الغاشية
Al-Ghaashiya
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
هَلۡ أَتَىٰكَ حَدِيثُ ٱلۡغَٰشِيَةِ
آیت ۸۸:۱ کھولیںkiya tumhen uss waqaey ( yani qayamat ) ki khabar phonchi hai jo sabb per chah jaye ga-?
وُجُوهٞ يَوۡمَئِذٍ خَٰشِعَةٌ
آیت ۸۸:۲ کھولیںboht say chehray uss din utray huye hon gay ,
عَامِلَةٞ نَّاصِبَةٞ
آیت ۸۸:۳ کھولیںmuseebat jheltay huye , thakan say choor !
تَصۡلَىٰ نَارًا حَامِيَةٗ
آیت ۸۸:۴ کھولیںwoh dehakti hoi aag mein dakhil hon gay ,
تُسۡقَىٰ مِنۡ عَيۡنٍ ءَانِيَةٖ
آیت ۸۸:۵ کھولیںunhen kholtay huye chashmay say paani pilaya jaye ga ,
لَّيۡسَ لَهُمۡ طَعَامٌ إِلَّا مِن ضَرِيعٖ
آیت ۸۸:۶ کھولیںunn kay liye aik kaantay daar jhaarr kay siwa koi khana nahi hoga ,
لَّا يُسۡمِنُ وَلَا يُغۡنِي مِن جُوعٖ
آیت ۸۸:۷ کھولیںjo naa jism ka wazan barhaye ga , aur naa bhook mitaye ga .
وُجُوهٞ يَوۡمَئِذٖ نَّاعِمَةٞ
آیت ۸۸:۸ کھولیںboht say chehray uss din tar-o-taza hon gay ,
لِّسَعۡيِهَا رَاضِيَةٞ
آیت ۸۸:۹ کھولیں. ( duniya mein ) apni ki hoi mehnat ki wajeh say poori tarah mutmaeen
فِي جَنَّةٍ عَالِيَةٖ
آیت ۸۸:۱۰ کھولیںaalishaan jannat mein hon gay ,
لَّا تَسۡمَعُ فِيهَا لَٰغِيَةٗ
آیت ۸۸:۱۱ کھولیںjiss mein woh koi laghw baat nahi sunen gay .
فِيهَا عَيۡنٞ جَارِيَةٞ
آیت ۸۸:۱۲ کھولیںuss jannat mein behtay huye chashmay hon gay ,
فِيهَا سُرُرٞ مَّرۡفُوعَةٞ
آیت ۸۸:۱۳ کھولیںuss mein oonchi oonchi nishisten hon gi
وَأَكۡوَابٞ مَّوۡضُوعَةٞ
آیت ۸۸:۱۴ کھولیںaur samney rakhay huye piyalay ,
وَنَمَارِقُ مَصۡفُوفَةٞ
آیت ۸۸:۱۵ کھولیںaur qitaar mein lagaye huye gadaz takiye ,
وَزَرَابِيُّ مَبۡثُوثَةٌ
آیت ۸۸:۱۶ کھولیںaur bichay huye qaleen !
أَفَلَا يَنظُرُونَ إِلَى ٱلۡإِبِلِ كَيۡفَ خُلِقَتۡ
آیت ۸۸:۱۷ کھولیںto kiya yeh log oonton ko nahi dekhtay kay unhen kaisay peda kiya gaya-?
وَإِلَى ٱلسَّمَآءِ كَيۡفَ رُفِعَتۡ
آیت ۸۸:۱۸ کھولیںaur aasman ko kay ussay kiss tarah buland kiya gaya-?
وَإِلَى ٱلۡجِبَالِ كَيۡفَ نُصِبَتۡ
آیت ۸۸:۱۹ کھولیںaur paharon ko kay unhen kiss tarah gaarra gaya-?
وَإِلَى ٱلۡأَرۡضِ كَيۡفَ سُطِحَتۡ
آیت ۸۸:۲۰ کھولیںaur zameen ko kay ussay kaisay bichaya gaya-?
فَذَكِّرۡ إِنَّمَآ أَنتَ مُذَكِّرٞ
آیت ۸۸:۲۱ کھولیںabb ( aey payghumber ! ) tum naseehat kiye jao . tum to bus naseehat kernay walay ho .
لَّسۡتَ عَلَيۡهِم بِمُصَيۡطِرٍ
آیت ۸۸:۲۲ کھولیںaap ko unn per zabardasti kernay kay liye musallat nahi kiya gaya .
إِلَّا مَن تَوَلَّىٰ وَكَفَرَ
آیت ۸۸:۲۳ کھولیںhaan magar jo koi mun morray ga , aur kufr ikhtiyar keray ga ,
فَيُعَذِّبُهُ ٱللَّهُ ٱلۡعَذَابَ ٱلۡأَكۡبَرَ
آیت ۸۸:۲۴ کھولیںto Allah uss ko bara zabardast azab dey ga .
إِنَّ إِلَيۡنَآ إِيَابَهُمۡ
آیت ۸۸:۲۵ کھولیںyaqeen jano inn sabb ko humaray paas hi loat ker aana hai ,
ثُمَّ إِنَّ عَلَيۡنَا حِسَابَهُم
آیت ۸۸:۲۶ کھولیںphir yaqeenan inn ka hisab lena humaray zimmay hai .