النبإ

An-Naba

سورت ۷۸ · آیات: ۴۰ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. عَمَّ يَتَسَآءَلُونَ

    آیت ⁦۷۸:۱⁩ کھولیں

    yeh ( kafir ) log kiss cheez kay baaray mein sawalaat ker rahey hain-?

  2. عَنِ ٱلنَّبَإِ ٱلۡعَظِيمِ

    آیت ⁦۷۸:۲⁩ کھولیں

    uss zabardast waqaey kay baaray mein

  3. ٱلَّذِي هُمۡ فِيهِ مُخۡتَلِفُونَ

    آیت ⁦۷۸:۳⁩ کھولیں

    jiss mein khud inn ki baaten mukhtalif hain !

  4. كَلَّا سَيَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۷۸:۴⁩ کھولیں

    khabrdar ! enhen boht jald pata lagg jaye ga ,

  5. ثُمَّ كَلَّا سَيَعۡلَمُونَ

    آیت ⁦۷۸:۵⁩ کھولیں

    dobara khabrdar ! enhen boht jald pata lagg jaye ga .

  6. أَلَمۡ نَجۡعَلِ ٱلۡأَرۡضَ مِهَٰدٗا

    آیت ⁦۷۸:۶⁩ کھولیں

    kiya hum ney zameen ko aik bichona nahi banaya-?

  7. وَٱلۡجِبَالَ أَوۡتَادٗا

    آیت ⁦۷۸:۷⁩ کھولیں

    aur paharon ko ( zameen mein garri hoi ) meekhen-?

  8. وَخَلَقۡنَٰكُمۡ أَزۡوَٰجٗا

    آیت ⁦۷۸:۸⁩ کھولیں

    aur tumhen ( mard o aurat kay ) jorron ki shakal mein hum ney peda kiya ,

  9. وَجَعَلۡنَا نَوۡمَكُمۡ سُبَاتٗا

    آیت ⁦۷۸:۹⁩ کھولیں

    aur tumhari neend ko thakan door kernay ka zariya hum ney banaya ,

  10. وَجَعَلۡنَا ٱلَّيۡلَ لِبَاسٗا 

    آیت ⁦۷۸:۱۰⁩ کھولیں

    aur raat ko perday ka sabab hum ney banaya ,

  11. وَجَعَلۡنَا ٱلنَّهَارَ مَعَاشٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۱⁩ کھولیں

    aur din ko rozi hasil kernay ka waqt hum ney qarar diya ,

  12. وَبَنَيۡنَا فَوۡقَكُمۡ سَبۡعٗا شِدَادٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۲⁩ کھولیں

    aur hum ney hi tumharay oopper saat mazboot wajood ( aasman ) tameer kiye ,

  13. وَجَعَلۡنَا سِرَاجٗا وَهَّاجٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۳⁩ کھولیں

    aur hum ney hi aik dehakta huwa chiragh ( sooraj ) peda kiya ,

  14. وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلۡمُعۡصِرَٰتِ مَآءٗ ثَجَّاجٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۴⁩ کھولیں

    aur hum ney hi bharay huye badalon say moosladhaar paani barsaya ,

  15. لِّنُخۡرِجَ بِهِۦ حَبّٗا وَنَبَاتٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۵⁩ کھولیں

    takay uss say ghalla aur doosri sabziyan bhi ugayen ,

  16. وَجَنَّٰتٍ أَلۡفَافًا

    آیت ⁦۷۸:۱۶⁩ کھولیں

    aur ghaney baaghaat bhi .

  17. إِنَّ يَوۡمَ ٱلۡفَصۡلِ كَانَ مِيقَٰتٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۷⁩ کھولیں

    yaqeen jano faislay ka din aik mutayyan waqt hai ,

  18. يَوۡمَ يُنفَخُ فِي ٱلصُّورِ فَتَأۡتُونَ أَفۡوَاجٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۸⁩ کھولیں

    woh din jab soor phoonka jaye ga to tum sabb foaj darr foaj chalay aao gay ,

  19. وَفُتِحَتِ ٱلسَّمَآءُ فَكَانَتۡ أَبۡوَٰبٗا

    آیت ⁦۷۸:۱۹⁩ کھولیں

    aur aasman khol diya jaye ga , to uss kay darwazay hi darwazay ban jayen gay ,

  20. وَسُيِّرَتِ ٱلۡجِبَالُ فَكَانَتۡ سَرَابًا 

    آیت ⁦۷۸:۲۰⁩ کھولیں

    aur paharon ko chalaya jaye ga to woh ret kay sarab ki shakal ikhtiyar kerlen gay ,

  21. إِنَّ جَهَنَّمَ كَانَتۡ مِرۡصَادٗا

    آیت ⁦۷۸:۲۱⁩ کھولیں

    yaqeen jano jahannum ghaat lagaye bethi hai ,

  22. لِّلطَّٰغِينَ مَـَٔابٗا

    آیت ⁦۷۸:۲۲⁩ کھولیں

    woh sarkashon ka thikana hai

  23. لَّٰبِثِينَ فِيهَآ أَحۡقَابٗا

    آیت ⁦۷۸:۲۳⁩ کھولیں

    jiss mein woh muddaton iss tarah rahen gay

  24. لَّا يَذُوقُونَ فِيهَا بَرۡدٗا وَلَا شَرَابًا

    آیت ⁦۷۸:۲۴⁩ کھولیں

    kay uss mein naa woh kissi thandak ka maza chaken gay , aur naa kissi peenay kay qabil cheez ka ,

  25. إِلَّا حَمِيمٗا وَغَسَّاقٗا

    آیت ⁦۷۸:۲۵⁩ کھولیں

    siwaye garam paani aur peep lahoo kay ,

  26. جَزَآءٗ وِفَاقًا

    آیت ⁦۷۸:۲۶⁩ کھولیں

    yeh unn ka poora poora badla hoga .

  27. إِنَّهُمۡ كَانُواْ لَا يَرۡجُونَ حِسَابٗا

    آیت ⁦۷۸:۲۷⁩ کھولیں

    woh ( apney aemal kay ) hisab ka aqeedah nahi rakhtay thay ,

  28. وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا كِذَّابٗا

    آیت ⁦۷۸:۲۸⁩ کھولیں

    aur enhon ney humari aayaton ko barh charh ker jhutlaya tha .

  29. وَكُلَّ شَيۡءٍ أَحۡصَيۡنَٰهُ كِتَٰبٗا

    آیت ⁦۷۸:۲۹⁩ کھولیں

    aur hum ney her her cheez ko likh ker mehfooz ker rakha hai ,

  30. فَذُوقُواْ فَلَن نَّزِيدَكُمۡ إِلَّا عَذَابًا 

    آیت ⁦۷۸:۳۰⁩ کھولیں

    . abb maza chakho ! iss liye kay hum tumharay liye saza kay siwa kissi cheez mein izafa nahi keren gay .

  31. إِنَّ لِلۡمُتَّقِينَ مَفَازًا

    آیت ⁦۷۸:۳۱⁩ کھولیں

    jinn logon ney taqwa ikhtiyar kiya tha , unn ki beyshak bari jeet hai ,

  32. حَدَآئِقَ وَأَعۡنَٰبٗا

    آیت ⁦۷۸:۳۲⁩ کھولیں

    baaghaat aur angoor !

  33. وَكَوَاعِبَ أَتۡرَابٗا

    آیت ⁦۷۸:۳۳⁩ کھولیں

    aur no khez hum umar larkiyan !

  34. وَكَأۡسٗا دِهَاقٗا

    آیت ⁦۷۸:۳۴⁩ کھولیں

    aur chalaktay huye paymaney !

  35. لَّا يَسۡمَعُونَ فِيهَا لَغۡوٗا وَلَا كِذَّٰبٗا

    آیت ⁦۷۸:۳۵⁩ کھولیں

    wahan per woh naa koi beyhooda baat sunen gay , aur naa koi jhooti baat ,

  36. جَزَآءٗ مِّن رَّبِّكَ عَطَآءً حِسَابٗا

    آیت ⁦۷۸:۳۶⁩ کھولیں

    yeh tumharay perwerdigar ki taraf say sila hoga . ( Allah ki ) aesi den hogi jo logon kay aemal kay hisab say di jaye gi ,

  37. رَّبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا ٱلرَّحۡمَٰنِۖ لَا يَمۡلِكُونَ مِنۡهُ خِطَابٗا

    آیت ⁦۷۸:۳۷⁩ کھولیں

    ussi perwerdigar ki taraf say jo saray aasmano aur zameen aur unn kay darmiyan her cheez ka malik , boht meharban hai ! kissi ki majal nahi hai kay uss kay samney bol sakay .

  38. يَوۡمَ يَقُومُ ٱلرُّوحُ وَٱلۡمَلَٰٓئِكَةُ صَفّٗاۖ لَّا يَتَكَلَّمُونَ إِلَّا مَنۡ أَذِنَ لَهُ ٱلرَّحۡمَٰنُ وَقَالَ صَوَابٗا

    آیت ⁦۷۸:۳۸⁩ کھولیں

    jiss din sari roohen aur farishtay qataren bana ker kharray hon gay , uss din siwaye uss kay koi nahi bol sakay ga jissay khudaye rehman ney ijazat di ho , aur woh baat bhi theek kahey .

  39. ذَٰلِكَ ٱلۡيَوۡمُ ٱلۡحَقُّۖ فَمَن شَآءَ ٱتَّخَذَ إِلَىٰ رَبِّهِۦ مَـَٔابًا

    آیت ⁦۷۸:۳۹⁩ کھولیں

    woh din hai jo bar-haq hai . abb jo chahye , woh apney perwerdigar kay paas thikana bana rakhay .

  40. إِنَّآ أَنذَرۡنَٰكُمۡ عَذَابٗا قَرِيبٗا يَوۡمَ يَنظُرُ ٱلۡمَرۡءُ مَا قَدَّمَتۡ يَدَاهُ وَيَقُولُ ٱلۡكَافِرُ يَٰلَيۡتَنِي كُنتُ تُرَٰبَۢا 

    آیت ⁦۷۸:۴۰⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay hum ney tumhen aik aesay azab say khabrdar kerdiya hai jo qareeb aaney wala hai , jiss din her shaks woh aemal aankhon say dekh ley ga jo uss kay haathon ney aagay bhej rakhay hain , aur kafir yeh kahey ga kay kaash ! mein mitti hojata .