الضحى

Ad-Dhuhaa

سورت ۹۳ · آیات: ۱۱ · مکی

ترجمہ: Urdu - Mufti Taqi Usmani (Roman Urdu Translation) · سورت کھولیں

بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  1. . ( aey payghumber ! ) qasam hai charrhtay din ki roshni ki ,

  2. وَٱلَّيۡلِ إِذَا سَجَىٰ

    آیت ⁦۹۳:۲⁩ کھولیں

    aur raat ki jab uss ka andhera beth jaye ,

  3. مَا وَدَّعَكَ رَبُّكَ وَمَا قَلَىٰ

    آیت ⁦۹۳:۳⁩ کھولیں

    kay tumharay perwerdigar ney naa tumhen chorra hai , aur naa naraz huwa hai ,

  4. وَلَلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لَّكَ مِنَ ٱلۡأُولَىٰ

    آیت ⁦۹۳:۴⁩ کھولیں

    aur yaqeenan aagay aaney walay halaat tumharay liye pehlay halaat say behtar hain .

  5. وَلَسَوۡفَ يُعۡطِيكَ رَبُّكَ فَتَرۡضَىٰٓ

    آیت ⁦۹۳:۵⁩ کھولیں

    aur yaqeen jano kay unqareeb tumhara perwerdigar tumhen itna dey ga kay tum khush hojao gay .

  6. أَلَمۡ يَجِدۡكَ يَتِيمٗا فَـَٔاوَىٰ

    آیت ⁦۹۳:۶⁩ کھولیں

    kiya uss ney tumhen yateem nahi paya tha , phir ( tumhen ) thikana diya-?

  7. وَوَجَدَكَ ضَآلّٗا فَهَدَىٰ

    آیت ⁦۹۳:۷⁩ کھولیں

    aur tumhen raastay say na-waqif paya to raasta dikhaya ,

  8. وَوَجَدَكَ عَآئِلٗا فَأَغۡنَىٰ

    آیت ⁦۹۳:۸⁩ کھولیں

    aur tumhen nadaar paya to ghani kerdiya .

  9. فَأَمَّا ٱلۡيَتِيمَ فَلَا تَقۡهَرۡ

    آیت ⁦۹۳:۹⁩ کھولیں

    abb jo yateem hai , tum uss per sakhti matt kerna ,

  10. وَأَمَّا ٱلسَّآئِلَ فَلَا تَنۡهَرۡ 

    آیت ⁦۹۳:۱۰⁩ کھولیں

    aur jo sawal kernay wala ho , ussay jhirakna nahi ,

  11. وَأَمَّا بِنِعۡمَةِ رَبِّكَ فَحَدِّثۡ

    آیت ⁦۹۳:۱۱⁩ کھولیں

    aur jo tumharay perwerdigar ki naimat hai , uss ka tazkarah kertay rehna .