المطففين
Al-Mutaffifin
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَيۡلٞ لِّلۡمُطَفِّفِينَ
آیت ۸۳:۱ کھولیںbari kharabi hai naap tol mein kami kernay walon ki
ٱلَّذِينَ إِذَا ٱكۡتَالُواْ عَلَى ٱلنَّاسِ يَسۡتَوۡفُونَ
آیت ۸۳:۲ کھولیںjinn ka haal yeh hai kay jab woh logon say khud koi cheez naap kerletay hain to poori poori letay hain ,
وَإِذَا كَالُوهُمۡ أَو وَّزَنُوهُمۡ يُخۡسِرُونَ
آیت ۸۳:۳ کھولیںaur jab woh kissi ko naap ker ya tol ker-detay hain to ghata ker-detay hain .
أَلَا يَظُنُّ أُوْلَٰٓئِكَ أَنَّهُم مَّبۡعُوثُونَ
آیت ۸۳:۴ کھولیںkiya yeh log yeh nahi sochtay kay enhen aik zabardast din mai zinda ker kay uthaya jaye ga-?
لِيَوۡمٍ عَظِيمٖ
آیت ۸۳:۵ کھولیںAik baray zabardast din main
يَوۡمَ يَقُومُ ٱلنَّاسُ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
آیت ۸۳:۶ کھولیںjiss din sabb log Rabb-ul-Aalameen kay samney kharray hon gay .
كَلَّآ إِنَّ كِتَٰبَ ٱلۡفُجَّارِ لَفِي سِجِّينٖ
آیت ۸۳:۷ کھولیںhergiz aisa nahi chahiye ! yaqeen jano kay bad-kaar logon ka aemal nama sijjeen mein hai
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا سِجِّينٞ
آیت ۸۳:۸ کھولیںaur tumhen kiya maloom kay sijjeen ( mein rakha huwa aemal nama ) kiya cheez hai-?
كِتَٰبٞ مَّرۡقُومٞ
آیت ۸۳:۹ کھولیںwoh aik likhi hoi kitab hai .
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
آیت ۸۳:۱۰ کھولیںuss din bari kharabi hogi haq ko jhutlaney walon ki ,
ٱلَّذِينَ يُكَذِّبُونَ بِيَوۡمِ ٱلدِّينِ
آیت ۸۳:۱۱ کھولیںjo jaza o saza kay din ko jhutlatay hain .
وَمَا يُكَذِّبُ بِهِۦٓ إِلَّا كُلُّ مُعۡتَدٍ أَثِيمٍ
آیت ۸۳:۱۲ کھولیںaur uss din ko wohi jhutlata hai jo hadd say guzra huwa gunehgaar ho ,
إِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا قَالَ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
آیت ۸۳:۱۳ کھولیںussay jab humari aayaten parh ker sunai jati hon to woh kehta ho kay : yeh to pichlay logon kay afsaney hain .
كَلَّاۖ بَلۡۜ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِهِم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
آیت ۸۳:۱۴ کھولیںhergiz nahi ! balkay jo amal yeh kertay rahey hain , uss ney inn kay dilon per zang charha diya hai .
كَلَّآ إِنَّهُمۡ عَن رَّبِّهِمۡ يَوۡمَئِذٖ لَّمَحۡجُوبُونَ
آیت ۸۳:۱۵ کھولیںhergiz nahi ! haqeeqat yeh hai kay yeh log uss din apney perwerdigar kay deedar say mehroom hon gay .
ثُمَّ إِنَّهُمۡ لَصَالُواْ ٱلۡجَحِيمِ
آیت ۸۳:۱۶ کھولیںphir inn ko dozakh mein dakhil hona parray ga .
ثُمَّ يُقَالُ هَٰذَا ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
آیت ۸۳:۱۷ کھولیںphir kaha jaye ga kay : yeh hai woh cheez jiss ko tum jhutlaya kertay thay !
كَلَّآ إِنَّ كِتَٰبَ ٱلۡأَبۡرَارِ لَفِي عِلِّيِّينَ
آیت ۸۳:۱۸ کھولیںkhabrdar ! naik logon ka aemal nama illeeyeen mein hai .
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا عِلِّيُّونَ
آیت ۸۳:۱۹ کھولیںaur tumhen kiya maloom kay illeeyeen ( mein rakha huwa aemal nama ) kiya cheez hai-?
كِتَٰبٞ مَّرۡقُومٞ
آیت ۸۳:۲۰ کھولیںwoh aik likhi hoi kitab hai
يَشۡهَدُهُ ٱلۡمُقَرَّبُونَ
آیت ۸۳:۲۱ کھولیںjissay muqarrab farishtay dekhtay hain
إِنَّ ٱلۡأَبۡرَارَ لَفِي نَعِيمٍ
آیت ۸۳:۲۲ کھولیںyaqeen jano kay naik log bari naimaton mein hon gay .
عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ يَنظُرُونَ
آیت ۸۳:۲۳ کھولیںaaram deh nishiston per bethay nazara ker rahey hon gay .
تَعۡرِفُ فِي وُجُوهِهِمۡ نَضۡرَةَ ٱلنَّعِيمِ
آیت ۸۳:۲۴ کھولیںunn kay chehron per naimaton mein rehney say jo ronaq aaye gi , tum ussay saaf pehchan lo gay .
يُسۡقَوۡنَ مِن رَّحِيقٖ مَّخۡتُومٍ
آیت ۸۳:۲۵ کھولیںunhen aesi khalis sharab pilai jaye gi jiss per mohar lagi hogi ,
خِتَٰمُهُۥ مِسۡكٞۚ وَفِي ذَٰلِكَ فَلۡيَتَنَافَسِ ٱلۡمُتَنَٰفِسُونَ
آیت ۸۳:۲۶ کھولیںuss ki mohar bhi mushk hi mushk hogi . aur yehi woh cheez hai jiss per lalchaney walon ko barh charh ker lalchana chahiye .
وَمِزَاجُهُۥ مِن تَسۡنِيمٍ
آیت ۸۳:۲۷ کھولیںaur uss sharab mein tasneem ka paani mila huwa hoga ,
عَيۡنٗا يَشۡرَبُ بِهَا ٱلۡمُقَرَّبُونَ
آیت ۸۳:۲۸ کھولیںjo aik aisa chashma hai kay jiss say Allah kay muqarrab banday paani piyen gay .
إِنَّ ٱلَّذِينَ أَجۡرَمُواْ كَانُواْ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ يَضۡحَكُونَ
آیت ۸۳:۲۹ کھولیںjo log mujrim thay , woh emaan walon per hansa kertay thay .
وَإِذَا مَرُّواْ بِهِمۡ يَتَغَامَزُونَ
آیت ۸۳:۳۰ کھولیںaur jab unn kay paas say guzartay thay to aik doosray ko aankhon hi aankhon mein isharay kertay thay .
وَإِذَا ٱنقَلَبُوٓاْ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِمُ ٱنقَلَبُواْ فَكِهِينَ
آیت ۸۳:۳۱ کھولیںaur jab apney ghar walon kay paas loat ker jatay thay , to dil lagi kertay huye jatay thay .
وَإِذَا رَأَوۡهُمۡ قَالُوٓاْ إِنَّ هَٰٓؤُلَآءِ لَضَآلُّونَ
آیت ۸۳:۳۲ کھولیںaur jab inn ( mominon ) ko dekhtay to kehtay kay yeh log yaqeenan gumrah hain ,
وَمَآ أُرۡسِلُواْ عَلَيۡهِمۡ حَٰفِظِينَ
آیت ۸۳:۳۳ کھولیںhalankay unn ko inn musalmanon per nigran bana ker nahi bheja gaya tha .
فَٱلۡيَوۡمَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنَ ٱلۡكُفَّارِ يَضۡحَكُونَ
آیت ۸۳:۳۴ کھولیںaakhir hoga yeh kay aaj emaan laney walay kafiron per hans rahey hon gay ,
عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ يَنظُرُونَ
آیت ۸۳:۳۵ کھولیںaaram deh nishiston per bethay huye dekh rahey hon gay
هَلۡ ثُوِّبَ ٱلۡكُفَّارُ مَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
آیت ۸۳:۳۶ کھولیںkay kafir logon ko waqaee unn kamon ka badla mil gaya jo woh kiya kertay thay .