البلد

Al-Balad

سورت ۹۰ · آیات: ۲۰ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. لَآ أُقۡسِمُ بِهَٰذَا ٱلۡبَلَدِ

    آیت ⁦۹۰:۱⁩ کھولیں

    mein qasam khata hun iss shehar ki

  2. وَأَنتَ حِلُّۢ بِهَٰذَا ٱلۡبَلَدِ

    آیت ⁦۹۰:۲⁩ کھولیں

    jabkay ( aey payghumber ! ) tum iss shehar mein muqeem ho ,

  3. وَوَالِدٖ وَمَا وَلَدَ

    آیت ⁦۹۰:۳⁩ کھولیں

    aur ( qasam khata hun ) baap ki aur uss ki aulad ki ,

  4. لَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ فِي كَبَدٍ

    آیت ⁦۹۰:۴⁩ کھولیں

    kay hum ney insan ko mushaqqat mein peda kiya hai .

  5. أَيَحۡسَبُ أَن لَّن يَقۡدِرَ عَلَيۡهِ أَحَدٞ

    آیت ⁦۹۰:۵⁩ کھولیں

    kiya woh yeh samajhta hai kay uss per kissi ka bus nahi chalay ga-?

  6. يَقُولُ أَهۡلَكۡتُ مَالٗا لُّبَدًا

    آیت ⁦۹۰:۶⁩ کھولیں

    kehta hai kay : mein ney dheron maal urra daala hai .

  7. أَيَحۡسَبُ أَن لَّمۡ يَرَهُۥٓ أَحَدٌ

    آیت ⁦۹۰:۷⁩ کھولیں

    kiya woh yeh samajhta hai kay uss ko kissi ney dekha nahi-?

  8. أَلَمۡ نَجۡعَل لَّهُۥ عَيۡنَيۡنِ

    آیت ⁦۹۰:۸⁩ کھولیں

    kiya hum ney ussay do aankhen nahi den-?

  9. وَلِسَانٗا وَشَفَتَيۡنِ

    آیت ⁦۹۰:۹⁩ کھولیں

    aur aik zaban aur do hont nahi diye-?

  10. وَهَدَيۡنَٰهُ ٱلنَّجۡدَيۡنِ 

    آیت ⁦۹۰:۱۰⁩ کھولیں

    aur hum ney uss ko dono raastay bata diye hain .

  11. فَلَا ٱقۡتَحَمَ ٱلۡعَقَبَةَ

    آیت ⁦۹۰:۱۱⁩ کھولیں

    phir bhi woh uss ghaati mein dakhil nahi hosaka ,

  12. وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا ٱلۡعَقَبَةُ

    آیت ⁦۹۰:۱۲⁩ کھولیں

    . aur tumhen kiya pata kay woh ghaati kiya hai ?

  13. فَكُّ رَقَبَةٍ

    آیت ⁦۹۰:۱۳⁩ کھولیں

    kissi ki gardan ( ghulami say ) churra dena ,

  14. أَوۡ إِطۡعَٰمٞ فِي يَوۡمٖ ذِي مَسۡغَبَةٖ

    آیت ⁦۹۰:۱۴⁩ کھولیں

    ya phir kissi bhook walay din mein khana khila dena

  15. يَتِيمٗا ذَا مَقۡرَبَةٍ

    آیت ⁦۹۰:۱۵⁩ کھولیں

    kissi rishta daar yateem ko ,

  16. أَوۡ مِسۡكِينٗا ذَا مَتۡرَبَةٖ

    آیت ⁦۹۰:۱۶⁩ کھولیں

    ya kissi miskeen ko jo mitti mein rull raha ho ,

  17. ثُمَّ كَانَ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلصَّبۡرِ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلۡمَرۡحَمَةِ

    آیت ⁦۹۰:۱۷⁩ کھولیں

    phir woh unn logon mein bhi shamil naa huwa jo emaan laye hain , aur jinhon ney aik doosray ko sabit qadmi ki takeed ki hai , aur aik doosray ko reham khaney ki takeed ki hai .

  18. أُوْلَٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَيۡمَنَةِ

    آیت ⁦۹۰:۱۸⁩ کھولیں

    yehi woh log hain jo baray naseeb walay hain ,

  19. وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِنَا هُمۡ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَشۡـَٔمَةِ

    آیت ⁦۹۰:۱۹⁩ کھولیں

    aur jinn logon ney humari aayaton ka inkar kiya hai , woh nahoosat walay log hain .

  20. عَلَيۡهِمۡ نَارٞ مُّؤۡصَدَةُۢ 

    آیت ⁦۹۰:۲۰⁩ کھولیں

    unn per aesi aag musallat hogi jo unn per band kerdi jaye gi .