الليل
Al-Lail
ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَغۡشَىٰ
آیت ۹۲:۱ کھولیںqasam hai raat ki jab woh chah jaye ,
وَٱلنَّهَارِ إِذَا تَجَلَّىٰ
آیت ۹۲:۲ کھولیںaur din ki jab uss ka ujala phel jaye ,
وَمَا خَلَقَ ٱلذَّكَرَ وَٱلۡأُنثَىٰٓ
آیت ۹۲:۳ کھولیںaur uss zaat ki jiss ney nar aur mada ko peda kiya ,
إِنَّ سَعۡيَكُمۡ لَشَتَّىٰ
آیت ۹۲:۴ کھولیںkay haqeeqat mein tum logon ki koshishen alag alag qisam ki hain .
فَأَمَّا مَنۡ أَعۡطَىٰ وَٱتَّقَىٰ
آیت ۹۲:۵ کھولیںabb jiss kissi ney ( Allah kay raastay mein maal ) diya , aur taqwa ikhtiyar kiya ,
وَصَدَّقَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
آیت ۹۲:۶ کھولیںaur sabb say achi baat ko dil say maana ,
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡيُسۡرَىٰ
آیت ۹۲:۷ کھولیںto hum uss ko aaram ki manzil tak phonchney ki tayyari kera den gay .
وَأَمَّا مَنۢ بَخِلَ وَٱسۡتَغۡنَىٰ
آیت ۹۲:۸ کھولیںraha woh shaks jiss ney bukhul say kaam liya , aur ( Allah say ) bey niazi ikhtiyari ki ,
وَكَذَّبَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
آیت ۹۲:۹ کھولیںaur sabb say achi baat ko jhutlaya ,
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡعُسۡرَىٰ
آیت ۹۲:۱۰ کھولیںto hum uss ko takleef ki manzil tak phonchney ki tayyari kera den gay .
وَمَا يُغۡنِي عَنۡهُ مَالُهُۥٓ إِذَا تَرَدَّىٰٓ
آیت ۹۲:۱۱ کھولیںaur jab aisa shaks tabahi kay garrhey mein giray ga to uss ka maal uss kay kuch kaam nahi aaye ga .
إِنَّ عَلَيۡنَا لَلۡهُدَىٰ
آیت ۹۲:۱۲ کھولیںyeh sach hai kay raasta batla dena humaray zimmay hai ,
وَإِنَّ لَنَا لَلۡأٓخِرَةَ وَٱلۡأُولَىٰ
آیت ۹۲:۱۳ کھولیںaur yeh bhi sach hai kay aakhirat aur duniya dono humaray qabazay mein hain .
فَأَنذَرۡتُكُمۡ نَارٗا تَلَظَّىٰ
آیت ۹۲:۱۴ کھولیںlehaza mein ney tumhen aik bharakti hoi aag say khabrdar kerdiya hai .
لَا يَصۡلَىٰهَآ إِلَّا ٱلۡأَشۡقَى
آیت ۹۲:۱۵ کھولیںiss aag mein koi aur nahi , wohi bad-bakht dakhil hoga
ٱلَّذِي كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰ
آیت ۹۲:۱۶ کھولیںjiss ney haq ko jhutlaya , aur mun morra ,
وَسَيُجَنَّبُهَا ٱلۡأَتۡقَى
آیت ۹۲:۱۷ کھولیںaur uss say aesay perhezgar shaks ko door rakha jaye ga
ٱلَّذِي يُؤۡتِي مَالَهُۥ يَتَزَكَّىٰ
آیت ۹۲:۱۸ کھولیںjo apna maal pakeezgi hasil kernay kay liye ( Allah kay raastay mein ) deta hai ,
وَمَا لِأَحَدٍ عِندَهُۥ مِن نِّعۡمَةٖ تُجۡزَىٰٓ
آیت ۹۲:۱۹ کھولیںhalankay uss per kissi ka koi ehsan nahi tha jiss ka badla diya jata ,
إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ رَبِّهِ ٱلۡأَعۡلَىٰ
آیت ۹۲:۲۰ کھولیںalbatta woh sirf apney uss perwerdigar ki khushnoodi chahta hai jiss ki shaan sabb say oonchi hai .
وَلَسَوۡفَ يَرۡضَىٰ
آیت ۹۲:۲۱ کھولیںyaqeen rakho aisa shaks unqareeb khush hojaye ga .