الإنفطار
Al-Infitaar
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
إِذَا ٱلسَّمَآءُ ٱنفَطَرَتۡ
آیت ۸۲:۱ کھولیںjab aasman chir jaye ga ,
وَإِذَا ٱلۡكَوَاكِبُ ٱنتَثَرَتۡ
آیت ۸۲:۲ کھولیںaur jab sitaray jharr parren gay ,
وَإِذَا ٱلۡبِحَارُ فُجِّرَتۡ
آیت ۸۲:۳ کھولیںaur jab samandaron ko ubaal diya jaye ga ,
وَإِذَا ٱلۡقُبُورُ بُعۡثِرَتۡ
آیت ۸۲:۴ کھولیںaur jab qabren ukhaar di jayen gi ,
عَلِمَتۡ نَفۡسٞ مَّا قَدَّمَتۡ وَأَخَّرَتۡ
آیت ۸۲:۵ کھولیںuss waqt her shaks ko pata chal jaye ga kay uss ney kiya aagay bheja aur kiya peechay chorra .
يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡإِنسَٰنُ مَا غَرَّكَ بِرَبِّكَ ٱلۡكَرِيمِ
آیت ۸۲:۶ کھولیںaey insan ! tujhay kiss cheez ney apney uss perwerdigar kay moamlay mein dhoka laga diya hai jo bara karam wala hai ,
ٱلَّذِي خَلَقَكَ فَسَوَّىٰكَ فَعَدَلَكَ
آیت ۸۲:۷ کھولیںjiss ney tujhay peda kiya , phir tujhay theek theek banaya , phir teray andar aetidaal peda kiya-?
فِيٓ أَيِّ صُورَةٖ مَّا شَآءَ رَكَّبَكَ
آیت ۸۲:۸ کھولیںjiss soorat mein chaha , uss ney tujhay jorr ker tayyar kiya .
كَلَّا بَلۡ تُكَذِّبُونَ بِٱلدِّينِ
آیت ۸۲:۹ کھولیںhergiz aisa nahi hona chahiye , lekin tum jaza o saza ko jhutlatay ho ,
وَإِنَّ عَلَيۡكُمۡ لَحَٰفِظِينَ
آیت ۸۲:۱۰ کھولیںhalankay tum per kuch nigran ( farishtay ) muqarrar hain ,
كِرَامٗا كَٰتِبِينَ
آیت ۸۲:۱۱ کھولیںwoh moaziz likhney walay
يَعۡلَمُونَ مَا تَفۡعَلُونَ
آیت ۸۲:۱۲ کھولیںjo tumharay saray kamon ko jantay hain .
إِنَّ ٱلۡأَبۡرَارَ لَفِي نَعِيمٖ
آیت ۸۲:۱۳ کھولیںyaqeen rakho kay naik log yaqeenan bari naimaton mein hon gay ,
وَإِنَّ ٱلۡفُجَّارَ لَفِي جَحِيمٖ
آیت ۸۲:۱۴ کھولیںaur bad-kaar log zaroor dozakh mein hon gay .
يَصۡلَوۡنَهَا يَوۡمَ ٱلدِّينِ
آیت ۸۲:۱۵ کھولیںwoh uss mein jaza o saza kay din dakhil hon gay ,
وَمَا هُمۡ عَنۡهَا بِغَآئِبِينَ
آیت ۸۲:۱۶ کھولیںaur who uss say ghaeeb nahi hosaktay .
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا يَوۡمُ ٱلدِّينِ
آیت ۸۲:۱۷ کھولیںaur tumhen kiya pata kay jaza o saza ka din kiya cheez hai ?
ثُمَّ مَآ أَدۡرَىٰكَ مَا يَوۡمُ ٱلدِّينِ
آیت ۸۲:۱۸ کھولیںhaan tumhen kiya pata kay jaza o saza ka din kiya cheez hai ?
يَوۡمَ لَا تَمۡلِكُ نَفۡسٞ لِّنَفۡسٖ شَيۡـٔٗاۖ وَٱلۡأَمۡرُ يَوۡمَئِذٖ لِّلَّهِ
آیت ۸۲:۱۹ کھولیںyeh woh din hoga jiss mein kissi doosray kay liye kuch kerna kissi kay bus mein nahi hoga , aur tamam tarr hukum uss din Allah hi ka chalay ga .