الأعلى
Al-A'laa
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
سَبِّحِ ٱسۡمَ رَبِّكَ ٱلۡأَعۡلَى
آیت ۸۷:۱ کھولیںapney perwerdigar kay naam ki tasbeeh kero jiss ki shaan sabb say oonchi hai ,
ٱلَّذِي خَلَقَ فَسَوَّىٰ
آیت ۸۷:۲ کھولیںjiss ney sabb kuch peda kiya , aur theek theek banaya ,
وَٱلَّذِي قَدَّرَ فَهَدَىٰ
آیت ۸۷:۳ کھولیںaur jiss ney her cheez ko aik khaas andaz diya , phir raasta bataya ,
وَٱلَّذِيٓ أَخۡرَجَ ٱلۡمَرۡعَىٰ
آیت ۸۷:۴ کھولیںaur jiss ney sabz chara ( zameen say ) nikala ,
فَجَعَلَهُۥ غُثَآءً أَحۡوَىٰ
آیت ۸۷:۵ کھولیںphir ussay kalay rang ka koorra bana diya .
سَنُقۡرِئُكَ فَلَا تَنسَىٰٓ
آیت ۸۷:۶ کھولیں. ( aey payghumber ! ) hum tumhen parhayen gay , phir tum bhoolo gay nahi ,
إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۚ إِنَّهُۥ يَعۡلَمُ ٱلۡجَهۡرَ وَمَا يَخۡفَىٰ
آیت ۸۷:۷ کھولیںsiwaye uss kay jissay Allah chahye . yaqeen rakho woh khuli hoi cheezon ko bhi janta hai , aur unn cheezon ko bhi jo chupi hoi hain .
وَنُيَسِّرُكَ لِلۡيُسۡرَىٰ
آیت ۸۷:۸ کھولیںaur hum tumhen aasaan shariyat ( per chalney kay liye ) sahoolat den gay .
فَذَكِّرۡ إِن نَّفَعَتِ ٱلذِّكۡرَىٰ
آیت ۸۷:۹ کھولیںlehaza tum naseehat kiye jao , agar naseehat ka faeeda ho .
سَيَذَّكَّرُ مَن يَخۡشَىٰ
آیت ۸۷:۱۰ کھولیںjiss kay dil mein Allah ka khof hoga , woh naseehat maaney ga ,
وَيَتَجَنَّبُهَا ٱلۡأَشۡقَى
آیت ۸۷:۱۱ کھولیںaur uss say door woh rahey ga jo bara bad-bakht hoga ,
ٱلَّذِي يَصۡلَى ٱلنَّارَ ٱلۡكُبۡرَىٰ
آیت ۸۷:۱۲ کھولیںjo sabb say bari aag mein dakhil hoga ,
ثُمَّ لَا يَمُوتُ فِيهَا وَلَا يَحۡيَىٰ
آیت ۸۷:۱۳ کھولیںphir uss aag mein naa maray ga , aur naa jiye ga .
قَدۡ أَفۡلَحَ مَن تَزَكَّىٰ
آیت ۸۷:۱۴ کھولیںfalah uss ney pai hai jiss ney pakeezgi ikhtiyar ki ,
وَذَكَرَ ٱسۡمَ رَبِّهِۦ فَصَلَّىٰ
آیت ۸۷:۱۵ کھولیںaur apney perwerdigar ka naam liya , aur namaz parhi .
بَلۡ تُؤۡثِرُونَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا
آیت ۸۷:۱۶ کھولیںlekin tum log dunyawi zindagi ko muqaddam rakhtay ho ,
وَٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ وَأَبۡقَىٰٓ
آیت ۸۷:۱۷ کھولیںhalankay aakhirat kahen ziyada behtar aur kahen ziyada payedaar hai .
إِنَّ هَٰذَا لَفِي ٱلصُّحُفِ ٱلۡأُولَىٰ
آیت ۸۷:۱۸ کھولیںyeh baat yaqeenan pichlay ( aasmani ) saheefon mein bhi darj hai ,
صُحُفِ إِبۡرَٰهِيمَ وَمُوسَىٰ
آیت ۸۷:۱۹ کھولیںIbrahim aur musa kay saheefon mein .