المرسلات
Al-Mursalaat
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلۡمُرۡسَلَٰتِ عُرۡفٗا
آیت ۷۷:۱ کھولیںqasam hai unn ( hawaon ) ki jo aik kay baad aik bheji jati hain ,
فَٱلۡعَٰصِفَٰتِ عَصۡفٗا
آیت ۷۷:۲ کھولیںphir jo aandhi ban ker zor say chalti hain ,
وَٱلنَّٰشِرَٰتِ نَشۡرٗا
آیت ۷۷:۳ کھولیںaur jo ( badalon ko ) khoob achi tarah phela deti hain ,
فَٱلۡفَٰرِقَٰتِ فَرۡقٗا
آیت ۷۷:۴ کھولیںphir qasam hai unn ( farishton ) ki jo haq aur batil ko alag alag ker-detay hain ,
فَٱلۡمُلۡقِيَٰتِ ذِكۡرًا
آیت ۷۷:۵ کھولیںphir naseehat ki baaten nazil kertay hain ,
عُذۡرًا أَوۡ نُذۡرًا
آیت ۷۷:۶ کھولیںjo ya to logon kay liye moaafi maangney ka sabab banti hain , ya daraney ka ,
إِنَّمَا تُوعَدُونَ لَوَٰقِعٞ
آیت ۷۷:۷ کھولیںyaqeenan woh waqiaa zaroor paish aa-ker rahey ga jiss ka tum say wada kiya jaraha hai .
فَإِذَا ٱلنُّجُومُ طُمِسَتۡ
آیت ۷۷:۸ کھولیںchunacheh ( woh waqiaa uss waqt hoga ) jab sitaray bujha diye jayen gay ,
وَإِذَا ٱلسَّمَآءُ فُرِجَتۡ
آیت ۷۷:۹ کھولیںaur jab aasman ko cheer diya jaye ga ,
وَإِذَا ٱلۡجِبَالُ نُسِفَتۡ
آیت ۷۷:۱۰ کھولیںaur jab pahar reza reza kerdiye jayen gay ,
وَإِذَا ٱلرُّسُلُ أُقِّتَتۡ
آیت ۷۷:۱۱ کھولیںaur jab payghumberon kay jama honey ka waqt aajaye ga .
لِأَيِّ يَوۡمٍ أُجِّلَتۡ
آیت ۷۷:۱۲ کھولیں. ( koi poochay kay ) iss moamlay ko kiss din kay liye multawi kiya gaya hai ?
لِيَوۡمِ ٱلۡفَصۡلِ
آیت ۷۷:۱۳ کھولیں. ( to jawab yeh hai kay ) faislay kay din kay liye !
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا يَوۡمُ ٱلۡفَصۡلِ
آیت ۷۷:۱۴ کھولیںaur tumhen kiya maloom kay faislay ka din kiya cheez hai ?
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۱۵ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain
أَلَمۡ نُهۡلِكِ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۷۷:۱۶ کھولیںkiya hum ney pehlay logon ko halak nahi kiya-?
ثُمَّ نُتۡبِعُهُمُ ٱلۡأٓخِرِينَ
آیت ۷۷:۱۷ کھولیںphir unhi kay peechay baad walon ko bhi chalta kerden gay .
كَذَٰلِكَ نَفۡعَلُ بِٱلۡمُجۡرِمِينَ
آیت ۷۷:۱۸ کھولیںaisa hi sulook hum mujrimon kay sath kiya kertay hain .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۱۹ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
أَلَمۡ نَخۡلُقكُّم مِّن مَّآءٖ مَّهِينٖ
آیت ۷۷:۲۰ کھولیںkiya hum ney tumhen aik haqeer paani say peda nahi kiya-?
فَجَعَلۡنَٰهُ فِي قَرَارٖ مَّكِينٍ
آیت ۷۷:۲۱ کھولیںphir hum ney ussay muqarrara waqt tak aik mazboot qarar ki jagah mein rakha ,
إِلَىٰ قَدَرٖ مَّعۡلُومٖ
آیت ۷۷:۲۲ کھولیںphir hum ney ussay muqarrara waqt tak aik mazboot qarar ki jagah mein rakha ,
فَقَدَرۡنَا فَنِعۡمَ ٱلۡقَٰدِرُونَ
آیت ۷۷:۲۳ کھولیںphir hum ney tawazun peda kiya , chunacheh acha tawazun peda kernay walay hum hain !
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۲۴ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
أَلَمۡ نَجۡعَلِ ٱلۡأَرۡضَ كِفَاتًا
آیت ۷۷:۲۵ کھولیںkiya hum ney zameen ko aisa nahi banaya kay woh samett ker rakhney wali hai ,
أَحۡيَآءٗ وَأَمۡوَٰتٗا
آیت ۷۷:۲۶ کھولیںzindon ko bhi , aur murdon ko bhi ?
وَجَعَلۡنَا فِيهَا رَوَٰسِيَ شَٰمِخَٰتٖ وَأَسۡقَيۡنَٰكُم مَّآءٗ فُرَاتٗا
آیت ۷۷:۲۷ کھولیںaur hum ney uss mein garray huye oonchay oonchay pahar peda kiye , aur tumhen meethay paani say sairaab kernay ka intizam kiya .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۲۸ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
ٱنطَلِقُوٓاْ إِلَىٰ مَا كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
آیت ۷۷:۲۹ کھولیں. ( unn say kaha jaye ga kay : ) chalo abb ussi cheez ki taraf jissay tum jhutlaya kertay thay .
ٱنطَلِقُوٓاْ إِلَىٰ ظِلّٖ ذِي ثَلَٰثِ شُعَبٖ
آیت ۷۷:۳۰ کھولیںchalo uss sayeban ki taraf jo teen shaakhon wala hai ,
لَّا ظَلِيلٖ وَلَا يُغۡنِي مِنَ ٱللَّهَبِ
آیت ۷۷:۳۱ کھولیںjiss mein naa to ( thandak wala ) saya hai , aur naa woh aag ki lapat say bacha sakta hai .
إِنَّهَا تَرۡمِي بِشَرَرٖ كَٱلۡقَصۡرِ
آیت ۷۷:۳۲ کھولیںwoh aag to mehal jaisay baray baray sholay phenkay gi ,
كَأَنَّهُۥ جِمَٰلَتٞ صُفۡرٞ
آیت ۷۷:۳۳ کھولیںaisa lagay ga jaisay woh zard rang kay oont hon .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۳۴ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
هَٰذَا يَوۡمُ لَا يَنطِقُونَ
آیت ۷۷:۳۵ کھولیںyeh aisa din hai jiss mein yeh log bol nahi saken gay ,
وَلَا يُؤۡذَنُ لَهُمۡ فَيَعۡتَذِرُونَ
آیت ۷۷:۳۶ کھولیںaur naa enhen iss baat ki ijazat hogi kay woh koi uzr paish ker-saken .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۳۷ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
هَٰذَا يَوۡمُ ٱلۡفَصۡلِۖ جَمَعۡنَٰكُمۡ وَٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۷۷:۳۸ کھولیںyeh faislay ka din hai . hum ney tumhen aur pichlay logon ko ikattha kerliya hai .
فَإِن كَانَ لَكُمۡ كَيۡدٞ فَكِيدُونِ
آیت ۷۷:۳۹ کھولیںabb agar tumharay paas koi dao hai to mujh per woh dao chala lo .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۴۰ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي ظِلَٰلٖ وَعُيُونٖ
آیت ۷۷:۴۱ کھولیںjinn logon ney taqwa ikhtiyar kiya , woh beyshak sayon aur chashmon kay darmiyan hon gay ,
وَفَوَٰكِهَ مِمَّا يَشۡتَهُونَ
آیت ۷۷:۴۲ کھولیںaur apney mann pasand mewon kay darmiyan !
كُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ هَنِيٓـَٔۢا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
آیت ۷۷:۴۳ کھولیں. ( unn say kaha jaye ga kay : ) mazay say khao , aur piyo unn aemal ki badolat jo tum kiya kertay thay .
إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
آیت ۷۷:۴۴ کھولیںhum naik logon ko aisa hi sila detay hain .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۴۵ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
كُلُواْ وَتَمَتَّعُواْ قَلِيلًا إِنَّكُم مُّجۡرِمُونَ
آیت ۷۷:۴۶ کھولیں. ( aey kafiro ! ) kuch waqt khalo , aur mazay urra lo . haqeeqat mein tum log mujrim ho .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۴۷ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱرۡكَعُواْ لَا يَرۡكَعُونَ
آیت ۷۷:۴۸ کھولیںaur jab inn logon say kaha jata hai kay Allah kay aagay jhuk jao , to yeh jhuktay nahi hain .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۷۷:۴۹ کھولیںbari kharabi hogi uss din aesay logon ki jo haq ko jhutlatay hain .
فَبِأَيِّ حَدِيثِۭ بَعۡدَهُۥ يُؤۡمِنُونَ
آیت ۷۷:۵۰ کھولیںabb iss kay baad aur kon si baat hai jiss per yeh emaan layen gay-?