النازعات

An-Naazi'aat

سورت ۷۹ · آیات: ۴۶ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. وَٱلنَّٰزِعَٰتِ غَرۡقٗا

    آیت ⁦۷۹:۱⁩ کھولیں

    qasam hai unn ( farishton ) ki jo ( kafiron ki rooh ) sakhti say kheenchtay hain ,

  2. وَٱلنَّٰشِطَٰتِ نَشۡطٗا

    آیت ⁦۷۹:۲⁩ کھولیں

    aur jo ( mominon ki rooh ki ) girah narmi say khol detay hain ,

  3. وَٱلسَّٰبِحَٰتِ سَبۡحٗا

    آیت ⁦۷۹:۳⁩ کھولیں

    phir ( fizza mein ) tertay huye jatay hain ,

  4. فَٱلسَّٰبِقَٰتِ سَبۡقٗا

    آیت ⁦۷۹:۴⁩ کھولیں

    phir tezi say lapaktay hain ,

  5. فَٱلۡمُدَبِّرَٰتِ أَمۡرٗا

    آیت ⁦۷۹:۵⁩ کھولیں

    phir jo hukum milta hai , uss ( ko poora kernay ) ka intizam kertay hain ,

  6. يَوۡمَ تَرۡجُفُ ٱلرَّاجِفَةُ

    آیت ⁦۷۹:۶⁩ کھولیں

    kay jiss din bhonchal ( her cheez ko ) halla daalay ga ,

  7. تَتۡبَعُهَا ٱلرَّادِفَةُ

    آیت ⁦۷۹:۷⁩ کھولیں

    phir uss kay baad aik aur jhatka aaye ga ,

  8. قُلُوبٞ يَوۡمَئِذٖ وَاجِفَةٌ

    آیت ⁦۷۹:۸⁩ کھولیں

    uss din boht say dil laraz rahey hon gay ,

  9. أَبۡصَٰرُهَا خَٰشِعَةٞ

    آیت ⁦۷۹:۹⁩ کھولیں

    unn ki aankhen jhuki hoi hon gi .

  10. يَقُولُونَ أَءِنَّا لَمَرۡدُودُونَ فِي ٱلۡحَافِرَةِ 

    آیت ⁦۷۹:۱۰⁩ کھولیں

    yeh ( kafir log ) kehtay hain kay : kiya hum pehli wali halat per loata diye jayen gay ?

  11. أَءِذَا كُنَّا عِظَٰمٗا نَّخِرَةٗ

    آیت ⁦۷۹:۱۱⁩ کھولیں

    kiya uss waqt jab hum boseedah haddiyon mein tabdeel hochukay hon gay ?

  12. قَالُواْ تِلۡكَ إِذٗا كَرَّةٌ خَاسِرَةٞ

    آیت ⁦۷۹:۱۲⁩ کھولیں

    kehtay hain kay : agar aisa huwa to yeh baray ghatay ki wapsi hogi .

  13. فَإِنَّمَا هِيَ زَجۡرَةٞ وَٰحِدَةٞ

    آیت ⁦۷۹:۱۳⁩ کھولیں

    haqeeqat to yeh hai kay woh bus aik zor ki aawaz hogi ,

  14. فَإِذَا هُم بِٱلسَّاهِرَةِ

    آیت ⁦۷۹:۱۴⁩ کھولیں

    jiss kay baad woh achanak aik khulay meydan mein hon gay .

  15. هَلۡ أَتَىٰكَ حَدِيثُ مُوسَىٰٓ

    آیت ⁦۷۹:۱۵⁩ کھولیں

    . ( aey payghumber ! ) kiya tumhen musa ka waqiaa phoncha hai ?

  16. إِذۡ نَادَىٰهُ رَبُّهُۥ بِٱلۡوَادِ ٱلۡمُقَدَّسِ طُوًى

    آیت ⁦۷۹:۱۶⁩ کھولیں

    jab unn kay perwerdigar ney unhen toowa ki muqaddas wadi mein aawaz di thi

  17. ٱذۡهَبۡ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ إِنَّهُۥ طَغَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۱۷⁩ کھولیں

    kay : firon kay paas chalay jao , uss ney boht sarkashi ikhtiyar ker rakhi hai .

  18. فَقُلۡ هَل لَّكَ إِلَىٰٓ أَن تَزَكَّىٰ

    آیت ⁦۷۹:۱۸⁩ کھولیں

    aur uss say kaho kay kiya tumhen yeh khuwaish hai kay tum sanwar jao-?

  19. وَأَهۡدِيَكَ إِلَىٰ رَبِّكَ فَتَخۡشَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۱۹⁩ کھولیں

    aur yeh kay mein tumhen tumharay perwerdigar ka raasta dikhaon to tumharay dil mein khof peda hojaye-?

  20. فَأَرَىٰهُ ٱلۡأٓيَةَ ٱلۡكُبۡرَىٰ 

    آیت ⁦۷۹:۲۰⁩ کھولیں

    chunacheh musa ney uss ko bari zabardast nishani dikhai ,

  21. فَكَذَّبَ وَعَصَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۲۱⁩ کھولیں

    phir bhi uss ney ( unhen ) jhutlaya , aur kehna nahi maana ,

  22. ثُمَّ أَدۡبَرَ يَسۡعَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۲۲⁩ کھولیں

    phir dorr dhoop kernay kay liye palta ,

  23. فَحَشَرَ فَنَادَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۲۳⁩ کھولیں

    phir sabb ko ikattha kiya , aur aawaz lagai

  24. فَقَالَ أَنَا۠ رَبُّكُمُ ٱلۡأَعۡلَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۲۴⁩ کھولیں

    aur kaha kay : mein tumhara aalaa darjay ka perwerdigar hun .

  25. فَأَخَذَهُ ٱللَّهُ نَكَالَ ٱلۡأٓخِرَةِ وَٱلۡأُولَىٰٓ

    آیت ⁦۷۹:۲۵⁩ کھولیں

    nateeja yeh huwa kay Allah ney ussay aakhirat aur duniya kay azab mein pakar liya .

  26. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَعِبۡرَةٗ لِّمَن يَخۡشَىٰٓ

    آیت ⁦۷۹:۲۶⁩ کھولیں

    haqeeqat yeh hai kay iss waqaey mein uss shaks kay liye bari ibrat hai jo Allah ka khof dil mein rakhta ho .

  27. ءَأَنتُمۡ أَشَدُّ خَلۡقًا أَمِ ٱلسَّمَآءُۚ بَنَىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۲۷⁩ کھولیں

    . ( insano ! ) kiya tumhen peda kerna ziyada mushkil hai , ya aasman ko-? uss ko Allah ney banaya hai ,

  28. رَفَعَ سَمۡكَهَا فَسَوَّىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۲۸⁩ کھولیں

    uss ki bulandi uthai hai , phir ussay theek kiya hai ,

  29. وَأَغۡطَشَ لَيۡلَهَا وَأَخۡرَجَ ضُحَىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۲۹⁩ کھولیں

    aur uss ki raat ko andheri banaya hai , aur uss kay din ki dhoop bahir nikal di hai ,

  30. وَٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ دَحَىٰهَآ 

    آیت ⁦۷۹:۳۰⁩ کھولیں

    aur zameen ko uss kay baad bicha diya hai ,

  31. أَخۡرَجَ مِنۡهَا مَآءَهَا وَمَرۡعَىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۳۱⁩ کھولیں

    uss mein say uss ka paani aur uss ka chara nikala hai ,

  32. وَٱلۡجِبَالَ أَرۡسَىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۳۲⁩ کھولیں

    aur paharon ko gaarr diya hai ,

  33. مَتَٰعٗا لَّكُمۡ وَلِأَنۡعَٰمِكُمۡ

    آیت ⁦۷۹:۳۳⁩ کھولیں

    takay tumhen aur tumharay maweshiyon ko faeeda phonchaye .

  34. فَإِذَا جَآءَتِ ٱلطَّآمَّةُ ٱلۡكُبۡرَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۳۴⁩ کھولیں

    phir jab woh sabb say bara hangama barpa hoga ,

  35. يَوۡمَ يَتَذَكَّرُ ٱلۡإِنسَٰنُ مَا سَعَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۳۵⁩ کھولیں

    jiss din insan apna sara kiya dhara yaad keray ga ,

  36. وَبُرِّزَتِ ٱلۡجَحِيمُ لِمَن يَرَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۳۶⁩ کھولیں

    aur dozakh her dekhney walay kay samney zahir kerdi jaye gi ,

  37. فَأَمَّا مَن طَغَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۳۷⁩ کھولیں

    to woh jiss ney sarkashi ki thi ,

  38. وَءَاثَرَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا

    آیت ⁦۷۹:۳۸⁩ کھولیں

    aur duniya ki zindagi ko tarjeeh di thi ,

  39. فَإِنَّ ٱلۡجَحِيمَ هِيَ ٱلۡمَأۡوَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۳۹⁩ کھولیں

    to dozakh hi uss ka thikana hogi .

  40. وَأَمَّا مَنۡ خَافَ مَقَامَ رَبِّهِۦ وَنَهَى ٱلنَّفۡسَ عَنِ ٱلۡهَوَىٰ 

    آیت ⁦۷۹:۴۰⁩ کھولیں

    lekin woh jo apney perwerdigar kay samney kharra honey ka khof rakhta tha , aur apney nafs ko buri khuwaishaat say rokta tha ,

  41. فَإِنَّ ٱلۡجَنَّةَ هِيَ ٱلۡمَأۡوَىٰ

    آیت ⁦۷۹:۴۱⁩ کھولیں

    to jannat hi uss ka thikana hogi .

  42. يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلسَّاعَةِ أَيَّانَ مُرۡسَىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۴۲⁩ کھولیں

    yeh log tum say qayamat ki gharri kay baaray mein poochtay hain kay woh kab qaeem hogi ?

  43. فِيمَ أَنتَ مِن ذِكۡرَىٰهَآ

    آیت ⁦۷۹:۴۳⁩ کھولیں

    tumhara yeh baat biyan kernay say kiya kaam-?

  44. إِلَىٰ رَبِّكَ مُنتَهَىٰهَآ

    آیت ⁦۷۹:۴۴⁩ کھولیں

    iss ka ilm to tumharay perwerdigar per khatam hai .

  45. إِنَّمَآ أَنتَ مُنذِرُ مَن يَخۡشَىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۴۵⁩ کھولیں

    jo shaks uss say darta ho , tum to sirf uss ko khabrdar kernay walay ho .

  46. كَأَنَّهُمۡ يَوۡمَ يَرَوۡنَهَا لَمۡ يَلۡبَثُوٓاْ إِلَّا عَشِيَّةً أَوۡ ضُحَىٰهَا

    آیت ⁦۷۹:۴۶⁩ کھولیں

    jiss din yeh uss ko dekh len gay , uss din enhen aisa maloom hoga jaisay woh ( duniya mein ya qabar mein ) aik shaam ya aik subha say ziyada nahi rahey .