الانسان
Al-Insaan
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
هَلۡ أَتَىٰ عَلَى ٱلۡإِنسَٰنِ حِينٞ مِّنَ ٱلدَّهۡرِ لَمۡ يَكُن شَيۡـٔٗا مَّذۡكُورًا
آیت ۷۶:۱ کھولیںinsan per kabhi aisa waqt aaya hai kay nahi jab woh koi qabil-e-ziker cheez nahi tha-?
إِنَّا خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن نُّطۡفَةٍ أَمۡشَاجٖ نَّبۡتَلِيهِ فَجَعَلۡنَٰهُ سَمِيعَۢا بَصِيرًا
آیت ۷۶:۲ کھولیںhum ney insan ko aik milay julay nutfay say iss tarah peda kiya , kay ussay aazmayen , phir ussay aisa banaya kay woh sunta bhi hai , dekhta bhi hai .
إِنَّا هَدَيۡنَٰهُ ٱلسَّبِيلَ إِمَّا شَاكِرٗا وَإِمَّا كَفُورًا
آیت ۷۶:۳ کھولیںhum ney ussay raasta dikhaya kay woh ya to shukar guzaar ho , ya nashukra ban jaye .
إِنَّآ أَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ سَلَٰسِلَاْ وَأَغۡلَٰلٗا وَسَعِيرًا
آیت ۷۶:۴ کھولیںhum ney hi kafiron kay liye zanjeeren , galay kay toq aur bharakti hoi aag tayyar ki hai .
إِنَّ ٱلۡأَبۡرَارَ يَشۡرَبُونَ مِن كَأۡسٖ كَانَ مِزَاجُهَا كَافُورًا
آیت ۷۶:۵ کھولیںbeyshak naik log aesay jaam say mashroobat piyen gay jiss mein kafoor ki aamezish hogi ,
عَيۡنٗا يَشۡرَبُ بِهَا عِبَادُ ٱللَّهِ يُفَجِّرُونَهَا تَفۡجِيرٗا
آیت ۷۶:۶ کھولیںyeh mashroobat aik aesay chashmay kay hon gay jo Allah kay ( naik ) bandon kay peenay kay liye makhsoos hai , woh ussay ( jahan chahen gay ) aasani say baha kerlay jayen gay .
يُوفُونَ بِٱلنَّذۡرِ وَيَخَافُونَ يَوۡمٗا كَانَ شَرُّهُۥ مُسۡتَطِيرٗا
آیت ۷۶:۷ کھولیںyeh woh log hain jo apni mannaten poori kertay hain , aur uss din ka khof dil mein rakhtay hain jiss kay buray asraat her taraf phelay huye hon gay .
وَيُطۡعِمُونَ ٱلطَّعَامَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ مِسۡكِينٗا وَيَتِيمٗا وَأَسِيرًا
آیت ۷۶:۸ کھولیںaur woh Allah ki mohabbat ki khatir miskeeno , yateemon aur qediyon ko khana khilatay hain ,
إِنَّمَا نُطۡعِمُكُمۡ لِوَجۡهِ ٱللَّهِ لَا نُرِيدُ مِنكُمۡ جَزَآءٗ وَلَا شُكُورًا
آیت ۷۶:۹ کھولیں. ( aur unn say kehtay hain kay : ) hum to tumhen sirf Allah taalaa ki khushnoodi hasil kernay kay liye khila rahey hain . hum tum say naa koi badla chahtay hain , aur naa koi shukriya !
إِنَّا نَخَافُ مِن رَّبِّنَا يَوۡمًا عَبُوسٗا قَمۡطَرِيرٗا
آیت ۷۶:۱۰ کھولیںhamen to apney perwerdigar ki taraf say uss din ka darr laga huwa hai jiss mein chehray buri tarah bigrey huye hon gay .
فَوَقَىٰهُمُ ٱللَّهُ شَرَّ ذَٰلِكَ ٱلۡيَوۡمِ وَلَقَّىٰهُمۡ نَضۡرَةٗ وَسُرُورٗا
آیت ۷۶:۱۱ کھولیںiss ka nateeja yeh hai kay Allah aesay logon ko uss din kay buray asraat say bacha ley ga , aur unn ko shadabi aur suroor say nawazay ga ,
وَجَزَىٰهُم بِمَا صَبَرُواْ جَنَّةٗ وَحَرِيرٗا
آیت ۷۶:۱۲ کھولیںaur unhon ney jo sabar say kaam liya tha , uss kay badlay mein unhen jannat aur reshami libas ata farmaye ga .
مُّتَّكِـِٔينَ فِيهَا عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِۖ لَا يَرَوۡنَ فِيهَا شَمۡسٗا وَلَا زَمۡهَرِيرٗا
آیت ۷۶:۱۳ کھولیںwoh unn baaghon mein aaram deh oonchi nishiston per takiya lagaye howe bethay hon gay , jahan naa woh dhoop ki tapish dekhen gay , aur naa karrakay ki sardi .
وَدَانِيَةً عَلَيۡهِمۡ ظِلَٰلُهَا وَذُلِّلَتۡ قُطُوفُهَا تَذۡلِيلٗا
آیت ۷۶:۱۴ کھولیںaur halat yeh hogi kay unn baaghon kay saye unn per jhukay huye hon gay , aur unn kay phal mukammal tor say unn kay aagay raam kerdiye jayen gay .
وَيُطَافُ عَلَيۡهِم بِـَٔانِيَةٖ مِّن فِضَّةٖ وَأَكۡوَابٖ كَانَتۡ قَوَارِيرَا۠
آیت ۷۶:۱۵ کھولیںaur unn kay samney chaandi kay bartan aur woh piyalay gardish mein laye jayen gay jo sheeshay kay hon gay ,
قَوَارِيرَاْ مِن فِضَّةٖ قَدَّرُوهَا تَقۡدِيرٗا
آیت ۷۶:۱۶ کھولیںsheeshay bhi chaandi kay jinhen bharney walon ney tawazun kay sath bhara hoga .
وَيُسۡقَوۡنَ فِيهَا كَأۡسٗا كَانَ مِزَاجُهَا زَنجَبِيلًا
آیت ۷۶:۱۷ کھولیںaur wahan unn ko aisa jaam pilaya jaye ga jiss mein soonth mila huwa hoga ,
عَيۡنٗا فِيهَا تُسَمَّىٰ سَلۡسَبِيلٗا
آیت ۷۶:۱۸ کھولیںwahan kay aesay chashmay say jiss ka naam salsabeel hai .
۞وَيَطُوفُ عَلَيۡهِمۡ وِلۡدَٰنٞ مُّخَلَّدُونَ إِذَا رَأَيۡتَهُمۡ حَسِبۡتَهُمۡ لُؤۡلُؤٗا مَّنثُورٗا
آیت ۷۶:۱۹ کھولیںunn kay samney ( khidmat kay liye ) aesay larkay gardish mein hon gay jo hamesha larkay hi rahen gay . jab tum unhen dekho gay to yeh mehsoos kero gay kay woh moti hain jo bikhair diye gaye hain .
وَإِذَا رَأَيۡتَ ثَمَّ رَأَيۡتَ نَعِيمٗا وَمُلۡكٗا كَبِيرًا
آیت ۷۶:۲۰ کھولیںaur ( haqeeqat to yeh hai kay ) jab tum woh jagah dekho gay to tumhen naimaton ka aik jahan aur aik bari saltanat nazar aaye gi .
عَٰلِيَهُمۡ ثِيَابُ سُندُسٍ خُضۡرٞ وَإِسۡتَبۡرَقٞۖ وَحُلُّوٓاْ أَسَاوِرَ مِن فِضَّةٖ وَسَقَىٰهُمۡ رَبُّهُمۡ شَرَابٗا طَهُورًا
آیت ۷۶:۲۱ کھولیںunn kay oopper bareek resham ka sabz libas aur dabeez resham kay kapray hon gay , aur unhen chaandi kay kangganon say aarasta kiya jaye ga , aur unn ka perwerdigar unhen nihayat pakeezah sharab pilaye ga .
إِنَّ هَٰذَا كَانَ لَكُمۡ جَزَآءٗ وَكَانَ سَعۡيُكُم مَّشۡكُورًا
آیت ۷۶:۲۲ کھولیں. ( aur farmaye ga kay : ) yeh hai tumhara inaam ! aur tum ney ( duniya mein ) jo mehnat ki thi uss ki poori qadar daani ki gaee hai .
إِنَّا نَحۡنُ نَزَّلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡقُرۡءَانَ تَنزِيلٗا
آیت ۷۶:۲۳ کھولیں. ( aey payghumber ! ) hum ney hi tum per Quran thora thora ker kay nazil kiya hai .
فَٱصۡبِرۡ لِحُكۡمِ رَبِّكَ وَلَا تُطِعۡ مِنۡهُمۡ ءَاثِمًا أَوۡ كَفُورٗا
آیت ۷۶:۲۴ کھولیںlehaza tum apney perwerdigar kay hukum per sabit qadam raho , aur inn logon mein say kissi nafarman ya kafir ki baat naa maano .
وَٱذۡكُرِ ٱسۡمَ رَبِّكَ بُكۡرَةٗ وَأَصِيلٗا
آیت ۷۶:۲۵ کھولیںaur apney perwerdigar kay naam ka subha o shaam ziker kiya kero .
وَمِنَ ٱلَّيۡلِ فَٱسۡجُدۡ لَهُۥ وَسَبِّحۡهُ لَيۡلٗا طَوِيلًا
آیت ۷۶:۲۶ کھولیںaur kuch raat ko bhi uss kay aagay sajday kiya kero , aur raat kay lambay waqt mein uss ki tasbeeh kero .
إِنَّ هَٰٓؤُلَآءِ يُحِبُّونَ ٱلۡعَاجِلَةَ وَيَذَرُونَ وَرَآءَهُمۡ يَوۡمٗا ثَقِيلٗا
آیت ۷۶:۲۷ کھولیںyeh log to ( duniya ki ) fori cheezon say mohabbat kertay hain , aur apney aagay jo bhari din aaney wala hai , ussay nazar andaz kiye huye hain .
نَّحۡنُ خَلَقۡنَٰهُمۡ وَشَدَدۡنَآ أَسۡرَهُمۡۖ وَإِذَا شِئۡنَا بَدَّلۡنَآ أَمۡثَٰلَهُمۡ تَبۡدِيلًا
آیت ۷۶:۲۸ کھولیںhum ney hi enhen peda kiya hai , aur inn kay jorr band mazboot kiye hain , aur hum jab chahen inn kay badlay inn jaisay doosray peda kerden .
إِنَّ هَٰذِهِۦ تَذۡكِرَةٞۖ فَمَن شَآءَ ٱتَّخَذَ إِلَىٰ رَبِّهِۦ سَبِيلٗا
آیت ۷۶:۲۹ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay yeh aik naseehat ki baat hai . abb jo chahye , apney perwerdigar ki taraf janey wala raasta ikhtiyar kerlay .
وَمَا تَشَآءُونَ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
آیت ۷۶:۳۰ کھولیںaur tum chahao gay nahi jab tak Allah naa chahye . aur Allah ilm ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik ,
يُدۡخِلُ مَن يَشَآءُ فِي رَحۡمَتِهِۦۚ وَٱلظَّٰلِمِينَ أَعَدَّ لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمَۢا
آیت ۷۶:۳۱ کھولیںwoh jiss ko chahta hai , apni rehmat mein dakhil kerleta hai , aur yeh jo zalim log hain , inn kay liye uss ney dardnak azab tayyar ker rakha hai .