التكوير
At-Takwir
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
إِذَا ٱلشَّمۡسُ كُوِّرَتۡ
آیت ۸۱:۱ کھولیںjab sooraj lapet diya jaye ga ,
وَإِذَا ٱلنُّجُومُ ٱنكَدَرَتۡ
آیت ۸۱:۲ کھولیںaur jab sitaray toot toot ker giren gay ,
وَإِذَا ٱلۡجِبَالُ سُيِّرَتۡ
آیت ۸۱:۳ کھولیںaur jab paharon ko chalaya jaye ga ,
وَإِذَا ٱلۡعِشَارُ عُطِّلَتۡ
آیت ۸۱:۴ کھولیںaur jab das maheenay ki gabahan oontniyon ko bhi beykaar chorr diya jaye ga ,
وَإِذَا ٱلۡوُحُوشُ حُشِرَتۡ
آیت ۸۱:۵ کھولیںaur jab wehshi janwer ikatthay kerdiye jayen gay ,
وَإِذَا ٱلۡبِحَارُ سُجِّرَتۡ
آیت ۸۱:۶ کھولیںaur jab samandaron ko bharkaya jaye ga ,
وَإِذَا ٱلنُّفُوسُ زُوِّجَتۡ
آیت ۸۱:۷ کھولیںaur jab logon kay jooray jooray bana diye jayen gay ,
وَإِذَا ٱلۡمَوۡءُۥدَةُ سُئِلَتۡ
آیت ۸۱:۸ کھولیںaur jiss bachi ko zinda qabar mein gaarr diya gaya tha , jab uss say poocha jaye ga
بِأَيِّ ذَنۢبٖ قُتِلَتۡ
آیت ۸۱:۹ کھولیںkay ussay kiss jurm mein qatal kiya gaya-?
وَإِذَا ٱلصُّحُفُ نُشِرَتۡ
آیت ۸۱:۱۰ کھولیںaur jab aemal namay khol diye jayen gay ,
وَإِذَا ٱلسَّمَآءُ كُشِطَتۡ
آیت ۸۱:۱۱ کھولیںaur jab aasman ka chilka utaar diya jaye ga ,
وَإِذَا ٱلۡجَحِيمُ سُعِّرَتۡ
آیت ۸۱:۱۲ کھولیںaur jab dozakh bharkai jaye gi ,
وَإِذَا ٱلۡجَنَّةُ أُزۡلِفَتۡ
آیت ۸۱:۱۳ کھولیںaur jab jannat qareeb kerdi jaye gi ,
عَلِمَتۡ نَفۡسٞ مَّآ أَحۡضَرَتۡ
آیت ۸۱:۱۴ کھولیںto uss waqt her shaks ko apna sara kiya dhara maloom hojaye ga .
فَلَآ أُقۡسِمُ بِٱلۡخُنَّسِ
آیت ۸۱:۱۵ کھولیںabb mein qasam khata hun unn sitaron ki jo peechay ki taraf chalney lagtay hain ,
ٱلۡجَوَارِ ٱلۡكُنَّسِ
آیت ۸۱:۱۶ کھولیںjo chaltay chaltay dubuk jatay hain ,
وَٱلَّيۡلِ إِذَا عَسۡعَسَ
آیت ۸۱:۱۷ کھولیںaur qasam khata hun raat ki jab woh rukhsat ho ,
وَٱلصُّبۡحِ إِذَا تَنَفَّسَ
آیت ۸۱:۱۸ کھولیںaur subha ki jab woh saans ley ,
إِنَّهُۥ لَقَوۡلُ رَسُولٖ كَرِيمٖ
آیت ۸۱:۱۹ کھولیںkay yeh ( Quran ) yaqeeni tor per aik moaziz farishtay ka laya huwa kalam hai ,
ذِي قُوَّةٍ عِندَ ذِي ٱلۡعَرۡشِ مَكِينٖ
آیت ۸۱:۲۰ کھولیںjo quooat wala hai , jiss ka arsh walay kay paas bara rutba hai .
مُّطَاعٖ ثَمَّ أَمِينٖ
آیت ۸۱:۲۱ کھولیںwahan uss ki baat maani jati hai woh amanat daar hai .
وَمَا صَاحِبُكُم بِمَجۡنُونٖ
آیت ۸۱:۲۲ کھولیںaur ( aey makkah walo ! ) tumharay sath rehney walay yeh sahab ( yani hazrat Muhammad SallAllaho-alehi-wa-aalihi-wasallam ) koi deewaney nahi hain ,
وَلَقَدۡ رَءَاهُ بِٱلۡأُفُقِ ٱلۡمُبِينِ
آیت ۸۱:۲۳ کھولیںaur yeh bilkul sachi baat hai kay unhon ney iss farishtay ko khulay huye ufaq per dekha hai ,
وَمَا هُوَ عَلَى ٱلۡغَيۡبِ بِضَنِينٖ
آیت ۸۱:۲۴ کھولیںaur woh ghaib ki baaton kay baaray mein bakheel bhi nahi hain .
وَمَا هُوَ بِقَوۡلِ شَيۡطَٰنٖ رَّجِيمٖ
آیت ۸۱:۲۵ کھولیںaur naa yeh ( Quran ) kissi mardood shetan ki ( banai hoi ) koi baat hai .
فَأَيۡنَ تَذۡهَبُونَ
آیت ۸۱:۲۶ کھولیںphir bhi tum log kidhar chalay jarahey ho-?
إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ لِّلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۸۱:۲۷ کھولیںyeh to duniya jahan kay logon kay liye aik naseehat hai ,
لِمَن شَآءَ مِنكُمۡ أَن يَسۡتَقِيمَ
آیت ۸۱:۲۸ کھولیں. tum mein say her uss shaks kay liye jo seedha seedha rehna chahye !
وَمَا تَشَآءُونَ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۸۱:۲۹ کھولیںaur tum chahao gay nahi , illa yeh kay khud Allah chahye jo saray jahano ka perwerdigar hai .