المزمل
Al-Muzzammil
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡمُزَّمِّلُ
آیت ۷۳:۱ کھولیںaey chadar mein lipatney walay !
قُمِ ٱلَّيۡلَ إِلَّا قَلِيلٗا
آیت ۷۳:۲ کھولیںraat ka thora hissa chorr ker baqi raat mein ( ibadat kay liye ) kharray hojaya kero ,
نِّصۡفَهُۥٓ أَوِ ٱنقُصۡ مِنۡهُ قَلِيلًا
آیت ۷۳:۳ کھولیںraat ka aadha hissa ! ya aadhay say kuch kam kerlo ,
أَوۡ زِدۡ عَلَيۡهِ وَرَتِّلِ ٱلۡقُرۡءَانَ تَرۡتِيلًا
آیت ۷۳:۴ کھولیںya uss say kuch ziyada kerlo , aur Quran ki tilawat itminan say saaf saaf kiya kero .
إِنَّا سَنُلۡقِي عَلَيۡكَ قَوۡلٗا ثَقِيلًا
آیت ۷۳:۵ کھولیںhum tum per aik bhari kalam nazil kernay walay hain .
إِنَّ نَاشِئَةَ ٱلَّيۡلِ هِيَ أَشَدُّ وَطۡـٔٗا وَأَقۡوَمُ قِيلًا
آیت ۷۳:۶ کھولیںbeyshak raat kay waqt uthna hi aisa amal hai jiss say nafs achi tarah kuchla jata hai , aur baat bhi behtar tareeqay per kahi jati hai .
إِنَّ لَكَ فِي ٱلنَّهَارِ سَبۡحٗا طَوِيلٗا
آیت ۷۳:۷ کھولیںdin mein to tum lambi masroofiyat mein rawan dawan rehtay ho .
وَٱذۡكُرِ ٱسۡمَ رَبِّكَ وَتَبَتَّلۡ إِلَيۡهِ تَبۡتِيلٗا
آیت ۷۳:۸ کھولیںaur apney perwerdigar kay naam ka ziker kero , aur sabb say alag ho ker pooray kay pooray ussi kay ho raho .
رَّبُّ ٱلۡمَشۡرِقِ وَٱلۡمَغۡرِبِ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ فَٱتَّخِذۡهُ وَكِيلٗا
آیت ۷۳:۹ کھولیںwoh mashriq o maghrib ka malik hai , uss kay siwa koi mabood nahi , iss liye ussi ko kaarsaz bana lo .
وَٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَٱهۡجُرۡهُمۡ هَجۡرٗا جَمِيلٗا
آیت ۷۳:۱۰ کھولیںaur jo baaten yeh ( kafir log ) kehtay hain , unn per sabar say kaam lo , aur khoobsurti kay sath unn say kinara kerlo .
وَذَرۡنِي وَٱلۡمُكَذِّبِينَ أُوْلِي ٱلنَّعۡمَةِ وَمَهِّلۡهُمۡ قَلِيلًا
آیت ۷۳:۱۱ کھولیںaur tumhen jhutlaney walay jo aesh o ishrat kay malik banay huye hain , unn ka moamla mujh per chorr do , aur unhen thoray din aur mohlat do .
إِنَّ لَدَيۡنَآ أَنكَالٗا وَجَحِيمٗا
آیت ۷۳:۱۲ کھولیںyaqeen jano humaray paas bari sakht berriyan hain , aur dehakti hoi aag hai ,
وَطَعَامٗا ذَا غُصَّةٖ وَعَذَابًا أَلِيمٗا
آیت ۷۳:۱۳ کھولیںaur galay mein phans janey wala khana hai , aur dukh denay wala azab hai ,
يَوۡمَ تَرۡجُفُ ٱلۡأَرۡضُ وَٱلۡجِبَالُ وَكَانَتِ ٱلۡجِبَالُ كَثِيبٗا مَّهِيلًا
آیت ۷۳:۱۴ کھولیںuss din jab zameen aur pahar laraz uthen gay , aur saray pahar ret kay bikhray huye today ban ker reh jayen gay !
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡكُمۡ رَسُولٗا شَٰهِدًا عَلَيۡكُمۡ كَمَآ أَرۡسَلۡنَآ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ رَسُولٗا
آیت ۷۳:۱۵ کھولیں. ( jhutlaney walo ! ) yaqeen jano hum ney tumharay paas tum per gawah banney wala aik Rasool ussi tarah bheja hai , jaisay hum ney firon kay paas aik Rasool bheja tha .
فَعَصَىٰ فِرۡعَوۡنُ ٱلرَّسُولَ فَأَخَذۡنَٰهُ أَخۡذٗا وَبِيلٗا
آیت ۷۳:۱۶ کھولیںphir firon ney Rasool ka kehna nahi maana , to hum ney ussay aesi pakar mein ley liya jo uss kay liye zabardast wabal thi .
فَكَيۡفَ تَتَّقُونَ إِن كَفَرۡتُمۡ يَوۡمٗا يَجۡعَلُ ٱلۡوِلۡدَٰنَ شِيبًا
آیت ۷۳:۱۷ کھولیںagar tum bhi naa maaney to phir uss din say kaisay bacho gay jo bacchon ko boorha bana dey ga
ٱلسَّمَآءُ مُنفَطِرُۢ بِهِۦۚ كَانَ وَعۡدُهُۥ مَفۡعُولًا
آیت ۷۳:۱۸ کھولیں. ( aur ) jiss say aasman phatt parray ga . Allah kay waday ko to poora ho ker rehna hai .
إِنَّ هَٰذِهِۦ تَذۡكِرَةٞۖ فَمَن شَآءَ ٱتَّخَذَ إِلَىٰ رَبِّهِۦ سَبِيلًا
آیت ۷۳:۱۹ کھولیںyeh aik naseehat ki baat hai . abb jo chahye , apney perwerdigar ki taraf janey wala raasta ikhtiyar kerlay .
۞إِنَّ رَبَّكَ يَعۡلَمُ أَنَّكَ تَقُومُ أَدۡنَىٰ مِن ثُلُثَيِ ٱلَّيۡلِ وَنِصۡفَهُۥ وَثُلُثَهُۥ وَطَآئِفَةٞ مِّنَ ٱلَّذِينَ مَعَكَۚ وَٱللَّهُ يُقَدِّرُ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَۚ عَلِمَ أَن لَّن تُحۡصُوهُ فَتَابَ عَلَيۡكُمۡۖ فَٱقۡرَءُواْ مَا تَيَسَّرَ مِنَ ٱلۡقُرۡءَانِۚ عَلِمَ أَن سَيَكُونُ مِنكُم مَّرۡضَىٰ وَءَاخَرُونَ يَضۡرِبُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَبۡتَغُونَ مِن فَضۡلِ ٱللَّهِ وَءَاخَرُونَ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ فَٱقۡرَءُواْ مَا تَيَسَّرَ مِنۡهُۚ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَقۡرِضُواْ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗاۚ وَمَا تُقَدِّمُواْ لِأَنفُسِكُم مِّنۡ خَيۡرٖ تَجِدُوهُ عِندَ ٱللَّهِ هُوَ خَيۡرٗا وَأَعۡظَمَ أَجۡرٗاۚ وَٱسۡتَغۡفِرُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمُۢ
آیت ۷۳:۲۰ کھولیں. ( aey payghumber ! ) tumhara perwerdigar janta hai kay tum do tehai raat kay qareeb , aur kabhi aadhi raat aur kabhi aik tehai raat ( tahajjud ki namaz kay liye ) kharray hotay ho , aur tumharay sathiyon mein say bhi aik jamat ( aisa hi kerti hai ) aur raat aur din ki theek theek miqdaar Allah hi muqarrar farmata hai . ussay maloom hai kay tum uss ka theek hisab nhi rakh sako gay , iss liye uss ney tum per inayat farma di hai . abb tum itna Quran parh liya kero jitna aasaan ho . Allah ko ilm hai kay tum mein kuch log beemar hon gay , aur kuch doosray aesay hon gay jo Allah ka fazal talash kernay kay liye zameen mein safar ker rahey hon gay , aur kuch aesay jo Allah kay raastay mein jang ker rahey hon gay . lehaza tum uss ( Quran ) mein say utna hi parh liya kero jitna aasaan ho . aur namaz qaeem kero , aur zakat ada kero , aur Allah ko qarz do , acha wala qarz ! aur tum apney aap kay liye jo bhalai bhi aagay bhejo gay , ussay Allah kay paas jaker iss tarah pao gay kay woh kahen behtar halat mein aur baray zabardast sawab ki shakal mein mojood hai . aur Allah say maghfirat maangtay raho . yaqeen rakho kay Allah boht bakhshney wala , boht meharban hai .