنَّآ أَن لَّن تَقُولَ ٱلۡإِنسُ وَٱلۡجِنُّ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا

    آیت ⁦۷۲:۵⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hum ney yeh samjha tha kay insan aur jinnaat Allah kay baaray mein jhooti baat nahi kahen gay .

  6. وَأَنَّهُۥ كَانَ رِجَالٞ مِّنَ ٱلۡإِنسِ يَعُوذُونَ بِرِجَالٖ مِّنَ ٱلۡجِنِّ فَزَادُوهُمۡ رَهَقٗا

    آیت ⁦۷۲:۶⁩ کھولیں

    aur yeh kay : insanon mein say kuch log jinnaat kay kuch logon ki panah liya kertay thay , iss tarah inn logon ney jinnaat ko aur sar par charha diya tha .

  7. وَأَنَّهُمۡ ظَنُّواْ كَمَا ظَنَنتُمۡ أَن لَّن يَبۡعَثَ ٱللَّهُ أَحَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۷⁩ کھولیں

    aur yeh kay : jaisa gumaan tum logon ka tha , insanon ney bhi yehi gumaan kiya tha kay Allah kissi ko bhi marney kay baad doosri zindagi nahi dey ga .

  8. وَأَنَّا لَمَسۡنَا ٱلسَّمَآءَ فَوَجَدۡنَٰهَا مُلِئَتۡ حَرَسٗا شَدِيدٗا وَشُهُبٗا

    آیت ⁦۷۲:۸⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hum ney aasman ko tatolna chaha to hum ney paya kay woh baray sakht pehray daaron aur sholon say bhara huwa hai .

  9. وَأَنَّا كُنَّا نَقۡعُدُ مِنۡهَا مَقَٰعِدَ لِلسَّمۡعِۖ فَمَن يَسۡتَمِعِ ٱلۡأٓنَ يَجِدۡ لَهُۥ شِهَابٗا رَّصَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۹⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hum pehlay sunn gunn lenay kay liye aasman ki kuch jagahon per jaa betha kertay thay . lekin abb jo koi sunna chahta hai , woh dekhta hai kay aik shola uss ki ghaat mein laga huwa hai ,

  10. وَأَنَّا لَا نَدۡرِيٓ أَشَرٌّ أُرِيدَ بِمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ أَرَادَ بِهِمۡ رَبُّهُمۡ رَشَدٗا 

    آیت ⁦۷۲:۱۰⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hamen yeh pata nahi tha kay aaya zameen walon say koi bura moamla kernay ka irada kiya gaya hai , ya unn kay perwerdigar ney unn ko raah-e-raast dikhaney ka irada farmaya hai .

  11. وَأَنَّا مِنَّا ٱلصَّٰلِحُونَ وَمِنَّا دُونَ ذَٰلِكَۖ كُنَّا طَرَآئِقَ قِدَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۱⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hum mein kuch naik hain , aur kuch aesay nahi hain , aur hum mukhtalif tareeqon per chalay aarahey hain .

  12. وَأَنَّا ظَنَنَّآ أَن لَّن نُّعۡجِزَ ٱللَّهَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَن نُّعۡجِزَهُۥ هَرَبٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۲⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hum yeh samajh chukay hain kay naa hum zameen mein Allah ko aajiz ker-saktay hain , aur naa ( kahen aur ) bhag ker ussay bey bus ker-saktay hain .

  13. وَأَنَّا لَمَّا سَمِعۡنَا ٱلۡهُدَىٰٓ ءَامَنَّا بِهِۦۖ فَمَن يُؤۡمِنۢ بِرَبِّهِۦ فَلَا يَخَافُ بَخۡسٗا وَلَا رَهَقٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۳⁩ کھولیں

    aur yeh kay : jab hum ney hidayat ki baat sunn li to hum uss per emaan ley aaye . chunacheh jo koi apney perwerdigar per emaan ley aaye to uss ko naa kissi ghatay ka andesha hoga , aur naa kissi ziyadti ka .

  14. وَأَنَّا مِنَّا ٱلۡمُسۡلِمُونَ وَمِنَّا ٱلۡقَٰسِطُونَۖ فَمَنۡ أَسۡلَمَ فَأُوْلَٰٓئِكَ تَحَرَّوۡاْ رَشَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۴⁩ کھولیں

    aur yeh kay : hum mein say kuch to musalman hogaye hain , aur hum mein say ( abb bhi ) kuch zalim hain . chunacheh jo Islam laa-chukay hain , unhon ney hidayat ka raasta dhoond liya hai .

  15. وَأَمَّا ٱلۡقَٰسِطُونَ فَكَانُواْ لِجَهَنَّمَ حَطَبٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۵⁩ کھولیں

    aur rahey woh log jo zalim hain to woh jahannum ka endhan hain .

  16. وَأَلَّوِ ٱسۡتَقَٰمُواْ عَلَى ٱلطَّرِيقَةِ لَأَسۡقَيۡنَٰهُم مَّآءً غَدَقٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۶⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! Ehal-e-makkah say kaho kay mujh per ) yeh ( wahi bhi aai hai ) kay : agar yeh log raastay per aa-ker seedhay hojayen to hum enhen wafir miqdaar mein paani say sairaab keren ,

  17. لِّنَفۡتِنَهُمۡ فِيهِۚ وَمَن يُعۡرِضۡ عَن ذِكۡرِ رَبِّهِۦ يَسۡلُكۡهُ عَذَابٗا صَعَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۷⁩ کھولیں

    takay uss kay zariye unn ko aazmayen . aur jo koi apney perwerdigar ki yaad say mun morray ga , Allah ussay charrhtay huye azab mein piro dey ga .

  18. وَأَنَّ ٱلۡمَسَٰجِدَ لِلَّهِ فَلَا تَدۡعُواْ مَعَ ٱللَّهِ أَحَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۸⁩ کھولیں

    aur yeh kay : sajday to tamam tarr Allah hi ka haq hain , iss liye Allah kay sath kissi aur ki ibadat matt kero .

  19. وَأَنَّهُۥ لَمَّا قَامَ عَبۡدُ ٱللَّهِ يَدۡعُوهُ كَادُواْ يَكُونُونَ عَلَيۡهِ لِبَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۱۹⁩ کھولیں

    aur yeh kay : jab Allah ka banda uss ki ibadat kernay kay liye kharra huwa to aisa maloom huwa jaisay yeh log uss per tootay parr rahey hain .

  20. قُلۡ إِنَّمَآ أَدۡعُواْ رَبِّي وَلَآ أُشۡرِكُ بِهِۦٓ أَحَدٗا 

    آیت ⁦۷۲:۲۰⁩ کھولیں

    keh do kay : mein to sirf apney perwerdigar ki ibadat kerta hun , aur uss kay sath koi shareek nahi manta .

  21. قُلۡ إِنِّي لَآ أَمۡلِكُ لَكُمۡ ضَرّٗا وَلَا رَشَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۲۱⁩ کھولیں

    keh do kay : naa tumhara koi nuqsan meray ikhtiyar mein hai , aur naa koi bhalai .

  22. قُلۡ إِنِّي لَن يُجِيرَنِي مِنَ ٱللَّهِ أَحَدٞ وَلَنۡ أَجِدَ مِن دُونِهِۦ مُلۡتَحَدًا

    آیت ⁦۷۲:۲۲⁩ کھولیں

    keh do kay : mujhay Allah say naa koi bacha sakta hai , aur naa mein ussay chorr ker koi panah ki jagah paasakta hun .

  23. إِلَّا بَلَٰغٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِسَٰلَٰتِهِۦۚ وَمَن يَعۡصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَإِنَّ لَهُۥ نَارَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدًا

    آیت ⁦۷۲:۲۳⁩ کھولیں

    albatta ( jiss cheez per mujhay ikhtiyar diya gaya hai , woh ) Allah ki taraf say baat phoncha dena , aur uss kay payghamaat hain . aur jo koi Allah aur uss kay Rasool ki nafarmani keray ga , to uss kay liye jahannum ki aag hai jiss mein aesay log hamesha hamesha rahen gay .

  24. حَتَّىٰٓ إِذَا رَأَوۡاْ مَا يُوعَدُونَ فَسَيَعۡلَمُونَ مَنۡ أَضۡعَفُ نَاصِرٗا وَأَقَلُّ عَدَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۲۴⁩ کھولیں

    . ( aur yeh log nafarmani kertay rahen gay ) yahan tak kay jab woh cheez unhen nazar aajaye gi jiss say unhen daraya jaraha hai to uss waqt unhen pata chal jaye ga kay kiss kay madadgaar kamzor hain , aur kon tadaad mein kam hai .

  25. قُلۡ إِنۡ أَدۡرِيٓ أَقَرِيبٞ مَّا تُوعَدُونَ أَمۡ يَجۡعَلُ لَهُۥ رَبِّيٓ أَمَدًا

    آیت ⁦۷۲:۲۵⁩ کھولیں

    keh do kay : mujhay maloom nahi hai kay jiss cheez say tumhen daraya jaraha hai , aaya woh nazdeek hai ya mera perwerdigar uss kay liye koi lambi mauddat muqarrar farmata hai .

  26. عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ فَلَا يُظۡهِرُ عَلَىٰ غَيۡبِهِۦٓ أَحَدًا

    آیت ⁦۷۲:۲۶⁩ کھولیں

    wohi saray bhed janney wala hai , chunacheh woh apney bhed per kissi ko mutla nahi kerta ,

  27. إِلَّا مَنِ ٱرۡتَضَىٰ مِن رَّسُولٖ فَإِنَّهُۥ يَسۡلُكُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦ رَصَدٗا

    آیت ⁦۷۲:۲۷⁩ کھولیں

    siwaye kissi payghumber kay jissay uss ney ( iss kaam kay liye ) pasand farma liya ho . aesi soorat mein woh uss payghumber kay aagay aur peechay kuch mohafiz laga deta hai ,

  28. لِّيَعۡلَمَ أَن قَدۡ أَبۡلَغُواْ رِسَٰلَٰتِ رَبِّهِمۡ وَأَحَاطَ بِمَا لَدَيۡهِمۡ وَأَحۡصَىٰ كُلَّ شَيۡءٍ عَدَدَۢا

    آیت ⁦۷۲:۲۸⁩ کھولیں

    takay Allah jaan ley kay unhon ney apney perwerdigar kay payghamaat phoncha diye hain , aur woh unn kay saray halaat ka ehata kiye huye hai , aur uss ney her her cheez ki poori tarah ginti ker rakhi hai .