الطارق

At-Taariq

سورت ۸۶ · آیات: ۱۷ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. وَٱلسَّمَآءِ وَٱلطَّارِقِ

    آیت ⁦۸۶:۱⁩ کھولیں

    qasam hai aasman ki , aur raat ko aaney walay ki

  2. وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا ٱلطَّارِقُ

    آیت ⁦۸۶:۲⁩ کھولیں

    . aur tumhen kiya maloom kay woh raat ko aaney wala kiya hai-?

  3. ٱلنَّجۡمُ ٱلثَّاقِبُ

    آیت ⁦۸۶:۳⁩ کھولیں

    chamakta huwa sitara !

  4. إِن كُلُّ نَفۡسٖ لَّمَّا عَلَيۡهَا حَافِظٞ

    آیت ⁦۸۶:۴⁩ کھولیں

    kay koi jaan aesi nahi hai jiss ki koi nigrani kernay wala mojood naa ho .

  5. فَلۡيَنظُرِ ٱلۡإِنسَٰنُ مِمَّ خُلِقَ

    آیت ⁦۸۶:۵⁩ کھولیں

    abb insan ko yeh dekhna chahiye kay ussay kiss cheez say peda kiya gaya hai ?

  6. خُلِقَ مِن مَّآءٖ دَافِقٖ

    آیت ⁦۸۶:۶⁩ کھولیں

    ussay aik uchaltey huye paani say peda kiya gaya hai

  7. يَخۡرُجُ مِنۢ بَيۡنِ ٱلصُّلۡبِ وَٱلتَّرَآئِبِ

    آیت ⁦۸۶:۷⁩ کھولیں

    jo peeth aur seenay ki haddiyon kay darmiyan say nikalta hai .

  8. إِنَّهُۥ عَلَىٰ رَجۡعِهِۦ لَقَادِرٞ

    آیت ⁦۸۶:۸⁩ کھولیں

    beyshak woh ussay dobara peda kernay per poori tarah qadir hai .

  9. يَوۡمَ تُبۡلَى ٱلسَّرَآئِرُ

    آیت ⁦۸۶:۹⁩ کھولیں

    jiss din tamam posheeda baaton ki janch hogi ,

  10. فَمَا لَهُۥ مِن قُوَّةٖ وَلَا نَاصِرٖ 

    آیت ⁦۸۶:۱۰⁩ کھولیں

    tu insan kay paas naa apna koi zor hoga , naa koi madadgaar .

  11. وَٱلسَّمَآءِ ذَاتِ ٱلرَّجۡعِ

    آیت ⁦۸۶:۱۱⁩ کھولیں

    qasam hai barish bharay aasman ki ,

  12. وَٱلۡأَرۡضِ ذَاتِ ٱلصَّدۡعِ

    آیت ⁦۸۶:۱۲⁩ کھولیں

    aur phoot parrney wali zameen ki

  13. إِنَّهُۥ لَقَوۡلٞ فَصۡلٞ

    آیت ⁦۸۶:۱۳⁩ کھولیں

    kay yeh ( Quran ) aik faisla kunn baat hai ,

  14. وَمَا هُوَ بِٱلۡهَزۡلِ

    آیت ⁦۸۶:۱۴⁩ کھولیں

    aur yeh koi mazaq nahi hai .

  15. إِنَّهُمۡ يَكِيدُونَ كَيۡدٗا

    آیت ⁦۸۶:۱۵⁩ کھولیں

    beyshak yeh ( kafir log ) chaalen chal rahey hain ,

  16. وَأَكِيدُ كَيۡدٗا

    آیت ⁦۸۶:۱۶⁩ کھولیں

    aur mein bhi apni chaal chal raha hun .

  17. فَمَهِّلِ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَمۡهِلۡهُمۡ رُوَيۡدَۢا

    آیت ⁦۸۶:۱۷⁩ کھولیں

    lehaza ( aey payghumber ! ) tum inn kafiron ko dheel do , enhen thoray dino apney haal per chorr do .