القيامة

Al-Qiyaama

سورت ۷۵ · آیات: ۴۰ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. لَآ أُقۡسِمُ بِيَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ

    آیت ⁦۷۵:۱⁩ کھولیں

    mein qasam khata hun qayamat kay din ki ,

  2. وَلَآ أُقۡسِمُ بِٱلنَّفۡسِ ٱللَّوَّامَةِ

    آیت ⁦۷۵:۲⁩ کھولیں

    aur qasam khata hun malamat kernay walay nafs ki , ( kay hum insan ko zaroor dobara zinda keren gay )

  3. أَيَحۡسَبُ ٱلۡإِنسَٰنُ أَلَّن نَّجۡمَعَ عِظَامَهُۥ

    آیت ⁦۷۵:۳⁩ کھولیں

    kiya insan yeh samajh raha hai kay hum uss ki haddiyon ko ikattha nahi ker-saken gay-?

  4. بَلَىٰ قَٰدِرِينَ عَلَىٰٓ أَن نُّسَوِّيَ بَنَانَهُۥ

    آیت ⁦۷۵:۴⁩ کھولیں

    kiyon nahi-? jabkay hamen iss per bhi qudrat hai kay uss ki ungliyon kay por por ko theek theek bana den .

  5. بَلۡ يُرِيدُ ٱلۡإِنسَٰنُ لِيَفۡجُرَ أَمَامَهُۥ

    آیت ⁦۷۵:۵⁩ کھولیں

    asal baat yeh hai kay insan chahta yeh hai kay apni aagay ki zindagi mein bhi dhitai say gunah kerta rahey .

  6. يَسۡـَٔلُ أَيَّانَ يَوۡمُ ٱلۡقِيَٰمَةِ

    آیت ⁦۷۵:۶⁩ کھولیں

    poochtay hai kay : kab aaye ga woh qayamat ka din ?

  7. فَإِذَا بَرِقَ ٱلۡبَصَرُ

    آیت ⁦۷۵:۷⁩ کھولیں

    phir jab aankhen chundhiya jayen gi ,

  8. وَخَسَفَ ٱلۡقَمَرُ

    آیت ⁦۷۵:۸⁩ کھولیں

    aur chaand bey noor hojaye ga ,

  9. وَجُمِعَ ٱلشَّمۡسُ وَٱلۡقَمَرُ

    آیت ⁦۷۵:۹⁩ کھولیں

    aur chaand aur sooraj ikatthay ker diye jayen gay ,

  10. يَقُولُ ٱلۡإِنسَٰنُ يَوۡمَئِذٍ أَيۡنَ ٱلۡمَفَرُّ 

    آیت ⁦۷۵:۱۰⁩ کھولیں

    uss waqt insan kahey ga kay : kahan hai koi jagah jahan bhag ker jaon ?

  11. كَلَّا لَا وَزَرَ

    آیت ⁦۷۵:۱۱⁩ کھولیں

    nahi nahi ! panah ki koi jagah nahi hogi .

  12. إِلَىٰ رَبِّكَ يَوۡمَئِذٍ ٱلۡمُسۡتَقَرُّ

    آیت ⁦۷۵:۱۲⁩ کھولیں

    uss din to her aik ko tumharay perwerdigar hi kay samney jaker thehrna parray ga .

  13. يُنَبَّؤُاْ ٱلۡإِنسَٰنُ يَوۡمَئِذِۭ بِمَا قَدَّمَ وَأَخَّرَ

    آیت ⁦۷۵:۱۳⁩ کھولیں

    uss din her insan ko jatla diya jaye ga kay uss ney kiya kuch aagay bheja hai , aur kiya kuch peechay chorra hai .

  14. بَلِ ٱلۡإِنسَٰنُ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦ بَصِيرَةٞ

    آیت ⁦۷۵:۱۴⁩ کھولیں

    balkay insan khud apney aap say achi tarah waqif hoga ,

  15. وَلَوۡ أَلۡقَىٰ مَعَاذِيرَهُۥ

    آیت ⁦۷۵:۱۵⁩ کھولیں

    chahye woh kitney bahaney banaye .

  16. لَا تُحَرِّكۡ بِهِۦ لِسَانَكَ لِتَعۡجَلَ بِهِۦٓ

    آیت ⁦۷۵:۱۶⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) tum iss Quran ko jaldi jaldi yaad kernay kay liye apni zaban ko hilaya naa kero .

  17. إِنَّ عَلَيۡنَا جَمۡعَهُۥ وَقُرۡءَانَهُۥ

    آیت ⁦۷۵:۱۷⁩ کھولیں

    yaqeen rakho kay iss ko yaad kerana aur parhwana humari zimma daari hai ,

  18. فَإِذَا قَرَأۡنَٰهُ فَٱتَّبِعۡ قُرۡءَانَهُۥ

    آیت ⁦۷۵:۱۸⁩ کھولیں

    phir jab hum issay ( jibraeel kay wastay say ) parh rahey hon to tum iss kay parhney ki perwi kero .

  19. ثُمَّ إِنَّ عَلَيۡنَا بَيَانَهُۥ

    آیت ⁦۷۵:۱۹⁩ کھولیں

    phir uss ki wazahat bhi humari zimma daari hai .

  20. كَلَّا بَلۡ تُحِبُّونَ ٱلۡعَاجِلَةَ 

    آیت ⁦۷۵:۲۰⁩ کھولیں

    . khabrdar ( aey kafiro ! ) asal baat yeh hai kay tum fori tor per hasil honey wali cheez ( yani duniya ) say mohabbat kertay ho ,

  21. وَتَذَرُونَ ٱلۡأٓخِرَةَ

    آیت ⁦۷۵:۲۱⁩ کھولیں

    aur aakhirat ko nazar andaz kiye huye ho .

  22. وُجُوهٞ يَوۡمَئِذٖ نَّاضِرَةٌ

    آیت ⁦۷۵:۲۲⁩ کھولیں

    uss din boht say chehray shadab hon gay ,

  23. إِلَىٰ رَبِّهَا نَاظِرَةٞ

    آیت ⁦۷۵:۲۳⁩ کھولیں

    apney perwerdigar ki taraf dekh rahey hon gay ,

  24. وَوُجُوهٞ يَوۡمَئِذِۭ بَاسِرَةٞ

    آیت ⁦۷۵:۲۴⁩ کھولیں

    aur boht say chehray uss din bigrey huye hon gay ,

  25. تَظُنُّ أَن يُفۡعَلَ بِهَا فَاقِرَةٞ

    آیت ⁦۷۵:۲۵⁩ کھولیں

    samajh rahey hon gay kay unn kay sath woh moamla hoga jo kamar torr denay wala hai .

  26. كَلَّآ إِذَا بَلَغَتِ ٱلتَّرَاقِيَ

    آیت ⁦۷۵:۲۶⁩ کھولیں

    khabrdar ! jab jaan hansliyon tak phonch jaye gi ,

  27. وَقِيلَ مَنۡۜ رَاقٖ

    آیت ⁦۷۵:۲۷⁩ کھولیں

    aur ( teemar daaron ki taraf say ) kaha jaye ga kay : hai koi jhaarr phoonk kernay wala-?

  28. وَظَنَّ أَنَّهُ ٱلۡفِرَاقُ

    آیت ⁦۷۵:۲۸⁩ کھولیں

    aur insan samajh jaye ga kay judai ka waqt aagaya ,

  29. وَٱلۡتَفَّتِ ٱلسَّاقُ بِٱلسَّاقِ

    آیت ⁦۷۵:۲۹⁩ کھولیں

    aur pindli say pindli lipat jaye gi

  30. إِلَىٰ رَبِّكَ يَوۡمَئِذٍ ٱلۡمَسَاقُ 

    آیت ⁦۷۵:۳۰⁩ کھولیں

    to uss din tumharay perwerdigar hi ki taraf rawangi hogi .

  31. فَلَا صَدَّقَ وَلَا صَلَّىٰ

    آیت ⁦۷۵:۳۱⁩ کھولیں

    iss kay bawajood insan ney naa maana , aur naa namaz parhi ,

  32. وَلَٰكِن كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰ

    آیت ⁦۷۵:۳۲⁩ کھولیں

    balkay haq ko jhutlaya , aur mun morr liya ,

  33. ثُمَّ ذَهَبَ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ يَتَمَطَّىٰٓ

    آیت ⁦۷۵:۳۳⁩ کھولیں

    phir akarr dikhata huwa apney ghar walon kay paas chala gaya .

  34. أَوۡلَىٰ لَكَ فَأَوۡلَىٰ

    آیت ⁦۷۵:۳۴⁩ کھولیں

    barbadi hai teri , haan barbadi hai teri !

  35. ثُمَّ أَوۡلَىٰ لَكَ فَأَوۡلَىٰٓ

    آیت ⁦۷۵:۳۵⁩ کھولیں

    phir sunn ley kay barbadi hai teri , haan barbadi hai teri !

  36. أَيَحۡسَبُ ٱلۡإِنسَٰنُ أَن يُتۡرَكَ سُدًى

    آیت ⁦۷۵:۳۶⁩ کھولیں

    kiya insan yeh samajhta hai kay ussay yunhi chorr diya jaye ga-?

  37. أَلَمۡ يَكُ نُطۡفَةٗ مِّن مَّنِيّٖ يُمۡنَىٰ

    آیت ⁦۷۵:۳۷⁩ کھولیں

    kiya woh uss mani ka aik qatra nahi tha jo ( maa kay reham mein ) tapkaya jata hai ?

  38. ثُمَّ كَانَ عَلَقَةٗ فَخَلَقَ فَسَوَّىٰ

    آیت ⁦۷۵:۳۸⁩ کھولیں

    phir woh aik loathra bana , phir Allah ney ussay banaya , aur ussay theek thaak kiya ,

  39. فَجَعَلَ مِنۡهُ ٱلزَّوۡجَيۡنِ ٱلذَّكَرَ وَٱلۡأُنثَىٰٓ

    آیت ⁦۷۵:۳۹⁩ کھولیں

    neez ussi say mard aur aurat ki do sinfen banayen ,

  40. أَلَيۡسَ ذَٰلِكَ بِقَٰدِرٍ عَلَىٰٓ أَن يُحۡـِۧيَ ٱلۡمَوۡتَىٰ 

    آیت ⁦۷۵:۴۰⁩ کھولیں

    kiya woh iss baat per qadir nahi hai kay murdon ko phir say zinda kerday-?