الشمس
Ash-Shams
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلشَّمۡسِ وَضُحَىٰهَا
آیت ۹۱:۱ کھولیںqasam hai sooraj ki aur uss ki pheli howi dhoop ki ,
وَٱلۡقَمَرِ إِذَا تَلَىٰهَا
آیت ۹۱:۲ کھولیںaur chaand ki jab woh sooraj kay peechay peechay aaye ,
وَٱلنَّهَارِ إِذَا جَلَّىٰهَا
آیت ۹۱:۳ کھولیںaur din ki jab woh sooraj ka jalwa dikha dey ,
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَغۡشَىٰهَا
آیت ۹۱:۴ کھولیںaur raat ki jab woh uss per chah ker ussay chupa ley ,
وَٱلسَّمَآءِ وَمَا بَنَىٰهَا
آیت ۹۱:۵ کھولیںaur qasam hai aasman ki , aur uss ki jiss ney ussay banaya ,
وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا طَحَىٰهَا
آیت ۹۱:۶ کھولیںaur zameen ki , aur uss ki jiss ney ussay bichaya ,
وَنَفۡسٖ وَمَا سَوَّىٰهَا
آیت ۹۱:۷ کھولیںaur insani jaan ki , aur uss ki jiss ney ussay sanwara ,
فَأَلۡهَمَهَا فُجُورَهَا وَتَقۡوَىٰهَا
آیت ۹۱:۸ کھولیںphir uss kay dil mein woh baat bhi daal di jo uss kay liye bad-kaari ki hai , aur woh bhi jo uss kay liye perhezgari ki hai ,
قَدۡ أَفۡلَحَ مَن زَكَّىٰهَا
آیت ۹۱:۹ کھولیںfalah ussay milay gi jo iss nafs ko pakeezah banaye ,
وَقَدۡ خَابَ مَن دَسَّىٰهَا
آیت ۹۱:۱۰ کھولیںaur na-murad woh hoga jo uss ko ( gunah mein ) dhansa dey .
كَذَّبَتۡ ثَمُودُ بِطَغۡوَىٰهَآ
آیت ۹۱:۱۱ کھولیںqoam-e-samood ney apni sarkashi say ( payghumber ko ) jhutlaya ,
إِذِ ٱنۢبَعَثَ أَشۡقَىٰهَا
آیت ۹۱:۱۲ کھولیںjab unn ka sabb say sangdil shaks uth kharra huwa ,
فَقَالَ لَهُمۡ رَسُولُ ٱللَّهِ نَاقَةَ ٱللَّهِ وَسُقۡيَٰهَا
آیت ۹۱:۱۳ کھولیںto Allah kay payghumber ney unn say kaha kay : khabrdar ! Allah ki oontni ka aur uss kay paani peenay ka poora khayal rakhna .
فَكَذَّبُوهُ فَعَقَرُوهَا فَدَمۡدَمَ عَلَيۡهِمۡ رَبُّهُم بِذَنۢبِهِمۡ فَسَوَّىٰهَا
آیت ۹۱:۱۴ کھولیںphir bhi unhon ney payghumber ko jhutlaya , aur uss oontni ko maar daala . nateeja yeh kay unn kay perwerdigar ney unn kay gunah ki wajeh say unn ki eent say eent baja ker sabb ko barabar kerdiya .
وَلَا يَخَافُ عُقۡبَٰهَا
آیت ۹۱:۱۵ کھولیںaur Allah ko uss kay kissi buray anjam ka koi khof nahi hai .