المدثر
Al-Muddaththir
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡمُدَّثِّرُ
آیت ۷۴:۱ کھولیںaey kapray mein lipatney walay !
قُمۡ فَأَنذِرۡ
آیت ۷۴:۲ کھولیںutho aur logon ko khabrdar kero
وَرَبَّكَ فَكَبِّرۡ
آیت ۷۴:۳ کھولیںaur apney perwerdigar ki takbeer kaho ,
وَثِيَابَكَ فَطَهِّرۡ
آیت ۷۴:۴ کھولیںaur apney kapron ko pak rakho ,
وَٱلرُّجۡزَ فَٱهۡجُرۡ
آیت ۷۴:۵ کھولیںaur gandagi say kinara kerlo ,
وَلَا تَمۡنُن تَسۡتَكۡثِرُ
آیت ۷۴:۶ کھولیںaur koi ehsan iss niyyat say naa kero kay ziyada wasool ker-sako .
وَلِرَبِّكَ فَٱصۡبِرۡ
آیت ۷۴:۷ کھولیںaur apney perwerdigar ki khatir sabar say kaam lo .
فَإِذَا نُقِرَ فِي ٱلنَّاقُورِ
آیت ۷۴:۸ کھولیںphir jab soor mein phoonk maar di jaye gi ,
فَذَٰلِكَ يَوۡمَئِذٖ يَوۡمٌ عَسِيرٌ
آیت ۷۴:۹ کھولیںto woh bara mushkil din hoga ,
عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ غَيۡرُ يَسِيرٖ
آیت ۷۴:۱۰ کھولیںkafiron kay liye woh aasaan nahi hoga .
ذَرۡنِي وَمَنۡ خَلَقۡتُ وَحِيدٗا
آیت ۷۴:۱۱ کھولیںuss shaks ka moamla mujh per chorr do jissay mein ney akela peda kiya ,
وَجَعَلۡتُ لَهُۥ مَالٗا مَّمۡدُودٗا
آیت ۷۴:۱۲ کھولیںaur uss ko maal diya jo door tak phela parra hai ,
وَبَنِينَ شُهُودٗا
آیت ۷۴:۱۳ کھولیںaur betay diye jo samney mojood rehtay hain ,
وَمَهَّدتُّ لَهُۥ تَمۡهِيدٗا
آیت ۷۴:۱۴ کھولیںaur uss kay liye her kaam kay raastay humwaar kerdiye ,
ثُمَّ يَطۡمَعُ أَنۡ أَزِيدَ
آیت ۷۴:۱۵ کھولیںphir bhi woh yeh lalach kerta hai kay mein ussay aur ziyada dun .
كَلَّآۖ إِنَّهُۥ كَانَ لِأٓيَٰتِنَا عَنِيدٗا
آیت ۷۴:۱۶ کھولیںhergiz nahi ! woh humari aayaton ka dushman ban gaya hai ,
سَأُرۡهِقُهُۥ صَعُودًا
آیت ۷۴:۱۷ کھولیںunqareeb mein ussay aik kathan charrhai per charhaon ga .
إِنَّهُۥ فَكَّرَ وَقَدَّرَ
آیت ۷۴:۱۸ کھولیںuss ka haal to yeh hai kay uss ney soch ker aik baat banai ,
فَقُتِلَ كَيۡفَ قَدَّرَ
آیت ۷۴:۱۹ کھولیںkhuda ki maar ho uss per kay kaisi baat banai !
ثُمَّ قُتِلَ كَيۡفَ قَدَّرَ
آیت ۷۴:۲۰ کھولیںdobara khuda ki maar ho uss per kay kaisi baat banai !
ثُمَّ نَظَرَ
آیت ۷۴:۲۱ کھولیںphir uss ney nazar dorrai ,
ثُمَّ عَبَسَ وَبَسَرَ
آیت ۷۴:۲۲ کھولیںphir tewari charrhai , aur mun banaya ,
ثُمَّ أَدۡبَرَ وَٱسۡتَكۡبَرَ
آیت ۷۴:۲۳ کھولیںphir peechay ko murra , aur ghuroor dikhaya ,
فَقَالَ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ يُؤۡثَرُ
آیت ۷۴:۲۴ کھولیںphir kehney laga kay : kuch nahi , yeh to aik riwayati jadoo hai ,
إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا قَوۡلُ ٱلۡبَشَرِ
آیت ۷۴:۲۵ کھولیںkuch nahi , yeh to aik insan ka kalam hai .
سَأُصۡلِيهِ سَقَرَ
آیت ۷۴:۲۶ کھولیںunqareeb mein uss shaks ko dozakh mein jhonk dun ga ,
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا سَقَرُ
آیت ۷۴:۲۷ کھولیںaur tumhen kiya pata kay dozakh kiya cheez hai-?
لَا تُبۡقِي وَلَا تَذَرُ
آیت ۷۴:۲۸ کھولیںwoh naa kissi ko baqi rakhay gi , aur naa choray gi ,
لَوَّاحَةٞ لِّلۡبَشَرِ
آیت ۷۴:۲۹ کھولیںwoh khalon ko jhulas denay wali cheez hai ,
عَلَيۡهَا تِسۡعَةَ عَشَرَ
آیت ۷۴:۳۰ کھولیںuss per unnees ( kaarinday ) muqarrar hon gay .
وَمَا جَعَلۡنَآ أَصۡحَٰبَ ٱلنَّارِ إِلَّا مَلَٰٓئِكَةٗۖ وَمَا جَعَلۡنَا عِدَّتَهُمۡ إِلَّا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ لِيَسۡتَيۡقِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَيَزۡدَادَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِيمَٰنٗا وَلَا يَرۡتَابَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَلِيَقُولَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ وَٱلۡكَٰفِرُونَ مَاذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِهَٰذَا مَثَلٗاۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ ٱللَّهُ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُۚ وَمَا يَعۡلَمُ جُنُودَ رَبِّكَ إِلَّا هُوَۚ وَمَا هِيَ إِلَّا ذِكۡرَىٰ لِلۡبَشَرِ
آیت ۷۴:۳۱ کھولیںaur hum ney dozakh kay yeh kaarinday koi aur nahi , farishtay muqarrar kiye hain . aur unn ki jo tadaad muqarrar ki hai , woh sirf iss liye kay uss kay zariye kafiron ki aazmaesh ho , takay ehal-e-kitab ko yaqeen aajaye , aur jo log emaan laa-chukay hain , unn kay emaan mein aur izafa ho , aur ehal-e-kitab aur momin log kissi shak mein naa parren , aur takay woh log jinn kay dilon mein rog hai , aur jo log kafir hain , woh yeh kahen kay bhala iss ajeeb si baat say Allah ki kiya murad hai ? issi tarah Allah jiss ko chahta hai , gumrah ker deta hai , aur jiss ko chahta hai hidayat deta hai , aur tumharay perwerdigar kay lashkaron ko uss kay siwa koi nahi janta , aur yeh sari baat to noae bashar kay liye aik yaad dahani keraney wali naseehat hai , aur bus !
كَلَّا وَٱلۡقَمَرِ
آیت ۷۴:۳۲ کھولیںkhabrdar ! qasam hai chaand ki ,
وَٱلَّيۡلِ إِذۡ أَدۡبَرَ
آیت ۷۴:۳۳ کھولیںaur raat ki jab woh mun pher ker janey lagay ,
وَٱلصُّبۡحِ إِذَآ أَسۡفَرَ
آیت ۷۴:۳۴ کھولیںaur subha ki jab uss ka ujala phel jaye ,
إِنَّهَا لَإِحۡدَى ٱلۡكُبَرِ
آیت ۷۴:۳۵ کھولیںkay yeh bari bari baaton mein say aik hai
نَذِيرٗا لِّلۡبَشَرِ
آیت ۷۴:۳۶ کھولیںjo tamam insanon ko khabrdar ker rahi hai ,
لِمَن شَآءَ مِنكُمۡ أَن يَتَقَدَّمَ أَوۡ يَتَأَخَّرَ
آیت ۷۴:۳۷ کھولیںtum mein say her uss shaks ko jo aagay barhna ya peechay hatna chahye .
كُلُّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡ رَهِينَةٌ
آیت ۷۴:۳۸ کھولیںher shaks apney kartoot ki wajeh say girwi rakha huwa hai ,
إِلَّآ أَصۡحَٰبَ ٱلۡيَمِينِ
آیت ۷۴:۳۹ کھولیںsiwaye dayen haath walon kay
فِي جَنَّٰتٖ يَتَسَآءَلُونَ
آیت ۷۴:۴۰ کھولیںkay woh jannaton mein hon gay . woh pooch rahey hon gay
عَنِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
آیت ۷۴:۴۱ کھولیںmujrimon kay baaray mein ,
مَا سَلَكَكُمۡ فِي سَقَرَ
آیت ۷۴:۴۲ کھولیںkay : tumhen kiss cheez ney dozakh mein dakhil kerdiya ?
قَالُواْ لَمۡ نَكُ مِنَ ٱلۡمُصَلِّينَ
آیت ۷۴:۴۳ کھولیںwoh kahen gay kay : hum namaz parhney walon mein say nahi thay ,
وَلَمۡ نَكُ نُطۡعِمُ ٱلۡمِسۡكِينَ
آیت ۷۴:۴۴ کھولیںaur hum miskeen ko khana nahi khilatay thay ,
وَكُنَّا نَخُوضُ مَعَ ٱلۡخَآئِضِينَ
آیت ۷۴:۴۵ کھولیںaur jo log beyhooda baaton mein ghustay , hum bhi unn kay sath ghuss jaya kertay thay ,
وَكُنَّا نُكَذِّبُ بِيَوۡمِ ٱلدِّينِ
آیت ۷۴:۴۶ کھولیںaur hum roz-e-jaza ko jhoot qarar detay thay ,
حَتَّىٰٓ أَتَىٰنَا ٱلۡيَقِينُ
آیت ۷۴:۴۷ کھولیںyahan tak kay woh yaqeeni baat humaray paas aa-hi gaee .
فَمَا تَنفَعُهُمۡ شَفَٰعَةُ ٱلشَّٰفِعِينَ
آیت ۷۴:۴۸ کھولیںchunacheh sifarish kernay walon ki sifarish aesay logon kay kaam nahi aaye gi .
فَمَا لَهُمۡ عَنِ ٱلتَّذۡكِرَةِ مُعۡرِضِينَ
آیت ۷۴:۴۹ کھولیںabb inn logon ko kiya hogaya hai kay yeh naseehat ki baat say mun morray huye hain-?
كَأَنَّهُمۡ حُمُرٞ مُّسۡتَنفِرَةٞ
آیت ۷۴:۵۰ کھولیںiss tarah jaisay woh jangli gadhay hon
فَرَّتۡ مِن قَسۡوَرَةِۭ
آیت ۷۴:۵۱ کھولیںjo kissi sher say ( darr ker ) bhag parray hon .
بَلۡ يُرِيدُ كُلُّ ٱمۡرِيٕٖ مِّنۡهُمۡ أَن يُؤۡتَىٰ صُحُفٗا مُّنَشَّرَةٗ
آیت ۷۴:۵۲ کھولیںbalkay inn mein say her shaks yeh chahta hai kay ussay khulay huye saheefay pakra diye jayen .
كَلَّاۖ بَل لَّا يَخَافُونَ ٱلۡأٓخِرَةَ
آیت ۷۴:۵۳ کھولیںhergiz nahi ! baat asal mein yeh hai kay inn ko aakhirat ka khof nahi hai .
كَلَّآ إِنَّهُۥ تَذۡكِرَةٞ
آیت ۷۴:۵۴ کھولیںhergiz nahi ! yeh ( Quran hi ) aik naseehat hai ,
فَمَن شَآءَ ذَكَرَهُۥ
آیت ۷۴:۵۵ کھولیںabb jo chahye , iss say naseehat hasil kerlay .
وَمَا يَذۡكُرُونَ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُۚ هُوَ أَهۡلُ ٱلتَّقۡوَىٰ وَأَهۡلُ ٱلۡمَغۡفِرَةِ
آیت ۷۴:۵۶ کھولیںaur yeh log naseehat hasil keren gay nahi , illa yeh kay Allah hi aisa chahye . wohi iss baat ka ehal hai kay uss say dara jaye , aur wohi iss ka ehal hai kay logon ki maghfirat keray .