الإنشقاق
Al-Inshiqaaq
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
إِذَا ٱلسَّمَآءُ ٱنشَقَّتۡ
آیت ۸۴:۱ کھولیںjab aasman phatt parray ga ,
وَأَذِنَتۡ لِرَبِّهَا وَحُقَّتۡ
آیت ۸۴:۲ کھولیںaur woh apney perwerdigar ka hukum sunn ker maan ley ga , aur uss per lazim hai kay yehi keray ,
وَإِذَا ٱلۡأَرۡضُ مُدَّتۡ
آیت ۸۴:۳ کھولیںaur jab zameen ko kheench diya jaye ga ,
وَأَلۡقَتۡ مَا فِيهَا وَتَخَلَّتۡ
آیت ۸۴:۴ کھولیںaur uss kay andar jo kuch hai woh ussay bahir phenk dey gi aur khaali hojaye gi ,
وَأَذِنَتۡ لِرَبِّهَا وَحُقَّتۡ
آیت ۸۴:۵ کھولیںaur woh apney perwerdigar ka hukum sunn ker maan ley gi , aur uss per lazim hai kay yehi keray , ( uss waqt insan ko apna anjam maloom hojaye ga )
يَٰٓأَيُّهَا ٱلۡإِنسَٰنُ إِنَّكَ كَادِحٌ إِلَىٰ رَبِّكَ كَدۡحٗا فَمُلَٰقِيهِ
آیت ۸۴:۶ کھولیںaey insan ! tu apney perwerdigar kay paas phonchney tak musalsal kissi mehnat mein laga rahey ga , yahan tak kay uss say jaa milay ga .
فَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِيَمِينِهِۦ
آیت ۸۴:۷ کھولیںphir jiss shaks ko uss ka aemal nama uss kay dayen haath mein diya jaye ga ,
فَسَوۡفَ يُحَاسَبُ حِسَابٗا يَسِيرٗا
آیت ۸۴:۸ کھولیںuss say to aasaan hisab liya jaye ga ,
وَيَنقَلِبُ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ مَسۡرُورٗا
آیت ۸۴:۹ کھولیںaur woh apney ghar walon kay paas khushi manata huwa wapis aaye ga ,
وَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ وَرَآءَ ظَهۡرِهِۦ
آیت ۸۴:۱۰ کھولیںlekin woh shaks jiss ko uss ka aemal nama uss ki pusht kay peechay say diya jaye ga ,
فَسَوۡفَ يَدۡعُواْ ثُبُورٗا
آیت ۸۴:۱۱ کھولیںwoh moat ko pukaray ga ,
وَيَصۡلَىٰ سَعِيرًا
آیت ۸۴:۱۲ کھولیںaur bharakti hoi aag mein dakhil hoga ,
إِنَّهُۥ كَانَ فِيٓ أَهۡلِهِۦ مَسۡرُورًا
آیت ۸۴:۱۳ کھولیںpehlay woh apney ghar walon kay darmiyan boht khush rehta tha ,
إِنَّهُۥ ظَنَّ أَن لَّن يَحُورَ
آیت ۸۴:۱۴ کھولیںuss ney yeh samajh rakha tha kay woh kabhi palat ker ( Allah kay samney ) nahi jaye ga ,
بَلَىٰٓۚ إِنَّ رَبَّهُۥ كَانَ بِهِۦ بَصِيرٗا
آیت ۸۴:۱۵ کھولیںbhala kiyon nahi-? uss ka perwerdigar ussay yaqeeni tor per dekh raha tha .
فَلَآ أُقۡسِمُ بِٱلشَّفَقِ
آیت ۸۴:۱۶ کھولیںabb mein qasam khata hun shafaq ki ,
وَٱلَّيۡلِ وَمَا وَسَقَ
آیت ۸۴:۱۷ کھولیںaur raat ki aur unn tamam cheezon ki jinhen woh samett ley ,
وَٱلۡقَمَرِ إِذَا ٱتَّسَقَ
آیت ۸۴:۱۸ کھولیںaur chaand ki jab woh bhar ko poora hojaye ,
لَتَرۡكَبُنَّ طَبَقًا عَن طَبَقٖ
آیت ۸۴:۱۹ کھولیںkay tum sabb aik manzil say doosri manzil ki taraf charrhtay jao gay .
فَمَا لَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
آیت ۸۴:۲۰ کھولیںphir inn logon ko kiya hogaya hai kay woh emaan nahi latay-?
وَإِذَا قُرِئَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقُرۡءَانُ لَا يَسۡجُدُونَۤ۩
آیت ۸۴:۲۱ کھولیںaur jab inn kay samney Quran parha jata hai to woh sajda nahi kertay-?
بَلِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُكَذِّبُونَ
آیت ۸۴:۲۲ کھولیںbalkay yeh kafir log haq ko jhutlatay hain ,
وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا يُوعُونَ
آیت ۸۴:۲۳ کھولیںaur jo kuch yeh jama ker rahey hain , Allah ko khoob maloom hai .
فَبَشِّرۡهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
آیت ۸۴:۲۴ کھولیںabb tum enhen aik dardnak azab ki khushkhabri suna do .
إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَهُمۡ أَجۡرٌ غَيۡرُ مَمۡنُونِۭ
آیت ۸۴:۲۵ کھولیںalbatta jo log emaan ley aaye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , unn ko aisa sawab milay ga jo kabhi khatam nahi hoga .