البروج
Al-Burooj
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلسَّمَآءِ ذَاتِ ٱلۡبُرُوجِ
آیت ۸۵:۱ کھولیںqasam hai burjon walay aasman ki ,
وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡمَوۡعُودِ
آیت ۸۵:۲ کھولیںaur uss din ki jiss ka wada kiya gaya hai ,
وَشَاهِدٖ وَمَشۡهُودٖ
آیت ۸۵:۳ کھولیںaur hazir honey walay ki aur uss ki jiss kay paas log hazir hon ,
قُتِلَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡأُخۡدُودِ
آیت ۸۵:۴ کھولیںkay khuda ki maar hai unn khandaq ( khodney ) walon per
ٱلنَّارِ ذَاتِ ٱلۡوَقُودِ
آیت ۸۵:۵ کھولیںuss aag walon per jo endhan say bhari hoi thi ,
إِذۡ هُمۡ عَلَيۡهَا قُعُودٞ
آیت ۸۵:۶ کھولیںjab woh uss kay paas bethay thay ,
وَهُمۡ عَلَىٰ مَا يَفۡعَلُونَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ شُهُودٞ
آیت ۸۵:۷ کھولیںaur woh emaan walon kay sath jo kuch ker rahey thay , uss ka nazara kertay jatay thay .
وَمَا نَقَمُواْ مِنۡهُمۡ إِلَّآ أَن يُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَمِيدِ
آیت ۸۵:۸ کھولیںaur woh emaan walon ko kissi aur baat ki nahi , sirf iss baat ki saza dey rahey thay kay woh uss Allah per emaan ley aaye thay jo baray iqtidar wala , boht qabil-e-tareef hai .
ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
آیت ۸۵:۹ کھولیںjiss kay qabazay mein saray aasmano aur zameen ki saltanat hai . aur Allah her cheez ko dekh raha hai .
إِنَّ ٱلَّذِينَ فَتَنُواْ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ ثُمَّ لَمۡ يَتُوبُواْ فَلَهُمۡ عَذَابُ جَهَنَّمَ وَلَهُمۡ عَذَابُ ٱلۡحَرِيقِ
آیت ۸۵:۱۰ کھولیںyaqeen rakho kay jinn logon ney momin mardon aur momin aurton ko zulm ka nishana banaya hai , phir tauba nahi ki hai , unn kay liye jahannum ka azab hai , aur unn ko aag mein jalney ki saza di jaye gi .
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّٰلِحَٰتِ لَهُمۡ جَنَّٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡكَبِيرُ
آیت ۸۵:۱۱ کھولیںjo log emaan laye hain , aur unhon ney naik amal kiye hain , unn kay liye beyshak ( jannat kay ) aesay baaghaat hain jinn kay neechay nehren behti hain . yeh hai bari kamiyabi !
إِنَّ بَطۡشَ رَبِّكَ لَشَدِيدٌ
آیت ۸۵:۱۲ کھولیںhaqeeqat yeh hai kay tumharay perwerdigar ki pakar boht sakht hai .
إِنَّهُۥ هُوَ يُبۡدِئُ وَيُعِيدُ
آیت ۸۵:۱۳ کھولیںwohi pehli martaba peda kerta hai aur wohi dobara peda keray ga .
وَهُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلۡوَدُودُ
آیت ۸۵:۱۴ کھولیںaur woh boht bakhshney wala , boht mohabbat kernay wala hai ,
ذُو ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡمَجِيدُ
آیت ۸۵:۱۵ کھولیںarsh ka malik hai , buzurgi wala hai ,
فَعَّالٞ لِّمَا يُرِيدُ
آیت ۸۵:۱۶ کھولیںjo kuch irada kerta hai , ker guzarta hai .
هَلۡ أَتَىٰكَ حَدِيثُ ٱلۡجُنُودِ
آیت ۸۵:۱۷ کھولیںkiya tumharay paas unn lashkaron ki khabar phonchi hai .
فِرۡعَوۡنَ وَثَمُودَ
آیت ۸۵:۱۸ کھولیںfiron aur samood ( kay lashkaron ) ki-?
بَلِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي تَكۡذِيبٖ
آیت ۸۵:۱۹ کھولیںiss kay bawajood kafir log haq ko jhutlaney mein lagay huye hain ,
وَٱللَّهُ مِن وَرَآئِهِم مُّحِيطُۢ
آیت ۸۵:۲۰ کھولیںjabkay Allah ney unn ko gheray mein liya huwa hai .
بَلۡ هُوَ قُرۡءَانٞ مَّجِيدٞ
آیت ۸۵:۲۱ کھولیں. ( unn kay jhutlaney say Quran per koi asar nahi parrta ) balkay yeh bari azmat wala Quran hai ,
فِي لَوۡحٖ مَّحۡفُوظِۭ
آیت ۸۵:۲۲ کھولیںjo loah-e-mehfooz mein darj hai .