الفجر
Al-Fajr
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلۡفَجۡرِ
آیت ۸۹:۱ کھولیںqasam hai fajar kay waqt ki ,
وَلَيَالٍ عَشۡرٖ
آیت ۸۹:۲ کھولیںaur das raaton ki ,
وَٱلشَّفۡعِ وَٱلۡوَتۡرِ
آیت ۸۹:۳ کھولیںaur juft ki aur taaq ki ,
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَسۡرِ
آیت ۸۹:۴ کھولیںaur raat ki jab woh chal kharri ho ( kay aakhirat mein jaza o saza zaroor hogi )
هَلۡ فِي ذَٰلِكَ قَسَمٞ لِّذِي حِجۡرٍ
آیت ۸۹:۵ کھولیںaik aqal walay ( ko yaqeen dilaney ) kay liye yeh qasmen kafi hain kay nahi-?
أَلَمۡ تَرَ كَيۡفَ فَعَلَ رَبُّكَ بِعَادٍ
آیت ۸۹:۶ کھولیںkiya tum ney dekha nahi kay tumharay perwerdigar ney aad kay sath kiya sulook kiya
إِرَمَ ذَاتِ ٱلۡعِمَادِ
آیت ۸۹:۷ کھولیںuss oonchay sutonon wali qoam irum kay sath
ٱلَّتِي لَمۡ يُخۡلَقۡ مِثۡلُهَا فِي ٱلۡبِلَٰدِ
آیت ۸۹:۸ کھولیںjiss kay barabar duniya kay mulkon mein koi aur qoam peda nahi ki gaee ?
وَثَمُودَ ٱلَّذِينَ جَابُواْ ٱلصَّخۡرَ بِٱلۡوَادِ
آیت ۸۹:۹ کھولیںaur samood ki uss qoam kay sath kiya kiya jiss ney wadi mein pathar ki chatano ko tarash rakha tha-?
وَفِرۡعَوۡنَ ذِي ٱلۡأَوۡتَادِ
آیت ۸۹:۱۰ کھولیںaur meekhon walay firon kay sath kiya kiya-?
ٱلَّذِينَ طَغَوۡاْ فِي ٱلۡبِلَٰدِ
آیت ۸۹:۱۱ کھولیںyeh woh log thay jinhon ney duniya kay mulkon mein sarkashi ikhtiyar kerli thi ,
فَأَكۡثَرُواْ فِيهَا ٱلۡفَسَادَ
آیت ۸۹:۱۲ کھولیںaur unn mein boht fasad machaya tha ,
فَصَبَّ عَلَيۡهِمۡ رَبُّكَ سَوۡطَ عَذَابٍ
آیت ۸۹:۱۳ کھولیںchunacheh tumharay perwerdigar ney unn per azab ka korra barsa diya .
إِنَّ رَبَّكَ لَبِٱلۡمِرۡصَادِ
آیت ۸۹:۱۴ کھولیںyaqeen rakho tumhara perwerdigar sabb ko nazar mein rakhay huye hai .
فَأَمَّا ٱلۡإِنسَٰنُ إِذَا مَا ٱبۡتَلَىٰهُ رَبُّهُۥ فَأَكۡرَمَهُۥ وَنَعَّمَهُۥ فَيَقُولُ رَبِّيٓ أَكۡرَمَنِ
آیت ۸۹:۱۵ کھولیںlekin insan ka haal yeh hai kay jab uss ka perwerdigar ussay aazmata hai , aur inaam o ikram say nawazta hai to woh kehta hai kay : meray perwerdigar ney meri izzat ki hai .
وَأَمَّآ إِذَا مَا ٱبۡتَلَىٰهُ فَقَدَرَ عَلَيۡهِ رِزۡقَهُۥ فَيَقُولُ رَبِّيٓ أَهَٰنَنِ
آیت ۸۹:۱۶ کھولیںaur doosri taraf jab ussay aazmata hai , aur uss kay rizq mein tangi ker deta hai to kehta hai kay : meray perwerdigar ney meri toheen ki hai .
كَلَّاۖ بَل لَّا تُكۡرِمُونَ ٱلۡيَتِيمَ
آیت ۸۹:۱۷ کھولیںhergiz aisa nahi chahiye . sirf yehi nahi balkay tum yateem ki izzat nahi kertay ,
وَلَا تَحَٰٓضُّونَ عَلَىٰ طَعَامِ ٱلۡمِسۡكِينِ
آیت ۸۹:۱۸ کھولیںaur miskeeno ko khana khilaney ki aik doosray ko targheeb nahi detay ,
وَتَأۡكُلُونَ ٱلتُّرَاثَ أَكۡلٗا لَّمّٗا
آیت ۸۹:۱۹ کھولیںaur meeras ka maal samett samett ker kha jatay ho ,
وَتُحِبُّونَ ٱلۡمَالَ حُبّٗا جَمّٗا
آیت ۸۹:۲۰ کھولیںaur maal say bey hadd mohabbat kertay ho .
كَلَّآۖ إِذَا دُكَّتِ ٱلۡأَرۡضُ دَكّٗا دَكّٗا
آیت ۸۹:۲۱ کھولیںhergiz aisa nahi chahiye . jab zameen ko koot koot ker reza reza kerdiya jaye ga ,
وَجَآءَ رَبُّكَ وَٱلۡمَلَكُ صَفّٗا صَفّٗا
آیت ۸۹:۲۲ کھولیںaur tumhara perwerdigar aur qataren baandhay huye farishtay ( meydan-e-hashar mein ) ayen gay ,
وَجِاْيٓءَ يَوۡمَئِذِۭ بِجَهَنَّمَۚ يَوۡمَئِذٖ يَتَذَكَّرُ ٱلۡإِنسَٰنُ وَأَنَّىٰ لَهُ ٱلذِّكۡرَىٰ
آیت ۸۹:۲۳ کھولیںaur uss din jahannum ko samney laya jaye ga , to uss din insan ko samajh aaye gi , aur uss waqt samajh aaney ka moaqa kahan hoga-?
يَقُولُ يَٰلَيۡتَنِي قَدَّمۡتُ لِحَيَاتِي
آیت ۸۹:۲۴ کھولیںwoh kahey ga kay : kaash ! mein ney apni iss zindagi kay liye kuch aagay bhej diya hota !
فَيَوۡمَئِذٖ لَّا يُعَذِّبُ عَذَابَهُۥٓ أَحَدٞ
آیت ۸۹:۲۵ کھولیںphir uss din Allah kay barabar koi azab denay wala nahi hoga ,
وَلَا يُوثِقُ وَثَاقَهُۥٓ أَحَدٞ
آیت ۸۹:۲۶ کھولیںaur naa uss kay jakarney ki tarah koi jakarney wala hoga .
يَٰٓأَيَّتُهَا ٱلنَّفۡسُ ٱلۡمُطۡمَئِنَّةُ
آیت ۸۹:۲۷ کھولیں. ( albatta naik logon say kaha jaye ga kay : ) aey woh jaan jo ( Allah ki itaat mein ) chain paachuki hai !
ٱرۡجِعِيٓ إِلَىٰ رَبِّكِ رَاضِيَةٗ مَّرۡضِيَّةٗ
آیت ۸۹:۲۸ کھولیںapney perwerdigar ki taraf iss tarah loat ker aaja kay tu uss say razi ho , aur woh tujh say razi ,
فَٱدۡخُلِي فِي عِبَٰدِي
آیت ۸۹:۲۹ کھولیںaur shamil hoja meray ( naik ) bandon mein ,
وَٱدۡخُلِي جَنَّتِي
آیت ۸۹:۳۰ کھولیںaur dakhil hoja meri jannat mein .