عبس

Abasa

سورت ۸۰ · آیات: ۴۲ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. عَبَسَ وَتَوَلَّىٰٓ

    آیت ⁦۸۰:۱⁩ کھولیں

    . ( payghumber ney ) mun banaya , aur rukh pher liya ,

  2. أَن جَآءَهُ ٱلۡأَعۡمَىٰ

    آیت ⁦۸۰:۲⁩ کھولیں

    iss liye kay unn kay paas woh na-beena aagaya tha .

  3. وَمَا يُدۡرِيكَ لَعَلَّهُۥ يَزَّكَّىٰٓ

    آیت ⁦۸۰:۳⁩ کھولیں

    aur ( aey payghumber ! ) tumhen kiya khabar-? shayad woh sudhar jata ,

  4. أَوۡ يَذَّكَّرُ فَتَنفَعَهُ ٱلذِّكۡرَىٰٓ

    آیت ⁦۸۰:۴⁩ کھولیں

    ya woh naseehat qubool kerta , aur naseehat kerna ussay faeeda phonchata !

  5. أَمَّا مَنِ ٱسۡتَغۡنَىٰ

    آیت ⁦۸۰:۵⁩ کھولیں

    . woh shaks jo bey perwai dikha raha tha ,

  6. فَأَنتَ لَهُۥ تَصَدَّىٰ

    آیت ⁦۸۰:۶⁩ کھولیں

    uss kay to tum peechay parrtay ho ,

  7. وَمَا عَلَيۡكَ أَلَّا يَزَّكَّىٰ

    آیت ⁦۸۰:۷⁩ کھولیں

    halankay agar woh naa sudhray to tum per koi zimma daari nahi aati ,

  8. وَأَمَّا مَن جَآءَكَ يَسۡعَىٰ

    آیت ⁦۸۰:۸⁩ کھولیں

    aur woh jo mehnat ker kay tumharay paas aaya hai ,

  9. وَهُوَ يَخۡشَىٰ

    آیت ⁦۸۰:۹⁩ کھولیں

    aur woh dil mein Allah ka khof rakhta hai ,

  10. فَأَنتَ عَنۡهُ تَلَهَّىٰ 

    آیت ⁦۸۰:۱۰⁩ کھولیں

    uss ki taraf say tum bey perwai barattay ho !

  11. كَلَّآ إِنَّهَا تَذۡكِرَةٞ

    آیت ⁦۸۰:۱۱⁩ کھولیں

    hergiz aisa nahi chahiye ! yeh Quran to aik naseehat hai ,

  12. فَمَن شَآءَ ذَكَرَهُۥ

    آیت ⁦۸۰:۱۲⁩ کھولیں

    abb jo chahye , ussay yaad kerlay ,

  13. فِي صُحُفٖ مُّكَرَّمَةٖ

    آیت ⁦۸۰:۱۳⁩ کھولیں

    woh aesay saheefon mein darj hai jo baray muqaddas hain ,

  14. مَّرۡفُوعَةٖ مُّطَهَّرَةِۭ

    آیت ⁦۸۰:۱۴⁩ کھولیں

    oonchay rutbay walay hain , pakeezah hain ,

  15. بِأَيۡدِي سَفَرَةٖ

    آیت ⁦۸۰:۱۵⁩ کھولیں

    unn likhney walon kay haath mein rehtay hain

  16. كِرَامِۭ بَرَرَةٖ

    آیت ⁦۸۰:۱۶⁩ کھولیں

    jo khud bari izzat walay , boht naik hain .

  17. قُتِلَ ٱلۡإِنسَٰنُ مَآ أَكۡفَرَهُۥ

    آیت ⁦۸۰:۱۷⁩ کھولیں

    khuda ki maar ho aesay insan per , woh kitna nashukra hai !

  18. مِنۡ أَيِّ شَيۡءٍ خَلَقَهُۥ

    آیت ⁦۸۰:۱۸⁩ کھولیں

    . ( woh zara sochay kay ) Allah ney ussay kiss cheez say peda kiya-?

  19. مِن نُّطۡفَةٍ خَلَقَهُۥ فَقَدَّرَهُۥ

    آیت ⁦۸۰:۱۹⁩ کھولیں

    nutfay ki aik boond say ! ussay peda bhi kiya , phir uss ko aik khaas andaz bhi diya .

  20. ثُمَّ ٱلسَّبِيلَ يَسَّرَهُۥ 

    آیت ⁦۸۰:۲۰⁩ کھولیں

    phir uss kay liye raasta bhi aasaan bana diya ,

  21. ثُمَّ أَمَاتَهُۥ فَأَقۡبَرَهُۥ

    آیت ⁦۸۰:۲۱⁩ کھولیں

    phir ussay moat di , aur qabar mein phoncha diya ,

  22. ثُمَّ إِذَا شَآءَ أَنشَرَهُۥ

    آیت ⁦۸۰:۲۲⁩ کھولیں

    phir jab chahye ga , ussay dobara utha ker kharra kerday ga .

  23. كَلَّا لَمَّا يَقۡضِ مَآ أَمَرَهُۥ

    آیت ⁦۸۰:۲۳⁩ کھولیں

    hergiz nahi ! jiss baat ka Allah ney ussay hukum diya tha , abhi tak uss ney woh poori nahi ki .

  24. فَلۡيَنظُرِ ٱلۡإِنسَٰنُ إِلَىٰ طَعَامِهِۦٓ

    آیت ⁦۸۰:۲۴⁩ کھولیں

    phir zara insan apney khaney hi ko dekh ley !

  25. أَنَّا صَبَبۡنَا ٱلۡمَآءَ صَبّٗا

    آیت ⁦۸۰:۲۵⁩ کھولیں

    kay hum ney oopper say khoob paani barsaya ,

  26. ثُمَّ شَقَقۡنَا ٱلۡأَرۡضَ شَقّٗا

    آیت ⁦۸۰:۲۶⁩ کھولیں

    phir hum ney zameen ko ajeeb tarah phaarra ,

  27. فَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا حَبّٗا

    آیت ⁦۸۰:۲۷⁩ کھولیں

    phir hum ney uss mein ghallay ugaye ,

  28. وَعِنَبٗا وَقَضۡبٗا

    آیت ⁦۸۰:۲۸⁩ کھولیں

    aur angoor aur tarkariyan ,

  29. وَزَيۡتُونٗا وَنَخۡلٗا

    آیت ⁦۸۰:۲۹⁩ کھولیں

    aur zaitoon aur khujoor ,

  30. وَحَدَآئِقَ غُلۡبٗا 

    آیت ⁦۸۰:۳۰⁩ کھولیں

    aur ghaney ghaney baaghaat ,

  31. وَفَٰكِهَةٗ وَأَبّٗا

    آیت ⁦۸۰:۳۱⁩ کھولیں

    aur meway aur chara ,

  32. مَّتَٰعٗا لَّكُمۡ وَلِأَنۡعَٰمِكُمۡ

    آیت ⁦۸۰:۳۲⁩ کھولیں

    sabb kuch tumharay aur tumharay maweshiyon kay faeeday ki khatir !

  33. فَإِذَا جَآءَتِ ٱلصَّآخَّةُ

    آیت ⁦۸۰:۳۳⁩ کھولیں

    aakhir jab woh kaan phaarney wali aawaz aa-hi jaye gi , ( uss waqt iss nashukri ki haqeeqat pata chal jaye gi )

  34. يَوۡمَ يَفِرُّ ٱلۡمَرۡءُ مِنۡ أَخِيهِ

    آیت ⁦۸۰:۳۴⁩ کھولیں

    yeh uss din hoga jab insan apney bhai say bhi bhagay ga ,

  35. وَأُمِّهِۦ وَأَبِيهِ

    آیت ⁦۸۰:۳۵⁩ کھولیں

    aur apney maa baap say bhi ,

  36. وَصَٰحِبَتِهِۦ وَبَنِيهِ

    آیت ⁦۸۰:۳۶⁩ کھولیں

    aur apney biwi bacchon say bhi ,

  37. لِكُلِّ ٱمۡرِيٕٖ مِّنۡهُمۡ يَوۡمَئِذٖ شَأۡنٞ يُغۡنِيهِ

    آیت ⁦۸۰:۳۷⁩ کھولیں

    . ( kiyonkay ) unn mein say her aik ko uss din apni aesi fiker parri hogi kay ussay doosron ka hosh nahi hoga .

  38. وُجُوهٞ يَوۡمَئِذٖ مُّسۡفِرَةٞ

    آیت ⁦۸۰:۳۸⁩ کھولیں

    uss roz kitney chehray to chamaktay damaktay hon gay ,

  39. ضَاحِكَةٞ مُّسۡتَبۡشِرَةٞ

    آیت ⁦۸۰:۳۹⁩ کھولیں

    hanstay , khushi manatay huye ,

  40. وَوُجُوهٞ يَوۡمَئِذٍ عَلَيۡهَا غَبَرَةٞ 

    آیت ⁦۸۰:۴۰⁩ کھولیں

    aur kitney chehray uss din aesay hon gay kay unn per khaak parri hogi ,

  41. تَرۡهَقُهَا قَتَرَةٌ

    آیت ⁦۸۰:۴۱⁩ کھولیں

    siyahi ney unhen dhaanp rakha hoga .

  42. أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَفَرَةُ ٱلۡفَجَرَةُ

    آیت ⁦۸۰:۴۲⁩ کھولیں

    yeh wohi log hon gay jo kafir thay , bad-kaar thay .